• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Khwahishein (Completed)

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,139
189
UPDATE 31

Aaj Kajal ki engagement day tha...Kajal ki Papa ka accha khaasa jaan pehchaan tha issi vajah se ghar pure rishtedaar aur mehmaan se bhara hua tha.

Saath hi Kajal ke kuch dost bhi ye engagement attend karne aaye the...Preeti aur Vijay unme khaas the.

Sabhi Kajal ko wish kar rahe thhe aur wo bhi sabhi ka shukriya aada kar rahi thi.

Aaj ke din wo apne rishtedaar aur mehmaano se hi ghiri hui thi...Kuch khaas interested to nahi thi fir bhi aisa kisi ko mehsus hone nahi diya tha.

Mehman ki list me do aise mehman bhi the jise dekh kar Kajal ke saath Preeti aur Vijay bhi hairaan ho gaye.

Dhruva aur Richa.

Uss vakt Kajal jyada mehmano se ghiri hui nahi thi...Wo Dhruva ke paas gayi.

Kajal:- Tum?

Dhruva:- Ha...Tumhaari engagement me attend hone aaya tha.

Kajal ko samajh me nahi aa raha tha ki Dhruva kyu uska engagement me aaya hai...Dono ke bich khaas dosti to tha nahi.

Agar dono ek dusre ko jaante the to vajah tha Ajith...Aur wohi Ajith jisse abb Kajal bahut nafrat karti thi.

Dhruva:- Tumhara dost to kabhi ban nahi paaya...Vajah bhi mai khud hi hu...Lekin jab se pata chala ki tumhara aur Ajith ka pyar saccha hai tab se tumhe bhi apna dost maana hai.

Socha aaj dost ki haisiyat se ye engagement attend karu.

Kajal:- Pyar nahi tha...Dhokha tha wo.

Kajal ne bahut gusse ke saath kaha...Dhruva bhi chup raha...Kajal ne kuch galat kaha bhi to nahi tha.

Kajal:- Pata nahi tum par vishwas karu ya nahi...Kyu ki tum ho to Ajith ke dost hi...Kya pata kahi engagement spoil karne ke irada se to nahi aaye ho...Aur ho sakta hai iska mastermind Ajith ho...Jo hamesha se mere life ka majaak banata aaya hai.

Kajal ki ye baat Dhruva ko bahut chubh gaya...Aaj pehli baar Dhruva ko Ajith ke baare me itna sunna pad raha tha...Aur wo bhi iss tarah majbur tha ki Ajith ke liye kuch bol bhi nahi paa raha tha.

Dhruva:- Nahi isme Ajith ne kuch nahi kiya hai...Mai to jaanta tak nahi wo kaha hai iss vakt...Dosti ki haisiyat se aaya tha...Agar tumhe accha nahi laga to jaata hu.

Itna keh kar Dhruva Kajal ko dekhne laga jo abhi bhi confused thi...Chehre par gussa aur nafrat bhi tha.

Fir Dhruva ne muskura kar kaha.

Dhruva:- Best wishes for your engagement...Congratulations!!!

Fir Dhruva waapas jaane ke liye muda hi tha ki.

Kajal:- Agar dosti ki haisiyat se aaye ho to thik hai...Aur tum aaj mehman bhi ho aaj hamaare...Aur aaj ki iss special day me koi mehman iss tarah se jaaye accha nahi lagta...Please engagement attend kar lo.

Richa:- Congratulations!!!

Itni der se sab khaamoshi se dekh rahi Richa boli.

Kajal:- Thank you.

Aur fir Kajal waha se chali gayi.


Dusri taraf Preeti...Usse Kajal ki itni jald engagement aur iss rishte se bilkul bhi khush nahi thi.

At 8:00 pm on roof

Dinner ke baad sabhi doat chhat (roof) me the...Engagement ka time 10:00 pm ka tha...Abhi kuch time baaki tha to sabhi ne socha kuch der baat cheet kar le.

Preeti:- Kajal tu khus to hai na iss rishte se.

Kajal:- Ha...Lekin tu ye kyu pucch rahi hai.

