• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Ek Bhool 2 (Completed)

Akki ❸❸❸

ᴾʀᴏᴜᴅ ᵀᴏ ᴮᴇ ᴴᴀʀʏᴀɴᴠɪ
26,727
30,992
304
:?:
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,139
189
UPDATE 112



Sumit:- Aarav...Ye glass pakad.

Itna keh kar Sumit glass Aarav ki aur fenkta hai...Aarav pakad leta hai.

Sumit:- Bahut sahi Aarav...Agar gira deta to 100 rupaiya ka chuna lag jaata.

Megha ko samajh mein nahi aa raha tha ki aakhir Sumit kar kya raha hai.

Aarav:- Kya bhaiya aap bhi? Abb itna kamaate ho fir bhi 100 ki fikar?

Sumit:- Apne mehnat ka ek ek rupaiya ka mahatwa hai...Abb thodi na baap ke kamaai ka aish kar sakta hun. :D

Ek najar Sumit ne Megha ki aur dekha...Kuch khurafaat dimaag mein aaya.

Sumit:- Waise bhi shaadi ho jaayega to biwi aur bacche chhain se jeene kaha denge.

Bacche baap ka paise hawaa mein udaayenge jaise mai udaata tha aur Biwi...Ghar chalaane ke liye pura ka pura jeb khaali kar degi...Fir bhi uska man nahi bharega...Behtar hai abhi se ek ek rupaiya bacha kar rakho.

Ye line Sumit ne sirf Megha ki aur dekh kar bola...Megha bas Sumit ko ghurti hai.

Tab tak Sumit bade hi chalaaki se coke ki bottle se sticker faad kar fenk deta hai aur bottle ko hawaa mein uchaal kar dusre se pakad leta hai.

Fir Aarav aur apna glass ko acche se saaf karke dono mein coke daal kar Megha aur Anita ki taraf badha deta hai.

Anita glass pakad leti hai lekin Megha nahi.

Anita:- Ye kya hai jiju?

Sumit:- Itni der se tum dono yaha ho lekin thanda yaa garam bhi puch nahi sakta...Kyuki garam ke liye chaai aur coffee banane ki samaan nahi hai...Issi liye thanda hi de raha hun.

Megha:- Aur thanda mein dusro ko vodka pilaaya jaata hai?

Megha saamne Aarav ke paas ke black vodka ke bottle ko ghurti hui boli.

Sumit:- Are kuch nahi hota...Bas gatak jaao. :D

Megha:- Apne jaisa hi bewda samajh rakha hai kya?

Iss baar Megha ki aawaj mein gussa tha...Maahaul ekdum se shaant ho gaya...Fir Sumit Anita ko ishaara karta hai peene ke liye.

Anita:- Nahi jiju...Mai nahi peeti hun.

Sumit:- Mujh par bharosa hai?

Anita:- Megha se bhi jyada. :lol1:

Megha:- Bahut hansi aa rahi hai tujhe :mad:

Sumit:- Fir kya hai...Bas jiju par bharosha rakho aur gatak jaao.

Anita ek boond peeti hai...Usse swaad jaana pehchaana lagta hai...Ek ghunt peene ke baad puri glass gatak jaati hai.

Megha ko ajeeb lagta hai...Jis ladki ne aaj tak daaru ko haath nahi lagaya usne puri glass khatm kar di ...Confusion mein khud se hi bolti hai.

Megha:- 42% concentration :hmm:

Ye sunte hi Sumit hasne lagta hai...Megha Sumit ki haath se glass cheen kar ek ghunt peeti hai.

Fir jaise hi Megha Sumit ko dekhti hai...Sumit ke saath saath sabhi hasne lagte hai.

Sumit:- Maaf kijiye madam...Aapke saath chhota se bina camera wala prank hua hai...Aap chaahe to camera ki jagah mujhe dekh sakti hai. :D

Iss baat par Anita aur Aarav hanate hai.

Megha:- Chal Anita yaha se.

Sumit:- Lekin tum kuch bataane aayi thi...Shayad jaruri tha...Warna faaltu ki baat tum bataane itni dur kyu aati?

Iss baar Sumit ki aawaj mein vyang tha.

Megha fir Sumit ke paas aa jaati hai.

Megha:- Jaruri baat hi hai...Lekin tum bolne doge to naa!!

Sumit:- Bolo...Kaan khada kar ke sunn raha hu.

Megha:- Majaak band karo.

Iss baar Megha ka gussa dekh..

Sumit:- Accha bataao.

