• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Ek Bhool 2 (Completed)

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,139
189
UPDATE 81



3 Years Later

Location:- Sumit's House


Ek ladki do ghante se wait kar rahi thi...Najar Sumit ke ghar par lage bada talaa par tha.

Intejaar kar rahi thi ki kab koi ghar mein aayega aur taala kholega.

Jab dheere dheere ummeed kam hone lagi to utth kar aas pados ke log se puchne ka sochne lagi.

Sumit ka ghar seher ke bheed bhaad wala ilaaka se thoda dur ek sunsaan jagah mein tha to aas paas jyada ghar bhi nahi tha.

Sumit ke paas ka hi ghar bhi band tha...Abb dusre ghar pahunchne ke liye aage 100 meter aur chalna tha usse.

Uss ghar mein pahunchne par pata chala ki Sumit naam ka koi shakhs waha rehta hi nahi...Aas paas ke ghar mein puchtaach karne ke baad bhi Sumit ka koi pata nahi chala...Jyada tar logo ke jawaab tha wo abhi yaha shift hue hai. To kuch logo ne Sumit ko pehchanne se hi mana kar diya.

Thak haar kar thodi dur chalne ke baad ek ped (tree) ke niche rakhe ek bench par ek 35 saal ke aas paas ke aadmi ko baithe dekhti hai.


Ladki:- Bhaiya...Kya aap Sumit ko jaanti hai?

Sumit ke naam sunte hi wo aadmi uss ladki ko ghurne lagta hai.

Aankh se wo kaafi nashe mein lag raha tha.

Aadmi:- Tum kaun ho?

Ladki:- Jee mai Kirti.

Aadmi:- Kya kaam hai tumhe usse?

Uss aadmi ki munh se daaru ki badbu saaf aa raha tha aur baaton se saaf nashe mein dikh raha tha.

Kirti:- Hai kuch jaruri kaam...Bataiye na aap wo kaha hai abhi?

Aadmi:- Kitna jaanti ho tum Sumit ko?

Kirti:- Accha khaasa jaan pehchaan hai.

Aadmi:- Galat.

Kirti:- Kya matlab?

Aadmi:- Agar itna hi achha jaan pehchaan hota to tumhe bhi pata hona chahiye tha abb wo iss duniya mein nahi hai.

Kirti:- K...Kya?

Kirti se kuch bola hi nahi jaa raha tha.

Wo aadmi bhi kuch nahi bola...Aisa lag raha tha wo bhi uss haadsha ko yaad kar ke dukhi tha.

Kirti:- Lekin kaise?

Dard bhari aawaj mein bas itna hi bol paayi Kirti.

Aadmi:- Bahut karj mein dooba tha...Aur upar se nasha ka aadat...Har tarf se taane, logo ka majaak udaana aur har kadam mein haar...Usse bardaast nahi hua...Nashe mein khud ko puri tarah se duba diya.

Itna ki ek din kuch jyada hi pee liya aur nashe ki haalaath mein ek gaadi ne saamne se udaa diya.

Kirti ko abhi bhi uski baaton mein vishwash nahi ho raha tha.

Kirti:- Lekin wo to daaru chhod chuka tha.

Aadmi:- Sab kehne ki baat hai...Aur jo log daaru chhodne ki dawa karte hai wo bhi chhup chhup kar peete hai...Nasha hi kuch khaas hai daaru ka....Jo kam hone ki jagah badhta hi jaata hai.


Abb Kirti se aur raha nahi gaya...Dil ka dard aankhon se aansu ke roop mein behne lage.

Kirti:- (In her mind) I am sorry Sumit...Kuch jyada hi der kar di maine...Tumhare maut ka jimmedaar shayad mai hi hun.

Na jaane aatmaglaani mein Kirti kitne ghanto tak wohi roti rahi...Baar baar usse Sumit ke saath bitaaye kuch yaadgaar pal ki yaadein aa raha tha...Jisse yaad karke wo aur bhi roti jaa rahi thi.

Kirti:- (In her mind) Mai khud ko kabhi maaf nahi kar paaungi.


Tabhi ek aur aadmi waha aata hai.

Abe bewde jyada mat pee...Warna tu bhi tere hi dost ki tarah tapak jaayega.

Ye sunte hi Kirti ka dard gusse mein badal gaya.

Aansu ponchte hue.

Kirti:- Aap maut ko kitne halke mein le rahe hai...Aur baat aise kar rahe hai jaise kisi ka marna bhi majaak hai aapke liye.

