• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Ek Bhool 2 (Completed)

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,139
189
Kaha se ate hai ye champ ak 81 jase log jo gotiya kapal. Main le jate hai . Pahle suspence banaya ab bachaya .
Ab suraj bhi fan bangaya bhai ka
Wo bolte hai na.
Joru ka bhai pahle ata hai wah Sumit mangaye bhaya . Joru ke liye kya kya papad belogo .😀😀😃😂😂

Ak bhai our kon kon se suspence ke tir baki hai bhai jo hamare bp High karane ke liye rakhe ho.
Megha ko dukhi mat karana bhai.
Thanks Svin bhai for your support and review...Keep supporting.
 
  • Like
Reactions: Akki ❸❸❸

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,139
189
Bdiya update champ bhai :love:
:yourock:


images
Kya champ bhai, sumit ko megha ka jiju bna diya :shocked:
Achi baat nhi h ye

Aur ye suraj ke sath kya ho gya :(
Khi ye arav ne to nhi kiya, taki megha ko lge sumit ne karaya h :hmm2:
Gajab update champ bhai :love:
Matlab sumit to hero ban gya fir se :yay:


Is Bhosdiwale chacha ko kya taklif h bhai :sigh:
Thanks Akki bhai for your support and reviews...Keep supporting.
 
  • Love
Reactions: Akki ❸❸❸

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,139
189
Kya Champ_AK_81 bhai ek mahine se jyada smay me bas 2 update :verysad:
Jldi se update do ab, abhi to mje wala update aya

Waiting for next update :elephant:
Inn 2 updates ke delay ka credit aapko bhi jaata hai. :D...Reviews ke intejaar ke itne baad bhi nahi mila to update post karna hi pada. :(
 
  • Haha
Reactions: Akki ❸❸❸

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,139
189
UPDATE 114

Abhi kitna vakt Suraj ko hospital mein rakhna padega?

Agla din subah Sumit hospital mein aate hi Megha ki Papa ne pucha.

Sumit:- Shock.

Ek najar Sumit ne sabhi ko dekha aur fir kehna suru kiya.

Sumit:- Shock matlab sharir ke anga (organ) mein khoon bahut kam jaana hota hai...Pehle accident ke time sabse khatarnaak cheej tha Hypovolemic shock...Matlab khoon jyada beh gaya tha...Khoon ki kami se organ failure ki vajah se jaan jaane ki bahut jyada chance tha...Sahi vakt mein bleeding ko rok kar wo khatra to tal gaya.

Abb ek aur khatra hai...Septic shock...Matlab Infection ki vajah se blood vessels mein injury hota hai aur uski vajah se khoon har ek anga mein nahi pahunch paata hai aur ussi ke saath infection har ek anga mein failne ke kaaran multi-organ failure ho sakta hai.

Suraj ka skin pehle hi contaminated tha jaha se khoon beh raha tha.

Sumit ka itna hi kehna tha ki...

M. Mom:- Khatra abhi bhi baaki hai.

Ekdum se sabhi ke chehre mein dar ke bhaaw aa gaye.

Sumit:- Haan bhi aur nahi bhi.

Ek lamba saans le kar Sumit ne samjhaana suru kiya.

Sumit:- Surgery ke vakt hi contaminated part ko saaf kar diya tha...Aur antibiotics bhi chal raha hai...Abhi tak stable hai Suraj...Lekin hospital mein abhi rakhna padega...Iske alawa kuch post operative care bhi baaki hai.

Kuch din monitoring mein rakhne ke baad discharge ho jaayega.

Iss baat se sabhi ko sukoon mila.

Sumit:- Kal raat ki tufaan ke baad bhi sab kuch thik hai matlab khatra tal chuka hai.

Kal apne practice se bhi kaafi jyada mehnat karna pada tha vakt ko dhyan mein rakh kar baaki to bas sahi vakt mein sahi kadam chalne ka hai...Kuch nahi hoga Suraj ko.

Aatmavishwash se bhari aawaj ke saath Sumit ne Megha ki Maa aur Papa ko dekh kar kaha.

Iske baad Orthopedic surgeon se kuch baatein karne ke baad.

Aarav:- Yakin nahi hota hai bhaiya...Mai to haar maan hi chuka tha.

Sumit:- Mere alawa sabhi haar maan chuke thhe kya? :D

Sabhi ki taraf dekh muskuraate hue Sumit ne pucha.

Sumit:- Khair ye baat bhi kaafi der se hi sikha ki kabhi bhi haar nahi maanna chahiye...Acche din aur vakt hamesha hamara intejaar kar raha hota hai.

Ye baat Sumit ne Megha ko dekh kar kaha...Megha ko samajh mein anhi aa raha tha ki kaise react kare.

Sumit:- Agar yaha par haar maan gaya to jindagi se hi haar jaaunga. :D

Abb Megha Sumit se najar hata leti hai.

Sumit:- Megha.

Megha:- Hmm.

Sumit:- Ek jaruri baat hai...Chalo mere saath.

