Kafi baar es story ka recommendation suna aur kafi baar padhne ki kosis bhi ki lekin har baar first update ke baad aage jane ka man hi nahi hua. Pata nahi kyu lekin first update ko main connect hi nahi kar pa raha tha
Fir aaye holi aur holi me jaisa sabke sath hota hai us se jada mere jaiso ke sath hota hai. Khub nashe kiye etne ki do dino tak hosh hi nahi aaya fir jab hosh aaya to first page par vapas ye story dikh gaye aur socha es baar thoda aur try karke dekhte hai kuch to jarur hoga esme jo har koe suggest karta hai
Tab jake first update se aage badha aur aisa aage badha ki piche mud kar dekha hi nahi. Kafi dino tak mere story ke update effect hue kyuki main esme etna kho gaya ki khud ki story likhne ka time bhi nahi raha
Hats off to you my brother for writing such a masterpiece
Aage ke review se pehle bata du ki main bahut nashe me hu aur sath me story khatam kiye kuch din ho gaye hai esme agar naam ya kisi aur chhij me koe galti ho to maaf kar dena
Now start with the the raja ji bade raja hi and chhote raja ji
Teeno ke character me jada kuch difference nahi hai. Sosan karna apne naam ki dhashat falana aur rang mahal me maja karna hi unka kaam raha hai just like the typical ruler
Naam mujhe abhi unke yaad nahi aa rahe hai lekin jo bhi the unka role jaisa aapne dikhaya vo reality se atleast mere liye ek dam perfect tarike se dikhaye gaye hai
Viswa aur vadhavi the two most important character of the story
Viswa pehle kaisa tha fir halaato ne usse kaisa banaya, uske sath kya kya hua aur uska us par kya positive aur negative effect pada bahut sateek tarike se dikhaya aur vadhavi man kya hi bolu uske bare me
Ek rangmahal ki raatein rangeen karne wali ladki jo aaj unke hi logo ko khule aam chunotiya de rahi hai, apna stand le rahi hai logo ke bare me apne gaon ke bare me soch rahi hai just too good
Plus vadhavi ka jo bhi gaon ke bahar ka scene dikhaya gaya usme uski innocence ko etni behatreen dhang se pesh kiya aapne ki usse sabdo me pirona apne aap me bahut muskil kaam hai
Her attitude towards raja sahaab aur vishwa aur pratibha uske do alag alag personality ko dikhate hai
Mujhe es halaat me bhi yaad hai ki kaise starting me vo pratibha ke sath lad gaye thi apne bhai ko lekar aur fir baad me usse uska kitna paschataap bhi hua tha too good bhai just brilliant
Roop and bhabhi ka kya naam tha yaar nandini sayad?
Kya hi understanding dikhae dono ke beech aapne
Aise mahaal me jaha rishto ki koe jagah hi nahi thi vaha beech se ek aisa rishta nikala jisne pure vans ko hila kar rakh diya
Bhabhi aur devrani ka rishta aisa hi hona chahiye jaisa aapne dikhaya. Bahut khubsurat tarike se ek ek dialogue dikhaya aapne maja hi aa gaya padh kar
Viswa aur roop ki present, past to ek adhbhut viswash tha hi aur aapki lekhan ne usse aur chamka diya
Fir bhi mujhe kuch doubt humesha raha un dono par
Jaise ki jab viswa roop ko chhoda usse ke aas pass ke time me vo sarpanch bana matlab vo haveli me hi raha hoga to usne vapas roop se milne ki kosis kyu nahi ki?
Vo usse pahchaan kaise nahi paya?
Roop usse kaise nahi pachaan paye
Kya 7-8 saal etni jada hoti hai ki aap apne pyaar ko hi bhul jao?
Main bahut nashe karta hu aur mujhe us se juda hue lagbhag lagbhag 5 saal ho gaye lekin aaj bhi vo kisi bhi halaat me ya main kisi bhi halaat me hu usse door se hi mahsus kar sakta hu. Bina uska chehra dekha usse pahchan sakta hu to fir roop ya viswa kaise ek dusre ko pachaan nahi paye?
Mujhe lagta hai vaha aapse waqt ko darsane me galti hue hai ya fir mujhse padhne me hue ho i dont know
But unke vapas milan se lekar ek dusre se pahchane tak ka safar bahut khubsurat raha
Danny ko dekhne hai apan ko jaldi se lao apne bhai ko vapas story me but mujhe aisa lagta hai jaise vo bahut important point par vapas aayega aur abhi esme time hai
Vikram aur veer ka character development bhi bahut acha dikhaya aapne lekin i don’t know why main anu ke character se relate nahi kar paya. Maine most of her conversation ya to ignore kari ya fir jada dimag se padhi. Ab jab achai bata raha hu to ye bhi batana mera farz hai ki mujhe kya pasand nahi aaya
Anu ka character mujhe sirf ek jagah pasand aaya jab roop ko ye realize hua ki usse ladne wali ladki uski hone wali bhabhi hai except that mujhe vo pasand nahi aaye
On the other hand nandini is one of my favourite character of this story
Bhalaab advocate tha jo sare illegal kaam ko legal bana deta tha aur uski patience ye saboot deti hai ki he is dam good vahi rana ek typical ghossh khor police wala tha jisse main bahut had tak relate kar sakte hai
Kk chheti aur jo bhi lode lahsun the vo sab abhi to yaad aa nahi rahe lekin sab kutte ki moot marenge ye pakka hai
Vaise ek aur sikayat hai aapse mujhe yash ko etni aasan maut nahi deni chahiye thi aapko. Usko tadpana chahiye the galti ka ahsaas karana chahiye tha lekin vo to galatfami me hi mar gaya vaha main thoda disappoint jarur hua tha
Aur kon bach gaya?
Bache to bahut kuch hai lekin sala yaad nahi aa raha
Chalo kuch achi moments ki baat kar lete hai
Viswa jab vikram ko sut raha tha aur nandini se usse bachaya fir jab viswa aur vo apne muh boli bahan ko bachane section shankar se baat ki vo bhi bahut khubsrat thi
Roop aur viswa ka milan bhi bahut khubsurat laga mujhe plus jo vo raat ko vahi ruka vo bhi bahut sahi laga
Ek chhij jo aur doubt me rah gaye ki viswa ke pass to sari information rahti thi to vo veer ko kaise nahi pahchan paya?
Agar eske piche koe reason hai to achi baat hai nahi to viswa ko usse pachana chahiye tha
Ek aur scene tha jaha roop me ranga ko chamet mari thi vo bhi padh kar maja aa gaya tha
Aap chronologically mat jayega jo yaad aa raha hai vo likhta ja raha hu
Mujhe aisa lag raha hai jaise pratibha to maregi lekin us se pahlevikram usse ek baar bachaega jis se uska karz chukta ho jayega lekin pratibha ke marne se viswa ka asali janwar bahar aaega
Vaise aane bhi chahiye main bahut besabri se uska intezaar kar raha hu
Baki baad me likhunga abhi dimag kaam thoda kaam kar raha hai
Hindi padhne me thodi muskil hoti hai lekin jab aap jaisa writer aisi story likhta hai to kya muskil sab sahan ho jati hai
Keep the good work flowing brother. Aage kya hone wala hai eska besabari se intezaar rahega
Much love to you