• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Ek Bhool 2 (Completed)

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,139
189
UPDATE 76

Sumit sone hi wala tha ki uske Papa room mein aa gaye.

S. Dad:- Aaj tujhe ek kahani sunaane aaya hun.

Sumit:- Kahani?

S. Dad:- Bachpan mein to bahut pareshaan karta tha, Papa ye kahani sunaiye wo kahani sunaiye?

Sumit:- Aur aap ko koi kahani yaad nahi rehta tha.

Bachpan ki baatein yaad aate hi ek baar fir se Sumit ke chehre mein muskaan aa gaya.

Sumit:- Sunaate vakt bich mein hi bhul to nahi jaayenge?

S. Dad:- Nahi...Ye kahani tune hi demand kiya tha...Abb beta ka icchaa ho aur baap pura naa kar sake...Ye ho sakta hai?

Sumit:- Maine demand kiya tha koi kahani?

S. Dad:- Abb tera yaadaasht kamjor ho raha hai...Ye kahani kam mera biography jyada hai...Tune hi to demand kiya tha.

Sumit:- Haan...Lekin aaj aapko kaise yaad aa gaya...Hamesha to taalte aa rahe thhe?

S. Dad:- Bas issi vajah se taal raha tha kyu ki wo sahi vakt nahi lag raha tha...Koi khaas kahani to nahi hai lekin shayad tere liye jaruri ho sakta hai...Aur aaj hi sahi vakt lag raha hai.

Sumit:- Sunaiye fir.

Sumit bhi abb thoda excited lag raha tha.

S. Dad:- Tujhe kya lagta hai ye jo tu bachpan mein itna shaitaan tha aur jawaani ke shuruwaat mein awaara, aur baat karne ki tarika...Relaxed aur Carefree aadat kaha se aaya hoga tujh mein?

Sumit kuch soch hi raha tha ki...

S. Dad:- Kuch aisa hi hua karta tha mai bhi...Bilkul hi carefree...Kisia se koi matlab nahi...Apne hi tarike se jeena jo man kare wohi karna...Doston ke saath mil kar pure gaanw walon ke naak mein dum kar ke rakhna.

Jo dil mein aaye wo bejhijhak kehna bhale hi koi gusse mein nak fulaa le...Kisi ka koi parwaah nahi tha.

Bas jindagi apne tarike se jeeta tha...Koi rukawat nahi...Koi tension nahi.

Sumit:- Lekin abb to aap ko dekh kar aisa nahi lagta?

S. Dad:- Vakt vakt ki baat hai...Aur vakt ke anusaar khud ko badalna bhi padta hai...Abb budhaape mein bachpana karunga to accha lagega kya?

Sumit:- Aap hi to keh rahe thhe ki aap par kisi ka koi asar nahi hota tha...To fir ye badlaaw kyu?

S. Dad:- Thodi naa kisi ke kuch kehne par ye badlaaw aaya hai yaa fir log kya sochenge iss vajah se koi badlaaw aaya hai...Abb vakt ke saath aise jeene ka man kar raha hai to aise hi jee raha hun...Kabhi majaak to kabhi serious.

Chal abb tujhe apni kahani ki taraf le chalta hun.

Jaise ki tu bhi jaanta hai bachpan mera gaanw me hi gujra...Uss vakt ke hisaab se humara pariwar ek middle class tha...Naa hi kuch jyada aisho aaram aur naa hi jyada garibi...Kul mila kar sab kuch thik thaak tha.

Humaare Maa aur Pitaji ke hum do hi beta thhe...Iss liye parwarish mein bhi koi samasya nahi tha...Mai bade beta hone ki vajah se Papa ke thoda karib tha...Papa ka bhi accha khaasa ijjat aur maan samman tha gaanw mein...Papa ka karib tha aur Papa ki gaanw mein pahunch...Issi vajah se gaanw ke bahut log mujhe jaante thhe.

