• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy " Girls Hostel "

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,642
8,370
219

~~INDEX~~

Chapter 1 ~~ " Supriya "
Chapter ~~ 2 " The Illusion "
Chapter ~~ 3 " Catatonic Schizophrenia "
Chapter ~~ 4 " A True Face "
Chapter ~~ 5 " The Antiquarian "
Chapter ~~ 6 " The Amazon "
Finale
Chapter 7 : " Book Of Hoax "

Some Comments for this story :love: (Late Add-on :sigh:)

सच में , यह पुरी स्टोरी दिमाग के परखच्चे उड़ाए जा रही है । कभी लगता है कहानी में सस्पेंस है तो कभी लगता है भ्रम जाल का ताना-बाना बुना हुआ है तो कभी लगता है जैसे कोई रूहानी ताकतें हैं तो कभी लगता है यह सिंपल स्टोरी है जिसमें आरूहि एक गम्भीर बिमारी से पीड़ित है ।

मुझे लगता है इससे बेहतरीन कहानी फिलहाल तो इस फोरम पर नहीं है । और सबसे बड़ी खासियत है आपके लिखने का स्टाइल और अंदाज । आउटस्टैंडिंग हर्षित भाई ।
thoos thoos ke khana khaya aaruhi ne jo ekdam majedar horror type scene tha ..
सही में , हर्षित भाई ! मुझे बहुत ही दया आने लगा है आरूहि पर । अगर किसी हरामखोर की वजह से उसकी हालत ऐसी हुई है तो उसे जहन्नुम का रास्ता जरूर दिखला दिजियेगा ।
WTF!!! Yahi pehla reaction nikalta hai is kahani ko poora padhne ke baad... Halanki pehle bhi maine is kahani ke kuchh 7-8 updates padhe huye the par jab is baar padhna shuru kiya to ek naya sa romanch har beet te update ke saath banta gaya... Bohot hi zyada behatreen tareeke se likhi gayi kahani hai ye, ab jis prakaar ka plot imagine kiya hai lekhak saahab ne uske baad ek nausikhiya bhi likhe to bhi kahani halki nahi ho sakti, aur yahaan jis level ka narration, aur scene specialization hame padhne ko mila hai, wo kaafi hai dikhane ke liye that this is, without a doubt,one of the finest stories available on XF... Chahe wo running stories hon ya fir completed, aur chahe future mein likhi jaane waali kahaniyan, is story ka ek alag hi sthaan bana rehne waala hai forum par... Aur iske liye writer saahab ki jitni bhi tareef ki jaaye wo kam hi hogi...

Fantasy genre ke saath shuru huyi ye kahani, kab alag - alag genres ke darshan karane lagi padhte waqt katayi pata nahi chala... Horror, Suspense, Thriller, Adventure, Romance and of course Fantasy, aur saath hi mein Erotica ke ansh bhi... Ek story mein is se zyada kis cheez ki apeksha kar sakta hai reader!? Again, one of the best stories I've ever read... Outstanding Stuff harshit1890 bhai... :bow: :bow: :bow:
Kya hi khubsurat kahani likhi hai aapne bhai... I'm just speechless, jitni bhi tareef karunga kam hi hogi... Erotica ka bhi bilkul sahi situation mein use Kiya gaya hai aur sabse important har kirdaar par lekhak ki shaandar pakad bani rahi hai... Har character ka kahani mein hona justify kiya gaya hai, kahin bhi koyi bhi character bina matlab nahi ghus aaya...

Ab dekhna ye hai ke Mehta waali meeting mein kaun kaun shaamil tha aur unka maksad kya tha? Aur Shruti is sab ki sachayi jaan bhi paayegi ya nahi? Aruhi sach mein kisi beemari ka shikaar hai ya kewal naatak kar rahi hai? At last, Ek baar ko apun ko ye bhi laga ke asal mein ye sab jo ho raha hai wo kewal Shruti ki kalpana hai... :dazed:

