• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy " Girls Hostel "

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,642
8,370
219

~~INDEX~~

Chapter 1 ~~ " Supriya "
Chapter ~~ 2 " The Illusion "
Chapter ~~ 3 " Catatonic Schizophrenia "
Chapter ~~ 4 " A True Face "
Chapter ~~ 5 " The Antiquarian "
Chapter ~~ 6 " The Amazon "
Finale
Chapter 7 : " Book Of Hoax "

Some Comments for this story :love: (Late Add-on :sigh:)

सच में , यह पुरी स्टोरी दिमाग के परखच्चे उड़ाए जा रही है । कभी लगता है कहानी में सस्पेंस है तो कभी लगता है भ्रम जाल का ताना-बाना बुना हुआ है तो कभी लगता है जैसे कोई रूहानी ताकतें हैं तो कभी लगता है यह सिंपल स्टोरी है जिसमें आरूहि एक गम्भीर बिमारी से पीड़ित है ।

मुझे लगता है इससे बेहतरीन कहानी फिलहाल तो इस फोरम पर नहीं है । और सबसे बड़ी खासियत है आपके लिखने का स्टाइल और अंदाज । आउटस्टैंडिंग हर्षित भाई ।
thoos thoos ke khana khaya aaruhi ne jo ekdam majedar horror type scene tha ..
सही में , हर्षित भाई ! मुझे बहुत ही दया आने लगा है आरूहि पर । अगर किसी हरामखोर की वजह से उसकी हालत ऐसी हुई है तो उसे जहन्नुम का रास्ता जरूर दिखला दिजियेगा ।
WTF!!! Yahi pehla reaction nikalta hai is kahani ko poora padhne ke baad... Halanki pehle bhi maine is kahani ke kuchh 7-8 updates padhe huye the par jab is baar padhna shuru kiya to ek naya sa romanch har beet te update ke saath banta gaya... Bohot hi zyada behatreen tareeke se likhi gayi kahani hai ye, ab jis prakaar ka plot imagine kiya hai lekhak saahab ne uske baad ek nausikhiya bhi likhe to bhi kahani halki nahi ho sakti, aur yahaan jis level ka narration, aur scene specialization hame padhne ko mila hai, wo kaafi hai dikhane ke liye that this is, without a doubt,one of the finest stories available on XF... Chahe wo running stories hon ya fir completed, aur chahe future mein likhi jaane waali kahaniyan, is story ka ek alag hi sthaan bana rehne waala hai forum par... Aur iske liye writer saahab ki jitni bhi tareef ki jaaye wo kam hi hogi...

Fantasy genre ke saath shuru huyi ye kahani, kab alag - alag genres ke darshan karane lagi padhte waqt katayi pata nahi chala... Horror, Suspense, Thriller, Adventure, Romance and of course Fantasy, aur saath hi mein Erotica ke ansh bhi... Ek story mein is se zyada kis cheez ki apeksha kar sakta hai reader!? Again, one of the best stories I've ever read... Outstanding Stuff harshit1890 bhai... :bow: :bow: :bow:
Kya hi khubsurat kahani likhi hai aapne bhai... I'm just speechless, jitni bhi tareef karunga kam hi hogi... Erotica ka bhi bilkul sahi situation mein use Kiya gaya hai aur sabse important har kirdaar par lekhak ki shaandar pakad bani rahi hai... Har character ka kahani mein hona justify kiya gaya hai, kahin bhi koyi bhi character bina matlab nahi ghus aaya...

Ab dekhna ye hai ke Mehta waali meeting mein kaun kaun shaamil tha aur unka maksad kya tha? Aur Shruti is sab ki sachayi jaan bhi paayegi ya nahi? Aruhi sach mein kisi beemari ka shikaar hai ya kewal naatak kar rahi hai? At last, Ek baar ko apun ko ye bhi laga ke asal mein ye sab jo ho raha hai wo kewal Shruti ki kalpana hai... :dazed:

Outstanding Story & Updates Bhai & Waiting For Next...
Harshit bhai... Kayi horror stories padhi hain maine, joki poori tarah se horror genre par based hain but jis tarah ka scene aap create karte ho, taking into note ye story horror genre par based hai bhi nahi, that's phenomenal...
meghnath naam rakhne ke pichhe ki kahani bhi majedar hai 😍😍😍..
jab me TV nahi dekhta( waise tha nahi nahi ghar par ) tha bachpan me aur bas naam suna karta tha to khudko SHAKTI KAPOOR. kehta tha dosto ke bich 🤣🤣🤣..ye kissa padhke bachpan ki yaade taaza ho gayi 😍😍😍..
Slowly my interest is increasing towards the story full of adventure, fun to read, no doubt you are a great writer, thank you for writing such a beautiful story.
Have to admit, your story completely twists the thinking, sometimes it seems in the mind that it is just a disease and sometimes it seems like something supernatural. Your writing is commendable, even after writing this much there are many questions and there will be many such points which I have missed. In some scenes there was a combination of intensity as well as erotic scenes, which you have shown very well, what should I say now, now the words of praise are over understand my feelings.
harshit1890 Hats Off... enjoyed it. :applause:
but why were you making her nude everytime in front of everyone. :angry:
मुझे नहीं लगता दुनिया में कोई भी ऐसा माई का माल होगा जिसे इस कहानी की पहेली समझ में आ रही हो। गजब का दिमाग हिला रखा है आपने हर्षित भाई।
The whole incident, that Mansion one was written so beautifully that no words are sufficient to describe it! Ismein koyi doraye nahin ki maine aaj tak kisi ko bhi is tarah ka horror likhte nahi dekha hai... Haunted ko read kiya tha maine, kaafi pehle, aur main bilkul daave se keh sakta hoon, that you're the best,when it comes to generating real fear in readers, while they read the story..
Bhatt the phakk is this estory?:redface:
 
Last edited:

Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,259
189
harshit1890 sahab aap kahani pe nischal ko as a hero layenge ki nahi :bat:
Aur haan hostel mein Hella ki bhi entry karwaiye plz... :D
Waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting waiting for next update :tantrum:
 
Last edited:

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,642
8,370
219
Update ~~ 29

" shruti... shruti.... " main itni gehri nind mein thi ki mujhe sapne mein koi awaz laga raho aisa mehsus hone laga. Kuch pal tak nind ne use ignore kiya par jab vo awaz nahi ruki to meri ankh achanak se khuli. Sapne mein kaun awaz laga raha tha? Ye soch hi rahi th ki awaz reality mein bhi ane lagi. " awaz to aaruhi ki hai " mene ankhein malte hue apni nazar aaruhi ki taraf ghumai to paya bistar par koi nahi tha.

" s..hruti...shrutii.. " awaz par fir bhi udhar se hi aa rahi thi. " behnchod.. invisible ho gayi kya.. " mene ankhein malte hue apne sharir ko uthaya.

" aaruhi to hai kidhar.. "

" idhaar... " uski awaz behad dhimi thi.

" idhar...kidhar... " mene dekhne ki kosish ki to mujhe palang ke niche kuch mehsus hua. Aaruhi ke palang ke niche aisa laga kuch hai. Andhera itna tha ki malum nahi chal raha tha ki kya hai. " aaruhi to apne palang ke niche hai kya.. " palag se khada hona jaruri ho gaya tha ab, kyun ki aaruhi palang ke niche kya kar rahi hai ye janna jaruri hai. Main bistar se khadi hui aur farsh par khade hote hi mene palang ke niche jhuk kar dekhne ki kosish ki tabhi mera per kisi ne pakad liya...