Bachpan mein to ye kisi celebrity wali feeling se kam nahi tha...Mai kisi ko nahi jaanta tha lekin sab mujhe jaante thhe. :D...Wo alag baat hai ki ye sab Papa ki vajah se mujhe jaante hai...Lekin bachpan mein inn baaton se kya fark padta hai...Apni taarif suno...Papa ki naam se koi bhi kaam kisi se bhi karwa lo.

Bachpan yaa fir jawani ki suruwat tak aise hi mauj masti mein bitaa.

Abb Papa ke bahut karib tha ye jitna accha tha mere liye utna hi bura bhi...Jab bhi Papa gussa hote mera khair nahi tha...Kitna pitayi hui hai ye gin bhi nahi sakta.

Pados ki gaanw mein hospital tha...Hospital hona waise to logo ke liye acchi baat hai...Lekin mere liye buri...Papa ko jab bhi pitayi karna hota befikar hokar maarte thhe...Agar ek do haddi toot bhi gaya to hospital kis din kaam aata? :(

Itna sunte hi Sumit jor jor se hasne lagta hai.

S. Dad:- Agar bachpan mein maine bhi tera aise hi pitayi karta to hasne ki himmat nahi karta tu?

Sumit ki Papa ki baat se to Sumit ko darna chahiye tha lekin unhone ye baat hanste hue kaha to Sumit aur bhi hasne laga.

Sumit:- Hasne dijiye Papa...Thoda bahut maar to aapse bhi khaya hai...Uss vakt sochta tha kaash aapko bhi koi peet kar mera badla le le...Lekin Dadaji ne to bahut pehle hi badla chuka diya tha...Thanks Dadaji.

S. Dad:- Bahut kamina hai...Apne hi Papa ko pitwaana chaahta tha?

Sumit iss baat par sirf hasta hai.

S. Dad:- Mai to aur bhi kamina tha...Uss vakt Papa par bahut gussa aata tha.

Sumit:- Abb?

S. Dad:- Abb kya bahut pehle hi realize ho gaya hai...Wo jo bhi karte thhe soch samajhkar hi karte thhe...Pyaar bhi bahut karte thhe...Jab bhi gussa shaant hota tha khud hi mithai khilaane le chalte thhe...Apne hi haatho se malham lagaate thhe.

Sumit:- Aur Chacha? Unki kitni pitaayi hoti thi?

S. Dad:- Bahut kam...Naa hi wo jyada maar khaata tha...Aur naa hi Papa ke utna karib tha...Bas Maa ka laadla tha.

Sumit:- Accha hi hai...Bach gaye.

S. Dad:- Accha to bilkul bhi nahi hai...Hamesha uske dil mein yahi sawaal hota tha ki aisa mujh mein kya tha ki Papa mere jyada karib thhe...Yaa fir gaanw wale bhi mujhe jyada bhaaw dete thhe.

Koshish to wo bhi karta tha...Lekin baat nahi ban paata tha...Ye bhi alag hi talent hai ki logo ko influence kaise karna hai? Ye ek talent shayad bachpan se hi mujh mein tha.

Bas yahi ek problem hai uss mein ki wo chaahta hai jyada se jyada log uske aas paas rahe...Uski taarif kare...Issi liye aaj bhi thoda bahut showoff karta rehta hai.

Aur mujhe nicha dikhane ka ek mauka bhi nahi chhodta...Jo aaj tak kar nahi paaya hai...Bachpan mein jab bhi wo mujhe nicha dikhaane ka sochta ulta usse hi aayina dikha deta tha...Iss baat ka naarajgi shayad abb bhi hai uss mein.

Jab thoda realize hua usse samjhaane ki koshish bhi kiya...Lekin wo iss baat ko dil mein le chuka tha...Iss mein mujhe mera bhi galti nahi lag raha tha to maine bhi ye koshish chhod diya.

