• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Khwahishein (Completed)

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,139
189
UPDATE 35

After a month

Sabhi ki jindagi dheere dheere normal hone laga tha.

Ajith ko sabhi miss kar rahe thhe...Lekin dheere dheere sabhi aage bhi badh rahe thhe.

Aur ye sahi bhi tha...Kab tak Ajith ke yaad me sabhi issi tarah baithe rehte...Kabhi na kabhi to aage badhna to tha hi...Aakhir ek insaan ke chale jaane se duniya rukti to nahi.

Lekin Ajith sabhi ki dil me ek alag hi jagah bana kar gaya tha...Jab bhi Ajith ke yaad aata dil me Ajith ke liye respect aa jaata...Sabhi ko Ajith par garv tha.

Kajal ko apne phar par...Kajal ki Papa aur Maa ko apne beta par...Dhruva, Vijay aur Preeti ko apne dost par.

Lekin Kajal apne alag hi duniya me thi...Naa hi wo aage badh paa rahi thi...Aur naa hi uski yaadon me hi simit reh paa rahi thi.

Ghar waalon ko to dikhaati thi ki wo abb aage badh gayi hai...Lekin gharwaale bhi uski haal se anjaan nahi the...Sab kuch jaante hue bhi thoda vakt de rahe thhe...Dil ka jakhm bharne me vakt to lagta hi hai.

Apni tanhaiyon se ladne ke liye usne ek hospital me kaam karna to suru kar diya...Lekin raat me kaise lad paati...Jab raat ki tanhaiya usse gher leti baar baar Ajith ka chehra saamne aa jaata.

Baar baar Ajith ke saath bitaaye hue haseen pal yaad aa jaata, saath jeene marne ki kasam yaad aa jaata...Ajith ka pyar yaad aa jaata...Ajith ka usse dur jaana yaad aa jaata...Aur aakhir me Ajith ka wo note.

Kitna bebas ho gayi thi wo...Dil to kar raha tha jab bhi Ajith dikhe usse kas kar gale laga le...Baaho me bhar le aur kabhi alag hone hi na de...Lekin afsos...Ajith agar kabhi dikhta to bhi khwaab me.

Rone ke liye abb aansu sukh gaye thhe...Aankhein nam to abb nahi tha lekin suni aankhein bahut kuch bol rahi thi...Aaj bhi uss suni aankho me Ajith ka intejaar tha.

Kajal ka pyar tha ki kam hone ka naam hi nahi le raha tha...Wo to vakt ke saath badhta hi jaa raha tha.

Kajal ki haalat dekh Preeti kabhi kabhi sochti...Kya usne sahi kiya Ajith ke baare me bata kar?

Kajal ka badhta paagal pan dekh usse kabhi kabhi afsos to hota lekin saath hi usse ye bhi lagta ki bata kar sahi hi kiya.

Ek sach se bahut galatfehmi dur ho gaya tha...Ajith ki charitra par laga hua daag saaf ho gaya...Usse ummeed tha ki Kajal kuch din baad sambhal jaayegi.


Ek din aise hi

Didi didi mujhe bhi 1 chocolate do na.

Kajal ne uss bacche ki taraf dekha...Bahut maasum tha...Usse dekhte hi Kajal ke hontho me muskaan aa gaya.

Kajal ne uss bacche ko 2 chocolate diya...Baaki bacche bhi jidd karne lage...Sabhi ko chocolates baantne ke baad Kajal kuch der unn bacchon ke saath khelti rahi.

Fir shaam me.

Didi abb aap wapas kab aayengi?

Bacchon ne maasumiyat ke saath pucha.

Kajal:- Jald hi.

Bacche khus ho gaye...Kajal bhi.

Fir wo wapas jaane lagi...Bahar manager ne Kajal se kaha.

Manager:- Aati rehna beti.

Kajal:- Jarur Uncle...Aap to jaante hi hai mujhe yaha bahut hi lagaaw hai.

Manager:- Jaanta hu.

Manager ne bhi dheere se kaha...Wo bhi jaante thhe abb Ajith iss duniya me nahi hai...Ajith ka jaane ka baat unke liye bhi kisi sadma se kam nahi tha.

Jis Ajith ko apna hi orphanage me bada hota dekha, uski parwarish me kuch extra hi care kiya...Jis Ajith ko apni jindagi me safalta haasil karta dekha...Jisko unhone itna accha sanskar diya aur apna bera jaisa maana uss Ajith ki naa rehne ki baat sun kar unhe kaisa lagta?

Kajal:- Chalti hu uncle...Fir aaungi.

Manager:- Jarur beti...Ek Ajith tha...Abb Dhruva aur tum hi ho jo yaha aa jaati ho...Warna abb yaha mud kar koi dekhta bhi nahi.

Kajal:- Baaki ka to pata nahi...Lekin mai jarur aati rahungi uncle...Ajith ka yaad basa hai yaha.


Itna keh kar Kajal waha se nikal gayi.

Agar kabhi Ajith ki bahut jyada yaad aaye to wo yaha aa jaati...Ek alag hi sukoon milta usse yaha bacchon se khelte hue.

