• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy " Girls Hostel " { Completed }

harshit1890

" End Is Near "
Prime
6,106
16,062
219

~~INDEX~~

Chapter 1 ~~ " Supriya "
Chapter ~~ 2 " The Illusion "
Chapter ~~ 3 " Catatonic Schizophrenia "
Chapter ~~ 4 " A True Face "
Chapter ~~ 5 " The Antiquarian "
Chapter ~~ 6 " The Amazon "
Finale
Chapter 7 : " Book Of Hoax "

Some Comments for this story :love: (Late Add-on :sigh:)

सच में , यह पुरी स्टोरी दिमाग के परखच्चे उड़ाए जा रही है । कभी लगता है कहानी में सस्पेंस है तो कभी लगता है भ्रम जाल का ताना-बाना बुना हुआ है तो कभी लगता है जैसे कोई रूहानी ताकतें हैं तो कभी लगता है यह सिंपल स्टोरी है जिसमें आरूहि एक गम्भीर बिमारी से पीड़ित है ।

मुझे लगता है इससे बेहतरीन कहानी फिलहाल तो इस फोरम पर नहीं है । और सबसे बड़ी खासियत है आपके लिखने का स्टाइल और अंदाज । आउटस्टैंडिंग हर्षित भाई ।
thoos thoos ke khana khaya aaruhi ne jo ekdam majedar horror type scene tha ..
सही में , हर्षित भाई ! मुझे बहुत ही दया आने लगा है आरूहि पर । अगर किसी हरामखोर की वजह से उसकी हालत ऐसी हुई है तो उसे जहन्नुम का रास्ता जरूर दिखला दिजियेगा ।
WTF!!! Yahi pehla reaction nikalta hai is kahani ko poora padhne ke baad... Halanki pehle bhi maine is kahani ke kuchh 7-8 updates padhe huye the par jab is baar padhna shuru kiya to ek naya sa romanch har beet te update ke saath banta gaya... Bohot hi zyada behatreen tareeke se likhi gayi kahani hai ye, ab jis prakaar ka plot imagine kiya hai lekhak saahab ne uske baad ek nausikhiya bhi likhe to bhi kahani halki nahi ho sakti, aur yahaan jis level ka narration, aur scene specialization hame padhne ko mila hai, wo kaafi hai dikhane ke liye that this is, without a doubt,one of the finest stories available on XF... Chahe wo running stories hon ya fir completed, aur chahe future mein likhi jaane waali kahaniyan, is story ka ek alag hi sthaan bana rehne waala hai forum par... Aur iske liye writer saahab ki jitni bhi tareef ki jaaye wo kam hi hogi...

Fantasy genre ke saath shuru huyi ye kahani, kab alag - alag genres ke darshan karane lagi padhte waqt katayi pata nahi chala... Horror, Suspense, Thriller, Adventure, Romance and of course Fantasy, aur saath hi mein Erotica ke ansh bhi... Ek story mein is se zyada kis cheez ki apeksha kar sakta hai reader!? Again, one of the best stories I've ever read... Outstanding Stuff harshit1890 bhai... :bow: :bow: :bow:
Kya hi khubsurat kahani likhi hai aapne bhai... I'm just speechless, jitni bhi tareef karunga kam hi hogi... Erotica ka bhi bilkul sahi situation mein use Kiya gaya hai aur sabse important har kirdaar par lekhak ki shaandar pakad bani rahi hai... Har character ka kahani mein hona justify kiya gaya hai, kahin bhi koyi bhi character bina matlab nahi ghus aaya...

Ab dekhna ye hai ke Mehta waali meeting mein kaun kaun shaamil tha aur unka maksad kya tha? Aur Shruti is sab ki sachayi jaan bhi paayegi ya nahi? Aruhi sach mein kisi beemari ka shikaar hai ya kewal naatak kar rahi hai? At last, Ek baar ko apun ko ye bhi laga ke asal mein ye sab jo ho raha hai wo kewal Shruti ki kalpana hai... :dazed:

Outstanding Story & Updates Bhai & Waiting For Next...
Harshit bhai... Kayi horror stories padhi hain maine, joki poori tarah se horror genre par based hain but jis tarah ka scene aap create karte ho, taking into note ye story horror genre par based hai bhi nahi, that's phenomenal...
meghnath naam rakhne ke pichhe ki kahani bhi majedar hai 😍😍😍..
jab me TV nahi dekhta( waise tha nahi nahi ghar par ) tha bachpan me aur bas naam suna karta tha to khudko SHAKTI KAPOOR. kehta tha dosto ke bich 🤣🤣🤣..ye kissa padhke bachpan ki yaade taaza ho gayi 😍😍😍..
Slowly my interest is increasing towards the story full of adventure, fun to read, no doubt you are a great writer, thank you for writing such a beautiful story.
Have to admit, your story completely twists the thinking, sometimes it seems in the mind that it is just a disease and sometimes it seems like something supernatural. Your writing is commendable, even after writing this much there are many questions and there will be many such points which I have missed. In some scenes there was a combination of intensity as well as erotic scenes, which you have shown very well, what should I say now, now the words of praise are over understand my feelings.
harshit1890 Hats Off... enjoyed it. :applause:
but why were you making her nude everytime in front of everyone. :angry:
मुझे नहीं लगता दुनिया में कोई भी ऐसा माई का माल होगा जिसे इस कहानी की पहेली समझ में आ रही हो। गजब का दिमाग हिला रखा है आपने हर्षित भाई।
The whole incident, that Mansion one was written so beautifully that no words are sufficient to describe it! Ismein koyi doraye nahin ki maine aaj tak kisi ko bhi is tarah ka horror likhte nahi dekha hai... Haunted ko read kiya tha maine, kaafi pehle, aur main bilkul daave se keh sakta hoon, that you're the best,when it comes to generating real fear in readers, while they read the story..
Bhatt the phakk is this estory?:redface:
 
Last edited:

harshit1890

" End Is Near "
Prime
6,106
16,062
219
Update ~~ 27

Mene aaurhi ko kayi phone lagaye par usne nahi uthaya, class mein vo gayi nahi thi aur koi adhyapak class le raha tha jise mein dekh kar bahar se hi bahar ho gayi thi. Garmi puri thi badan pura ka pura pasine se bhar gaya tha use khojte hue. Jab vo mujhe building mein kahin nahi mili to socha hostel chali gayi hogi to mene bhi hostel jane ka faisla kiya. Ek hi to bed partner thi meri ab uska muh fulha tha to suljhana bhi mujhe hi tha. Main hostel ki taraf badhi aur tabhi meri nazar ek jagah jaa ruki. Kahan main aaruhi ko khojne mein vyast thi aur kahan vo alag hi zone mein thi. Mene bataya tha na hostel ke raste ke dayein aur bayein taraf ground hai jahan ek taraf football khela jata hai bas wahin aaurhi khadi thi ya pahunchi thi keh nahi sakti lekin uske pas ball ayi aur usne itni badia.. matlab itni zordar kick mari ball ko jaise koi bahut badi professional ho. Dil hi jeet liya ladki ne mera... main uski taraf daudi... " kya kick mari hai... " mene piche se atte hi use kaha. Samne khade ladkon ka chehra bhi dekhne layak tha.

" player reh chuki hun main... usi girls school mein jisko to gali deti hai " attitude jhalkate hue usne mujhse kaha.

" kya baat kar rahi hai.. tune ye to bataya hi nahi "

" abhi tujhe bahut kuch nahi pata.. football mera favorite sport nahi tha lekin apni friend ke chalte sikhne lagi aur fir dhire-dhire ruchi ane lagi game mein "

" yani tu aur teri friend champion the.. usne admission kyun nahi liya " mere sawal karte hi aaruhi ke chehre par attitude ki jagah dukh aa gaya.

" she is no more.. "

" oooh... sad.. kya naam tha uska "

" kyun? tujhe kyun janna hai? "

" for her memory... "

" Nimi" aaurhi ke sath main bhi kuch der yun hi khadi rahi. Mujhe aisa laga jaise khas saheli thi vo uski school ke dauran aur uppar se football mein ruchi lane wali saheli bhi " Nimisha tha pura naam uska "

" death reason? " maine pucha par aaruhi ne koi jawab nahi diya aur vo hostel ki taraf chali gayi. Mene use nahi roka aur khud college aa gayi, baki class lene. Aaruhi meri room partner thi jada jana nahi tha use, vo kuch alag thi ya aisi hi thi abhi samjhne mein time lagne wala tha, kabhi vo bahut jada bold ho jati thi aur kabhi itni sidhi ki samajh nahi ata ki wahi hai. Samajh pana use mushkil tha, ye mujhe pehle din hi malum ho gaya tha isliye mujhe uske alawa kuch aur logon ko apni life mein dalna jaruri tha.. isi liye mene us din wo bhi kiya. Class lena bahana tha, bich mein vishal ko tadne ka kaam bhi karna tha taki use aabhas bhi rahe aur sath hi sath confuse bhi, jise uska dimag kisi aur ladki par bhi na jaye aur mujhse baat karne ki himmat bhi na ho. Yahi to hum ladkiyun ka prakop tha is dharti par ki hum ladkon ko kisi bhi tarah majbur karke use deliberately confuse kar sakte the. Mujhe wahi karna tha vishal ke sath jisme mujhe kamyambi milni hi thi. Par in sab ke bich bhi aaruhi mujhse dur nahi ho rahi thi aur na hi main use dur kar paa rahi thi. Par us pehle din ke baad takreeban do din tak uske aur mere bich na ke barabar hi baat hui. Aisa lagne laga tha ki vo mujhse baat nahi karna chahti lekin vajah kuch aur thi jise janne mein mujhe kafi samay lag gaya.

Shruti ko rukna pada kyun ki jis kamre mein aaruhi thi wahan se kuch awaz aa rahi thi. Uske sath sath sabhi ki nazre kamre ki taraf mudi jiske bheetar aaruhi ko sulaya gaya tha. " lagta hai aaruhi ko hosh aa gaya hai " nandini sabse pehle kamre ki taraf badhi, shruti mana karti use pehle usne gate khol diya. Nandini ke piche vishal aur shruti aa khade hue, gaggan dur se hi dekhna pasand kar raha tha. Par andar se aa rahe shor ki koi bhi wajah unhe kamre mein nahi dikhai de rahi thi. Aaruhi abhi bhi bistar par hi laiti hui thi aur behosh thi.

" awaz kaise aa rahi thi andar se vo bhi aisi "

" jaise koi chal raha ho.. " shruti ne baat puri ki.

" han.. lekin yahan to aaurhi to uthi hi nahi hai. Hume doctor ko bulana chahie, kab tak aise behosh rahegi ye, kuch ho gaya to musibat tum sab ke sath mujhpar bhi ayegi, akkhir is waqt responsible person main hi hun.. mujhe Dr Guzral ko phone karna chahie " nandini bol kar wahan se nikalti shruti ne use rok liya.

" miss.. meri baat suniye.. uski koi jarurat nahi hai.. "

" shruti main tum logon par trust nahi kar sakti. Aaruhi ko kuch ho gaya to samsya badh jayegi.. tum log baarish mein bhige ho... kahin fever badh gaya ya nimonia ho gaya to, i can't risk her life "

" miss aisa kuch nahi hoga "

" tum itna sure kaise ho? "

" kyun ki miss aaruhi behosh nahi hui hai vo soo rahi hai.. vo nahi uthegi.. "

" nahi uthegi? kyun.. aur tumhe kaise pata nahi uthegi "

" kyun ki vo nahi uthti.. mene apko bataya ki pehle din kaise mene use uthaya itna hi nahi jo main apko abhi batane jaa rahi thi uske piche ki wajah bhi yahi hai. Jo awazein apne suni vo main bhi raat mein suna karti thi lekin kamre mein aaruhi soyi milti thi aur wahan koi nahi hota tha "

" mene kaha tha.. aaurhi mein koi bhoot pret atma chipki hai... " gaggan fauran bol pada.

" gaggan please stop.. tum mere sath bahar aao.. " nandini kamre se bahar nikli aur darwaja laga diya. Bahar abhi bhi bizli kadak rahi thi aur baarish ki gatti utni hi tez thi. Lub jub karti light ye bata rahi thi ki voltage ki gadbadi se kabhi bhi vo band ho sakti hai.