Aaj jab sochta hun to ho sakta hai anjaane mein kabhi galti ho bhi sakta hai...Lekin dil mein har baat ko lena ye bhi sahi nahi hai.

Dil ka wo bura insaan nahi hai...Bas mujhse hamesha se naraaj hi raha hai...Aur logo ke attention ko hamesha sabse upar rakhta hai...Waise bhi mujhe inn baato se koi fark nahi padta ki log mere baare mein galat sochte hai ya nahi?

Bas usse shikayat hai to ek baat ki...Wo apne saath saath Aarav ko bhi ussi taraf le jaa raha hai...Ek do baar Aarav se bhi baat kiya tha lekin wo bhi samajhna nahi chaahta to chhod diya...Mujhe kya...Jaisa kaam karenge waisa hi fal milega.

Ye kya kuch jyada hi family matter mein ghus gaya.

Haan kaha tha...Bachpan mein.

Bachpan yaa fir jawaani ki hi baat karu aur dost naa ho aisa kaise ho sakta hai...Dosti bhi gajab ka tha aur hai...Jo dost pehle hua karte thhe wo aaj bhi hai...Bahut se dost aise hai jo kuch bhi karne ke liye taiyaar hai...Kuch dost aise bhi hai jo utna pasand nahi karte...Dosto ke bich jab bhi baat karta to kuch jyada hi bolne lag jaata...Ye baat kuch dosto ko pasand bhi nahi tha.

Ek wo bhi hai jo tera sasur bhi ban sakta tha...Lekin uska badkismati.

Sumit bhi iss baat par hansta hai aur fir.

Sumit:- Bachpan se jawaani tak aa gaye lekin ek baat abhi bhi nahi bataya aapne?

S. Dad:- Kya?

Sumit:- Aapki love story?

S. Dad:- Mera love story...Impossible.

Sumit:- Kyu?

S. Dad:- Wo kya kehte ho tum log...Haan sakht launda...Kuch aisa hi hua karta tha mai...Kisi ladki ke pyaar mein itna dum nahi tha ki mera dil chura sake...Aur mai kisi ladki ke piche jaau ye mai kisi bure sapne mein bhi nahi soch sakta tha.

Wo alag baat hai ki mai teri Maa ka crush tha...Aur hamaari shaadi ek arranged marriage tha.

Sumit:- Shaadi ke baad pyaar...Interesting concept.

S. Dad:- Ye to tere saath bhi hone wala hai...Haan shaadi ke baad thoda bahut pyaar to ho hi gaya...Pyaar aur responsibility...Shaadi ke baad hi acche se sikha hai. :D

S. Dad:- Bachpan ki baat aue ek bahut jaruri cheej bhul gaya bataane ke liye.

Sumit:- Kya?

S. Dad:- Padhaai.

Sumit:- Aap padhte bhi thhe?

S. Dad:- Wo to abhi bhi tujhse jyada padhta hun.

Sumit:- Uss time ki hi padhai ki kahani sunaiye?

S. Dad:- Padhai ki shuruwaat to hua tha Papa ki jidd ki vajah se...Bachpan mein hamesha bunk karta tha school aur dosto ke saath ghumne nikal jaata tha.

Lekin Papa ko ye baat bilkul bhi pasand nahi tha...Aur sabse jyada pitaayi issi baat ko le kar hota tha...Papa ke time mein bahut kam log padhai likhai karte thhe aur jo bhi padhe likhe hote thhe unka izzat bhi hota tha.

Papa kisi kaaran se padhai nahi kar paaye thhe aur mujhe aur tere chacha ko kisi bhi haal mein padhaana chaahte thhe.

Suruwaat mein to padhai shabd se saaf nafrat tha...Bas Papa ki dar se school chala jaata tha.

Lekin ek din achanak se badlaaw aa gaya.

