• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy " Girls Hostel "

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,642
8,370
219

~~INDEX~~

Chapter 1 ~~ " Supriya "
Chapter ~~ 2 " The Illusion "
Chapter ~~ 3 " Catatonic Schizophrenia "
Chapter ~~ 4 " A True Face "
Chapter ~~ 5 " The Antiquarian "
Chapter ~~ 6 " The Amazon "
Finale
Chapter 7 : " Book Of Hoax "

Some Comments for this story :love: (Late Add-on :sigh:)

सच में , यह पुरी स्टोरी दिमाग के परखच्चे उड़ाए जा रही है । कभी लगता है कहानी में सस्पेंस है तो कभी लगता है भ्रम जाल का ताना-बाना बुना हुआ है तो कभी लगता है जैसे कोई रूहानी ताकतें हैं तो कभी लगता है यह सिंपल स्टोरी है जिसमें आरूहि एक गम्भीर बिमारी से पीड़ित है ।

मुझे लगता है इससे बेहतरीन कहानी फिलहाल तो इस फोरम पर नहीं है । और सबसे बड़ी खासियत है आपके लिखने का स्टाइल और अंदाज । आउटस्टैंडिंग हर्षित भाई ।
thoos thoos ke khana khaya aaruhi ne jo ekdam majedar horror type scene tha ..
सही में , हर्षित भाई ! मुझे बहुत ही दया आने लगा है आरूहि पर । अगर किसी हरामखोर की वजह से उसकी हालत ऐसी हुई है तो उसे जहन्नुम का रास्ता जरूर दिखला दिजियेगा ।
WTF!!! Yahi pehla reaction nikalta hai is kahani ko poora padhne ke baad... Halanki pehle bhi maine is kahani ke kuchh 7-8 updates padhe huye the par jab is baar padhna shuru kiya to ek naya sa romanch har beet te update ke saath banta gaya... Bohot hi zyada behatreen tareeke se likhi gayi kahani hai ye, ab jis prakaar ka plot imagine kiya hai lekhak saahab ne uske baad ek nausikhiya bhi likhe to bhi kahani halki nahi ho sakti, aur yahaan jis level ka narration, aur scene specialization hame padhne ko mila hai, wo kaafi hai dikhane ke liye that this is, without a doubt,one of the finest stories available on XF... Chahe wo running stories hon ya fir completed, aur chahe future mein likhi jaane waali kahaniyan, is story ka ek alag hi sthaan bana rehne waala hai forum par... Aur iske liye writer saahab ki jitni bhi tareef ki jaaye wo kam hi hogi...

Fantasy genre ke saath shuru huyi ye kahani, kab alag - alag genres ke darshan karane lagi padhte waqt katayi pata nahi chala... Horror, Suspense, Thriller, Adventure, Romance and of course Fantasy, aur saath hi mein Erotica ke ansh bhi... Ek story mein is se zyada kis cheez ki apeksha kar sakta hai reader!? Again, one of the best stories I've ever read... Outstanding Stuff harshit1890 bhai... :bow: :bow: :bow:
Kya hi khubsurat kahani likhi hai aapne bhai... I'm just speechless, jitni bhi tareef karunga kam hi hogi... Erotica ka bhi bilkul sahi situation mein use Kiya gaya hai aur sabse important har kirdaar par lekhak ki shaandar pakad bani rahi hai... Har character ka kahani mein hona justify kiya gaya hai, kahin bhi koyi bhi character bina matlab nahi ghus aaya...

Ab dekhna ye hai ke Mehta waali meeting mein kaun kaun shaamil tha aur unka maksad kya tha? Aur Shruti is sab ki sachayi jaan bhi paayegi ya nahi? Aruhi sach mein kisi beemari ka shikaar hai ya kewal naatak kar rahi hai? At last, Ek baar ko apun ko ye bhi laga ke asal mein ye sab jo ho raha hai wo kewal Shruti ki kalpana hai... :dazed:

Outstanding Story & Updates Bhai & Waiting For Next...
Harshit bhai... Kayi horror stories padhi hain maine, joki poori tarah se horror genre par based hain but jis tarah ka scene aap create karte ho, taking into note ye story horror genre par based hai bhi nahi, that's phenomenal...
meghnath naam rakhne ke pichhe ki kahani bhi majedar hai 😍😍😍..
jab me TV nahi dekhta( waise tha nahi nahi ghar par ) tha bachpan me aur bas naam suna karta tha to khudko SHAKTI KAPOOR. kehta tha dosto ke bich 🤣🤣🤣..ye kissa padhke bachpan ki yaade taaza ho gayi 😍😍😍..
Slowly my interest is increasing towards the story full of adventure, fun to read, no doubt you are a great writer, thank you for writing such a beautiful story.
Have to admit, your story completely twists the thinking, sometimes it seems in the mind that it is just a disease and sometimes it seems like something supernatural. Your writing is commendable, even after writing this much there are many questions and there will be many such points which I have missed. In some scenes there was a combination of intensity as well as erotic scenes, which you have shown very well, what should I say now, now the words of praise are over understand my feelings.
harshit1890 Hats Off... enjoyed it. :applause:
but why were you making her nude everytime in front of everyone. :angry:
मुझे नहीं लगता दुनिया में कोई भी ऐसा माई का माल होगा जिसे इस कहानी की पहेली समझ में आ रही हो। गजब का दिमाग हिला रखा है आपने हर्षित भाई।
The whole incident, that Mansion one was written so beautifully that no words are sufficient to describe it! Ismein koyi doraye nahin ki maine aaj tak kisi ko bhi is tarah ka horror likhte nahi dekha hai... Haunted ko read kiya tha maine, kaafi pehle, aur main bilkul daave se keh sakta hoon, that you're the best,when it comes to generating real fear in readers, while they read the story..
Bhatt the phakk is this estory?:redface:
 
Last edited:
339
677
108
कब कर रहे हो अगला अपडेट पोस्ट।
काफी सारे सवाल उलझे हुए हैं। जल्द अपडेट देने की कोशिश करे।
 

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,642
8,370
219
कब कर रहे हो अगला अपडेट पोस्ट।
काफी सारे सवाल उलझे हुए हैं। जल्द अपडेट देने की कोशिश करे।
Thodi der mein....
 

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,642
8,370
219
Update ~~ 80

" Akhir ye video viral hui to hui kaise? " director ki awaz mein tikhe pann ke sath awaz unchi thi.

" Malum nahi sir shayad evidence room se leak ho gayi " Samne baithe inspector ne kaha.

" Evidence room se khud chal kar koi bhi evidence leak nahi hota hai Inspector, Apke system mein fault hai. Iska jawab apko Trusti Sir ko dena padega.. Ab tak ye video college ke har ek bache ne dekh li hogi, bahar uski maa baithi hai uspar kya biti hogi ye video dekh kar ehsas hai apko uska? "

" hum janch kar rahe hain ki evidence kisne leak kiya hai.. befikar rahiye malum chal jayega "

" Apko abhi tak manpreet ki body to mili nahi hai evidence leak kisne kiya vo aap ghanta pakad payenge " itni tez AC ke bavajud director ke mathe par pasina tha.

" Kosish jari hai sir.. Kaushal ko remand par le rakha hai... aaj nahi to kal bata dega ki usne body kahan dafnai hai.. "

" i want result inspector.. sirf baton se khelne ki kosish mat kijeye.. " director ki chetavni sun kar inspector shant ho gaya.

" aap chinta mat kijeye is baar sachai samne aa jayegi.. usi ke liye hum yahan aye.. Hume Hostel ke Warden se milna hai.. "

" kyun? "

" Kyun ki jo video hume manpreet ke phone se mili hai uske bare mein kuch information chahie thi.. jiski wajah se ye hua hai... "

Shruti aur vishal E Tower building se bahar aye aur sidhe director room ki taraf badhe. Kuch der pehle police ek aurat aur ek ladka jo college mein aye the uska matlab ab shruti ko samajh aa chuka tha. Director room pahunchne tak mein jahan-jahan jis-jis bache par shruti ki nazar jati sab ko dekhte uske dimag mein bas ek hi khayal aa raha tha ki sabne video dekh li hai aur sab usi ko lekar charcha kar rahe honge.