Preeti:- Mujhe bataya bhi nahi...Kya yahi dosti reh gayi thi hamaari.

Kajal:- Sab kuch achanak se fix ho gaya...Fir kal inform to kiya na.

Achanak Kajal ko kuch mehsus hua.

Kajal:- Tune piya hai?

Preeti:- Ha.

Kajal:- Lekin ye koi vakt hai peene ki.

Vijay:- Yahi to vakt hota hai...Dost ki engagement me nahi peeyegi to kab? Kyu Preeti? Sahi kaha na?

Preeti:- Nahi...Mai iski shaadi ki khushi me nahi pee rahi hu.

Preeti ne gusse me kaha.

Kajal ko aaj Preeti bahut ajeeb lag rahi thi...Uski harkat aaj bahut alag tha.

Kajal:- Fir kyu?

Preeti:- Sach kahu to bahut gussa aata hai? Dekh rahi hu duniya badalne me vakt nahi lagta? Sab apne faaidaa ke liye hi jeete hai.

Preeti ne Kajal ki aankho me dekh kar kaha...Preeti ki ye baatein sun kar Dhruva aur Richa bhi uski taraf dekhne lage.

Kajal:- Tu kya keh rahi hai aur kiske baare me baat kar rahi hai?

Preeti:- Kyu? Tujhe nahi pata?

Kajal:- Nahi.

Preeti:- Pata chalega bhi kyu? Tu to apni jindagi me khus hai na.

Kajal:- Tujhe kya lagta hai?

Preeti:- Lagna kya hai? Sab dikh raha hai.

Kajal:- Aisa kya dikha tujhe?

Preeti:- Yahi dikh raha hai ki iss duniya me "Saccha pyar" shayad kahani tak hi reh gaya hai...Sab ko apna khushi ki padi hai...Kisi ko kuch kurbaani nahi dikhta...Dusro ki aankho ki sachhayi bhi padh nahi paate.

Kajal:- Kya keh rahi hai tu? Kuch samajh nahi paa rahi hu mai.

Preeti:- Tu samajh bhi nahi paayegi.

Kajal:- Tu kehna chaahti hai sab meri galti hai?

Preeti:- Haa.

Iss baar Preeti bahut gusse me thi.

Kajal:- Accha bata...Aisa kya galti kiya hai maine?

Preeti:- Khud se puch?

Kajal:- Kya puchu? Aur tujhe aisa kyu lagta haj maine koi galti kiya hai?

Preeti:- Pyar karti hai Ajith se?

Kajal:- Uska naam aaj to mat le...Aise shubh din me mai uss manhus ka naam sunna nahi chaahti.

Jawaab me Preeti muskuraayi.

Preeti:- Mera sawaal ka jawaab de...Pyar karti hai Ajith se?

Kajal:- Pyar karti thi.

Preeti:- Saccha pyar ya aise hi.

Kajal:- Saccha pyar.

Lekin abb bas kar...Be wajah mujh par iljaam laga rahi hai.

Agar tu kehti hai maine galti kiya hai...To ha kiya hai...Ajith se pyar karna hi mera galti hai.

Kajal bhi abb bahut gusse me aa gayi thi.

Preeti muskura rahi thi aur ye dekh Kajal ko aur gussa aa gaya.

Kajal:- Abb ye daant kyu dikha rahi hai?

Preeti:- Kitni badi naa samajh hai tu...Kehti hai pyar karti hai...Lekin pyar kya hota hai ye samajh hi nahi paayi...Dekh hi nahi paayi Ajith kitna pyar karta tha tujh se.

Kajal:- Ha dikha tha...Ye bhi dikha ki mere alawa 10 ladkiyo ke saath relation aur tha...Tune bhi suna tha na?

Aur tu aaj uski bahut taarif kar rahi hai? Kahi aisa to nahi ki tera bhi usse relation hai.

Preeti:- Waah re teri soch.

Preeti ne taali baja kar kaha.

Preeti:- Aaj sach me tujhse nafrat ho rahi hai.

Tu hi kehti thi na aankho se dikhni wali aur kaano se sunne wali har baat sach nahi hota.