Wo aadmi pehle Kirti ko dekhta hai...Aankho mein aansu aur saath mein gussa...Wo samajh jaata hai ki jarur koi pareshaani mein hogi.

Aadmi:- Maut majaak nahi hai...Lekin aise logo ko dekhta hun to sach mein gussa aata hai.

Kuch kaam to karte nahi hai...Haath pair hai lekin fir bhi apahij hi bane rahenge...Jimmedaari sambhalne ki jagah nashe mein lage rehte hai.

Saale ghar ke aur duniya ke bojh.

Ek tha iska dost Sumit...Nashe karne ke liye karj itna le liya ki aaj bhi uska pariwar bhugat raha hai...Aur abb unko aur bhi pareshan karne ke liye iss duniya se bhi chala gaya.

Nafrat hai aisi bewdo se aur inn dharti ki bojh se.

Kirti:- Aap to aise baat kar rahe hai jaise kabhi aapne daaru ko haath tak lagaya nahi hai.

Jo Kirti Sumit ko kabhi samajhna hi nahi chaahti thi...Aaj Sumit ki galti mein bhi usse sahi najar aa raha tha...Lekin afsos.

Aadmi:- Nahi kabhi nahi lagaya haath...Daaru peene wale sabhi ko galat nahi keh raha...Lekin bewdo ko to kabhi sahi nahi kahunga.

Murkh hi honge ye log maansik roop se jo maut ko khud daawat dete hai.

Kirti:- Aap nahi samajh paayenge...Ek doctor itna bhi murkh nahi hota ki usse daaru ki nukshan pata na ho....Sach mein nasha karne ki vajah tha Sumit ke paas.

Kirti:- (In her mind) Aur wo vajah mai hun.

Dukhi man se Kirti boli.

Abb usse aur raha nahi jaa raha tha...Aur naa hi kuch samajh mein aa raha rha ki kya kare...Dil ka dard abb aur saha nahi jaa raha tha usse...Bas wo waha se bina manjil ki parwah kiye aage badh rahi thi.

Aadmi:- Doctor? Kaun?

Kirti:- Sumit.

Aadmi:- Wo bewda kab se doctor ban gaya? Maa Baap ke paiso ko nadhe mein udaane ke alawa usse aata hi kya tha?

Jarur aapko koi galatfehmi hui hogi.

Kirti bas apne jagah par ruk jaati hai...Uss aadmi ki baat se kai tarah ke sawal uski dimaag mein ghum rahe thhe.

Aadmi:- Doctor....Sumit.

Wo aadmi khud se ye baat badbada raha tha ki tabhi usse kuch yaad aata hai.

Aadmi:- Aap kis ki baare mein baat kar rahi hai?

Kirti:- Sumit

Aadmi:- Aur wo Doctor hai.

Kirti:- Haan.

Aadmi:- To fir aap iss bewde se kyu baat kar rahi hai...Iska dost Sumit koi aur hai...Koi Doctor Woctor nahi hai wo.

Abb confusion mein Kirti ka sir fatne hi wala tha...Kuch samajh mein nahi aa raha tha usse.

Aadmi:- Ek Dr. Sumit ke baare mein mai jaanta hun...Aap uss Sumit ke baare mein bataiye jisko dhund rahi hai.

Kirti kisi tarah Sumit ka detail bata deti hai.

Aadmi:- Mai bhi wohi Dr. Sumit ki baat kar raha hun.

Kirti:- Wo thik to hai na.

Aadmi:- Sirf wo hi nahi...Unke paas aane wale patients bhi thik ho kar jaate hai.

Abb Kirti ki hontho mein muskaan aaya...Sumit ka sahi salamaat hone ki baat sun kar.

Kirti:- Kya aap bata sakte hai? Kaha rehte hai wo?

Kirti se abb aur intejaar nahi ho raha tha.

Aadmi:- Exact location to pata nahi....Par wo kis hospital mein kaam karte hai wo bata sakta hun.

Fir wo Aadmi Kirti ko hospital ka naam bata deta hai.

Aadmi:- Bahut accha doctor hai...Mera kidney mein stone tha...Kuch jagah dikhane par surgery karane ko keh rahe thhe.

Aur Dr. Sumit ke paas gaya to unhone kaha ki stone ka size thoda bada hai...Dawai se bhi nikala jaa sakta hai...Agar nahi hua to surgery hi karana padega.

Lekin dawaai kaam kar gayi aur dawaai se hi patthar nikal gaya...Aur abb dard bhi nahi hota.

Bahut acche doctor hai wo...Bahut aasani se ilaaj kar diya...Kam paise mein hi.

