• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy " Girls Hostel "

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,642
8,370
219

~~INDEX~~

Chapter 1 ~~ " Supriya "
Chapter ~~ 2 " The Illusion "
Chapter ~~ 3 " Catatonic Schizophrenia "
Chapter ~~ 4 " A True Face "
Chapter ~~ 5 " The Antiquarian "
Chapter ~~ 6 " The Amazon "
Finale
Chapter 7 : " Book Of Hoax "

Some Comments for this story :love: (Late Add-on :sigh:)

सच में , यह पुरी स्टोरी दिमाग के परखच्चे उड़ाए जा रही है । कभी लगता है कहानी में सस्पेंस है तो कभी लगता है भ्रम जाल का ताना-बाना बुना हुआ है तो कभी लगता है जैसे कोई रूहानी ताकतें हैं तो कभी लगता है यह सिंपल स्टोरी है जिसमें आरूहि एक गम्भीर बिमारी से पीड़ित है ।

मुझे लगता है इससे बेहतरीन कहानी फिलहाल तो इस फोरम पर नहीं है । और सबसे बड़ी खासियत है आपके लिखने का स्टाइल और अंदाज । आउटस्टैंडिंग हर्षित भाई ।
thoos thoos ke khana khaya aaruhi ne jo ekdam majedar horror type scene tha ..
सही में , हर्षित भाई ! मुझे बहुत ही दया आने लगा है आरूहि पर । अगर किसी हरामखोर की वजह से उसकी हालत ऐसी हुई है तो उसे जहन्नुम का रास्ता जरूर दिखला दिजियेगा ।
WTF!!! Yahi pehla reaction nikalta hai is kahani ko poora padhne ke baad... Halanki pehle bhi maine is kahani ke kuchh 7-8 updates padhe huye the par jab is baar padhna shuru kiya to ek naya sa romanch har beet te update ke saath banta gaya... Bohot hi zyada behatreen tareeke se likhi gayi kahani hai ye, ab jis prakaar ka plot imagine kiya hai lekhak saahab ne uske baad ek nausikhiya bhi likhe to bhi kahani halki nahi ho sakti, aur yahaan jis level ka narration, aur scene specialization hame padhne ko mila hai, wo kaafi hai dikhane ke liye that this is, without a doubt,one of the finest stories available on XF... Chahe wo running stories hon ya fir completed, aur chahe future mein likhi jaane waali kahaniyan, is story ka ek alag hi sthaan bana rehne waala hai forum par... Aur iske liye writer saahab ki jitni bhi tareef ki jaaye wo kam hi hogi...

Fantasy genre ke saath shuru huyi ye kahani, kab alag - alag genres ke darshan karane lagi padhte waqt katayi pata nahi chala... Horror, Suspense, Thriller, Adventure, Romance and of course Fantasy, aur saath hi mein Erotica ke ansh bhi... Ek story mein is se zyada kis cheez ki apeksha kar sakta hai reader!? Again, one of the best stories I've ever read... Outstanding Stuff harshit1890 bhai... :bow: :bow: :bow:
Kya hi khubsurat kahani likhi hai aapne bhai... I'm just speechless, jitni bhi tareef karunga kam hi hogi... Erotica ka bhi bilkul sahi situation mein use Kiya gaya hai aur sabse important har kirdaar par lekhak ki shaandar pakad bani rahi hai... Har character ka kahani mein hona justify kiya gaya hai, kahin bhi koyi bhi character bina matlab nahi ghus aaya...

Ab dekhna ye hai ke Mehta waali meeting mein kaun kaun shaamil tha aur unka maksad kya tha? Aur Shruti is sab ki sachayi jaan bhi paayegi ya nahi? Aruhi sach mein kisi beemari ka shikaar hai ya kewal naatak kar rahi hai? At last, Ek baar ko apun ko ye bhi laga ke asal mein ye sab jo ho raha hai wo kewal Shruti ki kalpana hai... :dazed:

Outstanding Story & Updates Bhai & Waiting For Next...
Harshit bhai... Kayi horror stories padhi hain maine, joki poori tarah se horror genre par based hain but jis tarah ka scene aap create karte ho, taking into note ye story horror genre par based hai bhi nahi, that's phenomenal...
meghnath naam rakhne ke pichhe ki kahani bhi majedar hai 😍😍😍..
jab me TV nahi dekhta( waise tha nahi nahi ghar par ) tha bachpan me aur bas naam suna karta tha to khudko SHAKTI KAPOOR. kehta tha dosto ke bich 🤣🤣🤣..ye kissa padhke bachpan ki yaade taaza ho gayi 😍😍😍..
Slowly my interest is increasing towards the story full of adventure, fun to read, no doubt you are a great writer, thank you for writing such a beautiful story.
Have to admit, your story completely twists the thinking, sometimes it seems in the mind that it is just a disease and sometimes it seems like something supernatural. Your writing is commendable, even after writing this much there are many questions and there will be many such points which I have missed. In some scenes there was a combination of intensity as well as erotic scenes, which you have shown very well, what should I say now, now the words of praise are over understand my feelings.
harshit1890 Hats Off... enjoyed it. :applause:
but why were you making her nude everytime in front of everyone. :angry:
मुझे नहीं लगता दुनिया में कोई भी ऐसा माई का माल होगा जिसे इस कहानी की पहेली समझ में आ रही हो। गजब का दिमाग हिला रखा है आपने हर्षित भाई।
The whole incident, that Mansion one was written so beautifully that no words are sufficient to describe it! Ismein koyi doraye nahin ki maine aaj tak kisi ko bhi is tarah ka horror likhte nahi dekha hai... Haunted ko read kiya tha maine, kaafi pehle, aur main bilkul daave se keh sakta hoon, that you're the best,when it comes to generating real fear in readers, while they read the story..
Bhatt the phakk is this estory?:redface:
 
