• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy " Girls Hostel "

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,642
8,370
219

~~INDEX~~

Chapter 1 ~~ " Supriya "
Chapter ~~ 2 " The Illusion "
Chapter ~~ 3 " Catatonic Schizophrenia "
Chapter ~~ 4 " A True Face "
Chapter ~~ 5 " The Antiquarian "
Chapter ~~ 6 " The Amazon "
Finale
Chapter 7 : " Book Of Hoax "

Some Comments for this story :love: (Late Add-on :sigh:)

सच में , यह पुरी स्टोरी दिमाग के परखच्चे उड़ाए जा रही है । कभी लगता है कहानी में सस्पेंस है तो कभी लगता है भ्रम जाल का ताना-बाना बुना हुआ है तो कभी लगता है जैसे कोई रूहानी ताकतें हैं तो कभी लगता है यह सिंपल स्टोरी है जिसमें आरूहि एक गम्भीर बिमारी से पीड़ित है ।

मुझे लगता है इससे बेहतरीन कहानी फिलहाल तो इस फोरम पर नहीं है । और सबसे बड़ी खासियत है आपके लिखने का स्टाइल और अंदाज । आउटस्टैंडिंग हर्षित भाई ।
thoos thoos ke khana khaya aaruhi ne jo ekdam majedar horror type scene tha ..
सही में , हर्षित भाई ! मुझे बहुत ही दया आने लगा है आरूहि पर । अगर किसी हरामखोर की वजह से उसकी हालत ऐसी हुई है तो उसे जहन्नुम का रास्ता जरूर दिखला दिजियेगा ।
WTF!!! Yahi pehla reaction nikalta hai is kahani ko poora padhne ke baad... Halanki pehle bhi maine is kahani ke kuchh 7-8 updates padhe huye the par jab is baar padhna shuru kiya to ek naya sa romanch har beet te update ke saath banta gaya... Bohot hi zyada behatreen tareeke se likhi gayi kahani hai ye, ab jis prakaar ka plot imagine kiya hai lekhak saahab ne uske baad ek nausikhiya bhi likhe to bhi kahani halki nahi ho sakti, aur yahaan jis level ka narration, aur scene specialization hame padhne ko mila hai, wo kaafi hai dikhane ke liye that this is, without a doubt,one of the finest stories available on XF... Chahe wo running stories hon ya fir completed, aur chahe future mein likhi jaane waali kahaniyan, is story ka ek alag hi sthaan bana rehne waala hai forum par... Aur iske liye writer saahab ki jitni bhi tareef ki jaaye wo kam hi hogi...

Fantasy genre ke saath shuru huyi ye kahani, kab alag - alag genres ke darshan karane lagi padhte waqt katayi pata nahi chala... Horror, Suspense, Thriller, Adventure, Romance and of course Fantasy, aur saath hi mein Erotica ke ansh bhi... Ek story mein is se zyada kis cheez ki apeksha kar sakta hai reader!? Again, one of the best stories I've ever read... Outstanding Stuff harshit1890 bhai... :bow: :bow: :bow:
Kya hi khubsurat kahani likhi hai aapne bhai... I'm just speechless, jitni bhi tareef karunga kam hi hogi... Erotica ka bhi bilkul sahi situation mein use Kiya gaya hai aur sabse important har kirdaar par lekhak ki shaandar pakad bani rahi hai... Har character ka kahani mein hona justify kiya gaya hai, kahin bhi koyi bhi character bina matlab nahi ghus aaya...

Ab dekhna ye hai ke Mehta waali meeting mein kaun kaun shaamil tha aur unka maksad kya tha? Aur Shruti is sab ki sachayi jaan bhi paayegi ya nahi? Aruhi sach mein kisi beemari ka shikaar hai ya kewal naatak kar rahi hai? At last, Ek baar ko apun ko ye bhi laga ke asal mein ye sab jo ho raha hai wo kewal Shruti ki kalpana hai... :dazed:

Outstanding Story & Updates Bhai & Waiting For Next...
Harshit bhai... Kayi horror stories padhi hain maine, joki poori tarah se horror genre par based hain but jis tarah ka scene aap create karte ho, taking into note ye story horror genre par based hai bhi nahi, that's phenomenal...
meghnath naam rakhne ke pichhe ki kahani bhi majedar hai 😍😍😍..
jab me TV nahi dekhta( waise tha nahi nahi ghar par ) tha bachpan me aur bas naam suna karta tha to khudko SHAKTI KAPOOR. kehta tha dosto ke bich 🤣🤣🤣..ye kissa padhke bachpan ki yaade taaza ho gayi 😍😍😍..
Slowly my interest is increasing towards the story full of adventure, fun to read, no doubt you are a great writer, thank you for writing such a beautiful story.
Have to admit, your story completely twists the thinking, sometimes it seems in the mind that it is just a disease and sometimes it seems like something supernatural. Your writing is commendable, even after writing this much there are many questions and there will be many such points which I have missed. In some scenes there was a combination of intensity as well as erotic scenes, which you have shown very well, what should I say now, now the words of praise are over understand my feelings.
harshit1890 Hats Off... enjoyed it. :applause:
but why were you making her nude everytime in front of everyone. :angry:
मुझे नहीं लगता दुनिया में कोई भी ऐसा माई का माल होगा जिसे इस कहानी की पहेली समझ में आ रही हो। गजब का दिमाग हिला रखा है आपने हर्षित भाई।
The whole incident, that Mansion one was written so beautifully that no words are sufficient to describe it! Ismein koyi doraye nahin ki maine aaj tak kisi ko bhi is tarah ka horror likhte nahi dekha hai... Haunted ko read kiya tha maine, kaafi pehle, aur main bilkul daave se keh sakta hoon, that you're the best,when it comes to generating real fear in readers, while they read the story..
Bhatt the phakk is this estory?:redface:
 
Last edited:

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,642
8,370
219
क्या खुफिया कॉलेज है और उसका होस्टल तो उससे भी ज्यादा राज छुपाये बैठा है।
अगले अपडेट के इंतेजार में।
Ab bhai kuch hai to raaz bhi honge :D Thank you bhai :hug:
 
harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,642
8,370
219
अगले पोस्ट के इंतेजार में

aaj aa jayega bhai... aafis ke chakar mei thudka thudka likhela hai.. aaj pura karke dunga
 
harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,642
8,370
219
Update ~~ 71

" Kya ho raha hai andar? " vishal piche se fusfusya.

" kuch samajh nahi aa raha "

" kaun kaun hai andar? "

" nahi malum sirf per dikh rahe hain " shruti ne peron ke jodde dekhte hue kaha.

" to fir kaise malum chalega... "

" sssh.. sune to do... " shruti ne irritate hote hue piche mud kar kaha. " tum dhayan rakho koi aa to nahi raha " usne vishal ko kaam par laga kar khud andar jhankte hue dhayan se sunne lagi.

" In vardato ko jaldi rokna padega varna is college ke sath hamari jebo par bhi tala padh jayega " is shaks ne bade raub ke sath kaha.

" Police kosish kar rahi hai.. Ek baar vo log pakad mein aa jaye jo iske piche hai to mamla sulat jayega " dusre ne thoda ruk-ruk kar jawab diya tha.

" Mujhe use farak nahi padta. Tum us shaks ko pakdo ya nahi ya kisi ko bhi lakar khada kar do lekin mujhe ab koi bhi maut nahi chahie. Parents ka bahut pressure hai director par. College ka naam already bahut kharab ho chuka hai.. Kisi bhi tarah handle karo.. Tumse pehle wala SP jada hoshiyar tha use malum hota tha kab case band karna hai kab nahi "

" Hum kosish kar rahe hain sir " dusre shaks ne usi lehaze mein jawab dia.

" SP sahab.. Apki baat mein dum nahi hai aap kya hi isko suljhayenge " ye koi mahila shaks thi jisne abhi-abhi apne per ke uppar dusra per rakha tha jiski wajah se uski pehni hui sarre halki si uth rahi thi aur hawa ki wajah se andar ke per halke se bahar ko jhank rahe the.

" Aisa nahi hai madam, hamari team kaam kar rahi hai. Par koi sabut mile tab to case solve ho "

" Har khoon ke baad aap yahi kehte hai " usi mahila ne kaha.

" Madam, Hum to keh rahe hain ki market mein naye CCTV camera aye hai aap unhe lagwa lijeye, asani hogi "

" Pehle kya CCTV hote the ? Hote the ya nahi? " pehle wala shaks unchi awaz mein bola.

" Nahi sir "

" To kya chor aur khuni nahi pakde jate the " vo unchi awaz mein bola " Jitne camera lage hai utne kafi hai, ab tum kya chahte ho main har jagah camera lagwa dun.. Kitna ka kharcha hai malum hai tumhe? Is mandi ke waqt agar itna kharcha karne gaya to jo moti-moti jeben tum logon ki bhari jati hai vo sab band kar dunga " us shaks ne itna kaha aur khamoshi chai rahi. " Pehle bhi is college mein bache mare hai lekin kya kabhi koi case uchla hai? Jo ab uchalne laga hai.. "

" Sir ab social media ka naya trend chala hai. Kuch bhi hota hai log use facebook aur whtsapp par share kar dete hai. Baat jaldi failti hai " wahan maujud logon mein se ye koi chautha shaks tha.

" Sir main to ye kehta hun ki college mein social media hi band karwa dete hai. Bache na hi use kar payenge na khabre felengi " panchwa shaks bola.