" aaah-hhhhh " chilla kar kudte hue main vapis apne palang par aise chad gayi. Aur takreeban 10 second tak chillati reh gayi hongi main kyun ki aise ajeeb se jhunjhun felh gayi thi sharir mein ki us utarne mein samay lag gaya.

" main.. hun. aaruhi.. " main jaise hi chup hui tabhi aaruhi ki awaz ayi.

" aaruhi.. tu.. mere palang ke niche.. hai.. uff.... " mene apne baal piche ki taraf kiye jo uchalne ki wajah se aage aa chuke the. " aaj to tune meri gand hi maar li aise pakad kar... par tu niche kar kya rahi hai " mene niche utarne hi wali thi par fir tabhi abhi jo aaruhi ne per pakada tha vo yaad aya islye uppar reh kar hi mein ghutne ke bal bistar par baithi aur uska kona pakad kar niche ki taraf jhuki. Chadar hata kar uppar ki taraf ki aur abhi niche nazar jati use pehle mein wapis sidhi ho gayi. " mobile...mobile..... " mene andhere mein bistar par idhar udhar hath maara aur ungli mobile se takra gayi. Mene mobile uthaya aur pehle nazar time par gayi... 1 bajne mein panch minute baki the. Mene time dekhte hue uski torch jalai jise thodi roshni ho gayi. Roshni ke hote hi mein usi taraf niche apni nazrein lagai jise niche aaruhi ko dekh saku par meri nazrein pehle andar dekhe use pehle mobile ki roshni andar ki taraf dali. Niche ujala ho chuka tha jo aaruhi par padh raha hoga ye sochte hue mene use awaz di " aaruhi... " aur jab nazar niche gayi to samne roshni mein aaruhi ki ankhein nille kanche jaisi chamak rahi thi jise dekhte sath phone chhut gaya aur uske shor se hi mere sharir mein sirhan daud gayi. Mene fauran uthaya aur aaruhi ki taraf ghumaya.

" aaruhi ...ye... kya halat... banai hui hai... " dubara ankhon ki jagah jab nazre sharir par gayi to hairani mein use tadti rahi. Aaruhi bilkul nangi nivastra halat mein deewar se chipak kar apne sharir ko samete hue laiti hui thi. " aaruhi to is halat mein kya kar rahi hai... "

" m...ere...kapde... " ek pal main uska chehra dekhti rahi jo kafi dara hua tha. Fir jaldi se uske kapde khoj kar use bistar ke niche se bahar nikala.

" ab kuch bolegi ki kya tha ye? " takreeban adha ghanta beet chuka tha hume aise baithe. Aaruhi apne bistar par baithi thi aur main apne.. light jal rahi thi varna mujhe uski shakal par chaye aseem dar ko dekh pana mushkil ho jata. " dekh aaruhi agar tu kuch nahi batayegi to main kal teri mumy ko bata dungi ki tu theek nahi hai yahan " ab sirf yahi dhamki bachi thi jise jawab mil sakta tha.

" mene kaha na sirf ek sapna tha.. aur kuch nahi.. " adhe ghante mein vo ye baat 25 bar bol chuki thi aur mujhe yakeen nahi tha koi sapne se aise darta hai bhala?

" sapne se itna dar gayi thi ki pure kapde hi utar diye? Aisa kya kar rahi thi sapne mein? "

" tujhe har chiz mein ek hi chiz dikhti hai kya shruti... " aaruhi ne mujhe jawab bahut tez awaz mein diya, batmizi se bhi par mujhe is waqt uske dar ki wajah jani thi isliye bura nahi mana. Uski ankhein bhari thi yani baat gehri thi kyun ki ladkiyun ki chut aur ankhein tabhi bhari hoti hai jab baat serious ho..... damn serious ho....

" main abhi mazak nahi kar rahi hun aaruhi.. tu jis halat mein thi uske baad koi bhi tere bare mein ulta hi sochega.. aur agar tu kuch nahi batayegi to majburan mujhe tere ghar batana padega. Isliye keh rahi hun agar tu yahan rehna chahti hai to mujhe bata ki kya hua hai tujhe... kis baat se tu itna dari rehti hai aur ye jo abhi tha vo kya tha... " mene is baar sahi nabs pakdi thi. Emotional main bahut kam hoti hun lekin aaruhi ki ye halat dekh kar mujhe apna school ka waqt aa gaya tha jahan tab mene ankhein mund li thi jiska asar mere dimag mein aaj tak hai lekin us galti ko dubara nahi dhaurana chahti thi. Aaruhi ne apni ankhon se chalak aye ansu hataye aur yun hi baithi rahi. Main thak gayi thi lekin vo kuch batane ka naam nahi le rahi thi isliiye mene socha ki kal subah iske ghar par baat karni hi padegi. Main uthi aur light band karne ke liye abhi switch board tak pahunchi hi thi ki aaruhi ki awaz se kadam ruk gaye.

" agar mene tujhe kuch bataya to tu mujhe pagal to nahi samjhegi na? "

" aksar log ye batein tab kehte hain jab unhone kisi bhoot pret ko dekha ho, tune dekha hai? " mene palatte sath hi use pucha.

" nahi.. "

" to fir? "

" par mehsus jarur kiya hai .. aur vo koi sapna nahi tha.. hakikat thi.. hakikat us din ki jab mein hostel mein pehli dafa ayi thi.. Us din atte atte sham ho gayi thi.. college ke entrace par guard se hostel ka rasta puchte hue jab college premisis cross kiya tab hamari mulakat.. " aaurhi ek pal ke liye ruki " lavanya se hui... jo mujhe hostel ka rasta dikhate hue us khandar le gayi "

" khandar? vo jo dusri taraf hai ... hamare hostel ke.... wahan le gayi thi, lekin kyun? " mene us khandar ke bare mein suna tha. Asal vo ek mansion tha, khandar to isliye kaha jane laga kyun ki vo kafi salon se wesa hi tha na wahan koi aya aur na hi usko kabhi tod kar wahan kuch banaya gaya. Jis din main hostel ayi thi us din warden ka chamcha debu hi mujhe laya tha. Uski nazar kitni kamini thi ye to main tabhi samajh gayi thi jab vo meri gand tadte hue man hi man muth mar raha tha. Main samajh gayi thi ki ye sala tharki apne tharak-pan ke chalte kuch bhi kar sakta hai yani main use kuch bhi karwa sakti hun aur hostel mein aise logon ka sath hona behad jaruri tha. Usi se mujhe hostel ki kayi chizen malum hui thi jisme vo khandar yani mansion tha. Usi ne bataya tha ki wahan ek baar college ne ek building khadi karne ki sochi thi lekin abhi project launch hota use pehle college ka trusty nikal liya. Ab ye itefak tha ya us jagah ki manhusiyat ki jab bhi project ki baat hoti koi na koi archan aa jati. Dhire-dhire college ne uspar se interest khatam kar diya aur baat ayi gayi ho gayi. Par debu ne ek baat aur batai thi wahan ke bare mein... jab mene saman nikalne ke bahane apni bra farsh par gira di thi aur uspar dhayan hi nahi diya. Jiske baad uski lap-lapati jaban se vo baat nikli jo shayad sirf warden ko malum thi ya fir uppar ke kuch khas logon ko. Takreeban 7-8 saal pehle wahan par college ke director jo us samay hua karte the Dr. Damodar unki laash mili thi vo bhi ek callgirl ke sath, dono ka murder kab kisne kiya ye kisi ko nahi malum hua, na hi callgirl ki pehchan ki ja saki, ab ye sab kaise hua iske bare mein use jankari nahi thi. Khabar bahut hi jada sansani thi aur college ki izat ki dhajiyan udane wali bhi isliye baat ko bade sahi tarah se daba diya gaya tha. Main apni soch se bahar tab nikli jab usne mere puche gaye sawal ka jawab dena shuru kiya.

