• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy " Girls Hostel "

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,642
8,370
219

~~INDEX~~

Chapter 1 ~~ " Supriya "
Chapter ~~ 2 " The Illusion "
Chapter ~~ 3 " Catatonic Schizophrenia "
Chapter ~~ 4 " A True Face "
Chapter ~~ 5 " The Antiquarian "
Chapter ~~ 6 " The Amazon "
Finale
Chapter 7 : " Book Of Hoax "

Some Comments for this story :love: (Late Add-on :sigh:)

सच में , यह पुरी स्टोरी दिमाग के परखच्चे उड़ाए जा रही है । कभी लगता है कहानी में सस्पेंस है तो कभी लगता है भ्रम जाल का ताना-बाना बुना हुआ है तो कभी लगता है जैसे कोई रूहानी ताकतें हैं तो कभी लगता है यह सिंपल स्टोरी है जिसमें आरूहि एक गम्भीर बिमारी से पीड़ित है ।

मुझे लगता है इससे बेहतरीन कहानी फिलहाल तो इस फोरम पर नहीं है । और सबसे बड़ी खासियत है आपके लिखने का स्टाइल और अंदाज । आउटस्टैंडिंग हर्षित भाई ।
thoos thoos ke khana khaya aaruhi ne jo ekdam majedar horror type scene tha ..
सही में , हर्षित भाई ! मुझे बहुत ही दया आने लगा है आरूहि पर । अगर किसी हरामखोर की वजह से उसकी हालत ऐसी हुई है तो उसे जहन्नुम का रास्ता जरूर दिखला दिजियेगा ।
WTF!!! Yahi pehla reaction nikalta hai is kahani ko poora padhne ke baad... Halanki pehle bhi maine is kahani ke kuchh 7-8 updates padhe huye the par jab is baar padhna shuru kiya to ek naya sa romanch har beet te update ke saath banta gaya... Bohot hi zyada behatreen tareeke se likhi gayi kahani hai ye, ab jis prakaar ka plot imagine kiya hai lekhak saahab ne uske baad ek nausikhiya bhi likhe to bhi kahani halki nahi ho sakti, aur yahaan jis level ka narration, aur scene specialization hame padhne ko mila hai, wo kaafi hai dikhane ke liye that this is, without a doubt,one of the finest stories available on XF... Chahe wo running stories hon ya fir completed, aur chahe future mein likhi jaane waali kahaniyan, is story ka ek alag hi sthaan bana rehne waala hai forum par... Aur iske liye writer saahab ki jitni bhi tareef ki jaaye wo kam hi hogi...

Fantasy genre ke saath shuru huyi ye kahani, kab alag - alag genres ke darshan karane lagi padhte waqt katayi pata nahi chala... Horror, Suspense, Thriller, Adventure, Romance and of course Fantasy, aur saath hi mein Erotica ke ansh bhi... Ek story mein is se zyada kis cheez ki apeksha kar sakta hai reader!? Again, one of the best stories I've ever read... Outstanding Stuff harshit1890 bhai... :bow: :bow: :bow:
Kya hi khubsurat kahani likhi hai aapne bhai... I'm just speechless, jitni bhi tareef karunga kam hi hogi... Erotica ka bhi bilkul sahi situation mein use Kiya gaya hai aur sabse important har kirdaar par lekhak ki shaandar pakad bani rahi hai... Har character ka kahani mein hona justify kiya gaya hai, kahin bhi koyi bhi character bina matlab nahi ghus aaya...

Ab dekhna ye hai ke Mehta waali meeting mein kaun kaun shaamil tha aur unka maksad kya tha? Aur Shruti is sab ki sachayi jaan bhi paayegi ya nahi? Aruhi sach mein kisi beemari ka shikaar hai ya kewal naatak kar rahi hai? At last, Ek baar ko apun ko ye bhi laga ke asal mein ye sab jo ho raha hai wo kewal Shruti ki kalpana hai... :dazed:

