• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Ek Bhool 2 (Completed)

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,139
189
UPDATE 86

Abb bahut hua...Abb chalo yaha se.

Sanjana ki aawaj mein thoda irritation tha.

Sumit:- Itni bhi kya jaldi hai?

Sanjana:- Lunch time ho chuka hai...Aur bhookh bhi bahut lagi hai.

Sumit:- Bhookh to mujhe bhi laga hai.

Sanjana:- Chalo fir canteen.

Sumit:- Wo wala bhookh nahi...Doctori ki bhookh. :D

Sajnana gusse mein Sumit ko ghurti hai aur Sumit hansne lagta hai.

Sanjana:- Tum samajh ke baahar ho...Important classes bunk kar dete ho...Wo bhi HOD (Head of Department) ke...Jaante ho wo kitna laal peela ho kar gaye thhe...3 mein se 3 classes bunk.

Aur abb lunch time mein bhi OPD mein overtime kar rahe ho...Sab jaa rahe hai...Bas hum dono hi baaki hai.

Sumit:- Aaj agar OT hota to tumhe overtime ke jagah kisi dusra shabd ka istemaal karna padta.

Sanjana:- 3 saal tak to yahi OT aur OPD ke chakkar hi to lagaane hai...Beemari bhi wohi honge...Signs and Symptoms bhi wohi...Aur surgical procedure bhi wohi...Aaj hi sab kuch sikh loge?

Sumit:- Beemari bhale hi wohi ho...Lekin wohi ek beemari ko 10 marij alag alag tarah se explain karenge...Thoda bhi chuk ho gaya to alag disease dianose ho jaayega.

Tumhe to pata hi hai...1 disease ka 10 symptoms bhi ho sakta hai...Aur 10 diseases mein 1 common symptoma bhi hota hai.

Aur isse bachna hai to yahi sahi mauka hai...Real setting mein patient ko dekho...Kya symptoms le kar present karte hai? Jitna jyada case dekhenge utna experience hoga aur utna hi confident...Wo kya kehte hai Practice makes man perfect.

Sanjana ne koi jawaab nahi diya.

Sumit:- Accha achha naaraj mat ho...Sirf man nahi women bhi...Modify kar deta hun...Practice makes human perfect. :D:D

Sanjana:- Irritate mat karo.

Sumit:- Accha chalo.

Abb jaa kar Sanjana ka irritation thoda kam hua.

Sanjana:- 3 saal hai residency ke liye...Itne vakt mein bahut cases dekhne ko milega.

Sumit:- Lekin itna freedom nahi milega.

Sanjana:- Kaisa freedom?

Sumit:- Abhi cases ko le kar kuch samajh nahi aaya to seniors hai, specialists hai...Galti ho bhi gaya to sambhaalne ke liye bhi bahut hai...Agar kuch ulta sidha bhi ho gaya to jimmedaari lene ke liye bhi sabhi seniors hai.

Aur aaj seniors aur Doctors bhi jyada nahi hai to patient counselling ka mauka mil raha hai...Iss liye iss mauka ko gawaana nahi chaahta.

Sumit ne bas itna hi kaha tha ki...Saamne se aate sakhs ko dekh kar yakin nahi hua.

Sumit:- Tum apna chasma do?

Sanjana:- Kyu?

Sumit chasma pehn ne ke baad utaar deta hai.

Sumit:- Bas issi ka kami tha.

Shaks:- Doctor Sahab pranam.

Sumit fir chair par baith jaata hai.

Sumit:- (To Sanjana) Pakka ye last wala case hai. :D

Sanjana kuch nahi kehti.

Sumit:- Haan to bataiye kya kasht hai aapko jo itne din baad aapka darshan hua.

Sakhs:- Mujhe Acute Appendicitis hua hai...Issi ka report banwane aaya tha.

Sumit:- Accha acute appendicitis...Aur tujhe aisa kyu lagta hai?

Aap se side tu...Ye sun kar Sanjana ko thoda hairan hui.

Sanjana:- Tum jaantw ho inhe.

Sumit:- Badkismati se haan.

Sakhs:- Accha badkismati.

Sumit:- Tu aur tera timing...Tere jaise panauti saamne hoga to badkismati bhi saath hi aayega.

(To Sanjana) Bachpan se dost kam dushman jyada..Bhoot pret ki tarah hamesha se picha karte rehne wale iss mahaan sakhs ke naam hai Ashish.

Ashish:- Itna ghatiya intro...Yeh sunne se pehle mujhe sach much mein appendicitis kyu nahi ho gaya?

Sumit:- Ohh haan...Hum dono appendicitis ki baat kar rahe thhe...Tujhe aisa kyu laga?

Ashish:- Bahut din se kaam kar kar ke paagal ho chuka hun...Sab ke sab kaamchor hai saale...Mujhe bhi thoda rest chaahiye...Ek chhain chahiye jo na jaane kab se kho gaya hai.

