• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Khwahishein (Completed)

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,139
189
UPDATE 33

Ajith:- How is this possible? Ye kaise ho sakta hai.

Ajith ko vishwas nahi ho raha tha...Ek ajeeb sa dar uske man me chhaa gaya tha jo usne pehle kabhi mehsus nahi kiya tha.

Preeti:- Yes this is really shoking...Lekin ye sach bhi hai.

Preeti ki aawaj me bhi fikar tha Ajith ke liye.

Ajith kuch der aise hi sar jhukaaye baitha tha jaise usse kuch samajh me nahi aa raha tha.

Preeti:- Wo to accha hua ki initial stage me hi diagnose ho gaya...Abb tum aur late mat karo...Jaldi se treatment procedure ke liye taiyar ho jaao...Bilkul thik ho jaaoge pehle ki tarah.

Ajith ne haa me sir hilaa diya...Lekin abhi bhi usse kuch samajh me nahi aa raha tha.

Preeti:- Ok...Mai 3 weeks ke liye baahar jaa rahi hu...Jab wapas aaungi to tumhe pehle ki tarah fit and fine dekhna chaahti hu.

Ajith:- Baahar? Kyu?

Preeti:- Kuch kaam hai.

Ajith:- Hmm.

Preeti:- Fikar mat karo...Kabhi kabhi aisa hota hai jo hamaare ummeed se ulta hota hai...Ye to nahi kahungi ki Cancer normal hai but itni jaldi diagnose ho gaya yahi kaafi hai...Treatment start karo...Thik ho jaaoge.

Fir issi tarah Ajith ko samjhaane ke baad Preeti waha se chali gayi.


Mera uss din jaana sahi tha ya galat yahi baat aaj tak soch rahi hu...Shayad galat...Agar mai nahi jaati to shaayad Ajith aaj jinda hota...Lekin kya karu...Uss vakt aisa bilkul bhi mehsus nahi hua ki aisa kuch ho jaayega.

(Kajal ko dekhte hue) Ye wohi din tha jiska agle hi din tumhaare Papa ka accident hua tha.

Jaanti hi hai tu kitna bada accident hua tha...Jindagi aur maut se lad rahe thhe wo...Kuch bhi ho sakta tha...Bhagwan ka shukr hai ki wo bach gaye.

Lekin shayad issi vajah se Ajith ka jindagi bhi khatre me aa gaya tha...Wo iss accident se aur aage kya hoga ye soch kar bahut dar gaya tha.

Aur teri haalat bhi usse dekha nahi jaa raha tha...Tera khayal rakhne me, tujhe himmat dene me aur hospital ke har kaam karne me wo itna busy ho gaya ki khud ke liye vakt bhi nikaal nahi paaya...As a patient party, usne har jimmedaari nibhaya...Dawaai laana, Doctor se case ke baare me pucch taach karna, surgery ka intejar karna aur result jaana...Aur teri aur teri Maa dono ka khayal rakhna.

Bahut kuch kiya usne tere Papa ke liye...Ye to jaanti hi hai na tu bhi.

Aur pure 2 hafta laga teri Papa ko out of danger aane me.

Suru ke 2 hafte wo iss tarah se busy ho gaya ki wo khud ke liye bhi vakt nahi nikal paaya...Yaha tak ki wo ye bhi bhul gaya ki wo Cancer patient hai.

Aur jab yaad aaya aur apna Cancer ka state check kiya to pata chala abb Cancer failna (spread) suru ho chuka tha.

Baaki ki 1 hafta wo ye soch kar darta raha ki wo tujhe kaise bataaye ki usse cancer hai...Abb itna aasan bhi nahi tha...Cancer cure hoga iska 100% guarantee bhi nahi tha...Pehle hi tu ek sadme se guzar rahi thi abb aise me ek aur sadma.

