Aap ki baat sahi hai per puri tarah se nahi, kahani nadi ki tarah hoti hai jiska bahav jagah aur samay ke anurup badalta rehta hai, vishwa ka past lagbhag pura hi samne hai, jo kuch chipa hua hai , wo bus itna hi ki vishwa ko kis tarah se fasaya gaya, baki sab samne hi hai ,Raja Saab keval vaidahi ki vajah se vishwa se badla lena chate hai wo bhi isliye kyu ki wo unke aham ke bich me aa gaya , baki ye jarur Janna chahuga ki vishwa ke mata pita kon the, wo past me ek leder ki tarah ubhra tha ,aur uski popularity Raja ji ke aankho me khatkne lagi thi, log Darna kam ker rhy the, is vajah se ye sara plan Racha gaya, aur jaha tak Muzay lagta hai past me kisi apne ne hi vishwa ko dhoka diya hoga, aesa anuman hai,
Baki abhi present me bahut hi jyada scope hai
Sam dam dand bhed sab kuch aajmana baki hai, har tarah ke emotions apne charam per hone wale hai, isliye vartman ghatnayo k liye man adhik aatur hai, baki sab lekhak ke uper to hai hi, wahi rachiyata hai , to wo jesa rachenge ham wesa hi padenge