• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Ek Bhool 2 (Completed)

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,139
189
UPDATE 55

Sumit kuch bolne hi wala tha ki.

S. Dad:- Kya laga? Aisa kuch bolunga.

Sumit unke pair chhune ke baad.

Sumit:- Abhi tak aap ke acting mein koi sudhaar aaya nahi hai...Kehna to aap wohi chaah rahe thhe.

Sumit ke Papa kuch der muskuraane ke baad kehte hai.

S. Dad:- Kehna to wohi chaahta hun...Lekin samajhne wala bhi to chahiye.

Sumit:- Aapki baat nahi samjhunga to kis ki baat samjhunga...Aap chaahte thhe mai MBBS padhu...To padh raha hun.

Aur padhaai mein itna kho gaya ki vacation mein bhi padh hi raha tha.

S. Dad:- Maana ki mera acting accha nahi hai...Lekin dusro ki acting judge karne ki kala hai mujhme. :hinthint2:

Sumit ke liye ye baat sach mein hairaani ka tha.

S. Dad:- Abb to pata chal gaya hoga tera acting mujhse bhi bakwaas hai.

Sumit:- Kya Papa...

S. Dad:- Ghumne ke liye gaya tha na dosto ke saath.

Sumit iss baar soch mein pad gaya kya bole..Jhuth bol bhi nahi paa raha tha aur sach bol bhi nahi sakta tha.

S. Dad:- Chill beta Chill...Koi shikayat nahi hai...Ghumne ka time bhi yahi hai...Mind fresh bhi ho gaya hoga...Abb issi fresh mind ke saath aage bahut padhna bhi to hai.

Padhega naa? :hinthint:

Sumit ne bas haa mein sir hilaya.

S. Dad:- Chal sahi hai.

Fir Sumit ghar ke andar aata hai.

S. Mom :- (To S. Dad) Kya aap bhi? Abhi aaya hi hai ki aap suru ho gaye.

(To Sumit) Aur tu...Kabhi mujhse bhi baat kar liya kar.

Sumit:- Karta to hun...Roj hi to baat hota hai phone mein.

S. Mom:- Ye bhi sahi hai...Phone mein baat kar liya to ho gaya...Abhi aaya hi kyu hai? Video call se hi apna munh dikha deta...Ye phone bhi naa.

Sumit:- (With Smile) Mera gussa phone par to mat nikaliye.

S. Mom:- Ye bhi sahi hai...Jab beta hi naalayak ho to kya kar sakte hai.

Rashmi:- Pehli baar aapne sach kaha...Bhaiya hai ki naalayak.

Sumit:- Aap mujhe to kehti hai...Lekin dekhiye isko...Aapke saamne hi mobile chala rahi hai...Jaise aapko chiddha rahi hai.

Sumit ka bas itna hi kehna tha ki uski Maa Rashmi ki haath se mobile chheen leti hai.

S. Mom:- Jaa...Jaa kar padhai kar.

Sumit:- Aaya majaa? Aur le pange.

Rashmi:- Badle ke liye taiyaar rahiye.

Sumit:- Wo to bachpan se taiyar hi hun.

Rashmi:- Wo to aapko baccha samajh kar maaf kar deti thi.

Sumit:- Waah...Kitni mahaan hai tu.

Rashmi:- Baat mat kijiye mujhse...Mai naraaj hu aapse.

Sumit:- Naraaj hai? Ye naraaj hona bhi aaj kal ka fashion hai kya? Jisko bhi dekhu naraaj ho jaata hai kabhi bhi kisi bhi vajah se.

Waise teri naarajgi ki vajah kya hai?

Rashmi:- Hamesha jab bhi baahar se aate thhe...Mere liye chocolates laate thhe? Lekin iss baar?

Sumit:- Iss baar bhul gaya. :lol1:

Rashmi:- Issi liye naraaj hun.

Sumit:- Chocolates mat khaaya kar...Kide padenge daant mein.

Rashmi:- Kaun se kide?

Sumit:- Bacteria naam hote hai unke.

Rashmi:- Kaun se bacteria?

Sumit:- Kya karegi jaan kar? Waise bhi bacteria aur unka janm kundali yaad karna humara sir dard hai.

Rashmi:- Google mein search karungi...Kis bacteria ke liye kya antibiotic lena hai.

Sumit:- Google mein.

Rashmi:- Ghar mein aap jaise naalayak doctor hai to google ki hi jarurat hai.

Waise naalayak mai nahi keh rahi hun Maa keh rahi thhi.

Sumit:- To fir iss naalayak ki yaha kya kaam?

Naarajgi ka dikhawa karte hue Sumit apne room ki aur chala gaya.

Aa gaya tu? Bas tera hi kami tha...Tu aur tera timing.

Thoda chhidhte hue Sumit bola.

Ashish:- Are yaar...Mai to surprise dene aaya tha.

Sumit:- Tera surprise kisi sir dard se kam nahi hota.

Fir Sumit apna munh dho kar aata tha...Ye chhidh tha Ashish ka uske room mein achanak se aa jaane se...Jisne Sumit ko gehri neend se jaga diya tha.

Fir Sumit bed mein aa kar baith jaata hai...Kuch der Ashish bhi chup hi rehta hai...Jab Sumit normal ho gaya tab.

Ashish:- Ye kya haal bana rakha hai tune?

Sumit kuch nahi bolta.

Ashish:- Itna kamjor to kabhi nahi dekha tujhe.

Sumit:- Jaanta hi hai haalath kya hai...Bas ek vajah ki jarurat hai.

Sumit ne bas itna kaha hi tha ki usse kuch yaad aata hai.

Mobile check karne par wo soch sahi tha...Megha ka mesaage tha...Sone se pehle hi aaya tha usse wo mesaage...Lekin neend mein reply nahi kar paaya tha.

Mesaage mein likha tha. "Pahunch gaye."

Reply mein,

Sumit:- Haan kuch der pehle...Aur tum.

Thodi hi der mein Megha ka reply aata hai.

Megha:- Kuch hi der mein.

Iss baar Sumit reply nahi karta hai.

Ashish:- Kaun hai?

Sumit:- Megha.

Ashish:- Ye wohi hai naa jiske through tu Kirti tak pahunchna chaahta tha.

Sumit:- Haan.

Ashish:- Tune ye bhi bataya tha ki tune usse sab sach bata diya hai.

Sumit:- Haan...Bata chuka hun.

Ashish:- Fir abhi bhi tujhse kyu baat kar rahi hai? Usse to tujhse nafrat hona chaahiye tha.

Sumit:- Pata nahi...Mai bhi yahi soch raha hun.

Sumit ki baat mein hairaani saaf dikh raha tha...Usse abhi bhi samajh mein nahi aa raha tha ki Megha abhi bhi usse baat kyu kar rahi hai?
 
Akki ❸❸❸

ᴾʀᴏᴜᴅ ᵀᴏ ᴮᴇ ᴴᴀʀʏᴀɴᴠɪ
26,727
30,992
304

Bdiya update champ bhai :love3:
Ye jo emojis add karte ho bhut hi bdiya :D

Ashish:- Fir abhi bhi tujhse kyu baat kar rahi hai? Usse to tujhse nafrat hona chaahiye tha.
Megha kitni achi h :love:
 
Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,139
189
Kya champ sir update suru hote hi khatam... jaldi se ek aur update dijiye :waiting:
Update to aate rahenge Naina Ma'am...Aaj nahi to kal...Kal nahi to Parso...Parso nahi to :hmm:...Tab tak aap review ka essay likhiye :D
 
Top