" har insan ek tarah nahi hota shruti... lavanya ke liye vo do pal ka mazak tha par mere liye nahi.. vo mujhe us andhere mein khandar ke pas kahin chhod kar gayab ho gayi. Mene use bahut awaz lagai lekin vo nahi ayi. Andhera ho chuka tha, halki hawa ke sath un jhadiyun ke hilne ki awaz mere kano mein gunj rahi thi, samne vo khandar aur aas pass kuch nahi.. Dar se mera sharir puri tarah se kanp raha tha. Khandar ko bar-bar dekh aisa lag raha tha jaise koi mujhe uske andar bula raha hai... mera naam le raha hai ya fir kisi aur ka.. samajh pana mushkil tha.. ya fir vo sirf hawa hi thi.. mene fir awaz lagayi.. lavanya didi.. lavanya didi.. lekin vo nahi ayi.. agar vo as pas bhi thi to usne meri baat ka jawab nahi diya... main vapis jana chahti thi lekin andhere mein mujhe rasta samajh nahi aa raha tha ki kahan se jana hai.. khandar ke charon taraf badi-badi jhadiyan thi aur kuch nahi.. Mene bhagne ki sochi bhale hi kahin bhi nikal jaun par wahan se jana chahti thi isliye mene jaldi se mobile torch jalai aur jis taraf khadi thi usi taraf ghum kar piche ki taraf bhagi. Hath mein bag hone ki wajah se jhadiyun mein use tezi se ghasitna mushkil ho raha tha lekin mene piche mudh kar nahi dekha aur jhadiyun se nikalne lagi lekin jaise hi jhadiyan khatam hui uske samne sirf deewar dikhai di. Lambi khinchi deewar jiske us taraf koi roshni nahi thi. Mere dayein aur bayien aaur kya tha kuch malum nahi, andaza lagate hue mein dayein aur ki taraf jhadiyun se hote hue guzri par jhadiyan jaise koi bhool bhulaiya thi, nahi janti lavanya kis raste se layi thi usne raste mein itni batein ki mene rasta par dhayan hi nahi diya isliye dimag par zor dalne ke bavajud mujhe rasta yaad nahi aa raha tha. Kuch dur aur chalne ke baad main buri tarah se thak gayi thi. Aisa laga aaj zinda nahi bachungi... is bhool bhulaiya aur jhadiyun mein koi janwar hi mujhe kaat lega aur main yahin mar jaungi.. Man mein uth rahe sawalon mein ek ye bhi sawal aya ki kya mujhe wahin khade reh kar lavanya ka intezar karna chahie tha? Kya vo meri sirf ragging lekar mujhe wahan se le jati. Agar ye bhi sach hota to main bach sakti thi.. aur shayad yahi akhri umeed bhi dikh rahi thi mujhe. Par ab us khandar tak ka rasta bhi kahan hi malum tha. Lavanaya didi... mene awaz lagai par anjam wahi jhadiyun ka apas mein takrana aur fir shanti cha jana.. "

" fir? " aaruhi ke chup hote hi mene pucha. " tu vapis aa gayi hostel..yahi hua tha.. " aaruhi ko chup dekh mujhe laga bas itna hi hua hoga.

" nahi..... main us khandar ke andar gayi thi shruti "

" what the fuckkk... " ab mujhe hairani hui aur jigasya hadh se jada badh gayi. " tu andar gayi? kyun.. i mean kais.e.. "

" jhadiyun ke aage jungle tha ya hostel nahi malum tha.. kitni der bhagti nahi malum ... kisi ko phone lagane ke bhi layak nahi thi kyun ki phone mein koi signal nahi the. Fir mene socha ki us raste chalti hun jis taraf singal aye, agar signal ayenge to shayad mein kisi ko madad ke liye bula sakun aur yahan tak ki mujhe ye bhi samajh ayega ki main sahi disha mein badh rahi hun.. "

" smart "

" Yahi ek option soch main thoda dayein bayein hui.. thoda aage badhi par kahin koi signal nahi aa raha tha.. par ek taraf to chalna hi tha isliye dayein aur mudh kar thoda aage chal di.. kuch der tak kuch nahi hua par tabhi signal ka ek bar aya aur fir gayab ho gaya.. Ek umeed jagi aur main usi taraf badh chali.. bich bich mein signal ata aur chala jata.. fir ek jagah thodi dur chalne par jaise chamatkar ho gaya phone par signal aa gaye aur ab main kisi ko madad ke liye bula sakti thi. Mene phone milane ka socha hi tha ki chehre par aisa laga kisi tarah ki roshni padh rahi hai. Roshni ke chalte mene jaise hi nazar uthai to dekh kar main puri tarah se hairan pareshan ho gayi.. samne wahi khandar tha aur ek pili roshni andar se hi aa rahi thi.. jaise koi ho wahan maujud... par sirf wahi roshni nahi thi balki kuch aur bhi tha us roshni ke piche kisi ki shaksiyat dikhai di thi.. main buri tarah se dar gayi aur chilla paddi... "

" kaun tha vo? lavanya.. " main itni utashit ho gayi ki use bich mein puch baithi. Usne mere sawal par na mein sar hilaya " to fir kaun tha? "

" pata nahi... mujhe madad ki jarurt thi isliye mene phone milaya lekin phone laga hi nahi kyun ki phone main ab koi signal nahi tha.. achanak se ye kaise hua.. kuch samajh nahi aya.. andhere se mujhe vaise hi bahut dar lagta hai aur aise mein ye hadsa.. mere hath per sun ho chuke the ... main unhe abhi bhi mehsus kar sakti hun.... tabhi mujhe aisa laga piche se koi aya hai... un jhadiyun mein se koi meri taraf badh raha hai.. achanak pura vatavaran shant ho gaya tha bas mere piche ki jhadiyan hi hil rahi thi... jaise abhi koi usme se bahar nikal kar meri taraf badhega... main itni jada ghabra uthi ki mere hath se phone chhut gaya aur main sidhe bahg nikli.. bhagte hue kab us khandar ke andar ghus gayi malum hi nahi hua... Khandar ka darwaja jaise shayad mere liye hi khula tha.. andar ghuste hi mene darwaja laga diya aur wahin ek kone mein chup kar baith gayi. Sansein chaddi hui thi aur dhayan bas bahar ki hi taraf tha jiske chalte nazre us darwaje par hi tikki hui thi.. har pal aisa lag raha tha darwaje par koi akar hamla karega.. koi ayega.. koi ayega.. koi behad uske karib hai... behad karib... " jaise jaise aaruhi bata rahi thi uski awaz mein dar saaf jhalak raha tha, mera dil bhi zoron se dhadak raha tha. Sach kahun to romanch mere sharir mein har taraf ghum raha tha.

" koi ay.a.. " jigasya purvak mene fir pucha.