Koi problem ho to unko hi dikhana...Acche se aapki baat sunenge aur waise hi ilaaj kar denge.

Aaj Sumit ki taarif sunne mein Kirti ko bahut accha lag raha tha.

Fir uss aadmi ko shukriya keh kar Kirti hospital ke liye nikal jaati hai.

Kirti:- Dr. Sumit andar hai?

OT room ke baahar ek doctor ko Kirti ne pucha.

Doctor:- Nahi aaj uska OPD Day hai.

Fir der kis baat ki...Teji se Kirti OPD mein pahuch gayi wo bhi bina ticket ki.

Aur jaise hi andar gayi saamne chair mein baithe shakhs ko dekh kar uske liye to jaise vakt hi ruk gaya.

Thoda lambe baal, trimmed beard mein aaj Sumit bahut hi accha dukh raha tha.

Kirti ki najar Sumit se hat hi nahi raha thi.

Jab Sumit ek patient se free hua to saamne uska bhi najar Kirti par pada.

Ek pal ke liye to usse bhi vishwas nahi hua.

Aur jab hua to usne dono hi aankhein band kar li...Hontho mein muskaan ke saath haatho ka mutthi bana kar khud se hi kaha..."Yes" :yes2:

Sumit ka chehra se hi pata chal raha tha uski khushi ka koi thikana nahi tha.

Issi pal ke liye hi to usne itna intejaar kiya tha...Na jaane kitni raatein gham mein bitaa tha aur kitni ummeed bhari sapno mein.

Khair aaj wo din aa hi gaya...Abb wo bhi dhire dhire Kirti ki aur badhne laga.
 
Last edited:

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,139
189
2050 tk complete to ho jayegi na story ???
1 month m 1 update aata h
Esse achha h story closed kr do
Abb iska jawaab mein kya du? Khud hi pata kar lena 2050 mein story complete hua ya nahi...Agar sahi salaamat rahe to ...Aapka memory aur common sense dekh kar to lagta nahi...Jo 1-2 weeks ko 1 month bata rahe hai. :bow::bow:
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,139
189
Bhai bat vo nhi h ab tk to story ko complete ho jana chahiye bt huyi nhi
Story ke 1st post mein hi likha hai bhai ki Update weekly hi post kar sakta hun...Pehle thoda time tha to 3 din mein deta tha...Abb bilkul bhi time nahi mil paata hai...Issi liye weekly hi update post karna pad raha hai...Kabhi to man karta hai story close kar ke forum mein hi aana chhod du itna frustration hota hai...Lekin vaada kiya hai story complete karunga to karunga kisi haal mein...Bas kuch updates aur hai...Update kab aayega iss baat ka mai abhi kuch nahi keh sakta aur naa hi 1 week se pehle post karne ki vaada kar sakta hun.
 

11 ster fan

Lazy villain
2,961
7,004
143
UPDATE 80



3 Years Later

Location:- Sumit's House

Ek ladki do ghante se wait kar rahi thi...Najar Sumit ke ghar par lage bada talaa par tha.

Intejaar kar rahi thi ki kab koi ghar mein aayega aur taala kholega.

Jab dheere dheere ummeed kam hone lagi to utth kar aas pados ke log se puchne ka sochne lagi.

Sumit ka ghar seher ke bheed bhaad wala ilaaka se thoda dur ek sunsaan jagah mein tha to aas paas jyada ghar bhi nahi tha.

Sumit ke paas ka hi ghar bhi band tha...Abb dusre ghar pahunchne ke liye aage 100 meter aur chalna tha usse.

Uss ghar mein pahunchne par pata chala ki Sumit naam ka koi shakhs waha rehta hi nahi...Aas paas ke ghar mein puchtaach karne ke baad bhi Sumit ka koi pata nahi chala...Jyada tar logo ke jawaab tha wo abhi yaha shift hue hai. To kuch logo ne Sumit ko pehchanne se hi mana kar diya.

Thak haar kar thodi dur chalne ke baad ek ped (tree) ke niche rakhe ek bench par ek 35 saal ke aas paas ke aadmi ko baithe dekhti hai.


Ladki:- Bhaiya...Kya aap Sumit ko jaanti hai?

Sumit ke naam sunte hi wo aadmi uss ladki ko ghurne lagta hai.

Aankh se wo kaafi nashe mein lag raha tha.

Aadmi:- Tum kaun ho?

Ladki:- Jee mai Kirti.

Aadmi:- Kya kaam hai tumhe usse?