Ajith ne tujhse ye chhupa liya...Kehne ki himmat bhi nahi kar paaya...1 hafta issi tarah sochta raha ki usse aage kya karna chaahiye.

Mai bhi nahi thi waha usse yaad dilaane ke liye...Usse Cancer hai ye baat sirf wo aur mai hi jaante the...Wo bhul gaya tha aur mai nahi thi usse yaad dilaane ke liye.


Aur jab mai waapas aayi tab.

Ajith:- Kaisi ho? Aur kaisa raha ye safar?

Preeti:- Bahut accha...Tum kaise ho?

Ajith:- Mai bhi thik hu.

Lekin mujhe uski aawaj se shak hua.

Preeti:- Ilaaj ho gaya?

Ajith:- Ha.

Lekin jhuth bolna bhi acche se nahi jaanta tha wo.

Fir mere jor dene par usne sab sach bata diya.

Preeti:- Paagal ho kya? Aise to mar jaaoge?

Preeti ne gusse me kaha.

Ajith:- Shaayad yahi mera kismat hai.

Dard bhari aawaj me Ajith ne jawaab diya.

Preeti:- Ye kya bakwas hai? Mai aur kuch nahi jaanti...Chalo kal Cancer hospital...Abb aur late nahi ho sakte.

Ajith:- Pehle hi bahut late ho chuka hai.

Preeti:- Tum jeena chaahte ho ya nahi?

Ajith:- Jeene ki khwahish to bahut hai...Lekin sacchai se bhi waakif hu.

Preeti:- Abhi bhi bachne ki chance hai.

Ajith:- Aur marne ki bhi.

Preeti:- Itna pessimist kaise ho sakte ho tum?

Ajith:- Pessimist nahi hu...Lekin sochta hu agar galti se bhi bach nahi paaya to kya hoga? Kajal ka kya hoga? Kaise reh paayegi wo mere bina aur kaise sun sakti hai mere baare me ye sab kuch?

Abb Ajith ki baat par Preeti ko bahut gussa aa raha tha.

Preeti:- Aur tum hi nahi rahe to Kajal kaise khus rahegi? Usko khus hone ke liye tumhe jinda rehna hoga...Aur aise hi baithe baithe tum bach bhi nahi paaoge?

Ajith:- Wo khus rahegi.

Preeti:- Abb deri mat karo...Chalo.

Preeti ki bhi ummeed badh gaya tha lekin Ajith ki agli baat ne.

Ajith:- Nahi mai kahi nahi jaaunga...Maine ye kaha hai ki Kajal ko khus rakhna meri jimmedaari hai...Aur wo rahegi bhi.

Preeti:- Tumhe marne se dar nahi lagta?

Abb Preeti bhi bebsi me boli...Usse bhi samajh me nahi aa raha tha Ajith ko kaise samjhaaye.

Ajith:- Tumhe meri baato me sirf pessimistic hi najar aa raha tha...Dar...Bahut dar lag raha hai...1 hafte se dar ki vajah se soo bhi nahi paa raha hu...Darta hu mar jaaunga...Aur itna bebas hu ki kuch kar bhi nahi sakta.

Marne ki dar kisse nahi hota...Mujhe bhi ho raha hai...Kya meri baato me tumhe dar nahi dikhta?

Preeti:- To ilaaj ke liye kyu mana kar rahe ho?

Ajith:- Kajal ke liye...Mera apna to koi bharosha nahi hai.

Bach bhi sakta hu aur mar bhi...Abar mar gaya to jaanti ho Kajal par kya gujrega? Pyar karta hu usse...Vaada kiya hai maine khud se, Kajal se aur Kajal ke Papa se...Kabhi usse dukh nahi hone dunga.

To marte vakt kaise usse jindagi bhar ke liye dard de sakta hu?

Preeti:- To kya karoge?

Ajith:- Uske dil me apne liye nafrat bhar dunga...Itna nafrat ki jab bhi wo mujhe yaad kare uska khoon gusse se khaul jaaye...Itna nafrat.