Mujhe typhoid ho gaya tha aur ussi pados ki gaanw ki hospital mein admit kiya gaya...Doctor ne bahut acche se ilaaj kiya...Jab hospital mein tha to bahut se patient uss doctor ko dikhaane aate...Unka bahut izzat tha...Har koi unka dil se izzat karte thhe...Aisa lagta tha koi samanya insaan to bilkul bhi nahi hai.

Logo ko maut se bachana aashaan kaam to bilkul bhi nahi hai...Aur unka mehnat, unka gyaan dekh kar mai kaafi prabhawit tha unse.

Bas aise hi ek baar unse puch liya.

S. Dad:- Doctor sahab...Mujhe bhi doctor banna hai.

Wo muskuraaye aur.

Doctor:- Iske liye to tumhe bahut padhaai karni padegi.

S. Dad:- Kya bina padhaiye kiye doctor nahi ban sakta?

Doctor:- (With Smile) Ban sakte ho...Jis din suraj subah paschim ki aur se ugna suru hoga.

Ye kaafi tha mujhe samajhne ke liye...Thaan liya abb to padhna hi hai...Doctor banna hi hai kisi tarah.

Majaak masti to karta hi tha lekin saath mein padhai bhi...Doctor se bich bich mein puchhta rehta tha ki kaise padhna chahiye...Doctori ke liye kya padhna chahiye...Vagera vagera...Wo bhi acche se samjhaate thhe.

10th tak aane ke baad padhaai mein kaafi accha ho gaya tha...Science aur Maths...Jaha baaki ki vidyaarthi inn visay se dur bhaagte thhe mujhe yahi padhne me majaa aata tha.

10th ka exam accha gaya...11th mein paas ki hi chhoti sehar mein jaane laga.

11 aur 12 bhi acche se padh kar acche marks ke saath pass ho gaya.

Lekin jab pehli baar Medical College mein entrance dene gaya to questions dekh kar sir chakra gaya...Padha kuch tha aur questions kuch aur hi tarah ka?

Bahut mushkil se pass ho paaya...Admission mil sakta tha lekin scholarship nahi...Middle class hone ki vajah se itna paisa de paana bhi possible nahi tha.

Khair, isme apna aarthik haisiyat ko dosh nahi de sakta tha...Agar sach mein kaabil hota to scholarship milna chahiye tha.

Ek aur koshish kiya...Marks thoda accha aaya...Lekin natija wohi...Scholarship nahi mila.

Ek aur baar koshish kiya...Coaching bhi liya...Lekin wohi natija...Thoda aur accha marks lekin scholarship nahi.

Bahut bura lag raha tha...Mehnat itna kiya tha lekin iss mehnat ka fal nahi mil raha tha.

Ghar mein Papa aur Maa dono hi support kar rahe thhe abhi bhi...Kisi tarah mujhe iss jung ko jeet te hue dekhna chaahte thhe.

Ek aur koshish kiya...Marks bahut accha aaya...Lekin scholarship fir nahi mila.

Abb sach mein toot chuka tha...Pehli baar khud ko haara hua mehsus kiya...Abb aur dum nahi tha.

Abb to jaise science se hi nafrat ho gaya tha...Maths le kar Bachelor mein admission karwa liya...Papa bhi naraaj thhe...Lekin baad mein maan gaye.

Itna keh kar wo Sumit ko dekhne lage...Sumit bhi chup tha.

S. Dad:- Bas yahi kahani sunana tha...Ek kahani haar ki.

Sumit abhi bhi kuch bol nahi paa raha tha.

S. Dad:- Yahi wo haar tha...Jisne mujhe puri tarah se tod diya tha...2-4 din cigarette aur daaru ki nasha mein khud ko duba diya tha.

Yahi wo kahani hai jo tu baar baar puch raha tha tere chacha ne jab ye baat uthaya tha.

Har nasha ke kahani ke piche pyaar nahi hota hai...Kuch toote sapne bhi hote hai.

Sumit:- Sorry Papa...Mera uss jidd ne aapke bhare hue jakhm ko taaja kar diya.