Kuch aisa hi tha Ajith ke saath...Jo usne tujhe dikhaya wohi dekhti gayi tu aur vishwas bhi kar liya...Ye nahi dikha ki jis Ajith se tu pyar karti hai wo aisa kyu kar raha hai...Kaisa dard seh raha hai aur kya jindgi jee raha hai?

Preeti ki aakhri ki kuch baat se Kajal soch me pad gayi.

Ek baar aankh band kar ke usne Ajith ko yaad kiya...Abb usse Ajith ka pyar hi dikh raha tha...Sirf Pyar...Jab bhi Ajith ne usse dur hone ki koshish kiya tha...Uss Ajith ko bhi yaad kiya...Aaj uss Ajith ki aankho me dard bhi dikhaayi diya.

Kajal:- Preeti please...Mujhe bata...Sab kuch jaana hai mujhe...Ajith kaha hai aur usne kyu aisa kiya?

Kajal abb achanak se tadap uthi.

Preeti:- Nahi...Tu ye shaadi kar aur jindagi bhar khush reh...Ajith abb tera past hai...Sirf past...Future tere saamne hai...Shaadi ke liye maan bhi gayi...Abb kyu piche mudna chaahti hai.

Kajal:- Papa ne dekha hai rishta...Kehte hai bahut accha rishta hai...Papa ne meri har baat maani hai...Yaha tak ki mere kehne par Ajith ko bhi apna liya tha...To fir mai unki ye baat kaise taal deti...Aakhir wo mere khushi ke liye hi to sochti hai.

Preeti:- Suna hai pyar karne wale log jindgi bhar ek dusre ko bhul nahi paate...Lekin ek tu hai...Kehti hai tu saccha pyar karti thi lekin 7 months me hi dikh gaya ye pyar.

Kajal:- To kya karti? Usne dhokha diya hai ye jaan kar mai roti rehti...Kya jindgi me aage badhne ka koi hak nahi hai mujhe.

Waise bhi uss dhokha ke baad mai samajh gayi duniya me pyar jaisa kuch hota hi nahi hai...Mujhe pyar shabd se hi nafrat hone laga tha.

Socha shaadi ek samjhauta hai...Aaj nahi to kal karna hi padega...Fir aaj hi kyu nahi?


Preeti:- Lekin Ajith ka pyar nahi dikha? Socha bhi nahi wo aisa kyu kar raha hai? Ajith ko tu sabse jyada jaanti thi? Kya wo aisa kar sakta tha? Kabhi usne tera faaidaa uthaya hai.

Kajal:- Shayad uss vakt galti ho gaya? Lekin tune pehle bataya kyu nahi? Aur aaj kyu bata rahi hai?

Preeti:- Mai to aaj bhi nahi batati...Ajith ne mana kiya tha...Lekin aaj tujhe badalta dekh batana hi pada.

Sach me bahut badal gayi hai...Itni jald sab kuch bhul jar naya jindagi ki suruwaat kar rahi hai...Ajith bhi yahi chaahta tha tu nayi jindagi ka suruwaat kar.

Mai bhi...Lekin apne faaidaa aur pyar ka majaak bana kar nahi.

Dekh nahi sakti mai kisi ka sacha pyar ka majaak banta hua...Kya keh rahi the niche baaki ke dosto se...Ajith dhokhebaaz hai...Usne dhokha diya hai tujhe? Har tarah se Ajith ka hi galti hai.

Lekin sacchaai ye hai ki Ajith ne pyar ko har tarah se nibhaya hai...Tu nahi jaanti usne kya kurbaani diya hai pyar me.

Tu bhale hi usse samajh nahi paayi...Lekin mai uske baare me kuch sunna nahi chaahti.

Tu khus reh ye Ajith ka dua tha aur mera bhi...Tu meri dost hai aur Ajith bhi...Shaayad dost se bhi upar.

Tera jindagi hansi khushi beetegoi to mujhe bhi accha lagega lekin Ajith ka ye kurabaani mai bekar jaane nahi dungi.

Itna mahaan hai wo ki tu soch bhi nahi sakti...Aur itne mahaan insaan ke baare me tu kuch kahe mujhe bardaast nahi hoga.