Sabhi ke aage Megha ko kuch samajh mein nahi aa raha tha...Wo apne Papa ki aur dekhti hai.

M. Dad:- Jaao.
.
.
.
.
Megha:- Haan kaho.

Sumit:- Yaad hai jab Kirti se mai alag ho gaya tha tab tumne kaha tha "Jo hota hai acche ke liye hota hai." Uss vakt to bahut gussa aaya tha ye sun kar...Lekin abb sahi lag raha hai.

Megha:- Ye kaunsi nayi baat hai? Bina baat ko soche samjhe react karna to tumhara aadat hai?

Megha ki iss baat par Sumit kuch der to chup raha fir muskuraane laga.

Megha:- Waise kya accha ho gaya tumhare liye?

Sumit:- Mere liye nahi tumhare liye?

Megha:- Kya?

Sumit:- Yaad hai jab residency ke aakhiri mahine mein tumhe ignore karta tha...Wo tumhare liye accha hi tha.

Megha:- Haan abb apna galti ko chupaane ke liye koi bhi nayi kahani suna do.

Sumit:- Dekha iss baar tumne bina soche samjhe gusse mein react kar diya.

Fir Sumit hasne lagta hai jisse Megha aur chhidh jaati hai.

Megha:- Kaam ki baat karo...Bakwas nahi.

Sumit:- Uss time hi maine vascular surgery (blood vessels) sikha tha...Bahut hi tough surgery lagta hai personally...Uss vakt thoda bahut sikh to gaya tha.

Bas ussi experience par vishwash karke Suraj ka surgery kar raha tha...Jo acche se ho gaya.

Megha:- Iss mein mera kya accha hua? Tumhara surgery safal raha, tumhara aatmavishwash badha hai...Accha to tumhare liye hua?

Sumit:- Bhai tumhara hai, dekha tha tumhara dard jo mujhse saha nahi jaa raha tha...Mera to saala hai...Jisse mujhe koi khas lagaaw nahi hai.

Megha iss baat par Sumit ko gusse se ghurti hai.

Sumit:- Sach yahi hai...Baad mein accha lag jaaye alag baat hai...Aur waise bhi aatmavishwash badhaane ke liye koi bhi surgeon itna emergency surgery aur aise unstable condition wala case to apne haath mein bilkul nahi leta hai.

Megha:- Mujhe laga tum yaha bula kar humdardi bator kar mujhe manaane ki koshish karoge? Lekin tum to mujhe aur bhi gussa dilaa rahe ho?

Sumit:- Galatfehmi hai tumhara...Jo mujhe kisi ko manaane ke liye aisi nich harkat karna pade...Agar mujhe lag gaya ki saamne wala maanne ko taiyaar nahi to mai khud usse dur chala jaaunga...Kirti ki vakt ke galti nahi dohraaunga.

Megha:- To tumhe ummeed hai ki mai maan jaaungi?

Sumit:- Hai issi liye laga hun.

Megha:- Agar ye ummeed toot gaya to?

Sumit:- Chala jaaunga.

Dard bhari aawaj mein hi sahi lekin Megha ki aankho mein dekh kar kaha Sumit ne.

Megha:- Aur wo dil tootne ki dard?

Sumit:- Wo to sehta hi aa raha hun pichle 10 saal se. :D...Aur jhel lunga kuch saal...Lekin faisla kar liya hai ki jindagi mein hamesha khush rahunga...Chahe khushi ki nayi vajah kyu naa dhundna pade.

Abhi mere liye sabse badi khushi tum ho...Abhi mere dil ka jo haal hai wo bhale hi shabdon se dikha na paau lekin pichhle kuch vakt se tumhare liye jo pyaar hai mere dil mein wo bahut hi khaas hai...Tumhara saath mil gaya to sirf khushi nahi jindagi ke har ek pal nayi uchaai saath saath chadhne ki maja hi kuch aur hoga.

Haan kabhi kabhi chhote mote jhagde bhi honge jaise abhi ho raha hai usse bhi sambhaal lenge...Do pal ka saath thodi na hai jindagi bhar ka...Budhaape mein bhake hi sharir kamjor ho kar chal na sake lekin dil utna majbut jarur hoga ki tab tak bhi ek dusre ko samajh sake aur aakhiri saans tak ek dusre ka saath bana rahe.

Sumit ki ye baat Megha ki dil ko chhu gaya...Abb aawaj mein narmi ke saath.

Megha:- Sach bataao...Ye surgery tumne kya sirf mere liye kiya tha?

Sumit:- Sirf tumhare liye to nahi...Haan lekin tumhare vajah se apna saara kuch jhonk diya tha...Kisi bhi tarah se Suraj ko bachana tha...Tumhare liye...Tumhare khushi ke liye.

Waise maine emergency surgery kabhi as a lead nahi kiya...Residency mein bhi as a assistance hi kiya tha...Kismat accha hai ki aaj tak sabhi mein patient ki jaan bacha hai.

Aage ka socha nahi tha...Iss baar jaan bacha paaya hun to issi motivation se mushkil se mushkil condition mein bhi patient ki jaan bachaane ki puri koshish rahega.