S. Dad:- Maine khud taaja kiya hai...Aaj nahi bahut saal pehle...Aur apne kamjori se darna nahi usse ladna chahiye...Ye baat bahut pehle hi samajh aa gaya tha bhale hi deri se aamajh mein aaya...Issi liye to tujhe doctor banne par jor de raha tha.

Mere Papa padhe likhe nahi thhe issi liye mujhe padhana chaahte thhe...Mai doctor nahi ban paaya issi liye tujhe doctor ke roop mein dekhna chaahta tha.

Sumit bas dhyan se unki baat sun raha tha.

S. Dad:- Lekin jor Jabardasti bhi nahi kar sakta tha...Issi liye tujhe jo bhi padhne ka man tha wohi padhne dena chaahta tha...Lekin tu tha ki koi bhi subject apne man se padhna nahi chaahta tha...Bas yahi baat mujhe pasand nahi tha.

Sumit:- Sach kahu to uss vakt tak mujhe mere jindagi ka lakshya nahi mil paaya tha.

Kirti ne mere saath accha kiya ya galat ye to nahi pata...Lekin uski piche piche maine bhi MBBS select kiya ye sahi tha.

Aapka adhura sapna bhi pura kar paaunga...Aur ek accha Surgeon banne ka mera makshad bhi.

Sumit ki Papa iss baat par kuch nahi bole.

Sumit:- Aur aapka wo nasha kaise chhuta...Ek baar ye aadat lag jaati hai to aasani se chhut ti nahi hai.

S. Dad:- Papa...Jab unhe pata chala to wo kaafi gusse mein thhe...Unke saamne jaate hi haath paau ful gaue thhe mere...Lekin hairaani ki baat tot ye tha ki unhone bahut pyaar se samjhaya mujhe...Shayad unka pyaar hi tha jo mujhe uss vakt jarurat tha.

Papa aur Maa ke saath kuch dost bhi thhe jinhone uss vakt mujhe sambhala...Warna sapna tootne ka dard...Har koi sambhal nahi sakta.

Jo mere saath hua tha wohi tere saath hua hai...Uss vakt mere Papa thhe mujhe sambhaalne ke liye...Aaj mai hun.

Ye kahani itne dino se iss liye nahi bata raha tha kyu ki aaj mujhe sahi vakt lag raha hai...Kal tak ek ummeed bhi tha ki Kirti tujhe mil sakti hai aur iss kahani ki jarurat nahi...Lekin aaj jo bhi hua uss vakah se ye bataana bahut jaruri hai.

Beta bas yahi kahunga...Aise dard jo hote hai andar se tod ke rakh dete hai...Khud se hi haar jaana, dur dur tak koi ummeed na dikhna...Ye mere saath bhi hua tha...Aaj tere saath bhi ho raha hai...Bahut himmat hai tujh mein jo ye seh raha hai.

Abhi kuch din aur sehan kar le...Dekhna raashta khud mil jaayega...Jaldbaazi mein koi galat faisla naa lena jo maine liya tha.

Sumit:- Kya galat faisla?

S. Dad:- Maine ek hi medical college ko sab kuch maan liya tha...Usmein scholarship na milne ki vajah se maine jaldbaazi mein course change kar liya.

Agar thoda aur research karta to bahut dur dusra college mein utne marks mein scholarahip mil jaata...Utna reputed college nahi tha iss vajah se mere dhyan mein bhi nahi aaya lekin MBBS to kar hi sakta tha na.

Bas yahi kahunga Kirti hi sab kuch nahi hai...Thoda din aur bardaast kar le...Fir tujhe bhi realize hoga.

Har gham ka koi na koi ilaaj hota hai...Mere gham ka ilaaj vakt tha...Tera bhi wohi hai.