" Nahi sir aisa nahi kar sakte.. Do reason hai pehla bachon par is tarah ka pratibhand lagane se unke andar sandeh paida hoga aur dusra agar hum logon ne premisis se dono chiz band bhi kar di to bachon ka khud ka bhi net hai.. Mujhe ye idea durable nahi lag raha " chatte shaks ne apna paksh rakha.

" hmm tum theek keh rahe ho.. " pehle shaks ne fir kaha aur ek pal ke liye shanti rahi " Kaam to tumhe hi karna hoga SP mujhe ise matlab nahi ki bache kaise mar rahe hain mujhe bas ise matlab hai ki is chiz ko uchalna nahi hai. Ab har bache ka theka nahi le rakha mene.. samajh rahe ho na main kya keh raha hun ? "

" aap keh rahe hain ki postmartam ki report badalwa dun aur us ladke ki maut ko suicide bana dun? " us dusre shaks ne kaha.

" Main tumhe gyan dene ke liye nahi baitha hun.. Tumhe bhi pata hai ki kya karna hai "

" lekin sir report ban chuki hai "

" to kya vo pehle nahi banti thi? Jo ban chuki hai vo director sahab par jama karwa do aur tum apna kaam karo. Isi baat ke paise milte hai tumhe "

" ji sir... main team aur badha kar chauksi karwa deta hun " itna bol kar vo shaks apni jagah se khada hua.

" aur han.. vo ladki jo mari thi.. kya naam tha uska.. jiske baad se manhusiyat felhi hai is saal "

" Lavanya " is baar koi alag shaks bola, ye bhi koi mahila hi thi.

" Han.. uspar jo tumne director ko report di hai uska kya hai? "

" usko kaise suicide banaun? " Sp ne tans kaste hue kaha.

" Ab kanun bhi main padaun tumhe to ye vardi mujhe de do.. Madharchod.. " vo pehla shaks tilmilate hue chillaya.

" mere kehne ka vo matlab nahi tha lekin vo murder hi hai "

" To bhosdike use solve karo ya fir kuch to do kam se kam warna tera transfer hi karwa dun.. "

" Khuni mil jayega apka nishint rahiye, Izazt chahunga " Itna bol vo dusra shaks wahan se jane laga aur jatte hue jab vo kiwad bhed kar nikla tab shruti aur vishal apni jagah se hatt kar dusri jagah pahunch chuke the.

" police wala hai ye to " vishal ne turant use dekhte hue kaha.

" tumhe kaise pata? bahar tak awaz aa rahi thi? "

" shoes dekho uske.. bhale hi sadde kapdon mein hai lekin police wallon ki pehchan unke jutton se ho jati hai " vishal ki baat sun shruti ko naya gyan mila jise rakh kar usne police wale ko dekhte rehna sahi samjha jo ki us taraf nahi jaa raha tha jahan se vo aye the. Balki vo to jhadiyun mein ghus kar kisi aur hi disha se bahar jaa raha tha.

" chalo wapis jagah par.. " shruti turant wahan wapis apni jagah par aa baithi jahan andar batein chal rahi thi.

" ise kaam ho payega vo mushkil lag raha hai. Hume hi koi niyam banane padenge. Kuch dino ke liye ek baar ye band ho jaye fir sab ek khabar ki tarah bhul jatte hai.. College mein kya hua tha iski sirf kahani ban jayegi aur aisa hi chalta rahega sab " ye wahi shaks tha jisne us police walle ko hadkaya tha. Shayad yahi trusty hoga kyun ki director ki awaz to aisi hai nahi aur na hi uski hasiyat ki vo ek police walle se is tarah se baat kare vaise bhi baton hi baton mein director ka jikar isi shaks ne kiya tha. Shurti sochti hui baton ko bade dhayan se sun rahi thi.

" Kam se kam parents ko lagna chahie ki college is mamle ko bahut strict tarike se handle kar raha hai. Lavanya death is a curse for this college " ye wahi mahila shaks thi jo bar-bar apni sarree theek karti aur us bahane se use halka uppar utha deti. " And Mr Mehta why we are meeting here, its so hot ... " usne apni sarre ko niche se utha kar hawa mein lehraya jaise hawa karke apne andar thandak pahuchana cha rahi ho.

" Majburi hai Saritaji, ye baatein agar college premisis mein hui to obligation lag jayegi aur jis tarah abhi us SP ko sunaya hai na vo nahi kar pata. Aur waise bhi kisi ne kuch sun liya to lene ke dene padh jayenge. Aisi batein isi jagah par hongi..thodi garmi hai bardasht kar lijeye... "

" but agar ye baat fir bhi college mein pata lag gayi to? " sarita ne is andaz mein kaha mano vo wahan baithe sadasyon par doubt kar rahi ho.