Last edited:

Naina

Nain11ster creation... a monter in me
31,620
92,252
189
are ... ladkiyunka aisa hi hota hai apke tymmei bhi tha.. jo marzi pehne puchti jarur hai kaisahai? :D

nangi jakar invitation thodina dena hai :D

how come this logic fits here :D

Ab banane wale ne galyan hi aisi banai.. humka kar sakat hai... :D

shruti is litt... 🔥 Aap use samajh hi nahi paa rahe ho :D College life ke maze lijeye.. wahan sab koi apne hi dimag ka hota hai :D BHanti bhanti.. prakar ke bache.... :D Next time jada baval machayegi.... :D Thanks naina ji :hug:

THanks bhai :hug:

Han... bhai.. sabko maze ane chahie na... Thanks bhai :hug:

Ek aap hi ho jo shruti ko samajh rahe ho.... bas ab aage ke kuch do teen update bhi samajh gaye to apko samajh aa jayega ki ye hai kaun... :D Baki Naina ji nahi samjhi hai shruti ko :D
Nahi.. vo drink karna nahi chahti thi lekin harpreet ne jakoch diya.. hukka to hum bhi tika lete hain kbhi kabar.. bas yahi ek adat hai.. manoranjan ke liye... coke ke sath :D sath mein panner tikka ho to maza alag aa jata hai :D Hanikarak to har koi kuch hai... par kya kare jaban ka hi to khel hai is kalyug mein... Napunsak :ohno:

Han ab apko kahani ka start milega... :D Thank you so much sanju bhai :hug:
Dekho dekho kaise harshit1890 sahab shruti ko bachane ki koshish karing... Jaise writer sahab us malini ko bachane ki koshish kar rahe the haweli pe :D
par harshit1890 sahab bhool kyun jaate hai baar baar lagatar ki is shruti ka haal bhi wohi hona hai jo us tharki malini ke sath hua tha... aur harshit1890 sahab ye bhi bhool gaye ki jaise weh chaah kar bhi bacha nahi paye the tharki malini ko thik ushi tarah is baar is story ki kirdaar shruti ko bhi nahi bacha payenge :devil:
is tharki kirdaar shruti ki to aisi ki taisi kar deni hai meko :evillaugh:
is kirdaar shruti ki to :chop:
 
Last edited:

Akki ❸❸❸

ᴾʀᴏᴜᴅ ᵀᴏ ᴮᴇ ᴴᴀʀʏᴀɴᴠɪ
26,727
30,992
304
Chapter 1 ~~ " Supriya "

Andhere mein ek matr roshni tab hui jab phone vibrate hua aur uski screen se roshni ane lagi. Vo kuch der tak vibrate hota raha jiske baad uski ankh khuli. Usne takiye ke pas pada phone uthaya aur adhi nind mein hi screen par dekhti hui sochne lagi ki uska phone kharab ho gaya hai. Phone lagatar vibrate ho raha tha aur screen bhi usi tarah khuli hui thi jaise kisi ka phone to aya hai par uspar koi number maujud nahi tha. Usne phone par answer swipe kiya aur utne mei hi vo cut ho gaya. Katte hi phone lock ho gaya jise usne unlock kiya aur call log dekhne lagi. Wahan par sabse akhri aya phone abhi ka hi tha, 3 baj kar 3 minute lekin number likha nahi aa raha tha. Usne ubasi bhari aur phone lock karke wapis so gayi. Paki nind mein thi isliye ankh band karte hi nind aa gayi.

" uth ja kamini kab tak soyegi, sapne mein koi le raha hai kya teri " kamre ki khidki se ati suraj ki roshni uske chehre par padh rahi thi lekin vo uthne ka naam nahi le rahi thi. " dekh supriya tu ab nahi uthi to main maan lungi ki tu kisi ladke ko de rahi hai sapne mein " usne uska kandha hilaya aur phir uski chatiyun ke nipple ko khinch diye.

" haramzadi " nind mein chillate hue usne uska hath jhatak diya.