" nahi.... koi nahi aya... main kafi der udhar baithi rahi.. par koi nahi aya.. khamoshi ke alawa wahan koi bhi nahi tha... meri sansein mujhi ko sunai de rahi thi. Abhi tak kuch nahi hua tha par bahar jane ki himmat hi nahi ho rahi thi ki bahar nikalun isliye socha andar hi baithi rahun.. bas ye raat wahin baithe nikal lena chahti thi... lekin... " aaruhi ki ankhein kahin aur thi jaise wahan dekhte hue us raat ki batein yaad aa rahi ho.

" lekin.. ? " mujhe pakka lag raha tha ye bhoot ka angle hai.. us director aur call girl ki atma hai wahan aur wahi ane wali hai aaruhi ki kahani mein. Dilchasp hoti jaa rahi thi kahani ab.

" kuch der baithe rehne ke baad mujhe... ek awaz sunai di... . lakdi ke charmane ki jaise koi theek mere uppar chal raha ho.. mene apni nazar uppar ki... to mitti ke chote chote kann mere mathe par bhi gire aur awaz bhi wahi se aa rahi thi. Zee aur ghabra gaya.. ye soch kar ki koi aur bhi hai... Itna andhera tha ki agar koi dur se chal kar meri taraf badhe to bhi na dekh paun, mujhe roshni ki jarurat thi.. isliye apne phone se roshni karne ki sochi lekin usi waqt yaad aya ki vo to mein bahar hi chhod ayi hun. Ye sochte hi main fauran apni jagah se khadi hui aur nikalne ka tay kiya lekin savdhani se... Mene darwaja khola, bahar shanti thi, chand ki puri roshni padh rahi thi jise roshni maujud thi... mene wahan dekha jahan main apna bag aur phone gira ayi thi. Ab wahan khali farsh ke kuch nahi tha.. mera bag wahan maujud nahi tha.. aur jab vo nahi tha to phone ke hone ke chances hi nahi the "

" ye kaise ho sakta hai.. jab wahan koi tha hi nahi to tera bag kahan jayega.. "

" mene bhi yahi socha tha.. par tab yaad aya ki mujhe yahan lane wala jo insan tha wo abhi yahin hai.. aur abhi bhi mere sath khel raha hai.. "

" lavanya.. " mene turant jawab diya.

" han.. "

" fir kya hua? " mujhe laga tha kahani bhoot pret ki hogi.. us tharki director ke uppar ki hogi.... par ye to lavanya nikli... ab kya bacha tha is kahani mein? Romanch bacha tha.. man mein sawal aya.. socha rehne du lekin jab aaruhi ne batana shuru kiya to apne aap romanch badhta chala gaya.
 

DARK WOLFKING

Supreme
15,532
31,887
244
romanchak update ..ye raat ko bina kapdo ke bed ke niche chupna aruhi ka 🤔.. aur upar se dari huyi bhi hai aur shruti ko aawaj deke bula rahi thi ,,ye pehla scene tha jo ekdam horror wali feeling de raha tha 🤩..

aur jab aruhi ne apni kahani batana shuru kiya ki kaise lavanya usko khandar me leke gayi aur waha ka mahual jis tarah bataya wo bhi horror hi tha aur darawna bhi ..

lavanya ko aisa majak nahi karna chahiye tha aruhi se 🤬.. chhoti mothi ragging sahi hai par aise darawni jagah par leke jana agar kuch ulta sidha ho gaya to ..

aur us khandar se ek kahani bhi judi hai jo shruti ko pata chal gayi ki waha pe college ke director ki laash mili kisi call girl ke saath ,aur wo khandar jab todne jaate to kuch na kuch anhoni ho hi jaati ..
 

Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,259
189
Ghatnaye to wohi ghat rahi hai bas thodi bahot pher badal hai...
Jaise aaruhi bistar ke niche hona... Raat ke Andhere mein uski aankhein kisi vampire ki aankho ki tarah chamakna...
us khandahar ke andar jaana.... ye sab supriya ke waqt nahi hua tha...
aur sabse badi baat us khandahar mein kuch hua tha kuch saal pehle supriya ke waqt tab ye baat samne nahi aayi thi ki akhir kya hua tha... lekin aaruhi ke time ye baat samne aa hi gayi ki wo khandahar kyun bhootiya kehte hai....
Baaki ke ghatanaye same hai...
Wohi jo supriya sath ghat rahi ghatanaye wohi ghatanaye aaruhi ke sath bhi bhi ghat rahi hai....
Khair.... guess karne se koi faida nahi... coz baat yahin pe uljhi hai ki akhir supriya aur megha sach mein thi ya just imagination hai aaruhi ki....
Let's see what happens next
Brilliant update with awesome writing skills :applause: :applause:
 
9,453
39,756
218
क्या बेहतरीन हाॅरर क्रियेट किया है हर्षित भाई आपने ! और क्या बेहतरीन अपडेट था ये ! अद्भुत ।
फिर से रात में वही एक बजने में पांच मिनट बाकी वाला लफड़ा ! बिस्तर के नीचे आरोही , नग्न अवस्था में । और बिस्तर के नीचे ही मेघा की हत्या हुई थी । पर वो नंगी क्यों थी ? सपना भी देखा होगा तो भी इससे उसके नंगे होने से क्या मतलब ? वो नंगी जरूर स्वयं ही होई होगी पर क्यों ?
सुप्रिया के वक्त तो पता नहीं चल पाया था कि फर्स्ट डे में उसके साथ तन्नु ने ऐसा क्या किया था जिससे वो डरी डरी और उससे नफरत करने लगी पर बाद में ये जरूर हुआ था कि वो वहां गई थी और उसे वहां से आकाश और मेघा वापस हास्टल ले कर आए थे । हां , पर वो खंडहर में प्रवेश नहीं की थी । बाकी सब कुछ वैसा ही हुआ था ।

आठ साल पहले उस खंडहर में कालेज के डायरेक्टर और एक काॅल गर्ल की हत्या कर दी गई थी । और शायद ये वही समय था जब सुप्रिया वाली वारदात हुई थी ।
क्या उन दोनों की हत्या सुप्रिया वाले कांड के बाद हुई थी ?
ये तो गजब के चक्रव्यूह में फंसा दिया है आपने हर्षित भाई ! इतना तो श्योर हूं कि ये कोई भुत प्रेत का मामला नहीं है पर इन दोनों घटनाओं में ऐसा कोई रिश्ता काॅमन भी तो नहीं है , घटनाओं की पुनरावृत्ति छोड़कर ।

देखते है आगे और कितना दिमाग के कल पुर्जे ढिले होने वाले हैं । दिमाग के चिथड़े-चिथड़े कर देने वाला अपडेट । बहुत बहुत बढ़िया । आउटस्टैंडिंग ।
 

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,642
8,370
219
Update ~~ 30

" Bina bag aur phone ke wahan se jana samjhdari nahi thi isliye mene andar hi usi jagah par rehne ka faisla kiya. Samajh nahi aa raha tha ki raat kab khatam hone wali thi, na jane kitni hi der main us jagah par yun hi baithi rahi. Har samay mehsus hota ki wahan koi aur bhi maujud hai. Lavanya itni der tak mere sath yun chupan-chupai kyun khelegi bas yahi samajh nahi aa raha tha. Kuch der baithne ke baad jo sharir ki thakan thi vo sar par havi hone lagi aur meri ankh kab lag gayi malum hi nahi chala. Kuch der ke baad mujhe fir wese hi lakdiyun ke charmane ki ahat hui, nind kachi thi to fauran khul gayi. Awaz theek uppar se aa rahi thi aur us andheri khamoshi mein vo awaz jaise mere dil ki dhadkan badha rahi thi. Koi mano apne sharir ka dabab farsh par daalte hue aage piche ghum raha ho "

" koi tha.. wahan.. " main tapak se boli par aaruhi ne meri baat ansuni kar di.