Aur fir kahi jaake chhain se jindagi ki aankhri saans lunga.

Usse pata bhi nahi chalega...Jaanta hu iss tarah se bhi usse dard hi de raha hu...Lekin ye dard uss dard se kam hai...Wo mujhse kuch dino ke liye nafrat karegi fir jindagi me aage badh jaayegi...Yahi mai chaahta hu.

Pyar ki yaadon me jindagi bitaana mushkil hai lekin nafrat ek pal me ye kaam kar dega.


Uss vakt Ajith ki baat sun kar mujhe laga wo tujhse kitna pyar karta hai...Teri khushi ke liye apni jaan ka bhi parwaah nahi kiya...Lekin saath me utna hi bewkuf tha.


Preeti:- Bahut pessimist ho yaar...Abhi bhi kyu nahi samajh rahe Cancer jyada faila nahi hai...Ilaaj ho sakta hai.

Ajith:- Lekin iss stage par jarur pahunch chuka hu ki marne ki chances bhi hai.

Preeti:- Bachne ki bhi chances hai.

Ajith:- 100% ... Agar hai to mai ready hu.


Ajith ki iss baat ka mai koi jawaab nahi de paayi...Fir bhi.

Preeti:- Haa.

Ajith:- Tumhare saamne bhi ek doctor hi hai...Fir puch raha hu...Iss baar ek Pathologist ke haisiyat se jawaab dena...Aur sach bolo.


Iss baar maine apna sir ghuma diya...Kaise jhuth bol deti.


Preeti:- To kya mar jaaoge?

Ajith:- Shayad.

Aur fir mai usse bebsi se dekhti rahi.


Ajith:- Ye blood cancer hai...Tum bhi jaanti ho baaki ki cancer se ulta ye suruwat se hi failne lagta hai.

Tumne bahut kuch kiya mere liye...Itna initial stage me shayad hi koi diagnose kar paata...Lekin aaj jo haal me hu mai iska jimmedaar mai hi hu...Itna late kar diya ki aaj aisa haal hai.


Mai sirf usse sunti hi rahi...Bolti bhi kya? Wo kuch sunne ke liye taiyar bhi nahi tha.


Ajith:- Agar maine ilaaj ke liye haa keh diya to Kajal ko batana padega...Aur agar bin bataye ilaaj karane ke liye chala gaya to jaanti hi ho wo kitni jiddi hai...Kisi bhi tarah pata kar legi aur nahi kar paayi to pata nahi kya hangama kar de.

Mai kaise uske saamne apna ilaaj kara sakta hu...Ek to marne ki chance bhi hai...Aur uske saamne kaise mar sakta hu...Chemotherapy (Anti-Cancer drug) ka dard to jaanti hi ho...Kaise uske saamne dard ke saath ladta rahunga jindagi se.

Wo bhi bardast nahi kar paayegi...Bahut pyar karti hai wo bhi mujhse...Usse bhi khud par nafrat hone lagega ki ek doctor ho kar wo mujhe bacha na saki...Aur uske saamne hi mai tadap tadap kar mar jaaunga...Bolo kaisi haalat hogi uski?

Preeti:- Lekin bach bhi sakte ho...Isse jyada khushi ki kya baat ho sakti hai.

Ajith:- Come in reality...Bahut kam chance hai...Agar therapy successful ho gaya to kya tumhe lagta hai bachne ki chances hai.

Therapy successful hone ke baad bhi bachne ki chance bahut kam hai.

Ye blood cancer hai...Bone marrow me defect hai...Transplant karana padega...Pehle hi Chemotherapy ki vajah se immune system kamjor ho jaayega.

[Immune system:- protective cells in body which fight against foreign and harmful species like bacteria, virus and other microbes.]

Aur upar se bone marrow transplant...Uske liye immune system ko aur bhi kamjor karne wale drugs khaana padega.