Graduation karne ke baad mera shaadi bhi ho gaya...Suru suru mein teri Maa ko jyada vakt nahi deta tha...Lekin pyaar hi tha shayad wo jo mujhe iss baat mein uska shikayat bhi nahi dikha.

Dhire dhire uski pyaar bhi accha lagne laga...Aur uske saath apna wo gham bhi bhulne laga aur jindagi mein waapas pehle ki tarah lautne laga.

Dhire dhire maths bhi accha hi lagne laga...Koi bhi visay ho gyaan to deta hi hai...Kuch naya padhne ka likhne ka shaukh to hamesha hi tha...Maths mein bhi apni tarah se tod marod kar samajhne laga aur apna hi concepts banane laga...Dhire dhire sab accha lagne laga.

Aur jab tu paida hua to socha tera parwarish aur padhai mein koi kami nahi aane dunga...Mera medical mein selsection naa hone ka ek vajah aaj ye bhi lagta hai ki mera English thoda kamjor tha.

Bas issi vajah se tujhe jaldi hi sehar le aaya padhaane ke liye taaki tera padhai mein koi rukawat na aa paaye...Bas tum dono ki padhai khatm hone ke baad waapas se gaanw mein hi bas jaane ka man hai.

Aaj sochta hun Medical to gujara hua sapna hai agar aage badha to bahut kuch sikh paaunga jindagi se aur kitaab se bhi...Bhale hi maine medical mein admission nahi liya lekin aaj bhi kayi saari cheej medical related padhta rehta hun accha bhi lagta hai.

Bas koi bhi cheej ho kisi bhi field ka...Interesting lage to sikhne ki har koshish karta hun.

Issi liye hamesha kehta aaya hun sabse bada shikshak khud jindagi hi hai.

Tu bhi realize karega Kirti ke jaane ke baad...Kya galti hua hai tujhse aur aage ki jindagi kaise jeena hai...Ek Kirti gayi hai koi aayegi baad mein jo sach mein tujhse pyaar karegi aur jindagi bhar saath chalegi.

Sumit:- Samajh raha hu Papa...Shayad aap sahi keh rahe hai...Bas thoda vakt chahiye...Aap bhi to keh rahe hai thoda vakt ke baad sambhal jaaunga.
 
Akki ❸❸❸

ᴾʀᴏᴜᴅ ᵀᴏ ᴮᴇ ᴴᴀʀʏᴀɴᴠɪ
26,727
30,992
304

Bhut hi bdiya champ bhai :love:
Papa ko jab bhi pitayi karna hota befikar hokar maarte thhe...Agar ek do haddi toot bhi gaya to hospital kis din kaam aata?
:lotpot:
S. Dad:- Wo kya kehte ho tum log...Haan sakht launda..
:bigboss1:
..Ek Kirti gayi hai koi aayegi baad mein jo sach mein tujhse pyaar karegi aur jindagi bhar saath chalegi
Ayegi kya

Aa gyi h Megha :love2:

Waiting for next update :elephant:
 
  • Love
Reactions: Champ_AK_81

Akki ❸❸❸

ᴾʀᴏᴜᴅ ᵀᴏ ᴮᴇ ᴴᴀʀʏᴀɴᴠɪ
26,727
30,992
304
:congrats: champ bhai for 2 lac + views
:hukka:
:vhappy1:
 
  • Love
Reactions: Champ_AK_81

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,139
189
Behtareen kahani hai,
Sabse badi baat, her gam ki wajah ladki nahi Hoti. Lagta hai ab Megha Naam ki bhul Ko sudharne/sweekarane ka waqt aa gaya hai.
Thanks for yous support and review Chintu bhai...Keep supporting.
 
  • Like
Reactions: Akki ❸❸❸

11 ster fan

Lazy villain
2,961
7,004
143
Aapki story bahut hi behatarin ja rahi hai bahut hi badiya update tha isme sumit ne jindgi ke anubhavo ko suna par Kya amal me la payega Kya kirti usse wapas mil payegi
 
Top