" shruti tum ye kehna cha rahi ho ki aaruhi jabse tumhare sath ayi hai use nind jada ati hai jiski wajah se tumne abhi kaha ki vo behosh nahi hui hai? "

" ji miss "

" aur agar tum galat hui to? "

" ho sakti thi, par miss jab se mene use purane hostel mein ate jate dekha hai tabse main apko jo bata rahi ho wo ek dum sahi hai.. Aaruhi vo nahi hoti jo dikhti hai... aur iske piche meri bhi jimmewari hai. Lekin main nahi janti thi ki aisa kuch hoga.. "

" aisa kya hua tha shruti.. mujhe abhi bhi tumhari kahani se kuch samajh nahi aya hai "

" nahi ayega miss.. kyun ki kahani abhi shuru hui hai.. vaise to college mein bahut si chizen hui aur hoti hai, par ye vakya shayad har college mein nahi ghatta. Takreeban hafta beet gaya, aaruhi se is dauran baat cheet kam hui. Vo college se hostel jaldi chali jati aur pure din college mein bhi chup-chup si rehti. Mene baat karne ki kayi dafa kosish ki lekin usne dhang se response nahi diya. Mujhe laga ki vo mere uski mom ke uppar kiye gaye mazak se naraz hai lekin aisa hota to vo kuch kehti, bolti bhi.. aur us din football ground ke pas mujhe jawab bhi nahi deti. Par sochti thi ki college na sahi hostel mein use baat kar lun lekin jab bhi jati vo sirf soti hi milti, usne ek hafte se raat ka khana tak nahi khaya tha. Situation mere control mein nahi thi aur mujhe laga ki vo apni hi dunia mein rehne wali ladki hai shayad girls school mein padne wale bache aise hi hote hai lekin dusri taraf mujhe aisa lagne laga ki uske past mein kuch chizen achi nahi hui hai jiski wajah se vo ghar se itni dur ayi aur shayad usi ka asar uske dimag par padh raha hai. Hafta guzar gaya, mujhe laga har din ki tarah aaruhi aaj bhi jaldi jakar so rahi hogi lekin aisa nahi tha, us din vo soyi nahi thi balki naha rahi thi aur ye baat mujhe tab pata chali jab mein apne floor par pahunchi "

" Corridor mein itna pani ? koi hai nahi kya.. " pani dhire-dhire aage badh raha tha jaise mene titanic movie mein dekha tha. " kisi ka leak ho gaya lagta hai.. " aage badh kar mene apna kamra khola tab samajh aya ki leakage apne hi kamre ke bathroom se hi tha. Peron mein pani ki chinta aur kamre ka saman jo zameen par pada tha sab pani se gila ho gaya tha. " aaruhi kamre mein nahi dikh rahi, kahin usne bathroom mein suicide to nahi kar liya... are aaruhi... " mene darwaje par dhakka mara aur vo khula nahi " kundi laga kar mar gayi... " mene zor se darwaje par dhakka mara aur andazan choti si jo kundi lagi thi jo ki already itni dhili padi thi ki vo asasni se tut gayi aur darwaja khul gaya. Darwaja khulte hi jo socha tha uska ulat hua, aaruhi samne nangi khadi thi aur shower se pani uske uppar gir raha tha.

" aaruhi... " mene awaz lagai lekin usne koi response nahi diya. Pani bharne ka karan aaruhi thi ye baat tab samajh ayi jab dekha ki nali mein pani jaa nahi raha hai aur uski wajah se pure floor par pani bhar gaya. Mene turant shower band kiya, aaruhi abhi bhi waisi hi khadi thi. Baal bhig kar uske chehre ko dhak rahe the lekin uske baal itne lambe the ki uske sine se lekar niche pet ke niche tak aa rahe the. Ek pal khamoshi mein main usko dekhti rahi, shower se band pani ki bundon ka shor mehsus karti rahi. Aisa laga jaise aaruhi sans hi nahi le rahi hai. " aaruhi.. " mene uske kandhe par hath rakha aur jaise hi use mere hathon ka sparsh hua vaise hi uske sharir mein harkat hui aur usne apni ankhein kholi jo ki mujhe nahi dikh rahi thi. Usne fauran mera hath pakda jiske pakadne ke baad mujhe abhas hua ki vo puri tarah se hosh mein aa chuki hai.

" shruti tu... yahan kaise " aaruhi ke honth jo bich ka hissa hi dekh paa rahi thi usme se awaz nikli to apni mumy ki kasam ek ajeeb si sirhan daudh gayi.

" main kya.. thodi der baad har koi aa jata "

" matlab "

" aaruhi pani nali mein nahi jaa rha aur pure hostel mein bhar gaya "

" pani ? " vo abhi tak confuse sound ho rahi thi.

" han ... tu naha rahi hai na " mere kehte hi usne mera hath chhoda aur apne chehre se baal hataye aur idhar udhar dekha. Jaise janne ki kosish kar rahi ho ki vo kahan hai. " main naha rahi hun... " vo kuch soch mein padi " fuckk... yani mene kapde nahi pehne... tu mujhe kab se nanga hi ghur rahi hai... tu kitni jadi haramzadi hai " usne fauran apna sharir chupane ki kosish ki.

" wah kya zamana hai, abhi agar main nahi ayi hoti to tujhe hostel ki sari ladkiyan aisi nangi dekh rahi hoti... neki kar aur bhosde mein maal wali baat hai ye to "

" kya? "

" pura pani pani kar diya ab kya karein... "

" tu pehle mera towel de "

" kya karegi janeman aise hi reh le " main use chedne ke liye aage badi to vo wahan se bhagi. Use bhagta dekh mera dhayan pehli dafa uske jism par gaya, apni chupati chatiyan jo hilte hue dikh rhi thi aur fir piche se uske nitamb... sahi mein mere se jada sundar hai ye ladki.. gori chitti fluffy si... jo bhi ladka lega ... kya lega vo... wah.. Main bahar nikli aaruhi apna badan chupate hue kapde pehnne lagi thi. Main wahin bistar par jaa baithi, pani farsh par abhi bhi maujud tha bas ab badh nahi raha tha.

" warden hostel se nikal degi ... shit.. main to gayi... ab nahi chhodegi vo... " main use baithe dekh rahi thi aur vo bad-badh kiye jaa rahi thi. Kapde pehne ke baad usne farsh par pade pani ko dekhti aur fir mujhe dekhti. " tune mujhe bataya kyun nahi "

" kya nahi bataya? "

" yahi ki pani nahi jaa raha shower band kar "

" kamal hai.. mujhe kya sapne aa rahe the ki tu naha rahi hai aur nali mein pani nahi jaa raha hai. Main to ayi college se tab dekha ki tu kamre mein nahi hai bathroom ka darwaja band hai. Mujhe to laga tu gayi "

" gayi kahan ? "

" vo sab chhod.. tu itna naha kyun rahi thi ye bata.. koi purani hindi movie dekhi kya? "

" purani hindi movie kahan se ayi.. "

" are isliye kyun ki jis tarah un movies mein dikhate the ki jab-jab ladkiyan muh kala karti thi to jakar nahati thi.. aur nahati hi jati thi... isliye pucha... kahin tera bhi to? " mene apni baat bich mein roki aur kisi tarah hansi rok kar rakhi.

" tera dimag theek hai... main yahan musibat mein hun aur tujhe mast sujh rahi hai " usne jaise hi meri masti pakdi meri hansi nahi ruki. " kutiya.. haramzadi.. kamini.. tujhe to maa behen ki galiyan dene ka man karta hai... pata nahi kis manhus ghadi mein tujhse pala pada... " aaruhi pareshan hote hue boli. " tujhse to baat karna bekar hai tum jaisi ladkiyan sirf apne liye hoti ho.. school ki bhi aisi hi thi tu bhi wahi hai... " bol kar vo khud se baat karne lagi " pani kaise nikalun... koi kapda leti hun usme pani bhar kar nichod kar washbasin mein dalti hun.. han ye sahi rahega.. "

" sun.. " vo itni mehnat karti mene awaz mari.

" dekh shruti mere pas time pass ka bilkul bhi time nahi hai sach keh rahi hun.. "

" tu yahan kamre mein nahi thi aur tujhe nahi pata kisne nal khula chhoda tu sahi samay par ayi aur tune nal band kiya... warna pani niche floors tak pahunch jata, tujhe kuch pata hi nahi " ek minute vo mujhe ghurti rahi.

" kehna kya chahti hai? "

" Yahi tujhe warden se kehna hai, waise bhi kamre thodi na lock hote hain aur uppar koi cctv bhi nahi hai... kisi ko kya pata kisne khola... hum to college mein padh rahe the na... " mene muskurate hue jawab diya. Ek pal vo sochti rahi aur usne meri baat ko dimag mein repeat kiya hoga jo ki karte hi vo samajh gayi.

" lekin agar warden ko ye pata chala ki main class mein nahi thi balki yahan thi fir... unhone attendance check kara li to "

" proxy meri janeman.. proxy.. pichle hafte bhar se main tumhari proxy hi lagwa rahi hun " main aram se piche laitte hue boli. Vo mujhe khadi dekhti rahi.

" to fir ab? "

" Ab bas 5 minute baad wahi karna hai jo mene abhi kaha.... "

Warden ko batai hui kahani sahi lagni hi thi uske pas hamare khilaf koi sabut thodi tha jo hum par action karti. Pani ruk jana hamare hath mein nahi tha aur itna pani bhar kar kaun nahata hai. Warden ne kaam hostel ke peon ko de diya tha jo uska behad khas tha. Ek number ka ladkibaaz, kamina admi tha jo hostel ki sari batein warden ko jakar batata tha aur ladkiyun se batein chupane ke liye unse kuch na kuch manga karta tha. Itna tak suna hai mene ki usme vo ladkiyun ki chadiyan, unki bra... aur kayi baar to vo unke live show bhi dekha karta tha.. ab ye usne kis kis ke sath kiya tha abhi tak uski khabar nahi hui thi. Hum dono warden ke room mein uske samne khade the.

" debu... pani saaf ho gaya.. "

" ji madam "

" pani kyun ruka hai? "

" abhi nahi pata madam.. par bathroom band kar diya hai kuch din ke liye jab tak theek nahi hota "

" acha.. theek hai tu jaa.. " warden ne debu ko jane ka ishara kiya. Sala bangali jatte-jatte meri aur aaruhi ki gand ko tadta hua gaya... iski harampanti ki bitte dino bahut kahani suni thi mene.

" aur tum dono.. " mene apni nazre samne ki. Warden jitni khatarnak sunai gayi thi vo utni hi thi, pehle din hi dekh kar pata lag gaya tha use. Hasth pusht to nahi thi vo lekin thi to vo bhi bangali hi full tez thi chaal bazz aurat thi. Pati se divorce karne ke baad uska adha maal andar kiya aur yahin college ke pas apartment lekar rehne lagi. Dikhne mein theek thaak thi, umar bhi 42-43 ki thi lekin jallad jaise swaroop iski kundli bana kar gaya ho aise sabhav ki thi. Bolti kam apni baton se marti jada thi. Pura hostel kabza rakha tha aur har koi darta tha sivai ek ke... lavanya.. uska bol-bala yahan bhi tha aur usi ke chalte uski chamchiyan bhi bachi rehti thi varna ye aur iska debu.. dono akele mein kya karte the nahi malum lekin hostel ki ladkiyun ke liye kafi the.

" tum dono complaint box mein koi complain mat dalna.. main bathroom sahi kara dungi.. "

" ji madadm " aaruhi ne bas itna hi kaha aur hum dono wahan khade rahe. Ab kya karein jab tak jane ke liye nahi kahegi jaye kaise.. mene to ishare se aaruhi ko kaha bhi par vo nahi hili.

" machii khayegi? " warden ne apni nazar uppar uthate hue kaha. Humne fauran na mein sar hilaya " to jao yahan kyun khade ho.. bola to ho jayega kaam.. ab kya mein nalli mein hath dalun? niklo " usne itna kaha aur hum bahar ki taraf nikal aye.