" Main bahut jada ghabra rahi thi, andhera vaise bhi mere liye sahi nahi hai.. bachpan se hi mujhe andhere se ghabrahat hoti hai ... main isi vichar mein thi ki kya karun tabhi... " aaruhi itne josh se boli ki ek pal ke liye mujhe laga us khandar ki jagah hostel ke apne kamre mein kuch hua hai " tabhi kisi chiz ke girne ki awaz ayi aur mein ghabra kar uth baithi aur anjane mein mere muh se nikal gaya, ' kaun hai? ' Shayad muh se nikalne ke baad is baat ka ehsas hua ki wahan jo koi bhi tha use malum ho chala tha ki uske alawa bhi koi wahan maujud hai isliye lakdi charmane ki awaz bhi band ho gayi thi. Mujhe turant samajh aa gaya ki mene galti kar di hai lekin ab kuch ho nahi sakta tha. Main khud ko samjha rahi thi bar-bar yahi keh rahi thi ki kuch nahi hai, sirf mera weham hai.. par hakikat ye thi nahi.. wahan main akeli nahi thi.. koi aur bhi tha... koi tha.. wahan.... "

" kaun tha? "

" nahi malum... "aaurhi ne jab ye kaha to main samjhne lagi ki vo sirf uska veham tha.. aaruhi ka dar, lavanya ka khel aur us jagah ke haalat ... sab aaruhi ki kahani ke patr banne hue the par abhi aaruhi ko kuch kehna baki reh gaya tha aur mujhe sunne mein koi boriyat nahi ho rahi thi to mene use sunna jari rakha. " koi tha.. wahan... kaun nahi malum.. lekin jab main us ghar ke bheetar dekhti rahi jahan mujhe nazre ghumane par andhera dikhta.. wahan kuch hai.. vo feel to hota lekin kya hai ye samajh nahi ata.. itna bhi dekh pana mere liye mushkil tha ki samne koi chiz rakhi hai koi khada mujhe ghur raha hai.. bar bar jab bhi dimag mein aise khayal atte to samne rakhi table bhi mujhe ghurti hui ankhein lagti. Achanak mujhe aisa laga jaise koi mujhe awaz de raha hai.. uppar se.. mere naam ko pukar raha hai.. ab mujhe aur jada dar lagne laga.. koi mera naam kaise le sakta hai? Dar ne dimag kar kabza karna shuru kiya lekin fir khayal aya ki kya vo lavanya to nahi.. ho sakta hai vo mere sath khel rahi ho.. mazak uska abhi tak khatam na hua ho... isliye mene kisi tarah himmat jutai, man aur dimag ke bich jo jung chhidi thi usme dar ki wajah se vo faisla liya jo sahi nahi tha. ' Lavanya... aap ho.. ' mene awaz lagai aur mere awaz lagate hi jo awaz mere ko sunai padh rahi thi vo shant ho gayi. Mene apne kadam aage badaye.. table ko kas kar pakad rakha tha taki koi ho to khinch na sake... thodi aage jhuk kar mene jab hall ki taraf dekha to ... " aaurhi ne ek pal pause liya.. ye kahani aise suna rahi hi jaise abhi meri utejna badhti jaa rahi thi. " to wahan sirf sanata tha.. pata hi nahi kitna badha hall tha ya kya hi maujud tha bas sidiyan jo theek mujhse thodi dur par hi thi vo dikh rahi thi.. Awaz bhi uppar se hi ayi thi isliye mujhe laga jo bhi koi hai vo uppar hai... Ab mujhe faisla karna tha ki ya to main wahin baithi rahun ya fir uppar jaun dekhun aur man ko tassali dun... Lavanya us waqt agar mujhe jitna marzi pareshan karke dikh jati na to bhi uske galle lag jati lekin aisa nahi ho raha tha. ' Lavanya aap uppar ho... ' mene awaz laga di.. kyun malum nahi akhri umeed ke chalte.. aur fir bina soche apne kadam sidiyun ki taraf badhate hue paidhi par apna paun rakha aur jhuk kar uppar ki taraf dekhne lagi. Aisi ajeeb si vibes aa rahi thi us andhere se ki dil aur sharir mein dar ab tsunami ban chuka tha. Vo kali andheri jagah jaise koi unme se mujhe dekh raha ho.. ya fir koi piche se mujhe pakadna cha raha ho. Dar aur samjhdari mein utna farak hota hai jitna zameen aur asman.. koi mel nahi.. dono hote jarur hai par ek dusre ke as-pas bhi nahi hote.. dono ek dusre ko dekh sakte hain par vo duri tay nahi kar sakte. Mere uppar dar puri tarah se havvi tha. Mene apna dusra kadam uthaya aur pehli paidi par khadi ho gayi.. Pehli ke baad railing pakad kar mene dusre par kadam rakha aur fir tisre par.. behad dhire-dhire aur har paidhi ke sath mujhe aisa lagta jaise main uske changul mein fansti jaa rahi hun tabhi mujhe ehsas hua ki jo lakdi charmane ki awaz mene suni thi vo mere paidhi chadne par bhi ho rahi thi. Mere kadam ruk gaye... agar kisi ko malum na bhi chale ki main wahan hun to is awaz se hi pata lag jane wala tha. Isliye mene apne shoes wahin utare aur nange per uppar chadne lagi "

" par tu uppar jana hi kyun chahti thi? kya chul thi tere andar? " mujhse raha nahi gaya to mene sawal kar diya.

" ajeeb hadson ke waqt koi suj-bhuj nahi hoti.. main bas ye tassali kar lena chahti thi wahan kuch nahi hai.. har khandar mein anhoni ghatnaye nahi ho sakti. Mera dimag bas isi baat ko sabit karne ki hodh mein tha aur main akhir uppar pahunch gayi. Andhere mein kewal khud ko mehsus karte hue mene samne adhe khule darwaje ko dhakka diya aur use khol diya. Kisi ka kamra tha shayad, ek palang samne rakha tha, chand ki roshni halki wahan tak pahunch rahi thi isliye kuch hadh tak andhera kam tha. Usi kamre ke bagal mein ek aur darwaja tha jo ki band pada tha. Band darwaje se dhayan hatate hue jab main andar ghusi to per mein kuch chuba. Kuch garam... Mene turant wahan se per wapis kiya aur niche hath se us chiz ko tatlone lagi.. Utha kar dekha to vo machis ki tilli thi jo ki abhi tak garam thi. Yani kisi ne kuch hi pal pehle ise jalaya tha. Main abhi soch rahi thi ki mujhe aisa laga jaise koi mere piche khada mere balon ko chu raha ho. Ye mehsus karte hi mere pure sharir mein sansani daud gayi. Main chillai aur chillate hue main kamre ke andar ghus gayi aur fauran piche paltti.. lekin wahan kuch nahi tha... Meri sansein itni tez chal rahi thi ki ek pal lene mein dikat bhi hone lagi. Abhi jab samne koi bahar nahi dikha to mene apne kadam aage badaye ye dekhne ke liye ki kaun chup raha hai tabhi mere kano mein awaz padi... koi kisi ka naam pukar raha tha.. Mene awaz ko dhayan se sunne ki kosish kari.. Ek pal laga awaz bahar se hi aa rahi hai lekin jab dhayan se suna to awaz theek mere piche se aa rahi thi.. usi kamre se.. jis kamre ke dehleez par main khadi thi. Mene apni nazre piche ghumai... awaz abhi bhi wahin se aa rahi thi... theek usi tarah jaise main jab niche thi tab mujhe sunai di thi.. vo naam.. "

" kya naam? " ye naam ka jikar bar-bar ho raha tha par naam nahi mil raha tha.