Outstanding Story & Updates Bhai & Waiting For Next...
Harshit bhai... Kayi horror stories padhi hain maine, joki poori tarah se horror genre par based hain but jis tarah ka scene aap create karte ho, taking into note ye story horror genre par based hai bhi nahi, that's phenomenal...
meghnath naam rakhne ke pichhe ki kahani bhi majedar hai 😍😍😍..
jab me TV nahi dekhta( waise tha nahi nahi ghar par ) tha bachpan me aur bas naam suna karta tha to khudko SHAKTI KAPOOR. kehta tha dosto ke bich 🤣🤣🤣..ye kissa padhke bachpan ki yaade taaza ho gayi 😍😍😍..
Slowly my interest is increasing towards the story full of adventure, fun to read, no doubt you are a great writer, thank you for writing such a beautiful story.
Have to admit, your story completely twists the thinking, sometimes it seems in the mind that it is just a disease and sometimes it seems like something supernatural. Your writing is commendable, even after writing this much there are many questions and there will be many such points which I have missed. In some scenes there was a combination of intensity as well as erotic scenes, which you have shown very well, what should I say now, now the words of praise are over understand my feelings.
harshit1890 Hats Off... enjoyed it. :applause:
but why were you making her nude everytime in front of everyone. :angry:
मुझे नहीं लगता दुनिया में कोई भी ऐसा माई का माल होगा जिसे इस कहानी की पहेली समझ में आ रही हो। गजब का दिमाग हिला रखा है आपने हर्षित भाई।
The whole incident, that Mansion one was written so beautifully that no words are sufficient to describe it! Ismein koyi doraye nahin ki maine aaj tak kisi ko bhi is tarah ka horror likhte nahi dekha hai... Haunted ko read kiya tha maine, kaafi pehle, aur main bilkul daave se keh sakta hoon, that you're the best,when it comes to generating real fear in readers, while they read the story..
Bhatt the phakk is this estory?:redface:
 
Last edited:

Kingfisher

💞 soft hearted person 💞
7,476
26,112
174
majedar update ..to aruhi soch rahi thi ki miss ko bata dena chahiye us ladke hi harkat ke baare me 🤣..
freshers party me shruti ne bahut enjoy bhi kiya ,pehle hukka phir whisky 😁..
aruhi ne apne dance se sabko hairan kar diya waha pe 🤩..

aur ye shruti ka jugaad galat sabit ho gaya aisa lagta hai ,,wo aruhi ka darr dur karne ke liye usi khandar me leke gayi usko .

aur ye frustration mast nikala aruhi ne badi badi galiya dekar 🤣..
Lo bhai es bar bhi nikal gye chupchap :itsme2:tussi unique ho leon bhai hhaaaa
 

Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,620
92,251
189
Hhaaa ye baat shi khi es par sabse masoom or apne kam se kam rakhne vale reader hai hamare DARK WOLFKING bhai usi ke tarah uske review unke review me thehrav hota hai bate sidhi simpal leon bhai ka bas ek kam hota hai review diya or vha se furr hona piche chahe kuch bhi

Apna kam banta bhad me jaye jaanta :rock1:

Or sabse uslje hue hue review hote hai Naina ji dimag ki hi gum jata hai jo itne khatarnak suspenco ka khulasa karti hai hai jo story me moujud hi na ho bechara writer hi sochne lag jata hai ki sala ye suspence to mere suspence se bhi jyada bhari hai par naina ji ka nishana kabhi shi jagah nhi lagta :yippi::hspin hhaaa
bade ud rahe hai aap :D
lagta hai nibba Rajeev & kiran to giyo agle revo pe :D
harshit1890 kya aap jaante hai
Kingfisher ki story pe bhi tharki kirdaar shruti hai jo hero ke piche hath muh dhoke padi hai :D
 
9,380
39,526
218
शायद श्रुति की सोच सही हो । शायद उसकी मंशा आरोही के हित में हो । क्योंकि आरोही का व्यवहार शुरू से ही एब्नार्मल है । आरोही एक अच्छे खासे फेमिली से विलोंग करती है , शुरुआत से ही गर्ल्स स्कूल में पढ़ी हुई है , लड़कों से ज्यादा मेल जोल भी नहीं है । और अपने कांफिडेंस को लेकर भी थोड़ी अनसेक्योर्ड है । ऐसे में एज ए फ्रैंड श्रुति ने जो कुछ भी किया वो सही था ।
उसकी मंशा थी कि वो आरोही के मन से डर और वहम को खतम कर दें । पर इसका असर आरोही पर कितना पड़ा , हमें नहीं पता । हां , आग बबूला जरूर हो गई है आरोही । और शायद यही होना भी था । उसके जगह पर दूसरा कोई भी होता तो वो भी वैसा ही रियेक्ट करता जैसा आरोही ने किया है ।

पर , मेडिकल स्टूडेंट के फ्रेशर पार्टी में जश्न के नाम पर जो कुछ हुआ , वो सही नहीं था । श्रुति एक समझदार और अक्लमंद लड़की होकर भी हुक्का पीने लगी । इसके अलावा वाइन भी पिया । क्या ये सब करके वो आरोही को पीने के लिए प्रोत्साहित कर रही है कि इससे उसकी बिमारी ठीक हो जाएगी !
ये बात सही है कि आजकल की नौजवान पीढ़ी हुक्का बार और शराब सिगरेट को ही असल पार्टी मानने लगे हैं पर जब इसका असर उनके शरीर पर पड़ता है तब तक बहुत देर हो चुकी होती है । कैंसर जैसी लाइलाज बिमारी होना ही होना है ।
लोग सोचते हैं कि हुक्का ज्यादा हानिकारक नहीं है क्योंकि हुक्का के अन्दर से आने वाला धुआं पानी के अंदर से छनकर आता है । चूंकि इसमें इस्तेमाल किया जाने वाला तम्बाकू अलग अलग फ्लेवर में आता है जैसे एप्पल , मिंट , चेरी , चाकलेट , तरबूज इत्यादि तो इसके चलते इसका जायका चेंज हो जाता है । पर है बहुत ही हानिकारक । औरतों को तो बांझ तक बना देता है ये । मर्दों को नपुंसक बना देता है ।