Uss aadmi ki munh se daaru ki badbu saaf aa raha tha aur baaton se saaf nashe mein dikh raha tha.

Kirti:- Hai kuch jaruri kaam...Bataiye na aap wo kaha hai abhi?

Aadmi:- Kitna jaanti ho tum Sumit ko?

Kirti:- Accha khaasa jaan pehchaan hai.

Aadmi:- Galat.

Kirti:- Kya matlab?

Aadmi:- Agar itna hi achha jaan pehchaan hota to tumhe bhi pata hona chahiye tha abb wo iss duniya mein nahi hai.

Kirti:- K...Kya?

Kirti se kuch bola hi nahi jaa raha tha.

Wo aadmi bhi kuch nahi bola...Aisa lag raha tha wo bhi uss haadsha ko yaad kar ke dukhi tha.

Kirti:- Lekin kaise?

Dard bhari aawaj mein bas itna hi bol paayi Kirti.

Aadmi:- Bahut karj mein dooba tha...Aur upar se nasha ka aadat...Har tarf se taane, logo ka majaak udaana aur har kadam mein haar...Usse bardaast nahi hua...Nashe mein khud ko puri tarah se duba diya.

Itna ki ek din kuch jyada hi pee liya aur nashe ki haalaath mein ek gaadi ne saamne se udaa diya.

Kirti ko abhi bhi uski baaton mein vishwash nahi ho raha tha.

Kirti:- Lekin wo to daaru chhod chuka tha.

Aadmi:- Sab kehne ki baat hai...Aur jo log daaru chhodne ki dawa karte hai wo bhi chhup chhup kar peete hai...Nasha hi kuch khaas hai daaru ka....Jo kam hone ki jagah badhta hi jaata hai.


Abb Kirti se aur raha nahi gaya...Dil ka dard aankhon se aansu ke roop mein behne lage.

Kirti:- (In her mind) I am sorry Sumit...Kuch jyada hi der kar di maine...Tumhare maut ka jimmedaar shayad mai hi hun.

Na jaane aatmaglaani mein Kirti kitne ghanto tak wohi roti rahi...Baar baar usse Sumit ke saath bitaaye kuch yaadgaar pal ki yaadein aa raha tha...Jisse yaad karke wo aur bhi roti jaa rahi thi.

Kirti:- (In her mind) Mai khud ko kabhi maaf nahi kar paaungi.


Tabhi ek aur aadmi waha aata hai.

Abe bewde jyada mat pee...Warna tu bhi tere hi dost ki tarah tapak jaayega.

Ye sunte hi Kirti ka dard gusse mein badal gaya.

Aansu ponchte hue.

Kirti:- Aap maut ko kitne halke mein le rahe hai...Aur baat aise kar rahe hai jaise kisi ka marna bhi majaak hai aapke liye.

Wo aadmi pehle Kirti ko dekhta hai...Aankho mein aansu aur saath mein gussa...Wo samajh jaata hai ki jarur koi pareshaani mein hogi.

Aadmi:- Maut majaak nahi hai...Lekin aise logo ko dekhta hun to sach mein gussa aata hai.

Kuch kaam to karte nahi hai...Haath pair hai lekin fir bhi apahij hi bane rahenge...Jimmedaari sambhalne ki jagah nashe mein lage rehte hai.

Saale ghar ke aur duniya ke bojh.

Ek tha iska dost Sumit...Nashe karne ke liye karj itna le liya ki aaj bhi uska pariwar bhugat raha hai...Aur abb unko aur bhi pareshan karne ke liye iss duniya se bhi chala gaya.

Nafrat hai aisi bewdo se aur inn dharti ki bojh se.

Kirti:- Aap to aise baat kar rahe hai jaise kabhi aapne daaru ko haath tak lagaya nahi hai.

Jo Kirti Sumit ko kabhi samajhna hi nahi chaahti thi...Aaj Sumit ki galti mein bhi usse sahi najar aa raha tha...Lekin afsos.

Aadmi:- Nahi kabhi nahi lagaya haath...Daaru peene wale sabhi ko galat nahi keh raha...Lekin bewdo ko to kabhi sahi nahi kahunga.

Murkh hi honge ye log maansik roop se jo maut ko khud daawat dete hai.

Kirti:- Aap nahi samajh paayenge...Ek doctor itna bhi murkh nahi hota ki usse daaru ki nukshan pata na ho....Sach mein nasha karne ki vajah tha Sumit ke paas.

Kirti:- (In her mind) Aur wo vajah mai hun.

Dukhi man se Kirti boli.