Outstanding Story & Updates Bhai & Waiting For Next...
Harshit bhai... Kayi horror stories padhi hain maine, joki poori tarah se horror genre par based hain but jis tarah ka scene aap create karte ho, taking into note ye story horror genre par based hai bhi nahi, that's phenomenal...
meghnath naam rakhne ke pichhe ki kahani bhi majedar hai 😍😍😍..
jab me TV nahi dekhta( waise tha nahi nahi ghar par ) tha bachpan me aur bas naam suna karta tha to khudko SHAKTI KAPOOR. kehta tha dosto ke bich 🤣🤣🤣..ye kissa padhke bachpan ki yaade taaza ho gayi 😍😍😍..
Slowly my interest is increasing towards the story full of adventure, fun to read, no doubt you are a great writer, thank you for writing such a beautiful story.
Have to admit, your story completely twists the thinking, sometimes it seems in the mind that it is just a disease and sometimes it seems like something supernatural. Your writing is commendable, even after writing this much there are many questions and there will be many such points which I have missed. In some scenes there was a combination of intensity as well as erotic scenes, which you have shown very well, what should I say now, now the words of praise are over understand my feelings.
harshit1890 Hats Off... enjoyed it. :applause:
but why were you making her nude everytime in front of everyone. :angry:
मुझे नहीं लगता दुनिया में कोई भी ऐसा माई का माल होगा जिसे इस कहानी की पहेली समझ में आ रही हो। गजब का दिमाग हिला रखा है आपने हर्षित भाई।
The whole incident, that Mansion one was written so beautifully that no words are sufficient to describe it! Ismein koyi doraye nahin ki maine aaj tak kisi ko bhi is tarah ka horror likhte nahi dekha hai... Haunted ko read kiya tha maine, kaafi pehle, aur main bilkul daave se keh sakta hoon, that you're the best,when it comes to generating real fear in readers, while they read the story..
Bhatt the phakk is this estory?:redface:
 
Last edited:
9,464
39,812
218
नंदिनी और डॉ आलोक के बीच जो बातें हुई वो मेरे पल्ले ही नहीं पड़ा । थोड़ा बहुत यही समझ में आया कि दोनों के बीच एक डील हुई थी । डॉ को आरूहि की माॅम और श्रुति को यह विश्वास दिलाना था कि आरूहि एक मनोरोगी है । जो कि सच भी है ।
इसके अलावा आरूहि के मैटर को इतना उछालना है कि लोगों को सच्चाई का पता न चले ।

मुझे लगता है नंदिनी ही इस पुरे बखेड़े की जड़ है । मुझे याद है श्रुति और उसके दोस्त जब आरूहि को उस मिस्ट्रीयस हास्टल से अचेतन अवस्था से वापस लाए थे और तब नंदिनी को सारी घटनाओं का ब्यौरा दिया था ।
शायद नंदिनी के कहने का तात्पर्य था कि उन बातों के ओपन होने से उसके नौकरी पर खतरा मंडरा जाता और शायद उसे जेल भी जाना पड़ता ।
इससे तो साफ जाहिर है कि वही प्रमुख विलेन है । उस रहस्यमई हास्टल से उसका कोई स्वार्थ जुड़ा हुआ है ।
उस हास्टल की ओर किसी का ध्यान नहीं जाए इसलिए आरूहि, श्रुति और उसके दोस्तों को मिस गाइड कर दिया जाए !
लेकिन यह भी सच है कि आरूहि मानसिक रोग से त्रस्त है । इसी बहाने एक पंथ दो काज हो जाए !

डॉ की बातों से यह भी लगा कि नंदिनी कोई दरिया दिल वाली औरत नहीं है । उसे जरा भी फिक्र नहीं है कि आरूहि मरे या जिए ।

लेकिन वो क्या छुपा रही है , यह पता नहीं । शायद उस हास्टल में हो रहे सिक्रेट ड्रग्स पार्टी को सरेआम होने से बचाने के लिए...या फिर कुछ और !

वैसे श्रुति को नंदिनी के चरित्र का आभास हो गया है । लेकिन वही प्रमुख कल्परिट है , यह पता नहीं ।
शायद अब यहां से उसे हम व्योमकेश बख्शी या शरलाक होम्स के किरदार में देखें !

बहुत ही बेहतरीन अपडेट हर्षित भाई ।
आउटस्टैंडिंग एंड अमेजिंग एंड एक बार फिर से ,
जगमग जगमग ।
 
Last edited:

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,642
8,370
219
नंदिनी और डॉ आलोक के बीच जो बातें हुई वो मेरे पल्ले ही नहीं पड़ा । थोड़ा बहुत यही समझ में आया कि दोनों के बीच एक डील हुई थी । डॉ को आरूहि की माॅम और श्रुति को यह विश्वास दिलाना था कि आरूहि एक मनोरोगी है । जो कि सच भी है ।
इसके अलावा आरूहि के मैटर को इतना उछालना है कि लोगों को सच्चाई का पता न चले ।

मुझे लगता है नंदिनी ही इस पुरे बखेड़े की जड़ है । मुझे याद है श्रुति और उसके दोस्त जब आरूहि को उस मिस्ट्रीयस हास्टल से अचेतन अवस्था से वापस लाए थे और तब नंदिनी को सारी घटनाओं का ब्यौरा दिया था ।
शायद नंदिनी के कहने का तात्पर्य था कि उन बातों के ओपन होने से उसके नौकरी पर खतरा मंडरा जाता और शायद उसे जेल भी जाना पड़ता ।
इससे तो साफ जाहिर है कि वही प्रमुख विलेन है । उस रहस्यमई हास्टल से उसका कोई स्वार्थ जुड़ा हुआ है ।
उस हास्टल की ओर किसी का ध्यान नहीं जाए इसलिए आरूहि, श्रुति और उसके दोस्तों को मिस गाइड कर दिया जाए !
लेकिन यह भी सच है कि आरूहि मानसिक रोग से त्रस्त है । इसी बहाने एक पंथ दो काज हो जाए !