वैसे लग रहा है स्टोरी फिर से एक नई घटनाक्रम की ओर ले जा रही है । आरोही फिर से उसी विराने में , उसी खंडहरनुमा हवेली में प्रवेश कर रही है । देखते है अब आगे कौन सी घटना घटित होने वाली है ।

हमेशा की तरह बहुत ही उम्दा एवं बेहतरीन अपडेट हर्षित भाई ।
 
Last edited:

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,642
8,370
219
Update - 34

Aaruhi jitna hairan thi utna main bhi kyun ki mujhe nahi pata tha ki behen..ke...lodo ne itna sahi kuch intezam kiya hoga. Main to aaruhi ke sath gaddi mein hi thi jab tak uski nind nahi khul gayi vo to bich mein bahut tez susu laga tha isliye karne chali gayi thi jis bich vo uth baithi aur usne mera susu karna bhi dushbar kar diya tha lekin ab... Aaruhi ayi to andar wapis jane ke liye thi par ek pal ke liye vo bhi sann thi.. meri hi tarah. Mansion mein gate se ghuste hi ek choti si gallery thi jiski ek taraf sidiyan bani hui thi jo uppar ki taraf jaa rahi thi uske alawa wahan ek chota sa hall tha.. par itna chota bhi nahi tha.. medium size ka tha aur jarurat ki har chiz wahan maujud thi.. Par chaukane wali baat ye nahi thi balki in haramzadon ne itna badiya mahol set kiya tha jiski umeed nahi thi. Choti-choti kuch mombatiyan wahan lagi jal rahi thi jo vatavaran ko itna khubsurat aur khusbhudaar bana rahi thi ki kya hi kehne... praise is jagah ka bhi tha jo itna khubsurat bana tha jiski wajah se mombatiyun ke jalne par aisa mehsus kar paa rahi thi. Sabhi hall ke bichon bich sofe ka shahara liye baithe the. Mene aaruhi ko mari goli, matlab use kiya nazarandaz... aur apni pehli night out ka luft uthane pahunch gayi un sabhi ke bich.

" kya gazab... jagah hai behenchod... " mene gali di tab dhayan aya ki vishal bhi wahan maujud hai. Mene usko smile di to usne bhi waisa hi kiya, phone par to itni awaz nikalti hai par yahan aise chup baitha tha jaise janta hi nahi.. Vishal aur gaggan apne aap aye the, main manpreet,kim aur aaruhi ek sath. Vishal ko manpreet ne hi bulaya hoga, vaise to mere kehne par bhi aa jata lekin main bhav jada dena nahi chahti thi although talab mujhe jada thi. Unke alawa ek aur shaks tha hamare sath jiska jikar nahi hua tha aur wahi hume yahan laya tha, wahi ladka jisne abhi abhi bahar akar aaruhi ko chup kiya tha aur jise bulane hi aaruhi andar ayi thi taki vo use wapis chhod de.

" kaha tha na mahol set hoga... " manpreet ne ek box se chilled beer ki choti bottle sabhi ko pass karni shuru ki, usne meri taraf bhi badai jise mene lekar rakh li.

" vaise tumhari friend wahin khadi dekhti rahegi... hey.. excuse me... tum nahi aaogi idhar.. " aaruhi uske awaz lagane par use dekh kar kuch boli nahi. " ise sunai to deta hai to fir jawab kyun nahi de rahi? " usne abki baar meri taraf dekh kar sawal kiya. Mahol mein itni shanti thi ki hamari baat-cheet wahan gunj rahi thi aur ye baat mujhe excite kar rahi thi. Sali itni damn jagah thi... Pata nahi tha mera plan is kadar set hoga... Mera plan.. jo mene aaruhi ki wajah se banaya tha.. actually apni vajah se banaya tha bas aaruhi ki to thodi help karna chahti thi kyun ki jab se usne is jagah ke bare mein bataya tha tab se mere dimag mein yahan ane ka khayal ban chuka tha. Ab yahan ane ke liye ek solid plan chahie tha, plan islye kyun ki aaruhi bhi involved thi. Basically usi ki wajah se to ye sab main kar rahi thi jisme main apne man ki bhi kar rahi thi aur uski help bhi. Aur plan ki shuruwat hui manpreet se jab usne mujhe freshers party ke bare mein bataya aur wahan se mene apna dimag chalaya... jiske baad .. party main khud ko invite kare ka idea dene wali main thi.... vishal ka bahana dekar manpreet ko idea dena ki hume ek night out karna chahie. Night out ki jagah mansion ke alawa koi nahi ho sakti thi kyun ki baton hi baton mein ek dafa khud manpreet boli thi ki vo wahan par kai baar night out kar chuki hai, hostel ke pas bhi tha aur wahan koi ata jata bhi nahi tha isliye manpreet ne wahin ka program banaya. Sab kuch set hua tha vo bhi perfectly... kisi ko shaq hua? Na hi manpreet ko na hi aaruhi ko.. par aaruhi ko doubt tha ki main use jaan kar layi jise clear karne ka waqt aa chuka tha.

