• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy " Girls Hostel "

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,642
8,370
219

~~INDEX~~

Chapter 1 ~~ " Supriya "
Chapter ~~ 2 " The Illusion "
Chapter ~~ 3 " Catatonic Schizophrenia "
Chapter ~~ 4 " A True Face "
Chapter ~~ 5 " The Antiquarian "
Chapter ~~ 6 " The Amazon "
Finale
Chapter 7 : " Book Of Hoax "

Some Comments for this story :love: (Late Add-on :sigh:)

सच में , यह पुरी स्टोरी दिमाग के परखच्चे उड़ाए जा रही है । कभी लगता है कहानी में सस्पेंस है तो कभी लगता है भ्रम जाल का ताना-बाना बुना हुआ है तो कभी लगता है जैसे कोई रूहानी ताकतें हैं तो कभी लगता है यह सिंपल स्टोरी है जिसमें आरूहि एक गम्भीर बिमारी से पीड़ित है ।

मुझे लगता है इससे बेहतरीन कहानी फिलहाल तो इस फोरम पर नहीं है । और सबसे बड़ी खासियत है आपके लिखने का स्टाइल और अंदाज । आउटस्टैंडिंग हर्षित भाई ।
thoos thoos ke khana khaya aaruhi ne jo ekdam majedar horror type scene tha ..
सही में , हर्षित भाई ! मुझे बहुत ही दया आने लगा है आरूहि पर । अगर किसी हरामखोर की वजह से उसकी हालत ऐसी हुई है तो उसे जहन्नुम का रास्ता जरूर दिखला दिजियेगा ।
WTF!!! Yahi pehla reaction nikalta hai is kahani ko poora padhne ke baad... Halanki pehle bhi maine is kahani ke kuchh 7-8 updates padhe huye the par jab is baar padhna shuru kiya to ek naya sa romanch har beet te update ke saath banta gaya... Bohot hi zyada behatreen tareeke se likhi gayi kahani hai ye, ab jis prakaar ka plot imagine kiya hai lekhak saahab ne uske baad ek nausikhiya bhi likhe to bhi kahani halki nahi ho sakti, aur yahaan jis level ka narration, aur scene specialization hame padhne ko mila hai, wo kaafi hai dikhane ke liye that this is, without a doubt,one of the finest stories available on XF... Chahe wo running stories hon ya fir completed, aur chahe future mein likhi jaane waali kahaniyan, is story ka ek alag hi sthaan bana rehne waala hai forum par... Aur iske liye writer saahab ki jitni bhi tareef ki jaaye wo kam hi hogi...

Fantasy genre ke saath shuru huyi ye kahani, kab alag - alag genres ke darshan karane lagi padhte waqt katayi pata nahi chala... Horror, Suspense, Thriller, Adventure, Romance and of course Fantasy, aur saath hi mein Erotica ke ansh bhi... Ek story mein is se zyada kis cheez ki apeksha kar sakta hai reader!? Again, one of the best stories I've ever read... Outstanding Stuff harshit1890 bhai... :bow: :bow: :bow:
Kya hi khubsurat kahani likhi hai aapne bhai... I'm just speechless, jitni bhi tareef karunga kam hi hogi... Erotica ka bhi bilkul sahi situation mein use Kiya gaya hai aur sabse important har kirdaar par lekhak ki shaandar pakad bani rahi hai... Har character ka kahani mein hona justify kiya gaya hai, kahin bhi koyi bhi character bina matlab nahi ghus aaya...

Ab dekhna ye hai ke Mehta waali meeting mein kaun kaun shaamil tha aur unka maksad kya tha? Aur Shruti is sab ki sachayi jaan bhi paayegi ya nahi? Aruhi sach mein kisi beemari ka shikaar hai ya kewal naatak kar rahi hai? At last, Ek baar ko apun ko ye bhi laga ke asal mein ye sab jo ho raha hai wo kewal Shruti ki kalpana hai... :dazed:

Outstanding Story & Updates Bhai & Waiting For Next...
Harshit bhai... Kayi horror stories padhi hain maine, joki poori tarah se horror genre par based hain but jis tarah ka scene aap create karte ho, taking into note ye story horror genre par based hai bhi nahi, that's phenomenal...
meghnath naam rakhne ke pichhe ki kahani bhi majedar hai 😍😍😍..
jab me TV nahi dekhta( waise tha nahi nahi ghar par ) tha bachpan me aur bas naam suna karta tha to khudko SHAKTI KAPOOR. kehta tha dosto ke bich 🤣🤣🤣..ye kissa padhke bachpan ki yaade taaza ho gayi 😍😍😍..
Slowly my interest is increasing towards the story full of adventure, fun to read, no doubt you are a great writer, thank you for writing such a beautiful story.
Have to admit, your story completely twists the thinking, sometimes it seems in the mind that it is just a disease and sometimes it seems like something supernatural. Your writing is commendable, even after writing this much there are many questions and there will be many such points which I have missed. In some scenes there was a combination of intensity as well as erotic scenes, which you have shown very well, what should I say now, now the words of praise are over understand my feelings.
harshit1890 Hats Off... enjoyed it. :applause:
but why were you making her nude everytime in front of everyone. :angry:
मुझे नहीं लगता दुनिया में कोई भी ऐसा माई का माल होगा जिसे इस कहानी की पहेली समझ में आ रही हो। गजब का दिमाग हिला रखा है आपने हर्षित भाई।
The whole incident, that Mansion one was written so beautifully that no words are sufficient to describe it! Ismein koyi doraye nahin ki maine aaj tak kisi ko bhi is tarah ka horror likhte nahi dekha hai... Haunted ko read kiya tha maine, kaafi pehle, aur main bilkul daave se keh sakta hoon, that you're the best,when it comes to generating real fear in readers, while they read the story..
Bhatt the phakk is this estory?:redface:
 
Last edited:

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,642
8,370
219
romanchak update ..aaruhi nahane ke saath saath jism ki garmi bhi nikal rahi thi jisme usko bahut aanand aa raha tha ,
bahut behatareen tarike se us mahual ko dikhaya gaya hai .
par ye pani ka achanak band hona aur uske baad aaruhi ka shower ko maarna kuch ajeeb hi tha ,aisa behave karne ke pichhe koi reason to hoga hi .
aur ye shruti bhi vishal ka photo dekhke chut sehlane jaa rahi thi .
aur shayad vishal ke lund ki tasveer usne rachna ko bheji hogi .
par ye iyne derr chatting karti rahi ki samay ka pata bhi nahi chala aur ab usko yaad aaya ki 10 baj gaye hai aur aaruhi abtak nahake nahi aayi hai .
kya wo sirf aaruhi ka imagination tha jo usne suna hoga .