Socho immune system kitna weak ho jaayega.

Aur fir tum jaanti hi ho...Tuberculosis, Pneumonia, Diarrhoea, UTI jaise beemari se marne ki chances badh jaayega...Jo bacteria hamaare body me hote hai aur harmful nahi hote wo bhi kab jaan lega pata nahi.

Har cheej me saawdhani rakhna padega...Khaane me, peene me, Saans lene me, Sanitation me...Chhota sa ghaaw (wound) se bhi jaan jaa sakta hai...Bacterial infection ka itna jyada risk hai...Normal condition me kuch nahi hota lekin immunocompromised me ek chhoti si galti bhi...


Fir Ajith chup ho gaya.

Mai usse dekhti hi rahi...Fir usne bolna suru kiya.

Ajith:- Maan lo Cancer se bach gaya...Fir bhi infection se bahut mushkil hai...Abb socho...Itne koshiah ke baawjud bach nahi paaya aur mera aur Kajal ka itna koshish ke baawjud mar gaya to kaisa lagega Kajal ko...Saari jindagi dard aur bojh me bitaana padega...Aur mai usse hamesha khus dekhna chaahta hu.

Mera thik hone ki chances naa ki barabar hai...Agar thoda bhi aisa lagta to jarur karaata...Abb thik na hone wali beemari ki vajah se Kajal ko dukh to nahi de sakta...Maine iss sacchaai ko maan liya hai.

Aur mai bhi tadap tadap kar marna nahi chaahta...Sukoon se mar jaau abb itni hi khwahish hai.


Bahut rona aa raha tha Ajith ko dekh kar...Kitna kuch keh diya tha usne...Aur har baaton me sacchaai bhi tha...Kitna dard tha...Aur uske chehre ka dard ko aaj bhi soch kar dar jaati hu jab usne kaha uska khwahish hi hai abb marna...Sukoon se marna...Bahut bebsi thi uski baaton me.


Preeti:- Nahi...Tumhe ilaaj karana hi padega...Agar nahi karaaoge to mai Kajal ko sach bata dunga.


Mai bhi haarna nahi chaahti thi...Sirf yahi raasta tha Ajith ko thik karne ka...Aur kaise jaane deti...Socha blackmail hi sahi Ajith ko mana lungi.

Ajith:- Maine kaha na....

Preeti:- Mai kuch nahi sunungi...Tumhe ilaaj karana hi padega.

Ajith:- Aakhir aisa kyu kar rahi ho?

Preeti:- Ek dost ke liye aur ek doctor ki haisiyat se.

Ajith:- Ek doctor ki haisiyat se.

Itna keh kar Ajith hansa.

Ajith:- Chalo bataao...Doctor ke liye ethics ke kuch priciple bataao.

Preeti:- Autonomy, ...

Ajith:- Matlab

Preeti:- Patient ki decision ka respect karna.

Ajith:- To kya tum ye kar rahi ho? Agar 4 principle me 1st priciple hi nahi maan rahi ho to kaisa doctor ho tum.

Bahut ghatiya doctor ho tum aur doctor hi ghatiya ho to insaan kaisi ho socho?

Preeti:- Bas.

Gusse me maine kaha.

Ajith:- Maine galat kaha?

Abb mai kuch bol nahi paayi...Aur issi tarah usne mujhe kabhi bolne hi nahi diya...Kabhi mera kasam deta to kabhi teri (Kajal).

Aur aaj tak ek hi baat sabse jyada chubh rahi hai.

Ajith:- Mar jaaunga mai.

Ajith ki ye baat...Jab usne rote hue kaha tha bebsi me...Aur mai bhi kuch nahi kar paayi.


Aur uske baad maine yahi dekha ki Ajith apne acting me lag gaya...Tere dil me apne liye nafrat bharta gaya aur tujhse dur hota chala gaya.