" isko lagta hai main ise yahan jabardasti lekar ayi hun isliye aisa behave kar rahi hai " maine turant jawab diya.

" ye thda ajeeb ho gaya.. jabardasti ? aur agar layi bhi to dikat kya hai?" sawal sahi tha uthna hi tha.

" kyun ki ise lagta hai yahan kuch unwanted chiz hai.. jiski wajah se ye yahan nahi ana chahti thi, use is jagah ka dar hai " maine fir jawab diya aur aaruhi janti thi ki main kis taraf ishara kar rahi hun.

" unwanted? " kim boli

" kaisi unwanted? aur aaruhi ko kaise pata ? " manpreet ne do sawal kiye par mujhe jawab ek hi ka dena tha.

" kyun ki aaruhi yahan aa chuki hai... first day ye lavanya se takrai jo hostel ke bahane ise yahan le ayi aur fir isne yahan ke dar ki wajah se na jane kaun kaun si kahani bana li " uksana jaruri tha aur uske liye ye baat bolni bhi jaruri thi. Bingo... i hit hard... LOL

" mene koi kahani nahi batai... yahan sach mein kuch hai unwanted... aur tu keh rahi thi na ki main andar nahi gayi thi to dekh dhang se jo jo tujhe bataya exactly wahi hai yahan... gate se ghuste hi side mein ek choti si jagah.... shoe rack...stick stand.. sidiyan.. aur hall... uppar do darwaje hai.. ek mein kamra hai.. sab wahi hai.. yakeen nahi hota to uppar jakar dekh le.. aur us raat koi tha yahan jo mujhe us palang ke niche se awaz de raha tha.. yahan par kuch unwanted chiz hai.. jo nahi chahti ki koi yahan aye.. tum log galti kar rahe ho " aaruhi hum sab ke karib ayi aur usne aise unchi awaz mein kaha ki ek pal ke liye hum sabhi use dekhte rahe. Shanti ne pure mansion ko kabze mein liya aur fir us shanti ko todte hue vo hasne laga. Vo yani wahi jisne andar bulaya tha aur hume yahan lekar aya tha, bar bar batana jaruri hai, kyun ki iska naam main abhi nahi bata sakti..

" tumhe hansi aa rahi hai.. meri baton par.. " aaruhi uske uppar bhadki.

" tum bahut cute lag rahi thi bolte hue isliye aur vaise bhi tum aise yahan explore nahi kar sakti "

" tum... " aaruhi gali dena chahti thi lekin vo ruk gayi " tum.. hi laye ho na idhar.. to mujhe wapis chhod aao fir bhale hi yahan aa jana... tumhari hi gaddi hai na "

" yup.. but sorry.. pick and drop ki service bar bar nahi deta main... aur tumhe kyun dun? " beer ka ek ghunt bharte hue vo bola.

" you.... " aaurhi fir gali dene se ruki " shruti ... kaun hai ye.. " aaruhi ne jab mujhse pucha tab mene apni hansi rokte hue use bataya, ab time tha is bare mein batane ka.

" aaruhi ye vidhwan ji hai.... mera matab... Vidhu... par inhe vidhwan isliye kaha jata hai kyun ki inke pas dunia bhar ka gyan hai.. " mene jab kaha to vidhu turant bol pada.

" ssshh... lagta hai tumhe yahan ke rule ke bare mein jankari nahi hai.. "

" rule? " mene pucha.

" yes.. yahan ane ke baad na tum vo ho jo bahar ho.. na main vo hun.. jo bahar hun.. aur na hi tumhari ye dost... vo hai jo bata rahi hai "

" matlab? " mene fir pucha.

" matlab ye ki.. yahan par hum ek dusre ko uske naam se nahi bulate na hi jante hai.. " jawab manpreet ne diya.