डॉ की बातों से यह भी लगा कि नंदिनी कोई दरिया दिल वाली औरत नहीं है । उसे जरा भी फिक्र नहीं है कि आरूहि मरे या जिए ।

लेकिन वो क्या छुपा रही है , यह पता नहीं । शायद उस हास्टल में हो रहे सिक्रेट ड्रग्स पार्टी को सरेआम होने से बचाने के लिए...या फिर कुछ और !

वैसे श्रुति को नंदिनी के चरित्र का आभास हो गया है । लेकिन वही प्रमुख कल्परिट है , यह पता नहीं ।
शायद अब यहां से उसे हम व्योमकेश बख्शी या शरलाक होम्स के किरदार में देखें !

बहुत ही बेहतरीन अपडेट हर्षित भाई ।
आउटस्टैंडिंग एंड अमेजिंग एंड एक बार फिर से ,
जगमग जगमग ।
It was simple bhai... Nandini ki koi backstory rahi hogi jisme Alok ne kuch aisa kiya jiska ehsan chukana baki tha. Aur ehsan ke badla sex karke utra aur Alok ne nandini ka kaam bhi kar diya. Nandini ka kaam bhi ho gaya, uska ehsan bhi pura hua. Jo apko samjhna tha vo ek dum sahi samjhe ho, Aaruhi ko sach mein problem hai ye as a doctor usne dikhaya bas itna jarur darana tha ki logon ka focus isi baat pr rahe na ki Hostel bhoot ya jo bhi batein uchal kar aa rahi thi. Maybe as nandini knows many thing.. Still kahani abhi ek mytery mod par hai aur jaldi reveal hogi.. Thanks bhai keep reading :hug:
 
  • Love
Reactions: SANJU ( V. R. )

DARK WOLFKING

Supreme
15,534
31,893
244
majedar update ..to aisa lag raha hai nandini ko apni job chale jaane ki chinta hai ,agar aaruhi ki case ka director ko pata chalta to unke saath saath nandini ki bhi naukri jaati ,par usko aisa kyu laga 🤔. aaruhi to bimar hi hai .
shruti ne dimaag lagaya ekdam satik aur nandni ,doctor ke baare me sahi anuman lagaya ,

par wo panty apne paas rakhke galti kar di ,agar dr alok ko wo panty nahi mili to shayad wo ye baat nandni ko bata dega jisse shruti par shak hoga ki usko kuch na kuch pata chal gaya hai .
ab shruti sab janna chahti hai nandni ke baare me .
nandni kuch to gadbad type hai kyunki alok ka ye kehna ki me jis nandni ko jaanta tha wo aisi nahi thi 🤔🤔..
 

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,642
8,370
219
majedar update ..to aisa lag raha hai nandini ko apni job chale jaane ki chinta hai ,agar aaruhi ki case ka director ko pata chalta to unke saath saath nandini ki bhi naukri jaati ,par usko aisa kyu laga 🤔. aaruhi to bimar hi hai .
shruti ne dimaag lagaya ekdam satik aur nandni ,doctor ke baare me sahi anuman lagaya ,

par wo panty apne paas rakhke galti kar di ,agar dr alok ko wo panty nahi mili to shayad wo ye baat nandni ko bata dega jisse shruti par shak hoga ki usko kuch na kuch pata chal gaya hai .
ab shruti sab janna chahti hai nandni ke baare me .
nandni kuch to gadbad type hai kyunki alok ka ye kehna ki me jis nandni ko jaanta tha wo aisi nahi thi 🤔🤔..
Job ke alawa afwa failegi ki nandini ko sab pata tha to sirf job nahi jayegi.. bahut si chizen jayegi uske hath se... Ab dekho bhai aage kya hota hai tabhi malum chalega.

Thanks bhai keep reading :dost:
 
  • Like
Reactions: SANJU ( V. R. )

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,642
8,370
219
Update ~~ 63

Drawer se kuch nikal kar warden ne hath mein rakha aur sungti hui muh mein rakh kar hamare samne kursi par felti hui baith gayi. Uska mota sharir kursi par samata kaise hoga, shruti yahi soch rahi thi tabhi usne apni bhari awaz mein pucha. " kya hua hai ise? "

" vo madam.. exam ke chalte ye soyi hi nahi pichli kuch raton se to ise Insomania jaise symptoms lag rahe the isliye.. " shruti janti thi warden ko ghanta samajh nahi ayega ki insomania hota kya hai.

" uhmm.. " vo muh mein abhi khai chiz ko chabate hue boli aur kan mein pen daal kar khujane lagi " achi bimari nahi hai ye to.. laa iski maa ka number de.. "

" number.. kyun.. " shruti ek dum boli.