" chalo.. " vishal ne shruti ko ek jagah rukta dekh bola. Ek pal shruti khadi wahin dekhti rahi aur fir dono director room se dur ek kone mein jaa khade hue aur aise baat karne lage mano andar kya chal raha hai use farak nahi padh raha ho. Wahan par chehal pehal thi, bache apas mein baat-cheet kar rahe the aur unki batein Manpreet ko lekar hi thi jo vishal aur shruti saaf sun paa rahe the. Shruti ne un baton se dhayan hataya aur andar ka haal dekha. Andar do constable director room ke bahar khade wahan ke security guard se baat kar rahe the. Wahin bagal mein rakhi chairs par ek aurat baithi roye jaa rahi thi aur sath mein baitha ladka use samjha raha tha sath mein ansu uske bhi gir rahe the. Tabhi director ke kamre ka darwaja khula aur usme se do jane bahar aye.

Ye wahi inspector hai jo us din mansion mein tha aur uske sath wala shayad aaj subah aya hoga. Piche aur log nikle jisme Director ke sabse kareeb Professor the, Ek Manoj Pandey aur dusre the Ashsish Sharma, par ye kya.. Miss Nandini.. Ye bhi thi in sabke sath? Yani Manoj aur Ashsish ke baad ye tisri sabse khas ban gayi hai Director ki? Shruti ne nandini ko dekhte hi man hi man kaha.

Nandini ke bahar nikalte hi director bhi bahar aa gaya. Nandini to usi aurat ke pas pahunchi jo manpreet ki maa thi aur unhe console karne lagi baki dono professor jo uska bhai/cousin ya pata nahi jo bhi tha uske pas. Director sir dono se baat karne mein lage the. Dhong banaya hai hua pura ka pura. Shruti ne vishal ka hath pakda aur dono wahan se hat gaye.

" Kya hua? achanak kyun chale aye? "

" wahan khade reh kar bhi kya dhong dekhna un logon ka.. unhhone to abhi tak us admi ko pakda tak nahi hoga na hi ye pata kiya hoga ki vo kaun hai kaun nahi.. tum ek kaam karo tum Gaggan ke pas jao pata nahi uska ye sab dekh kar kya haal hoga, main aaruhi ke pas jati hun.. vo is torture ko dekhne ke baad kaisa react kar rahi hogi pata nahi.. "

" theek keh rahi ho tum.. thodi der mein library mile? "

" hmm " shruti vishal ko chhod class ki taraf badhi, har takrata bacha use yahi baat karta milta jise vo tabse sunti ayi thi. 'Manpreet' , MBBS section ki ek ladki aur vaigrah-vaigrah. Vo sidiyan chadh rahi thi ki use laga jaise uska phone baj kar abhi band hua hai. Usne phone nikala aur dekha to 15 missed call thi. Usne check kiya to paya ki unme se kuch Rachna ki thi to kuch Kim ki. Usne sabse pehle rachna ko phone lagaya jiski do 'Ring' mein hi phone uth gaya.

" Tune video dekhi.. " phone uthte hi rachna boli.

" tere pas bhi aa gayi.. "

" shruti.. main apne dil se nikal nahi paa rahi hun.. dekhne se jada to feel kar rahi hun.. " rachna ki awaz aisi thi mano kab se ansu nikal rahe ho. Shruti kuch nahi boli. " Koi aisi hawas kaise dikha sakta hai jahan samne emotion ki kadar na ho... Kya use manpreet ki halat par daya nahi ayi? " rachna mano dil ka bhoj shruti ko suna kar kam karna chahti thi. Shruti jo chup hi thi reh-reh kar ye batein uske dil ko aur jada bhar rahi thi. " Main to soch hi nahi paa rahi ki us pal .. Manpreet par kya beet rahi hogi.. Kya mehsus kar rahi hogi vo.. sochte hue bhi ruh se koi jawab nahi aa raha ... main to apne kamre se hi nikal nahi paungi shayad.. " rachna ne naak sikodi mano ansu rok rahi ho.

" Tujhe koi aur baat karni hai to bol.. kyun ki main ye baat nahi karna chahti ... Mujhe gusa aa raha hai.. " shruti ek jagah sidiyun par ruk kar turant boli. Use ek baat khaye jaa rahi thi jiski wajah se uske andar gusse ka gubara bada hota jaa raha tha.

" main samajh sakti hun.. hum sabko hi gussa aa raha hai " rachna turant boli.

" Nahi.. mujhe jo gussa aa raha hai vo Manpreet par aa raha hai.. "

" Manpreet pr? " rachna ascharya-chakit hote hue boli.

" Tune video dhayan se nahi dekhi ? Manpreet ne ek baar ke liye khud hami bhari thi.. kaise vo ek anjan ke sath.. " shruti bas itna hi bol payi ki rachna ne bich mein rok dia.

" Shruti.. main.. jis baat ko batane ke liye phone kar rahi thi vo kaise skip kar gayi.. shit.. shruti.. sun rahi hai tu "

" bolegi to sunungi na.. kaun si baat skip kar gayi hai.. "

" vo video wala ladka.. Kaushal... vo koi aur nahi balki wahi Phone theek karne wala admi hai jiski shop se mene tera phone theek karwaya tha.. " rachna ne jaise hi apne ek sentence mein baat khatam ki shruti ek pal ke liye chup ho gayi. " tu sun rahi hai na.. "

" tu sure hai? " atakte hue shruti ne apni baat khatam ki.

" han 100% sure hun.. " rachna ne jaise hi is baat ki pushti ki dheron batein shruti ke dimag mein chalne lagi. Us din Manpreet jab dhabbe ke bahar dikhi thi tab Rachna ne kaha tha ki vo bhi wahin phone theek karane ayi thi. Yani vo kaushal ko pehle se janti thi janti to thi lekin usne aisa kyun karne diya? Kya wajah thi uski iske piche? Kaash mene us din usko rok par puch liya hota.. Shruti man hi man atkale laga rahi thi.

" shruti.. ? "

" kim ka phone aa raha hai.. main karti hun baat.. tu ye pata kar ki kya kaushal pakda gaya hai abhi tak ya nahi? aur tune ye baat batai hai ki tu janti hai use? "

" Nahi.. mene nahi batai.. nahi bata sakti.. didi nahi chahengi ki main bich mein padun.. waise bhi police khud hi pata kar legi ye video dekh kar.. "

" main karti hun baat tujhse.. " usne phone cut kiya tab tak Kim ka phone cut chuka tha. Usne Kim ka number dial kiya aur do-teen ring mein hi phone uth gaya.

" shruti .. vo.. tune.. video dekhi.. " rote hue kim bol rahi thi.

" please kim.. video ke bare mein kuch mat bol.. main aur sun nahi sakti.. " shruti ne kim ko pehle hi keh dia. Vo ab sun nahi paa rahi thi.

" Janti hun.. A...aisi... baat... bar-bar.. k..k...k..aise sune koi.. lekin mene tujhe jo pata chala hai vo batane ke liye phone kiya " Kim apne aap ko sambhalte hue boli.

" Kya ? "

" Manpreet ka haalh jisne kiya hai.. vo .. vo .. ek phone theek karne ki shop hai uski college ke pas.. aur use police ne pakad bhi liya hai.. " Kim ki ye baat sun kar shruti ko tassali hui.

" Usne aisa kyun kiya ye malum chala? "

" Manpreet ke phone se police ko ... ek... ve....ve....video mili hai... aur us dukan walle ke anusar manpreet us video ke chalte hi razzi hui thi ek baar.. " kim ne akhri baat bade dhime se kahi.

" Kya tha us video mein? "

" Malum.. nahi.. lekin... police.. abhi ayi.. warden se milne.. director sir bhi hai.. aur ek baat s..s.s....shruti.. "

" kya? "

" manpreet ki body abhi tak nahi mili hai.. police khoj rahi hai.. " shruti ko ye sun kar ek jhatka laga.

" kuch aur pata chale to bataio.. " shruti ne phone cut kar dia kyun ki use aaruhi sidiyun se niche utarte hue nazar aa gayi thi.

" shruti" shruti aur aaruhi amne samne aye to shruti ne use dekha. Uske chehre ko bhav padne lagi, ek pal use laga ki shayad aaruhi ne video dekhi hi nai hai tabhi vo normal dikh rahi hai.

" aaruhi tune vo video dekhi.. " shruti ne pucha to aaruhi ne gehri sans chhodi.

" canteen chale.. bahut bhuk lag rahi hai.. " aaruhi bol kar shruti ke bagal se niche utar gayi. Shruti use dekhti rahi.. samajhne ki kosish karne lagi ki jo usne suna kya vo sahi suna? " tu chal rahi hai? " aaruhi ne ek dafa shruti ko fir awaz lagai.