Agar aaj mai chup rahi to saccha pyar se duniya ka vishwas utth jaayega...Ek aashiq hai jisne apne pyar ke liye sab kuch kiya aur uski premika hai jo usko hi galat bol rahi hai...Kaisa pyar hai ye? Ek aashiq ki kurbaani ka koi kimat nahi?



Kajal:- Kurbaani? Please bata kya kiya hai Ajith ne aur aisa kyu kiya?

Kajal se abb raha nahi gaya.

Preeti:- Sun paayegi.

Kajal:- Ha...Jaldi bata.

Preeti:- He was AML patient.

Dhruva:- AML?

Kuch der se Preeti aur Kajal ki baatein hairaani se sun raha Dhruva iss baar khaamosh nahi reh paaya...Darte hue usne pucha.

Ye sunte hi Kajal ko bahut bada jhatka laga...Dil toota hua mehsus hua usse fir se...Kuch soch aur samajh nahi paa rahi thi.

Vijay:- Acute Myeloid Leukemia.

Vijay ne bhi dheere se jawaab diya.

Dhruva:- Full form nahi pucha? Matlab bataao.

Dhruva ne gusse me pucha.

Vijay:- Blood Cancer.

Abb sabhi khaamosh ho gaye...Kisi ke paas kuch nahi tha bolne ke liye...Sabhi dar gaye the Ajith ke baare me soch kar...Pata nahi kis haal me hoga abb wo.

Lekin Preeti aaj chup rehna nahi chaahti thi.

Preeti:- Jis insaan ke baare me itna galat soch rakhti hai tu...Wo abb iss duniya me nahi hai...He is dead...Abb please bhagwan ke liye uske baare me aisa mat bol.

Preeti ki iss baat se sabhi ki thodi bahut ummeed bhi khatm ho gaya...Ek pal bhi nahi laga...Sabhi ki aankho se aansu nikalne me...Aaj sabhi ne apna Ajith khoya tha...Wo Ajith jo kisi ka dost tha...Kisi ka pyar aur kisi ka inspiration.

Sabhi ki dil me kabhi na bhulne wali dard aa bas gaya tha...Sabhi ko Ajith ke saath bitaaye pal yaad aaya aur uss pal ko yaad karte hi aur bhi rona aa raha tha.

Kajal bechari se abb raha nahi gaya...Wo behosh ho kar niche gir gayi.

Dhruva aur Vijay ne to kisi tarah khud ko sambhaale rakha tha...Lekin dono ki aankho ki aansu bata raha tha kya beet raha hai dono par...Dosti ki koi kimat nahi hota...Aur aaj dono ne apna sabse anmol dost khoya hai jo unhe abb kabhi nahi milne wala hai.

Jis dost ne dono ke liye itna kuch kiya tha aaj ussi dost ko wo bacha nahi paaye...Iss baat par dono ko khud par bahut gussa aa raha tha.

Richa...Usse to samajh me hi nahi aa raha tha ye sab kya ho raha hai...Wo bhi roi rahi thi...Dhruva se Ajith ke baare me jitna suna tha aur aaj jo pata chala iss vajah se usse bhi rona aa raha tha...Bhagwan se ek hi sawal puch rahi thi...Acche insaan aur sacha pyar ke saath hi aisa kyu hota hai?

Preeti...Ajith iske liye sirf dost nahi dost se bahut upar tha...Apna inspiration aur idol maanti thi...Doctor hi nahi bahut accha doctor ban sakti thi ye apne talent ke dum par...Lekin ek accha doctor aur insaan kaise ban sakte hai Ajith ne sikhaya tha isse.

Jis dost ka sabse bahut respect karti thi aaj wo hi dost isa duniya me nahi hai.

Aur khud ko maaf bhi nahi kar paa rahi thi wo...Ajith ka cancer diagnose to kar liya lekin ilaaj naa kar saki.


Aaj Ajith ki iss duniya se chale jaane ki baat par sabhi ki dil me ek jakhm ban gaya tha...Kabhi na bhul paane wali jakhm.
 
Top