• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Ek Bhool 2 (Completed)

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,139
189
UPDATE 77

Kuch jaldi hi nahi aa gaye aap Dr. Sumit?

Vikash ne Sumit ko dekhte hi puch liya...Baaki sab ne raahat ke saans liya.

Megha:- Itne bade surgeon jo hai...Lunch ke liye bhi alag se vakt nikalna padta hai inhe.

Kirti:- Tumhare intejaar mein subah se bhukhi hun.

Sabhi ka jawaab sunne ke baad Sumit ne thoda saans liya aur Kirti ki aur dekh hanste hue kaha.

Sumit:- Roka kisne hai...Raj saamne hai...Isse hi khaa jaao.

Raj:- Bhai sahab...Uksaiye mat...Waise bhi dimaag bahut khaati hai ye...Aur aap hai ki pura ka pura hi khaa lene ki salaah de rahe hai.

Kirti:- Kya mai tumhare dimaag khaati hun?

Raj:- Ohh sorry...Tum to khoon chusti ho :lol1:

Kirti:- Ruko baad mein bataati hun tumhe.

Aise hi dono ki nok jhok par sabhi hasne lagte hai.

Raj:- Dekha bhaiya aapne...Pyaar ke side effect...Aap ki hi jindagi sahi chal raha hai...Single life best life.

Raj ne majaak ko aage badhaya lekin ye sunte hi Sumit ka chehra bhaav heen ho gaya.

Raj ne bhi jald hi samajhte hue.

Raj:- Sorry bhaiya.

Sumit:- Koi baat nahi...Aise hi sorry kehne laga to hamesha sorry hi kehta reh jaayega.

Aadat daal raha hun abb.

Muskuraate hue Sumit ne kaha.

Sumit:- Abb tumhe kya ho gaya?

Kirti ko thoda serious dekh Sumit ne pucha.

Kirti:- Wo tumhari wali Kirti se milna hai.

Sumit:- Kyu?

Kirti:- Munh nochna hai uski...Mera naam badnaam karke rakh diya hai.

Sumit:- Abb usne kya kar diya?

Kirti:- Mujhe dekho...Kitna mast rehti hun...Jindagi ke har pal ko enjoy karti hun...Aur ek wo hai...Khadoos...Pata nahi kaise kisi ka dil tod sakti hai.

Sumit:- Abb isme uski kya galti? Usse mai pasand nahi hun to wo kya kar sakti hai...Khair abb mai bhi usse aage ka soch jindagi mein aage badh raha hun...Wo bhi khush mai bhi khush.

Kirti:- Matlab Megha ke chance hai.

Achanak se Kirti ki iss baat par 3 log hairaan reh jaate hai...Sumit, Megha aur Vikash bhi.

Situation bhi aisa awkward ho gaya tha ki koi kuch nahi bol raha tha.

Kirti:- Jokes apart...Tumhe aise aage badhte dekh bahut accha lag raha hai...Tourist se student tak ka ye safar sach mein taarif ke laayak hai.

Raj:- Tourist?

Kirti:- Pehle 1st year mein inka darshan mahine mein ek baar hota tha...Bilkul tourist ke jaise...Abb dekho...Internship mein 1 minute ka bhi bunk nahi.

Sumit:- Pehle student tha...Bunk maarna, masti karna ye aam baat tha...Abb doctor hun, responsible hona to padega hi...Aur internship hi hai jisme jitna sikh paaunga utna accha hoga...Baad mein akele kaam karna padega aur kuch basic nahi aayega to sharm se dub marne ki haalaath ho jaayega.

Vikash:- Aur kitna responsible ho gaya hai ye tera copy hi bata raha hai.

Vikash Sumit ke haath se copy utha kar page palatne lagta hai...Har ek topic ka note.

Tab tak sabhi ka lunch aa jaata hai.

Vikash ke haath se copy Megha leti hai.

Aur randomly ek page par likha kuch padhti hai.

Megha:- Janaab ka abhi se PG (Post Graduation) ka preparation chal raha hai.

TCA.

Raj:- Abb ye TCA kya hai?

Kirti:- Tricarboxylic Acid Cycle...1st year Biochemistry....Itna bhi nahi pata...Padhaai ke maamla mein abhi bhi nahi sudhre...Bataati hun baad mein.

Megha:- Abhi se 1st year ka revision bhi start.

Sumit:- Next page mein jaao.

Muskuraate hue Sumit ne kaha.

Aur jab Megha next page mein pahunchti hai to hairaani mein uski aankhein badi ho jaati hai aur wo Sumit ko sawaliya najro se dekhti hai.