" kitni haramkhor warden hai.. non-veg hostel mein allowed nahi hai par khud machhii kha rahi hai.. matlab uske dharam mein hai to bhale hi vo machi tang kar nangi pure hostel mein ghume usko allowed hai par hume nahi.. "

" tu dhire bol sun liya kisi ne to bawal ho jayega "

" bawal se yaad aya.. aaj ke khane mein kya bana hoga.. bas kal ki tarah panner ki sabzi na ho "

" kyun panner ki sabzi mein aisa kya tha "

" are puch mat.. lambi kahani hai.. tu chal tujhe uppar pahunchte pahunchte batati hun.. "
 
Last edited:

SHADOW KING

Supreme
15,886
32,824
259
Update ~~ 24

" Ye atte hi padane laga, aise kaun se teacher hote hain? " mere alawa bahut se bachon ke man mein yahi prashan uth raha hoga lekin samne khade teacher ko hamare man ke bhavnaon ki nahi padi thi. Na to hum unhe jante the aur na vo hume par phir bhi vo humse sawal kar rahe the.

" kauno hath uthayega ya pirr sab aise hi bhoot bane baithe hume ghurte rahenge " mathe par bal dalte hue vo bole. Unke bolne par bhi koi nahi bola, jaise sabko sanp sungh gaya ho. Sab kaun se armaan lekar aye the aur kya mil raha tha isi sadme mein thi " ye college ya fir gurukul.. atte hi sawal " mene piche dhire se jhuk kar aaruhi se kaha jo usne sun liya tha. " ye matka mujhe khisekela lagta hai agli baar se iski class nahi lenge " meri awaz to bahut dhimi thi lekin itni shanti mein vo class ke andar halka shor de gayi.

" khud se baat kar rahe ho tanik humse hi kar lo... kaun hai jo ye fusfus kar raha hai.. " unhone itna kaha aur main shant ho gayi aur na hi apni jagah se hilli. Aaruhi bhi ghabra gayi thi isliye usne meri baat sunne ke baad bhoot ban kar baithe rehna sahi samjha. " nahi bologe.e.. theek hai.. tum sabko kya lagta hai ... " unhone apni pent sahi karte hue uppar ki aur podiyum ke samne aa kahde hue " hum us shaks ko khoj nahi sakte jo fus-fus kar raha tha... galat femi hai ... " chasma ko thoda ankhon se niche karke sabhi ko dekhne lage jisme ye pehchana mushkil ho raha tha ki vo kiski taraf ghur rahe hain. Mujhe bas yahi lag raha tha ki mere bagal wala na keh de ki main thi. " meri chokri jab tum logon ke umar ki thi tab usne phonewa ki zid ki.. ab hum tehre strict adhaypak humne mana kar diya lekin pirr vo barvvi mein avaal ayi to uski mang par hume usko phonewa dilana pada... Ab usko laga ki kamre mein phonewa ke sath vo kuch bhi karegi aur humko malum nahi hoga bas yahin vo fans gayi.. usko lagta tha ki apne phonwa par fusfusayegi to humka malum nahi chalega lekin hum har raat uski fusfusane ki awaz ko kewal pakadte hi nahi the balki sunte bhi the.. man to pehle hi din kiya tha ki phonwa lekar kamre mein band karke kundi laga de par agar hum aisa karte to hum pirr kahe ke adhyapak... adhyapak ka to kaam hi hota hai bachon ko shiksha dekar unhe aage badana bas humne pirr wahi kiya.. aur us din ke baad jab tak hamari chokri ne vo leemit ciross nahi kar di aur jis din usne aisa kiya itna toda na humne usko.. ki aaj bhi vo callage jati hai par nazre sirf kitab par hoti hai... sali chokron ke chakar mein aa gayi thi " apne zeevan ki kahani batate hue vo podiyum par gaye aur wahan jhanka " sala ee callage mein kisi ko kadar nahi hai... aee chokri.. pani ki bottle de " unhone pehli seat par baithi ladki ki taraf dekhte hue kaha.

" bottle carry nahi karti sir " us ladki ka jawab sun matku adhyapak apni pent uppar karte hue ek kadam aage aye. " apne thobde par maa baap ke paison ka maal potte hue tujhe sharam nahi ati yahan kya chal raha hai? ye callage hai ya dalla ghar padne atti ho na.. to in sabka ka jarurat hai.. ye lali.. ye ankhon ke niche kala pan... kapdon se koi ang jhank raha hai to kahin se koi... teri maa bhi aisi besharam rahi hogi tabhi tujhe bheja hai.. panni nahi caary karti.. " unhone ek hi jhatke mein us ladki ki izat ko jale hue panne ki tarah rakh kar diya aur tab mujhe samajh aya ki unhone apni kahani kyun sunai thi. Par uske aage kuch kehte uske sath wali ladki ne pani ki bottle turant nikal kar de di varna to vo apni tipadiyan chalu rakhte. Pani pite hue unhone bottle ko apne pass hi rakh liya. " tum mujhe is class ke baad mere kamre mein milna.. " unhone itna hi kaha ki kuch bachon ka dimag ka ghoda kahin aur dauda aur hans diye, jisme mein bhi shamil thi aur bhari matra mein ladke the. Us ladki ki izat jo rakh bani thi ab vo mitti mein tabdeel kar di gayi.

" battisi fadna band karo warna denge ek kantal par tumhe " unhone ek ladke ki taraf dekh kar kaha jo kuch jada hi hans diya tha. Dant khate hi usne usne fauran apne dant andar khinch liye. " bahinchod chutiya samjhte hain, tumhari umar se jada tajurba hai hume " fuli hui sanson se vo bole aur pani ka ek ghunt kulla karta hue galle se niche utarte hue bole " ab mujhe koi is prashan ka uttar dega ya khin-khin karne ke liye lakhon rupiyah diya hai tum sab kacharon ke maa baap ne, paysa ko barbar mat karo.. uska istemal karo.. aur apne tan ki jagah budhi ka karo.. " akhri baat unhone usi ladki ki taraf dekhte hue kahi. Sahi lapeta gayi jiske chakar mein main bach gayi thi. Khair kisi ne " what is c? " ka jawab diya par vo kya bola na to kisi bache ko samajh aya aur na hi sir ko.. Jiske baad unhone bas itna kaha ki pehle ke 3 chapter isi par hai jo humne 11-12 mein pade hai unhe revise kar lo. Kuch doubt ho to internet ka sahara le lena. Iske alawa practical ke kuch sawal vo kal denge jo practical room mein karne honge aur uske basis par hi first interim ke marks ke kuch marks add honge. Unke jatte hi jaise class ke sabhi bachon ne sans mein sans li lekin us ladki ki sansein abhi bhi ukhdi hui thi. Vo is asmanjas mein jaye ya nahi.. kyun ki aksar aisa hota hai ki aise teacher keh kar chale jate hain aur baad mein bhool jate hai, yahi sochte hue usne wahin baithne ka naki kiya.

" kamal ka teacher tha... na hi naam bataya aur na hi tarike se baat ki.. pata nahi kaise ye college mashur hai.. na hi bache ache hain na teacher na hi mahol " aaruhi ki baat mere kano mein padi to mene us ladki se nazar ghumai.

" ye college hai darling.. yahan soch ke hissab se insan nahi atte... yahan ane ke baad soch insan ko dekh kar badalni padti hai samjhi? "

" tu to rehne hi de.. mujhse baat mat kar.. teri wajah se fansi hun aaj bekar teri suni mene "

" fans gayi lekin nikal bhi to gayi na.. kuch hua to nahi na aur meri ek baat samajh nahi aa rahi ... ye lavanya tere bare mein aisa kyun bol rahi thi? " jab mene aaruhi se puchne ki kosish kari to usne baat ko ghuma diya.

" mujhe use bare mein nahi baat karni.. maa sahi keh rahi thi hostel mein nahi rehna chahie... Pg/flat hi le leti hun.. "

" i am in "

" no you are not allowed "

" abe tu bahut jada roti hai.. girls school mein ladkiyan aisi hi rondu hoti hai kya.. thoda bold ban.... tu bhi raaj karegi college mein fir "

" acha.. vo kaise... " baal jhatakte hue aaruhi boli.

" bas aise hi... " maine apni baat khatam ki aur class mein entry hui next teacher ki. Uske enter hone ke baad mujhe ye to samajh aya ki yahan ke ladkon ke jeans mein baval uth raha hoga. Slevless green blouse aur uske uppar usi rang ki sarre, khule baal ke sath hamari agli adhyapak class mein ghusi. Khubsurat aur aurjaron se bhari.. yani uppar se lekar niche tak perfect asset.. unki chatiyan ho ya fir unki piche ki golai.. aaruhi ki golai ko wahi takkar de rahi thi. Ab mujhe jalan hone lagi reason tha ki ye salle class ke ladke adhe time isi ki baat karte.. ya fir khayalon mein rehte.. aur jis ladke ko meri leni hoti vo jaan kar mere samne nahi karta tarif.. par akele mein muth jarur marta..

" helo everyone.. My name is Nandini Mehta... I am your Physics teacher... you all can call me nandini miss or miss whichever you prefer " bas jaise hi unhone bataya ladkon ke man mein laddu fut gaya.. Physics... vo bhi female teacher.. ab to ana jana laga rahega. Mene kuch ladkon ki taraf dekha abhi se man hi man nandini mam nahi-nahi miss ko bina sarre ke dekhne mein jut gaye the. Maza ana wala tha.. inko chedne mein... Ek taraf nandini miss class mein famous hone wali thi dusri taraf main.. Physics ki class bore ho sakti thi lekin interesting rahi kyun ki us class mein padai nahi hui, wo hua jo hona tha.. Introduction.. kuch ladko ne apna parichay dete hue miss ki tarrif tak kar dali.

Vaise to nandini miss ki umar theek thak lag rahi thi, sundarta ko judge karke mana jaye to 29-30 ke bich aur isi bich ek ladki aurat ka sabse khubsurat period hota hai. Sabse bhari jawani isi umar mein hoti hai, ladke bhi kachi kaliyun ki jagah is age ki ladkiyun par kudne ko daudte hai hai. Pata nahi kyun, dimagi kida tha ya fir kache ke andar wala. Nandini miss ke jane ke baad thoda josh class mein dikha aisa laga jaise vo physics mein gravity ka matlab bistar par hi batane wali hai... ye ladke inki jaat aur inka nunu kabhi nahi sudhar sakta.

" tu aage aa rahi hai? " aaurhi ki awaz sunte hi main apni soch se bahar ayi. Jo ladka uske sath baitha tha vo uth gaya tha aur baju vale ladke se baat kar raha tha.

" ye baitha hua hai.. i don't like threesome "

" tu aa rahi hai ya nahi " usne gussa dikhate hue mujhse kaha jispar main bina bole wahan jaa baithi.

" kaha tha na mere bina nahi reh sakti tu.. "

" uska dhayan meri chatiyun par jada tha bar-bar ghure ja raha tha, sala apni maa behen ke bhi dekhta hoga aur jab se nandini miss ayi hai tab se uska vo aur jada khada ho raha tha isliye bulaya hai tujhe... ye galat femi mein mat reh ki tere bina mera kuch nahi ho sakta " aaruhi ne tevar ke sath jawab diya.

" ohoo... to ye baat hai... atte hi tune apne dore dalne shuru kar diye "

" main aur in par dore? tu mat bol "

" to teri nazar uske nunu par kyun thi? "

" nunu? " aaruhi ne ajeeb sa chehra banaya, mujhe use chedne mein maza aa raha tha, subah usne mujhe jada tang kiya tha badla to lena hi tha. " han han bata "

" ab main use gusse se dekhna cha rahi thi ki nazar hataye bas usi mein chali gayi nazar ... aur tu aise sawal mat kar... "

" kyun... andar ka mal garam ho raha hai kya " main aur vo fusfusate hue baat kar rahe the baki class mein shor tha kyun ki koi next teacher aya nahi tha isliye kisi ko sunai nahi de raha tha.

" haramkhor aurat chup kar.. mera koi interest nahi hai "

" han han.. sab malum hai... tujhe vo kone wala ladka pasand aa gaya hai "

" kone wala? kaun se kone wala? " aaruhi ne class ke ek taraf nighaein dalte hue kaha.

" tadap to dekho inki.. bas mil jaye.. isliye pg/flat lena cha rahi hai taki usi flat par dhaka-dhak..dhaka-dhak.. leti jaaye leti jaye.. " meri baat sunte hi aaruhi ne fir mera hath khinch dala.