" kyun kya.. tune hi to kaha ki maa ayi thi uske sath gayi thi, to confirm karne ke liye puchna padega na.. jaldi la number .. " vo chidte hue boli. Shruti ne fauran number diya aur warden ne dial kiya.

" hello Urvashi ji, main shailja bol rahi hun.. hostel ki warden apki beti " usne phone ke speaker par hath rakha " naam kya hai iska ? "

" ji vo.. aaruhi.. " maine naam bataya jiske baad vo fir baat karne lagi. Kamal ka talent tha isme, humse baat karte hue awaz itni bhayanak thi aur phone par itni mithi. Apni jaanch-partal khatam kare to main aaruhi ko dawai dun. Shruti tab tak kamre mein hi dekhne lagi, kamra itna bada tha jitna ek hall hota hai. Hansi use tab ayi jab wahan golden color wali trophies dikhi jo bachpan mein mila karti thi, hansi use isliye ayi kyun ki ye trophy warden ko kaise mili thi ye bada sawal tha. Dekhte dekhte uski nazar ek jagah par ruki, warden ke theek piche badi si lakdi ke almari ke bagal mein ek choti si safe rakhi hui thi. Shayad yahan se hi chori karke bhaga hai debu.

" kya dekh rahi hai udhar " warden ki awaz ne uska dhayan toda.

" vo apki almari.. mene aisi almari kahin aur bhi dekhi hai " shruti ne turant bola.

" kamre ki kundi kaise tuti " warden ne phone par baat karne ke baad sidhe yahi pucha.

" vo madam.. " shruti ko kuch bolne de to vo apni baat puri karti.

" batayega kaun... paisa tu bharegi iska " vo chillai jiski wajah se jo kha rahi thi uske chintte samne gire. Pata nahi kya chaba rahi thi hara-hara.

" ab madam main hi bhar dungi.. "

" paison ka dhons dikhati ho tum mujhe.. " vo jhanai " tujhe pata hai mere ko jab koi jada paisa dikhata hai na main use har mahine chanda ikhata karti hun "

" nahi warden mera matlab ye thodi tha. Matlab ab mujhe pata nahi kaise tuta to uska bhoj ap par kyun dalun. Kosish to ki use pakadne ki jisne toda hai par ab vo yahan hai nahi to kya karein "

" kise pakdna tha "

" vo debu madam, ab hume to usi par shaq hai "

" debu par ? " warden ne apni ankhein aur badi kar li, rakashon ka janam dharti par aaj bhi hota hai ye mene maan liya tha. Shruti man hi man sochne lagi.

" han apko to pata hi hai uske pas itna saman mila hai. Aaruhi bhi bol rahi thi uski kuch " shruti warden ki taraf jhuki aur fusfusai " bra penty gayab hai.. " ek pal warden shruti ko ghurti rahi.

" main kara dungi theek.. tum jao.. isko dawai do " warden ki yahi baat use sunni thi vo jatti use pehle warden ne fir toka " aur suno... abse hostel chhod kar kahin bhi jana ho to bahar register mein likhwa kar jana .. aur kisi ke sath jao to uska number bhi sala.. ek ke baad ek bache mar rele hai is jagah par "

" bache mar rahe hain " shruti ne asmanjas lehaze mein pucha par andar hi andar use malum tha

" tune nahi suna.. kal raat sala koi bevda launda hostel ki chat se kud gaya.. ya dhakka de diya abhi police baat cheet kar rahi hai lekin college ke bade log kush nahi hai.. naam kharab ho raha hai college ka. Aur tu itne sawal kyun kar rahi hai tujhe jo kaha vo karna.. aur ise bhi bol dena... chal ab nikal idhar se... behenchod garmi badha di hai sharir mein roz roz ke police ke chakar.. ab sala camera lagwao jhant lagwao bosdika paisa kaun dega... " warden badbada rahi thi aur shruti aaruhi ko lekar use sun rahi thi. Warden shant hui aur jab use laga ki shruti gayi nahi to uski taraf dekhti hui chillai " ab kya mere halak mein jhank kar sari baat janegi.. chal nikal idhar se.. aur oo kya naam hai tera.. " warden shruti ke piche ki taraf chillai. " bihari.. chai lekar aa.. sar fatt raha hai idhar.." warden chillai aur shruti ko jaise hi dekha vo mud kar chal di.