" he he he check kar rahi thi ki chudte hue sapno mein tere khade hue ki nahi " vo apne bistar par aa laiti aur phone utha liya. Supriya apna sina sehlati hui khadi hui aur jamai lete hue uth baithi. " tu badi kutiya hai megha "

" mera kutiya hone ka pata nahi lekin kutiya hokar chudna jarur pasand karungi " megha ne apne dimag mein kuch waisa hi pose bana liya.

" tujhe iske alawa kuch sujta hi nahi hai kabhi " baal banate hue supriya boli. Usne dono palang ke bich mein rakhe stool par se apna rubber band uthaya aur use balon mein bandhne lagi. " 8:30 baj gaye hain " baal bante waqt usne ghadi mein time dekha " aaj phir class miss ho jayegi " vo bed se khadi ho gayi.

" class chhod ye jo tu jhadne lagi hai na iska kuch kar " megha ne uske uthte hi ishara kiya. Supriya ne bistar par dekha to vo bhi hairan reh gayi, balon ke guche- guche pade the jaise uske baal raat utare gaye ho. " par tu ek baat bata mujhe, tere sar par ye kaisi jadh hai jo itna jhadne ke baad bhi khile hue hai? sala mujhe kabhi kabhi samajh nahi ata ki tere mein kami hai ya mere mein. Itne baal tutne ke baad bhi itne khile hue hai "

" teri nazar ki wajah se hi tut rahe hain, sara time nazar lagati rehti hai haramzadi kahin ki " muskurate hue usne jawab diya aur palang jhadte hue usne almari kholi. Jo kamre ke ek kone mein rakhi ek matr almari thi. Usi mein dono ke kapde rakhe hue the, kuch jarurat ka saman aur kitabein jo almari ke uppar rakhi thi. Supriya ne apne kapde nikale ek bra aur penty ke baad pajami nikala aur towel kandhe par daal kar bathroom ke andar ghus gayi.

" megha sahi keh rahi hai bahut baal jhadne lage hain, pata nahi kya hai, sab kuch try kar liya. Maa se puchna padega vahi koi desi ilaz batayegi " brush karte waqt khud ko aine mein dekhte hue supriya soch mein dubi hui thi. Bina nahaye bhi vo behad sundar lagti thi, use apni ankhein badi pyari lagti thi aur vo har dum bas usi ke bare mein sochti rehti thi, halki brown-black eyes use apni ankhon ke multi-color hone par naaz tha jo uske sundar chehre par nikhar kar ata tha. Brush karke usne apne sare kapde utare aur shower on kar diya. Aaj sar dhone ka din nahi tha lekin itne baal-tute the ki usne pani se sar dhona behtar samjha. Pani jaise-jaise uske balon ko bhigo raha tha waise waise uske baal tute hue niche gir rahe the aur behte hue nali mein jaa rahe the. Kuch der vo waisi hi nahati rahi aur baal usi tarah tute rahe. Fir usne shower band kiya aur apne sharir par sabun ache se ragda aur fir naha dho kar bahar nikli.

Sar par towel bandh kar vo bra aur pajami pehen kar bahar ayi " jaa naha le, na jane tab se kya kar rahi hai phone par "

" nahati hun yaar kya jaldi hai "

" class nahi leni tujhe? "

" leni to hai par class nahi kuch aur "

" hehehe sali haramzadi " supriya ne almari se ek kurta nikala, light blue color ka aur use pehen liya. Towel sar se utara aur baal pochne lagi.

" aaj tune sar gila kar liya? " megha ne phone se nazar hata kar use dekhte hi toka.

" han bahut baal jhade kal raat to socha dho lun aaj "

" tera dimag kharab hai, aaj amavas hai, aaj nahi dhote baal "

" are wah tu manti hai in sab mein " supriya ne uska mazak banate hue kaha.

" nahi mein nahi manti lekin tu agar lawda dilwa de to maane lagun " megha ne andaz mein kaha aur fir dono hasne lagi.

" teri aag shant nahi hoti, akash se baat nahi bani kya abhi tak? " apne aap ko savarte hue supriya baat kar rahi thi.

" usi ne to aag laga rakhi hai, sala subah-subah hi puchta hai ki kaisi ho? ab isko kaise bataun ki raat ki gili hun aur abhi tak sukhi nahi hun "

" badi besharam haramzadi hai tu " supriya ne mathe par choti bindi lagai jisne uske mathe ko aur nikhaar diya.

" jab niche se awaz ati hai to besharmi piche se bahar nikal jati hai. "

" chal ab ye batein chhod, mess mein nashta nahi milega aur mr. dutt ki class chutti to vo alag lenge baad mein, jaldi khadi ho ja " supriya ne megha ki taraf dekha jo sidhi laiti hui chatt ki taraf dekh rahi thi bas. " kya hua ab kya deewar par chadh kar akash ko degi? " supriya ki baat ka usne koi jawab nahi diya to chehre par ayi hansi gayab ho gayi. " megha? " vo uske pass ayi. " megha " hilane par bhi usne koi jawab nahi diya bas chatt ki aaur dekhti rahi " kya dekh rahi hai ? " achanak se aye badlav ne supriya ko bhi dara diya. Usne bhi ek pal himmat karke chatt ki taraf dekha lekin wahan kuch nahi tha sivai ek pankhe ke jo band pada tha.