Ajith ka bachpan ko yaad karte hue aur inn baccho ko dekh kar usne faisla kiya ki apni salary ki 50% wo yaha donate karegi.

Paisa ki kami to usse thaa hi nahi...Aur aisa karne se usse ek sukoon mil raha tha...Saath hi Ajith ki yaad me kuch punya bhi mil raha tha.


Kajal:- Hello.

Preeti:- Kya kar rahi thi tu? Aur phone kyu nahi uthaya?

Kajal:- So rahi thi.

Preeti:- 9:30 pm hi hua hai aur teri baato se lagta to nahi hai ki tu so rahi thi.

Kajal:- To kya kar rahi thi mai?

Irritate ho kar Kajal ne pucha.

Preeti:- Tu acche se jaanti hai.

Kajal chup hi rahi.

Preeti:- 1 months ho gaya hai.

Kajal:- Itna aasan hai kya bhulna...Aur bhulu bhi kyu?

Kajal ki aankho me fir se aansu aa gaye.

Preeti:- Accha accha sorry...Lekin apna bhi khayal rakha kar...Khush reh yaar...Ajith bhi to yahi chaahta tha.

Kajal:- Mujhe Ajith ki yaad me hi khushi milti hai.

Abb Preeti ke paas koi jawaab nahi tha.

Preeti:- Accha sunn...Ek baat batani thi.

Kajal:- Kya?

Preeti:- Hamaare batch ki students ko offer mila hai college ki taraf se...Ek gaanw jaane ka...Waha Health Promotion ke liye kuch program chal raha hai...Kuch presentation hai sanitation aur health factors ke baare me...Health Camps bhi hai.

Alag alag jagah se doctors aur medical field ke experts aa rahe hai...Accha mauka hai.

Kajal:- To?

Kajal ne saaf inkaar kar diya...Batch ka naam sunte hi Kajal ne saaf mana kar diya...Agar wo waha jaayegi to fir se Ajith ko miss karegi.

Batch me sabhi dost honge...Ajith ke alawa...Aur wo hi nahi hoga to kya faaida waha jaane ka.

Ye uske liye bhara hua jakhm ko fir se taaja karna jaisa hoga...Ajith ki kami usse waha fir se uski dil tod degi...Kaise sambhalegi wo fir khud ko?

Yahi baatein soch kar usne soch liya wo nahi jaayegi.

Preeti:- Mai jaanti hu tu kyu nahi jaana chaahti...Lekin tujhe chalna padega.

Fir dono ke bich bahut bahas hua...Aur aakhir me Kajal ko hi haar maana pada.


Kajal ki munh se haan bulwaane ke baad Preeti bahut khus thi...Usse yakin tha ki abb baahar kahi ghumne se Kajal ka mood fresh bhi ho jaayega aur wo pehle se kaafi hadd tak sambhal jaayegi.


Kajal ne haa to keh diya...Lekin jaane ke baad ek bechaini pure sharir me mehsus ho raha tha usse.

Fir se Ajith ki yaad aane laga...Ajith ki yaad iss baar usse bahut bechain kar raha tha...Vajah kya tha ye usse bhi pata nahi tha...Lekin fir se Ajith ko dekhne ki chaahat aur bhi badh gaya tha...Kabhi usse ye apna paagalpan lagta to kabhi pyar.

Gaanw ki baare me sochte hi kabhi usse ek anjaana sa dar lagta to kabhi bechaini...Shayad kismat abhi bhi uske saath ek aur khel khelne wala tha.
 

King

𝕿𝖍𝖊 𝕺𝖓𝖊 & 𝕺𝖓𝖑𝖞 𝕿𝖗𝖚𝖊 𝕶𝖎𝖓𝖌
3,963
6,955
159
Apne sacche pyaar bhulna itna asan bhi nhi hai...
Log toh apne dushman ko nhi bhulte hai
Phir ye pyaar hai...
Jo marte dam tak dil rah jata hai...
 

Samurai

Well-Known Member
2,815
2,407
159
Update30

Apne to rula diya yaar :(
Ajith ki haalat to bht kharab hai , itna sara dard use akele hi sahna hai ,

Sach kahoon to bada ajeeb sa halaat ban gaya hai uska , maut ke muh me hai wo , jab use duniya ke sirf ek apne ( kajal ) ka sath chahiye wo usi se sabse jyada door hai , jiski muhobbat aur apnatwa jakhmo par malham hoga wahi door hai . Kaash kah deta wo kajal ko apne dil ka haal :(

Kajal ke papa bhi Ajith se nafrat karne lage jabki Ajith jaisa banda lakhon me ek hota hai :( khud ko tanha kar liya usne par doosron ko apne beinteha dard se door rakha .

Vijay aur Preeti ka majboori dekhiye. Uff song bhi situationl hai , dard bahot badh gaya :( . Kya kahoon is update ke baare me .

Samjh nahi aa raha hai Ajith sahi hai ya galat par wo jindgi ke sabse kashtmay samah par ekdam tanha hai :(

Bahot hi jinda update tha ye , ek baar ko to yun laga ki jor jor se ro doon :( ,... thanks for this wonderful update :bow:
 
Top