Megha:- Uss din tumne Raju ke saath jo kiya tha uss vajah se Raju aur Suraj gusse me hai..Tumhe sabak sikhaane ki soch rahe hai.

Sumit:- Accha...Mai to dar hi gaya. :lol1:

Sumit iss baar serious hone ki acting nahi kar paaya...Aur aakhir mein jor jor se hasne laga.

Megha:- Har baat majaak nahi hota...Samjha rahi hu...Samajh jaao.

Sumit:- Hmm...aur bataao.

Megha:- Ye koi kahaani hai jo sunaati rahungi?

Bas saawdhaan raho.

Sumit:- Satark bhi rahunga. :D

Fir Sumit ko hansi aa gaya.

Megha:- Ye kya majaak lag raha hai tumhe? :mad:

Sumit:- Nahi...Tum mujhse ruthne ki dawaa karti ho aur meri fikar ke liye yaha tak aa gayi...Bas issi khushi mein.

Iss baar Sumit ki aawaj mein sukun tha.

Megha:- Jyada khush mat ho...Baad mein tumhara haal dekh kar afsosh naa ho...Issi liye pehle hi bataane aa gayi.

Itna keh kar Megha jaane lagi.

Sumit:- Picchli baar aaya tha to Shoulder dislocation kar ke bheja tha...Iss baar Hip dislocation kar ke bhejunga.

Uska ilaaj to surgery hi hai...Aise hi khel khel mein thik nahi hoga...Fir sochta rahega baithna kaise hai aur uthhna kaise hai.

Megha pichhe mud kar kehti hai.

Megha:- Iss bar wo akela nahi hai...Mera bhai Suraj bhi uske saath hoga.

Sumit:- Shayad kuch bhul rahi ho?

Megha:- Kya?

Sumit:- Yaad hai hamaare pehla gaanw bhraman...Ussi vakt tumhare bhaai ke baare mein kuch kaha tha.

Iss baar Megha ko yaad karne mein koi dikkat nahi hua.

From Update 11

Sumit:- Accha ye bataao...Suraj ki kya haal chaal hai?

Megha:- Kaun Suraj?

Chaunkte hue Megha boli.

Sumit:- Wohi mera Saala aur tumhara bhai.

Megha:- Tum usse kaise jaante ho?

Megha ki hairaani aur bhi badh raha tha.

Sumit:- Tumse pyar hote hi sab kuch pata kar liya tha...Tumhare ghar mein kitne log hai aur kaise hai...Sasur ji aur Saasu Maa ke baare mein bhi pata kiya ki wo kaise hai...Baad mein khushi khushi humaare shadi karwa denge yaa fir mujhe tumhe bhagaana padega.

Aur kitne bhai hai aur mujhe apne body ko kaise maintain karna chaahiye shaadi ke vakt action karne ke liye agar wo maar peet par utar aaya to.

Sumit:- Aur kaisa bhai hai ye tumhara Suraj? Didi ki khushi ke liye Jiju se maar bhi nahi khaa sakta?

Sumit ne hanste hue kaha lekin Megha utna hi gussa ho gayi.

Megha:- Khabardaar jo mere bhai ko haath bhi lagaya to.

Sumit:- Pata hai tumse bura koi nahi hoga. :D

Iss baat se Megha ka gussa aur bhadak gaya...Wo gusse mein sidhe waha se nikal gayi.

Anita:- Itna kyu tang karte ho usse...Dekha na aapne gussa ho gayi wo.

Sumit:- Gusse se ho sahi kuch to bolti hai...Warna kaan taras gaye hai uski aawaj sunne ke liye...Aankhe bhi thak jaate hai uske ek jhalak ke liye.

3 din ho gaye usse mile...Milne bhi to nahi aati...Intejaar mein pura din nikal jaata hai...Bas yahi clinic ka thoda sahara hai vakt kaatne ke liye.

Abb aise mein ek yahi to raaata hai thoda pareshaan kar do gussa dilaao...Jo bhi dil mein hai sab pata chal jaayega.

Anita:- Waah jiju...Bahut chalaakh ho aap.

Sumit:- Abhi tumne chalaakhi dekha hi kab hai :D

Anita:- Dekhne ke liye utsukh hun.

Itna keh kar Anita bhi waha se nikal jaati hai.

Aarav:- Waah bhaiya...Aap to kamaal ho...Thoda hume bhi sikha dijiye ladki pataane ki kala.

Sumit:- Jo banda apni ruthi hui premika ko manaane ke liye iss kafi dhoop mein dimaag khujaaye jaa raha hai :hmm:...Abb usse sikhega tu?