" soch rahi hun ki akash mujhe kitni der tak chhod sakta hai " megha ke bolte hi supriya ne ek chanta uske gaal par laga diya.

" ek number ki haramzadi hai tu, main jaa rahi hun class " supriya ne books li aur bahar nikalne lagi " kitni der mein ayegi? " usne ek baar fir pucha.

" tu chal bas ati hun main " megha ke jawab dete hi supriya bahar nikal gayi. Uske jatte hi megha ne phone uthaya aur akash ka message fir se dekha jahan usne likha tha. ' tumhara yovan aisa hai ki ras niklta rahe aur mei use pita rahun ' kal raat ko aur subah ki hui baton mein kuch isi tarah ki baat thi par akash ke is message ke baad megha likh nahi payi thi kyun ki uska yovan niche se gila hota hi jaa raha tha.

Megha ne apna hath pajame ke andar dala aur penty ke uppar se apne yovan se bhari jawan chut ko chu liya aur fir use sehlane lagi. ' aahh ' bhari siskiyun ne uske badan ki tadap ko badhaya aur hath ki speed badh gayi. Abhi vo penty ke uppar se hi use masal rahi thi.

" main soch rahi thi ki aaj dutt ki class chodh deti hun aur tere liye canteen se kuch order kar deti hun, bata kya legi? " supriya gate khol kar andar ghusi to usne dekha megha apni chut sehlane mein lagi hui thi.

" supriya " megha use dikhte hi chillai aur usne apna hath bahar khinch liya. Bas iske aage vo kuch keh pati use pehle hostel mein ek shor gunj utha. Dono kamre se nikli aur corridor se niche ki taraf daudi.
:reading:
 

Akki ❸❸❸

ᴾʀᴏᴜᴅ ᵀᴏ ᴮᴇ ᴴᴀʀʏᴀɴᴠɪ
26,727
30,992
304

harshit1890

" End Is Near "
Prime
5,642
8,370
219
Update ~~ 35

" kahani? yani ye khandar haunted hai, hai na? " aaruhi jo tab se wahin khadi thi hamare bich mein atte hi boli.

" chalo tumhari dost kam se kam yahan to ayi " vidhu hanste hue bola aur pot se kasht khinchta hua ankhein band karke baith gaya. " baitho " usne aaruhi ko baithne ka ishara kiya lekin vo baithi nahi. Mujhe ab use irritation hone lagi thi kyun ki vo bahut jada overreact kar rahi thi. " ok mat baitho " vidhu ne ankhein kholte hue kaha.

" kya kahani hai is mansion ki? " harpreet ne pucha yani use bhi abhi tak malum nahi tha " jo tumne hume bhi nahi batai kabhi.. "

" kabhi kisi ne puchi hi nahi to batayi bhi nahi "

" lekin kahani hai kya ? " mene pucha

" Kahani wahi hai jo har purane mansion, ghar, bunglow ki hoti hai... " vidhu ne chota sa jawab diya jisme ye samajh aya ki aaruhi sahi.

" yani sach mein haunted hai.. "

" ek minute " aaruhi apni baat pura karti use pehle vidhu ne use rok liya " mene kab kaha ki haunted hai? " vidhu ek pal ke liye chup hua " mere kehne ka matlab hai jaise har purane mansion,bunglow ki kahani hoti hai.. vaise hi iski bhi hai.. isne bahut kuch dekha hai... jaise ki.. 19vi sadi ka sabse pehla revolt.. yani 1857 ka revolt... jo pure desh mein faila usme jo hadsa hua uske bare mein har koi janta hai.. kehte hai jo yahan rehta tha yani jis britisher ne is mansion ko banwaya tha.. uska naukar hindustani tha aur revolt ke dauran us naukar ne dono pati patni ka yahan khoon kar diya... "

" to un dono ki atma hai ? " aaruhi ne bich mein kaha.

" nahi.. abhi meri baat puri nahi hui... uske baad salon tak ye mansion khali pada raha.. jiske baad tumhe 1920 ka plague malum hai? " vidhu ne hum sabse pucha lekin kisi ne han mein sar nahi hilaya, kisi ko jankari nahi thi " koi baat nahi... 1917 yani first world war ke dauran.. spanish flu naam se ek flu felha tha.. jisme pehle stage mein kuch logon ko hua aur kuch unme se mare gaye lekin jab tak koi samjhta use pehle vo plague ki tarah puri dunia mein felh gaya ki.. ek-ek din mein mautein hone lagi.. na hi us samay itni medical samajh thi aur na hi logon ke bich education, jahan bhi plague hota wahan se log bhag kar dusri jagah rehne lage the, usi dauran kuch log yahan is mansion mein ikhata hua, dekhte hi dekhte ye mansion un besahara logon ka tikhana ban gaya lekin us plague ne is jagah ko bhi nahi chhoda aur dekhte hi dekhte is mansion mein lashon ka dher lag gaya... plague ne kisi ko nahi chhoda... lakhon logon ki jaan le li... uske baad waqt beeta.. aur dunia yahan hue hadse ko bhulne lagi.. lekin abhi jaise is mansion ko aur bhi kuch dekhna baki tha... kuch salon baad... 1947 mein jo hua use kaun nahi janta.. hazaron lakhon logon ne apni jaan di... bina matlab ke... is mansion mein bhi kuch katal hue.. chupne aur panah le rahe logon ka behrami se katal kiya gaya... fir 1984 ke dange... usne bhi kai janne li... is mansion mein sirf ek maut nahi hui hai.. balki isne itne salon ke waqt mein bahut si mauton ko dekha hai "

