• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Khwahishein (Completed)

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,139
189
UPDATE 8


Ajith:- Hello.

Kajal:- Hi Ajith...Mai hu Kajal.

Ajith apne room me aane ke kuch hi der baad uske mobile me phone aaya.

Ek baar to Ajith ko viswaas hi nahi hua ki Kajal ka phone aa jaayega...Lekin jo bhi ho usse iss baat ka bahut khushi tha ki kuch der aur Kajal ki pyari baatein wo sun paayega.

Ajith:- Ji kahiye.

Kajal:- Fir aap?

Ajith:- Ohh sorry...Kaho kaise yaad kiya.

Ajith ne apne hi galti par muskuraate hue kaha.

Kajal:- Baatein bahut jaldi bhul jaate ho.

Ajith:- Shaayad.

Achanak Ajith ko kuch yaad aaya.

Ajith:- Mera phone number kaise mila tumhe.

Kajal:- Ye bhi bhul gaye...Aaj class me hi to ham ne share kiya tha ek dusre ka number.

Abb Ajith ko ye baat yaad aaya.

Ajith:- (In his mind) Sach me bhullakad ban gaya hu abb.

Kajal:- Hello...Ajith? Are you there?

Ajith ko reply na deta dekh Kajal ne pucha.

Ajith:- Yes yes...I am here...Yahi soch raha tha phone number wali baat kaise dimaag se nikal gaya.

Kajal:- Wo to niklega hi...Tum study me hi itne busy the ki tumhe ye bhi pata nahi hoga ki maine kab tumhaara number liya aur tumne kab diya.

Kajal ki baat sunne ke baad Ajith ne apna haatho se aankhein ko malne laga aur hontho me fir muskaan aa gaya.

Ajith:- (In his mind) Ye study me busy hone ki vajah se nahi hai...Sach to ye hai ki tumhaari inn khubsurat aankhon aur pyari baaton ki jaadu ne mujhe apne vash me kar liya hai.

Kajal:- Hello.

Ajith:- Hmm.

Ajith ne hadbadaa kar kaha.

Kajal:- Kaha kho jaate ho tum baar baar?

Ajith:- Kahi bhi nahi.

Kajal:- Jhuth bhi dhang se nahi bol paate ho.

Apne jhuth pakde jaane par Ajith ko khid par hi hassi aa raha tha...Iss baar Ajith ka saath Kajal ne bhi diya hasne me.

Kajal:- Accha abb bataao ki tum baar baar kaha kho jaate ho? Please ye mat bataana ki study me kho jaate ho.

Ajith:- Nahi nahi...Itna bhi padhaaku nahi hu mai.

Kajal:- To fir?

Iss baar Ajith sochta hi raha...Usse koi dhang ka jawaab nahi mil raha tha.

Kajal ko bhi jab laga ki Ajith jawaab nahi de paa raha hai to usne baat ko badal diya.

Kajal:- Ye nahi pucchoge ki maine phone kyu kiya?

Ajith:- Are haa...Ye to pucchna hi bhul gaya bekaar ki baato me ulajh kar.

Kajal:- Hamne jo baatein kiya wo bekaar hai?

Kajal ne voice ka tone change karke kaha.

Ajith:- Nahi nahi...Mera wo matlab nahi tha...Inn baato me hi ham ulajh gaye ki kaam ki baatein hi nahi kar paaye.

Ajith ne jaise taise baat ko sambhala...Ajith ka haalath ka andaaza laga kar Kajal dusri taraf hasne lagi.

Ajith:- Bataao na...Kyu phone kiya?

Kajal:- Aaj tumhaare saath padhne me bahut maja aaya...Mera bhi kuch confusion tha wo clear ho gaya...Kuch additional points bhi pata chal gaya tumhaara concepts se aur saath hi galat concept bhi dur ho gaya.

Agar issi tarah padhte rahe to knowledge bahut accha ho jaayega ham dono ka hi.

To mai yahi pucchna chaahti hu ki kya kal se ham issi tarah padh sakte hai? Agar tumhe koi problem nahi hai to.

Ajith:- Nahi...Mujhe kya problem ho sakta hai...Jarur...Balki mai hi tumse ye baat pucchna chaahta tha? Lekin ye soch kar nahi puccha ki kahi tumhe bura to nahi lagega.