Thanks bhai :hug: Ab bhai yahi to kahani ka theme hai ki akhir sab ke sab kisi na kisi jhol mein atke hue hai... keep reading...

romanchak update ..aaruhi kahi nahi mili shruti ko par uske kapde jo pehne the aur pehannewale mil gaye ,
shruti ko halat kharab ho gayi thi bathroom me aur usko kalpana ke bhut ki bhi yaad aa rahi thi 🤣..

kya aaruhi 4 manjil se niche utarkar gayi thi ,aur ab to uske paas kapde bhi nahi hai ,to nangi hi ghum rahi hai kahi par ,
mahesh ne kahi aaruhi ko to bhut nahi samajh liya .
mahaul aisa bana hua hai ki dil ki dhadkane fast ho jayegi 🤩.. shruti ka kapdo ke sahare niche utarna majedar thrilling tha ..
Han.. Actually shruti ka chracter justify karne har jagah jaruri hai.. Varna uska maza kharab...
Han nangi aaruhi... :D Thanks bhai :hug: keep reading :hug:
thrilling update ..shruti partywale jagah gayi jaha vishal tha ,waha par rachna bhi thi jo saath aa gayi aaruhi ko dhundne .
vishal soch me pad gaya aaruhi ke jism ko nanga dekhne ke😁..
aakhir sab usi purane hostel me gaye jaha aaruhi mil sakti thi ,shruti ne dimaag lagake khoj hi liya usko .
nangi chhat par khadi hai aaruhi .
shayad usko aaruhi na bulakar supriya naam se bulana chahiye tha 🤔 kyunki lagta hai abhi wo usi character me hai .. aur ye kya aaruhi bhi kudnewali hai ,shayad koi herogiri karke bacha le usko girne se ..

suraj bhai to bahut datingbaaj nikla 🤣. saamuhik mutaas karne ki khurafat sujhi .
manpreet bhi video recording ka maja le rahi thi sabke lund ko dekhke 😁..
par ye maja jyada derr nahi chala ,suraj bhai josh me the aur udne ki soch rahe the aur udkar aa bhi gaya niche 🤣🤣..
suraj ka girna aur us ladke ki peshab nikalnewala scene padhkar bahut hansi aayi 🤣🤣.. jabki waha sad hona chahiye .
thrill ke saath saath comedy ka tadka jaisa laga us scene me .

jyada peene ke baad herogiri karne natija suraj ko bhugatna pad gaya 😔..
par ab is maamle me kaun fasega ya nahi aur sabka reaction kya hoga dekhte hai .
Han bhai bachana to padega hi par fir bhi doubt mein rakho... Kya pata maar de :D
The best part.... was that.. i guess that was i wanted to show.. sad and comedy, depend reader use kaise relate karta hai.. thts for audience, I am happy u liked reading it bhai :hug: Keep reading..
 
9,451
39,738
218
आरूहि जख्मी हालत में , नंग धडंग अवस्था में , फोर्थ फ्लोर पर से बाल्कनी से कपड़ों के द्वारा नीचे उतर कर भुतिया हास्टल पहुंच गई ।
लेकिन वो श्रुति के नजरों से दूर कैसे रही ?
शायद श्रुति जब हास्टल में हर जगहों पर उसे तलाश कर रही थी उसी दौरान उसकी नजरों में आए बिना वो अपने रूम में प्रवेश की होगी और फिर वहां से बाल्कनी के रास्ते बाहर निकल गई ।

उसकी यह एक्टिविटी क्या साबित करती है ?
वो जानबूझकर कर रही है या
वो मानसिक रूप से बीमार है ?

श्रुति उसे ढूंढने के लिए काफी कोशिश की । विशाल और रचना के साथ उस मिस्ट्रीयस हास्टल में पहुंची और आखिरकार उसे तलाश कर ली । लेकिन जब तक वो लोग उसके नजदीक पहुंचते , वो थर्ड फ्लोर से भी छलांग लगा दी ।

इसका मतलब आरूहि ने इन लोगों की आवाज जरूर सुनी होगी । मतलब कुछ कुछ सेंस तो है उसे । पता नहीं किस हालत में है वो अभी !

उसी रात कुछ लड़के एवं लड़कियां एक ड्रग्स पार्टी में शामिल थे। मुझे लगता है विशाल और रचना भी इसी पार्टी में मौजूद थे जहां से श्रुति ने इन्हें पिक अप किया था । यहां के कुछ लड़कों ने नशे की हालत में कुछ ऐसी हरकतें की जिसके चलते सुरज नाम का लड़का भगवान को प्यारा हो गया ।
लेकिन यह समझ में नहीं आया कि क्या इस घटनाक्रम से आरूहि के साथ कोई कनेक्शन है या नहीं !

बहुत ही बेहतरीन अपडेट हर्षित भाई । गजब का थ्रील क्रिएट किया इन दोनों अपडेट्स में ।
श्रुति का भी फोर्थ फ्लोर से कपड़ों के द्वारा नीचे उतरना और उसकी मनोदशा का सटीक वर्णन करना.... आउटस्टैंडिंग था ।
वैसे तो सभी सीन ही लाजवाब थे । लड़कों का गर्ल्स हॉस्टल के कैम्पस में पेशाब करना मुझे बिल्कुल नेचुरल लगा । नशे में लोग अक्सर ऐसा करते हैं ।

पंजाबी लड़की मनप्रीत और रचना का पार्टी में शामिल होना चौंकाने वाला था ।

आउटस्टैंडिंग एंड अमेजिंग अपडेट हर्षित भाई ।
जगमग जगमग अपडेट ।
 

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,642
8,370
219
आरूहि जख्मी हालत में , नंग धडंग अवस्था में , फोर्थ फ्लोर पर से बाल्कनी से कपड़ों के द्वारा नीचे उतर कर भुतिया हास्टल पहुंच गई ।
लेकिन वो श्रुति के नजरों से दूर कैसे रही ?
शायद श्रुति जब हास्टल में हर जगहों पर उसे तलाश कर रही थी उसी दौरान उसकी नजरों में आए बिना वो अपने रूम में प्रवेश की होगी और फिर वहां से बाल्कनी के रास्ते बाहर निकल गई ।

उसकी यह एक्टिविटी क्या साबित करती है ?
वो जानबूझकर कर रही है या
वो मानसिक रूप से बीमार है ?

श्रुति उसे ढूंढने के लिए काफी कोशिश की । विशाल और रचना के साथ उस मिस्ट्रीयस हास्टल में पहुंची और आखिरकार उसे तलाश कर ली । लेकिन जब तक वो लोग उसके नजदीक पहुंचते , वो थर्ड फ्लोर से भी छलांग लगा दी ।

इसका मतलब आरूहि ने इन लोगों की आवाज जरूर सुनी होगी । मतलब कुछ कुछ सेंस तो है उसे । पता नहीं किस हालत में है वो अभी !