Aarav:- Aapko abhi bhi lagta hai ki bhabhi aapse pyaar nahi karti?

Sumit:- Itna bewkuff bhi nahi hu ki Megha ki dil ki baat abhi bhi samajh na paau.

Aarav:- Fir?

Sumit:- Kya fir?

Aarav:- Mujhe bhi sikhaiye.

Sumit:- Fursat mein...Abhi so jaa.

Aarav:- Abb aap bhaaw khaa rahe hai.

Sumit:- So jaa abhi...Warna raat ko mera dimaag khaayega tu.

Aarav:- Matlab?

Sumit:- Shaam ko mela hai gaanw mein...Jo raat tak chalega...Mai to apne Megha ke saath busy ho jaaunga...Tu bore ho kar mera dimaag khayega waapas lautne ke liye ki tujhe neend aa raha hai.

Aarav:- Aur aap sure kaise hai ki bhabhi bhi aayengi?

Sumit:- Intelligenece report hai.

Aarav fir hanste hue jaata hai aaram karne ke liye.

Shaam

Mela ka taiyaari suru hua hi tha ki Sumit ki khushi ka koi thikaana nahi tha...Megha jo dikh gaya tha usse.

Megha ke paas jaise hi wo pahuncha Megha waha se nikal jaati hai.

Jaise hi road ke dusri aur khada Suraj ye dekhta hai uska gussa niyantran ke baahar chala jaata hai.

Gusse mein wo Sumit ki taraf badh hi raha tha ki ek out of control overspeed jeep Suraj ko takkar maar deta hai...Aawaj itna tej tha ki sabhi ka dhyaan aakarshan uss taraf ho jaata hai.

Karib 20 meter dur jaa kar giraa Suraj...Girte hi khoon se lath path thodi der mein hi hosh kho baitha...Jeep bhi mauka ka faaidaa uthaa kar bhaag gaya.

Megha daud kar Suraj ke paas pahunch jaati hai...Doctor hone ki vajah se Suraj ko dekh uske haalaat ka andaaza ho gaya tha...Aur aakhir mein haar maan kar Suraj ke paas hi baith kar rone lagti hai...2 minute mein hi Megha ki Maa aur Papa bhi aa jaate hai jo yahi mela mein thhe...Sabhi ka haal waisa hi tha.

Shayad Sumit ka bhi...Wo bhi bas ek jagah baith dekh raha tha...Usne apne career mein bahut logo ko marte dekha tha...Lekin aise apne aankho ke saamne kabhi nahi.
 
Last edited:

Svin

Active Member
542
1,893
123
UPDATE 112



Sumit:- Aarav...Ye glass pakad.

Itna keh kar Sumit glass Aarav ki aur fenkta hai...Aarav pakad leta hai.

Sumit:- Bahut sahi Aarav...Agar gira deta to 100 rupaiya ka chuna lag jaata.

Megha ko samajh mein nahi aa raha tha ki aakhir Sumit kar kya raha hai.

Aarav:- Kya bhaiya aap bhi? Abb itna kamaate ho fir bhi 100 ki fikar?

Sumit:- Apne mehnat ka ek ek rupaiya ka mahatwa hai...Abb thodi na baap ke kamaai ka aish kar sakta hun. :D

Ek najar Sumit ne Megha ki aur dekha...Kuch khurafaat dimaag mein aaya.

Sumit:- Waise bhi shaadi ho jaayega to biwi aur bacche chhain se jeene kaha denge.

Bacche baap ka paise hawaa mein udaayenge jaise mai udaata tha aur Biwi...Ghar chalaane ke liye pura ka pura jeb khaali kar degi...Fir bhi uska man nahi bharega...Behtar hai abhi se ek ek rupaiya bacha kar rakho.

Ye line Sumit ne sirf Megha ki aur dekh kar bola...Megha bas Sumit ko ghurti hai.

Tab tak Sumit bade hi chalaaki se coke ki bottle se sticker faad kar fenk deta hai aur bottle ko hawaa mein uchaal kar dusre se pakad leta hai.

Fir Aarav aur apna glass ko acche se saaf karke dono mein coke daal kar Megha aur Anita ki taraf badha deta hai.

Anita glass pakad leti hai lekin Megha nahi.

Megha:- Ye kya hai jiju?

Sumit:- Itni der se tum dono yaha ho lekin thanda yaa garam bhi puch nahi sakta...Kyuki garam ke liye chaai aur coffee banane ki samaan nahi hai...Issi liye thanda hi de raha hun.