" unh.. haa.. " shruti uske sath chal di.

Dono canteen mein baithe the aur aaruhi khane mein vleen thi. Shruti use dekhe jaa rahi thi. Use samajh nahi aa raha tha ki aaruhi ko hua kya hai. Vo itni emotional ladki is baat ko itni asani se kaise le sakti hai.

" tu soch rahi hogi ki main itni asani se kha kyun rahi hun ? "

" n...nahi to.. " shurti ek dum se boli. Use ek pal ke liye laga mano aaruhi ne uske man ki baat padh li ho.

" Maine video dekhi.. dekh kar bura bhi laga.. par galti to Manpreet ki thi na? Vo kyun khud us insan ke pas gayi.. "

" to tere kehne ka matlab hai ki manpreet gayi isliye uske sath aisa hua na ki us insan ki galti hai jisne aisa kiya? "

" dekh.. " aaruhi ne samosa nigalte hue aage kaha " galti ki shuruwat to manpreet ne hi ki. Agar vo jati hi nahi to aisa hota nahi.. waise bhi jarur usne kuch aur kiya hai jiski wajah se usne us admi ki baat par hami bhari.. warna vo kyun itni badi shart rakhta aur manpreet maan jati? Mere hissab se 90% galti to manpreet ki hai.. baki mujhe to malum hi hai ki in mardon ki jaat aisi hoti hai.. unhe sirf ek hi chiz se matlab hota hai.. aur usne wahi manpreet ke sath kiya.. baki manpreet mari vo to ek hadsa tha.. jaan kar to nahi mara use.. "

" maar to usne tabhi diya aaruhi jab vo uski izat loot raha tha vo bhi uski marzi ke begair.. " shruti ko aaruhi ka ye bartav bilkul pasand nahi aa raha tha.

" hmm.. vo to galat tha hi.. par manpreet galat thi ye baat to pura college keh raha hai.. bacha-bacha bol raha hai.. ki Manpreet randi ki tarah uske pas jati nahi to uske sath ye hota nahi "

" aaruhi to jada bol rahi hai "

" main nahi bache bol rahe hai.. aur tu kin kin ka muh band karwayegi.. kis-kis ki soch ko badlegi.. insan apni soch ke sath chalta hai.. koi use sahi manta hai to koi galat... Kuch log manpreet ke humdardi hai main bhi hun lekin jo use nahi janta vo kya sochega khud soch? Kya tere man mein sawal nahi aya ki manpreet uske pas akhir gayi hi kyun? Kya vo kuch chupa nahi rahi thi? " aaruhi ki baat ka jawab shruti ke pas nahi tha. Vo kuch hadh-tak sahi thi kyun ki shruti ke man mein bhi ye sawal tha ki manpreet ke liye aisi kya majburi thi ki vo aisa karne chali gayi? Kim ke batane par ye saaf tha ki manpreet kuch chupa rahi thi jiske bare mein Kaushal yani us phone repair karne wale ko malum tha aur usne usi ka fayda uthaya.

" Main rape ko support nahi kar rahi hun.. par manpreet ne jaisa kiya vo rasta bhi theek nahi tha.. " aaruhi bol kar wahan se chali gayi. Shruti wahin baithi rahi. Aaruhi ki ek baat sahi thi kis-kis ko samjhayenge ki kaun sahi tha? Manpreet ki kya majburiyan thi.. Even tak ghar walle bhi bol padenge ki manpreet ne aisa kiya hi kyun? Kai baar ek victim hi doshi ban jata hai akhir samaj mein rehne wale log bhi to wahi hai jis samaj mein Kaushal jaise darinde taak lagaye baithe rehte hai. Shruti canteen se uth kar chali gayi.

Shruti college ke terrace par tehal rahi thi ki uska phone baja. Kafi der se phone par message aa rahe the jise ignore karte hue usne phone nikala hi nahi tha par jab phone continous ring hone laga tab usne phone pocket se nikala. Vishal ka phone aa raha tha, usne phone uthaya.. " tumne video dekhi? "

" firse? "

" jaldi dekho.. manpreet kahan hai police ko pata chal gaya hai.. college mein bhag-dhadh nahi dekhi tumne.. sabhi wahan par jane ke liye bechain hai.. lekin police ne band kar dia hai sab.. "

" itna sab ho gaya.. "

" pichle ek ghante se phone mila raha hun tumhara .. par tum utha nahi rahi thi.. kahan ho tum.. "

" video dekhne do.. batati hun .. download nahi ho rahi hai.. " shruti ne phone cut kiya aur video download hona chalu ho gayi. Jab tak download hoti rahi tab tak uske dil ki dhadkan badti jaa rahi thi. Vedio download hote hi usne fauran play kar diya. Vedio ke chalte hi usne dekha ki kuch saaf nahi dikh raha hai, andhera jada hai.. itna hi nahi balki.. us video mein se aa raha tha shor, tez chalti sanson ka aur uppar se tez girti baarish ka. Kuch samay tak video mein andhera chaya raha aur fir ujala hua jisme samne kuch aur shaks dikhaye diye. Jhadiyun se nikal kar aye, unke hath mein badi-badi torch thi jiki roshni se wahan ka andhera itna chhatt gaya tha ki ye samajh aa raha tha ki kya ho raha hai. Vo samne do-teen log apas mein kuch bol rahe the lekin shor itna tha ki samajh nahi aa raha tha ki kya baat-cheet chal rahi hai. Par agle hi pal zameen par do log khodne lage, khodne wale part ko fast-forward kar diya gaya tha isliye ab video mein bas baarish ka shor hi gunj raha tha. Khudai karne ke sath us kaddhe se vo dono log bahar nikle aur fir jhadiyun ki ek taraf jakar kuch utha kar bahar lane lage. Tisra shaks wahan khada un dono par roshni daal raha tha aur jab roshni theek us chiz par padi jo vo do shaks utha kar laa rahe the to video mein manpreet ka chehra samne aa gaya jo khoon se sana hua tha kanch uski dono ankhon mein dhasa tha aur ek bada sa tukda uske galle mein. Dono shaks manpreet ke sharir ko us kaddhe ke pas laye aur unhone manpreet ki body ko us kaddhe mein fenk diya. Fenkte sath hi vo us kaddhe mein mitti dalne lage jisme baarish ka pani kafi hadh tak bhar gaya tha. Kaddha band karte hi vo teeno apas mein baat cheet karne lage aur wahan se rwana ho gaye. Uske baas bhi kuch second tak video chalti rahi aur fir video band ho gayi. Shruti ek pal ko waise hi khadi rahi, uski ankhon se vo nazara nahi hatt raha tha jahan use manpreet ki laash dikhi thi aur kaise un dono ne use kaddhe mein fenk diya tha mano koi insan nahi balki khilona ho. Vo soch rahi thi ki achanak use kuch aur yaad aya usne video ko piche kiya par vo jada piche ho gayi aur video wahan se shuru ho gayi jahan vo manpreet ko kadhe mein daal rahe the. Wahan dekh usne thoda forward kiya aur video wahan aa pahunchi jaha par vo teeno shaks manpreet ki lash ko daba kar jaa chuke the aur kuch second tak vo video chalti rahi aur jaise hi video khatam hone ko hui, camere ka angle badla jaise vo shaks apni jagah se utha ho aur shruti ne video wahin band kar di aur dhayan se dekhne lagi. Ek minute beet gaya par vo aise dekhti rahi mano kuch khoj rahi ho aur fir usne video ko band kiya aur niche chali gayi.

Guthi sulajh chuki thi, ek-ek kar do video ne case ko itna asan bana dia ki sab kuch aine ki tarah samne aa gaya. Police ne ek confrence nikali jisme unhone kahani kuch is tarah bayan kari ki sara mamla mano chutki mein sulajh gaya ho.