Sumit:- Tricyclic Anti depressant (TCA) 2nd year Pharmacology.

Ye sunte hi sabhi ke munh se laghbhag ek hi vakt ek hi shabd nikalta hai, "Kya?"

Vikash:- Abe tujhe ye depression kab se ho gaya? Jo Anti depressant lene laga hai?

Sumit:- Pata nahi...Jo bhi symptoms dekhta hun khud mein sabhi depression ke hi lag rahe hai.

Raj:- Lekin depression ki dawaai?

Sumit:- Le nahi raha hun...Lene ka soch raha hun.

Megha:- Lekin side effects?

Sumit:- Dawaai hai to thoda bahut side effects to hoga hi...Waise bhi mera condition jo hai usmein dawaai side effect se jyada kaam hi karega.

Aur jo bhi side effects hai wo utna bhi nahi hoga jo gham abhi seh raha hun.

Koshish to pura hai ki bina dawaai ke hi depression se bahar aa jaau.

Koshish bhi kar raha hun bahut non-pharmacological measures ke saath...Lekin aakhir mein kuch kaam nahi aaya to dawai ke sahare hi kaam chalana padega.

Kisi ko kuch samajh mein nahi aa raha tha kya bolna chahiye.

Sumit:- Kuch mahine pehle jab Psychiatry ward mein tha tab ek patient ka counselling kiya tha ki agar depression control se baahar jaa raha hai to dawai lena chahiye...Abb baat khud par aa raha hai to inkaar bhi kaise kar sakta hun?

Iss baat par bhi koi kuch nahi bolta.

Sumit ne mehsus kiya ki abb sab serious ho gaye hai...Maahaul ko fir se hansi majaak mein badal diya usne...Hans to sabhi rahe thhe lekin andar se sab alag ho soch mein pade thhe...Jab unse raha nahi gaya to dhire dhire sabjaane lage.

Aakhir mein Sumit aur Megha hi baaki thhe.

Megha:- Jaan sakti hun iss muskaan ki vajah?

Sumit:- Tumhare baare mein hi soch raha hun.

Megha:- Mere baare mein...Kirti se fursat mil gaya?

Sumit:- Kya tum bhi taang khinch rahi ho?

Megha:- Accha bataao...Kya soch rahe thhe mere baare mein?

Sumit:- Abb 2 din hi baaki hai hamaare internship ke liye.

Megha:- Haan toh?

Sumit:- Khush to bahut hogi tum?

Megha:- Kis baat ki khushi.

Sumit:- 2 din ke baad mujhe kabhi dekhna nahi padega aur na hi kabhi koi irritation...Bahut pareshaan kiya hai naa maine tumhe...College ke pehle din se le kar aakhiri din tak.

Sumit ne hanste hue hi kaha.

Megha:- Haan pehle thoda bahut pareshaan thhi tumse...Bilkul bhi pasand nahi thhe tum.

Sumit:- Abb?

Megha:- Abb to aur bhi pasand nahi ho.

Megha ne bhaari dil se kaha...Sumit ki baat se usse ekdam se yaad aa gaya ki 2 din baad yun toj mulaakaat nahi ho paayega.

Sumit ko paane ki khwahish to bahut pehle hi bhul chuki thi wo...Lekin abb najar se bhi dur...Shayad ye usne kabhi socha bhi nahi tha.

Sumit bhi Megha ki dil ki baar se anjaan nahi tha.

Megha:- Sach keh rahe ho na...Kabhi dikhoge to nahi?

Megha apne majaak mein bhi dard chupaa nahi paayi.

Sumit:- Bilkul nahi.

Megha:- Sach mein bahut khudgarz ho chuke ho...Kya hum dost sirf college tak hi thhe?

Sumit:- Mera dosti jindagi bhar ke liye hota hai...Lekin haalaath aise hi ki kal kya hoga iska guarantee nahi de sakta hun...Badalne ki soch raha hun...Kitna badal jaaunga ye bhi nahi pata.

Abhi sab se dur khud mein hi jeena chaahta hun kuch vakt ke liye...Haan agar kabhi jarurat pade to ek aawaj dena...Tumhare liye hamesha taiyaar hun.

Megha:- Accha ye sab chhodo...Ye bataao PG kis subject mein karoge abb to MBBS bhi khatm ho gaya hai.

Sumit:- Surgery.

Megha:- Kuch aur?

Sumit:- Nahi sirf aur sirf surgery.