" Kaise chalegi? yahan jo koi bhi maujud hai vo hamari team ke bilkul chuninda logon mein se hai. Aap nayi judi hai.. isliye apka shak karna lazmi hai.. kyun director sahab sahi kaha na mene? " Mr. mehta ne baton ka rukh director sahab ki taraf modh dia.

" Ji sir.. Yahan ki batein yahin tak rehti hai.. "

" dekha.. kaha tha mene.. Vo inspector file de gaya na tumhe? "

" ji sir... de gaya hai.. "

" hmm.. to kuch aur baat karni hai ya fir is meeting ko yahin khatam kare? "

" sir ek sawal tha mera? " ye unhi mein se kisi shaks ki awaz thi. " Police ki mane to in khoon ke piche koi sabut nahi mil raha hai aur jahan tak kisi bhi jurm ki baat hai vo bina kisi matlab aur sabut ke hota nahi to fir ye kaise ho raha hai? " us shaks ki baat sun sabhi ek pal ke liye khamosh rahe. Man hi man sab maan rahe the ki baat utni sahi hai jitni SP keh raha tha.

" hmm.. tumhare kehne ke piche ka arth ? " Mr. mehta ne ghambhir awaz mein kaha.

" Samajhne ki kosish kar raha hun.. Kya koi wajah hai in sabke piche jise khoj par hum band kar sakte hain? ya fir sach mein jaisa SP keh raha hai ki ye sab ek rehasmye mautein hai.. inko suljhana mushkil hai " usi shaks ne apne man ki baat rakhi.

" Kya ye sab us hostel ki wajah se to nahi ho raha? " Ye awaz wahan baithi dusri mahila ki thi jisne abhi tak ek-do vakye hi kahe the shayad. Par bingo.. yahi to sunna tha.. Shruti ki ankhein baddi ho chali thi.

" Bakwas, bekar ki baat hai... Adhar hi nahi hai us chiz ka vo sirf ek kahani banai hui hai " koi ek shaks ne turant kaha.

" Agar kahani banai hui hai to us hostel ko band karke naya hostel kyun banaya gaya? " Usne turant apni baat rakhi.

" Is baat se is chiz ka taluk? " Mehta ne gambhirta se pucha.

" Kuch bhi ho sakta hai shayad koi bhoot-preet atma aisa kar rahi ho " us mahila shaks ne kaha to ek pal shanti rahi aur fir agle hi pal tahake laga kar sab hasne lage.

" Oo common Vandana tum bhi kaisi low class batein karti ho " Sarita ne turant kaha.

" lekin saritaji.. hume " vandana aage bol nahi payi.

" Vandanaji as a committe member mujhe apse aisi baton ki umeed nahi hai. Ye sab afwayein na badaye. Purane hostel ko band karne ka reason yahan baitha har shaks janta hai ki wahan ki neev kamjor ho chali thi. Humne to bas uska fayda utha kar fund liya tha kyun Saritaji.. " Mehta hansta hua bola.

" well that's true.. Idea acha tha par apko nahi lagta ki use bitte 8 saal ho gaye aur tabse humne kuch aisa nahi socha jise fund ke naam par paise ikhate kiye ja sake? "

" Hahaha... Aap bhi sarita ji .. Waise apki baat mein dum hai.. hume kuch karna chahie... Aur shayad is situation ka fayda utha kar kuch paisa ikhata karna chahie Kya bolte ho director "

" ji sir.. bilkul... "

" Hmm.. to ek committe banao... aur karo paisa ikhata... Director... vo apna Principal hai na Madhuban use bolo ek committe banaye aur paisa ikhata kare "

" lekin sir kis baat ka.. " director ne fauran pucha.

" are... jo bache mare hain unke naam par... salon ne marne ke baad itna pareshan kiya hai ab kam se kam uska kiraya to jama kare.. "

" par.. kaise.. "

" Ab ye bhi main bataun? Tumhe sirf order dena hai baki vo khud sochega ki kaise karna hai.. theek hai.. Ab chalo.. main aur is pasine ko bardasht nahi kar sakta ... ek minute.. ek khas baat... " Mehta ne kaha aur jaise sab uthne lage the vo usi position mein reh gaye. " Koi bhi is mansion ki taraf bina mere bulaye nahi ayega.. samjhe aap log? Warna jante ho na last time jab vo director aya tha to uska kya hua tha, jante ho na? "

" ji sir.. " wahan maujud kuch shaks ne ispar samrthan diya.

" good.. next meeting jab bhi hogi tab director bata dega.. tab tak ke liye... is jagah aur meeting ke bare mein koi jikar nahi hona chaihie... " Mehta ne itna bola aur shruti ne lakdi ke fatte laga diye.