Shruti aaruhi ko lekar uppar ayi, room mein usne use bed par laitane se pehle dawa di aur laita diya. Aaruhi agle hi pal so gayi. ' aahhh.. kya din hai salla... ' shruti ne bistar par akar ek gehri sans chhodi aur uske dimag mein warden ki baat ghumi ' kal raat launda gir kar mar gaya '. Kal raat ke kand ke baad uski kisi se baat nahi hui thi aur aaj lagbhag dophar ho chuki thi. Usne apna phone nikala jise dekhte hi use yaad aya ki use ise theek karana hai warna bahut dikat ho jayegi. Par abhi bahar bhi nahi jaa sakti, phone tuta hai is bare mein kisi ko pata bhi nahi chalna chahie lekin ye bhi janna hai ki Vishal aur gaggan ka kya hua? Kya koi pakda to nahi gaya? Aur agar pakda gaya to kisi ne hamara naam le liya to? Nahi nahi.. mujhe vishal se baat karni hogi par use baat kaise karun.. sabse pehle to is phone ko theek karana hoga par kaise karaun.. kise karwaun... Vishal ko bhi phone karna hai.. Aaruhi ke phone se... han sahi idea hai. Shruti fauran apni jagah se khadi hui aur usne aaruhi ka phone nikala jo uski pocket mein pada tha.

" Ye le kyun nahi raha.. " shruti ne fir se passcode dala par fir likha aya Incorrect, shruti ne panch baar try kiya " lock ho gaya ye to ... behenchod aaruhi ne pasword badal liya.. kab badla.. ab kya karun.. " shruti bechain hone lagi thi. Bechaini wali baat thi bhi kyun ki ek chiz se sab khul jata..aur aaruhi ke bare mein sabko pata chal jata. Nahi nahi ye nahi ho sakta.. Aaruhi tune pasword badla hi kyun? Kya tu kuch chupa rahi hai .... ab to har chiz mein tere shaq sa hone laga hai. Shruti aaruhi ke chehre ko dekhte hue soch rahi thi ki use jaise aaruhi ne jawab hi de diya ho. Ek dafa use aaruhi ne phone kiya tha lekin mobile se nahi balki telephone se.

" hostel ka phone.. " shruti fauran apne tute phone ko jeans mein ghusaye kamre se bahar nikal gayi. Vo jitni jaldi pahunch sakti thi mess pahunchi jahan par phone laga hua tha lekin wahan pahunch kar andar jane se pehle uske per ruk gaye. Mess mein bhid thi aur dusri taraf phone par koi ladki baat-cheet mein busy thi. Ladki ko to vo yun hi hata sakti thi lekin mess mein itni ladkiyun ke bich baat karna use thik nahi laga aur vo wapis apne room ki taraf chal di. Wapis atte samay uske dimag mein bas kal ki baat chal rahi thi jisme dhero sawal the, abhi apne floor par ayi aur kamra band karke palang par ja baithi. Raat ki adhuri nind aur thakan se use nind aa rahi thi par vo sona nahi chahti thi. Baithte sath usne phone nikala aur tuti hui screen ke bavajud use chalane ke kosish karne lagi lekin aisa hua hi nahi. Phone jaise ek hi stithi mein atak sa gaya tha. " shit... ab kaise pata lagaun.. mess ke khali hone tak hi intezar karna padega... " usne phone takiye ke niche chupaya tabhi use laga jaise kuch aur ha jo uski jeans mein rakha hai. Usne hath daal kar jab hath bahar nikala tab use yaad aya " Miss nandini ki penty " jise dekhte hi uske dimag mein nandini cha gayi. Miss nandini aur Dr. Alok ke bich mein affair hai ye to baat paki hai kya tabhi Miss ne Dr Alok se milwaya? Ho sakta hai... Simple story hai.. affair ki isme itna kyun sochna.. Sochna bhi jaruri hai kyun ki Miss ne kahin se kahin jahir to kiya hi nahi.. Agar affair hota to is age mein baat affair tak to rukti nahi aage hi badhti hai gf/bf wali fiancee wali.. to fir hume ye baat kyun nahi batai unhone, Kya dono ke bich aisa affair chal raha hai jo vo dono kisi se chupa rahe ho isliye na bata rahe ho, Dr alok ho sakta hai shadi sudha ho... Inke bare mein janna hoga. Miss ke bare mein pata karna jada mushkil nahi hoga, waise aaj vo din mein kis urgent meeting ki baat kar rahi thi. Ho sakta hai ki unhe bhi boys hostel walle kand ke bare mein pata chal gaya ho lekin aaruhi ki mumy ke samne batati to na jane kya hota isliye chali gayi ho. Ye suraj ke bache ko bhi kal hi kudna tha.. Kya din select kiya tha. Shruti ne bistar utha kar penty ko andar ki taraf khiska diya.

Ab uske pas intezar ke alawa kuch nahi tha, vo laitna chahti thi lekin aisa karne par use nind aa jati isliye usne apni pith deewar se lagai aur sochne lagi jisme bahut si batein involve thi. Phone theek jaldi karwana hai kyun ki ab use milne ka samay aa gaya, shayad ab usi ke pas jawab ho. Na chahte hue bhi uski ankh lag gayi aur vo so gayi. Use malum nahi ki kitni der hui par jab phone ki ghanti uske kano mein padi tab uski ankh khuli, bahar se ab koi roshni nahi aa rahi thi. Kamre mein isliye andhera cha chuka tha, ek matr roshni bajte hue phone ki thi jo aaruhi ke phone se aa rahi thi. Shruti fauran khadi hui, aaruhi ki mom ka phone tha. Usne phone uthaya.