" to fir yahan un sabhi ki atma hai? " aaruhi ka sawal ab mujhe bhi sahi lag raha tha. Mere man mein halka dar tha to baki sab bhi aise kahani ko sun rahe the jaise sach mein is jagah par ab.. koi hai.. jo hamare alawa is jagah par reh raha hai.

" nahi... ye jagah haunted nahi hai.. " vidhu ne relax hote hue kaha jaise vo kuch der pehle nahi tha. Usne kahani badi gambhir hokar batai thi hume.

" to fir? " mene pucha.

" hmm... vo kehte hai na... kya word hota hai.... han.. ye jagah maili hai.. "

" maili.. " manpreet bol pdi.

" han maili.. jaise .. koi chiz aksar gandi hokar dhulti hai aur fir gandi ho jati hai ... jiske baad ek samay aisa ata hai ki use jitna marzi saaf kar lo uska mel nahi jata.. waise hi ye mansion maila hai.. " vidhu ne apni baat jab khatam ki to uski awaz behad dhimi ho gayi thi. Uske batane ke andaz ne mujhe hi kya sabhi ke dil ki dhadkno ko badha diya tha... manpreet ne dar ke mare gaggan ka hath pakad liya tha.. lekin main kiska pakadti? vishal to samne baitha tha.. aaruhi ka pakdti to vo pehle se hi dari hui thi aur dar jati. Vidhu hum sab ko ek tuk dekhe jaa raha tha, use aur jada ghabrahat si hone lagi, laga aaruhi sahi keh rahi thi hume yahan nahi ana chahie tha. Mujhe usko yahan lekar nahi ana chahie tha.. abhi main sochti use pehle vidhu hans pada...

" Hahahaha.. tum log itna dar kyun rahe ho... shakal dekho sabki... "

" what nonsense yaar.. dara dia tha tune " manpreet fauran beer uthate hue boli.

" sorry for my expression "

" matlab jo tumne bataya vo sach tha ya jhuth? " maine confirm karne ke liye pucha. Vidhu ne beer ka ghunt bhara aur fir bola.

" bilkul.. sach hai.. par ye jagah haunted nahi hai.... han khamosh jarur hai.. kyun ki aksar maili chizen.. khamosh hoti hai... " vidhu ne itna kaha aur tabhi khidki ke kholne ki awaz mein hum sabhi chaunk uthe. Khidki ke khulte hi tez hawa andar ane lagi aur dekhte hi dekhte.. sarri mombatiyan bhuj gayi.. jiske baad andhera pasar gaya.

" what the fuck... " main apni jagah se uth khadi hui. Manpreet vishal khade hue.. gaggan jaise shant baitha tha waise hi baitha hua tha. Use jaise koi farak hi nahi padh raha ho.

" achanak se hawa... ruko... dekhta hu.. " andar atti tezz hawa ke bich vidhu khada hua aur usne phone ki torch on ki. Halka ujala hua aur meri nazar vidhu ki hi tarah khidki par gayi, jo khulne ke baad hawa se aage piche ho rahi thi. Vidhu khdki ke pas pahuncha usne khidki ko pakda jo hil rahi thi, hawa tezz thi.. vidhu ne torch se abhi bahar ka jayza lene ke liye phone aage badhaya hi tha ki achanak se tezz bizli kadak uthi.. jiski roshni aur awaz se vidhu ke hath se phone ghabrahat se chhuta ya uske chaukne se.. par vo gira aur uske saath hum sabhi dar gaye. Bizli ki kadh-kadahat, ghup andhera jahan ek dusre ki shakal tak nahi dikhna... uppar se vo dimag mein chalti kahani... Kya yahi dar hota hai? Kuch aisa hi aaruhi ne us din mehsus kiya hoga tabhi uske dimag mein vo sab rumm chuka tha.

" vidhu..? " mene zac vac ko mari goli aur uske naam se bulaya. Is waqt samay nahi tha rules follow karne ka.