Kuch der ke chuppi ke baad.

Sumit:- Suraj se jyada baatein nahi hua hoga tumhara...Chalo chalte hai.

Megha:- Ek minute.

Sumit bina kuch kahe bas wohi khada rehta hai.

Megha:- Kuch kehna hai tumse...Lekin kaise samajh mein nahi aa raha hai?

Sumit:- Abb bata bhi do sach aur apni dil ki baat...Kab tak aise hi jhoot bol kar apne piche ghumaati rahogi? :D

Megha:- Wo baat nahi hai.

Sumit:- Fir.

Kuch der chup rehne ke baad Megha kehna suru karti hai.

Megha:- Tum bahut acche ho...

Sumit:- Kuch naya bolo...Ye to mai jaanta hun. :D

Megha:- Agli baar bich mein kuch bola to dekh lena.

Fir Megha bolna jaari rakhti hai.

Megha:- Jaanti hun rum mujhse bahut pyaar karte ho...Aur mujhe khush rakhne ke liye kuch bhi karoge.

Lekin mujhe lagta hai mai fir bhi tumhare saath khush nahi reh paaungi.

Sumit:- Kyu?

Hairaani mein ekdum se Sumit ki munh se nikla.

Megha:- Bahut differences najar aa rahe hai hamare bich...Jab se tum mujhse alag hone ki koshish kar rahe thhe ussi vakt se bahut kuch mujhe aisa mehsus hone laga ki hamare bich shayad sab kuch thik nahi rahega...Galti kisi ki bhi nahi hai...Fir bhi.

Issi liye tumhe bina bataye hi wapaw chali aayi...Mujhe mehsus ho gaya ki hame alag ho jaana hi thik rahega.

Sumit bhi abb soch mein pad gaya.

Sumit:- Iska solution kya hai fir?

Megha:- Humara alag ho jaana?

Sumit:- Kuch aur ? Ye kaisa solution hai?

Iss baar Sumit ki aawaj mein bhi thoda gussa tha.

Megha:- Wo tum jaano.

Kuch der sochne ke baad Symit ne kaha.

Sumit:- Ek tarika to hai...Lekin tum nahi maanogi.

Megha:- Kya?

Sumit:- Hum alag thhe iss vajah se ye vishwash bhi toota hoga.

Kuch samay aur saath bitaana hoga...Ek baar firse ek dusre ko jaanna samajhna hoga...Shayad kaam ban jaaye.

Megha:- Itne saal se saath hi to thhe? Tab kuch nahi hua to abb kuch vakt mein kya ho jaayega?

Sumit:- Uss vakt mai wo Sumit nahi tha...Tab tumse pyaar nahi karta tha aur jab karta tha to tumhare paas aana nahi chaahta tha.

Lekin abb to tumse pyaar karta hun tumhe ehsaas karaana chaahta hun ki tum mere liye kya ho? Mai tumhare liye kya kya kar sakta hun?

Sumit ki ye baat sunne aur kuch der sochne ke baad.

Megha:- Mujhe nahi lagta hai ye kaam karega?

Sumit:- Agar sochne bhar se sab kuch waisa hi ho jaata to har koi sirf sochta koi kuch nahi karta.

Sumit ki aawaj mein abb bechaini bi saaf dikh raha tha.

Sumit:- Kar ke dekhne mein kya hi jaata hai...Agar baat nahi bana to waise bhi chala hi jaaunga.

Vaada karta hun agar mujhe laga ki sach mein humare buch difference hai aur hum saath nahi reh sakte kyu ki tumhe pareshaani hai...Yaa fir jab bhi tum kaho mai hamesha ke liye tumse dur chal jaaunga.

Kuch der sochne ke baad.

Megha:- Thik hai...Lekin kitni der?

Sumit:- Din mein 6 ghanta.

Megha:- Paagal ho kya?

Sumit:- Maine apna time bataya...Abb tum bataao.

Megha:- 2 ghanta.

Sumit:- Chalo naa tumhara na mera...4 ghanta.

Megha kuch nahi boli.

Sumit:- Bargaining ka faaidaa pyaar mein bhi hota hai. :D

Milte hai aaj shaam se 4 ghanta ki daily date ke liye.

Megha:- Lekin kab tak?

Sumit:- Ye baatein baad mein...Abhi to ye pal ko jiyo.

Aur ek baat...Tumhe mere saath waise hi behave karna hoga jaise pehle karti thi..Aise khadoos ban kar nahi...Jo bilkul hi demotivate kar deta hai.

Megha:- Accha thik hai. :D

Fir dono hospital ki aur jaate hai.

Sumit aaj bahut khush tha...Usse jo chahiye tha wo mil gaya...Megha ka vakt...Warna Megha ke intejaar mein to kabhi kabhi pura din nikal jaata tha...Aur Megha ki ek jhalak bhi nahi mil paata tha.

Abb Sumit ka vishwash bhi badh gaya tha ki wo Megha ko jarur manayega.
 
Last edited:
Top