" oii maa.. bitiyaachod di hath ki... aaruhi teri main kisi din bahut buri marungi... hath nikal gaya mera to koi ladka dekhega nahi meri taraf... yahi chahti hai tu.. taki sare launde lapet le par teri is chalaki par tujhe kamyab nahi.. unhoo aahuhuuu ... " main kuch aur kehti use pehle aaurhi ne muh par hath rakh diya aur tabhi kisi ke ahat se class shant hui. Class ka next teacher aa chuka tha, jab yahi baat us ladke ko malum hui jiski seat par main aa baithi thi vo palta aur usne mujhe baitha dekha to vo meri taraf aya mujhe uthane ke liye. Mene utne mein aaruhi ka hath apne muh se hataya.

" kya dekh raha hai... "

" main baitha tha yahan "

" han to ab main baithi hu... piche chal " mere bolne par vo tewar mein mujhe ghurne laga " abe oo nakli picture ke side villan ... piche chal warna jahan tu abhi ghur raha tha na uski complain kar di na to tera nunu fantasies mein kuch lene layak nahi bachega.. chal piche.. " mene jaise hi use kaha to vo ladka to aise muh fade dekh raha tha jaise mene uski fantasies ki hatya kar di ho sath hi mein aaruhi meri daring dekh kar hairan thi.
nice update ..ye unknown teacher ne apne beti ka example mast diya 🤣... par ye kuch jyada hi gaaliya deta hai 😡.. ..
ladki ki koi bhi ijjat nahi kar raha ,,sidha uske maa ko hi character certificate de diya usne ..

aise teacher ko raste me pakadke achche se dhona chahiye ki dobara gaaliya naa bake aur ladkiyo ki ijjat kare 😁😁..
 
SHADOW KING

Supreme
15,886
32,824
259
Update ~~ 25

" tumhe punishment mili hai? " adhedh umar ki aurat thi hamari agli adhyapak jisne puri class mein ek laute ladke ko khade dekh kaha, jise sunte hi vo meri wali jagah par jaa baitha jahan main pehli baithi thi. Class mathematics ki thi, mera sabse boring subject aur uppar se padane wala mahan. Usne atte hi padana shuru kara aur sirf wahin tak uski awaz sunai de rahi thi jahan vo khadi thi. Pata nahi us ladke ko itni unchi awaz mein kaise dant diya.

" ye takat teri lavanya ke time kahan gayi thi? " aaurhi ne board se copy karte hue pucha. " aur ye kya kar rahi hai? " jab usne mujhe dekha to ek aur prashan daag dia. Main board par chappe jaa rahe integration ko avoid karke naam likh rahi thi. " kiske naam likh rahi hai? " usne mere se fir pucha.

" class ke kaun se launde ache hain unke.. "

" tu kya chiz hai... " aaruhi meri taraf dekh rahi thi.

" inse achi hun.. pehle din kaun class mein padata hai.. kaise teacher diye hain hume.. uppar se yahan ladkon ke naam dekh.. adhe to main naam dekh kar reject karungi... tu ye naam dekh.. raju, navin, mohan, ajit, tanmay.... aur han ek aur yaad aya... ishu.. LOL ... aise naam jo ladki aur ladke dono ke hote hain mujhe unka version alag lagta hai "

" version? "

" han.. version.. male aur female.. humare human beings ka version "

" use sex kehte hai "

" vo to chutiap hai.. sex to karne wala hota hai.. right word is version " mene ek aur naam likh kar kaata, kata isliye taki ladkon ke naamo mein koi confusion na rahe aur ye apne aap ko yaad dilati rahun ki agar koi nahi mila to bhi inko laar tapkane nahi deni. Khauf hona chahie mera inhe..

" tu ye sab kyun kar rahi hai kaun batayega? "

" abhi to bataya "

" kab bataya "

" tune nahi suna? "

" tune bola hi nahi " aaruhi ke kehne par samajh aya ki main man mein kaha tha na ki use.

" vo chhod.. ye bata.. tujhe kaun sa pasand hai "

" koi nahi "

" ek bhi nahi? " maine hairani mein pucha.

" han.. ek bhi nahi... "

" wah bhai.. tere to nakhre hi kamal hai.. aise nakhre karegi to teri lene ke liye kisi ko swarg se hi bulana padega fir " meri is baat ka usne koi reaction nahi diya balki sawal rakha.

" tujhe koi pasand hai? "

" meri pasand to pehle se hi hai "

" itni jaldi? "

" aisi chizon mein samay kharab karna matlab sukha rehna "

" sukha vo kaise? "

" ye gyan tujhe baad mein dungi... tere girls school mein kuch nahi sikhaya.... aisa kaun sa school hai jahan sirf padai hoti hai? "

" school mein padne hi jate hai na? "

" vo sirf tab tak jab tak susu karne ke liye ladka maa ka sahara leta hai aur ladki chaityun par pehli baar bra pehne ke liye maa ka.. uske baad school ki padai khatam.. uske baad sirf dunia dari sikhi jati hai "

" aur us dunia dari mein kya hota hai? "

" us gyan ke liye aap 407 number mein roz raat 10 baje se 12 baje tak ka pravachan le sakti hai wahan apko pura gyan choda jayega i mean diya jayega "

" dramebaaz haramzadi hai tu.. " aaruhi ke honton par halki muskan thi. " ab bata kaun hai vo ladka? "

" vishal " mene turant jawab diya.

" vishal? par aisa ladka to hamari class mein nahi hai.. ya mene dhayan nahi diya.. kaun sa hai inme se " aaurhi ne nighaein ladkon par fenki.

" yahan nahi hai vo.. aur tu bade dhayan se naam sun rahi thi "

" ab vo chutiya ka pilla meri chatiyan dekh raha tha to dhayan bantne ke liye naam sunne lagi, tu ye bata vishal kahan se aya bich mein? "

" bich mein kahan.. vo to starting se hai.. usi ke niche laitna hai ab bas.. hayee... tune sochne ka mauka de diya to aisa lag raha hai bas lait rahi hun aur vo uppar aa raha hai.. " mene madhoshi mein ankhein band ki to aaruhi ne chapat meri chatiyun par dhar di. " haramkhor.. size kam hua na to tere kaat dungi .. " mene turant ankhein kholte hue kaha.

" mere marne se kam ho jayenge.. LOL "

" to dabane se badh bhi to jate hain na LOL " itna keh kar meri aur uski hansi chhut gayi par jaldi control karni padi kyun ki hamari adhyapika piche ghum kar dekhne ki kosish kar rahi thi.

" bata kahan hai vishal aur kaise hui mulakat "

" vo baad mein bataungi.. par vo hai.. hamare batch ka hi.. Mechinical mein hai "

" mechinical... wahi na jahan par ladkiyun ka akal hota hai "

" han exactly wahi mechinical jahan par ladke ek time par akar apne hath se bhi thak jatte hain aur ant mein .. sales job kar rahe hote hai.. wahi mechinical.. jahan par pani ki bund bhi hoti hai to sabhi mechinical wasi us taraf jhund ke jhund bhag nikalte hai... biryani CS IT mei hoti hai aur khusbu mechinical tak felti hai... usi mein hai mera vishal " mere lambe dialog ke baad aaruhi ek pal chup rahi.

" par mechinical hi kyun? "

" tujhe na har chiz ka gyan dena padta hai.. ek baat bata.. jahan supply jada ho wahan chizon ke bekadari hoti hai? " usne han mein sar hilaya " aur jahan demand kam hoti hai wahin supplies ki izat hoti hai barabar? " usne fir han mein sar hilaya " han to bas.. soch.. jo insan pani ki bund muh mein bharne ke liye zindagi bhar mehnat karta hai use ek balti pani mil jaye to vo kitni mehfus se rakhega "

" yani.. " vo kuch kehti use pehle main boli.

" yani.. vo mujh par lattu rahega... aur meri kadar karega... lega to sirf meri aur ... isi dream ko lekar mene use chuna.. vaise naam mein vishal hai.. umeed hai ki uska vishaal hoga.a.. haha.. maza aayega.. " aaruhi mujhe ek pal aise dekhti rahi jaise mer greh dusra ho.

" tune itni badi planing ki ? "

" college ane se pehle vo bhi.. tujhe kya lagta hai main itni jaldi kyun aa gayi thi vo bhi garmiyun ki chuttiyun mein.. " mere kehte hi aaruhi ko samajh aa gaya hoga ki main kya cheez hun, school mein kabhi bhi kuch nahi kar payi, kaise karti.. maa ka hold jo tha wahan par... ek to school ki principal thi vo, ana-jana bhi unke sath hota tha. Uppar se kuch kar du aur teacher dekh le to unhe bata diya jata tha. School ke sapne aur tangon ke bich ke apne khawab ko pura karne ke liye hi to yahan ayi thi. Ab har ladki ke apne sapne hote hai.. jo vo college ki padai mein ya jeevan sathi mein khojte hain par asliyat to ladkon ki ek hoti hai aur main wahi chiz ka sapna lekar ayi thi. " Chudo chudao baki sab bhad mein jao. Na shadi ka moh na hi jeevan ke future ka... zindagi ka sukh na mile to sharir ka hi bhog jao.. " meri is baat par mujhe shabashi milni chahie thi lekin aaruhi ka alag hi scene tha.

" chutiya aurat hai tu.. meri or dunia ki bhasha mein aisi ladkiyun ko randi kehte hai "

" girl school ki padi hui tum kya jano sukh.... kya hota hai "

" tu hi le ye sukh mujhe bakshh de "

" to mene pehle hi kaha hai i don't like threesome "

" i am not interested also... par mujhe abhi tak ek baat samajh nahi ayi. Jab tune pehle se hi ladke ka chunav kar rakha hai to fir class ke ladkon ke naam kyun likh rahi hai "

" are meri dimagi piditaa... vo kisi aur par dore nahi dal sakta.. par main to daal sakti hun na.. because i have more supplies than i demand " mene apne baal jhatakte hue kaha. Public place mein ise jada aur hum jhatak nahi sakte na LOL

" dhanye hai aap .. aur apke vichar... physics ke gyani hokar apne economics ki jo maa hi chodi hai na uska kya kehna "

" isi ko talent kehte hain meri khubsurat bed partner "

" oo helo i am not your bed partner "

" room partner.. slip of jazbat.. " mene hanste hue kaha to vo mujhe ghurne lagi. Dono ki baat cheet mein do lecture kab pure kar diye un mahan vakytitv ki adhyapka ne ki hume khub malum chala. Kuch bache piche wale so gaye the.. batao pehle din ka ye haal tha to pura semester kaisa jane wala tha ye apne aap mein ek bahut dilchasp kahani banne wali thi.

Break mein main aaruhi ke sath canteen pahunchi, labalab bhari padi thi, first year se lekar akhri year tak ke bache wahan maujud the. Aaruhi ko lavanya ka dar tha isliye vo jana nahi chahti thi lekin ab dar kar kitna chup sakta tha banda aur kaun sa vo sabke samne izat lut leti waise bhi hostel ki ladkiyun ke sath vo aisa nahi karegi. Hostel ki pratha hoti hai ek.. jise langna sakht mana hota hai aur uska palan use bhi karna padega bhale hi vo khud us jagah ki rani kyun na ho.

" queen nahi hai vo witch hai.. "

" tujhe bada gussa hai use.. abhi tak ye baat nahi samajh ayi kyun? " mene samosa khate hue use jawab bhi diya aur sawal bhi kiya.

" adhe se jada ladke is taraf kyun dekh rahe hain bar bar "

" ab do-do maal baithi hai.. dekhnge hi.. mujhe to abhi tak samajh nahi aya ki tu abhi tak chudi kyun nahi hai "

" dhire bol le.. meri izat ki gand na maar "

" izat ka kya hai.. vo to ati jati rehti hai aaj rahegi, kal ko pati ko malum hoga ki vo pehla launda nahi hai jisne tere black hole mein entry kar rakhi hai to izat khatam.. " mere itna bolte hi uska phone bajne laga.

" mom ka phone.. ab do minute chup rahio " aaruhi ne phone uthaya " han mom.. "

" speaker par daal na.. main bhi baat karungi.. "

" nahi.. " usne phone par hath rakhte hue kaha.

" kar na.. varna mein chilla dungi aaruhi kaun hai ye ladka soch le.. " meri dhamkhate hi usne phone speaker par dala.