" aisa kyun? " mene vishal ki taraf dekha jo aram se baitha beer pee raha tha. Main hi sawal puch rahi thi yani sirf mujhe aur aaruhi ko hi idea nahi tha baki sabko yahan ke bare mein malum tha. Vishal, gaggan aur kim ko bhi.. jo hamari tarah first year ke student the. Matlab main hi chutiya reh gayi thi aur kahin na kahin uske piche ye aaruhi hi thi.

" kyun ki jo hum yahan karte hai.. uski wajah se.. " vidhu khada hua aur jis stick stand ki baat aaruhi kar rahi thi, jahan par dande rakhe the, jo aksar sahara lekar chalne ke liye hota ya fir purane jamane mein log hath mein rakhte the waisa wala. Aaruhi bilkul usi ke pas khadi thi, vidhu ne ek stick bahar nikali aur andar hath dal kar kuch saman lekar wapis hamare sath aa baitha. " ye hai vo wajah... " usne samne ek smoke pipe rakhi jisme chota sa kanch ka ek bowl bana hua tha.. aur uske sath kuch aur chizen bhi thi. Dekh kar hi lag raha tha ye log yahan kya karte hai.

" tum log.. drugs " maine itna hi kaha.

" galat ise vo nahi kehte jo tum kehna chahti ho balki... ye to is shrishti ki di hui anmol vastu hai.. iska sevan karne par tum jeevan ke charam anand mein pahunch jate ho " vidhu ne bich mein rok kar mujhe bola.

" kuch bhi? " main ek pal chup hui " to tumne yahan par adda banaya hua hai? "

" humne...? nahi priye.. sirf hum nahi.. yahan par to hazaron zac atte hain... "

" zac? "

" han.. jaise tum ho..... "

" hum? "

" han tum ho zac62 aur tumhari ye friend zac69 " vidhu ne muskurate hue kaha.

" 69? " manpreet hans padi aur baki sab bhi, mujhe bhi hansi aa gayi lekin aaruhi abhi bhi gusse mein thi. Mene uski taraf dekha to ek pal ke liye uske prati bura laga par main janti thi ki vo samajh jayegi.

" lekin aisa kyun karte ho tum? " mene fir sawal kiya.

" karna padta hai babe.. kal ko tumne kaha ki tumhe vidhu ne hassh.. di hai.. to gardan kiski pakdi jayegi ? lekin agar tumhe uska naam hi nahi pata hoga to tum aur tumhse juda hua har insan humesha bacha rahega..jaruri hai na... ek dusre ke sach ko chupana... isliye jo bhi yahan ata hai sabke aise hi naam hote hai..koi kisi ko naam se nahi bulata... sabke pas registration ke baad apna naam hota hai, vo to zac24 " vidhu ne manpreet ki taraf ishara kiya " ke kehne par mene tum dono ka registration karwaya aur by luck hume aaj ke liye jagah bhi mil gayi warna registration hona bhi mushkil hai aur yahan ka spot milna bhi "

" registration? "

" hmm " vidhu pot banane ki tayari kar raha tha.

" registration kaise hoti hai? "

" website hai... "

" iske liye website banai hui hai? "

" han... vo bhi bahut secured.. girlshostel.org "

" ye to bahut common name hai.. "

" hai.. tabhi kisi ko shaq nahi hota aur access bhi sirf college campus se ho sakti hai... banane walle ne college ke hi server use karke via proxy via etc etc.. karke secure bana rakha hai, aisi meri theory hai "

" par itna bada campus hai.. itne sare students hai.. leak nahi hui kabhi? " vidhu mere sawal puchne tak apna pot jala chuka tha aur uske kassh le raha tha.

" yahi hamare purvajo ne socha tha...i mean seniors ne.. isliye secure banane ke liye jab bhi koi ispar register karta hai uske baad full proof verification.. ki jati hai us bande ki... zara si bhi gadbad.. aur khel khatamm... " dhuain chodte hue vidhu ne jawab diya.

" khel khatam matlab? "

" matlab fir use tarike se samjhaya jata tha... " vidhu ishare se samjhane ki kosish kar raha tha. Ab mujhe lag raha tha jaise yahan ane ke liye mene kisi gehre raaz ke andar hath daal diya hai.

" to kya hamara bhi registration aise hi hua hai? " mene sawal kiya.

" han, bas tum dono ke case mein mujhe ye kaam karna pada tha isliye mujhe tumhare naam dalne pade jiske baad tum dono ki verification hui jisme thoda time lag gaya tabhi late hua, varna jo apne phone se hi register karte hain unko verification mein time nahi lagta..... " vidhu ke batane par samajh aya ki kyun itni der hume wahan baithna pada tha ki raat ke takreeban 1 baj gaye the, iske alawa ye bhi samajh aya ki vidhu ne aisa kyun kaha ki ye sab jo hai vo college ke server mein hi chal raha hai.. kyun ki hamare naam se hi unhone hamare bare mein jaan liya tha aur hamari sari information college ke database mein to maujud hi hai.