" chalo ab nikalne ka time ho gaya.. "

" usi raste se? "

" dumb sawal mat karo.. warna tumhe kuch nahi milega samjhe? " shruti ka ishara samjhte hi vishal ne bas hami bhari aur dono dabe panch wahi pahunch gaye jahan se aye the. Shruti pehle niche utri uske baad vishal niche utra. Dono ne ek dusre ka hath pakda aur andhere galiyare mein tezi se chalne lage. Pasina ek baar fir badan mein behne laga tha lekin is baar vo tayar the aur jante the ki kitna samay lagega. Dono hanfte hue dusre chorr par aa chuke the " ye.. to band hai... " vishal ne hanfte hue kaha.

" jarur vo.. vo... peon band kar gaya hoga... " shruti ki bhi sansein ukhad rahi thi.

" ab kya karein fir... vo log piche se aa jayenge.. hum pakde jayenge " vishal ne palko par tapke pasine ki bund ko saaf karte hue kaha.

" tum gaggan ki tarah kyun bante jaa rahe ho... yahan... ugfff.... ye ghutan... " shruti ne apne aap ko sambhala use laga ki abhi chakar aa jayega " dekho yahan par kuch hoga kholne ke liye.. har lock door ke do hisse hote hai kholne ke liye iske bhi honge na... aur jaldi karo... mujhse ye ghutan bardasht nahi hogi " shruti jaise haar marte hue deewar se sat kar wahin baith rahi thi.

" ok.. ok.. " vishal ne phone nikala aur torch jala kar dekhne laga. Usne deewar par dekha lekin use kuch nahi dikh raha tha pasina aur ghutan use bhi ho rahi thi.

" vishal jaldi... " shruti ne ukhadti saans lete hue kaha.

" Han... dhund raha hun shruti... " usne hath ferte hue dekhna shuru kiya aur tabhi use kone mein kuch dikha. Pathar ke piche chupa tha " mil gaya.. " us handle khinch kar niche kiya aur tabhi samne se vo locked darwaja khul gaya. Vishal ne use dhakka dekar aag khiskaya aur shruti ko bahar lakar khada ho gaya. Bahar atte hi usne shruti ko sahara diya " band karo pehle ise.. " ukhati sanson se shruti ne kaha jise sun vishal ne fauran water-cooler ko piche dhakka diya aur use band kar diya.

" paani... " shruti itna keh kar water-cooler ke pas akar khadi ho gayi aur tap on karke pani se muh dhone lagi. Pani thanda nahi tha lekin rahat de raha tha. Abhi vishal soch raha tha ki vo bhi muh dhoye ek awaz ne dono ke kaan khade kar diye.

" tum dono yahan kya kar rahe ho? " awaz piche se ayi thi jise sunte hi shruti muh dhone se ruk gayi aur vishal jo tap kholne jaa raha tha uske hath waise hi ruk gaye.
 
Death Kiñg

Active Member
1,372
6,949
144
WTF!!! Yahi pehla reaction nikalta hai is kahani ko poora padhne ke baad... Halanki pehle bhi maine is kahani ke kuchh 7-8 updates padhe huye the par jab is baar padhna shuru kiya to ek naya sa romanch har beet te update ke saath banta gaya... Bohot hi zyada behatreen tareeke se likhi gayi kahani hai ye, ab jis prakaar ka plot imagine kiya hai lekhak saahab ne uske baad ek nausikhiya bhi likhe to bhi kahani halki nahi ho sakti, aur yahaan jis level ka narration, aur scene specialization hame padhne ko mila hai, wo kaafi hai dikhane ke liye that this is, without a doubt,one of the finest stories available on XF... Chahe wo running stories hon ya fir completed, aur chahe future mein likhi jaane waali kahaniyan, is story ka ek alag hi sthaan bana rehne waala hai forum par... Aur iske liye writer saahab ki jitni bhi tareef ki jaaye wo kam hi hogi...

Fantasy genre ke saath shuru huyi ye kahani, kab alag - alag genres ke darshan karane lagi padhte waqt katayi pata nahi chala... Horror, Suspense, Thriller, Adventure, Romance and of course Fantasy, aur saath hi mein Erotica ke ansh bhi... Ek story mein is se zyada kis cheez ki apeksha kar sakta hai reader!? Again, one of the best stories I've ever read... Outstanding Stuff harshit1890 bhai... :bow: :bow: :bow:

Kahani ka pehla chapter yaani “Supriya”, ek perfect starting thi is story ke liye (Halanki aage chalkar pata chala ke wo starting nahi story ka mid part tha :noo:)... Starting se hi storyline par behad hi mazboot grip banayi rakhi aapne, nateejtan kahin bhi story boring ya extended nahi lagi... Kaaran, har scene ki explanation jitni perfect thi utne hi perfection ke saath dialogues aur conversations ka istemaal hua... And that's worth praising for sure... :applause:

Coming to the story, Supriya, shuruaat ke 20 updates padhkar kisi ko bhi yahi lagega ke Supriya hi is kahani ki main lead character hai but when you read the 21st Update, suddenly you realise that the all those updates were just an Illusion... Halanki, jab Supriya, Tanu se bachne ke liye Common Bathroom mein ja chhippi thi, aur wahaan jo ghatnayen huyi thi, (use Aruhi kehkar pukara jaana) tabhi mujhe aabhas ho gaya tha ke shayad kahani mein aage chalkar split personality jaisa kuchh dekhne ko mil sakta hai... Aur kuchh waisa hi hua, Chapter - 2 ko padhne ke baad samajh aaya ke jo kuchh bhi pehle 20 updates mein humne padha, wo maatra Aruhi ki kalpana ka hissa tha, haan kuchh cheezen satya bhi thi jo uske saath present time mein ghatit huyi, par usne apne dimaag mein sabhi characters ko ek alag hi naam se imagine kiya hua tha...

Supriya = Aruhi, Megha = Shruti, Aakash = Vishal, Sunaina Miss = Nandini, Guptaji = Professor Mishra, Tanu = Lavanya, Debu = Sonu... Aur bhi pata nahi kis kis ka ek alag hi naam Aruhi yaani Supriya ne imagine karke rakha tha... Halanki, kabhi - kabhi use khud bhi yaad nahi rehta ke wo ek alag hi parallel duniya banaye jee rahi hai... Is sab ke beech Tanu ya kahun ke Lavanya ki maut, jo darindagi ki sabhi hadon ko paar karti huyi thi, uske Baad Megha ki laash dikhna, wo hissa pehle chapter ka ant tha, ab ye pata nahi ke uska kya reason tha? Sirf ek wo hi ghatna hai jo kewal aur kewal Aruhi ke andar kaid hai... Megha ki maut se kahin naa kahin Shruti ke marne ki aashanka bhi huyi thi par ab nahi lagta ki waisa kuchh hone waala hai, lekin ab tak ki kahani padhkar ye to pata chal hi gaya hai ke, kya lagta hai, wo maayne kahaan rakhta hai? :noo:

Vishal, uska dost Gagan, Shruti ki saheli bani Manpreet aur Kim, saath hi ek hi baar kahani mein dikha Vidhu, sabhi ek ek kar kahani mein entry lete gaye... Halanki, aam taur par characters ka crowd badhne par kahani patri se utar jaaya karti hai, par yahaan aisa kuchh nahi hua... Starting se bani huyi wo grip, 71st update tak bilkul intact hai... Khair, iske baad pata chala ke Aruhi “Catatonic Schizophrenia” ki shikaar hai, jabki baad mein ye bhi saamne aa gaya ke wo maatra ek bhram jaal tha Nandini aur Dr. Alok ka... Ab tak ye suspense kaayam hi hai ke aakhir asal mein Aruhi ko hua kya hai?

Shruti aur Vishal, Rachna sang milkar jasoosi to kar rahen hain par abhi tak un teeno ko bhi koyi mazboot lead nahi mili hai jis se pata chal sake ke Aruhi ke saath, College mein huyi mauton ka kya connection hai! Dekhte hain ke Shruti, joki abhi tak bilkul Sherlock Holmes, I mean Lady Sherlock Holmes ke kirdaar mein nazar aayi hai wo is raaz par se kaise aur kab parda utha paati hai... Aur kahin wo raaz se parda uthane se pehle khud hi naa uth jaaye... Aakhir Aruhi ke sabhi imaginations sach to huye hain, to poore chances hain ke Megha... :whistle:

Ab agar vistar se kahani mein huyi sabhi ghatnaon ka vishleshan kiya jaaye to,

1.) Girls Hostel, yaani ki wo haunted, band ho chuka hostel... Wahin par us kahani ka mukhya bhaag chhippa hua hai... Uske band hone ka kaaran, sab students ladkiyon ke gaayab hone aur unki maut hone ko maante hain,par 71 Update mein Mehta ke dwara ki gayi baaton se kuchh aur lag raha hai... Kisi gair kaanooni dhande mein in sabhi ke shaamil hone ki poori sambhavna hai,saaf hai ke usi dhande se juda hone ke kaaran us Girls Hostel par taala lagana pada, aur uske nisbat unhe moti rakam bhi praapt huyi...

2.) Aruhi, joki abhi tak is story ki sabse mysterious aur important kirdar bankar saamne aayi hai... Uska khudko aur apne se jude logon ko alag roop mein, alag naam se imagine karna... Har raat ko band pade Girls Hostel mein jaana... Uske imagine kiye gaye tareeke se Lavanya (Tanu) aur Suraj ke dost ki maut hona... Uska nude haalat mein Hostel ke terrace par hona... Kya matlab hai in sab baaton ka? Aruhi ke baare mein aage baat karne se pehle, is pehlu par ek nazar...