" aaruhi.. are you there? "

" yes mom.. bolo "

" bolo? call kyun nahi kiya, matlab hostel kya gayi bhool gayi hume "

" mom.. ye sab bolne ke liye phone kiya "

" nahi.. but tumhe call to karna chahie na.. kaisa hai sab aur ye shor itna kyun hai? "

" canteen mein hun.. kha rahi thi isliye speaker par rakha hai apko.. aur main ek dum achi hun abhi ek hi din to hua hai "

" do din ho gaye hai.. tumhe gaye hue.. meri maan lo abhi bhi.. flat ya PG le lo.. kyun hostel ke chakar mein padi ho "

" mom mujhe koi dikkat nahi hai.. hogi to bata dungi na.. ek hi baat baar baar kyun bolti ho aap "

" aunty khud chahti hai tu laundo ko lekar jaye.. aur wahan dhaka-dhaak kare.. " mene kaha to aaruh ne gusse se mujhe ghura aur meri hansi chhut gayi LOL uski aisi shakal dekhna bada pasnd tha mujhe.

" kya kaha "

" kuch nahi mom.. vo bas meri friend thi.. "

" friend kaun hai kya naam hai ? "

" namastey aunty.. main Shruti.. aaruhi ki friend aur uski room partner... "

" namastey beta... kaise ho aap? "

" i am good aunty.. and aaruhi bhi good hai.. uski fikar mat karo aap "

" kam bol " aaurhi ne dabi awaz mein kaha.

" nahi beta.. fikar to rehti hai na.. hostel mein rehna khana kaisa hota hai sabko pata hai... ye to zid kar ke wahan chali gayi warna main to ise kabhi nahi jane dete. Main to abhi bhi kehti hun pg/flat le le aur tumhe bhi kahungi.. dono sath reh lo "

" aunty chahti hai ki tu mere sath hi rahe.. meri bed partner ban kar LOL "

" chup reh.. " aaruhi fir gusse bhari dabi awaz mein boli.

" kuch kaha beta? " phone se awaz ayi.

" mom baad mein baat karti hun yahan shor hai aur mujhe khana bhi hai.. disturb mat karo "

" acha ab mom disturb karne lagi.. abhi tumahre dad se kehti hun ise wapis bulao "

" ok bye.. " aaurhi ne phone cut kiya aur mujhe gusse bhari nazron se dekhne lagi jahan meri hansi nahi ruk rahi thi.

" vaise aunty karti kya hai? "

" doctor hai.. aur khud bhi hostel mein reh chuki hai isliye muje mana karti hai "

" ooooo yani aunty ko pura exprience hai... "

" chup kar haramazadi.. har koi teri tarah nahi hota "

" main to hostel ki baat kar rahi thi.. gandi soch wali ladki hai tu... tere dimag mein bas.. dhakka-dhakk bhara hai "

" jada mat bol "

" sahi to keh rahi hun... ab aunty medical college mein padi hui.. hostel mein reh chuki hai vo bhi panch saal.. unhone to pura exprirence hoga har ek chiz ka.. "

" dekh shruti bas.. aur mat bol "

" main sirf bata rahi hun ki unhe exprience hoga na.. to unse baat khul kar karni padegi " main aaruhi ko ched rahi thi par nahi janti thi ki vo itna chid jayegi. " bass.. tu aur teri gandi soch.. " vo itni tez chillai ki canteen ke kuch log hamari taraf hi dekhne lage. Usne apna samosa wahin fenka aur uth kar chali gayi " aaurhi.. sun to.. " mene awaz lagai lekin vo nahi ruki. Mene use jata hua dekha aur fir samose ki taraf dekha, ajeeb stithi thi, ye ladki to badi bachi nikli.. mazak ko mazak na liya.. khair.. mene soch vichar karke samosa khane ka nakki kiya aur usko khane ke baad hi canteen se bahar nikli aaruhi ko khojne ki vo akele is dunia mein kahan gayi jahan main swayam use bachane ke liye nahi thi.
nice update ..yaha bhi shruti kisi mechanical class ke sunil par lattu hai ..
aur aaruhi ki maa bhi hostel me rehti thi apne waqt me ..
aur aaruhi ko hostel me naa rehne ki salaah bhi de di jaise supriya ka matter tha 🤔.
 
SHADOW KING

Supreme
15,886
32,824
259
Update ~~ 26

nice update .saari kahani repeat ho rahi hai aisa lagta hai 🤔🤔🤔..aaruhi football player hai aur uski dost nimi marr chuki hai ..par kaise mari ye aaruhi ne bataya nahi shruti ko ..
warden aur peon wo bhi ladkiyo ko taadnewala 😁😁..

aur ye aaruhi itna naha rahi thi jaise usko hosh hi nahi tha 🤔..paani bhar gaya poore room me aur jab shruti ne darwaja todne ke liye dhakka maara tab bhi usne ander se aawaj nahi di 🤔..
aur ye iska bhi bathtoom se paani nahi nikalta jaise pehle tha matter ..
 
harshit1890

" End Is Near "
Prime
6,106
16,062
219
Baaki baatein ek side rakhiye :bat:
agar next update us lavanya ya uske group ne kuch bhi galat kiya to.... baaki upor wala hi jaane unki haal kya ho revo pe.... bol deti hu pehle hi :D
aur akhiri baat bhi yahin hai :bat:
us lavanya ki to :chop:
:roll:
lagta hai lavanya to giyo... :bat:
agar aap apni us chaheti lavanya ko bachana chahte hai to suspense se parda hata dijiye :D
sab bachenge.. :smokin:
nice update ..lavanya ne piku ko sabak sikhane ka socha par usko period aaye the isliye respect ke saath jaane diya ,,par waat to lag hi gayi piku ki 😁..
sabko bachane wala ek hi hai :D
This update is like driving a car in circle round and round and round with nowhere to reach 😂😂
Sometimes long drive is best :D
nice update ..ye aruhi kuch jyada hi darr rahi thi , par ye lavanya ne aisa kyu kaha ki chup chup kar chut masal rahi thi 🤔🤔🤔.. kya in dono ki mulakat pehle bhi ho chuki hai .

aur ye teacher ne aate hi padhana shuru kar diya 🤣🤣🤣..
Uske piche bhi kai raaj hai.. aage malum chal jayega... bhai.. keep reading... Thanks :D
Ary harshit bahi itne Dino bad mille ho :music:
Thora jaldi update phenka kro
:redface:
Mast zabardast shandar update
Thanks bhai :bow:
ye shruti flashback suna rahi hai ki history... jo khatam hone ka naam hi le rahi hai :banghead:
aur sab kuch bata rahi hai Nandini, vishal aur gaggan ko ki kya kya ho raha hai.. kitni besharam ladki hai :sigh:
So harshit sahab meri baat nahi maanne wale... lavanya ko mann marzi karne ke liye khula chhut de kar hi maanenge aap.. Fine... :devil:
So......

Lavanya.... tharki soch rakhne wali lavanya badsurat hone ke baad bhi ek professor thodi bahot kabbadi kya khel li uske sang.. us kamini ne to har junior par kohraam machane lagi...par junior ladkiyon pe kyun sitam dhaye, junior ladko pe kyun nahi... DARR hai ki kahi ladko ke dwara akele rehte waqt uski rape na ho jaye ya phir lesbo hai lavanya.... Haan to kya baat kar rahi thi wo....
Haan "darr"
to darr kise kahte hai..... Agar kirdaar lavanya ko bina mask gloves aur ppe kit pehne ushe covid infected wale logo ke bich ek room mein chhod diya jaye tab jo dar dilo dimag mein cha jaye pure sarir jo thar thar kaape ushe kehte hai asli darr :D
Kabhi us darr ka bhi samna kar leni chahiye is tharki lavanya ko :D
Phir baat kare darr ko lekar... ;)
ya phir us bhootiya hostel mein 100 raatein akele bita ke dikhaye...phir baat kare darr ki :D

Khair uske friends jo insaan kehlane kr layak nahi hai .. shayad ishiliye baatein bhi unki aisi hi hai.. :akshay:
Flashback ye honi chahiye ki jab lavanya aaruhi ki Kamar jor se daba rahi thi to aaruhi darr aur ghabrahat ke maare apni do ungli us lavanya ki aankhon mein ghusa ke uski aankhein fod di... lavanya dard aur khauf se tadap rahi thi jameen pe lait ke :D.... khoon ki dhara aankho se beh kar farsh par gire :D aur phir tab jaake aaruhi us haaraman lavanya se puche ki kyun itna DARR aaj ke liye kaafi hai na :D

So matlab us raat pehli mulaqat mein is haaraman lavanya ne aaruhi ke sath wohi ghatiya mazak ki ragging ke naam par jo aaruhi ki imagery world mein tanu ne supriya ke sath ki thi ...
Ya to supriya ek sach hai aur jo jo ghatna uske sath ghati thi wohi ghatnaye phir se itihash ki tarah repeat ho rahi hai aaruhi ke sath...
Ya phir haaraman lavanya ke torture ke chalte apni ek imaginary world bana li hai aaruhi ne.... jisme ya to khud ko supriya maanne lagti hai ya phir ek Kalpanik kirdaar ko mann mastishka mein bana leti hai jiske sath wohi ho raha hai jo aaruhi ke sath hua...
is hisab se to aaruhi future dekh sakti hai... matlab abhi lavanya ki hatya huyi nahi... jaise tanu ki huyi thi khaufnaak tarike se... matlab ab lavanya ki hatya hone wali hai :D

Khair...... aaruhi bilkul thik kar rahi shruti se duri banake.... usiki wajah se wo fanshi... :sigh:
(nothing personal, just a simple review ;))

Khair..... update kaafi dilchasp tha
Let's see what happens next
Brilliant update with awesome writing skills harshit sahab :applause: :applause:
Itni jaldi flashback khatam kar denge to maza kaise ayega.. kahani jaldi nipat jayegi.. :D Kuch to maza aane dijeye... abhi to thda bahut dhaka-dhak bhi ana chahie aur readers ke lie :D
Kash 2012kikahani mei covid add kar pata to sab daal deta... par dar aur lesbo nahi hai lavanya.. vo alag prakar ki pagal aurat hai...
Apke wala flashback.. mast hai.. live khoon ... maza ata... lekin kahani hai nahi aisi varna kar deta :D Par ayega flashback jab bhi jiska bhi jikar hua hai uska itihas hamare samne ayega... koi chinta wali baat nahi hai :D
Future past present sirf ek shabad hai... hum thodi time travel kar sakte hain.... :D
Thanks naina ji :hug:
Har update ke sath sawal hi sawal uth khade hote jaa rahe hai par jawab ek bhi nahi.....