Abb usse aur raha nahi jaa raha tha...Aur naa hi kuch samajh mein aa raha rha ki kya kare...Dil ka dard abb aur saha nahi jaa raha tha usse...Bas wo waha se bina manjil ki parwah kiye aage badh rahi thi.

Aadmi:- Doctor? Kaun?

Kirti:- Sumit.

Aadmi:- Wo bewda kab se doctor ban gaya? Maa Baap ke paiso ko nadhe mein udaane ke alawa usse aata hi kya tha?

Jarur aapko koi galatfehmi hui hogi.

Kirti bas apne jagah par ruk jaati hai...Uss aadmi ki baat se kai tarah ke sawal uski dimaag mein ghum rahe thhe.

Aadmi:- Doctor....Sumit.

Wo aadmi khud se ye baat badbada raha tha ki tabhi usse kuch yaad aata hai.

Aadmi:- Aap kis ki baare mein baat kar rahi hai?

Kirti:- Sumit

Aadmi:- Aur wo Doctor hai.

Kirti:- Haan.

Aadmi:- To fir aap iss bewde se kyu baat kar rahi hai...Iska dost Sumit koi aur hai...Koi Doctor Woctor nahi hai wo.

Abb confusion mein Kirti ka sir fatne hi wala tha...Kuch samajh mein nahi aa raha tha usse.

Aadmi:- Ek Dr. Sumit ke baare mein mai jaanta hun...Aap uss Sumit ke baare mein bataiye jisko dhund rahi hai.

Kirti kisi tarah Sumit ka detail bata deti hai.

Aadmi:- Mai bhi wohi Dr. Sumit ki baat kar raha hun.

Kirti:- Wo thik to hai na.

Aadmi:- Sirf wo hi nahi...Unke paas aane wale patients bhi thik ho kar jaate hai.

Abb Kirti ki hontho mein muskaan aaya...Sumit ka sahi salamaat hone ki baat sun kar.

Kirti:- Kya aap bata sakte hai? Kaha rehte hai wo?

Kirti se abb aur intejaar nahi ho raha tha.

Aadmi:- Exact location to pata nahi....Par wo kis hospital mein kaam karte hai wo bata sakta hun.

Fir wo Aadmi Kirti ko hospital ka naam bata deta hai.

Aadmi:- Bahut accha doctor hai...Mera kidney mein stone tha...Kuch jagah dikhane par surgery karane ko keh rahe thhe.

Aur Dr. Sumit ke paas gaya to unhone kaha ki stone ka size thoda bada hai...Dawai se bhi nikala jaa sakta hai...Agar nahi hua to surgery hi karana padega.

Lekin dawaai kaam kar gayi aur dawaai se hi patthar nikal gaya...Aur abb dard bhi nahi hota.

Bahut acche doctor hai wo...Bahut aasani se ilaaj kar diya...Kam paise mein hi.

Koi problem ho to unko hi dikhana...Acche se aapki baat sunenge aur waise hi ilaaj kar denge.

Aaj Sumit ki taarif sunne mein Kirti ko bahut accha lag raha tha.

Fir uss aadmi ko shukriya keh kar Kirti hospital ke liye nikal jaati hai.

Kirti:- Dr. Sumit andar hai?

OT room ke baahar ek doctor ko Kirti ne pucha.

Doctor:- Nahi aaj uska OPD Day hai.

Fir der kis baat ki...Teji se Kirti OPD mein pahuch gayi wo bhi bina ticket ki.

Aur jaise hi andar gayi saamne chair mein baithe shakhs ko dekh kar uske liye to jaise vakt hi ruk gaya.

Thoda lambe baal, trimmed beard mein aaj Sumit bahut hi accha dukh raha tha.

Kirti ki najar Sumit se hat hi nahi raha thi.

Jab Sumit ek patient se free hua to saamne uska bhi najar Kirti par pada.

Ek pal ke liye to usse bhi vishwas nahi hua.

Aur jab hua to usne dono hi aankhein band kar li...Hontho mein muskaan ke saath haatho ka mutthi bana kar khud se hi kaha..."Yes" :yes2:

Sumit ka chehra se hi pata chal raha tha uski khushi ka koi thikana nahi tha.

Issi pal ke liye hi to usne itna intejaar kiya tha...Na jaane kitni raatein gham mein bitaa tha aur kitni ummeed bhari sapno mein.

Khair aaj wo din aa hi gaya...Abb wo bhi dhire dhire Kirti ki aur badhne laga.
Yaar ye kya bakchodi hai phir se suspence ab usssi suspence me maro 10 din had hai yaar...
 
Top