" vandana... yahi naam tha.. jo vo mujhe sunai de rahi thi. Main nahi janti thi ki ye naam ka koi shaks wahan maujud hai jise bulaya jaa raha hai ya uska is jagah se koi taluk hai lekin meri chinta is baat par thi ki kaun hai jo is naam ko pukar raha hai... 'kaun hai? ' mene pucha... jiske baad vo awaz shant ho gayi jaise mere puchne par ghabra rahi ho. Par ab uske shant hone ke baad jigasya aur badh gayi us awaz ko janne ki.. Main dhire-dhire us palang ki taraf badhi jahan se vo awaz aa rahi thi. Dil itni zoron se dhadak raha tha ki vo keh raha ho kuch theek nahi hai.. niche to bilkul theek nahi hai.. Fir bhi niche jhuki, ghutno ko farsh par dala aur niche jhuki, jaise jaise main niche jhuk rahi thi meri ghabrahat apne charam seema tak badh rahi thi. Sansein itni tez thi ki mere kano mein gunjne lagi, mene apni nazre niche ki aur paya palang ke niche koi nahi tha. Aur jaise hi mujhe ye abhas hua main samajh gayi ki kuch bahut galat hai.. bahut bahut galat. Main uth kar wahan se bhag jana chahti thi par tabhi itni zor se darwaja band hone awaz ne mujhe jhinjhod kar rakh diya. Main cheekhi... jitni tez cheekh sakti thi utni tezz chikhi.. jo darwaja band hua tha vo usi kamre ka tha jisme main maujud thi. Main cheekhte hue us bed se tek lagaye baith gayi. Nazar sirf darwaje ki aaur thi... hath paun kanp rahe the... dar ab mere rom-rom mein bas chuka tha. Main janti thi ki main ab jada der zinda nahi rahungi... ye dar mujhe kha jane ko utawla ho chuka tha... Ab bas.. kuch na ho.. kuch na ho... mere muh se yahi nikal raha tha.. ki tabhi... " aaurhi ek pal saans lene ke liye ruki.. meri jigasya ab apne charam seema par thi .. main baithe hue aaruhi ki kahani ka ant janna chahti thi ... jarur wahan kuch gadbad hai... ab ye baat ki pushti dhire-dhire hoti samajh aa rahi thi.

" tabhi... vo kiwad dhire-dhire khula... itna dhire mano koi meri jaan hi lena chahta ho.. na to mujhe darwaje par kisi ka hath dikh raha tha na hi uske khulne par uske piche koi dikhai de raha tha. Mera sharir dar se thar-thar kaanpne laga tha.. Darwaja apne aap khulne laga... aur tabhi mujhe ek hansi sunai di... bas vo hansi hi ki main dar kar cheekh padi.. bahut zor zor se... cheekhne lagi aur cheekhte hue bachne ke liye palang ke niche chup gayi.. na jane kyun.. par mefus to us jagah bhi nahi thi... Thar-thar kampta mera badan jitna piche ho sakta tha palang ke niche utna piche hua aur deewar se sat kar apne aap ko samet liya. Mere ansu nikal kar chehre se fisalte hue farsh par pade aur tabhi mujhe kisi ke andar ane ki ahat hui, main use dekh nahi sakti thi ki vo kaun hai lekin... vo mehsus ho rahe the.. koi andar aa raha hai.. Main kisi tarah apne aap ko chupane ki kosish karne mein datti hui thi par sab bekar hota jaa raha tha kyun ki vo kadam dhire-dhire meri taraf hi badh rahe the... aur fir theek mere samne aa khade hue "

" per sidhe the ya ulte...? " bachpan se lekar abhi tak mumy aur tv/movies mein yahi suna tha, chudailo ke per ulte hote hai... lekin aaurhi jaise apni kahani mein khoi thi, usne mere sawal ko suna hi nahi. Vo apne sharir ko aise samete baithi thi mano vo usi raat ke usi pal mein ho.

" vo.. per... mere samne the.. main dekh sakti thi... mujhe kuch samajh ata usse pehel vo ek dum se jhuki... aur usne apna chehra mere samne kiya jiske baad mein cheekh padi... aur itni zor se cheekhi ki uske baad mujhe hosh hi nahi raha... dar ke marre mein behosh ho chuki thi... aur jab ankh khuli to main us khandar ke bahar thi... zameen par laiti.. Raat abhi bhi ho rahi thi aur main kabhi use dekhti to kabhi us khandar ko.. ek pal ke liye laga jaise kuch hua hi na ho.. Khandar se jab nazar hata kar meri nazar lavanya par gayi jo meri hi suitcase par baithi thi to main use dekh aur dar gayi... " aaruhi ki sansein abhi bhi tez thi.

" tu lavanya ke chehre se kyun dari? "

" kyun ki ... kyun ki wo wahi thi.. jisne mujhe palang ke niche dekha tha "

" tu uske chehre se isliye dar gayi.. ? "

" han.. kyun ki vo uska chehra nahi tha.. vo chehra nahi tha... jo uska hai... "

" chehra hai par tha nahi? kya bol rahi hai tu? " main ab confuse thi.

" vo jisne jhuk kar meri taraf dekha tha vo lavanya hi thi par vo nahi thi.. uska chehra nahi tha "

" to mask laga hua tha? " mene asmanjas mein fir pucha.

" nahi.. mask nahi tha.. balki kuch nahi tha... " main ek pal aaruhi ko yun hi dekhti rahi aur tab samajh aya ki ye pura mamla tha kya. Na jane main kya kya soch baithi thi lekin wahan kuch tha hi nahi. Wo sirf aaruhi ka ek matr bhram tha iske alawa kuch nahi. Us mahol ne use itna dara dia tha ki har chiz jo hui hi nahi use kuch nazar aa rahi thi. Jabki ye sab sirf lavanya ka mazak tha.. asal mein vo us din us mansion ke andar gayi hi nahi... jabki vo tabhi behosh ho gayi jab jhadiyun ke piche se use laga ki koi hai.. baki sab usne sirf ek khwab dekha jise vo itna dar gayi hai aur vo khwab use bar-bar aa rahe hain isi wajah se vo us raat ki tarah aaj bhi palang ke niche padi thi, bas ek chiz samajh nahi ayi vo ye ki aaruhi ne apne kapde kyun utare? Pura romanch jaise bhakk... ho gaya... ek dum se khallas...

" han sahi kaha vo mask nahi tha.. kyun ki vo kuch tha hi nahi.. "

" tu..tu kehna kya chahti hai.. main juth bol rahi hun "

" nahi "

" mene tujhe kaha tha ki mujhe pagal mat samjhio "

" main aisa kaha hi nahi "

" to fir? " aaurhi ke bechaini dekh main ek pal chup hui.

" main to bas ye keh rahi hun ki agar tu daregi to sach nahi samajh payegi aur nahi daregi.. to sach tere samne hoga bas... " main apne bistar par pasarte hue boli.