Aise mein appendicitis se accha beemari kya ho sakta hai...Naa hi jyada dangerous aur naa hi jyada tension...Aur fake report banane ke liye doctor ke roop mein dost bhi.

Aur haan kuch jyada din ke liye ned rest likh dwna report mein.

Fir Sumit kuch sawal puchta hai.

Ashish:- Abey itna kyu puchtaach kar raha hai..Sidha report likh ke de...Acute Appendicitis...Aur kuch nahi.

Sumit:- Symptoms puchna padta hai pehle...Aur thoda examination bhi karna padega.

Ashish:- Likh de kuch bhi.

Sumit:- Sach mein.

Ashish:- Haan.

Fir kuch likhne ke baad.

Sumit:- Yeh le.

Ashish:- Ye kya likh diya...Grade 2 Hemorrhoids.

Ye sunte hi Sanjana hasne lagti hai...Aur saath mein Sumit bhi.

Ashish:- Ye kya hai...Hemorrhoids...Kabhi suna nahi hai iske bare mein.

Sumit:- Suna to bahut baar hai...Bas naam alag hai.

Ashish:- Kya?

Sumit:- Piles.

Ashish:- Kya matlab?

Sumit:- Hindi mein bole to Bawashir.

Ashish:- Ye kya kar diya tune?

Sumit:- Permanent ilaaj...Ye report dikha dena aur jab chaahe tab reat maang lena...Jindagi bhar mauj karega bas iss ek report se. :lol1:

Ashish:- Jaldi se report badal.

Sumit:- Bahaana banane ke liye isse accha beemari aur kya ho sakta hai?

Ashish:- Nahi yaar...Koi aur beemari chalega...Ye nahi bas.

Sumit:- Kyu? Beemari to beemari hoti hai.

Ashish:- Are iss wale beemari se izzat ka pura watt lag jaayega...Log ajeeb najro se dekhenge.

Sumit:- Dekhne de...Kya fark padta hai?

Ashish:- Tere liye nahi padega...Mere liye to padta hai.

Sumit:- Sanjana chalo.

Sanjana:- Kaha?

Sumit:- Lunch karne.

Ashish:- Abe...Mera report to change karte jaa.

Sumit:- Baad mein aana...Abhi lunch time hai.

Fir Sumit aur Sanjana OPD room se nikalte hai...Piche piche Ashish bhi.

Ashish:- Sudhrega nahi tu kamine.

Fir Sumit apna white coat utaar deta hai.

Ashish:- Itne time mein to mera report badal deta.

Sumit:- Abb tu aadat se majbur...Mera picha to chhodega nahi aashani se...Abb white coat mein patients ke saamne tere saath bakchodi to nahi kar sakta.

Fir dhire dhire teeno hi canteen pahunch jate hai.

Ashish:- Abb bhi mauka hai...Badal de report...Warna.

Sumit:- Warna kya?

Ashish:- Warna tujhe shraap dunga.

Sumit iss baat par jor jor se hansta hai.

Ashish:- Mai tujhe shraap deta hun ki aaj se tere jindagi mein koi girlfriend nahi banegi.

Ye sun kar Sumit hairaani se Ashish ko dekhta hai aur kehta hai.

Sumit:- Ye to sajaa nahi majaa hai....Thanks bhai.

Sanjana:- Kya? Ye majaa hai?

Sumit:- Haan...Pak gaya hu inn cheejon se.

Sanjana:- Baat to aise kar rahe ho ki pehle bahut si girlfriends thi.

Ashish:- Jyada nahi...Sirf 10-12.

Sanjana:- What?

Sumit:- Badha chadha kar keh raha hai...4 naam ke relationships aur 1 onesided love story...Bas itna hi.

Hello Surgeon.

Ye kehte hue Megha bhi bich mein aa gayi.

Ashish:- Bhai tu doctor jarur ban gaya hai...Lekin tujhe ilaaj ki sakht jarurat hai.

Sumit:- Aur aisa kyu?

Ashish:- Memory kamjor ho gaya hai tera.

4 naam ke relationship aur Kirti ke saath one sided love story tak to sahi tha...Lekin Megha...Usse kaise bhul sakta hai.

Ye sun kar side mein hi khadi Megha ko ajeeb lagta hai aur wo Sumit ko dekhti hai.

Ashish aage aur bakwas naa kare iss dar se.

Sumit:- Kuch bhi.

Ashish:- Ye sab chhod...Pehle ye bata Megha bhabhi kaisi hai...Mai tum dono ki aage ki love story sunne aaya hu.

Pehle hi aa jaata lekin job ne maar rakha hai...Aaj aur raha nahi gaya...Soch pehle mere liye mera bhai Sumit hai...Fir kuch aur...Yaa to uska basa hua jindagi ko dekhunga ya uske jindagi ko basa kar aaunga.

Megha ke liye to ye bahut ajeeb tha hi aur saath hi Sanjana ke liye bhi...Sumit ko bhi abb dar tha ki kuch ulta sidha na bol de.

Sumit:- Bas kar bhai...Kuch bhi bole jaa raha hai.

