• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Ek Bhool 2 (Completed)

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,139
189
UPDATE 67

Kitna time lag raha hai? Pata nahi kab suru hoga?

Ye bechaini bhari aawaj Vikash ka tha.

Sumit:- Ho jaayega suru...Jaldbaazi kis cheej ki hai.

Sumit ne jawaab to Vikash ka tha lekin najar Kirti ki aur.

Kirti Sumit ko aaj iss quiz mein dekh hairaan bhi thi aur gussa bhi...Wo Sumit ko ignore karne ki har ek prayas kar rahi thi.

Ussi ki side mein baitha Vivek Sumit ko nafrat bhari najar se ghoor raha tha...Lekin Sumit ko iss baat se koi fikr nahi tha...Uska najar, dhyaan aur sab kuch to bas Kirti par hi tha...Chehre me ek alag hi raunak aur tej gati se dhadakta dil ki dhadkan ye baat bhi saaf kar raha tha.

Megha kabhi Sumit ki aur dekhti to kabhi Kirti ko...Kabhi usse Sumit ke liye khushi ho raha tha to kabhi khud ke hi dil mein dard mehsus ho raha tha.

Vikash:- (Sumit ki kaan mein)Kya kar raha hai yaar...Megha tujhe hi dekh rahi hai.

Sumit:- Aankhein hain to dekhegi hi. :dazed:

Vikash:- Wo kya sochegi?

Sumit:- Galat sawaal... Wo kya sochegi nahi wo kya soch rahi hai? Sochna bhi sahi nahi hai...Wo kya dekh rahi hai?

Aur jawaab hai Aashiqui.

Vikash:- Aaaashiquiiii...Ye kya bol raha hai?

Iss baar hairaani mein Vikash ka aawaj thoda tej ho gaya.

Sumit:- Dikh nahi raha hai...Tab se hi nain mataaka chal raha hai...Abb tu bore mat kar...Bahut majaa aa raha hai abhi.

Vikash:- Tu Megha se pyaar nahi karta?

Iss baar Sumit thoda serious ho kar Vikash ki aur mudaa...Aur shakht aawaj mein.

Sumit:- Bahut pitega tu...Mujhse nahi Megha se...Agar ye baat Megha ko pata chala to.

Vikash:- Matlab tum dono ek dusre se pyaar nahi karte?

Thoda hairaani bhi tha Vikash ki iss baat mein aur thoda khushi bhi.

Sumit:- Abey nahi...Wo dost hai meri...Best friend.

Iss baat se Vikash ki khushi kayi gunaa badh gaya.

Vikash:- Aur wo saamne wali ladki?

Sumit:- Meri Ex Gf.

Vikash:- Sach bol raha hai tu?

Sumit:- Waise kisi ka Kasam to nahi khaata hun jaldi lekin chal aaj tera hi sir ka kasam khaa leta hun.

Abb Vikash kuch nahi bola...Khushi mein bola bhi nahi jaa raha tha.

Sumit ka bhi pura dhyan abb Kirti par tha...Kuch din pehle tak murjhaya chehra mein ek nayi jaan waapas aa gaya tha...Hansta mushkurata iss chehre mein ek alag hi raunak tha.

Har baar ki tarah iss baar bhi Sumit ka aatmavishwash badh raha tha ki jald hi Kirti uski ho jaayegi.

Fir suru hua Quiz ka daur.

Sabhi participants apne team aur points ke liye dimaagh ghuma rahe thhe Sumit ko chhod kar...Wo to apna dil aur dimaagh dono hi Kirti ke paas rakh kar baitha tha.

Vikash:- Abey Sumit kuch to answer bol...Kuch samajh mein nahi aa raha hai iska answer?

Sumit:- Dimaagh ka batti jala...Aakhir topper hai tu class ka?

Vikash:- Lekin ye question kabhi padha nahi hai.

Sumit:- To 2nd topper se puch? Mujh jaisa backbencher aur just pass wale se kya puch raha hai?

Vikash Megha ko puchta hai lekin wo bhi nahi bata paati hai.

Sumit:- Abb to ek hi raashta hai.

Vikash:- Kya?

Sumit:- Aankhein band kar.

Vikash:- Isse kya hoga?

Sumit:- Abey kar na.

Vikash:- Haan kar liya?

Sumit:- Dimaagh mein jo dawaai ka naam pehle aaye...Wo bata de.

Vikash answer dene hi wala tha ki.

Sumit:- Ruk ruk...Aaram se...Confident ho kar jawaab de.

Vikash confidently apna jawaab deta hai...Aur jawaab tha galat.

Vikash ka chehra latak jaata hai.

Sumit:- Issi liye kehta hun luck wuck kuch nahi hota hai...Mehnat kar...Kaamyaabi milega.

Fir Sumit hanste hue fir Kirti ki darshan mein lag jaata hai.

Vikash Sumit ko ghure jaa raha tha aur Megha ko Sumit ki iss harkat par hansi aa raha tha.

