• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Khwahishein (Completed)

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,139
189
UPDATE 2


Fir ek lambi khaamoshi chha gaya…Koi bolne ki haalat me nahi tha…Dhruva Ajith ke badla hua harkatein dekh raha tha…Ajith Dhruva ko ignore karne ki koshish kar raha tha aur Richa shaant baithi thi…Usse kuch samajh hi nahi aa raha tha.


Iss khaamoshi ko tod kar Ajith ne kaha.


Ajith:- Chalta hu yaar…Shaam me milunga…Abhi sar dard hone laga hai.


Itna keh kar Ajith khada ho gaya.


Dhruva:- Chal mai chhod kar aata hu.


Dhruva bhi Ajith ke paas chala gaya.


Ajith:- Nahi…Mai khud chala jaaunga.


Dhruva:- Nahi…Mai le chalunga.


Ajith:- Samajh me nahi aata tujhe…Keh diya na ek baar…Mai khud jaaunga.


Iss baar Ajith ne bahut tej aawaj me kaha…Itna tej ki Bar me maujud sabhi aadmi unhe ghurne lage…Dhruva bas hairaani se Ajith ko dekhta hi reh gaya…Wo iss tarah se pesh aayega Dhruva ne sapne me bhi nahi socha tha…Sirf yahi baat kyu, jo bhi aaj dekh raha tha wo kisi sapne se kam nahi tha…Ek bura sapna.


Fir Ajith chala gaya aur Dhruva usse sirf dekhta hi reh gaya.


Tabhi ek waiter Dhruva ke paas aa gaya.


Waiter:- Jab bahut pee lete hai to aise hi behave karte hai…Lekin dil ka bahut accha insaan hai.


Dhruva:- Aap jaante hai usse? Bataaiye na wo aisa kyu ban gaya?


Dhruva ko Waiter me Ajith ki ateet ka gawah dikh raha tha.


Waiter:- Sirf itna hi jaanta hu ki wo hamaara costumer hai 3 months se…Apne baare me kuch nahi bataya unhone…Shaant hi rehte hai…Aate hai, Payment karte hai aur Pee kar chale jaate hai…Yahi schedule hai unka…Kabhi kabhi jyada pee lete hai to apne college ke dosto se ladaayi bhi ho jaata hai.


Lekin itna jarur kahunga ki wo galat nahi ho sakte…Kuch majburi jarur hoga unka ya fir life me koi problem.


Waiter se bhi jada kuch pata nahi chala…Niraasha me wo Richa ke saath bar se baahar nikal aaya…Ajith ko dekh kar usse bahut bura lag raha tha aur saath hi kuch unhoni ka dar.


Idhar Ajith bhi hostel me apne room me aa gaya.


Room me aate hi wo bed me gir gaya…Aur aankho se aansu behne laga…Aansu aaj rukne ka naam nahi le raha tha…Ateet ke wo suhaane din ki yaadein aur Bhavisya me jald aane wali wo sacchaai…Yahi sab sochte hue usse aur bhi rona aa raha tha.


Khair kuch der baad kisi tarah usne khud par kaabu kar liya jaise wo picche 4 months se karta aaya hai…Aankho me aansu aur hontho me muskaan…Wo kisi tarah muskaan se apne aansu ko haraana chaahta tha…Sacchai to bahut pehle hi usne maan liya tha…Wo bhavisya se jeet nahi paayega…Khair aage job hi hoga dekha jaaega…Issi soch se usse khud par kaabu karne ki himmat mil gaya.




Dhruva aur Richa bhi ek park me aa gaye.


Dono ke bich abhi bhi bahut shaanti tha…Ajith ki haalat dekhne ke baad Dhruva ne Richa se acche se baat bhi nahi kiya tha.


Richa:- Itne chup kyu ho?


Dhruva:- Kuch samajh me nahi aa raha hai yaar…Dar lag raha hai agle pal kya ho jaayega? Mujh se Ajith ka ye haalat nahi dekha jaa raha hai…Aisa lag raha hai wo koi bahut badi pareshaani me hai…Usse meri jarurat hai.


Richa:- Bura mat maana Dhruva…Lekin mujhe lagta hai Ajith badal gaya hai…Ek vakt aata hi hai insaan ki jindagi me jab wo dhire dhire kar ke puri tarah se badal jaata hai…Ajith ke saath bhi aisa hi hua hai.


Dhruva:- Ye kya bakwaas kar rahi ho…Ajith badalne walo me se nahi hai…Uska nas nas se waakif hu…Wo kab kya karta hai aur kyu karta hai sab jaanta hu...Agar ek line me uske baare me kuch kahu to usse jyada mahan insaan maine aaj tak dekha bhi nahi hai…Dost hai wo mera.


Richa:- Tum baat ko maana hi nahi chaahte…Kyu ki wo tumhaara dost hai…Dusri najar se dekho tab pata chalega insaan ko badalne me jyada time nahi lagta…Aaj kal ke ladke kab girgit ki tarah rang badal le pata bhi nahi chalta.