" kaun hai vo jo ye sab karta hai " jigasya purvak mene pucha.

" pata nahi... koi nahi janta.. ki vo kaun hai.. aur sirf ek hai ya ek se jada... zinda bhi hai ya nahi.. vo khud operate karta hai ya fir sab kuch apne aap chal raha hai..ya usne kisi ko laga rakaha hai nobody knows... "

" par aisa kaise ho sakta hai? tumne kaha ki kisi par shaq hota hai to uska khel khatam? uske piche kaun hota hai? "

" no idea.. vo bhi sab anonymous hote hai.. itni badi chiz ko secure rakhne ke liye.. har chiz ka dhayan rakhna padta hai "

" kya vo unko maar dete hai? " man mein jo sawal chal raha tha mene akhir puch hi liya.

" tumhe uski kya chinta babe... tumhari verification ho chuki hai, sab clear hai... befikar raho... tum log yahan isliye hi aa paye ho kyun ki system ko tum par kisi tarah ka sandeh nahi tha "

" mujhe ek sawal khatak raha hai... aur vo ye ki... hamari verification hoti kaise hai? unhe kaise pata chalta hai hum sahi hai ya nahi? "

" koi nahi janta ki unke verification ka kya tarika hai... par itna hai ki agar koi bhi chalaki dikhata hai to uska anjam acha nahi hota... mene ek ladki ke bare mein suna hai.... "

" kya suna hai? " ab mahol thoda gambhir ban gaya tha.

" Pata nahi baat kitni sahi hai... par kehte hain us ladki ne kosish ki thi.. yahan ka sach batane ki.. and she ended up dying.. hostel ke chatt se kud kar jaan de di thi usne " vidhu ke batane ke baad sann jaisa mahol ho gaya tha. Aisa laga jaise hum mein se koi saans tak na le raha ho. Itna deep dark silent mene kabhi mehsus nahi kiya tha, ek pal laga ki kya humne koi galti kar di hai? Mujhe apni chinta nahi thi kyun ki main aisi pagal nahi thi par aaruhi ke uppar mujhe bhrosa nahi tha. Is deep dark silence ko todte hue mene baat hi badal di.

" lavanya..? kya vo bhi yahan ati hogi? matlab usne aaruhi ke sath vo prank kiya aur prank ke time to ek dum se use yahan ke liye jagah nahi mili hogi to vo aise kaise aa jaa sakti hai? " ab ye sawal puchne ke piche wajah thi kyun ki jitna abhi tak vidhu ne bataya tha uske hissab se lavanya yahan aise nahi aa sakti thi lekin vo ayi thi to kaise? Agar is baat ko clear nahi kiya to aaruhi ko yahi lagega ki us din jo bhi hua uske sath vo kisi 'unwanted' ka hi kaam tha.

" usko pas to full permission hai " vidhu ne pot se kasht lekar aage badhaya aur manpreet ke hath mein pakda diya.

" full permission ? "

" hamm... abhi jo hum yahan baithe hai... yani ki hum.. jis category mein fall karte hain vo 'False' category hai "

" false? "

" hmm.. yani ki hum yahan tabhi aa sakte hain jab hume ane ki permission milegi.. jaise ki aaj mili bhale hi by luck mili "

" by luck? "

" slot hote hai time ke.. jo slot hume mila hai us slot ke piche bhi kai log hote hai.. jisme ek chuna jata hai.. aur jiska number aya vo yahan aa jata hai "

" seriously? itni jada bheed hoti hai yahan ane ke liye? "

" kyun tumhe pasand nahi ayi jagah ? "

" ayi par... "

" tumhe kya lagta hai ye sab.. kahan se aa raha hai.. aur ye intezam kaun kar raha hai " vidhu ka ishara pot ki taraf tha, iske alawa vo ye bhi samjha raha tha, ye khane ka saman, beer aur ye mahol sab kuch pehle se bana hua tha, inhone kuch nahi kiya tha. Badi hi ajeeb baat thi, koi itna sab kar raha tha aur sala kisi ko shaq nahi tha. Koi bahut bada hath tha iske piche " in chizon ke liye ek channel banana padta hai.. arbo rupee ka dhanda hai ye.. un logon ke liye.. hamare liye to sirf mauj ka zaria hai "

" itna sab kisi ne sirf drugs ke liye bana rakha hai.. ajeeb lagta hai ? " mere puchte hi vidhu hans pada. Abhi pot gaggan ke pass aa chuka tha.. jo uske khinch kar dhuain nikalne ke liye tayar tha.

" sirf? le kar dekho dunia badal jayegi... aur aap zac69 wahin khadi rahegi.. puri raat " vidhu ne fir aaruhi se pucha. Vo abhi tak wahin khade reh kar batein sun rahi thi.