Megha:- Aur thanda mein dusro ko vodka pilaaya jaata hai?

Megha saamne Aarav ke paas ke black vodka ke bottle ko ghurti hui boli.

Sumit:- Are kuch nahi hota...Bas gatak jaao. :D

Megha:- Apne jaisa hi bewda samajh rakha hai kya?

Iss baar Megha ki aawaj mein gussa tha...Maahaul ekdum se shaant ho gaya...Fir Sumit Anita ko ishaara karta hai peene ke liye.

Anita:- Nahi jiju...Mai nahi peeti hun.

Sumit:- Mujh par bharosa hai?

Anita:- Megha se bhi jyada. :lol1:

Megha:- Bahut hansi aa rahi hai tujhe :mad:

Sumit:- Fir kya hai...Bas jiju par bharosha rakho aur gatak jaao.

Anita ek boond peeti hai...Usse swaad jaana pehchaana lagta hai...Ek ghunt peene ke baad puri glass gatak jaati hai.

Megha ko ajeeb lagta hai...Jis ladki ne aaj tak daaru ko haath nahi lagaya usne puri glass khatm kar di ...Confusion mein khud se hi bolti hai.

Megha:- 42% concentration :hmm:

Ye sunte hi Sumit hasne lagta hai...Megha Sumit ki haath se glass cheen kar ek ghunt peeti hai.

Fir jaise hi Megha Sumit ko dekhti hai...Sumit ke saath saath sabhi hasne lagte hai.

Sumit:- Maaf kijiye madam...Aapke saath chhota se bina camera wala prank hua hai...Aap chaahe to camera ki jagah mujhe dekh sakti hai. :D

Iss baat par Anita aur Aarav hanate hai.

Megha:- Chal Anita yaha se.

Sumit:- Lekin tum kuch bataane aayi thi...Shayad jaruri tha...Warna faaltu ki baat tum bataane itni dur kyu aati?

Iss baar Sumit ki aawaj mein vyang tha.

Megha fir Sumit ke paas aa jaati hai.

Megha:- Jaruri baat hi hai...Lekin tum bolne doge to naa!!

Sumit:- Bolo...Kaan khada kar ke sunn raha hu.

Megha:- Majaak band karo.

Iss baar Megha ka gussa dekh..

Sumit:- Accha bataao.

Megha:- Uss din tumne Raju ke saath jo kiya tha uss vajah se Raju aur Suraj gusse me hai..Tumhe sabak sikhaane ki soch rahe hai.

Sumit:- Accha...Mai to dar hi gaya. :lol1:

Sumit iss baar serious hone ki acting nahi kar paaya...Aur aakhir mein jor jor se hasne laga.

Megha:- Har baat majaak nahi hota...Samjha rahi hu...Samajh jaao.

Sumit:- Hmm...aur bataao.

Megha:- Ye koi kahaani hai jo sunaati rahungi?

Bas saawdhaan raho.

Sumit:- Satark bhi rahunga. :D

Fir Sumit ko hansi aa gaya.

Megha:- Ye kya majaak lag raha hai tumhe? :mad:

Sumit:- Nahi...Tum mujhse ruthne ki dawaa karti ho aur meri fikar ke liye yaha tak aa gayi...Bas issi khushi mein.

Iss baar Sumit ki aawaj mein sukun tha.

Megha:- Jyada khush mat ho...Baad mein tumhara haal dekh kar afsosh naa ho...Issi liye pehle hi bataane aa gayi.

Itna keh kar Megha jaane lagi.

Sumit:- Picchli baar aaya tha to Shoulder dislocation kar ke bheja tha...Iss baar Hip dislocation kar ke bhejunga.

Uska ilaaj to surgery hi hai...Aise hi khel khel mein thik nahi hoga...Fir sochta rahega baithna kaise hai aur uthhna kaise hai.

Megha pichhe mud kar kehti hai.

Megha:- Iss bar wo akela nahi hai...Mera bhai Suraj bhi uske saath hoga.

Sumit:- Shayad kuch bhul rahi ho?

Megha:- Kya?

Sumit:- Yaad hai hamaare pehla gaanw bhraman...Ussi vakt tumhare bhaai ke baare mein kuch kaha tha.

Iss baar Megha ko yaad karne mein koi dikkat nahi hua.



Sumit:- Aur kaisa bhai hai ye tumhara Suraj? Didi ki khushi ke liye Jiju se maar bhi nahi khaa sakta?

Sumit ne hanste hue kaha lekin Megha utna hi gussa ho gayi.