Aur mai badnaseeb dekhti rahi ek sacche pyar ko toot te hue...Vishwas ho gaya pyar jitna bhi saccha kyu na ho kismat ke aage kuch nahi chalta.

Aur fir Ajith ko har pal marte dekhti rahi aur kuch kar bhi nahi paayi...Naa hi usse samjha saki aur naa hi kisi ko bata paayi.


Itna keh kar Preeti chup ho gayi...Sabhi usse dekhne lage...Wo abhi bhi bebas thi...Aur apni iss bebsi par sar jhukaaye baithi thi.

Kajal chup thi...Ajith ke baare me soch rahi thi...Kitna pyar karta tha wo usse...Apna jaan dene se bhi piche nahi hata...Lekin ek baat ka shikayat tha...Kabhi usse apne baare me kuch bataya bhi nahi.

Pyar me khushi ke pal to saath jiya dono ne lekin gham ko Ajith akele jii liya...Kajal se uska ye hak chheen liya.


Kajal ki Papa...Unhe bhi samjah me nahi aa raha tha...Ajith aakhir hai kya? Ek khwahish tha unka bhi...Ajith ko kas kar ek thappad lagaye aur fir gale...Lekin afsos...Ajith aaj nahi tha.

Dhruva...Ajith ki dosti par hameaha garv tha...Lekin yahi shikayat tha ki apna farz pura nahi kar paaya.

Vijay...Jis dost ko khone ki dar se wo Ajith se kuch jaane ki koshish bhi nahi kiya...Uss doat ko aaj usne kho diya tha.

Sabhi ko Ajith ki yaad aa raha tha...Ajith ki chale jaane se sabhi ro rahe the...Sabhi ko ek shikayat tha...Usne apna ilaaj kyu nahi karaya.


Preeti:- Mujhe do type ke log se bahut nafrat hai...Ek bahut bura...Aur dusra bahut sharif...Ajith jaisa...Itna accha hone ki bhi kya jarurat tha...Kaash thoda selfish hota...Apne baare me sochta...Apna ilaaj karata iss baat ka parwah kiye bina ki Kajal ka kya hota.

Fir Preeti ki aankho se bhi aansu beh gaya jise abb tak usne rok rakha tha.


Achanak Vijay ko kuch yaad aaya...Apna bag me se ek copy nikala.

Aur copy ko palat kar dekhne laga...Ek page par jaa kar uska najar jam gaya.

Sabhi Vijay ko hi dekh rahe the.

Vijay:- Ajith ka copy hai...Uska handwriting bahut accha tha...Issi vajah se uski yaad ki roop me ye copy rakh liya tha maine...Usne kuch likha hai...Apne baare me.

Fir sabhi Vijay ke paas aa gaye...Ajith ka likha wo last node padhne.

Padhte padhte sabhi ki aankho me ek baar fir aansu aa gaya.

Title tha.
"My life and My last Note".
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,139
189
Bhai.....

Kya hua hai

AJIT kya bakai me nahi raha.....
Kya yahi ending hogi, bina majnu ki laila...
Pyar me dard kitna hota hain, jitna hota hain, kam hota hain...
Thanks Killar bhai for your support and review...Aise hi saath bane rahiye bhai.
 
  • Like
Reactions: Nevil singh

Vawya Kumar

New Member
61
186
33
Bohot hi achha update hai... Jaisa pyaar ajith ka kajal k liye tha... Waisa pyaar sayad hi koi karta hoga... Ajith ne kajal ki jo puri jindagi taklif hoti... Usse bachane k liye kuch dino ka dard diya.. . Usne ilaaj nahi karbaya issliye ki marne ki chances tha...

Bas ek baat mujhe vi pasand nahi aya ki usne ilaaj nahi karaya jinda rehene ki chances hote hue vi...

Ajith k aakhiri note me likha kya thaa... Ye janne k liye bohot besabar hu....

Besabari se intejaar hai next update ka...
 
Top