' Case ke mukhaye aropi dwara pata lagne par hum logon ne Manpreet naam ki ladki ke rape aur uske murder ke jurm mein Kaushal naam ke vykati ko hirasat mein le liya hai jo electronics repair ki dukan chalata hai aur uske sath uske do sathi ko bhi jinhone is jurm mein uska sahyog diya. Kaushal ne apna jurm bakyda kubul kiya hai aur ye mana hai ki usne Manpreet Singh ke sath pehle sambhand banaye jo ki Kaushal aur Manpreet ke bich jaisa tay hua tha par baad mein Kaushal ne manpreet ke na chahne par uske sath jabardasti ki aur itna hi nahi balki usko blackmail karke apne doston ke dwara bhi wahi karwaya jo vo pichle anumanit 24 ya 36 ghanton se kar raha tha. Apna kaam hone ke baad sharab ke nashe mein kaushal ne Manpreet ki hatya kar di aur fir use jungle mein le jakar dafna diya gaya. Takreeban 12-24 ghante ho chuke the manpreet ko mare jab hume uski laash baramad hui. Itna hi nahi is case ke chalte hume aur bhi kaddiyan mili aur pichle kuch dino se jis dehshat ke maohol mein is college ke vidhyarti apna jeevan vyatit kar rahe the uska bhi khulasa hum logon ne kar diya hai. Jaanch-partal ke baad hume ye malum chala ki kuch hafte pehle jis Lavanya naam ki ladki ka katl hua tha usme bhi mukhye aropi Kaushal ka hath nazar aa raha hai. Ye abhi pukhta nahi hua hai lekin hume yakeen hai ki iske sabut bhi hume mil jayenge kyun ki Lavanya aur Kaushal dono ek dusre ko jante the. Mujrim Kaushal ke mutabik Lavanya kaushal se kai baar uski dukan par jakar apne phone mein Porn Films dalwaya karti thi aur isi ke bich dono ki jankari badhi aur is baat ki pukhti Lavanya ki dono dost Madhu and Saloni ne bhi ki isliye police ka ye manna hai ki Manpreet ki tarah Kaushal ne lavanya ko bhi usi tarah fasane ki kosish ki hogi aur Lavanya ke na manne par usne uska katal kar diya. Iske alawa jo Katal kuch din pehle ek ladke ka hua jiska naam Ravi tha uski maut ki wajah suicide thi jo apne dost ki maut ka gum bardasht nahi kar paya aur usne khud ko ped se tang liya. Hume koi suicide note nahi mila hai lekin uske doston aur hostel ke staff se puch-taach karne ke baad ye pata kiya hai ki vo suraj ki maut se sadme mein tha. Isi ke sath main aap logon ko vishwas dilata hun ki is college ke hatyon ke piche chupe mujrim ko humne apne kabze mein le liya hai aur ab kisi ko bhi darne ki jarurat nahi hai. Jai Hind '

Police ne guthi yun suljhai ki dekhte hi dekhte mano mahol hi badal gaya ho. Kuch din pehle jo college dehshat mein jee raha tha ab mano koi kissa hua hi na ho. Hadse mazak mein uda diye jate ya fir unko kahaniyun aur kisson ki tarah batate hue us kahani ki chuski le liya karte. College ke bache kush.. college ka staff kush.. aur college ke trusty sabse jada kush wajah do thi.. pehli to ek tarfa college ki mitne wali reputation ko bacha liya gaya aur dusri wajah in sab mauton ke piche ikhata kiya hua chande ka paisa ... sab kuch unke man mutabik ho gaya. Case band ho ya nahi.. ab kisi ko koi farak nahi padne wala tha. Saza kam mile ya jada ab farak nahi padne wala tha kyun ki kissa bas kaushal ki giraftari tak hi tha jo ki police ne bakhubi kar dikhaya, ek mujrim khada kar diya. Par vo sach kyun chupaya gaya jise sabko batana chahie tha. Kyun police ne ye nahi bataya ki jis video ke chalte Kaushal Manpreet ko blackmail kar raha tha, vo us raat ka video tha jis raat suraj ki maut hui thi aur us raat teen ladke hostel ke corridor apna lund pakde mutne ke liye khade the aur manpreet uska video bana rahi thi. Kyun hostel ke warden ne is baat par koi sawal nahi kiya? Zahir hai warden ke sath len-den ki baat ki gayi hogi. Warden ko kaha gaya hoga ki vo Ravi ke mental stability ke bare mein juth kahe ki suraj ki maut ki wajah se usne suicide kiya aur warden ne waisa hi kiya kuch bachon se juth bulwa kar khud ne bhi bola aur badle mein Director ne Warden ki naukri bhi nahi chhini aur na us video ka jikar kiya jiski wajah se Manpreet ko blackmail kiya jaa raha tha. Warden, director police har koi ek sathi hi mil kar kaam kar raha tha bas hume alag dikhaya jaa raha hai. Manpreet ko blackmail kisliye kiya gaya ye baat to kabhi kisi ko malum hi nahi hogi aur log usko ek Randi maan baithe hai aur mazak bana rahe hain ki khud gayi thi ab usne maze le liye to dikat ho gayi? Ye soch reh gayi hai uske liye. Kya sach hai kya juth koi manne ya sunne ko tayar nahi hai aur hum soch rahe hain ki hum ab surakshit hai, behenchod aise surakshit hote hain? Sham ka samay tha library ek dum khali ho chuki thi, ek kone mein jhund banaye baithe Vishal, Gaggan, Rachna, Kim Shruti ki baatein sun rahe the.

" to tum kehna cha rahi ho ki Kaushal khuni nahi hai? " shanti ko bhang karte hue vishal ne apni baat kahi.

" Nahi.. main aisa nahi keh rahi.. Jo usne kiya vo usi ne kiya hai.. par " shruti ek pal ke liye chup hui " Par mujhe lagta hai in sab ka master-mind koi aur hai.. "

" Mastermind? " rachna turant boli.

" Aur shayad main use janti hun.. " shruti ki is baat ne sabhi ko hila kar rakh diya.

" Shruti kya bol rahi hai? Band kar ab ye sab manpreet mar chuki hai.. " gaggan frustrate hote hue bola. " tune hume isliye bulaya hai to main jaa raha hun.. " gaggan apni jagah se utha use pehle shruti ne jo baat kahi use sun vo ruk gaya.

" gaggan tu hi hamesha kehta tha na ki jo hum mante hain asal mein waisa nahi hota. Kuch chizen alag hoti hai.. jaise tune Aaruhi ke case mein kaha tha.. Ye case bhi bilkul waisa hai.. tu aur tum sab meri baat suno tab shayad tumhe yakeen ho jaye.. ye dekho... " shruti ne phone par video chalai ye wahi video thi jisme Manpreet ko gaddhe mein fenka jaa raha tha. Ek pal ke liye fir sabhi us daur mein pahunche lekin shruti ne video forward kar ke video ka ant laa diya aur ant atte hi video pause kar di. " Ye dekho.. dhayan se dekho tum ise "

" Kya hai ye? " sabhi gaur se dekh rahe the lekin kisi ko kuch samajh nahi aa raha tha ki us andhere mein kya dekhne ko keh rahi hai shruti isliye sabhi ke sawal ka gathan karte hue rachna boli.

" Ye shed.. Ye wahi shed hai rachna jiske niche us admi ne us raat ko mujhe chhoda tha.. " shruti ne rachna ko to bata rakha tha isliye vo samajh gayi lekin bakiyun ko kuch samajh nahi aya.

" Us raat chhoda tha? Kya bol rahi ho shruti, hum kuch samjhe nahi? " vishal ne turant kaha jiske baad shruti ne ek pal use dekha aur fir gehri saans khinchte hue Peon se mulakat wali raat ke bare mein sab bata diya jise sun kar Kim, gaggan ko jitna shock laga use jada vishal ko laga tha. Kyun ki ye pehli dafa tha jab shruti ne use kuch chupaya tha.

" tumne itni baadi baat nahi batai .. " vishal ne turant kaha.

" point vo nahi hai vishal.. main jo dikha rahi hun vo samjho.. ye video jis raat manpreet ko us gaddhe mein fenka.. i mean dafnaya gaya ye wahi raat thi jis raat main peon se milne gayi thi.. " shruti ne jaise dusra bomb foda.

" tu itne yakeen se kaise keh sakti hai? " rachna bol padi.

" ye shed nahi dekh rahi.. us admi ne mujhe usi shed ke niche dala jis shed ke bagal mein usne manpreet ko dafnaya.. aur itna hi nahi.. ye suno.. " shruti ne video ko bilkul starting mein kar diya. " Dhayan se suno.. " sabhi video ko sunne lage baarish ke shor ke sath..

" koi zor-zor se sans le raha hai " vishal bola.