Sumit ka bhaavheen chehra ka dusra hi matlab nikal liya Ashish ne.

Ashish:- Aise udaas mat ho yaar Kirti chali gayi...Koi baat nahi...Wo tujhe deserve nahi karti thi...Lekin Megha...Usse dur mat jaane de...Dekha hai maine uske liye tera pyaar.

Sumit:- Kuch bhi bake jaa raha hai...Hajaar baar keh chuka hu Megha meri sirf dost hai...Isse aage kuch nahi.

Iss baar Sumit ke aawaj mein gussa tha...Lekin iss gusse ka bhi alag matlab nikal liya Ashish ne.

Ashish:- Koi bhi gussa sacchai kk badal nahi sakta...Tu gussa ho kar khud ko jhutha dilaasha to de sakta hai...Lekin mai jaanta hun tu Megha se kitna pyaar karta hai.

Sumit:- Ashishhhhhhhhhh

Abb Sumit ka gussa control ke baahar jaa raha tha.

Ashish:- Sirf tujhe hi gussa aata hai...Mujhe nahi aata.

Aur ye gussa ho kar kya saabit karna chahta hai...Keh de ye galat hai ki tu Megha se pyaar nahi karta.

Jab Kirti ki judaai mein rote hue mujhse phone karta tha naa to baat ki shuruwaat Kirti se hota tha aur antt Megha se...Kehte hue thakta nahi tha tu...Megha bahut acchi hai..Dost ho kar bhi mera itna khayal rakhti hai...Maine Megha ke saath bahut galat kiya.

Tu nahi jaanta lekin maine mehsus kiya hai teri aawaj mein Megha ko le kar pyaar...Uske baare mein na jaane kitni hi der tak baatein karta rehta tha...Uski acchaiyan...Teri bhool...Aur na jaane kya kya...Agar koi cheej missing tha to bas tu maanne ke liye taiyaar nahi tha ki tu Megha se pyaar karta hai.

Aur aaj bhi...Aaj bhi gusse se dilaasha hi de raha hai khud ko.

Ashish ne bhi gusse mein bahut kuch keh diya.

Sumit:- Megha samjhaao isse...Warna pata nahi mai kya kar baithunga.

Itna keh kar Sumit waha se chala gaya...Abb Ashish ko sab samajh mein aaya...Hairaani mein wo abb Megha ko dekhta hai.

Ashish:- Mujhe kya pata atha Megha yahi hai...Ek baar hi sahi ishaara de deta...Photo dikhane ke liye bolta to bhi baat taal deta tha.

Lekin Sumit ne ansuna kar ke waha se chala gaya.

Megha ko samajh mein nahi aa raha tha ki kaise react kare...Aur Sanjana ko to naa ke barabar hi maamla samajh mein aa raha tha.

Sacchai to hai Ashish ki baat mein...Warna tujhe itna gussa hone ki jarurat nahi tha.

Ye sunte hi Sumit picche mudta hai...Saamne Vikash tha.

Sumit:- Tu?

Vikash:- Haan...Surgery 1st year Resident...Admission karane ke baad kaamki vajah se 3 hafta ghar jaana pada tha...Aaj se hi join kiya hai...I mean abhi se.

Sumit:- Chal sahi hai.

Vikash:- Aur Ashish ki baat bhi sahi hai.

Sumit kuch jawaab nahi deta.

Vikash:- Megha ne mera pyaar thukraya kyu ki wo tujhse pyaar karti hai...Lekin tu hi manne ko taiyaar nahi hai.

Sumit:- Mai Megha se pyaar nahi karta.

Itna keh kar Sumit waha se bhi chala gaya.
 
Akki ❸❸❸

ᴾʀᴏᴜᴅ ᵀᴏ ᴮᴇ ᴴᴀʀʏᴀɴᴠɪ
26,727
30,992
304

Bhut hi bdiya update champ bhai :love:
Welcome back :party2:
Sumit:- Accha achha naaraj mat ho...Sirf man nahi women bhi...Modify kar deta hun...Practice makes human perfect. :D:D
:D
Sumit:- Hindi mein bole to Bawashir.
:lotpot:

Ye last me fir megha ka dil dukha diya, :angry: e na cholbe :surprised:
 
Akki ❸❸❸

ᴾʀᴏᴜᴅ ᵀᴏ ᴮᴇ ᴴᴀʀʏᴀɴᴠɪ
26,727
30,992
304
Waiting for next update champ bhai :elephant:
 
Sammade4u

I love the one who never loved me 😩
765
1,768
123
Megha ke itne salon ke intezar ke Baad bhi usko Sumit ka pyar Na Mila. Heart crying for Megha so sad. Kuch 1 sal ya 2 sal Lekin Megha ne to 8 sal se jyada hi intezar Kiya Sumit ki liye.
Ek ladki kehti thi ki jindgi Mai khush haal jindgi jine ke liye...
" Shadi use karo jo tumhe pyar kare, na ki usse jise tum pyar karo."
 
Top