" it's okay... phone chhut gaya tha hath se.. " vidhu ne khidki band ki aur vo hamari taraf vapis aya. Roshni ke naam par uske phone ki torch jal rahi thi aur hum sab aise hi khade the ye bina soche samjhe ki humare pas bhi mobile torch hai. " mausam bahut kharab ho gaya hai bahar... baarish hone lagi hai.. i think hume kuch der aur yahin rukna pade.... main candles jalata hu " vidhu ne kaha aur fir wahan rakhi candles jalane laga. Hall mein abhi ek prakar ki shanti chai hui thi, halki halki hawa ka shor mere kano se guzar raha tha. Bar-bar andhera dekh mujhe kal ki baatein yaad aa rahi thi jo aaruhi ne kahi thi. Vaise main darne walon mein se nahi hun aur wahi kosish kar rahi thi lekin itne logon ka ek jagah par marna vo abhi tak mere samajh se pare tha.... aur hamesha ki tarah sawal yahi tha ki ise kaise malum?

" shruti... are you fine? " vishal ne mere kandhe par hath rakhte hue pucha.

" ye...s.. kya hua.. tumne aisa kyun pucha? "

" vo kab se vidhu tumse kuch puch raha tha kahan kho gayi thi? "

" vo bas.. soch rahi thi ki kya aisa ho sakta hai ... " main bolte bolte chup ho gayi.. " vidhu kya keh raha tha? "

" tumhari dost " vidhu candle jalane mein laga tha lekin abhi tak ek bhi nahi jali thi.

" meri dost... " mujhe yaad aya ki dost ke naam par vo kya kehna chah raha hai " aaruhi? kya hua use " mein ghabra gayi aur jo torch mene jalai thi use apne dono taraf dekhne lagi.

" vo nahi hai.. wahi main tumse puchne ki kosish kar raha tha ki kya vo tumhe bata kar gayi hai... behenki lodi ye candle jal kar bhuj kyun rahi hai " vidhu ne fir candle jalai aur vo jal kar bhuj gayi.

" nahi... aaruhi mujhe bata kar nahi gayi.. " ab mujhe laga ki shayad kuch galat hone wala hai. " kahan hai aaruhi " main ek dum se bhaukalti hui boli.

" shruti.. relax... relax.. aaruhi yahin kahin hogi " vishal ne mujhe shant rehne ke liye kaha.

" hume use dhundna hoga.. vo yahan par idhar udhar nahi ghum sakti... ye candles nahi jal rahi sab koi torch on karo and lets find her... warna kuch bhi ho sakta hai " vidhu ki baat sunte hi mere rongte khade ho gaye, agar usne jo bataya tha waisa kuch ho gaya aur aaruhi ne kuch kar liya to vo khud ko to kabhi maaf nahi kar payegi...

" main use dhundne jaa rahi hun " mujhe nahi pata tha kahan jana hai fir bhi main hall ke bhetar ghusi.

" shruti wait.. " vishal mere theek piche tha. Main tezi se chalte hue hall ke bheetar ghusi aur roshni se bas itna hi samajh aa raha tha ki vo koi kamra hai. " aaruhi.. tu sun rahi hai to bol.. aaruhi.. " kamre ke andar ghuste hi jab main chup hui to khamoshi jaise wahan pasri hui thi. Main kamre ke bheetar thi aur bistar ke pas hi khadi thi tabhi ek awaz kano mein padi. Samne se aa rahi thi " aaruhi.. tu andar hai " mujhe laga andar koi bathroom hoga aur aaruhi wahin gayi hogi isliye jawab bhi nahi de rahi. Ye soch main aage badi aur darwaje ke pas pahunchi, vo halka-halka khul band ho raha tha. Mujhe pakka yakeen tha vo wahin hai.. Mene abhi darwaje ke kunde par hath rakha hi tha ki piche se mere kandhe par hath padha aur mein uchak padi.

" fuck.. vishal... aise kaun karta hai.. " main uski taraf dekh sans khinchte hue boli.

" tum sun hi nahi rahi thi awaz de raha tha "

" mujhe sunai nahi di "

" bizli kadak rahi hai shayad isliye par tum yahan kya kar rahi ho "

" aaruhi shayad washroom mein hai.. wahi dekh rahi thi "

" washroom.. par kaise jaa sakti hai " vishal ne roshni mere piche dali.

" kyun nahi jaa sakti.. " jab main ghumi to paya wahan darwaja to tha par tala laga hua tha " ye kaise ho sakta hai.. abhi to ye darwaja khul band ho raha tha.. ye tala.. " main soch mein padh gayi, kya mene kuch galat dekha andhere mein?

" andhere mein galat dekha hoga tumne.. yahan aaruhi nahi hai... bahar dhundte hai.. " vishal ne bhi mujhe wahi kaha jo main soch rahi thi. Uske bolne par hum dono bahar aa gaye. Hum dono ko bahar dekhte hi vidhu bol pada.

" tum dono bina bole kahan chale gaye.. kal ko kuch ho gaya to main jimmewar nahi "

" tujhe kuch nahi keh rahe.. par aaruhi ko khojna jaruri hai " maine turant kaha.

" han.. main kab mana kar raha hun par sath raho.. akele nahi ... "

" tu aise kyun keh raha hai? jaise is jagah mein kuch gadbad ho " jo baat mujhe mehsus hui use manpreet ne puch hi dala.