" shruti sab theek hai? "

" ji aunty.. "

" to phone kyun nahi pick kar rahi thi, i have called 30-35 times " urvashi unchi awaz mein boli.

" sorry aunty.. vo just ankh lag gayi thi isliye " shruti ne ubasi lete hue jawab diya aur urvashi ke guse ko jaise usne samjha hi nahi.

" no... i am sorry beta.. mene dhayan hi nahi diya ki tum bhi thaki hogi.. i am sorry.. "

" its ok aunty...sorry ki baat nahi hai lekin aaruhi theek hai, dawai ke baad so gayi thi thodi der mein uth jayegi to baat karwa dungi "

" thank you beta.. for everything.. "

" no problem aunty "

" take care.. aaruhi ko bolna mujhe call karegi "

" ji aunty bilkul... " phone cut hote hi shruti ne time dekha. 8:15 ho rahe the, is time mess mein bheed hoti hi hai. Vo fir bhi bahar nikli, par corridor roz ki tarah is samay par bhara hua nahi tha. Vo mess mein gayi to wahan bhi koi nahi tha. Kuch light jal rahi thi bas, na khana wahan rakha tha na hi koi wahan maujud tha. Usne is chiz ko avoid kiya ki aisa kyun hua, usne fauran phone mein dala sikka aur phone milaya jo vo raste bhar yaad karne ki kosish kar rahi thi. Use doubt tha number sahi hoga ya nahi par chance to lena hi tha.

" heloo.. " samne se phone utha par jab koi nahi bola to shruti boli " rachna.. rachna.. sala galat number lag gaya lagta hai.. " shruti phone kati use pehle samne se awaz ayi.

" shruti tu hai? "

" han.. main hun.. bol kyun nahi rahi thi " shruti chilla rahi thi par fusfusane wali awaz mein. Ek to piche se kaun aa jaye pata nahi chalega isliye usne apni nazar piche ghuma rakhi thi.

" dar ki wajah se.. mujhe laga police ka phone hai, number naya tha.. tune apne phone se kyun nhi milaya "

" tune hi kal kaand kiya tha teeno ke phone tod kar.. tera theek ho gaya na? "

" han... din mein hi kara layi thi, didi ke ane se pehle "

" malum tha tabhi tujhe phone kiya... mujhe bhi theek karana hai.. par pehle ye bata vishal se baat hui? kuch pata chala kya hua udhar? " shruti ke puchne par rachna kuch nahi boli. " bol na... "

" han han bolti hun.. ruk jaa.. apne kamre mein jaa rahi hun.. "

" ab bhonk.. yahan meri gand mein kide reng rahe hai tabse.. main bata nahi sakti tujhe "

" vo khoon wali shirt "

" khoon wali shirt.. tune kab di? teri didi ko malum chal gaya uske bare mein? Unhone bata dia police ko kuch? tujhe kaha tha chupa kar rakhna.. ek kaam nahi hota tujhse " shruti ne agla sikka dala kyun ki aisa na karne par phone cut jata.

" nahi nahi sun to sahi.. vo shirt mere pas hai abhi bhi.. use lekar ja na yaar.. warna main fasungi.. " shruti ko rachna ki baat par itna gussa aya ki man kiya uska muh phone ke andar ghus kar tod de.

" itni hi gand fatti hai to jhanton ke bich mein bane ched ke andar lene ki cha rakhte hue kyun ayi thi kal raat ladkon ke bich.. "

" maaf kar de behen.. saari umar ungli se hi chut ko samjha lungi abhi vo shirt le jaa bas.. meri jaan sukhi jaa rahi hai.. tujhe malum hai didi ne aaj college se atte hi kya pucha.. "

" kya? " shruti ki jigasya badi.

" ki tu gaggan naam ke ladke ko janti hai ? "

" kya boli tu? " dhadkane aur tez ho gayi.

" meri to gaand hi fat gayi thi yaar ye sun kar.. "

" vo main sil dungi abhi baat bata na tu "

" maine pucha kyun puch rahi ho to boli ki usne dekha ki meri fb profile mein gaggan add hai "

" aur karo behenchod ye fb randapa.. " shruti bich mein boli par rachna ne use avoid kiya.

" mene pucha to use kya hua? kehti kuch nahi par usi ke floor par reh rahe ek ladke ne kal chat se kud kar suicide kar liya jabki vo is saal paas hone wala tha "

" unhe bhi pata chal gaya, yani baat sabko pata chal chuki hai.. aur kya boli? "

" vo boli.. ki gaggan kal raat uske sath hi tha aisa police ko pata chala hai "

" behenchod.. lag gaye " shruti ne apne sar par hath rakha aur fauran phone mein fir sikka dala.