Khud ko hi dekh lo…Mujhse pyar karne se pehle ek playboy thhe tum…Lekin abb kitna badal gaye ho…Abb ye mat kehna ki tum badle nahi ho aur sirf pyar karne ki acting kar rahe ho.


Dhruva:- Shut up…Bahut hua…Jo man me aa raha hai wo hi bak rahi ho…Aur baat aise kar rahi ho jaise pura duniya dekh liya hai tumne…Maanta hu mai badal gaya hu…Mera badlaaw acchaayi ki taraf hua hai.


Itna keh kar Dhruva chup ho gaya…Aankho me Richa ke liye gussa saaf dikh raha tha…Abb usse kuch bola bhi nahi jaa raha tha.


Richa bhi dusri taraf chup hi rahi…Abb usse Ajith par aur bhi gussa aa raha tha.


Kuch der khaamoshi me hi beeta…Iss khaamoshi ko tod kar Dhruva ne kaha.


Dhruva:- Richa…Please samajhne ki koshish karo…Mai aisi chhoti chhoti baaton me jhagada karna nahi chaahta…Aur mai Ajith ke baare me uch sun bhi nahi sakta.


Maine tumhe sirf itna bataya tha ki Ajith mera dost hai…Ye nahi ki wo kaisa hai…Please ek baar sunn lo.


Richa chup hi rahi.


Dhruva:- Please.


Iss baar Richa ne na chaahte hue bhi haa me sir hila diya.


Dhruva:- MBBS Entrance Result ka wo din…Orphanage (Anath aashram) ki wo yaadein.


FLASHBACK



Knock knock.


Ajith:- Kaun hai?


Dhruva:- Mai hu.


Aawaj pehchaan kar Ajith ne door khol diya.


Dhruva apne bed me baith kar padhne ki koshish karne laga…Lekin Ajith ka bechaini aur mobile ko dekhte hue room me idhar udhar tahalne se usse raha nahi gaya.


Dhruva:- Kyu Bandar ki tarah ucchal raha hai…Acche se nahi baith sakta hai kya ek jagah.


Ajith ki haalat se Dhruva bhi waakif tha…Lekin Ajith ko pareshaan karne me usse alag hi maja aata tha.


Ajith:- Chup kar yaar…Abhi kuch mat bol…Bahut ghabraahat ho raha hi.


Dhruva:- Kaisa ghabraahat? Kisi ladki ne propose kar diya kya?


Itna keh kar Dhruva hasne laga.


Ajith:- Nahi yaar…Entrance ka result aane wala hai kuch der me.


Dhruva:- To isme kaisa ghabraahat?


Ajith:- Ghabraahat ki hi to baat hai…Mera jindagi ka sawaal hai.


Ajith ye kehte hue thoda serious ho gaya…Dhruva ne bhi abb majaak karna band kar diya.


Kuch der baad


Ajith:- Result publish ho gaya.


Ajith ne khushi aur ghabraahat ke saath kaha…Dhruva bhi Ajith ke paas aa gaya.


Dhruva:- To apna name search kar na…Dekh kya raha hai.


Ajith:- Nahi yaar…Mujhse nahi dekha jaa raha hai…Dar lag raha hai.


Dhruva:- Kuch nahi hoga…Dekh yaar…I am sure tujhe iss baar scholarship jarur milega.


Ajith:- Nahi yaar…Himmat nahi ho raha hai.


Dhruva abb Ajith ki haath se mobile dekhne lagta hai…Aur result dekhne lagta hai.


Ajith:- Kya hua yaar…Result me kya hai? Aur tu itna chup kyu hai?


Ajith ne darte hue puccha.


Dhruva:- Sorry yaar…Iss baar bhi scholarship nahi mila tujhe.


Dhruva itna keh kar apna bed ki taraf chala gaya.


Ajith fir se udaas ho kar apne bed me baith gaya.


Ajith:- Koi baat nahi yaar…Shaayad iss baar bhi preparation me kami reh gaya…Agli baar fir entrance dunga aur scholarship haasil karke hi rahunga.


Itna keh kar Ajith ne ek book utha liya.


Dhruva bhi teji se Ajith ke paas aa gaya aur uske gaal par pinch karke kaha.


Dhruva:- Congrats yaar…Tujhe sirf scholarship hi nahi mila tu top 10 me hai.


Aur usne Ajith ko gale laga liya.


Ajith ko vishwaashi nahi ho raha tha…Alag hone ke baad mobile check kiya…Dhruva sahi keh raha tha.


Abb Ajith ki aankho se aansu nikal raha tha.


Dhruva:- Kyu ro raha hai? Ye to khushi ka maahaul hai.


Ajith:- Ye khushi ka aansu hai…Aakhir 2 saal ka mehnat rang le aaya…Tu nahi jaanta ye scholarship mera kitna bada sapna hai.


Ajith khushi se paagal ho raha tha.


Dhruva ne Ajith ko uske haal me chhod diya…Jab wo normal hua tab,


Dhruva:- Bhai ek baat puccha chaahta hu…Tu MBBS ke liye itna paagal kyu hai? Baaki subject bhi to hai…Paisa kamaane ki aur tarika bhi to hai…Jindagi jeene ki aur hansi khushi bitaane ki bhi bahut tarika hai.