" bingo... usne us raat mere sar par vaar kiya tha aur jab vo meri body ko khinchte hue is shed ke pas laya to vo bahut thak chuka tha aur ye usi ke sans lene ki awaz hai isliye main keh rahi hun ki ye wahi raat thi.. " shruti boli ki turant gaggan bol pada.

" aur police ke report ki mutabik manpreet ki laash jab unhe mili uske mutabik use mare 12 se 24 ghante ke bich hi hui thi thats add to your story.. tum sahi keh rahi ho "

" thank you " shruti ne gaggan ko apni side kar liya tha.

" par ise ye kahan sabit hota hai ki yahi mastermind hai? " vishal ne agla sawal dagga. Shruti uski taraf dekhne lagi, vo janti thi ki vishal ko bura laga hai isliye vo is tarah ka raviya apna raha hai.

" Bilkul hota hai... Pehli wajah .. vo us raat wahan kya kar raha tha jab main peon se mili? Dusri wajah usne vo file kyun chinni? Tisri wajah vo us raat andhere mein itna sab hone kyun de raha tha? Chauthi wajah usne ye sab record kiya aur samne kyun nahi aya? Aur bhi wajah chahie tumhe? "

" Par shruti.. main ye kaise maan lun... "

" Ye wahi hai.. vishal... wahi hai ye.. tum meri baat kyun nahi samajh rahe ho... Ye wahi hai jisko humne Administration office mein khoja hai " eka-ek shruti chilla padi. Vo ye kehna nahi chahti thi lekin vishal uski baat samajh nahi paa raha tha.

" t....tumhare kehne ka matlab ye hai ki humne jo Administration office mein dekha aur tumhara ye mastermind ek hi hai? " vishal achambe se kaha.

" han.. shayad tum pehle hi samajh jatte.. " shruti ne dant piste hue kaha.

" Administration Office wala kya? " Rachna ne pucha lekin uski is baat ka koi jawab nahi dia.

" Ab waqt aa gaya hai.. use milne ka... "

" milne ka? tu pagal hai koi itne dangerous bande se milta bhi hai kya? Aur tere pas number kahan se aya... tu to sun hi nahi rahi " rachna bole hi jaa rahi thi lekin vo apne kaam mein lagi thi. Usne phone mein dusra SIM dala hua tha jiske bare mein sirf vo janti thi. Usne number dial kiya aur phone speaker par daal dia. Kuch ghantion ke baad samne se phone utha lekin samne se koi awaz nahi ayi. Samne sirf khamoshi thi..

" Atharva Roy " shruti ne khamoshi todte hue naam pukara. Ye wahi naam tha jo unhone Administration Office se nikala tha 'Shaurya Singh' ke detail mein se. Ek pal ke liye sabhi ke dil ki dhadkan badi hui thi. Koi soch nahi sakta tha ki baat yahan tak pahunch jayegi.

" Kya chahti ho " samne se awaz ayi jisne dil ki dhadkano ko aur badha dia.

" Meri kuch chiz tumhare pas hai.. wahi chahhie.. " ek pal aur khamoshi chai rahi.

" Kahan milna hai "

" Girls Hostel ke piche ek purana store room hai.. aaj raat ko 11 baje pahunch jana.. " itna bol kar shruti ne phone cut kar diya. Phone cut hote hi usne aise gehri-gehri sans chhodi mano kab se rok kar baithi thi.

" 11 baje? ... tu tu.. pagal ho gayi hai... " rachna turant apni jagah se khadi ho gayi.

" This is too risky.. " kim jo abhi tak chup thi vo bol kar rachna ke sath khadi ho gayi.

" Risky hai.. par . "

" Ek baar ho chuka hai.. tum dubara risk lena chahti ho.. this is not safe.. " vishal bhi apni jagah se khada ho gaya. Shruti janti thi ki is baar bhi vo akeli rahegi lekin fir bhi usne sabko ikhata karke sach dikhane ki kosish ki lekin koi uski baat ko samajh hi nahi paa raha tha.

" I am in.. " awaz jani pehchani thi lekin umeed nahi thi us awaz ki. Shruti gaggan ki taraf dekh muskura padi. Sabse jada darne wala ladka aaj us mahol mein jane ko tayar tha jahan jane se pehle dil kanp uthe. Shayad kuch khone ke baad hi himmat ati hai. Shruti ne fir vishal ki taraf dekha jo soch vichar kar raha tha. Risky tha har koi janta tha par andar se janne ki lalsa bhi khatam ho nahi rahi thi.

" Ok i am in.. "

" theek hai fir.. raat ko 10 baje tum log mujhe Girls hostel ke piche milo " shruti apni jagah se uth khadi hui.

" par usne to 11 baje bulaya hai ? " rachna fauran boli. Shruti ne use ghura kyun ki vo abhi ane wali nahi thi.

" Pichli baar usne fielding lagayi thi, is baar hum lagayenge.. aaj to use sach nikalwa kar rahungi ki akhir vo ye sab kyun kar raha hai.. " shruti ne itna kaha tabhi uska phone bajne laga. Phone par 'Aaruhi' ka naam flash hota dekh usne phone utha liya " Han aaruhi bol "
 

DARK WOLFKING

Supreme
15,545
31,865
244
romanchak update ..to kim ko kyu blackmail kar raha tha ye baat kisiko pata nahi chal paayi siway police aur hostel ke main logo ke alawa .
ek galti ki kaushal ne aur baaki lavanya ke khoon ka iljaam bhi uspar lagake case band kar diya .
par sochnewali baat ye hai ki rape ka video kisne banaya aur fir viral kar diya 🤔🤔.

manpreet ka dafnane ka video shruti ke mutabik usi aadmi ne banaya hai jisme wo files chhini thi usse .
par ye atharva roy par hi shak kaise ho gaya shruti ko 🤔🤔. shaurya singh ko maarne ka reason uske paas ho sakta hai par baaki ladkiyo ko kyu maarega .

par uski baato se lagta hai wo hai vilaain hi ,kya kaam hai puchhne ki jagah ,,,kaun bol raha hai iski bajay sidha kya chahiye ye bolna matlab 🤔🤔🤔🤔..
aur ye shruti ko jagah bhi darawani hi milti hai meeting ke liye 🤣🤣🤣..

aaruhi ka view sahi nahi tha manpreet ke baare me ,.
 

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,642
8,370
219
romanchak update ..to kim ko kyu blackmail kar raha tha ye baat kisiko pata nahi chal paayi siway police aur hostel ke main logo ke alawa .
ek galti ki kaushal ne aur baaki lavanya ke khoon ka iljaam bhi uspar lagake case band kar diya .
par sochnewali baat ye hai ki rape ka video kisne banaya aur fir viral kar diya 🤔🤔.

manpreet ka dafnane ka video shruti ke mutabik usi aadmi ne banaya hai jisme wo files chhini thi usse .
par ye atharva roy par hi shak kaise ho gaya shruti ko 🤔🤔. shaurya singh ko maarne ka reason uske paas ho sakta hai par baaki ladkiyo ko kyu maarega .

par uski baato se lagta hai wo hai vilaain hi ,kya kaam hai puchhne ki jagah ,,,kaun bol raha hai iski bajay sidha kya chahiye ye bolna matlab 🤔🤔🤔🤔..
aur ye shruti ko jagah bhi darawani hi milti hai meeting ke liye 🤣🤣🤣..

aaruhi ka view sahi nahi tha manpreet ke baare me ,.
Aaruhi ladki khap gayi hai bhai, uske bheje mei chemical locha hai full on 😂😂 Nahi bhai police aur hostel ke alawa in sabko bi pta hai ki manpreet ko blackmail krne wali video kya thi. Ab ye shaq kyu hua hai ye to apko agle update mei malum chalega bhai.. Thanks bhai :hug:
 
9,380
39,528
218
पुलिस वाले बकवास कर रहे थे । उनकी थ्यूरी बिल्कुल केस से मिलती जुलती नहीं है । ये तो हंड्रेड परसेंट सच है कि कौशल ने रेप किया और मनप्रीत की मौत का कारण बना , पर लावन्या की मौत से उसका कोई रिश्ता नहीं हो सकता है ।
यह सारा खेल शौर्य सिंह और समृद्धि ठाकुर से जुड़ा हुआ है । कोई है जो इनकी मौत का बदला ले रहा है और वो शख्स शौर्य सिंह का वह रिश्तेदार है जिसका नाम उसका एडमिशन के समय रजिस्टर पर दर्ज हुआ था । अथर्व राय.... जिस का रिश्ता शौर्य से क्या है , समझ नहीं पाये थे श्रुति और विशाल ।

इन दोनों बच्चों की मौत दो साल पहले हुई थी और उसके बाद ही मौतों का सिलसिला जारी हुआ । इसका मतलब उन बच्चों की मौत स्वाभाविक नहीं थी। शौर्य सिंह हो या समृद्धि ठाकुर.... कोई तो है जो इन्हें अपनी जान से भी ज्यादा मुहब्बत करता था ।

लेकिन मुझे आरूहि का व्यवहार समझ में नहीं आ रहा है । एक लड़की होकर वो कैसे किसी लड़की की मजबूरी समझ नहीं पा रही है ! ठीक है , मनप्रीत एक गलत विडियो क्लिप के चलते एक हवशी लड़के का शिकार हो गई लेकिन था तो वो ब्लैकमेल ही । और हम जानते हैं ब्लैकमेलर का मुंह सुरसा की तरह होता है जिसकी डिमांड बढ़ती ही जाती है ।

फिलहाल तो श्रुति ने एक और बोल्ड डिसिजन लिया है और हमारी शुभकामनाएं उसके साथ है । देखते हैं , कौन है शौर्य सिंह का प्रेमी जो कत्लेआम मचा रहा है !