" tumne kuch false ka bataya tha, lavanya ko full permission hai vo wali baat adhuri reh gayi.. " maine aaruhi ki taraf dekha jo ek tuk wahin khade humari taraf dekh rahi thi.

" zac001 hai vo.. naam mat lo.. yahan allowed nahi hai "

" tum to aise keh rahe ho jaise vo hume dekh rahe hain " mene khilli udate hue kaha.

" dekh rahe hain.. " vidhu ne ye baat itni dhime gayi ki mere sharir mein jhur-jhuri si daud gayi. " vo hume dekh rahe hain.. "

" yahan camera hai? "

" nahi.. "

" fir kaise dekh sakte hain? "

" don't know... but ek kissa suna hai mene.. ki yahan par ek ladki ko laga ki vo yahan ane ke baad sab kuch bata degi jo bhi yahan chal raha hai.. usne kuch chizen shoot bhi ki.. lekin jab vo yahan se nikli to na to uske pas vo video photo bachi uppar se uske wahan hone ki clips use dikhai dene lagi... tabse ye manna jata hai ki we can't cheat them.. they are always looking... " vidhu ki baat ne ek pal ke liye mujhe sehma diya. Baki sab bhi is baat ko jante the ya nahi malum nahi.. par unki shakal par bhi shikan thi.. shayad itni deep knowledge abhi tak nahi hui thi yahan ke bare mein kisi ko.

" to fir lava.. i mean zac001 usko full permission kaise hai? vo kaise aa jaa sakti hai "

" full permission wale ko 'True' kaha jata hai... suna to mene yahi hai ki zac001 ko uske first year mein hi ye permission mil gayi thi.. kaise ? ye to koi nahi janta.. lekin vo yahan kabhi bhi aa sakti hai aur kabhi bhi jaa sakti hai... usko is jagah ke bare mein sab kuch malum hai.. vo yahan explore kar sakti hai lekin hum nahi kar sakte .. aur tumhe ek aur baat bata dun.. zac001 iklauti aisi insan hai jise full permission mili hui hai "

" seriously? tumhe kaise malum ? " vidhu ne is baat ka jawab nahi diya, ki vo kaise janta hai aur farak nahi padta, mera yahan main mudda tha aaruhi ko in sab baton ko sunne dena, usko dikhana chahti thi ki us raat koi aur nahi balki vo lavanya hi thi jo uske sath mazak kar rahi thi jise vo 'unwanted' samajh baithi thi.

" to kya aise hi hum 'True' ban jate hai? "

" no idea.. kaise bante hai.. par malum chal jata hai.. "

" yani ki hum mein se bhi koi ban sakta hai? " sawal vishal ki taraf se tha jo tab se chup baitha tha bich bich mein mujhe dekh raha tha lekin jab bhi main use dekhti to nazre chupa jata tha.

" ho sakta hai.. aur agar.. tum mein se koi 'True' hoga to uska clue use mil jayega "

" par vo hume contact kaise karte hai? "

" message milta hai... jo read karte hi automatically destroy ho jata hai "

" clever... " mere pas kuch sawal to the lekin mene unhe puchna sahi nahi samjha. Agar vidhu sahi hai to vo log mujhe bhi dekh rahe honge isliye mein kuch bhi aisa nahi bol sakti jiski wajah se baad mein fasne ke chance ho. Mujhe andar hi andar aisa lag raha tha ki jo batein mene suni hai kahin uska connection is chiz se to nahi? Jaise vo callgirl aur director ka marna? " par ye sab kab se chal raha hai aur tumhe ye sab kaise malum hua ? "

" ye to kisi ko malum nahi ki.. kab se shuru hua, hume hamare seniors ne bataya aur unko unke seniors ne.. lekin jaisa mene kaha.. banaya kisi senior ne hai ye baat jarur suni hai mene" vidhu ne dusri beer ki bottle kholi " vaise apki dost, zac69 wahin khadi rahegi puri raat? " vidhu ne pehle mujhse pucha fir aaruhi ki taraf dekhne laga.

" mujhe bas.. wapis jana hai... main yahan nahi rukna chahti.. mujhe is jagah se koi lagav nahi hai.. " sawal mujhse pucha tha par jawab aaruhi ne diya.

" tu abhi tak un 'unwanted' chizon ke bare mein soch rahi hai...? abhi vidhu ne bataya to yahan kuch nahi hai.. ye jagah 'Haunted' nahi hai aar.. i mean zac69.. is khandar ke piche koi kahani nahi hai.. tu dar mat.. " main aaruhi ko abhi samjha rahi thi kyun ki ye tay ho chuka tha ki us din aaruhi ke sath jo hua uske piche Lavanya hi thi. Main use isliye samjha rahi thi taki uske dil se dar nikal jaye itne mein vidhu bol pada.

