• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Ek Bhool 2 (Completed)

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,139
189
Kya baat hai bhai
Very nice
Megha ki baat hi alag hain
Aap Megha ke baare me uski soch ke baare me jyada nahi likh rahe hain, thoda uski feelings ke baare me bhi bataiye...
Welcome back Killar bhai and thanks for your review...Aage Megha ki bhi feelings saamne aayega...Keep supporting.
 
Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,139
189
UPDATE 75

To ye baat hai? Itne dino se ye sab chal raha tha aur mujhe aaj pata chal raha hai.

Thoda gusse ke saath Kirti ke Papa bole.

K. Dad:- Aur Kirti...Tumne mujhe bataya bhi nahi?

Kirti:- Ignore kar rahi thi isse...Picchle kuch saal bilkul shaant ho gaya tha...Pata nahi aaj isse kya ho gaya?

Sumit ki aur dekh gusse se boli Kirti...Kirti ki nafrat dekh Sumit aur bhi toot ta jaa raha tha.

K. Dad:- Ye sab jaane ke baad bhi tu yaha iske saath aa gaya...Samjhaana chahiye tha isse...Lekin tu bhi apne beta ke moh mein andha ho gaya hai.

Naarajgi bhari aawaj mein Kirti ke Papa ne Sumit ke Papa se kaha.

S. Dad:- Mai iske saath nahi khud mai isse yaha le kar aaya hun.

Iss baat se Kirti ke sabhi ghar wale hairaan ho gaye.

K. Dad:- Kya? Samjhaane ki jagah tu isse aur badhawa de raha hai?

S. Dad:- Agar galti karta to jarur rokta.

K. Dad:- To kya ye sahi hai?

S. Dad:- Sahi bhi nahi hai.

K. Dad:- To fir?

S. Dad:- Saccha pyaar karta hai...Teri beti ke liye accha hi chaahta hai...Fir galat kaise ho gaya?

Lekin kisse pyaar karna chahiye...Ye isse samajh mein nahi aaya...Bas ye sahi nahi kiya.

Iss baat par Kirti aur uske Papa dono hi unhe gusse se dekhte hai.

K. Dad:- Accha...Choice kharab hai...To iss kharab choice ko bhul jaane ke liye kyu nahi samjhaya?

S. Dad:- Mai kaun hota hun isko choice bhul jaane ke liye kehne wala? Bas iske choice par salaah de sakta hun ki kya karna chahiye aur kya nahi.

Isse yahi salaah diya tha ki sachaa pyaar karta hai to karta reh...Aise darpok ban kar bich mein hi bhul jaane ki jhutha dilaasha mat de khud ko...Kyu ki ek baar insaan khud ko haara hua maanne lagta hai to jindagi bhar haarta hi rehta hai...Bahut vakt lag jaata hai khud ko sambhaalne mein.

Mai hamesha apne bete ko ek fighter ke roop mein dekhna chaahta hun...Sirf jeetne wala nahi...Agar saamne haar hi hai fir bhi aakhiri pal tak ladta rahe...Aise mein haar bhi gaya to bhi mujhe apne beta par garv hoga.

Apne Papa ki iss baat sunne par Sumit ko hi apne Papa par garv mehsus hua...Unke beta hone ka.

S. Dad:- Mauka de raha tha isse apne pyaar saabit karne ke liye...Agar iska pyaar safal ho jaata to jindagi bhar isse khud par garv hota ki ek asambhav sa dikhne wali cheej sambhav kar ke dikhaya hai...Aur isse apne pyaar ka keemat pata chalta ki pyaar kitna anmol hota hai aur isse paane ke liye na jaane kitne haalaaton se gujarna padta hai.

Aur iska pyaar asafal ho jaata hai to isse apna galti dikhega...Kaha kaha par galtiyan kiya hai aur kya galtiyan kiya hai...Issi sikh se ye aage badhega.

Log kehte hai kisi ka bhi sabse bada shikshak (teacher) uske Maa Baap aur school college ki teacher hote hai...Sahi bhi hai...Lekin maine apne jindagi ke anubhav se sikha hai ki Jindagi khud sabse bada shikshak hai...Jindagi ke aise pehlu hote hai jisse hum bahut kuch sikh sakte hai khushi ke pal se bhi aur gham se bhi.

Itna keh kar Sumit ke Papa ne thoda saans liya aur fir.

S. Dad:- Tum galat choice ho ye nahi keh raha hun...Tum khud mein bahut acchi ho...Aur tumhara pura adhikaar hai apne decision lene ka...Tum Sumit ke liye galat ho...Aur Sumit tumhare liye galat hai...Shayad ye baat abb Sumit bhi samajh gaya hoga.