Kajal:- Mujhe kyu bura lagega...Study related subject me mera full support hai.

Accha to kal milte hai class me.

Ajith:- Ok.

Khushi ke saath kaha Ajith ne.

Kajal:- Nice to talk and study with you...Bye.

Ajith:- Same herw and bye.

Fir Kajal ne phone cut kar diya.

Kajal:- (In her mind) Aaj hi baat karna suru kiya...Aur aaj hi itni gehri dosti...Kamaal hai...Kuch to speciality hai Ajith me...Jo usse baat karne me itna accha lag raha hai.

Idhar Ajith Kajal se baat karne ke baad khushi se jhum raha tha...Usse khud yakin nahi ho raha tha ki jis Kajal se dosti karne ke liye wo itna tadap raha hai wo hi dosti kuch hi ghanto me itni gehri ho gaya.

Abb usse kal ka intejaar karna bhi bahut mushkil lag raha tha.

Padhaai to hamesha se uska taaqat tha...Aur aaj to issi padhai ne usko Kajal ke bahut kareeb laa diya tha...Aur issi padhaai ki vajah se wo Kajal ke saath na jaane kitna vakt saath bitaane wala tha.

Kajal ka dosti...Pehla pyaar ka ehsas aur saath hi apne mehnat se MBBS padh paane ki khushi...Inn sabhi vajah se Ajith ka khushi ka koi thikaana nahi tha aur naa hi isse jyada khushi ka usne kabhi ummeed bhi kiya tha.

Jindagi ka sabse behatreen pal jee raha tha wo jaha se jindagi me har tarf usse khushiya hi khushiya dikh raha tha.

Itni khushiyan ek saath milne ke baad Ajirh ne bhagwaan ka shukriya adaa kiya...Ye bhi ek khaasiyat tha Ajith ka...Wo sirf dukh bharw pal me hi nahi khushiyon ke pal me bhi bhagwaan ko yaad karta tha...Iss baar usne dua bhi maanga...Iss khushiyon se bhare pal ko abb uske jindagi se alag na kare. :pray:
 

Aryan s.

Active Member
744
1,383
139
Yeh pyar bhi naa bohot ajeeb cheez hai... Insan ko bhulakkad bana deta hai....:)
Ajith ne apni jindegi mein bohot dard jhela hoga lekin bhagwan sab ke liye kuch na kuch soch kar rakhte hain....
Ajith aur Kajal ki pyar bhari baatein ko jis tarah se aapne likha hai woh mind-blowing tha, jitna bhi padho aur padhne ko dil karega....
Ye dil maange more...
Your writing skill is superb......
:thanks: AK bhai....:hug: :dost:
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,139
189
Very nice update bhai
Ajith to khusi se khi pagal na ho jaaye use hr khusi mil rhi h
Kajal bhi attract ho rhi h
Dekhte h aage kya hota h
Thanks Loveshuda bhai for your review...Khushi aur Dukh bhare pal to jindagi me aata hi rehta hai...Story me bhi aisa hi hai...Saath bane rahiye bhai.
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,139
189
:eek: aagaya wao :hug: welcome aur congrats bhi dekhta hoon free time mile to padhunga btw itsme Mahan :D
Thanks and welcome Adi on story...Ummeed hai iss baar tu jarur padhega. :D...Thanks for your comment.
 
  • Like
Reactions: Nevil singh

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,139
189
Yeh pyar bhi naa bohot ajeeb cheez hai... Insan ko bhulakkad bana deta hai....:)
Ajith ne apni jindegi mein bohot dard jhela hoga lekin bhagwan sab ke liye kuch na kuch soch kar rakhte hain....
Ajith aur Kajal ki pyar bhari baatein ko jis tarah se aapne likha hai woh mind-blowing tha, jitna bhi padho aur padhne ko dil karega....
Ye dil maange more...
Your writing skill is superb......
:thanks: AK bhai....:hug: :dost:
Thanks Aryan bhai for your review...Jaan kar accha laga ki aapko update itna pasand aaya...Saath bane rahiye bhai.
 
  • Like
Reactions: Nevil singh
Top