• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Ek Bhool 2 (Completed)

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,139
189
UPDATE 91

After 8 months

Aur ek aakhiri shot...Saamne wale khiladi ke paas iska bhi koi jawaab nahi.

Aur issi ke saath Sumit se bhi jyada excited ho kar Megha uchalne lagi.

Sumit apna table tennis ke bat board mein rakh kar bas Megha ko hi dekhe jaa raha tha...Megha ko khush dekh wo bhi muskuraane laga.

Megha:- Congrats Gold Medalist.

Sumit:- Thank you...Ye sab tumhari hi meharbaani hai.

Megha:- Meri meharbaani...Aur wo kaise?

Sumit:- Jab bhi tum paas mein hoti ho to ekdum se josh badh jaata hai...Aur dusri baat tum mere liye bahut lucky ho...Jab bhi kabhi haalaath bigadne lagte hai tumhare paas aa jaane se sab kuch ekdum se hi sambhal jaata hai.

Kirti ke jaane ke baad kitna toot gaya tha...Wo Papa aur tum hi thhi jis vajah se mai sambhal paaya tha.

Megha:- Fir se Kirti?

Sumit:- Abb yaad to aa hi jaati hai...Kya karu memory hai hi itna sharp!! :D :D

Megha:- Kar lo apni taarif.

Sumit:- Waise abb sirf wo yaad hi hai...Isse jyada kuch nahi.

Megha:- Sach mein?

Sumit:- Haan...Uske jaane ke baad ek baar bhi contact nahi kiya aur naa hi koshish kiya...Kuch mahine ke baad to uske baare mein sochna bhi band kar diya.

Megha:- Kya baat hai? Pyaar se sidha nafrat. :D

Sumit:- Nahi nafrat nahi hai aur abb naa hi koi pyaar...Nafrat hoga bhi to kaise? Uski koi galti nahi thi...Mai hi haath dho kar piche pada tha...Aur usne reject kar diya.

Abb uske liye koi feelings nahi hai dil mein...Agar wo meri abb kuch lagti hai to teacher...Jo jaate jaate bahut kuch sikha kar gayi.

Muskuraate hue Sumit ne kaha.

Megha:- Aur mai soch rahi thi ki tumne mujhe Kirti ke baare mein ek baar bhi kyu nahi pucha?

Sumit:- Abb koi matlab hi nahi hai to kya puchna yaa fir kya pata karna? Uski jindagi alag hai aur mera alag...Wo jaha bhi rahe khush rahe aur mai bhi apni jindagi mein khushiyan dhundna chaahta hun.

Megha:- Thank god...Bach gayi...Warna fir se Kirti ko paani tumhara junoon ka shikaar ban jaati...Yaad hai tumhara wo plan.

Sumit:- Aur maar lo taana...Gaali bhi de sakti ho...Waise jab bhi wo din yaad karta hu to mai khud hi apne aap ko gaali deta hu.

Megha:- Chhodo ye baatein...Waise bhi Kirti se mera bhi ussi din aakhiri baar baat hua tha.

Sumit:- Kyu? Kirti to tumhari bahut acchi dost thi.

Megha:- Taali ek haath se nahi bajta...Suna hi hoga.

Sumit:- Samajh gaya.

Megha:- Aaj to tumhara koi jawaab nahi...Har ek ball mein shot...Majaa aa gaya.

Megha ne baat ko Kirti se divert karte hue kaha.

Sumit:- Saamne wala mujhse bhi strong tha...Defensive game mein shayad hi usse hara paata...Fir kya tha thoda hi mauka milte hi chance le kar shot pe shot maare jaa raha tha aur uske baad tumhara entry...Josh aur Kismat ka adhbhut combination...Aur result tumhare saamne.

Megha:- Ummeed hai baaki ke khel mein bhi tumhara josh dekhne ko milega.

Sumit:- Baaki ka to pata nahi...Kal cricket hai...Bas tum aa jaana...Chauka aur Chakka ki baarish kar dunga.

Megha:- Kabhi kabhi lagta hai tumhe doctor ki jagah sportsman banna chahiye tha.

Sumit:- Waise to bahut kuch ban sakta hun...Pyaar ke alawa jis cheej ko bhi haath lagaya hai niraasha nahi mila...Aur rahi sports ki baat to ye to jindagi bhar saath rahega...Physical aur Mental health ke liye kaafi jaruri hai.

Megha:- Waise aaj mera bahut taarif kar rahe ho...Luck factor aur josh vagera.

Baat ko fir se divert karte hue Megha ne pucha.

Sumit:- Sach hi to kaha hai.

Megha:- Ekdum se kya ho gaya...Kisi ka taarif...Wo bhi tumhare munh se...Aur wo bhi mere liye :eek:...Kamaal ho gaya.

Sumit:- Mera taarif karna kisi award se kam nahi...Bahut mehnat aur lagan ke baad milta hai...Mehnat karti jaao aur taarif sunti raho.

Megha:- Lekin abhi to maine koi mehnat bhi nahi kiya...Tum hi taarif kar rahe ho...Wo bhi luck ke liye.

Sumit iss baat par kuch nahi bol paaya.

Megha:- Apne meethe bol se kisi aur ko chuna lagaana...Samjhe Mr.

Itna keh kar Megha Sumit ke gaal pinch kar ke aage badh jaati hai.

Sumit bhi Megha ke paas pahunch kar.

Sumit:- Tumse jeet nahi sakta.