उसी रात कुछ लड़के एवं लड़कियां एक ड्रग्स पार्टी में शामिल थे। मुझे लगता है विशाल और रचना भी इसी पार्टी में मौजूद थे जहां से श्रुति ने इन्हें पिक अप किया था । यहां के कुछ लड़कों ने नशे की हालत में कुछ ऐसी हरकतें की जिसके चलते सुरज नाम का लड़का भगवान को प्यारा हो गया ।
लेकिन यह समझ में नहीं आया कि क्या इस घटनाक्रम से आरूहि के साथ कोई कनेक्शन है या नहीं !

बहुत ही बेहतरीन अपडेट हर्षित भाई । गजब का थ्रील क्रिएट किया इन दोनों अपडेट्स में ।
श्रुति का भी फोर्थ फ्लोर से कपड़ों के द्वारा नीचे उतरना और उसकी मनोदशा का सटीक वर्णन करना.... आउटस्टैंडिंग था ।
वैसे तो सभी सीन ही लाजवाब थे । लड़कों का गर्ल्स हॉस्टल के कैम्पस में पेशाब करना मुझे बिल्कुल नेचुरल लगा । नशे में लोग अक्सर ऐसा करते हैं ।

पंजाबी लड़की मनप्रीत और रचना का पार्टी में शामिल होना चौंकाने वाला था ।

आउटस्टैंडिंग एंड अमेजिंग अपडेट हर्षित भाई ।
जगमग जगमग अपडेट ।
Ye to abhi aage kahani hi batayegi ki aaruhi utri kaise vo bhi nangu :drool:
Ab usne awaz lagai hai ya fir kudi hai ya kya hua agle update mein clear hoga...
Hn bhai wahi party thi.. Use pehle update mein tha najab gaggan ne phone karke vishal ko batay thaki vo surajke sath party karne jaa rhe hai. To ye wahi party chal rhi thi.
Ab Yahi to sochna hai na bhai.. Dono chatt par... :D
Baht dhanywad bhai.. Kosish kari thi ki likhu to aisa taki padne walo ko ache se samjh aur visualize ho sake.. HA susu karna.. ab karwaya gaya ya maut ani thi isliye kia vo aage hi pata chalega :D

Mapreet to ani hi thi Gaggan ne kaha tha ki manpreet ayegi :D Thanks bhai keep reading... :hug:

Sardi ki wajah se likh pana thda kathin ho raha hai par jaldi lautunga.... :cold:
 
  • Love
Reactions: SANJU ( V. R. )

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,642
8,370
219
Update ~~ 60


Rachna dari kanpi si piche khadi vishal aur shruti ke sath zameen par aaruhi ko dekh zor-zor se sans le rahi thi. Ek pal ke liye wo dono aaruhi se kya bol rahe hain use kuch samajh nahi aa raha tha par jab shruti ne use ek se jada baar awaz lagai to vo hosh mein ayi. " rachna aaruhi ke kapde... vo niche us kamre mein pade hai.. lekar aa jaldi.. " itna keh kar shruti vishal se baat karne lagi par rachna ke liye us waqt na to mana kiya gaya aur na hi uske per niche ki taraf jane ko tayar the.

" vishal.. ye kuch bol kyun nahi rahi... ankhein to khuli hai iski... sansein chal rahi hai lekin aisa lag raha hai mano "

" koi zinda laash.. " vishal ne shruti ki baat ko pura kiya. Aaruhi ki ankhein puri tarah khuli hui thi aur uske sanson ke alawa sharir mein koi response nahi tha. Na to uski palke jhapak rahi thi na hi vo kuch bol rahi thi. Aisa lag raha tha mano ek zinda laash.

" kya dekh rahi ho? " shruti aaruhi ke sar par se balon ko hatte hue aur hathon ke sath sharir ke alag-alag hisse ko dhayan se dekhne lagi jise dekh vishal ne pucha.

" bas ki kahin chhot to nahi lagi, tassali ke liye, rachna.. tune suna nahi.. jaldi jaa.. " shruti ne rachna ko wahan khada dekh fir kaha aur aaruhi ke gal thap-thapate hue use uthane ki kosish karne lagi. Is baar rachna ko niche jana hi tha, vo mudi aur jab tak wahan se jati tab tak usne wahan ho rahi baton ko ache se suna.

" iska sharir ka rang.. itna safed kaise ho raha hai " Shruti ne vishal se pucha. Vishal kya batata use khud nahi samajh aa raha tha, aaruhi wakai bilkul nangi thi aur uska sharir barf jaisa safed ho raha tha.

" shayad thand ki wajah, sharir bhi kitna thanda ho raha hai "

" par is mausam mein thanda? " shruti ka sawal sahi thi. Par iske baad dono ke bich kya baat cheet hui rachna ko nahi malum, vo andhere mein sidiyan utarne lagi thi. Pichle kuch der pehle uske pas roshni thi lekin vo bhi nahi thi uske pas. Ankhon ki shamta se andaza lekar vo dhire-dhire sidiyan utarne lagi. Har pal use dar lag raha tha aur har pal vo us andhere mein se kisi ke hone ka ehsas kar rahi thi. Jaise ek se jada ankhein use hi dekh rahi ho, mauke ki talash mein ho. Rachna kisi tarah kanpte hue sidiyan utarte hue bilkul deewar se satte hue corridor mein chalte hue kamre ki taraf badh rahi thi. Khud ke peron ki awaz ke alawa koi awaz wahan maujud nahi thi. Vo aage dekhte hue jab-jab piche dekhti to use lagta ki aage se koi use pakad lega aur jab vo aage dekh kar chalti to aisa lagta koi uska kandha piche se pakad lega. Bar-bar dimag mein horror movies wale scene yaad karte hue uski halat double kharab ho rahi thi. Vo kisi tarah us kamre tak pahunchi, kuch pal pehle hi us kamre ka piche wala darwaja khola gaya tha lekin abhi wahan kisi darwaje ke khule hone ka abhas nahi ho raha tha kyun ki kamre mein ghup andhera chaya hua tha. Usne apne vicharon ko hataya kyun ki vo janti thi ki use sirf vo kapde uthane the aur yahan se jitni jaldi ho sake chale jana tha. Vo kamre mein ghusi aur andazan hi hath se tatolne ki kosish karne lagi. Uski sansein tez chal rahi thi aur vo kamre ke bheetar ghusti jaa rahi thi. " Kahan hai kapde.. kahan hai kapde.... " vo jaise jaise bheetar ghus rahi thi waise waise uska dar badhta jaa raha tha. Vo janti thi ki kamra bada nahi hai par fir bhi vo andar jaa rahi thi aur tabhi use ek awaz sunai di jaise kisi chiz ko band kiya gaya ho " aahhh " vo chillate hue mudi aur shayad vo isi dar ke trigger ka intezar kar rahi thi jo us choti si awaz ne de diya tha. Bhad mein gaye kapde.. usne man hi man decide kiya aur vo wapis bahar ki taraf nikalne ke liye badhi par thodi dur jate hi vo deewar se takra gayi. " deewar.. deewar... " usne hath se deewar par thap-thapana shuru kiya aur kabhi dayein aur thap-thapati to kabhi bayein aur " yahan bhi deewar.. yahan bhi.. darwaja kahan gaya.. oo shit... ooo behenchod... main gayi... main gayi ab... " rachna ne fut-fut kar rona shuru kar diya. " darwaja kahan gaya... " vo pagalon jaise idhar udhar deewar par hath marne lagi par vo darwaja na khoj saki. " koi hai... help.... bachaoo.... shruti... vishal.. help... " vo jitni unchi awaz mein cheekh sakti thi utni unchi awaz mein cheekhi.. aur apne ankh se aye ansu ko hatheli se saaf karne lagi. " help pleaseee.. " uski awaz dhimi aur uske rone ki awaz jada tez thi. Is baat ka khayal kare bina ki vo kosish kar sakti hai vo maan chuki thi ki uski maut is band kamre mein tay hai. Vo apne dar mein itna kho gayi ki jaise hi uske kandhe ko pakda gaya vo zoron se cheekh padi " aarghhh.. arghhhhhhh.. " aur deewar ki taraf tezi se badhi aur agar shruti uska hath na pakdti to ek inch dur aur aage badne par deewar se nikli keel uski ankhon ke andar ghus jati.