Megha:- Khabardaar jo mere bhai ko haath bhi lagaya to.

Sumit:- Pata hai tumse bura koi nahi hoga. :D

Iss baat se Megha ka gussa aur bhadak gaya...Wo gusse mein sidhe waha se nikal gayi.

Anita:- Itna kyu tang karte ho usse...Dekha na aapne gussa ho gayi wo.

Sumit:- Gusse se ho sahi kuch to bolti hai...Warna kaan taras gaye hai uski aawaj sunne ke liye...Aankhe bhi thak jaate hai uske ek jhalak ke liye.

3 din ho gaye usse mile...Milne bhi to nahi aati...Intejaar mein pura din nikal jaata hai...Bas yahi clinic ka thoda sahara hai vakt kaatne ke liye.

Abb aise mein ek yahi to raaata hai thoda pareshaan kar do gussa dilaao...Jo bhi dil mein hai sab pata chal jaayega.

Anita:- Waah jiju...Bahut chalaakh ho aap.

Sumit:- Abhi tumne chalaakhi dekha hi kab hai :D

Anita:- Dekhne ke liye utsukh hun.

Itna keh kar Anita bhi waha se nikal jaati hai.

Aarav:- Waah bhaiya...Aap to kamaal ho...Thoda hume bhi sikha dijiye ladki pataane ki kala.

Sumit:- Jo banda apni ruthi hui premika ko manaane ke liye iss kafi dhoop mein dimaag khujaaye jaa raha hai :hmm:...Abb usse sikhega tu?

Aarav:- Aapko abhi bhi lagta hai ki bhabhi aapse pyaar nahi karti?

Sumit:- Itna bewkuff bhi nahi hu ki Megha ki dil ki baat abhi bhi samajh na paau.

Aarav:- Fir?

Sumit:- Kya fir?

Aarav:- Mujhe bhi sikhaiye.

Sumit:- Fursat mein...Abhi so jaa.

Aarav:- Abb aap bhaaw khaa rahe hai.

Sumit:- So jaa abhi...Warna raat ko mera dimaag khaayega tu.

Aarav:- Matlab?

Sumit:- Shaam ko mela hai gaanw mein...Jo raat tak chalega...Mai to apne Megha ke saath busy ho jaaunga...Tu bore ho kar mera dimaag khayega waapas lautne ke liye ki tujhe neend aa raha hai.

Aarav:- Aur aap sure kaise hai ki bhabhi bhi aayengi?

Sumit:- Intelligenece report hai.

Aarav fir hanste hue jaata hai aaram karne ke liye.

Shaam

Mela ka taiyaari suru hua hi tha ki Sumit ki khushi ka koi thikaana nahi tha...Megha jo dikh gaya tha usse.

Megha ke paas jaise hi wo pahuncha Megha waha se nikal jaati hai.

Jaise hi road ke dusri aur khada Suraj ye dekhta hai uska gussa niyantran ke baahar chala jaata hai.

Gusse mein wo Sumit ki taraf badh hi raha tha ki ek out of control overspeed jeep Suraj ko takkar maar deta hai...Aawaj itna tej tha ki sabhi ka dhyaan aakarshan uss taraf ho jaata hai.

Karib 20 meter dur jaa kar giraa Suraj...Girte hi khoon se lath path thodi der mein hi hosh kho baitha...Jeep bhi mauka ka faaidaa uthaa kar bhaag gaya.

Megha daud kar Suraj ke paas pahunch jaati hai...Doctor hone ki vajah se Suraj ko dekh uske haalaat ka andaaza ho gaya tha...Aur aakhir mein haar maan kar Suraj ke paas hi baith kar rone lagti hai...2 minute mein hi Megha ki Maa aur Papa bhi aa jaate hai jo yahi mela mein thhe...Sabhi ka haal waisa hi tha.

Shayad Sumit ka bhi...Wo bhi bas ek jagah baith dekh raha tha...Usne apne career mein bahut logo ko marte dekha tha...Lekin aise apne aankho ke saamne kabhi nahi.
Kyu bhai suraj ko Marva rahe ho . Use bachao ase to megha our kirti main koi fark nahi nachega kirti to lote aai thi per megha wasi nahi hai ho sake to suraj ko bachalo bhai
Warna log kahenge ke champ ak 81 ne madararr kardiya our eljam bechare Sumit pe aaga
Bahot nirdayi ho bhai tumara naam champ ak 81 hai . Champ ak 47 nahi.
Kyu suspence ke magzin khatam nahi ho rahe jo megha ko goli pe goli de rahe ho
 
Top