" nayi ho is jagah par.. isliye keh raha hun... uppar dekhte hai.. kya pata vo uppar chali gayi ho.. waise bhi vo jabse ayi thi uppar ke bare mein bol rahi hi " vidhu ki baat theek thi, aaruhi uppar ho sakti thi.

" han theek hai chalo.. " main aage badi par tabhi dhayan aya ki hum chaar hi jane hai jo uppar jaa rahe hain ek insan missing hai " gaggan... vo nahi aa raha kya? "

" vo nahi aayega... smoke lene ke baad vo apni hi dunia mein hai.. use kuch nahi pata ki yahan kya ho raha hai " vishal ne jawab diya tab samajh aya ki itni der se ho rahi ghatnao mein uska koi response kyun nahi hai.

" chalo... " mene use ignore kiya, vaise bhi aaruhi jaruri thi aur sidiyan chadne lagi, theek waisi hi lakdi charmane ki awaz ayi jaise ki aaruhi ne bataya tha.. " aaruhi tu uppar hai " main aage thi aur baaki mere piche. Dar is jagah se jada ab mujhe aaruhi ka ho raha tha, vo itni tufaani baarish mein ek dum se kaise aur kahan ojhal ho sakti thi. Sidiyan chadte hue uppar hi ayi thi ki mere kadam ek dum se ruk gaye. Bilkul wahi jo aaruhi ne bataya tha, do darwaje ek ke piche ek kamra tha jiski khidki nahi thi aur wahan se hawa aa rahi thi. Torch ki roshni aur kano mein baarish ki awaz saaf dikhai de rahi thi. Mujhe laga tha aaruhi sirf bana rahi hai.. lekin usne jo bataya tha vo sab sahi tha abhi tak... kya uski baat na maan kar mene koi galti ki thi? Kya uske sath vakai kuch hua tha.. jise mene sapna bana diya tha.

" kya hua shruti? " vishal ne piche se halki awaz di jise meri soch tuti.

" nahi.. kuch nahi.. is kamre mein dekhe "

" par wahan to koi nahi dikh raha.. " bahar se roshni se dekh pane mein hum saksham the.. mujhe bhi dikh raha tha lekin aaruhi ki vo baat ki us raat vo palang ke niche the kahin vo sach hui to? Mere muh se ye nahi nikal raha tha. " kya hua? " vishal ne fir toka

" vo palang ke niche.. " pata nahi kaise mere muh se nikal gaya, dhatt.. kya bol dia mene.

" palang ke niche? " vidhu piche se bola " use palang ke niche sone ki adat hai? " uske sawal par main kuch nahi boli.

" ek baar dekh lete hai "

" ajeeb hai tumhari dost.. ruko main dekhta hu, vo jaldi se mile to hum niche jaye.. main aaj tak khud uppar nai aya hun " vidhu humse aage aya aur sidhe kamre mein ghusa. Mera dil zor-zor se dhadak raha tha. Vidhu ke liye dar rahi thi ya ane wale pal mein kuch hone ki sambhawna se.. Main bahut jada nervous thi kyun ki mujhe kuch malum tha jo vidhu ko nahi tha.. kahin use kuch hua to kya uski jimmear main banne wali thi? Vidhu ne awaz lagai " aaruhi tum niche ho? " vidhu ghutne ke bal baitha.

" vidhu.. ruko.. " main ek dum se bol padi.. " wahan kaise hogi aaruhi... wahan nahi hogi.. tum aa jao.. "

" ab yahan tak aya hu to dekh to lun.. ye sala baarish ka pani andar aa raha hai.. " pani ke chhite uspar halke halke padh rahe the, usne meri baat ko ansuna kara aur niche jhuk gaya. Mera dil ek pal ke liye aise hua jaise dhadak hi na raha ho.. vidhu ne jhuk kar palang ke niche dekha aur yun hi usi tarah dekhta raha. Ise itna time kyun lag raha hai? man mein vichar aya.

" vidhu.. vidhu.. " dusri baar mene zor se awaz di to usne apna sar utha kar meri taraf dekha... " aaruhi nahi hai niche " uske kehte hi mene sans li.

" to fir itni der tak kya dekh raha tha? " mene turant pucha.

" yar andar na koi chiz chamakh rahi thi jab light dal raha tha.. wahi soch raha tha kya hai... " vidhu bolte hue khada hua aur jaise hi vo kuch aur bolta uski nazar niche farsh par jam gayi.

" kya hua? " vishal ne turant pucha.. main puchti use pehle... usko badi jaldi ho rahi thi janne ki.

" nishan.. "

" kaise nishan.. " mene bhi us taraf roshni dali par bahar se nahi dikh rahe the.

" pairon ke hai... koi aya tha yahan... " vidhu ne kaha to hum bhi kamre mein ghuse. Pani farsh par baarish ki wajah se jo gir raha tha uspar koi khada hua hoga jiski wajah se pairon ki chaap dusri jagah padhi thi. Dusri kya.. kamre ke kayi jagah par thi lekin sirf usi kamre mein thi. " bahar to nahi jaa rahe ye nishan " mene bahar ki taraf dekhne ki kosish ki par wahan nahi the.