K. Dad:- Waah kya baat hai...Math ka teacher aaj jindagi ka gyaan deta fir raha hai.

Iss majaak udaane wali hansi par Sumit se raha nahi gaya...Lekin wo kuch bolta usse pehle uske Papa uska haath pakad leta hai.

S. Dad:- Jindagi...Iss visay ka shikshak to abhi bhi ban nahi paaya hun...Ek vidyaarthi hun aur jo bhi khud sikha hai wo bata raha hun.

Aur jindagi...Ye aisa shikshak hai jo tera iss ahankaar wali hansi ko aashaani se paachataap wali aansu mein badal sakta hai...Bas vakt ki deri hai.

K. Dad:- Sapna dekhta reh...Waise bhi sapna hi to dekhta aaya hai aaj tak...Jo kabhi pura nahi ho saka.

S. Dad:- Aur tu bhi waisa ka waisa hi reh gaya...Bas dusro ke baare mein apna opinion bana leta hai aur usse mein adaa rehta hai bhale hi wo sahi hai ya galat.

Jaruri to nahi hai kehna lekin fir bhi tere jaankaari ke liye keh hi deta hun...Aaj wo sapna nikaal kar fenk diya hai...Vakt ke saath khush hun aur jindagi bhi sahi chal raha hai...Abb bas apna beta aur beti ki kuch jimmedaariyan hai.

Kirti ke Papa iss baat par koi jawaab nahi dete hai.

Aise hi kuch der Sumit ko dekhne ke baad.

K. Dad:- Tumhe to mai bahut sharif samajhta tha.

Sumit koi jawaab nahi deta.

K. Dad:- Lekin aaj kal to sharif dikhne wale ladke hi chupaa rushtam nikalte hai.

Sumit fir bhi koi jawaab nahi deta.

K. Dad:- Waise ek baat bataao...Tumhe mai apna damaad banau kyu?

Kirti:- Papa?

K. Dad:- Mai Sumit se baat kar raha hun.

K. Dad:- Accha to Sumit bataao...Tum mein aisa kya khaas hai ki mai Kirti ka haath tumhaare haath mein du.

Iss baar Kirti ki Papa ki aawaj thoda dheema tha...Sumit ko bhi laga iss baar kuch jawaab dena chahiye...Lekin agle hi pal.

K. Dad:- Yahi ki tum padhai kam awaarapan jyada kar rahe ho...College kam bar mein jyada samay rehte ho...Exam mein pass hona bhi kisi chamatkaar se kam nahi.

Are koi patient tum jaise doctor se ilaaj karne ke liye raaji nahi hoga agar asliyat jaan le to fir mai sab kuch jaante hue apne beti ka shaadi tum se karwau.

Agar Kirti bhi raaji hoti fir bhi mai iss shaadi ka khilaaf hi hoti...Garv hai mujhe apne beti par jo college jaati hai to sirf padhaai karne ke liye...Naa ki tum jaise awaara ke meethi meethi baaton mein aayi jo padhai ke alawa ladki fasaane mein jyada dhyan dete hai.

Sumit hi jaanta tha ki kaise usne khud ko sambhala.

S. Dad:- Sumit ki itni taarifein...Tujhe kaha se pata chala?

K. Dad:- Sach kadhwa hota hai...Bhale hi kitna bhi bura kyu na lage...Mahesh yaad hai...Party mein ek din sabhi ke baare mein baatein chal rahi thi...To iska progress report bhi pata chal gaya.

Sumit talented to hai...Bas ladki ki chakkar chhod de.

S. Dad:- Aur tu bahut maje se sun raha tha.

K. Dad:- Mujhe kya padi hai kisi ke baare mein itna sochne ki...Bas jo bhi pata tha wo keh diya.

S. Dad:- Lekin baaton se to aisa lag nahi raha tha.

K. Dad:- Fir bhi sach to ye hi hai.

S. Dad:- Tune Sumit se pucha tha ye sawaal ki Sumit mein tera damaad banne ki kya khasiyat hai? Sawaal Sumit se pucha hai to jawaab mai nahi dunga.

Bas 5 saal...Fir bhi Sumit jawaab nahi dega...Agar humaari dosti tab tak raha to dekh lena Sumit mein kya khasiyat hai...Jawaab tera aankhein khud tujhe dega.

K. Dad:- Kamaal hai...Apne beta ka iss harkat par bhi saath de raha hai...Maar peet kar samjhana chaahiye tha taaki akal thikaane aa jaye.

Agar mujhe pehle pata chalta ki meri beti ke piche pada hai to haath pair tod kar rakh deta.