" mujhe tabhi to dar lag raha hai agar usne kuch bol diya to hum kya karenge.. mere ghar police aa gayi to didi mujhe mar-mar ke lungi-langdi kar degi aur to aur agar vo shirt mil gayi to .. shruti kuch kar "

" tu shant rahegi... " shruti chillai aur vo bhi puri awaz mein " shant reh.. tujhe pata hai ki tere ghar mein khoon se bhari shirt hai, mujhe vishal ko pata hai par agar tu aise bhokegi to sabko pata chal jayega. Shant ho jaa aur ab sun meri baat, agar teri didi ki baat sahi hai aur police ko ye mila hai ki gaggan suraj ke sath tha to fir ab tak police ko vo sab bhaunk chuka hota aur tere ghar police aa chuki hoti. Mere bare mein bhi pata chal chuka hota isliye kuch nahi hua hai bas tu shant reh samjhi? "

" han shayad tu theek hi keh rahi hai "

" ab sun.. kal tu subah 9 baje college gate ke bahar mil aur mera phone theek kara ke dophar ko apna football ke piche jo space bana hai udhar mil "

" itni garmi mein.. use acha hai dhabbe par milte hai "

" abe .. chal theek hai " shruti ko rasta cross karna pasand nahi tha.

" pakka na ... police nahi ayegi .. "

" nahi "

" to kal vo shirt bhi le aun "

" rachna... " shruti chillai ki tabhi piche se awaz ayi. Shruti bhool gayi thi ki uski nazar ab phone ki taraf hai. Usne nazar piche ki.

" tum yahan kya kar rahi ho ? " shayad usne dubara pucha tha isliye zor diya tha baat par. Samne naya kaam karne wala bihari khada tha jisko warden ne bhi bihari hi bulaya tha shayad yahi naam tha uska.

" phone par baat kar rahi hun, nahi kar sakti kya? " shruti ko ye dar tha ki na jane kab se yahan khada sun raha hai aur ghur raha hai.

" sab koi niche jama hai.. warden ne bola tha tum yahan kya kar rahi ho isliye pucha "

" ati hun.. phone waise bhi nahi mil raha.. pata nahi kaisa radad phone hai.. " shruti ne phone rakhne se pehle ek galat number dial krke phone ka receiver rakh diya. Mess ke bahar hi bihari khada tha, kad-kathi mein jada lamba nahi tha rang bhi sanwala tha aur boli to uski nihayati gandi hi thi. Shruti ne darwaje par akar use bhanpa aur wahan se niche chali gayi. Niche pahunch kar samajh aya ki uppar ke sanate ka majra kya hai. Hostel ke bahar sabhi khade the mombatiyan lekar aur uske aage warden khadi thi aur sath mein ek admi aur tha jise dhang se dekhne par shruti ko samajh aya ki ye boys hostel ka warden hai. Shruti us admi ko sunne lagi jo kuch bol raha tha par dhayan lagati use pehle ek awaz aur use sunai di.

" lavanya ke samay to hostel mein aisa kuch nahi hua.. galat hai bahut ye " awaz theek uske bagal se ayi thi jispar usne nazar us taraf ki.

" aaruhi tu.. kab uthi " shruti chaunki par ye pehli dafa nahi tha.

" thodi der pehle, ye le mombati pakad... dono hath par moam gir raha hai jal raha hai hath " shruti ne uski dono hatheli par girte wax ko dekh fauran ek mombati pakad li " vo naya ladka aya hai usne kaha ki sab niche hai to mujhe laga tu bhi hogi isliye aa gayi par tu ab ayi kidhar thi "

" bathroom.. " shruti ne nazar samne kar li, sab dhayan se samne hi sun rahe the.

" Jisko humne khoya vo hamara hi bacha tha. Bahut dukh hota hai jab pariwar se koi jata hai to. Suraj ek honhaar ladka tha aur hostel ki raunak tha. Char saal bacha hamare netrativ mein raha par fir bhi nahi pata laga paye ki uske man mein kya chal raha tha jo use ye kadam uthana pada. Suicide karna hi solution nahi hai par abhi hum sab uski is galti ke bare mein baat nahi karenge balki uske chale jane ki wajah se uski atma ko shanti mile uske liye do minute ka moan rakhenge. Main sabhi se guzarish karta hun ki sabhi apni ankhein band kare " boys hostel ke warden apni baat sabhi ko sambhodit kar raha tha.

" inhone suraj ki maut ko suicide bana diya.. Yani ab koi panga nahi hoga " shruti ne khud se bola aur chain ki saans li.

" panga kaisa panga ? " par vo bhool gayi thi ki vo thda tez bol gayi jo aaruhi ne sun liya tha " vaise aisa inhone lavanya ke samay kyun nahi kiya ? kya vo is hostel ki bachi nahi thi ? so sad to see this ki ek ladka ladki mein itna bhedbhav kiya jaa raha hai idhar " aaruhi ki baat sun shruti kuch nahi boli aur baki sabki tarah ankh band karke moan dharan kar liya.
 