[Mansion mein jo party huyi thi freshers party ke baad, jiska leader ek tarah se Vidhu tha... Wo ek important hissa rahi is story ka... Lavanya hi iklauti aisi ladki, ya insaan thi jo us Mansion mein bin permission kahin bhi jaa sakti thi, Kaaran uska “zac001” hona... Aruhi ka registration “zac69” ke taur par hua tha... Ye baat to tabhi samajh aa gayi thi ke shayad koyi Drugs Syndicate chalaya jaa raha hai, jiski ek important member, ya kahun ke College ke sabhi students mein se sabse important member Lavanya thi... Par Vidhu ne kaha tha ke “zac001” ban ne ki prakriya secret hai,jise bhi chose kiya jaata hai use apne aap pata chal jaata hai].

Coming back to Aruhi, I think ke use jo raat ke 3 baje calls aati thi wo shayad isi se Judi huyi thi... Aruhi ka Lavanya aur Suraj ke dost ki maut se seedha connection hai... Ye kehna shayad galat ho ke Aruhi ne hi unka murder kiya hai, shayad Aruhi nayi “zac001” ban chuki ho,aur wo position par pahunchne ke baad wo kisi se murder karwa sakti ho!? Doosra assumption ye hai ke, Aruhi ko shayad hypnotize jaisa kuchh kar liya gaya hai... Dr. Alok ne halanki, Nandini ke kehne par hi Schizophrenia waali baat kahi thi, par aisa sach much mein bhi ho sakta hai... Aruhi possessed hai ye baat Gagan ne sabse pehle kahi thi,aur baad mein Shruti aur Vishal bhi is maamle mein investigation kar rahe the... Wo books aur baaki sab, halanki possessed ka matlab Bhoot Pret se nahi hai, bas rk hypnosis jaisi condition ka aabhas ho raha hai mujhe...

Jaise kisi vyakti ko hypnotize karke ek trigger ke jariye us se koyi bhi kaam karwaya jaata hai... Aruhi ke saath bhi shayad waisa hi kuchh hua hai... Pehli baat to Aruhi naatak kar rahi hai,ye baat saaf hai... Us din canteen mein usne apni Maa se jo Periods ko lekar jhooth bola tha, jabki use raaton tak Excessive bleeding huyi thi... Jabki wo Shruti se aise behave kar rahi thi jaise wo kuchh naa jaanti ho... Aur uske baad uska phone ka lock change karna... Shruti ko kehna ke tujhe mere phone se kuchh nahi milega... Aruhi bohot kuchh chhippa rahi hai...

Aruhi hi nahi Urvashi bhi... Urvashi ne Shruti se pakka koyi past ki ghatna chhippayi hai... Now, I think ke Aruhi ke past mein kuchh aisa hai jiske kaaran uske saath ye sab ho raha hai... Urvashi bhi apne College days ko yaad karte waqt ek ragging ki ghatna ke baare mein soch rahi thi...

3.) Asal mein ye kahani present se zyada past se judi hai... Maslan, Nandini aur Alok ka matter... Messages se ye saaf hai ke Alok ne past mein kabhi Nandini ki mada ki thi, aur saath hi Aruhi waale matter mein uski madad ki, jiske badle mein Nandini ne use apna jism saunp diya... Nandini 28 ki hai, jabki Alok ki appearance se wo kaafi umra ka laga tha... To chats se ye lagta hai ke Nandini ko Alok par crush tha,par Alok kisi Raman ke chakkar mein pada hua tha... Maybe wo ab uski biwi ho? Par kahin naa kahin mujhe lagta hai ke is Raman naamak ladki ya aurat ka connection Manpreet se bhi hai... Urvashi ka bhi ek past hai... Cubicle mein Ravina ki maut ka bhi ek past hai... Aur Aruhi ki Dost jiska naam wo kabhi Ravina batati hai aur ek baar Nimi bataya tha... Jisne Aruhi ko pehla Lesbian gyaan diya tha... Bohot se raaz chhuppe hain bhootkaal mein jo is kahani ke ban ne ka ek kaaran hain...

4.) Shruti, mujhe abhi tak yahi ladki is kahani ki asli naayika lagi hai... Ek khuli kitaab ki tarah hai wo, jise koyi bhi padh sakta hai, par filhaal to kewal Vishal hi us kitaab ke rights reserved kiye hua hai :D... Shruti behad hi chalaki se Aruhi ki sachayi pata karne ki koshish mein lagi huyi hai jiske raaste mein wo apne Mysterious College ke rahasya bhi khoj rahi hai... Ab tak is kahani mein Shruti hi meri favourite kirdaar rahi hai... Jis kadar wo Aruhi ke liye sab kar rahi hai, us ladki ki jitni bhi tareef ho wo kam hi hai... Par Shruti ko latest mein ho rahi Mansion ki Meeting ki jaankari kab, kaise aur kahaan se mili!?