S. Dad:- Nahi kar paata.

K. Dad:- Kya?

S. Dad:- Haath pair todne ki baat kar raha hai...Chhuu bhi nahi sakta hai.

Iss baar unki aawaj mein thoda gussa bhi tha jisse Kirti ke Papa bhi kuch nahi bol paaye.

K. Dad:- Sahi hai...Tera ghamand uss vakt tujhe le duba tha...Abb tera beta ko le dubega.

Iske baad kuch der koi baat nahi hota.

Kirti:- Sumit...Tumse kuch baat karni hai.

Pehli baar aisa hua ki Kirti ne bulaayaa tha aur Sumit ko koi khushi nahi hua.

Sumit:- Kaho.

Kirti:- Akele mein.

Kirti apni Papa ki aur dekhte hai...Wo permission dete hai.

Dono fir room se baahar jaate hai.

Kirti:- Kya baat hai? Itna shaant kyu ho?

Sumit:- Bolne ke liye abb shabd baaki nahi hai.

Kirti abb hasne lagti hai...Kirti ki ye hansi sidha Sumit ke dil par waar kar raha tha.

Kirti:- Na jaane itne saal mein itna bol liya tumne ki abb tumhare paas bolne ke liye shabd hi nahi hai...Kamaal hai.

Ye keh kar Kirti aur hasne lagti hai.

Kirti:- Itna pareshaan kar diya tha tumne mujhe ki aaj tumhe pareshaan dekh bahut khushi mil raha hai.

Sumit ki taraf dekh kar.

Kirti:- Waise mujhe kisi ko dukhi dekhna accha nahi lagta par pata nahi kyu tumhe dukhi dekh kar bahut accha lag raha hai.

Jaise ko taisa...Ye kahawat aaj sahi saabit ho gaya...Tumne mujhe jitna pareshaan kiya hai...Abb tum bhi utna hi pareshaan ho.

Tum to kuch bol hi nahi rahe ho.

Sumit:- Aaj tum bolo.

Kirti:- Haan...Aaj mai bolungi aur tum sunoge...Kuch aisa bolungi ki aaj ke baad kuch sunna bhi nahi chaahoge tum.

Sumit:- (In his mind) Manjur hai.

Kirti:- Aisa nahi hai ki mujhe tumhare pyaar ka ehsaas nahi tha...Jaanti hun tumhara pyaar saccha hai...Lekin mai...Mujhe bhi to pasand aana chahiye tumhara pyaar.

Jab se ek baar tum galat lagne lage tab se tum se bilkul hi nafrat hone laga...Bhale hi tumhara pyaar kitna bhi saccha ho...Tumhara baatein, tumhara chehra aur tum...Sab se nafrat hone lagi.

Jitna mai tumhe avoid karti thi utna hi tum mere paas aate thhe usse mera nafrat aur bhi badh gaya...Besharmi ki bhi hadd hoti hai.

Aaj tumhara jo haal hai vajah tum khud ho...Bahut pehle thukra diya tha tumhe...Tum hi mere piche pade thhe aur aaj ye haal hai...Aur sach kahu to tumhara ye haal mere liye kisi sukoon se kam nahi hai.

Itna kehne ke baad Kirti ek najar Sumit ko dekhti hai aur hanste hue kehti hai.

Kirti:- Kya kehte thhe tum Vivek ko? Vichitra praani...Khud dekh lo tumse vichitra kaun hoga?

Tum mere piche 8 saal se pade ho...8 saal yaani ki 96 mahine...Aur mere paas tumhare liye 96 minute bhi nahi hai...Yahi hai tumhara aukaat.

Ye baat Sumit ke dil ko chubh gaya...Aur saath hi uske hontho mein dard bhari muskaan chhaa gaya.

Kirti:- Abhi bhi besharmi ke saath khade ho.

Nafrat bhari aawaj mein Kirti ne kaha.

Sumit:- Agar tumhara ijaajat ho to ye besharmi do baar aur dikhana chaahta hun.

Kirti:- Kyu aur kab?

Hairaani se Kirti ki munh se nikla.

Sumit:- Tumhara engagement aur shaadi ke din.

Kirti ko vishwash nahi ho raha tha aur khud Sumit ko bhi.

Kirti:- Abb tum khud hi kulhaari par pair maarna chaahte ho to mai kya kahu...Accha hi hai...Tumhara shakal dekhne laayak hogi.

Sumit:- Thank you.

Fir Kirti waha se chali gayi.

Pehli baar aisa tha ki Sumit ko Kirti ke piche mudne ki aur muskuraane ki ummeed nahi tha...Wo bas mushkuraate hue Kirti ko jaate dekhta raha.