Supriya aur 2nd lead megha se suru huyi kahani
abhi running aaruhi aur shruti ko lead mein leke
Supriya - link - ??
Tanu - link - ??
Megha - link -??
unki friends - link ya connection -??
Vishal, gaggan, nandini, Lavanya & friends, aaruhi & shruti - link - ek hi college se

?? are yaar in dono supriya aur megha ne to dimag ki aisi ki taisi kar di hai :banghead:
No link... everyone is... nothing.... :roll:
आप को तो पता ही है थोड़ा समय खराब चल रहा है ।
और हर्षित भाई भी इस बात को समझते ही होंगे ।
रेभो तो हर अपडेट पर नहीं दे सकता पर कोशिश करूंगा कि जितना संभव हो दे सकूं ।
Han bhai bada bura samay chal raha hai isme koi shaq nahi hai.. bhai first is personal life... ye sab to baad hai... Take care.. :hug: koi jarurat ho to batana jarur...
Scared pussy- A new term, ye kya talent hai
Jhol jhaal wala talent hai.. :D
Khatarnak
Thanks bhai :hug:
 
harshit1890

" End Is Near "
Prime
6,106
16,062
219
Update-11
Mujhe aaj pata chala ki bachiya engineering college ki kshatra hai... Pahle bataya tha kya, mujhe yaad nahi raha.:hmm: khair ab Ab to aur maja aayega... Kaha supriya ne idea pucha tha aur idea dene ke bahane megha ne pure engg. Ladko ki gand maar li.. Waise satya bhi hai ye.. Kayi bechare chut ki tallash me chutiya bane ghoomte rahte hai...
Jab se supriya ko megha ne bathroom waala advice diya, tabhich apun samajh gaya ki indirectly khayi me bhej rahi hai megha ko.. Idhar aakash ke sath hawas mitayegi udhar supriya ki fat ke chauraha hoga... Waise Sonu ko pyar se apna pichhwada dikhakar room wale bathroom ki chabhi liya jaa sakta tha :innocent:

Ye lawda bachane ka tarika hai ki pilwane ka 🙄 lagta hai Megha ka concept clear nahi hai... Story theme ko lekar :p: bathroom me akele.. Wo bhi raat me... :ohno:

🙄🙄🙄🙄🙄
Han bataya tha... starting mein hi bhai..... ab engineering ke alawa college hote hi kaha hai sabhi to gadha majduri karne nikalte hai sckul ke baad :D Warden apna pichwada de deti use aisa hota to :D Hahahaha.... Thanks gyani bhai :hug:
Update-12
:wtf: saara kriya karam kar diya supriya ka.. Gand to fadi hee supriya ki.. Par gand ka material bhi chhidkawa diya uske upar... Ulti par pair rakhwa kar girwaya so alag... Hardcore ypdate bhai.... Gand maarni hai to ache se maarni hai... Chaahe main character hee kyun naa ho... :cool:
Ghadi ka 1 bajne se 5 minute pahle rukna.. Glass ka crack hona, cubicles ka apne aap band hona... Ekdum maja aa gaya ye sab padhkar... Par yahi maja saja bhi ban gaya agle pal jab pura kiya dhara washbasin ke nal aur pot ke futne se baahar nikalne laga to 💩💩💩 Poop team ko investigation ke liye bulaya jaaye aur bariki se jaanch honi chahiye :detective:
Jaisi hee supriya bathroom se nikli aur ghadi wapas chalna chalu hua tabhich apun samajh gaya ki ye sab wakyi me hua hee nahi aur yadi hua bhi to vaastvikta se iska ab koyi lena dena nahi... Jiske baad jab supriya kaamini aur komal bolte to KK se takrayi to confirm ho gaya warna wo dono supriya ko gali dene ke bajay wahi pe hag deti.. Muh se :D par wo nahi hagi aur supriya ko tanu ke paas le gayi... Sab kuch mann me hua??? Aisi kaun si ghatna ho gayi supriya ke sath...? Koyi bimari...ya fir flashback me supriya ki chudai...?? Ya fir koyi bhootni...??

Waise Supriya cute hai.. Ekdum Malini ke mafiq... 😍😍:p:

Epic... Bc :lotpot: alag hee lvl ke characters aur dialogues hai bhai.. Fir chahe wo tanu ka ho ya fir warden ka... Sonu bhi badhiya hai... 🤣
Bhai character ko main dikha kar uski pelwana bhi to apse hi sikha hai :adore: :D Ki kiska poop tha jo bahar nikla... haina... :D
Main to kahunga ki hua hi tha bhai... bas thoda hat kar hua is baar... :redface: Hahahaha... Supriya cute hai... main to kahunga kahani hi cute hai :haha: Bas bhai aapki kripa drishti hai thnk u gyani bhai :bow:
Kya story chhap rele ho bhai... Raha nahi jaata lesbian sex padhne ke lalach me 'p:

Update-13

Kya scene hai.. Bc rakshasi hai tanu :bow:

Ye kya story chhap rahe ho yar...:wtfrol: ekdum alag hee lvl ka...
Ye to sali cigarette fuk kar ludhak gayi... Kuch kiya hee nahi Supriya ko... Sirf doodh dabaya.. Mai to sex sochne laga tha :shy:
Waise Supriya satkeli hai aur drugs ki smell ka gahra asar hota hai uspe.... Iska background history janna padega :detective: ki pahle se chudi hui hai ya abhiye se.... Shandar maaldar update... Especially jab wo jr batch wali laundiya apne mahtari baap ko gariyati hai kyunki use wo hukka peene nahi dete 🤣🤣 mere laayak college hai ye 😈😈👿
Lesbian... :jerker: mere hissab se kam hai padne ko... vo bhi hostel ki ladkiyun ka :drool: bas isi ko soch kar thoda reality mix kar ke pel diya bhau :D Are bhai... kya hai kya nahi.. ye to ab baad mein hi malum hoga... Teacher bana dete hain aapko :D Thanks gyani bhai :hug:
Update-14

Welcome to the Incest World, Priya :evilgrin:
Kaha mai soch rha tha ki kuch hua hee nahi, wo paancho ludhak gayi aur idhar agle update me hee tanu aur supriya ka chumban... Aur kalyani ko nanga karna.. Bra, panty me naachna :superb:
Ekdum bawal update tha ye.. Shabdo me bayan nahi kiya jo sakta jo maza aaya hoga readers kobye update padhkar.. Male -female sex se jyada to female female padhne aata hai.. Aaj pata chala... Upar se wo scene jab supriya, tanu ke upar gir gayi😍😍😍 sali ek ki saans ukhadne lagi warna tanu, jhadwa ke hee chhodti supriya ko... KLPD kar usne toh...
Patli chaddi wala concept bhi sahi hai... Matlab kya kya mention kare bhai... Fantabulous Update
Thanks gyani bhai :hug: :adore:.... Vo update ek hi aisa update tha.. jisme char panchladkiyan apas mein kya ranga-rang karyakaram karti hai uski jahalk.... laundo ki to dekhi hi hai par laundiyun ki apni hi dastan hoti hai.. mein apki bhavnaye samajh gaya... dhanwad... :adore: :adore:
सब कुछ पहले जैसा ही हो रहा है , बस पात्रों का नाम बदल गया है । जिस तरह से तन्नु ने सुप्रिया की पहले दिन किस तरह से रैगिंग की थी , स्टोरी में जिक्र नहीं किया गया था उसी तरह लावन्या ने भी किस तरह से आरोही की रैगिंग की , जिक्र नहीं हुआ।
पहली मुलाकात सुप्रिया और तन्नु का सस्पेंस ही रह गया उसी तरह इन दोनों लड़कियों का भी अभी तक सस्पेंस ही बना हुआ है ।
आखिर हुआ क्या था सुप्रिया - तन्नु और आरोही - लावन्या के फर्स्ट मुलाकात में ?
क्योंकि इसी मुलाकात और उन दोनों के बीच आगे चलकर जो घटनाएं घटित हुई थी , ठीक उसी के बाद सुप्रिया और आरोही के मन में तन्नु और लावन्या के प्रति डर और नफरत की भावना पनपना शुरू हुई थी ।

जैसा फ्रैंड सर्किल तन्नु का था वैसा ही लावन्या का भी है ।
जैसी नशेड़ी तन्नु थी वैसे ही लावन्या भी है ।

अभी तक तो कुछ भी समझ में नहीं आ रहा है कि आखिर में चक्कर क्या है ? ये भी तो नहीं पता कि सुप्रिया जिंदा भी है या मर गई !

सस्पेंस और रोमांच से भरपूर अपडेट हर्षित भाई । आउटस्टैंडिंग ।
Pehle jaisa hi agar pehla hai to... :redface: Suspense abh khul jayega bhai... in upcoming update...
Thanks you sanju bhai ... samay nikal kar bure samay mein bhi.. dhayanawad... :adore: :hug:
 
  • Like
Reactions: SANJU ( V. R. )

Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,357
304
Update ~~ 25

" Ye atte hi padane laga, aise kaun se teacher hote hain? " mere alawa bahut se bachon ke man mein yahi prashan uth raha hoga lekin samne khade teacher ko hamare man ke bhavnaon ki nahi padi thi. Na to hum unhe jante the aur na vo hume par phir bhi vo humse sawal kar rahe the.

" kauno hath uthayega ya pirr sab aise hi bhoot bane baithe hume ghurte rahenge " mathe par bal dalte hue vo bole. Unke bolne par bhi koi nahi bola, jaise sabko sanp sungh gaya ho. Sab kaun se armaan lekar aye the aur kya mil raha tha isi sadme mein thi " ye college ya fir gurukul.. atte hi sawal " mene piche dhire se jhuk kar aaruhi se kaha jo usne sun liya tha. " ye matka mujhe khisekela lagta hai agli baar se iski class nahi lenge " meri awaz to bahut dhimi thi lekin itni shanti mein vo class ke andar halka shor de gayi.

" khud se baat kar rahe ho tanik humse hi kar lo... kaun hai jo ye fusfus kar raha hai.. " unhone itna kaha aur main shant ho gayi aur na hi apni jagah se hilli. Aaruhi bhi ghabra gayi thi isliye usne meri baat sunne ke baad bhoot ban kar baithe rehna sahi samjha. " nahi bologe.e.. theek hai.. tum sabko kya lagta hai ... " unhone apni pent sahi karte hue uppar ki aur podiyum ke samne aa kahde hue " hum us shaks ko khoj nahi sakte jo fus-fus kar raha tha... galat femi hai ... " chasma ko thoda ankhon se niche karke sabhi ko dekhne lage jisme ye pehchana mushkil ho raha tha ki vo kiski taraf ghur rahe hain. Mujhe bas yahi lag raha tha ki mere bagal wala na keh de ki main thi. " meri chokri jab tum logon ke umar ki thi tab usne phonewa ki zid ki.. ab hum tehre strict adhaypak humne mana kar diya lekin pirr vo barvvi mein avaal ayi to uski mang par hume usko phonewa dilana pada... Ab usko laga ki kamre mein phonewa ke sath vo kuch bhi karegi aur humko malum nahi hoga bas yahin vo fans gayi.. usko lagta tha ki apne phonwa par fusfusayegi to humka malum nahi chalega lekin hum har raat uski fusfusane ki awaz ko kewal pakadte hi nahi the balki sunte bhi the.. man to pehle hi din kiya tha ki phonwa lekar kamre mein band karke kundi laga de par agar hum aisa karte to hum pirr kahe ke adhyapak... adhyapak ka to kaam hi hota hai bachon ko shiksha dekar unhe aage badana bas humne pirr wahi kiya.. aur us din ke baad jab tak hamari chokri ne vo leemit ciross nahi kar di aur jis din usne aisa kiya itna toda na humne usko.. ki aaj bhi vo callage jati hai par nazre sirf kitab par hoti hai... sali chokron ke chakar mein aa gayi thi " apne zeevan ki kahani batate hue vo podiyum par gaye aur wahan jhanka " sala ee callage mein kisi ko kadar nahi hai... aee chokri.. pani ki bottle de " unhone pehli seat par baithi ladki ki taraf dekhte hue kaha.

" bottle carry nahi karti sir " us ladki ka jawab sun matku adhyapak apni pent uppar karte hue ek kadam aage aye. " apne thobde par maa baap ke paison ka maal potte hue tujhe sharam nahi ati yahan kya chal raha hai? ye callage hai ya dalla ghar padne atti ho na.. to in sabka ka jarurat hai.. ye lali.. ye ankhon ke niche kala pan... kapdon se koi ang jhank raha hai to kahin se koi... teri maa bhi aisi besharam rahi hogi tabhi tujhe bheja hai.. panni nahi caary karti.. " unhone ek hi jhatke mein us ladki ki izat ko jale hue panne ki tarah rakh kar diya aur tab mujhe samajh aya ki unhone apni kahani kyun sunai thi. Par uske aage kuch kehte uske sath wali ladki ne pani ki bottle turant nikal kar de di varna to vo apni tipadiyan chalu rakhte. Pani pite hue unhone bottle ko apne pass hi rakh liya. " tum mujhe is class ke baad mere kamre mein milna.. " unhone itna hi kaha ki kuch bachon ka dimag ka ghoda kahin aur dauda aur hans diye, jisme mein bhi shamil thi aur bhari matra mein ladke the. Us ladki ki izat jo rakh bani thi ab vo mitti mein tabdeel kar di gayi.