" kyun chilla rahi hai.. kya hua hai... " shruti ne jab use shant kiya to rachna ne apni halat ko dekha. Samne shruti khadi thi aur darwaje par vishal aaruhi ko kandhe par sahara dekar khada tha. " rachna kya hua hai? bolegi kuch? "

" vo..vo.. darwaja gayab ho gaya tha.. yahan sirf deewar bachi thi... " rachna subakte hue boli.

" hum bhi usi darwaje se ayi hai.. tu shayad andhere mein galat jagah darwaja khoj rahi hogi.. aur tu ye bata yahan kya kar rahi hai? " shruti kuch kehti use pehle rachna ne uski baat bich mein hi kaat di.

" tune hi to kaha tha aaruhi ke kapde lane ko.. wahi le rahi thi.. " rachna ne kaha to shruti use ghurne lagi.

" tu theek hai? " shruti ne asmanjas bhare lehaze mein pucha, rachna kuch samajh pati use pehle shruti uske aage se hati jiske baad uski nazar samne vishal aur aaruhi par padi. " kapde to hum aaruhi ko pehna chuke hai.. " shruti bol rahi thi to rachna aaruhi ko dekh bhi rahi thi. Aur abhi aaruhi nangi nahi balki kapdon mein thi.

" ye kaise... main to... "

" tu to.. ye bata kamre ki jagah mess mein kya kar rahi thi? " shruti ne jab kaha to rachna ko ek jhatka laga.

" mess? " rachna ek pal chup hui " par main mess kaise? "

" wahi to main puch rahi hun.. jab mene tujhe kamre se kapde lene ke liye kaha tha to tu mess mein kya kar rahi hai? "

" par ... aise kaise ho sakta hai.. main to kamre mein hi ayi thi.. " rachna abhi bhi confuse thi, use jitna yaad tha us hissab se vo kamre mein hi ayi thi.

" acha? tu kamre mein ayi thi to fir main jab yahan ayi to tu kyun nahi mili? Mene kapde uthaye hain idhar akar aur aaruhi ko pehna rahe the tab teri cheekh suni aur dhundhte hue hum yahan pahunche is mess mein.. " shruti ne vistar mein apni baat rakhi to rachna ko samajh hi nahi aya ki kya kahe. Vo abhi tak confuse thi, use yaad nahi aa raha tha ki vo mess mein kab ayi.

" tum dono baad mein sawal jawab kar lena.. filal aaruhi ko yahan se le chale.. " dono ki baat cheet aage badti use pehle vishal ne apni baat rakhi jise sun shruti ko yaad aya.

" han chalo... " shruti, rachna aur vishal aaruhi ke sath hostel se bahar nikle aur wapis apne hostel ki taraf chal diye ki tabhi kuch kadam chalne ke baad vishal ruk gaya. " kya hua? " shruti ne pucha.

" vo hamare phone... to gire the.. " vishal ke yaad dilate hi shruti ne apna sar pakda.

" han.. is rachna ki bachi ne gira diye the.. use bhi to dhundna hai.. "

" jaldi karo... time kam hai hamare pas waise bhi.. kisi ne dekh liya to panga ho jayega.. " vishal ne kaha to shruti ne uski baat ka bina koi jawab diye hi wahan ki jhadiyun mein khojne lagi.

" andazan kahan se gira hoga.. " shruti ne kuch der khojne ke baad piche mud kar pucha.

" jahan khoj rahi ho.. wahin hona chahie.. " vishal ne andaze se kaha jabki use koi idea nahi tha. Raat ke waqt kali padh chuki deeware ek jaisi hi dikh rahi thi. " rachna yahan to madad kar de.. " shruti chillai jise sun rachna ko yaad aya ki use madad karni hai. Vo fauran shruti ke sath madad mein lag gayi aur agle kuch minute mein rachna ki nazar phone par padh gayi jo thodi-thodi duri par ek dusre se gire pade the.

" mil gaye... par shayad kharab ho gaye hai.. " rachna ne utha kar unhe bahar se dekhte hue kaha.

" itni uppar se fenka hai.. tutenge nahi to kya yahan so rahe honge.. " shruti ne apna phone uske hath se chinna aur use unlock karne ki kosish karne lagi. Uski screen tut chuki thi.. par vo chahti thi ki phone chal jaye..

" mene jaan kar nahi giraye... " rachna ne apni safai mein kaha aur vishal ko jakar uska phone de diya Vishal ne turant use apne pocket mein rakh liya. Vo janta tha abhi samay barbad karna bekar hai. Shruti abhi bhi kosish kar rahi thi aur akhir vo kamyab hui. Phone ki screen to on hui lekin phone shayad hang ho gaya tha aur kuch chal nahi raha tha.

" time kya hua hai ? hume jada der aur nahi rukna chahie idhar... " vishal ne apni der wali baat fir daurahi.

" han malum hai.. lekin mera phone ek hi jagah par atka hua hai... kuch ho nahi raha.. "

" baad mein dekhnge abhi chalo... jada der aaruhi ko kandhe ka sahara nahi de paunga.. " vishal ki baat shruti ko ek dum sahi lagi. Usne ek baar mobile ka samay dekha jab vo shayad gir gar atak kar ruk gaya hoga, 12 bajne mein panch minute the... Yani abhi 12:30 ke aas pass hua hoga, usne andazan hi samay ka anuman lagaya aur teeno wahan se aaruhi ko lekar chal diye.

Aaruhi mil gayi thi lekin jo ghatit hua uski stithti sahi nahi thi. Aaruhi ki halat abhi bhi waisi hi thi jise aaj se pehle shruti ne kabhi nahi dekha tha. Ankhein abhi bhi usi tarah khuli thi aur ek aam insan uski aisi halat dekh dar ke sivai kuch aur nahi kar sakta tha.