Sumit:- (Somewhere in his Heart) Aur tumse haarne ka afsosh bhi nahi.

Megha:- Mere sawaal ka jawaab ye nahi hai?

Sumit:- Sawaal kya tha fir?

Megha:- Mai tumhare liyr kyu luck factor hun?

Sumit:- Abb munh se nikli har baat ka explanation thodi na hota hai...Tumhe khush karne ke liye keh diya hoga.

Sumit:- (To himself) Dil se nikli har baat ko kaise bayaan karu.

Megha:- Accha mujhe khush karne ke liye jhoothi taarifein ho rahi thi.

Sumit iss baar bhi jawaab nahi de paaya.

Megha:- Kya baat hai? Bahut confused lag rahe ho?

Sumit ne fir jawaab nahi diya.

Megha:- Abb bataao bhi...Kya confusion hai?

Sumit soch hi raha tha ki.

Megha:- Koi serious baat hai?

Sumit:- Nahi...Bas thodi si confusion hai.

Megha:- Kis baat ki?

Sumit:- Abb 2 saal mein surgeon ban hi jaaunga...Bas confusion hai ki Neurosurgeon yaa fir GI Surgeon?

Sumit:- (To himself) Baat ko taalne ke liye kya kya bakwaas bole jaa raha hu.

Megha:- Uske liye bahut time hai.

Sumit:- Arre time hi to nahi hai.

Ekdum se Sumit bola.

Megha:- Tum sach mein confused lag rahe ho...Thoda thande dimaag se socho...Jawaab mil jaayega.

Sumit:- Dimaag ko thanda karne ke liye ek cup cold coffee ho jaaye?

Iss baar Megha hansti hai.

Megha:- Abb jaa kar tumne koi dhang ki baatein ki...Chalo.

Megha ka bas itna hi kehna tha ki Sumit ko dhundhte hue Sanjana aa gayi.

Sanjana:- Sumit chalo?

Sumit:- Kaha?

Sanjana:- Library...Exam aa raha hai...Padhne ke liye.

Sumit:- Baad mein.

Sanjana:- Nahi abhi chalo...Suna hai iss baar questions tough aane wale hai.

Sumit:- Aane do...Dekh lunga.

Sanjana:- Sumit...Majaak apni jagah...Aur seriousness apni jagah...Abhi serious hone ka vakt hai.

Sumit kuch kehne hi wala tha ki.

Sanjana:- Mai kuch nahi jaanti...Tum chal rahe ho abhi.

Megha:- Chinta mat karo...Sumit ko exams handle karne ki aadat hai...Kar lega wo.

Sanjana:- Tum nahi jaanti abhi Sumit ko...Practical mein hi accha hai...Theory mein bahut improvement ki jarurat hai.

Megha:- Mai nahi jaanti Sumut ko?

Sanjana:- Tum jis Sumit ko jaanti thi wo Sumit kuch aur tha...Abhi...

Sanjana isse aage kuch bolta usse pehle hi.

Sumit:- Mai aaj bhi wohi Sumit hun.

Sanjana:- Aur iss Sumit mein bahut badlaaw ki jarurat hai...Thoda serious banne ki jarurat hai...Padhai mein bhi aur aadat mein bhi.

Sumit ko abb Sanjana par gussa aa raha tha...Megha bhi soch raha tha Sanjana ki khair nahi.

Sumit ne ek najar Megha ko dekha jo bilkul bhi khush nahi lag rahi thi.

Kuch soch kar.

Sumit:- Chalo.

Ye bahut surprising tha Megha ke liye.

Aage badhne ke baad ek do najar Sumit ne piche mud kar Megha ko dekha...Jo hairaan aur gussa mein najar aa rahi thi.
 
Last edited:

Akki ❸❸❸

ᴾʀᴏᴜᴅ ᵀᴏ ᴮᴇ ᴴᴀʀʏᴀɴᴠɪ
26,727
30,992
304
UPDATE 90

Ek no. Update Champ bhai :love:

Sanjana:- Sumit chalo?

Sumit:- Kaha?

Sanjana:- Library...Exam aa raha hai...Padhne ke liye.
These padaku logis :sigh:
Ye bahut surprising tha Megha ke liye.

Aage badhne ke baad ek do najar Sumit ne piche mud kar Megha ko dekha...Jo hairaan aur gussa mein najar aa rahi thi.
Kya yhi pyaar hai
Haa yhi pyaar hai...
:rock2:

Ye sanjna bhi kha kabaab me haddi bn rhi h :(
 
Akki ❸❸❸

ᴾʀᴏᴜᴅ ᵀᴏ ᴮᴇ ᴴᴀʀʏᴀɴᴠɪ
26,727
30,992
304
Waiting for next update champ bhai :elephant:
 
Akki ❸❸❸

ᴾʀᴏᴜᴅ ᵀᴏ ᴮᴇ ᴴᴀʀʏᴀɴᴠɪ
26,727
30,992
304
  • Like
Reactions: Champ_AK_81

Akki ❸❸❸

ᴾʀᴏᴜᴅ ᵀᴏ ᴮᴇ ᴴᴀʀʏᴀɴᴠɪ
26,727
30,992
304
Waiting for update champ bhai :sweat:

IMG-20210918-091103
 
Last edited:

Akki ❸❸❸

ᴾʀᴏᴜᴅ ᵀᴏ ᴮᴇ ᴴᴀʀʏᴀɴᴠɪ
26,727
30,992
304
:sleep:
 
  • Like
Reactions: Champ_AK_81
Top