" battisi fadna band karo warna denge ek kantal par tumhe " unhone ek ladke ki taraf dekh kar kaha jo kuch jada hi hans diya tha. Dant khate hi usne usne fauran apne dant andar khinch liye. " bahinchod chutiya samjhte hain, tumhari umar se jada tajurba hai hume " fuli hui sanson se vo bole aur pani ka ek ghunt kulla karta hue galle se niche utarte hue bole " ab mujhe koi is prashan ka uttar dega ya khin-khin karne ke liye lakhon rupiyah diya hai tum sab kacharon ke maa baap ne, paysa ko barbar mat karo.. uska istemal karo.. aur apne tan ki jagah budhi ka karo.. " akhri baat unhone usi ladki ki taraf dekhte hue kahi. Sahi lapeta gayi jiske chakar mein main bach gayi thi. Khair kisi ne " what is c? " ka jawab diya par vo kya bola na to kisi bache ko samajh aya aur na hi sir ko.. Jiske baad unhone bas itna kaha ki pehle ke 3 chapter isi par hai jo humne 11-12 mein pade hai unhe revise kar lo. Kuch doubt ho to internet ka sahara le lena. Iske alawa practical ke kuch sawal vo kal denge jo practical room mein karne honge aur uske basis par hi first interim ke marks ke kuch marks add honge. Unke jatte hi jaise class ke sabhi bachon ne sans mein sans li lekin us ladki ki sansein abhi bhi ukhdi hui thi. Vo is asmanjas mein jaye ya nahi.. kyun ki aksar aisa hota hai ki aise teacher keh kar chale jate hain aur baad mein bhool jate hai, yahi sochte hue usne wahin baithne ka naki kiya.
lagta hai ye insects lober professor apni beti ki khuli ango ko bhi aise hi dekhta hoga jaise class ki us lakdi ki ango ko notice kar raha tha.... I think ye professor apni beti ko bhi gandi gaaliya deta hoga jaise abhi class mein de raha hai...
I think ye professor 5th class fail student hai baad mein us jamane mein paise khilake professor bana hai...

" kamal ka teacher tha... na hi naam bataya aur na hi tarike se baat ki.. pata nahi kaise ye college mashur hai.. na hi bache ache hain na teacher na hi mahol " aaruhi ki baat mere kano mein padi to mene us ladki se nazar ghumai.

" ye college hai darling.. yahan soch ke hissab se insan nahi atte... yahan ane ke baad soch insan ko dekh kar badalni padti hai samjhi? "

" tu to rehne hi de.. mujhse baat mat kar.. teri wajah se fansi hun aaj bekar teri suni mene "

" fans gayi lekin nikal bhi to gayi na.. kuch hua to nahi na aur meri ek baat samajh nahi aa rahi ... ye lavanya tere bare mein aisa kyun bol rahi thi? " jab mene aaruhi se puchne ki kosish kari to usne baat ko ghuma diya.

" mujhe use bare mein nahi baat karni.. maa sahi keh rahi thi hostel mein nahi rehna chahie... Pg/flat hi le leti hun.. "

" i am in "

" no you are not allowed "

" abe tu bahut jada roti hai.. girls school mein ladkiyan aisi hi rondu hoti hai kya.. thoda bold ban.... tu bhi raaj karegi college mein fir "

" acha.. vo kaise... " baal jhatakte hue aaruhi boli.

" bas aise hi... " maine apni baat khatam ki aur class mein entry hui next teacher ki. Uske enter hone ke baad mujhe ye to samajh aya ki yahan ke ladkon ke jeans mein baval uth raha hoga. Slevless green blouse aur uske uppar usi rang ki sarre, khule baal ke sath hamari agli adhyapak class mein ghusi. Khubsurat aur aurjaron se bhari.. yani uppar se lekar niche tak perfect asset.. unki chatiyan ho ya fir unki piche ki golai.. aaruhi ki golai ko wahi takkar de rahi thi. Ab mujhe jalan hone lagi reason tha ki ye salle class ke ladke adhe time isi ki baat karte.. ya fir khayalon mein rehte.. aur jis ladke ko meri leni hoti vo jaan kar mere samne nahi karta tarif.. par akele mein muth jarur marta..

" helo everyone.. My name is Nandini Mehta... I am your Physics teacher... you all can call me nandini miss or miss whichever you prefer " bas jaise hi unhone bataya ladkon ke man mein laddu fut gaya.. Physics... vo bhi female teacher.. ab to ana jana laga rahega. Mene kuch ladkon ki taraf dekha abhi se man hi man nandini mam nahi-nahi miss ko bina sarre ke dekhne mein jut gaye the. Maza ana wala tha.. inko chedne mein... Ek taraf nandini miss class mein famous hone wali thi dusri taraf main.. Physics ki class bore ho sakti thi lekin interesting rahi kyun ki us class mein padai nahi hui, wo hua jo hona tha.. Introduction.. kuch ladko ne apna parichay dete hue miss ki tarrif tak kar dali.

Vaise to nandini miss ki umar theek thak lag rahi thi, sundarta ko judge karke mana jaye to 29-30 ke bich aur isi bich ek ladki aurat ka sabse khubsurat period hota hai. Sabse bhari jawani isi umar mein hoti hai, ladke bhi kachi kaliyun ki jagah is age ki ladkiyun par kudne ko daudte hai hai. Pata nahi kyun, dimagi kida tha ya fir kache ke andar wala. Nandini miss ke jane ke baad thoda josh class mein dikha aisa laga jaise vo physics mein gravity ka matlab bistar par hi batane wali hai... ye ladke inki jaat aur inka nunu kabhi nahi sudhar sakta.
Kuch gandi naali ke jaise soch wale students hote hai jo The great great great great nandu jaisi mahan lady ko bhi gandi nazar se dekhte hai.... actually inki parwarish kisi gandi jagah pe huyi hai isliye inki nazar bhi gandi..
aur ye shruti.... pagal hawas khor ladki... iski to jaise jali padi hai great nandu ko dekh.... Nandu ke pero ki dhool barabar nahi hogi wo aur uski soch to dekho... kamini kahi ki... :buttkick:

Next time agar kisi kirdaar ne bhi story character nandini ke baare mein kuch socha ya bola to uski aisi ki taisi kar deni hai :chop: :mad2:

" tu aage aa rahi hai? " aaurhi ki awaz sunte hi main apni soch se bahar ayi. Jo ladka uske sath baitha tha vo uth gaya tha aur baju vale ladke se baat kar raha tha.

" ye baitha hua hai.. i don't like threesome "

" tu aa rahi hai ya nahi " usne gussa dikhate hue mujhse kaha jispar main bina bole wahan jaa baithi.

" kaha tha na mere bina nahi reh sakti tu.. "

" uska dhayan meri chatiyun par jada tha bar-bar ghure ja raha tha, sala apni maa behen ke bhi dekhta hoga aur jab se nandini miss ayi hai tab se uska vo aur jada khada ho raha tha isliye bulaya hai tujhe... ye galat femi mein mat reh ki tere bina mera kuch nahi ho sakta " aaruhi ne tevar ke sath jawab diya.

" ohoo... to ye baat hai... atte hi tune apne dore dalne shuru kar diye "

" main aur in par dore? tu mat bol "

" to teri nazar uske nunu par kyun thi? "

" nunu? " aaruhi ne ajeeb sa chehra banaya, mujhe use chedne mein maza aa raha tha, subah usne mujhe jada tang kiya tha badla to lena hi tha. " han han bata "

" ab main use gusse se dekhna cha rahi thi ki nazar hataye bas usi mein chali gayi nazar ... aur tu aise sawal mat kar... "

" kyun... andar ka mal garam ho raha hai kya " main aur vo fusfusate hue baat kar rahe the baki class mein shor tha kyun ki koi next teacher aya nahi tha isliye kisi ko sunai nahi de raha tha.

" haramkhor aurat chup kar.. mera koi interest nahi hai "

" han han.. sab malum hai... tujhe vo kone wala ladka pasand aa gaya hai "

" kone wala? kaun se kone wala? " aaruhi ne class ke ek taraf nighaein dalte hue kaha.

" tadap to dekho inki.. bas mil jaye.. isliye pg/flat lena cha rahi hai taki usi flat par dhaka-dhak..dhaka-dhak.. leti jaaye leti jaye.. " meri baat sunte hi aaruhi ne fir mera hath khinch dala.

" oii maa.. bitiyaachod di hath ki... aaruhi teri main kisi din bahut buri marungi... hath nikal gaya mera to koi ladka dekhega nahi meri taraf... yahi chahti hai tu.. taki sare launde lapet le par teri is chalaki par tujhe kamyab nahi.. unhoo aahuhuuu ... " main kuch aur kehti use pehle aaurhi ne muh par hath rakh diya aur tabhi kisi ke ahat se class shant hui. Class ka next teacher aa chuka tha, jab yahi baat us ladke ko malum hui jiski seat par main aa baithi thi vo palta aur usne mujhe baitha dekha to vo meri taraf aya mujhe uthane ke liye. Mene utne mein aaruhi ka hath apne muh se hataya.

" kya dekh raha hai... "

" main baitha tha yahan "

" han to ab main baithi hu... piche chal " mere bolne par vo tewar mein mujhe ghurne laga " abe oo nakli picture ke side villan ... piche chal warna jahan tu abhi ghur raha tha na uski complain kar di na to tera nunu fantasies mein kuch lene layak nahi bachega.. chal piche.. " mene jaise hi use kaha to vo ladka to aise muh fade dekh raha tha jaise mene uski fantasies ki hatya kar di ho sath hi mein aaruhi meri daring dekh kar hairan thi.
puri flashback baaki kuch ho na ho lekin in dono ki gandi gandi baatein bharpur hai... aur sath hi flashback khatam hote hote aaruhi, shruti ka hath shayad khinch ke ukhad feke...
wah us ladke kya mast dhamki deke bhag diya udhar se..
Khair let's see what happens next
Brilliant update with awesome writing skills :applause: :applause:
 
Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,357
304
Update ~~ 26

" tumhe punishment mili hai? " adhedh umar ki aurat thi hamari agli adhyapak jisne puri class mein ek laute ladke ko khade dekh kaha, jise sunte hi vo meri wali jagah par jaa baitha jahan main pehli baithi thi. Class mathematics ki thi, mera sabse boring subject aur uppar se padane wala mahan. Usne atte hi padana shuru kara aur sirf wahin tak uski awaz sunai de rahi thi jahan vo khadi thi. Pata nahi us ladke ko itni unchi awaz mein kaise dant diya.

" ye takat teri lavanya ke time kahan gayi thi? " aaurhi ne board se copy karte hue pucha. " aur ye kya kar rahi hai? " jab usne mujhe dekha to ek aur prashan daag dia. Main board par chappe jaa rahe integration ko avoid karke naam likh rahi thi. " kiske naam likh rahi hai? " usne mere se fir pucha.

" class ke kaun se launde ache hain unke.. "

" tu kya chiz hai... " aaruhi meri taraf dekh rahi thi.

" inse achi hun.. pehle din kaun class mein padata hai.. kaise teacher diye hain hume.. uppar se yahan ladkon ke naam dekh.. adhe to main naam dekh kar reject karungi... tu ye naam dekh.. raju, navin, mohan, ajit, tanmay.... aur han ek aur yaad aya... ishu.. LOL ... aise naam jo ladki aur ladke dono ke hote hain mujhe unka version alag lagta hai "

" version? "

" han.. version.. male aur female.. humare human beings ka version "

" use sex kehte hai "

" vo to chutiap hai.. sex to karne wala hota hai.. right word is version " mene ek aur naam likh kar kaata, kata isliye taki ladkon ke naamo mein koi confusion na rahe aur ye apne aap ko yaad dilati rahun ki agar koi nahi mila to bhi inko laar tapkane nahi deni. Khauf hona chahie mera inhe..

" tu ye sab kyun kar rahi hai kaun batayega? "

" abhi to bataya "

" kab bataya "

" tune nahi suna? "

" tune bola hi nahi " aaruhi ke kehne par samajh aya ki main man mein kaha tha na ki use.

" vo chhod.. ye bata.. tujhe kaun sa pasand hai "

" koi nahi "

" ek bhi nahi? " maine hairani mein pucha.

" han.. ek bhi nahi... "

" wah bhai.. tere to nakhre hi kamal hai.. aise nakhre karegi to teri lene ke liye kisi ko swarg se hi bulana padega fir " meri is baat ka usne koi reaction nahi diya balki sawal rakha.

" tujhe koi pasand hai? "

" meri pasand to pehle se hi hai "

" itni jaldi? "

" aisi chizon mein samay kharab karna matlab sukha rehna "

" sukha vo kaise? "

" ye gyan tujhe baad mein dungi... tere girls school mein kuch nahi sikhaya.... aisa kaun sa school hai jahan sirf padai hoti hai? "

" school mein padne hi jate hai na? "

" vo sirf tab tak jab tak susu karne ke liye ladka maa ka sahara leta hai aur ladki chaityun par pehli baar bra pehne ke liye maa ka.. uske baad school ki padai khatam.. uske baad sirf dunia dari sikhi jati hai "

" aur us dunia dari mein kya hota hai? "

" us gyan ke liye aap 407 number mein roz raat 10 baje se 12 baje tak ka pravachan le sakti hai wahan apko pura gyan choda jayega i mean diya jayega "

" dramebaaz haramzadi hai tu.. " aaruhi ke honton par halki muskan thi. " ab bata kaun hai vo ladka? "

" vishal " mene turant jawab diya.