" tu keh rahi hai ki main dar rahi thi isliye aisa dekha? " aaurhi ek pal chup hui " mujhe malum hai mene kya dekha hai.. main use samjha nahi sakti.. dar to har kisi mein hota hai tu bhi to darti hai.. yani dar ke mare to kuch bhi dekh kar kuch bhi bolegi ? "

" main..? " mene aaruhi ki taraf dekha.. " main darti hun? main kisi se nahi darti "

" jhooth.. jhooth.. abhi dari thi tu.. jab mene tera per pakda tha "

" oo.. behenji... main islye nahi dari thi ki tune mujhse pakda balki main chaunki aur vo isliye kyun ki tere hath baraf jaise thande ho rahe the.. ye dekh per par nishan bhi ban gaya " mene apne takhne ke uppar dikhaya jahan halka nila nishan ban gaya tha. " aur dekh aaruhi.. mene tujhe galat nahi kaha balki tere sath jo kiya gaya vo galat tha... aur isliye main tujhse bas yahi kahungi.. ki tu us sapne ko ek bura din samajh kar bhool aur aage badh.. " mujhe dhayan aya ki mujhe abhi light band karni hai.. isliye main vapis uthi aur light band karke apni jagah par aa laiti.

" agar tujhe lagta hai vo sirf ek sapna tha to vo.. naam vandana.. vo kaun hai.. vo mujhe kaise malum? " aaruhi sone ka naam nahi le rahi thi.

" abe yaar.... naam hi to hai sirf... vandana naam ki shaksiyat thodi na asliyat mein aa gayi tere pas... main sainkdon ladkon ke naam se sapno mein chudti hun.. tu ek naam ki baat kar rahi hai.. itna naam se pareshan mat ho.. vaise bhi kisi vidhwan chodu ne kaha hai... naam mein kya rakha hai.. maal mein dimag lagao.... wahi tumhe degi.. aur wahi tumhari legi.. ab soo jaa.. good night... " sone se pehle mene time dekha.. 1:30 baj chuke the. " so gayi na? " mene ankhein band kiye kiye awaz di to bagal se koi awaz na pakar mene mana ki vo so chuki hai isliye mene bhi ankhein band ki aur so gayi.

" Us raat aaruhi ke sath reh kar nahi laga ki kuch hua hai, jaisa hafta guzra tha use dekh aur samajh kar yahi laga tha ki aaruhi kisi tarah ke depression mein hai lekin us raat uske sath baat karte waqt nahi laga ki aisa kuch bhi hai. Uski baatein sunne ke baad yahi laga ki lavanya ke kiye mazak ka asar use pada hai aur vo usse hi jada jud gayi hai. Mujhe bas uske us bure sapne ko use dur karna tha lekin main nahi janti thi ki sapna dur karne ki jagah main use aur pass le ja rahi hun ya fir main abhi tak uski baton ko samajh hi nahi payi hun. Vo raat abhi khatam nahi hui thi. Agle din college band tha hum hostel mein hi the aur mene kisi tarah freshers party ke liye aaurhi ko mana liya. Mujhe uska dar kam karna tha jisme pehli shuruwat yahi thi ki vo lavanya se darna band kare. Subh se sham ho gayi aur mess ki jung ladne ke baad hum dono bina jada baat kiye so gaye. Uske sone ke baad main bhi vishal se baat karte karte kab so gayi malum hi nahi chala. " shruti bolte hue ek pal ruki aur khidki par girti tez baarish ko dekhne lagi. " Garmiyun ka mausam tha, us raat behad garmi thi, hostel ka pankha chal to raha tha par hawa na ke barabar hi thi aur uska shor jisne meri kachi nind khol di "

Phone sine par rakha hua tha jo vishal se baat karne ke dauran mere sone ki wajah se gir gaya hoga. Mene phone uthaya aur time dekha takreeban 3 baj ke kuch minute the. Phone ki torch jala kar mene pankhe ki taraf phone ko uthaya rakha ye dekhne ke liye ki pankhe ko kya maut ayi hai. Roshni jaise hi pankhe par padi tab malum hua ki vo sach mein apni akhri sanson mein chal raha hai. Kai baar saamjh nahi ata paise diye hai ya liye hai. " inki maiyat mein bhi itni hi garmi hogi tab malum hoga in hostel walon ko.. " pankhe se roshni hatate hue socha aaruhi ko jaga lun vaise bhi ab nind khul gayi hai aur ab ane vali bhi nahi isliye use jaga kar thoda gapiyane ka ranga-rang karya-karam bana le. Sochte hue main apni jagah par baithne lagi aur phone ko aaruhi ki taraf ghuma diya taki roshni se uski nind tod du par jaise hi mene roshni us taraf ki mere hath se phone gir gaya aur jis position mein main us taraf ghumi thi usi tarah baithi reh gayi. Aaruhi bistar par baithi hui thi baal puri tarah se bikhar kar uske chehre ko dhak chuke the, ek pal laga samjhne mein ki vo kis aaur baithi hai. Mujhe pichli sham ke bathroom wala drishye yaad aa gaya aur yakinan ek ajeeb si bechaini man mein daud padi. Mera phone niche zameen par gira tha lekin uski roshni uppar ki taraf aa rahi thi isliye us madhyam roshni mein aaruhi jis tarah baithi thi use dekh kar mere dil mein ek ajeeb si halchal mehsus hone lagi. Kareeb kuch minute mene aise hi bita diye, aaj se pehle kabhi aisa dar mehsus nahi hua tha. Pasina mathe se fisalta hua mere sine ke andar jata hua mujhe saaf mehsus ho raha tha.

" aaruhi.. " himmat karke mene awaz lagai lekin tab samajh aya ki awaz honton se nikli hi nahi vo galle mein hi fans gayi thi. Main itna kyun dar rahi hun? mene apne man se sawal kiya aur is baar jab awaz lagai to awaz bhi hawa ke sath muh se nikal hi gayi. Awaz laga kar main use ek tuk dekhti rahi, dekhti rahi.. umeed lagaye ki ab uske sharir mein halchal hogi lekin uski sidhi pith kiye hue baithne mein ratti bhar ka farak nahi aya. " aaruhi.. " mene dusri awaz lagai aur awaz lagate hi aaruhi ne gardan modi aur jis tarah usne gardan modi meri fatt ke halat aisi ho gayi mano sara ras paan chut se nikal gaya ho meri. " aa..ruhi... " main fauran uth baithi.

" hmm.. " uski shakal nahi dikh rahi thi balon se dhake hone par aur uske bhetar se ati awaz ne mujhe aur dara diya.

" aaruhi.. kya kar rahi hai.. so jaa... " kuch pal pehle karyakaram karne ka man kar raha tha par ab main chahti thi ki vo so jaye. Ab jab usne koi reaction nahi diya to main apni jagah se khadi hui aur switch ki taraf daudi taki light khol sakun. " khul behenki lodi.. khul kyun nahi rahi.. " mene itni tezi se khatke khol band kiye ki shayad usme se kuch ne to dum hi tod diya. " main itni hadbada kyun rahi hun.. phone.. phone.. hai.. na... " jab kuch nahi hua to mene phone ki roshni se kaam chalana sahi samjha. Mene switch ko man hi man gali di par agla sawal tha phone ko aaruhi ke pas se lena, sawal aya to dar bhi lekin fir khayal aya ki main dar kyun rahi hun. Vo aaruhi hai... bas ek aaruhi.. Apne aap ko samjha kar main jaise hi ghumi meri cheekh nikal gayi. Pehli baar is kadar kisi ne daraya tha vo bhi is tarah.