" kahan jana hai kuch socha hai? " raste mein vishal ne pucha to shruti apne khayalon se bahar nikli.

" matlab? " use vishal ki baat samajh hi nahi ayi.

" girls hostel ke bahar to vo dono guards honge.. wahan se tum jaa nahi sakti.. aur na hi kapde ki rassi se... to fir aaj raat kahan rukogi? " vishal ka sawal ek dum sahi thi aur ye baat shruti janti thi ki vo niche utar to jayegi par wapis ane ka koi rasta nahi tha.

" malum hai.. isliye hum girls hostel nahi jaa rahe.. "

" to fir? "

" suno.. boys hostel mein suraj ke kamre mein party chal rahi hai.. hum sab wahi jayenge.. wahan se hum subah 6 baje niklenge.. aur theek 7 baje hostel ka gate khul jayega.. hostel ke gate khulte hi dono chawkidar 1 ghante ke liye wahan se chale jate hai. Bas usi bich hum aaruhi ko uske room mein le jayenge.. "

" hmm... lekin agar agar subah hostel mein kisi ne dekh liya to? vo bhi mujhe? " vishal ne turant kaha.

" tum bas gate tak chhod dena.. baki main use uppar tak le jaungi.. aur agar subah aaruhi ko hosh aa gaya to koi dikat hi nahi hogi.. "

" aur agar aaruhi ko hosh nahi aya aur kisi ne dekh liya to? "

" keh dungi.. ki hum walk par gaye the aaruhi ko zara sa chakkar aa gaya hai.. " shruti ne vishal ko ghurte hue jawab diya. Use is waqt jada sawalon ke jawab dene ka man nahi tha. Vo vishal se aage chal rahi thi jaise rasta dikha rahi ho taki koi agar aage se aye to vo bata sake aur vishal aaruhi ko lekar chup sake. Boys hostel ka rasta girls hostel ke opposite jagah par tha aur isi wajah se jada dur nahi jana tha. Rachna ka apartment bhi wahi se katta tha isliye jaise hi rachna us gali tak ayi vo turant bol padi.

" mera ghar aa gaya.. main jaa rahi hun.. mera matlab hai main jaun? " rachna jo abhi tak sirf kamre aur mess ki baton mein khoyi hui thi usne pure raste pehli baar kuch kaha.

" han theek hai... jitne kam jane honge utna acha.. tu jaa.. " shruti ne use jane ke liye kaha to rachna ne bina pal gawaye us taraf apne paun modh diye bina kuch kahe lekin vo do kadam hi aage gayi thi ki uske per ruk gaye. Shruti aur vishal wahan se chalne ko hi the ki shruti ne use ruka dekh fusfusate hue pucha.

" kya hua "

" koi .. koi.. aa raha hai samne se... " rachna ne jab kaha to shruti ko laga ki fir uska veham hoga.

" nahi.. koi aa raha hai.. " rachna saaf dekh paa rahi thi ek saya bahut tezi se uski taraf badh raha hai isliye vo do kadam piche ho gayi aur wapis vishal ke sath aa khadi hui. Ye sab itni jaldi hua ki kisi ke pas samay nahi tha ki wahan se bach kar kahin aur jaa sake. " koi hai.. bhagoo... " rachna ne kaha par wahi der ho chuki thi vo saya unke samne aa khada hua tha.

" Gaggan.. tu yahan.. " vishal ne use dekhte hi kaha lekin jab vo un teeno ke aur kareeb aya to un teeno ki ankhei badhi ho gayi use dekh kar. Uske chehre par khoon ke chitte the aur sath hi kapdon par bhi lage hue the.

" ye khoon.. " shruti bas itna hi bol payi.

" suraj chatt se gir gaya... hamare samne.. uski laash.. corridor mein.... " gaggan ne fulti sanson ke sath kaha aur ek pal ke liye khamoshi cha gayi.

" kya bak raha hai " vishal ne us khamoshi ko todte hue kaha.

" bak nahi raha hun.. sach bol raha hun.. uska sharir mere samne aakar gira hai.. " gaggan ke chehre ki hawaiyan udi hui thi. Vo na chahte hue apne dar aur khauf ko chupa nahi paa raha tha.

" hume.. hostel chal kar dekhna chahie.. " vishal ke kehte hi gaggan bhaukla gaya.

" tu pagal ho raha hai.. hum .. hum nahi jaa sakte.. hostel mein baval mach gaya hai.. wahan nahi jaa sakte hum... sabko pata chal jayega ki hum bhi wahan the.. suraj gira hai ya giraya kisi ko kya malum, sab to yahi sochenge hum mein se kisi ne dhakka diya hai.. hum sab marenge.. " gaggan bhauklate hue bola.

" tu pagal ho gaya hai... tujhe lagta hai yahan reh kar bach jayenge... jab pata chalega pura hostel wahan hai aur hum nahi.. to na ho raha shaq bhi hum dono par jayega... " vishal ne use samjhane ki kosish ki.

" nahi nahi.. nahi.. main wahan nahi jaunga.. behenchodd... vo meri ankhon ke samne gira hai.. uska sar khul kar alag ho gaya use.e.. " gaggan ki awaz abhi bhi tut rahi thi. Shruti jo ek pal ke liye sann thi vo hosh mein ayi.. Ek bawal se to vo khud juj rahi thi ab ye dusra bawal. Agar kisi ko ye pata chal gaya ki vishal hostel mein nahi tha to ye baat samne ayegi hi ki vo kahan tha.. vo kahan tha? Mere sath.. Han.. aur main kaise hostel se bahar nikli? Vo kapde ki rassi se.. Aur aaruhi.. use kya hua? kya kiya hum dono ne mil kar uske sath? Shit... shit... Nahi.. ye nahi ho sakta... Ise sahi karna padega... ise sahi karna padega... Shruti soch mein dubi thi, vishal gaggan ko manane ki kosish kar raha tha, pancho bich sadak par khade the. Koi agar unse thodi dur par bhi hota to use pata chal jata ki yahan par kuch log maujud hai.

" ek minute.. tum dono chup... " shruti ne bola aur dono chup ho gaye. " vishal theek keh raha hai, tum dono ko wahin hona chahie.. agar tum dono wahan nahi hue to sabse pehle sawal tumse hi puche jayenge aur usme fasne ke chance tumhare sath hamare bhi hai... isliye vishal ki mano aur jao yahan se... "

" shruti sahi keh rahi hai.. jab hum ek sath honge nahi to pakde jane ka dar bhi nahi hoga " rachna fauran boli.

" theek hai.. lekin .. shruti fir tum aur aaruhi? kahan jaoge... ? " vishal ne fauran pucha.

" main kuch soch lungi.. filal tum dono jao aur us bheed mein mil jao kisi ko pata nahi chalega ki tum gayab the.. jao abhi.. " shruti ne kaha par vishal ko samajh nahi aa raha tha ki shruti aaruhi ke sath kya karegi.