आउटस्टैंडिंग एंड अमेजिंग एंड ब्रिलिएंट अपडेट हर्षित भाई ।
 

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,642
8,370
219
Chapter ~~ 5 " The Antiquarian "
Update ~~ 81

Asman mein chaye badal aur kadakti bizli is baat ka sanket de rahi thi ki kisi bhi pal baarish ho sakti hai. Mausam thanda tha lekin utna hi jada gehraya hua tha. 'Sayeinn-Sayeinn' chalti hawa ke alawa kuch peron ki awaz aa rahi thi jo un sabke chalne ki wajah se wahan par maujud thi.

" Kaise kuch hi dino mein college ka mahol badal gayawaise tune aaruhi ko kya kaha? " rachna ne shruti ke sath-sath chalte hue pucha.

" wahi ek hi bahana hai.. vishal ke sath hun.. waise bhi itne dino baad jail jaisi halat se bahar nikale hai.. na koi puchne wala na koi pehredari.. college walon ne to aise security hatai mano kuch hua hi nahi ho.. "

" to tujhe lagta hai ki abhi bhi ho sakta hai ... didi keh rahi thi ki kal to Trusty ne speech di thi aur sabhi ko saaf keh dia ki unhe ab darne ki jarurat nahi to fir tujhe aisa kyu lagta hai? " rachna ke chehre ki hawaiyan udi hui thi.

" itne salon se nahi ruke to ab kaise yakeen kar le? Vo speech padte hai.. juth ki aur log usme fans jatte hai.. "

" to tu kya planning kar rahi hai? tujhe to char saal baad chale jana hai " rachna ke is sawal par shruti kuch nahi boli. Dono ke aage kim thi aur uske vishal aur gaggan chal rahe the. Vishal aur gaggan torch se sahi raste ko chunn rahe the. 10 bajne mein kuch waqt baki tha lekin pancho us kamre ke bahar aa ruke the. Kamra dekh shruti ko aaurhi ki vo kahani yaad ayi jisme usne bataya tha ki vo yahan us raat fans gayi thi. Kamre ki bar-barati halat ke bare mein aaruhi ne bataya tha lekin is waqt kamre ki halat bahar se ek dum theek hi thi.

" piche se dekh kar atti hun.. wahan koi khidki hai aur agar hai to tuti hui to nahi " pichli baar jab shruti yahan us din ke ujale mein ayi thi jahan aaruhi andar baithi apne sharir ke sath khel rahi thi jiske bare mein sirf vo janti thi. Shruti kamre ke piche gayi, charon taraf sanata pasra hua tha, chalti hawa ab ruk chuki thi. Piche khidki thi jo ki bilkul theek halat mein thi. Shruti dusri aur ghumi aur usne torch ko thoda uppar karte hue dur tak dekhne ki kosish karne lagi. Kuch hi duri par use hostel ki building mehsus ho rahi thi. Isliye yahan koi nahi ata aur kamre par kabza karke koi kuch bhi kar sakta hai. Shruti sanata pasra dekh wapis samne aa pahunchi jahan charon apas mein kuch batein kar rahe the. Shruti ke atte hi sab shant ho gaye.

" piche khidki sahi salamat hai.. kamra dekh kar lag raha hai ki pichle kuch dino mein iski maramat karai gayi hai "

" ab? " vishal ne pucha.

" andar chalo "

" par ispar to tala laga hai? " rachna fauran boli.

" laga hai nahi laga tha.. " pas hi pade pathar se shruti ne teen-char baar us talle par mara aur tala tut kar gir gaya. " bevkufun se koi puche ki itne sunsan mein talla lagane ka kya faiyda koi bhi tod dega " shruti ne kundi kholi aur darwaja ko dhaka de diya.

" hum log yahan hai agar didi ko pata chala to uski naukri jayegi aur meri jaan.. "

" teri jaan ki kimat kuch nahi hai.. dar mat.. aja.. " shruti andar ghus gayi aur piche piche charon jane ghuste gaye. Akhri mein gaggan aya jisne andar ghuste hue kiwad ko dhaal dia. Andar ki halat kuch sahi nahi thi ek taraf tuti kurisyan aur table padi thi, uske theek bagal wali deewar par ek almari padi thi aur piche rack par purana saman aur uske piche kuch khali jagah jahan shruti jakar bahar nikli thi.

" perfect spot hai.. aiyashi karne ke liye.. " shruti rack par hath rakh kar khade hote hue boli " almari khol kar dekhio.. kya hai isme " shruti ne Kim ko ishara kiya kyun ki wahi almari ke sabse jada najdeek thi.
Kim ne shruti ke kahe anusar wahi kiya lekin vo use nahi khuli.

" lock lag rahi hai.. " kim kosish karte hue boli.

" Lock? aise kaise ho sakta hai.. ise to khula hona chahie .. " shruti aage badi aur usne kim ki jagah lete hue almari ke palle ko bahar ki taraf khincha lekin vo nahi khula " kamal ki baat hai.. " shruti ko yakeen tha ki ye almari un-lock hi hogi kyun ki Lavanya ke bare mein jo Aaruhi ne bataya tha vo apna drugs wala saman idhar hi rakhti thi aur uske marne ke baad warden ne drugs nikal liye honge ye usko sure tha. Kyun ki warden ke mile bina Lavanya itna bada kaam nahi kar sakti.

" ho sakta hai jab kamre ki halat theek karai ho tab tala lagwa dio ho warden ne.. " Vishal ne kaha.

" Hmm.. Yahi ho sakta hai.. " shruti abhi bhi soch mein hi khoi hui thi.

" 10 baj gaye hai " ek pal ke sannate ko todte hue gaggan bola.

" jaisa tay hua tha theek vaise hi karna hai sabko.. dhayan rahe vo bahut shatir hai.. kuch bhi kar sakta hai.. isliye thoda sa savdhan rehna aur haan yaad rahe uske pas koi bhi hatiyar ho to piche hatt jana kisi bhi tarah ka hero giri nahi karna hai hume.. " shruti ne sabko samjhaya aur Kim, Rachna gaggan bahar se kundi lagate hue nikal gaye. Shruti aur vishal kamre mein ruke hue the. Dono ek dusre ko jante the aur bahut najdeekiyan badh gayi thi lekin dono mein se koi bhi ek dusre se baat nahi kar raha tha. Shruti wahin ek tuti hui kursi par baithi thi aur vishal uske samne almari se tek lagaye khada tha. Vishal ne kai bolna cha lekin muh se koi shabad hi nahi nikal paa rahe the. Wahin shruti kuch pal shayad isi baat ka intezar karti rahi aur fir usne apna phone nikala aur whtsapp khola. Khuch dino se bahut si batein hui thi jinpar vo jada gaur nahi karna chahti thi. Usne Aaruhi ki chat box ko khola ye puchne ke liye ki 'sab theek hai na?' par vo message karte hue ruk gayi. Uska dhayan aaruhi ke DP par gaya. Usne Dp kholi aur use dhayan se dekhne lagi. Koi ajeeb sa vichatr 'sign' bana hua tha jo ki kafi purana lag raha tha mano kuch Ancient time ka. 'Iska kya matlab hai?' shruti man hi man sochne lagi. Fir usne aaruhi ke message box se back kiya aur Urvashi ka chat box khol use message karne lagi.