MBBS ki chakkar me tune 1 year loss kiya aur iss baar bhi loss karne jaa raha tha…Aakhir itna paagalpan kyu?


Ajith ne bhi muskura kar jawaab diya.


Ajith:- Paagalpan hi hai…Aur ye paagalpan aaj se nahi jab se hosh sambhaala tha tab se hi hai...Khwahish hai mera Doctor banna.


Mai jaanta hu anaath hone ka dard…Tera dard bhi mehsus kiya hai…Anaath Aashram ki sabhi bachho ka aur har wo garib baccha ka…Sabhi ka tadap mehsus kiya hai jab wo beemar padte hai aur paiso ki kami ki vajah se ilaaj nahi kara paate hai.


Beemari ko seh kar tadapte rehte hai aur kabhi kabhi apna jaan gawaa tak gawaa dete hai…Aakhir kyu? Paisa ki kami ki vajah se.


Yaad kar yaar…Jab hame bukhaar lagta tha tab kitna mushkil se ek paracetamol milta tha…Bhagwan ka shukriya jo hame Cancer, Tb jaisa beemari nahi hua.


Bhai yahi sab dekhte hue maine faisla kiya bada ho kar Doctor hi banunga…Jitna ho sake logo ki sewa karunga…Khaas kar garib aur majbur logo ka…Paisa kamaane se jyada mera ye lakshya hai ki mai sewa karu…Insaan hu issi liye insaan ka kaam aana chaahta hu.


Mai apne saamne kisi ko paise ki kami ki vajah se marne nahi dunga…Jaanta hu isse desh aur duniya me shaayad jyada badlaaw nahi aaye lekin mai khud me wo badlaaw jarur laaunga ki paisa hi sab kuch nahi hota.


Ek aur baat…Badkismati se mai anaath paida hua aur jindagi se tabhi se lad raha hu jab se hosh sambhala hai…Agar mere Maa aur Papa hote to mere liye bahut kuch karte…Aur wohi mai apne baccho ke saath karna chaahta hu…Mai nahi chhahunga ki jo dukh maine saha hai wo mere baccho ko bhi sehna pade…Ek accha jindagi dunga unhe…Khushi aur pyar bhara pariwar…Iske liye kuch to banna padega na.



Ajith ne aankho me aansu aur hontho me muskan ke saath kaha.


Dhruva ne fir Ajith ko kas kar gale laga liya.


Dhruva:- Bahut mahan soch hai yaar tera…Anaath hona sach me badkismati hai lekin tu mujhe dost ke roop me mila ye mera khuskismati hai…Yaar kabhi mat badalna tu…Hamesha aage badhte rehna aur acchaayi ki kadam par chalte rehna.


Itna kehne ke baad Dhruva ki aankho me bhi aansu ke kuch bund tapak gaye.


Aisa hi tha Dhruva aur Ajith ka dosti…Dono saath hanste aur saath rote...Hosh sambhaalne ke baad se dono hi ek dusre ke khushi aur gum ke dost thhe.
 
Last edited:

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,139
189
Nyc update bhai.
.
Story seems good.
.
A love story.
.
Good going.
.
Keep posting.
.
..
...
...

Welcome John Bhai on the story...Glad to know you liked story...Keep supporting bhai.
 

Prince Sahil

◉‿◉⁩وصل یار کے دن
555
905
109
A friend in need is a friend indeed.
Ek ruhani dosti jo apne dikhayi is update main aur sath mein ek anath bache ki khawahish ...khair wo bacha nhi lekin usne bhi wo sab kuch saha hoga jo ashram mein rehne wale bache sehte hain...
Aur har kadam har morr pe maa baap ki kami mehsoos karte hain..

Ye to thi ajit ki pichli zindgi
Lekin aage ki zindgi bhi shayad uske sath dhoka kar gayi jo wo aaj is tarha se jee raha hai ...
As always marvelous update but too emotional...
 

Aryan s.

Active Member
744
1,383
139

:applause: :applause:
Very beautiful writing and so high quality thought.....
Mind blowing bhai....
Bohot emotional update tha, kuch aese bhi lines the jo dil mein ek jagah bana liya ....
Wohi soch aap ke previous story "Kasam" mein bhi tha....
Kuch to reason zaroor honge jo Ajith mein laa diya hai....
It will be interesting....
:thanks: :hug: :dost:
 

Abhi

Active Member
775
1,314
138
शानदार अपडेट
आपको यहाँ देखकर बहुत खुशी हुए चैम्प भाई
बहुत ही इमोशनल अपडेट था ।
ध्रुव अजीत के बारे में खराब बाते सुनना पसन्द नही है।
इसके लिए उसने काजल को डांट भी दिया ।
दोनों की दोस्ती लाजवाब है।
अजित की पिछली जिंदगी में क्या हुआ था ।
एक अनाथ की जिंदगी क्या होती है
उसे किस तरह संघर्ष करना पड़ता है ।
 
Top