Fir wo question Kirti ki team ki paas gaya.

Aur Kirti sahi jawaab deti hai.

Sumit:- Meri Kirti ka koi jawaab nahi.

Kirti se bhi jyada khush Sumit dikh raha tha.

Vikash:- Ye tune jaan bujh kar kiya na?

Sumit:- Bilkul nahi...Mujhe bhi pata nahi tha...Kirti ki khushi mein shaamil ho raha tha bas...Kirti ki jeet hi to mera jeet hai.

Vikash apne sir par haath rakh kar agle question ke liye taiyaar ho gaya.

Megha bas Sumit ki harkath ko dekh rahi thi...Sumit ko itna khush aur excited dekhne ki ummeed aaj pura jo hua tha.

Aise hi quiz chalta rehta hai.

Vikash:- Abey yaar...Tu yaha kya karne aaya hai?

Sumit:- Aashiqui.

Short and sweet answer.

Aise hi kuch der aur quiz chalne ke baad.

Vikash:- Aise to haar hi jaayenge...Aas paas bhi nahi hai hum baaki ke teams ke saamne.

Sumit:- Hero ka khel hamesha last mein aata hai.

Itna keh kar Sumit fir apne kaam mein vyast ho gaya.

Fir se quiz ka daur chala...Iss baar Vikash aur Megha apne team ko kaafi upar tak le kar gaye.

Aur aakhir mein.

Vikash:- (To Sumit) Jeetne ka aakhiri mauka hai.

Sumit:- Vijayi Bhawa.

Vikash:- Aashirwaad nahi answer maang raha hun...Mujhe iska answer nahi pata.

Sumit:- Megha se puch fir.

Megha:-- Mujhe bhi nahi pata.

Vikash:- Aakhiri mauka hai...Tu soch kar dekh...Agar sahi ho gaya to jeet jaayenge.

Ummeed bhari aawaj mein Vikash ne kaha.

Sochne ka naatak kar Sumit ne ek answer kaha.

Vikash:- Sure

Sumit:- Haan.

Vikash:- Mujhe sahi jawaab to pata nahi hai lekin issmein shak ho raha hai.

Tu kehta hai to yahi jawaab deta hun.

Itna keh kar Vikash jawaab dene hi wala tha ki.

Sumit:- Abe ruk.

Fir Sumit Kirti ki aur dekhta hai...Kaafi khush dikh rahi thi...Sumit jaanta tha ki ye jawaab galat ho gaya to ye sawaal Kirti ki paas jaayega aur Kirti ka excitement dekh usse pata chal gaya tha ki Kirti sahi jawaab jarur degi.

Fir Sumit thoda sakht ho kar answer change kar deta hai.

Vivek bhi confused ho kar dusra jawaab deta hai...Aur wo bilkul sahi tha.

Jeet ki excitement kam hone ke baad.

Vikash:- Harwaane ki pura plan bana liya tha tune.

Sumit:- Ant bhala to sab bhala.

Itna keh kar Sumit Kirti ki taraf gaya...Jo jeet ke itna paas aane ke baad haar kar bahut maayus thi.

Sumit:- Pyaar mein hamesha haarne ki theka mai hi kyu lu? Ek do baar tum bhi to mehsus karo ye dard.

Muskuraate hue Sumit ne kaha...Jawaab mein Kirti gusse se dekhti hai.

Sumit:- Waise ek baat to kehna bhul hi gaya...Khubsurat to tum pehle bhi thi...Aaj kuch naya pata chala tumhare baare mein.

"Beauty with Brain."

Bahut pyaar se Sumit ne kaha aur utna hi gusse se Kirti ne Sumit ko dekha.

Sumit:- Waise to ye puraana dialogue hai...Lekin aaj kehna jaruri hai.

Gusse mein bhi tum bahut khubsurat lagti ho.

Kirti kuch kehti usse pehle Vikash aur Megha waha aa gaye.

Kirti:- Congratulations.

Sumit:- Thank you.

Kirti:- Tumhe nahi kaha hai?

Sumit:- Winning team mein hun...Issi liye socha mujhe bhi kaha hai tumne.

Kirti:- Winning team me to ho...Lekin ek bojh jaise...Jaanti hun kitna contribution hai tumhara.

Sumit:- Issi liye to pyaar karta hun tumse...Itna kuch jaanti ho mere baare mein...Accha bata hi do kitna hai mera contribution?

Kirti:- "Win" shabd mein "S" alphabet ka jitna role hai utna hi.

Sumit:- "S" for Sumit...Sahi alphabet selection hai tumhara.

Kirti iss baat par kuch nahi kehti.

Sumit:- Waise bhi mera jeet tumhara hi to jeet hai pagli...Pata nahi kab samjhogi tum ye baat.

Bahut der se khud par control kar raha Vivek se abb control nahi hua.

Vivek:- Bahut hua...

Sumit:- Saarvajanik Beizzati...Ye shabd suna hai kabhi?