Sumit:- Bas 2 mulaakaat aur...Fir tumhe bhula dunga...Bhulaana hi padega.

Aakhiri line kehte hue Sumit rone hi wala tha ki haalaath aur jagah dekh roo bhi nahi paaya.

Wo dukhi man waapas aa gaya.

S. Dad:- (To Kirti) Tumne hi kaha tha Sumit pichle 3 saal se tumse nahi mila hai...Lekin saamne na aa kar bhi tumhe apne pyaar ka ehsaas dilaane ka hajaar koshish kar chuka hai.

Agar tum raaji hoti to mai iske (K. Dad) parwaah kiye bina tum dono ki shaadi kara deta...Lekin tum hi taiyaar nahi ho...Khair tumhara decision hai...Sahi hi hoga tumhare liye...Khush rehna tum.

S. Dad:- (To K. Dad) Tu to bachpan ka dost hai aur tujhse waise bhi jyada naraaj nahi reh sakta...Agar dost ka jarurat pade to aage bhi kuch kehne ke liye mat hichakna.

Itna keh kar wo Sumit ko apne saath le kar waha se nikal gaye.

S. Dad:- Yaha aane ka makshad yahi tha ki tujhe jindagi ke aise pal bhi ho sakte hai ye samjhana chahta tha...Agar Kirti maan jaati to bahut khushi hota mujhe bhi...Lekin ye ek aisa mushkil pal hai jisko agar jhel liya to dekhna aage ka jindagi aur bhi khushnuma ho jayega.

Sumit:- Kirti se alag ho kar kaisi khushi?

S. Dad:- Abhi nahi samjhega...Vakt aane de.

Sumit:- Papa abhi bahut toota hua mehsus kar raha hun...Ho sakta hai kuch din tak aap niraash ho jaaye mujhe aise dekh kar...Lekin Papa vishwash kijiye fir se utth kar khada ho jaaunga...Bas thoda vakt dijiye...Aapne mere baare mein jo socha hai usse bhi bada ban kar dikhaunga.

Sumit ki aawaj mein aatmavishwash to tha lekin iss baat mein bhi dard hi haavi tha.

S. Dad:- Jitna chahe utna vakt le...Mujhe vishwash hai tujh par...Mujhe hamesha jeetne wala beta nahi chahiye...Haar ke saamne bhi naa jhukne wala beta chahiye bhale hi wo haar usse kitna bhi tod de.

Sumit:- Aaj ke liye sorry Papa...Waha kuch bol nahi paaya...Aisa lagta hai maine khud ke saath waha aap ko bhi haraa diya.

S. Dad:- Kisne keh diya ki tu waha haar gaya tha?

Sumit apne Papa ko hairaani se dekhta hai.

A. Dad:- Apne bhaawna se jeeta hai tune...Itna gussa aur dard ke baawjud apne dil par kaabu tha...Yeh dekh mai sach mein khush hu.

Umar aur haalaath aise hai ki Kirti ke Papa par tera kabhi bhi haath utth sakta tha jaise wo tujhe ukshaa raha tha...Aur Kirti se pyaar ki bhikh mein gidgidaata to wo bhi koi hairaani ki baat nahi hoti.

Lekin tune apne bhaawna par kaabu rakha hai...Bahut badi baat hai ye...Bas beta kuch vakt aur...Dekhna jindagi mein jo bhi dard jhele hai tune ye sabhi khushiyan ban kar saamne aayenge...Bas tu aise hi majbuti se aage badh.

Itna samajh hi gaya hoga dil ki baat hamesha sunne par thokar hi lgta hai...Thoda dimaag se bhi soch aur aahi faisle le....Ye nahi kahunga ki pyaar mat kar...Jindagi mein pyaar ka bhi alag hi jarurat hai...Bas sahi ladki se pyaar kar.

Sumit:- Abb kisi aur se pyaar? Aisi haalaath mein?

S. Dad:- Bilkul nahi...Aur pyaar karte nahi pyaar ho jaata hai...Abb to tera umar bhi ho chuka hai shaadi ke liye...Abb to apni biwi se hi pyaar karna :D...Fir galat...Pyaar kiya nahi jaata pyaar ho jaata hai ye baat samajh lena.

Aakhiri ki baat Sumit ke Papa ne aise kaha tha ki Sumit ko bhi hansi aa gaya.
 
Last edited:

Avinashraj

Well-Known Member
2,000
5,638
144

Beautiful update bhai hope next aap.jaldi doge
 
Chinturocky

Well-Known Member
4,315
12,573
158
Are yaar is kahani ka asli hero to Sumeet ke pitaji hi hai.
Kya najariya hai.
Last lines wakai Sabse jyada Kamal ki thi.

Top