" nahi.. tum dono kahan jaoge... " vishal ne itna hi kaha aur rachne ne aage keh dia.

" mere sath.. mere apartment mein.. "

" par teri didi? " shruti boli.

" use pata nahi chalega.. main ayi bhi to thi hi.. subah 6 baje nikal jaio.. vo 8 baje se pehle nahi uthti.. "

" theek hai.. to tum dono jao.. " shruti ne vishal se kaha.

" ok.. rachna ke apartment tak main chhod deta hun.. fir chale jayenge " vishal ki baat par sabhi ne hami bhari par gaggan jane ko tayar nahi tha lekin teeno ne kaha to use chalna pada. Gaggan itna dara hua tha ki rachna ne uska hath pakad liya use himmat dene ke liye. Uski nazar aaruhi par padi hi nahi thi aur na hi usne abhi dhayan diya tha. Kuch hi minute mein vishal rachna ke apartment ke niche kahda tha. Sabhi ek kone mein khade the taki koi apartment ke bahar nikal kar unhe dekh na le.

" ab yahan se hum chale jayenge.. tum jao.. " vishal se aaruhi ko apni taraf lete hue shruti boli. Ek taraf se shruti ne use sahara diya hua tha aur dusri taraf se rachna ne.

" theek hai... dhayan rakhna.. kal subah baat karenge.. sidha ab.. " vishal ne itna kaha aur vo gaggan ke sath aage bada par tabhi use roka aur piche aya. " ye t shirt utar... " vishal gaggan ko sirf ghurta raha to vishal ne khud uski t shirt utari aur uske chehre par lage khoon ko usi kapde se saaf kar diya. " ye kapda.. " vishal us kapde ko lekar sochne laga ki kahan rakhe.

" rachna.. " dono apartment ke andar ghuse hi the ki vishal ne awaz laga di aur dono ruk gaye. Vishal unke pas aya " ye rakh lo " khoon se sani t shirt aage badate hue vo bola.

" nahi baba.. tu pagal hai.. khoon se sani tshirt de raha hai.. kisi ko malum chala to main gayi " rachna fauran boli.

" kuch nahi hoga.. mamla halka hoga to main le jaunga, yahan wahan fenk diya to gadbad ho jayegi.. shruti tum to samjh rahi ho na " vishal ne danv shruti ki taraf dala.

" hmm.. rachna ek raat ki baat hai kahin bhi rakh dio chupa kar.." shruti ne sochte hue kaha.

" tum log mujhe marwaoge.. didi ne dekh liya to pakka gayi.. " rachna ne han bhi nahi kiya aur na mana kiya. Vishal ne kapda rachna ke kandhe par daala aur wahan se gaggan ko lekar nikal gaya. Rachna aur shruti aaruhi ko lekar uppar chade aur jaise rachna apne apartment se nikli thi usi taraf vo wahan andar pahunch gaye. Rachna unhe apne kamre mein le gayi. Shruti ne aaruhi ko bistar par laitaya aur rachna ne sabse pehle us tshirt ko ek jagah dekh kar chupaya.

" ye kab tak aise hi rahegi " rachna ne shruti ko aaurhi ko ek tuk dekhte rehne par pucha.

" i don't know " shruti ne jawab diya kyun ki aaruhi abhi bhi waise hi dekh rahi thi. Rachna ka sar fatt raha tha, vo bistar ki taraf ayi aur laitne lagi lekin jaise hi uski nazar aaruhi par gayi jiski khuli ankhein use chudail roop de rahi thi use dar kar vo bistar se piche hatt gayi aur ek kone mein jaa baithi. Shruti wahin uske pass baith kar apna phone dekhne lagi, uska phone abhi bhi nahi chal raha tha. Use ek taraf aaruhi ki chinta ho rahi thi to dusri taraf vishal ki bhi. Vo kuch der yun hi baithi kabhi chakar lagati to kabhi khidki par jakar bahar ki taraf dekhti par wahan khamoshi ke alawa kuch nahi tha. Rachna baithe baithe so chuki thi, shruti ke man mein jo baat bahut der se uth rahi thi vo use aur jada nahi rakh payi.

Raat ke 3:03 minute ho rahe the, shruti ne aaruhi ke pajame wale pocket se uska phone nikala aur phone mila dia. Kuch ring jane ke baad samne se phone utha " aaruhi.. itni raat ko " samne se awaz ayi " sab theek to hai beta... "

" aunty.. main shruti... "

" Shruti ? kya hua hai... aaruhi.. "

" Aunty hume aaruhi ko kal hi doctor ke pas dikhana hoga.. " shruti ne bas itna hi kaha.

Agli subah, plan ke mutabik 6 baje nikalna tha aur uske mutabik usne rachna ka apartment chhoda par aaruhi abhi tak waisi hi thi. Rachna ki madad se vo use niche to le ayi par ab use wahan se akele lekar jana tha. 7 baje hostel ka gate khulna tha aur vo 7 baje se pehle hi hostel ke ek kone mein aa khadi hui thi. Abhi tak wahan sanata tha ye dekh use shanti mili, raat ko agar sach mein Suraj wala kand hua hai to uska asar abhi tak yahan nahi tha. Jab use laga ki wahan koi chawkidar nahi hai to vo aaruhi ko lekar hostel mein dakhil hui. Hostel ke andar sanata pasra hua tha, use apna bahana yaad tha aur huba-hu jo usne socha tha wahi bolna tha. Ek baad ek floor chadti hui vo uppar jane lagi, abhi tak kamre se koi bahar nahi nikla tha. Shayad exam ke agle din koi jaldi nahi utha tha, is baat ko sochte hue vo akhir chauthe floor tak pahunchi. Uski sans puri tarah se ukhad chuki thi uske kapde pasine se bheeg chuke the. Par vo janti thi ab bas kuch hi dur aur jana hai aur akhir vo apne kamre ke samne jaa pahunchi. Ek kandhe par aaruhi ko sahara diye usne dusre kandhe se darwaje ko dhaka diya jise uske piche rakha table jo vo raat ko laga kar gayi thi vo khisakne laga aur akhir mein darwaja itna khul gaya ki andar jane ki jagah ban gayi. Vo fauran andar ghusi aur aaruhi ko labhag ghasite hue bistar tak ayi, uske hathon ne jawab de diye the, ankhon ke aage chakkar sa ane laga tha jiski wajah thi uska water level sharir mein khatam ho gaya tha. Usne ant mein aaruhi ko chhod diya ya vo uske hath se fisal gayi par aaruhi adhi bed par aur uski tangein farsh par gir gayi.