Vivek chup ho gaya...Gusse mein usse bolne ke liye shabd nahi mil rahe thhe.

Fir kuch der baad sabhi apne apne ghar ki aur jaane lage...Iss bich Kirti ne Sumit ko puri tarike se ignore kar diya tha.

Jaate vakt Sumit Kirti ko piche se tab tak dekhta raha jab tak Kirti uski najron se ojhal naa ho gayi...Aur uske baad fir se wohi haara hua muskaan.

Lekin dil mein ye sukoon jarur tha ki bahut dino baad Kirti se mila aur usse baatein kiya.

Vikash:- Thank you.

Sumit:- Kis baat ki?

Vikash:- Tu nahi hota to hum jeet nahi paate.

Sumit:- Iss mein maine kya kiya? Team ko sirf tune aur Megha ne sambhala tha.

Vikash:- Sumit ek baat bata?

Sumit:- Haan puch.

Vikash:- Tu itna relaxed kaise tha? Haarne ki koi dar nahi tha kya?

Sumit:- One sided jeetne ki kya majaa...Thoda competitive hona chahiye...Thrill ka majaa hi kuch aur hai.

Vikash:- Agar iss thrill ke chakkar mein haar jaate to?

Sumit:- Haar aur jeet to hota rehta hai...Jaruri hai to iss ka experience...Jeet se confidence milta hai to haar se naya paath.

Vikash:- Ye bhi sahi hai...Lekin ek baat bata tu bahut hi confident najar aa raha tha...Kab answer dena hai aur kab ignore karna hai tujhe ye baat acche se pata tha.

Iss baat par Sumit thoda muskuraata hai.

Sumit:- Seniors sirf ragging aur daaru saath peene ke liye nahi hote hai.

Vikash:- Matlab?

Sumit:- Ye Quiz competition 5 saal se chal raha hai...Seniors se baat karne par pata chala ki marks ka pattern laghbhag same hi hai...Iss saal kuch naya hota bhi nahi dikh raha tha.

Pata tha kab answer dena hai aur kab nahi...Thrill banaane ke liye...Jab answer dene ka vakt aata tum log sahi sahi answer de rahe thhe aur mujhe aashiqui karne ka mauka bhi. :D

Fir kuch der aise hi baat karne ke baad Vikash bhi chala jaata hai...Aur bache Megha aur Sumit.

Megha:- Khush to bahut honge tum.

Sumit:- Haan bahut.

Megha:- Aur ye khushi ka vajah ye Quiz mein 1st aana to bilkul bhi nahi hai.

Sumit:- Bilkul nahi...Agar haar bhi jaata to tension nahi hota.

Bas apne team ki izzat ka khayal aa gaya last mein aur ek mauka...Kirti ko bhi tadpaane ki. Mai hi kab tak tadpu :D

Megha:- Aise khush chehra mein bahut accha dikh rahe ho.

Sumit:- Abb ye tumhara haath mein hai. :approve:

Megha:- Kaise?

Sumit:- Aise hi Kirti se milne ki surprises deti raho...Mai khush ho jaaunga.

Itna keh kar Sumit waha se chala gaya...Sach mein bahut khush tha wo...Abhi bhi uske dimaag mein Kirti ke saath judi ye yaadein hi ghum raha tha.

Megha bhi Sumit ki khushi mein khush hone ki koshish karte hue apne hostel ki aur jaane lagi.
 
Akki ❸❸❸

ᴾʀᴏᴜᴅ ᵀᴏ ᴮᴇ ᴴᴀʀʏᴀɴᴠɪ
26,727
30,992
304
Last edited:

Bhut hi bdiya update champ bhai :love2:

Ye vikash itna khush kyo h ye jankar ki sumit megha se pyar nhi karta, khi Vikas to nhi karta megha se pyaar :hint:

Megha bhi Sumit ki khushi mein khush hone ki koshish karte hue apne hostel ki aur jaane lagi
images

:love:
 
Mbindas

Active Member
1,938
4,123
158
Ye Sumit nam ka banda aur Champ_AK_81 nam ka banda mast hai. Ek taraf Sumit ko jab man kare tab jawab de aur jab man na kare tab team member ke uper chod de, aur idhar champ bhai ka bhi yahi kam hai jab agar man ho to hamari fariyad sun kar jald update de diya jata hai aur jab man na ho to hame bas intazaar likhna padta hai. :D

Aur rahi update ki bat to kya kehna aapka.
Mind-blowing update bhai.
:yourock:
 
Akki ❸❸❸

ᴾʀᴏᴜᴅ ᵀᴏ ᴮᴇ ᴴᴀʀʏᴀɴᴠɪ
26,727
30,992
304
Waiting for next update :elephant:
 
Akki ❸❸❸

ᴾʀᴏᴜᴅ ᵀᴏ ᴮᴇ ᴴᴀʀʏᴀɴᴠɪ
26,727
30,992
304
Waiting :bored:
 
Top