" vishal? par aisa ladka to hamari class mein nahi hai.. ya mene dhayan nahi diya.. kaun sa hai inme se " aaurhi ne nighaein ladkon par fenki.

" yahan nahi hai vo.. aur tu bade dhayan se naam sun rahi thi "

" ab vo chutiya ka pilla meri chatiyan dekh raha tha to dhayan bantne ke liye naam sunne lagi, tu ye bata vishal kahan se aya bich mein? "

" bich mein kahan.. vo to starting se hai.. usi ke niche laitna hai ab bas.. hayee... tune sochne ka mauka de diya to aisa lag raha hai bas lait rahi hun aur vo uppar aa raha hai.. " mene madhoshi mein ankhein band ki to aaruhi ne chapat meri chatiyun par dhar di. " haramkhor.. size kam hua na to tere kaat dungi .. " mene turant ankhein kholte hue kaha.

" mere marne se kam ho jayenge.. LOL "

" to dabane se badh bhi to jate hain na LOL " itna keh kar meri aur uski hansi chhut gayi par jaldi control karni padi kyun ki hamari adhyapika piche ghum kar dekhne ki kosish kar rahi thi.

" bata kahan hai vishal aur kaise hui mulakat "

" vo baad mein bataungi.. par vo hai.. hamare batch ka hi.. Mechinical mein hai "

" mechinical... wahi na jahan par ladkiyun ka akal hota hai "

" han exactly wahi mechinical jahan par ladke ek time par akar apne hath se bhi thak jatte hain aur ant mein .. sales job kar rahe hote hai.. wahi mechinical.. jahan par pani ki bund bhi hoti hai to sabhi mechinical wasi us taraf jhund ke jhund bhag nikalte hai... biryani CS IT mei hoti hai aur khusbu mechinical tak felti hai... usi mein hai mera vishal " mere lambe dialog ke baad aaruhi ek pal chup rahi.

" par mechinical hi kyun? "

" tujhe na har chiz ka gyan dena padta hai.. ek baat bata.. jahan supply jada ho wahan chizon ke bekadari hoti hai? " usne han mein sar hilaya " aur jahan demand kam hoti hai wahin supplies ki izat hoti hai barabar? " usne fir han mein sar hilaya " han to bas.. soch.. jo insan pani ki bund muh mein bharne ke liye zindagi bhar mehnat karta hai use ek balti pani mil jaye to vo kitni mehfus se rakhega "

" yani.. " vo kuch kehti use pehle main boli.

" yani.. vo mujh par lattu rahega... aur meri kadar karega... lega to sirf meri aur ... isi dream ko lekar mene use chuna.. vaise naam mein vishal hai.. umeed hai ki uska vishaal hoga.a.. haha.. maza aayega.. " aaruhi mujhe ek pal aise dekhti rahi jaise mer greh dusra ho.

" tune itni badi planing ki ? "

" college ane se pehle vo bhi.. tujhe kya lagta hai main itni jaldi kyun aa gayi thi vo bhi garmiyun ki chuttiyun mein.. " mere kehte hi aaruhi ko samajh aa gaya hoga ki main kya cheez hun, school mein kabhi bhi kuch nahi kar payi, kaise karti.. maa ka hold jo tha wahan par... ek to school ki principal thi vo, ana-jana bhi unke sath hota tha. Uppar se kuch kar du aur teacher dekh le to unhe bata diya jata tha. School ke sapne aur tangon ke bich ke apne khawab ko pura karne ke liye hi to yahan ayi thi. Ab har ladki ke apne sapne hote hai.. jo vo college ki padai mein ya jeevan sathi mein khojte hain par asliyat to ladkon ki ek hoti hai aur main wahi chiz ka sapna lekar ayi thi. " Chudo chudao baki sab bhad mein jao. Na shadi ka moh na hi jeevan ke future ka... zindagi ka sukh na mile to sharir ka hi bhog jao.. " meri is baat par mujhe shabashi milni chahie thi lekin aaruhi ka alag hi scene tha.

" chutiya aurat hai tu.. meri or dunia ki bhasha mein aisi ladkiyun ko randi kehte hai "

" girl school ki padi hui tum kya jano sukh.... kya hota hai "

" tu hi le ye sukh mujhe bakshh de "

" to mene pehle hi kaha hai i don't like threesome "

" i am not interested also... par mujhe abhi tak ek baat samajh nahi ayi. Jab tune pehle se hi ladke ka chunav kar rakha hai to fir class ke ladkon ke naam kyun likh rahi hai "

" are meri dimagi piditaa... vo kisi aur par dore nahi dal sakta.. par main to daal sakti hun na.. because i have more supplies than i demand " mene apne baal jhatakte hue kaha. Public place mein ise jada aur hum jhatak nahi sakte na LOL

" dhanye hai aap .. aur apke vichar... physics ke gyani hokar apne economics ki jo maa hi chodi hai na uska kya kehna "

" isi ko talent kehte hain meri khubsurat bed partner "

" oo helo i am not your bed partner "

" room partner.. slip of jazbat.. " mene hanste hue kaha to vo mujhe ghurne lagi. Dono ki baat cheet mein do lecture kab pure kar diye un mahan vakytitv ki adhyapka ne ki hume khub malum chala. Kuch bache piche wale so gaye the.. batao pehle din ka ye haal tha to pura semester kaisa jane wala tha ye apne aap mein ek bahut dilchasp kahani banne wali thi.

Break mein main aaruhi ke sath canteen pahunchi, labalab bhari padi thi, first year se lekar akhri year tak ke bache wahan maujud the. Aaruhi ko lavanya ka dar tha isliye vo jana nahi chahti thi lekin ab dar kar kitna chup sakta tha banda aur kaun sa vo sabke samne izat lut leti waise bhi hostel ki ladkiyun ke sath vo aisa nahi karegi. Hostel ki pratha hoti hai ek.. jise langna sakht mana hota hai aur uska palan use bhi karna padega bhale hi vo khud us jagah ki rani kyun na ho.

" queen nahi hai vo witch hai.. "

" tujhe bada gussa hai use.. abhi tak ye baat nahi samajh ayi kyun? " mene samosa khate hue use jawab bhi diya aur sawal bhi kiya.

" adhe se jada ladke is taraf kyun dekh rahe hain bar bar "

" ab do-do maal baithi hai.. dekhnge hi.. mujhe to abhi tak samajh nahi aya ki tu abhi tak chudi kyun nahi hai "

" dhire bol le.. meri izat ki gand na maar "

" izat ka kya hai.. vo to ati jati rehti hai aaj rahegi, kal ko pati ko malum hoga ki vo pehla launda nahi hai jisne tere black hole mein entry kar rakhi hai to izat khatam.. " mere itna bolte hi uska phone bajne laga.

" mom ka phone.. ab do minute chup rahio " aaruhi ne phone uthaya " han mom.. "

" speaker par daal na.. main bhi baat karungi.. "

" nahi.. " usne phone par hath rakhte hue kaha.

" kar na.. varna mein chilla dungi aaruhi kaun hai ye ladka soch le.. " meri dhamkhate hi usne phone speaker par dala.

" aaruhi.. are you there? "

" yes mom.. bolo "

" bolo? call kyun nahi kiya, matlab hostel kya gayi bhool gayi hume "

" mom.. ye sab bolne ke liye phone kiya "

" nahi.. but tumhe call to karna chahie na.. kaisa hai sab aur ye shor itna kyun hai? "

" canteen mein hun.. kha rahi thi isliye speaker par rakha hai apko.. aur main ek dum achi hun abhi ek hi din to hua hai "

" do din ho gaye hai.. tumhe gaye hue.. meri maan lo abhi bhi.. flat ya PG le lo.. kyun hostel ke chakar mein padi ho "

" mom mujhe koi dikkat nahi hai.. hogi to bata dungi na.. ek hi baat baar baar kyun bolti ho aap "

" aunty khud chahti hai tu laundo ko lekar jaye.. aur wahan dhaka-dhaak kare.. " mene kaha to aaruh ne gusse se mujhe ghura aur meri hansi chhut gayi LOL uski aisi shakal dekhna bada pasnd tha mujhe.

" kya kaha "

" kuch nahi mom.. vo bas meri friend thi.. "

" friend kaun hai kya naam hai ? "

" namastey aunty.. main Shruti.. aaruhi ki friend aur uski room partner... "

" namastey beta... kaise ho aap? "

" i am good aunty.. and aaruhi bhi good hai.. uski fikar mat karo aap "

" kam bol " aaurhi ne dabi awaz mein kaha.

" nahi beta.. fikar to rehti hai na.. hostel mein rehna khana kaisa hota hai sabko pata hai... ye to zid kar ke wahan chali gayi warna main to ise kabhi nahi jane dete. Main to abhi bhi kehti hun pg/flat le le aur tumhe bhi kahungi.. dono sath reh lo "

" aunty chahti hai ki tu mere sath hi rahe.. meri bed partner ban kar LOL "

" chup reh.. " aaruhi fir gusse bhari dabi awaz mein boli.

" kuch kaha beta? " phone se awaz ayi.

" mom baad mein baat karti hun yahan shor hai aur mujhe khana bhi hai.. disturb mat karo "

" acha ab mom disturb karne lagi.. abhi tumahre dad se kehti hun ise wapis bulao "

" ok bye.. " aaurhi ne phone cut kiya aur mujhe gusse bhari nazron se dekhne lagi jahan meri hansi nahi ruk rahi thi.

" vaise aunty karti kya hai? "

" doctor hai.. aur khud bhi hostel mein reh chuki hai isliye muje mana karti hai "

" ooooo yani aunty ko pura exprience hai... "

" chup kar haramazadi.. har koi teri tarah nahi hota "

" main to hostel ki baat kar rahi thi.. gandi soch wali ladki hai tu... tere dimag mein bas.. dhakka-dhakk bhara hai "

" jada mat bol "

" sahi to keh rahi hun... ab aunty medical college mein padi hui.. hostel mein reh chuki hai vo bhi panch saal.. unhone to pura exprirence hoga har ek chiz ka.. "

" dekh shruti bas.. aur mat bol "

" main sirf bata rahi hun ki unhe exprience hoga na.. to unse baat khul kar karni padegi " main aaruhi ko ched rahi thi par nahi janti thi ki vo itna chid jayegi. " bass.. tu aur teri gandi soch.. " vo itni tez chillai ki canteen ke kuch log hamari taraf hi dekhne lage. Usne apna samosa wahin fenka aur uth kar chali gayi " aaurhi.. sun to.. " mene awaz lagai lekin vo nahi ruki. Mene use jata hua dekha aur fir samose ki taraf dekha, ajeeb stithi thi, ye ladki to badi bachi nikli.. mazak ko mazak na liya.. khair.. mene soch vichar karke samosa khane ka nakki kiya aur usko khane ke baad hi canteen se bahar nikli aaruhi ko khojne ki vo akele is dunia mein kahan gayi jahan main swayam use bachane ke liye nahi thi.
class aur indono ki baaton mein hi ye update simat ke reh gayi pura update :sigh:
Na koi katal na koi thrill ya suspense, na koi imagination pe adharit koi vision... :sigh:

inse to achhi megha thi aur sath hi supriya bhi kam se kam dilchasp thi dono hi kirdaar...

Upor se ye shruti sari hade paar karke baat aaruhi ki mom pe le aayi... kitni gandi soch hai shruti ki.... kya yehi Sanskar mile ushe gharwalo se... kisi ki bhi mom ko lekar aisi gandi baatein kare... kuch to khayal rakhti ki aaruhi uski dost hai....
Khair.... itni giri huyi aur gandi soch to kisi dusman ko bhi na de.... ye to achha hua ki samne baith kar sunne wali aaruhi thi... koi aur hoti to shayad aaj shruti ki kya haalat karti ye to upor wala hi jaane...
Khair let's see what happens next
Brilliant update with awesome writing skills harshit saheb :applause: :applause:
 
Top