" kisne kaha ki is mansion ke piche koi kahani nahi hai? " jaise mene vidhu ki taraf dekha usi tarah aaruhi ne bhi. Pehli baar use mene kisi baat par interest lete hue dekha, use laga jaise andhere mein use kisi ne roshni pakda di ho.
 
Last edited:

Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,620
92,251
189
ab ye kya chutiyappa chal raha hai us khandahar mein.. nashili pardarth, beer, Sharab, mombatti etc. etc. :mad:
aur upor se ye code word zac mak fak, naam nahi le sakte, koi nazar rakh raha hai, koi nashile padarth supply karne wale giroh etc etc :mad:
Akhir ho kya raha hai :mad:

chalo teen baatein clear huyi...
1) tanu ya tanu jaise hi kisi kirdaar ki maut is nasha bechne wale gang ke wajah se huyi thi..

2) supriya ko jo call ya messages aate the raat ko jo automatic delete ho jaati wo calls aur messages ishi gang ne bhej raha hoga ushe....
yaani ki ya to supriya ko shayad zac 001 banana chahte the weh log ya phir supriya ne aisa kuch kiya hoga jiske chalte ushe saza ke taur pe uske sath unwanted ghatanaye ghatit karke supriya dara rahe the.. ushe pagal banane ki koshish kar rahe the...

3) wo jo khandahar mein roushni hoti thi wo kisi nashakhor dwara lagayi gayi mombatti thi...
jishe dekh supriya dar gayi thi bhoot samajh ke aur baad mein aaruhi bhi dar gayi lavanya ke prank ke chalte us roushni ko dekh..

Ek aham baat ye ki kuch to hai us khandahar mein... matlab kya pata wo unwanted hi ho...
Khair......
par itna jarur hai ki haaraman shruti ki wajah se aaj jane anjane mein aaruhi bhi nashile padarth bechne walo ki gang samil ho ho gayi...
I think shruti jaise log is saamaj ke liye, aaj ke generation ke liye ek khatra hai... wo khud to aise bure cheejo lat laga leti hai sath hi uske aas paas rehne walo ko bhi ghasit leti hai us daldal mein...
Jaise aaruhi ko aaj us daldal ghasit liya...

Ye kirdaar Vidhwan koi Vidhwan nahi balki ek gatar jaisi ki soch rakhne wala gande naali ka kida hai..
aur ye jo uske aas paas baithe the jo aaruhi ka zac 69 naam deke hansh rahe the, ye sab ke sab kirdaar saamaj ke liye khatra hai ...
Ab ek raasta bacha hai aaruhi ke liye....
waha koi nukili dhardar cheej dhund ke utha le aur in kirdaaro pe hamla kar de... aur tab tak hamla karti rahe jab tak harami vidhu, kulta Kim, haramkhor vishal - gagan, chinnar harpreet aur haaraman shruti mar nahi jaate... waise ye kirdaar logis udhari ki jindagi jee rahe hai upor inki antar aatma chad chuki hai nashile padarth pite pite...
Kissa hi khatam kar de un kirdaaro ka... :dwarf: Na rahegi bans na bajegi bansuri :dwarf:
Phir aaruhi bhi chain se jee sakegi...

Khair...
Kahani ke villain... ya to wo gang jo nashile padarth supply karte hai us khandahar mein...
ya phir ko aisi chij ya kirdaar jo parde ke piche rahkar kuch ajibo garib kaarname kar rahe hai, jaise us raat supriya ko khidiki ke bahar wo Saya dikhna etc.. etc.
let's see what happens next
Brilliant update with awesome writing skills :applause: :applause:
 
Last edited:

Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,620
92,251
189
1) supriya ko tanu leke gayi thi us khandahar pe
....
aaruhi ko lavanya le gayi thi us khandahar pe...
2) supriya ne khandahar mein roushni dekhi
aaruhi ne bhi khandahar pe roushni dekhi
3) tanu ne khandahar ke bahar supriya ko Lake chhod di... andar prank nahi kiya supriya ke sath..
Par lavanya ne khandahar mein prank kar ke dara diya aaruhi ko..

4) supriya kaise wapas aayi hostel ye hum readers jaante hai..

Par aaruhi kaise wapas hostel aayi, ye ek sawal hai

5) supriya ke sath kayi ghatanaye ghat rahi thi... Koi uspe nazar rakhna, cctv, baal jhadna, 3 baje baad phone aana, cubicle pe wo kand, khidki ke bahar wo saaya, tanu ki khaufnaak maut etc.

wohi dusri taraf aaruhi ke sath kuch similar ghatanao ko chhod kar baaki sabhi alag tarah ki ghatanaye ghati....
bhootiya hostel mein jaake behosh ho jaana, khandahar ka raaz, aur ab ye nashile padarth aur ye gang... etc..
 
Last edited:
Top