" koi kamre mein tehal raha tha? " vidhu ne sawal kiya, ek aisa jawab jiska jawab bahut se combination mein ban sakta tha.

" aaruhi? " vishal bola.

" par bahar nishan nahi gaye aur nishan bahar nahi gaye to aaruhi nahi gayi.. aur vo nahi gayi to kahan gayi? andar kaun si jagah chupi hai.. koi khufia darwaja hai kya? " vidhu mobile se idhar udhar dekhne laga. Ek to mobile ki roshni itni kam lagti hai ki uske jalne ke baad bi andhera hi mehsus hota hai.

" kahin khidki se to nahi.. " manpreet ne pehli baar kuch kaha hoga aur kaha bhi itna ganda ki man kiya usko isi khidki se dhakka dekar niche fenku aur operation bhi main hi karun.

" common yar... jaisi bhi thi.. suicidal nahi thi.. par is jagah ka koi bharosa nahi.. dekh leta hu.. " vidhu ne agree aur disagree dono karte hue khidki se jhankne ki kosish ki jisme vo bhig bhi raha tha.

" naa... nahi.. nahi kudii.. niche kuch nahi hai... " usne kaha to mere man ko tassali mili.. tassali kaisi tassali.. main kaun sa maan rahi thi.

" tum sab ka ho gaya to usko kahin aur khoje... " mujhe gussa aa raha tha. Jo bhi ho ... par aaruhi meri jimmewari thi.. aur use kuch ho jane ke dar se mujhe gussa aa raha tha in sab par jabki mujhe khud ko dosh dena chahie tha lekin vo nahi ho raha tha.. in sab ke chutiyapan par gussa aa raha tha. Main kamre se nikal kar dusre darwaje se enter hui shayad vo sab mere piche hi the par mene dhayan nahi diya.

Darwaje ke andar ghuste hi ek patli coridor thi jahan par ek taraf ko wodden ka kuch rakha tha, choti almari thi aur use aage badhi hi thi ki meri nazar samne dekhte hue ruk gayi. Samne yani ki mujhse kuch dur kamre ke us paar kya tha nahi malum par vahan ek saya khada tha. Uske baal hawa ki wajah se piche se halke halke ud rahe the. Vo parchai jo khadi thi vo aaruhi hi thi ye mante hue mene awaz di.

" aaruhi... " par usne koi jawab nahi diya... " aaruhi... " mere galle se awaz tukdon mein nikli aur kadam aage badh gaye. " aaruhi.. " main use awaz dete hue uske kareeb ayi aur uske kandhe par haath rakha.

" aaruhi.. " mere aisa karte hi jaise use jhatka laga aur vo ek dum piche ki taraf ghumi. Vo itni jaldi ghumi ki main gahbra gayi.. uske hath mein jalti hui candle thi aur vo mujhe bade gaur se ghur rahi thi.

" aaruhi.. " mere sath jab piche se teeno ne bhi awaz lagai to aaruhi ki ankhein jo kuch der pehle kanche jaisi badii dikh rahi thi vo normal ho gayi. Aisa sach mein hua tha ya mujhe andhere mein un roshni ki wajah se laga tha aaj tak vo baat nahi samajh payi lekin jaise hi vo normal hui vo bol padi.

" shruti.. samne koi hai... us taraf... koi hai.. " bolte sath hi jab vo paltti to main bhi aage ayi. Aaruhi khidki ke theek najdeek khadi thi, baarish dhuain dhaar thi aur vo khidki ke bahar kisi ke hone ka dava kar rahi thi. Main bhi jab uske sath khidki par ayi to wahan mujhe andhere aur baarish ke alawa kuch aur nahi dikhai dia.

" aaruhi wahan koi nahi hai "

" nahi shruti.. wahan koi tha.. idhar hi dekh raha tha... main sach keh rahi hun..koi tha udhar... " uske chehre par baichaini thi.. aseem baichaini... jo main saaf dekh paa rahi thi.
 
Last edited:

nain11ster

Prime
23,615
80,410
189
Dekho dekho kaise harshit1890 sahab shruti ko bachane ki koshish karing... Jaise writer sahab us malini ko bachane ki koshish kar rahe the haweli pe :D
par harshit1890 sahab bhool kyun jaate hai baar baar lagatar ki is shruti ka haal bhi wohi hona hai jo us tharki malini ke sath hua tha... aur harshit1890 sahab ye bhi bhool gaye ki jaise weh chaah kar bhi bacha nahi paye the tharki malini ko thik ushi tarah is baar is story ki kirdaar shruti ko bhi nahi bacha payenge :devil:
is tharki kirdaar shruti ki to aisi ki taisi kar deni hai meko :evillaugh:
is kirdaar shruti ki to :chop:
Chalo Shruti safe ho gayi... Iske marwane ki jid har baar kirdaron ko bacha le jati hai... :D
 
Top