" Aunty ek chiz puchni thi, Kya aaruhi ko History mein interest tha? I mean ancient chizon mein? " Shruti ko laga ki maybe urvashi uska reply na de. Isliye usne wapis se aaruhi ki Dp kholi ye confirm karne ke liye ki vo pakka ancient sign hai ya sirf uska veham hai kyun ki vo Aaruhi ko lekar jada sochti thi. Par bar-bar dekhne ke baad bhi use vo sign waisa hi lag raha tha. Confirm karne ke liye usne akhir vishal se baat ki lekin vishal jo chahta tha vo nahi balki Aaruhi ko lekar.

" Tumne aaruhi ki DP dekhi hai? "

" hmm.. kya.. nahi.. " vishal ne aise dikhaya mano vo uspar dhayan nahi de raha tha.

" to dekho "

" Kyun? " vishal ne itna kaha ki shruti ne apni nighaein utha kar use ghura aur itne mein vishal ne Aaruhi ki DP khol kar dekhi.

" kya lagta hai tumhe? Kya hoga ye? "

" Uhmm.. ajeeb sa hai kuch.. pata nahi.. lekin jaise kisi chiz ka sign bana ho aisa hai "

" Ancient lag raha hai na? "

" maybe.... " vishal ne kaha.

" mujhe bhi lag raha hai.. "

" ho sakta hai aise hi ho.. ancient hi kyun socha tumne? " vishal ki baat ne shruti ko sandeh mein daal diya. Vo chup ho gayi aur tabhi urvashi ka message pop-up hua.

" Why? Something which adds up? "

" Aaruhi DP dekhi abhi isliye mujhe laga ki shayad vo aaj kal Kuch history ka padh rahi hai. Kyun ki aksar current interest par hi aaj kal sab Dp laga dete hai. Mujhe laga ki Aaruhi ka interest raha hoga jo ab jaga hai " Shruti ne lamba message type karke likha aur jab tak urvashi ne padh kar reply nahi kiya tab tak yun hi baithi rahi.

" Ancient ka to nahi pata beta par aaruhi ek baar Archaeological camp ke liye gayi thi.. uski wajah se uska interest hua ho to maybe.. can't say.. nd even aaruhi ki DP kuch samajh nahi aa rahi. Fir bhi i will check in her notes maybe kuch aur information mil jaye " urvashi ne kafi samay lekar jawab diya tha yani camp wali baat kafi sochne ke baad dhayan ayi hogi lekin itni choti si baat yaad ana? Ya sirf us camp se interest ana? Kuch adhura sa sound ho raha hai mujhe. Shruti soch rahi thi ki tabhi room mein phone bajne ki awaz ayi jise sunte hi shruti ne apna dhayan us taraf modh dia.

" tumne phone silent par nahi kiya.. "

" sorry.. " vishal ne phone uthate hue bola.

" this is the first rule.. " shruti abhi bhi gusse mein hi boli thi.

" ok.. hum atte hai.. " vishal ne phone cut karte hi kaha " hume clear signal mil gaya hai.. "

" pehle phone silent karo.. " shruti ne vishal ko danta aur apne pocket se chota sa recorder nikal liya. Recorder ke aage almari ke pas rakha aur uske play button ko daba diya aur aaju baju saman ka ghera bana kar chhod diya.

" chalo... " shruti aur vishal dono kamre ke piche aye. Andar se khidki kholi aur vishal ne shruti ko utha kar khidki se bahar nikalna shuru kiya. Thodi dikkat hui lekin shruti khidki se bahar nikli aur farsh par aram se giri taki use chot na lage. Khidki ki height thodi jada thi aur chaudai kam thi isliye sidhe kudne ka sawal nahi tha. Vishal bhi khidki se nikal raha tha aur nikalte sath jab vo kuda to shruti ne use sahara de diya isliye uske girne par use jada nahi lagi.

" pehle tum kyun nahi bahar aye.. mujhe sahara mil jata.. " shruti ne bahar atte hi vishal ko dannta. Vo kuch kehta use pehle vo bol padi " chalo ab.. yahan khade reh kar khud ko pakdwana hai kya? " shruti ne vishal ka hath pakad use khincha aur dono theek kamre ke piche bani jhadiyun mein jaa baithe jahan se unki nazar theek us kamre ke back side par jami hui thi. " i hope sabhi apni apni position par baithe honge bina dar ke.. " torch band karte hi shruti boli.

" phone karun? "

" nahi.. bekar mein confusion create hoga aur dhayan battega vo alag vo risk nahi lena.. ab hume sirf wait karna hai.. " shruti jhadiyun se samne jhankte hue bol rahi thi. Vishal kuch nahi baitha aur dono aise hi baithe rahe. Shruti man hi man bas ye soch rahi thi ki Gaggan jo akela hai vo dare na aur dusri taraf Kim aur rachna baithe hai vo koi gadbad na kar de khas-kar rachna.

Andazan 15 minute beet janne ke baad vishal se raha nahi gaya to usne baat karne ke liye mudde ko thoda badla aur bola " Tumhe kaise malum hua ki Manpreet ki kaun si video thi Kaushal ke pass jiski wajah se vo use blackmail kar raha tha? Yani us raat suraj ki maut wali video ke bare mein jo manpreet ne banai thi? " ek pal vishal ke sawal par shruti chup rahi par jab use laga ki samay kaatne ke liye thodi baat karni jaruri hai to usne jawab de diya.

" Kim se pata chala "

" aur use kaise malum hua? "

" Jis din manpreet ke ghar walle hostel se uska saman lene aye the. Kim aur uski room-partner ne saman nikalwane mein unki help ki thi. Usi dauran Kim ke hath ek letter laga jo Manpreet ne purane guldaste mein dala hua tha jisme likha tha, 'Mujhe ek chote se mazak ki saza bhugatni padh rahi hai, agar suraj ki maut wali raat ko main boys hostel mein na jati aur sharab ke nashe mein video na banati jisme suraj chath se gira aur ye baat humne police se chupai taki suraj ki maut ka shaq hum par na jaye is baat ki saza is tarah se milegi nahi janti. Mujhe na chahte hue bhi Kaushal ki baat manni padegi, uske sath sone ke alawa aur koi chara nahi hai. Main apko sab kuch phone par batana chahti thi lekin phone ki wajah se hi ye sab hua hai. Phone us raat tuta aur mujhe use shop par dena pada. Ye to nashe mein yaad hi nahi tha ki mene koi video banai hai. Aur isi baat ka faiyda usne uthaya .. mujhe blackmail karke.. Ab mere pas aur koi chara nahi hai.. Main nahi chahti ki aapko is bare mein kuch pata chale. Ye baat main likh bhi sirf apna dil halka karne ke liye rahi hun.. na apko bata sakti na hi kisi aur ko..' Apne ghar walon ko likh kar bhi nahi bata payi, uski jagah koi aur hota to bhi nahi bata pata. Bas vo khat usne shayad chupane ke liye ek purane tute guldaste mein daal diya taki kisi ko mile na. " shruti ko manpreet ki likhi hui baat mano ek-ek shabd yaad ho.

" Hmm.. " vishal ek pal chup baitha raha " Kim ne aur kisi ko kyun nahi bataya? "

" Maine hi mana kiya tha. Usne jab mujhe bataya ki jo baat usne warden ke room ke bahar suni thi ki koi video hai jiski wajah se manpreet ko blackmail kiya gaya hai vo is bare mein thi jisne sara doubt clar kar diya. Hume bhi samajh aa gaya ki Manpreet ne aisi galti kyun ki.. Vo dari hui thi... ki suraj ki maut ka shaq uspar chala jayega aur agar vo pakdi jati to uske sath suraj ke dost, gaggan aur fir tum bhi.. aur shayad main bhii.. " ek se ek kadi jodte hue shruti ne vishal ko samjha dia. " waise bhi .. ab vo suraj ki maut ko vo daba chuke hai.. kuch bhi karna sabke liye bhari tha.. Manpreet ab jaa chuki hai.. hum jante hain ki vo galat nahi thi.. dunia ko samjhane se bhi vo wapis nahi ayegi... " shruti ne dono tarfa baat karke baat ko khatam kar dia. Iske baad dono ke bich koi baat cheet nahi hui aur dono yun hi baithe rahe.