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,642
8,370
219

DARK WOLFKING

Supreme
15,534
31,893
244
nice update ..warden ka style dekhke maja aa gaya ,baate karte huye aisa kya kha rahi thi .
aur warden ki language to sabse ghatiya thi .
warden ko ye bhi nahi pata ki insomania naam ki koi bimari nahi hoti 🤣.
par shruti ne badi chalaki se sab matter ko solve kar diya pehle aaruhi ki bimari aur dusra darwaje ki kundi ka tootna . debu ka naam lekar warden ki bolti band kar di .

rachna to kaafi dari huyi lag rahi hai ,khoon se sane kapde ko dhone ka chhodke usko sambhal ke rakha hai usne .

aaj sagar ki maut jisko sab suicide samajh rahe hai usko lekar prathana ki jaa rahi hai mombatti jalake par isse nakhuh hai aaruhi .kyunki lavanya ki maut ke baad kisine aisa nahi kiya .
 

The_Punisher

Death is wisest of all in labyrinth of darkness
Staff member
Moderator
33,267
21,959
259
Hello everyone.

We are Happy to present to you The annual story contest of XForum


"The Ultimate Story Contest" (USC).

As you all know, in previous week we announced USC and also opened Rules and Queries thread after some time. Before all this, chit-chat thread already opened in Hindi section.

Well, Just want to inform that it is a Short story contest, in this you can post post story under any prefix. with minimum 700 words and maximum 7000 words . That is why, i want to invite you so that you can portray your thoughts using your words into a story which whole xforum would watch. This is a great step for you and for your stories cause USC's stories are read by every reader of Xforum. You are one of the best writers of Xforum, and your story is also going very well. That is why We whole heatedly request you to write a short story For USC. We know that you do not have time to spare but even after that we also know that you are capable of doing everything and bound to no limits.

And the readers who does not want to write they can also participate for the "Best Readers Award" .. You just have to give your reviews on the Posted stories in USC

"Winning Writer's will be awarded with Cash prizes and another awards "and along with that they get a chance to sticky their thread in their section so their thread remains on the top. That is why This is a fantastic chance for you all to make a great image on the mind of all reader and stretch your reach to the mark. This is a golden chance for all of you to portrait your thoughts into words to show us here in USC. So, bring it on and show us all your ideas, show it to the world.

Entry thread will be opened on 7th February, meaning you can start submission of your stories from 7th of feb and that will be opened till 25th of feb. During this you can post your story, so it is better for you to start writing your story in the given time.

And one more thing! Story is to be posted in one post only, cause this is a short story contest that means we can only hope for short stories. So you are not permitted to post your story in many post/parts. If you have any query regarding this, you can contact any staff member.



To chat or ask any doubt on a story, Use this thread — Chit Chat Thread

To Give review on USC's stories, Use this thread — Review Thread

To Chit Chat regarding the contest, Use this thread— Rules & Queries Thread

To post your story, use this thread — Entry Thread

Prizes
Position Benifits
Winner 1500 Rupees + Award + 30 days sticky Thread (Stories)
1st Runner-Up 500 Rupees + Award + 2500 Likes + 15 day Sticky thread (Stories)
2nd Runner-UP 5000 Likes + 7 Days Sticky Thread (Stories) + 2 Months Prime Membership
Best Supporting Reader Award + 1000 Likes+ 2 Months Prime Membership
Members reporting CnP Stories with Valid Proof 200 Likes for each report



Regards :- XForum Staff
 

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,642
8,370
219
nice update ..warden ka style dekhke maja aa gaya ,baate karte huye aisa kya kha rahi thi .
aur warden ki language to sabse ghatiya thi .
warden ko ye bhi nahi pata ki insomania naam ki koi bimari nahi hoti 🤣.
par shruti ne badi chalaki se sab matter ko solve kar diya pehle aaruhi ki bimari aur dusra darwaje ki kundi ka tootna . debu ka naam lekar warden ki bolti band kar di .

rachna to kaafi dari huyi lag rahi hai ,khoon se sane kapde ko dhone ka chhodke usko sambhal ke rakha hai usne .

aaj sagar ki maut jisko sab suicide samajh rahe hai usko lekar prathana ki jaa rahi hai mombatti jalake par isse nakhuh hai aaruhi .kyunki lavanya ki maut ke baad kisine aisa nahi kiya .
Insomnia bimari hi hai bhai :laughing: Par warden ko samajh nahi ayi ki kaun si hoti hai aisi bimari? Bhai dhulenge kaise khoon sukh chuka hai mehnt bhat lagegi aur uski fati padi hai pehle se hi.. Aaruhi aaruhi bahut hi jada tezz chokri hai che... :D Thanks bhai keep reading :hug:
 
Top