" behencc..hod.d... " usne uski tangein utha kar bed par rakha aur zor-zor se sansein leti hui ghutne par hath rakh kar khadi ho gayi lekin abhi kaam adhura tha. Usne sabse pehle kamre ka gate band kiya aur fir wapis akar balcony mein ayi jahan akar usne kapde ki banai rassi ko uppar khincha taki din ke ujale mein uspar kisi ki nazar na padh jaye. Kapde ki rassi ko balcony se khol kar vo andar ayi, use apne palang ke niche dala, darwaja band kiya aur vo table wahan laga kar apne bistar par jaa baithi. Bistar par baithi hi vo apne tez dil ki dhadkno ko sunne laggi, uski sansein bata rahi thi ki use sans kitni kam mil rahi hai. Uska sharir thak kar chur ho chuka tha isliye use pata hi nahi chala kab vo bistar par gir gayi. Band ankhon ke sath uske dimag mein yahi chal raha tha ki jaisa usne socha tha ant tak bilkul theek usi tarah hua.

Loud Music bajne par Shruti ki ankh ek jhatke mein khuli aur vo ek dum se uth baithi. Achanak se uthne par uska sar bhanna pada. Uski ankhein aise jal rahi thi mano usme kuch daal dia ho. Usne fauran apni nazar awaz ki taraf modi to bagal wale bistar par rakha phone baj raha tha aur wahan koi maujud nahi tha. " aaruhi... " usko na dekh vo apni jagah se khadi hui aur phone uthane se pehle bahar ki taraf bhagi lekin darwaja kholti use pehle use mehsus hua ki bathroom se awaz aa rahi hai. Kaan laga kar dhayan se sunne lagi to andar se nahane ki awaz aa rahi thi " aaruhi to andar hai? "

" han.. aa rahi hun bas panch minute de.. " shruti ne aaruhi ke muh se ye sun chain ki sans li aur tabhi use yaad aya ki abhi aaruhi ki mom ka phone aa raha tha jo bate hue kat gaya. Vo bistar par ayi aur usne phone uthaya. 9 baj kar panch minute ho rahe the, vo phone milati use pehle phone dubara bajne laga.

" han aunty "

" shruti... hows aaruhi? " urvashi ki awaz mein gehri chinta thi.

" naha rahi hai aunty. "

" is she fine? "

" i don't know... i guess apko mil kar pata chalega " shruti ko samajh hi nahi aya ki aur kya kahe. Phone par baat karte hi aaruhi bathroom se bahar nikli. Ek dum normal si dikh rahi, jaise kuch hua hi na ho.

" kya dekh rahi hai ? " aaruhi ne pucha.

" aunty ka phone tha baat kar le.. "

" mom ka, itni subah subah "

" han... " shruti itna bol kar nahane ke liye kapde nikalne lagi aur bathroom ki taraf badhi itne mein aaruhi ne urvashi ko phone milane ke liye uthaya

" Sun.. " aaruhi boli.

" han "

" kal main kya bistar se giri thi? " aaruhi ki baat sun shruti fauran uski taraf ghum gayi.

" nahi...kyun? kya hua? " shruti ne jigasya purvak pucha.

" nahi.. bas mjhe laga.. sar mein bada dard hai jaise main kahin giri hun aur laga ho.. " batate hue aaruhi phone mila chuki thi.

" nahi.. aisa to mere samne nahi hua " shruti ne bas itna kaha aur samne se urvashi ne phone utha liya aur aaruhi baat karne lagi. Shruti nahane chali gayi, vo janti thi ki aaj uske pas nahane ke liye waqt kam hai, nahate time use kal raat ki ghatna yaad aa rahi thi sath mein vishal ke bare mein soch rahi thi, ki wahan na jane kya ho raha hoga. Shruti naha kar bahar ayi to aaruhi ne vo kaha jo use malum tha. Aaruhi ki mom use milne aa rahi hai aur vo khush thi.. chehre par hansi thi.. Shruti ko iski umeed nahi thi ki aaruhi itna khush hogi. Dono tayar hokar kamre se bahar nikle to corridor mein khus-phus chal rahi thi, kayi jagah ladkiyun ki bheed jama thi aur chehre par udasi chayi hui thi.

" lagta hai kuch hua hai.. " aaruhi ne dekhte hi sawal kiya.

" pata nahi.. " shruti samajh chuki thi ki suraj ki khabar sahi thi aur ab vo shayad felh chuki thi lekin is waqt aaruhi ko batana sahi nahi tha isliye vo aaruhi ko wahan se jald se jald le jana chahti thi. Dono hostel se bahar nikal gaye, shruti bas chahti thi ki warden na takraye aur wahi hua.

" tujhe pata hai kahan jana hai? " jab shruti college ki taraf nahi mudi to aaruhi ne pucha, jiske puchte hi shruti ek pal ke liye sakpakai, kal ki adhuri nind aur thakan ne uska dimag filal bhuja diya tha warna vo baat dhang se sambhal leti.

" nahi.. " shruti ne bas itna hi kaha.

" to tujhe kaise pata yahan sidha jana hai "

" mom se milna hai to college mein to milegi nahi isliye socha " shruti ne bahana mara.

" sahi hai.. " aaruhi bolte hue chalne lagi. Dono chalte hue main road tak aye aur aaruhi dono taraf dekhne lagi jahan par ek taraf dhabbe ke pas ek taxi khadi thi.

" shayad yahi hai " aaruhi aage aur shruti piche, taxi ke pas pahunchte hi taxi ka gate khula aur urvashi bahar nikli. " mom.. " khushi mein aaruhi urvashi ke pas ayi aur use galle laga liya. Urvashi ne bhi use utni hi zor se galle lagaya. Ankhon par chadaye chasme ke piche vo apne emotion chupa rahi thi. Dono ek pal ke liye galle lage rahe aur fir urvashi ne usko khud se alag kiya.

" kitna acha laga mom apko milkar.. " aaruhi ne thoda emotional hokar kaha.

" same here.. " urvashi ne jawab diya.

" oh haan mom.. ye meri friend, nahi ek lauti friend aur room-mate Shruti " aaruhi ne shruti ka parichay dia.

" helo aunty.. "

" helo beta.. how are you "

" i am good aunty... " shruti ne juthi muskan ke sath jawab diya. Abhi tak dono bilkul wahi kar rahe the jaisa ki kal raat phone par discuss hua tha.

" waise mom main puchna bhool gayi aap yahan kyun mil rahi hai "

" kyun ki hum kahin jaa rahe hain.. "

" kahan? "

" vo jakar hi pata chalega.. chalein? " urvashi ne pucha.

" han.. sure.. par kahan jaa rahe hain vo pata hota to jada acha lagta "

" friend se milna hai mujhe to socha tumhe bhi le chalu.. you will have your fun.. c'mmon we are getting late " urvashi ke itna kehte hi dono baith gaye aur taxi wahan se chal padi. Kareeb ek ghanta ka safar tay karte hue ek jagah jakar taxi ruki. Teeno bahar utre aur wahan ka vatvaran dekhne lage, Ghane jungle jaisa tha jiske bich bana ek farmhouse.