Raat aur gehrati jaa rahi thi, waqt badhta jaa raha tha, 11 se uppar ho gaya tha wahan abhi tak koi nahi aya tha. " lagta hai vo nahi ayega.. " vishal ne time dekhte hue kaha.

" vo ayega.. use ana hi padega.. because he knew ki humne us madarchod ko pakad liya hai.. " shruti confidence mein boli. Vishal kuch nahi bola aur dono intezar mein baithe reh gaye. Bich mein Shruti ne jo group banaya tha 'Jungle Gang' uspar sabse khabar leti rahi ki kahin koi so to nahi gaya ya kisi ne kuch dekha lekin kisi ne abhi tak kuch nahi dekha tha. Waqt 12 se uppar ho gaya tha, ubasi aur nind ke jhonke ankhon mein parasne lage the.

" 12 se uppar ho gaya hai.. humne plan fir kabhi ka bana lena chahie.. mujhe nahi lagta vo ayega.. use hum par shaq ho gaya hoga kyun ki us raat usne tum par hamla kiya tha aur vo itna bevkuf nahi hoga ki ye na soche ki tumne koi planning kar rakhi hai aaj ke liye usko pakadne ke liye.. remember hume sirf shaq hai.. lekin hum us shaq se proof kuch nahi kar sakte isliye vo apni identity ko bachane ki kosish karega hi.. " vishal ne jab samjhaya to shruti ko uski baat mein dum laga.

" hmm.. tumhari baat sahi hai.. isko kisi tarah aur pakdna padega.. main group main bol deti hun aur sabko purane hostel wale raste par jane ko kehti hun sab wahan alag-alag jayenge to sahi rahega " shruti ne whatsapp khola hi tha ki vishal ne ek dum phone par hath rakh kar use ek dum shant rehne ko keh dia.

" shayad koi hai " usne behad dhime swar mein kaha. Shruti ek dum se sidhe hokar baith gayi aur awaz ko sunne lagi tabhi use laga ki ek taraf ki jhadiyan hil rahi hai jaise uske piche koi ho. Hawa thi nahi isliye hawa se jhadiyan hil nahi sakti aur tabhi un jhadiyun mein se ek shaksiyat bahar ayi. Andhere mein chehra nahi dikh raha tha lekin uska deel-dol dikh raha tha. Uske pas roshni ke liye kuch nahi tha mano vo chahta hi na ho ki roshni mein koi use dekhe. Vo dhire-dhire aage bada aur kamre ke samne ki taraf chal dia tabhi shruti ka phone vibrate hua.

" Gaggan ka message hai... he saw someone.. Kamre ke gate ke bahar khada hai.. bas khada hai.."

" kya kar raha hai wahan kahda hokar? " vishal ne pucha, jigasya uski bhi badh gayi thi.

" abhi likhi hi raha hai ... aya message.. keh raha hai ki.. darwaje par kaan laga kar khada hai.. " shruti ek pal chup hui " vo hamare recorder se ati awaz ko sun raha hai.. vo andar jayega.. "

" kyun jayega.. "

" dekhte jao.. " shruti chehakte hue boli utne mein mesaage aya " Vo wahan se hat kar piche ki taraf aa raha hai.. tumhari taraf.. " gaggan ka message dekhte hi shruti ne phone ko lock kar diya. Utni hi der mein vo shaksiyat piche ki taraf aa gayi. Vishal aur shruti ek tuk baithe use hi dekh rahe the, vo shaks kamre ki aur dekhte hue jab ek taraf muda to us taraf hi dekhne laga jahan par vishal aur shruti baithe the. Un dono ki sans uppar hone lagi, plan banana asan tha lekin usme involve hona utna hi mushkil. Dono ko laga mano vo use dekh raha hai aur vo dono pakde gaye hai par tabhi vo muda aur thoda per utha kar kamre ki khidki tak pahunchne ki kosish karne laga taki andar jhank sake lekin kamyab na ho saka. Ek pal vo waise hi khada raha aur fir wapis vo kamre ke samne ki taraf chal pada.

" vo aage aa raha hai.. " shruti ne turant message kiya udhar se gaggan likhne laga aur message aya " vo shayad andar jaa raha hai.. "

" gaya? "

" ek minute.. bahut savdhani rakh raha hai.. abhi bhi bahar hi hai.. par jada nahi dikh raha isliye itna hi bata sakta hun.. lag raha hai andar jayega par andar jaa nahi raha "

" behnchod.. " shruti bilbilai, uski nazar whtsapp par thi, gaggan ki typing band hui to aur bechani badhne lagi aur tabhi usne dubara type karna shuru kiya " usne gate khol dia.. "

" ready ho jao.." shruti ek dum se apni jagah par khadi ho gayi. " chalo jaldi... " vishal aur shruti jhadiyun se nikal kar bahar aa gaye.

Vo shaks kamre mein ghusa par use wahan koi nahi dikha, andar se recorder par awaz aa rahi thi jo bahar se clear nahi thi lekin andar clear thi. " Mujhe pata hai ki shaurya singh kaise gira.. " recorder par abhi ye play hua tha. " Mujhe pata hai.. ki shaurya singh kaise gira.. " bar-bar ek yahi line repeat ho rahi thi. Bas farak itna tha ki ek bar ladki ki awaz thi aur ek baar kisi ladke ki awaz. Vo shaks fauran samajh gaya ki use fansaya gaya hai, vo muda ki tabhi sar par zor se danda padne par vo dard min til-mila utha aur sar pakadte hue piche ki taraf niche kabad par jaa gira.

Vo dard mein karhata hua zameen par pada dard se azad hone ke liye chatpata raha tha. " danda to main tumhe bahar bhi maar sakti thi lekin jis tarah tumne mara tha.. uska maza lena tha isliye ye sab natak racha... Mr. Atharva urf Meghnath " shruti ke dande ko gaggan ke hath mein pakda diya aur pancho kamre ka darwaja band kar uske samne aa khade hue.
 
Last edited:

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,642
8,370
219
पुलिस वाले बकवास कर रहे थे । उनकी थ्यूरी बिल्कुल केस से मिलती जुलती नहीं है । ये तो हंड्रेड परसेंट सच है कि कौशल ने रेप किया और मनप्रीत की मौत का कारण बना , पर लावन्या की मौत से उसका कोई रिश्ता नहीं हो सकता है ।
यह सारा खेल शौर्य सिंह और समृद्धि ठाकुर से जुड़ा हुआ है । कोई है जो इनकी मौत का बदला ले रहा है और वो शख्स शौर्य सिंह का वह रिश्तेदार है जिसका नाम उसका एडमिशन के समय रजिस्टर पर दर्ज हुआ था । अथर्व राय.... जिस का रिश्ता शौर्य से क्या है , समझ नहीं पाये थे श्रुति और विशाल ।

इन दोनों बच्चों की मौत दो साल पहले हुई थी और उसके बाद ही मौतों का सिलसिला जारी हुआ । इसका मतलब उन बच्चों की मौत स्वाभाविक नहीं थी। शौर्य सिंह हो या समृद्धि ठाकुर.... कोई तो है जो इन्हें अपनी जान से भी ज्यादा मुहब्बत करता था ।

लेकिन मुझे आरूहि का व्यवहार समझ में नहीं आ रहा है । एक लड़की होकर वो कैसे किसी लड़की की मजबूरी समझ नहीं पा रही है ! ठीक है , मनप्रीत एक गलत विडियो क्लिप के चलते एक हवशी लड़के का शिकार हो गई लेकिन था तो वो ब्लैकमेल ही । और हम जानते हैं ब्लैकमेलर का मुंह सुरसा की तरह होता है जिसकी डिमांड बढ़ती ही जाती है ।

फिलहाल तो श्रुति ने एक और बोल्ड डिसिजन लिया है और हमारी शुभकामनाएं उसके साथ है । देखते हैं , कौन है शौर्य सिंह का प्रेमी जो कत्लेआम मचा रहा है !

आउटस्टैंडिंग एंड अमेजिंग एंड ब्रिलिएंट अपडेट हर्षित भाई ।
Shuruwat Partiksha ki maut se hui thi.. aisa abhi tak unhe malum chala hai. Shaurya wala kissa to start mein tha jab shruti ko ye pata chala tha ki do students ne ek hi samay par suicide kiya hai.. Aaruhi bavla gayi hai bhai.. use ignore maar do.. sahi keh raha hun.. :D Thanks sanju bhai :hug:
 
Top