Samne aaruhi khadi thi bahut jada najdeek, matlab mujhe nahi pata tha vo kab se khadi hai kyun ki pata nahi chala vo kab wahan se uth kar yahan ayi. Uske baal horror filmo ki tarah aage the lekin un movies mein chehra ka chota hissa dikhta tha lekin aaruhi ne apne aap ko baalon ke piche chupa liya tha aur uppar se itne lambe baal samajh nahi aa raha tha ki vo sidhi khadi hai ya ulti. " mumy kehti thi chudail/dayanon ke per ulte hote hai.. aaruhi ke per .. " mene nazar niche kari lekin andhere ke chalte dikhai nahi diye. Bechaini ke chalte socha shor macha du lekin usi duaran peron mein roshni padhi. Ek jadu sa hua, kaise hua nahi malum par us roshni se mujhe aaruhi ke per dikhe jo sidhe the yani aaruhi chudail nahi hai? Ya fir mummy galat thi? Ek minute ye roshni kahan se ayi? sabhi sawalon ko khandit karte hue mene jab ispar vichar kiya tab nazar uthai. Hath mein mobile liye aaurhi khadi thi. Ek pal vo bhi wese hi khadi rahi aur main bhi use khadi dekhti rahi fir vo zor-zor se hasne lagi. " chudail aaurhi.. chudail aaruhi... " mene use dhakka diya aur palang ki taraf daudi. Mujhe ghum kar room se bahar jana chahie tha lekin main room ke andar ghus gayi aur jab samne deewar ayi tab samajh aya ki mene galat decision liya hai.

" chudaill... mumy... chudail... chudail.. mene kuch nahi kiya .. main to abhi sukhi hun bilkul.. mujhe le jaa kar kya karogi.. tum to to pilayi hui ladkiyun ko le jati ho na " mene apna chehra chaddar se dhak liya tha taki us taraf na dekh sakun. Bachpan mein mumy kehti thi jab bhi kahin dekh kar dar lage to muh chupa lena chahie dar apne aap gayab ho jata hai " sorry .. pilai nahi.. shadi sudha wali.. main to abhi kachi kali hun.. nahi nahi fir galat word.. kachi kali nahi.. jawan ladki hun.. " meri awaz mein kap-kapi thi. Mere kehne ke baad kuch hua nahi aur chadar dalne ke baad kuch pata nahi chal raha tha ki bahar kya ho raha hai. " lagta hai mumy ka idea kaam aa gaya.. chadar hataun kya.. khayegi thodi mujhe.. chudailein to khusbhu se chunti hai.. aur mujh mein se to night fall ki badbu hogi... han.. dekh hi leti hun.. " mene apni chadar hatai aur samne dekha. " behenchod... na roshni na aaruhi... " dabi awaz mein jab mene nazar samne se hata kar aaruhi ke palang ki taraf dekha to paya vo aram se so rahi thi. Mene thoda uth kar karib se dekha to vo aram se so rahi thi aur uske chehre par koi baal bhi nahi the. Main confused, ye kaise ho sakta hai, kahin mere sath ye koi game to nahi khel rahi vaise bhi mene ise kal hi kaha tha ki main kisi se nahi darti kahin ye uska badla to nahi le rahi. Abhi pata chal jayega.. mera phone isne daba rakha hoga.. kahan hai.. kahan hai.. mene ache se uske aaju baju dekha aur fir uske top ke andar hath dalne lagi aur mera hath uski chatiyun tak pahunch gaya. " isne andar kuch nahi pehna kya.. nahi nahi pehna hai.. kaise so jati hai ye ladki bra mein.. mujhse to adjust hi nahi hoti, abe nahi hai yaar.. " mene jab uski chatiyun par hath mara to malum chala ki vo vahan nahi tha. " niche to nahi dala hoga.. " meri nazar uske mudi hui tangon ke bich mein gayi " nahi nahi.. itni jaldi wahan kaise daal legi.. fir kahan gaya.. kahan chupa diya isne.. " mene idhar udhar dekha " farsh par gira diya hoga isne, chudail jo thi us time iske andar.. use kya pata phone kitna important hai aaj ke time mein.. " phone khojne se pehle mene aaruhi ki taraf dekha. Mene uska pura tan chu dala par uski nind mein halki si shikan tak nahi ayi. " iski ko le jayega aur ye soti reh jayegi.... mera phone.. " main farsh par dekhna shuru kiya lekin vo kahin nahi dikha.. switch board to mene hi toda tha isliye wahan jana bekar tha.. " kahan gaya.. kahan fenk diya isne.. ye pakka mere se badla le rahi hai kal ki raat ka.. ek to men ise darpok kaha aur khud ko bahadur fir lavanya ke sath meet karne ko bhi kaha.. jisme isne na han kiya na hi na.. bas freshers party mein participate karne ko kaha.. behenchod.. mat kar.. par iska badla mujhse kyun? Main phone khoj rahi thi ki tabhi mujhe ek awaz ayi.. main jahan khadi thi wahin khadi rahi.. aur dhayan se sunte hue pata chala ki ye mere phone ki vibration hai jo 'jurr-jurr' kakre baja hai abhi aur baja bhi mere piche se hai. Main fauran mudi to paya ki uske 'jurr-jurr' bajne ki wajah se jo roshni chamki thi vo mere palang se aa rahi thi. Main turant kudi.. matlab palang par ayi.

" ye behenchod yahan kaise kab kisne dala.. ? " main aaruhi ko dekhti to kabhi phone ko.. " ye to sala rape ho gaya mere sath.. " mene phone unock kiya.. jiski wajah se 'jurr-jurr' ho raha tha vo wajah thi vishal ka message.

" already slept? " nahi nahi bhosdeke raat bhar jagungi.. na.. mujhe aisa lagta hai is mechinical walle ko chance dekar mene galti kar di hai. Ye salle calculation se uppar nahi nikal payenge.

" nahi, nahi abhi so kar kya karungi? raat ke 3 baje jaag kar kya karun? " mene reply bheja. Usne read kiya aur bechara fir type karke mitata aur type karta fir uska reply aya.

" 3? but abhi to 1 bajne mein panch minute hai? "

" fuck... " mene ye man mein kaha kyun ki vo sahi keh raha tha time sach mein wahi ho raha tha jo abhi vishal ne kaha tha. Par aisa kaise ho sakta hai.. abhi jab main uthi thi tab to 3 baj rahe the na? right? galat thodi keh rahi hun main... ? aisa kaise ho sakta hai.. Mene phone wahin rakha aur sochte hue aaruhi ki taraf dekhne lagi. Kuch sahi nahi hai.. na hi kuch sahi lag raha tha... bahut se sawal man mein ghum rahe the aur us sawalon ka jawab mene us raat khoj liya.. ab agar mujhe jawab milne wale the to mene jo socha tha vo karna jaruri tha.. lekin mujhe ye nahi malum tha ki apne aap ko sahi sabit karne ki wajah se main aaurhi ko uske andhere mein aur dakhel rahi hun.
 

Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,619
92,259
189
" hmm.. " uski shakal nahi dikh rahi thi balon se dhake hone par aur uske bhetar se ati awaz ne mujhe aur dara diya.
:wtfrol: uske bhitar se hi aati aawaz...... lol.... :laughing:
ye epic tha yaar :roflol: :lol:
aise situation pe itni heavy comedy lol × 100 :roflol:
 
Top