Megha:- Nice choice...Lekin rank bhi bahut accha chahiye surgery ke liye...Agar pehle baar mein naa ho paaya to?

Sumit:- Kaise nahi hoga? Puri jaan daal dunga mehnat mein aur jidd bhi...Bahut ho gaya compromise...Abb fir se jiddi Sumit banna hai...Surgery se kuch bhi kam nahi.

Abb ishq, mohabbat ki faaltu ki chakkar mein padna hi nahi hai...Kaam se matlab hai abb...MBBS ka padhai to majaak bana ke rakh diya tha...Acche se padhunga...Surgeon banunga...Best Surgeon...Uske baad jindagi ke aage ke faisla...Shaadi settle vagera.

Sumit ki iss baat mein Megha ko apne jawaab mil gaya...Abb Sumit pyaar karna hi nahi chaahta bhale hi wo kitni bhi koshish kar le.

Abb usse bhi laga raha tha usse bhi aage ka sochna chahiye...Apne khushi ke liye aur Sumit ki khushi ke liye.

Sumit:- Tum bataao? Kis subject mein PG karogi?

Megha:- Medicine.

Sumit:- Aur DM (Superspeciality)?

Megha:- Cardiology.

Sumit:- Galat vakt mein paida ho gaya.

Hanste hue Sumit ne kaha.

Megha:- Kyu?

Sumit:- 10 saal chhota hota to mera dil ka ilaaj tum hi karti...Aur mujhe bhi mauka milta itni acchi Cardiologist se ilaaj karwaane ki.

Megha ne iss baat par kuch jawaab nahi diya.

Megha:- Tabhi keh rahe thhe tum...Kisi se pyaar nahi karoge? Kya abhi bhi vajah Kirti hi hai?

Sumit:- Nahi...Sach kahu to abb himmat hi nahi...Ek baad hua galti tha...Dusri baar wo bhi galti...Baar baar ho raha hai to ye bewkoofi hai.

Pyaar shaadi ye to baad ki baat hai...Agar hona hoga to ho jaayega...Lekin padhai? Jindagi ek mauka aur de raha hai ek accha surgeon banne ka, apne sapne pura karne ka...Ye vakt abb nikal gaya to hamesha ke liye nikal jaayega.

Megha ko bhi abb apne sawaal ka har ek jawaab mil gaya.
 
Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,139
189
Behtareen kahani hai,
Sabse badi baat, her gam ki wajah ladki nahi Hoti. Lagta hai ab Megha Naam ki bhul Ko sudharne/sweekarane ka waqt aa gaya hai.
Thanks Chintu bhai for your support and review...Keep supporting.
 
  • Like
Reactions: Akki ❸❸❸

Akki ❸❸❸

ᴾʀᴏᴜᴅ ᵀᴏ ᴮᴇ ᴴᴀʀʏᴀɴᴠɪ
26,727
30,992
304

Bhut hi bdiya update champ bhai :love:
Kirti:- Munh nochna hai uski...Mera naam badnaam karke rakh diya hai
:(
Punnu ki kirti ka bhi naam badnaam kar diya,
vese kirti name to mera bhi favorite h 😘😘
Megha:- Abb to aur bhi pasand nahi ho.

Megha ne bhaari dil se kha
Megha ki baato me kitna dard h :cry:
Sumit ki iss baat mein Megha ko apne jawaab mil gaya...Abb Sumit pyaar karna hi nahi chaahta bhale hi wo kitni bhi koshish kar le.

Abb usse bhi laga raha tha usse bhi aage ka sochna chahiye
Sumit keh rha h ki vo best surgeon bnega fir shadi, settle vgareh lekin pyar nhi karega

To megha ye kyu nhi sochti ki vo sumit se shadi to kar hi sakti h, pyaar to ho hi jayega fir :love1:

Eagerly waiting for next update :elephant:
 
Last edited:

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,139
189
Aapki story bahut hi behatarin ja rahi hai bahut hi badiya update tha isme sumit ne jindgi ke anubhavo ko suna par Kya amal me la payega Kya kirti usse wapas mil payegi
Welcome on the story :hug: and thanks for your comment bro...Aapke dono hi sawaal ke jawaab to sirf aane wale updates ke paas hi hai filhaal to mere paas bhi nahi :D...Keep supporting bro.
 
Akki ❸❸❸

ᴾʀᴏᴜᴅ ᵀᴏ ᴮᴇ ᴴᴀʀʏᴀɴᴠɪ
26,727
30,992
304
Waiting for next update champ bhai:waiting:
 
  • Like
Reactions: Champ_AK_81
Top