5.) Vishal, Gagan, Manpreet, Kim,Vidhu, Rachna, Ruhani... Sabhi as supporting characters story mein aayen hain aur mujhe lagta hai ke Manpreet ka kahin naa kahin is sabse ek bada connection hain... Wahin Meghnath naam ka kirdaar kya hai ye bhi ek secret hai... Ek aur baat, ye ki kisi ko Shruti message kar rahi thi, Main jaanti hun tum kaun ho!? Jiske jawaab mein usne Shruti ko milne bulaya tha, I'm sure wo Meghnath hi tha... Saath hi jise Shruti Vishal ke photos ko trade kar rahi hai wo Jaggu hi hai, Shruti ko galatfehmi huyi ke Jaggu ne darwaze ka kunda toda tha, jiska badla jaane wo us se kaise legi... Par ek baat nischit hai ke Jaggu ki dhajjiyan udne waali hain :D...

6.) Gatekeeper, arthat Debu ka gaayab hona bhi ek mystery hai... Uske gaayab hone se ek raat pehle Aruhi ne uske saamne apni T – Shirt utaar di thi... Aur uske baad uspar chori ka ilzaam lagna? I'm sure ke wo bhi mar chuka hai... Aruhi ne shayad use bhi shikaar bana liya hoga :lol:... Aur shayad is matter ko Dabane ke liye Shailja ne chori ka ilzaam uspar laga diya hoga...

Khair, bohot se raaz bane huye hain par ab tak jitna main samajh paaya hun wo hai ke Aruhi ke past mein kuchh hua hai,Ravina aur Kalpana se alag,jo uski Maa se juda hai... Jiske kaaran wo ghar jaane ki baat par alag hi react karti hai... Girls Hostel aane par Lavanya ke dwara ki gayi uski ragging se Aruhi ka wo past trigger ho gaya... Iske baad wo darne lagi aur fir shayad jo log us Drugs aur Books ke syndicate se jude hain unki nazar Aruhi par padi aur shayad Aruhi unka shikaar ban chuki hai... Unhi ke orders ko maan ne par majboor ho chuka hai Aruhi ka dimaag, aur is sabse nikal paana ab uske liye bohot mushkil hai... Khair, Aruhi ka bohot zyada neend lena aur saath hi uske baalon ka rang black se brown ho jaana, ye bhi ek mystery hai...

One of the best readers voice i have read in a long time... I am completely shocked and speechless.... :bow: :bow: Yakeen nahi karoge page load hone mein thoda time laga, tab tak review ke do paragraph load hue the, main sochne laga ki page reload kyun nahi hua aur within seconds page load hua to main scroll hi karta gaya.. Aur sahi main mere muh se nikla óooteriii ye kya hai... That is why i am speechlesss... absolutely speechless... Iske do teen reason hai pehla ye review dursa apne kahani ko itne vistar se is review mein utara hai jiska mere pas koi jawab nahi hai... tisra... i must say.... You have picked some of the upcoming things so well ki i thought yar ladke ne to kahani hi pakad li... awesome :bow: :bow: Apko review mein likhna tha spoilers ahead...Main ye nahi kahunga ki kaun kaun se sahi pakde hai apne lekin kuch chizen ek dum sahi pakad li.

I have no more words to say about this.. jaisa main hamesha kehta hun ki ek kahani writer nahi balki uske reader banate hai... aur koi ek aisa reader jo padh kar sirf apna samay nahi deta balki us chiz ke baare mein bata kar apna aur samay bitata hai wahi ek kahani ki jaan hota hai. You have created absolutely this... This is one the finest review this story has got in terms of everything. You have dipcted everything correct except one thing... AARUHI ko jo bimari batai Alok ne vo apni analysis karke hi batai usme koi jhol nahi tha. Concept Nandini ka bas itna tha ki vo sabka dhayan is taraf mod de ki kahani mein Aaruhi bimar hai na ki koi bhoot-preet...

Than you so much bhai... its a pleasure reading ur review.. i am still shocked.. with this review.. seriously... :hug:
 
Death Kiñg

Active Member
1,372
6,949
144
AARUHI ko jo bimari batai Alok ne vo apni analysis karke hi batai usme koi jhol nahi tha. Concept Nandini ka bas itna tha ki vo sabka dhayan is taraf mod de ki kahani mein Aaruhi bimar hai na ki koi bhoot-preet...
Is maamle ko lekar thoda confused tha main. Review likhte samay bhi sure nahi tha ke Sachmein Aaruhi ko bimari hai ya nahi. Thanks for clearing this.
 
harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,642
8,370
219
Is maamle ko lekar thoda confused tha main. Review likhte samay bhi sure nahi tha ke Sachmein Aaruhi ko bimari hai ya nahi. Thanks for clearing this.
Koi nahi bhai... :dost:
 
Top