" yahan apka koi friend rehta hai? " aaruhi ne pucha " mujhe to apke is friend ke bare mein kabhi pata nahi chala.. " aaruhi ne dusra sawal pucha.

" yahan nahi rehta bas vaccation ke liye aya hai.. jagah achi thi to socha tumhe le aaun.. chalo andar chale " urvashi ne aaruhi ki taraf dekhte hue shruti ki taraf dekha. Fir teeno andar ki aaur badhe, door bell baji aur servant ne darwaja khol kar unhe wahan le jakar ek kamre mein baitha diya jahan par roshni ke naam par ek lamp jal raha tha baki sishe se suraj ki roshni aa rahi thi.

" Kitni shanti hai idhar.. lagta hai jada log nahi rehte.. " aaruhi shruti se baat kar rahi thi. Aaruhi ka nature shruti ko aaj kuch alag lag raha tha shayad vo apni mom se mili isliye. Shruti soch rahi thi tabhi urvashi apni jagah se khadi hui.

" kya hua mom? "

" ek important call karni hai do minute baitho main ayi " urvashi bol kar bahar nikli.

" mom bhi kamal hai, apni friend se milne ke liye hume le ayi aur khud kaam ki call ke liye bahar chali gayi.. " aaruhi ne phone use karna cha.

" Are han.. aaruhi.. ek minute apna phone degi.. "

" kyun ? " aaruhi ne sawaliya nazron se use pucha.

" vo mera na kal raat phone tut gaya.... "

" haww kaise? "

" vo bataungi.. pehle phone de.. ek phone kar lun zara "

" kisee? " kandhe se shruti ke kandhe par marte hue aaruhi boli.

" tu to janti hi hai.. de na.. "

" Acha le.. pareshan na ho " aaruhi ne shruti ko phone thama dia. " aashiqui kar tu bhi " Shruti ne aaruhi se phone liya.

" yahan to signal nahi hai.. ek minute ruk ayi.. " shruti bhi bahar jane lagi.

" tu bhi jaa rahi hai.. main akele yahan kya " aaruhi itna hi bol payi ki shruti ne jate hue kamre ka darwaja laga diya. " isne darwaja kyun band kiya " iske sath hi jis khidki se roshni aa rahi thi uspar parda dal gaya aur pure kamre mein ek kone mein rakha sirf lamp ek matr roshni ban gaya. " ye sab kya ho raha hai.. mom.. " aaruhi ghabrate hue chillai aur apni jagah se khadi hui tabhi ek awaz room mein ayi.

" aaruhi stop.. " bolte hi aaruhi apni jagah par ruk gayi " Sit.. " dubara jab awaz ayi to aaruhi wahin baith gayi jis jagah pehle baithi thi.

Kamre ke bahar shruti urvashi ke sath, nandini bhi wahan maujud thi. Takreeban 1 ghante baad kamre ka darwaja khula aur bahar nikalte waqt us shaks ne darwaja band kar diya. " Miss Khandelwal yahi hai Dr. Jha, Alok Jha " nandini ne dekhte hue bola.

" Sorry to be this secretive.. but mene hi Nandini se kaha tha ki jab tak main apki beti ko examine na kar lun tab tak mere bare mein kuch na bataye " Alok ne nandini ki baat ko aage badaya. Shruti ne alok ko dhayan se dekha, halke safed aur kalle balon ka mixture tha. Chehre par chasma tha lekin baat karte time usne utar diya tha, chehre ka rang gora tha aur formal kapde pehne hue the. Andazan 50-55 ke bich ka hoga ye doctor, shruti abhi soch rahi thi tabhi urvashi ke baat ne usko soch se bahar nikala.

" Doctor, Hows my daugther? is she alright.. "

" don't worry miss khandelwal.. your daughter is.. or will be alright.. " alok ki baat sun urvashi ke mathe par shikan badh gayi.

" what do you mean? kya hua hai aaruhi ko? " urvashi ke puchne par shruti ka dil bhi zoron se dhadakne laga. Aaj use finally pata chalne wala tha ki aaruhi ko wakai mein kuch hai aur agar hai to kya.

" Well Miss Khandelwal.. jitna bhi mene aaruhi ko examine kiya hai uske hissab se aur meri knowledge ke hissab se i think aaruhi is suffering with Catatonic Schizophrenia "
 
Last edited:
9,451
39,738
218
मुझे ताज्जुब होता है कि कैसे लड़के एकाध माले से ही नीचे गिर कर मर जाते हैं जबकि लड़कियां चार पांच माले से गिरकर भी अपनी कुर्ती सलवार झाड़ते हुए उठ खड़ी होती हैं । :D
शादी के पहले लड़कियों को वैसे भी ज्यादा शारीरिक परेशानी नहीं होती । हां.... शादी के बाद बाकी बिमारी की बात तो अलग है , उनके नाखूनों और बालों तक में दर्द शुरू होने लगता है । :D

यहां भी सुरज भाई साहब चौथे माले से गिरकर स्वर्ग सिधार गए । उनकी खोपड़ी तरबूज की तरह फट फटा गई और यहां हमारी नायिका आरूहि तीन माले से गिरकर भली चंगी ही रही । बस , कुछ घंटे तक अचेतावस्था में ही रही । कोई हड्डी वगैरह नहीं टूटी । शरीर पर कोई जख्मों का नामोनिशान तक नहीं लगा ।

खैर , आखिरकार श्रुति ने विशाल और रचना की मदद से उसे वहां से सुरक्षित निकाल ही लिया ।
और जैसा कि हम बार बार कह रहे थे कि उसे डॉक्टर की सख्त जरूरत है , उसे डॉक्टर के पास ले जाया गया । और डाक्टर ने वही कहा जो हम भी कहते आ रहे हैं । वो बीमार है । वो Catatonic Schizophrenia नामक रोग से ग्रस्त है ।

शायद इसे हिंदी में विखंडित मानसिकता कहा जाता है । इसका अर्थ है " मन का टूटना " । यह बिमारी सिर्फ एक प्रतिशत लोगों में ही पाया जाता है । इसमें रोगी के विचार , व्यवहार , संवेग में असामान्य बदलाव आ जाते हैं । और इसी कारण से वह कुछ समय के लिए अपनी जिम्मेदारियां तथा अपनी देखभाल करने में असमर्थ हो जाता है ।

और जैसा व्यवहार अभी तक हमने आरूहि को करते देखा , उससे तो यही लगता है कि वो इसी बिमारी से पीड़ित है ।

बहुत ही बेहतरीन अपडेट हर्षित भाई ।
यह अपडेट भी वैसा ही था जैसा कि अमूमन आपके प्रत्येक अपडेट में होता है । सारी घटनाएं चलचित्र की तरह आंखों के सामने दृष्टिगोचर होने लगती है । और रोमांच का तो कहना ही क्या !
आउटस्टैंडिंग एंड ब्रिलिएंट अपडेट ।
 

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,642
8,370
219
Top