• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Khwahishein (Completed)

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,139
189
UPDATE 6

Next Day

Agli din Ajith aadha ghanta pehle hi college pahunch gaya...Vajah sirf ek hi thi...Kajal.

Jab tak Kajal nahi aayi Ajith baaki ki students se introduction aur friendship karta raha...Koi bhi uski aankho ko dekh kar keh sakta tha ki usko kisi ka intejaar hai.

Ajith tab tak door ko dekhta raha jab tak Kajal nahi aayi.

Kajal ki class me aate hi Ajith ki aankhein khushi se fail gaya, hotho me muskaan chhaa gaya aur aaj apne dil ko kuch alag tarah se dhadakta hua mehsus kiya.

Ajith kal ki tarah aaj bhi last row me hi baitha tha...Vajah ye tha ki wo jyada bolna aur baatein karna pasand nahi karta tha...College aane ki bhi makshad sirf ek hi tha...Acche se padhna aur doctor ban kar nikalna.

Kajal dhire dhire uske taraf hi badhti rahi...Jitna paas Kajal aati rahi Ajith ki dil ki dhadkan aur tej dhadakne laga.

Dil se ek khwahish nikla...Kaash Kajal uske paas aa kar baith jaaye...Lekin ye nahi ho paaya...Kajal apne kuch dosto ke saath middle ki row me hi baith gayi.

Ajith dil thaam kar reh gaya...Lekin aaj khush bhi bahut tha wo...Ek najar Kajal ka mil gaya wo bhi subah subah.

Wo muskuraata hua Kajal ko dekhta raha picche se.

Lekin Kajal ki side ke hi ladki ghum kar Ajith ko gusse se dekhne lagi...(Wo kal ki ragging wali ladki hi thi.)

Uski aankho me Ajith ke liye alag hi nafrat dikh raha tha...Ajith ne iss baat ko ignore karke dusri taraf dekhne laga.

Kuch der baad lecture suru ho gaya...Ajith aaj bhi puri man laga kar padhai me dhyan laga raha tha...Usne pehle hi soch liya tha chaahe jaise bhi haalath kyu na ho wo padhai me kabhi laaparwahi nahi karega.

Lekin padhai ke bich me bhi Kajal ko kabhi kabhi ek najar dekh leta tha...Isme bhi ek alag hi maja tha.

Abb usse bhi lagne laga ki usse pyar ho gaya hai.

Ajith:- (In his mind) Shaayad isse hi pyar kehte hai.

Ye sochte hi Ajith ka muskaan aur bhi jyada ho gaya.

During lunch break.

Lunch time aate hi sabhi students canteen ki taraf chale gaye.

Jab Kajal bhi jaane lagi tab Ajith usse pichhe se deewana ki tarah dekhne laga...Aur tab tak dekhta raha jab tak Kajal door se baahar uski aankho se ojhal na ho gayi.

Kajal ke jaane ke baad hi usse kuch yaad aaya.

Ajith:- (To himself) Sirf dekhta hi rahega ya baat bhi karega...Bhul mat...Kal dosti karne ka vaada kiya tha khud se...Abb himmat kar aur dosti ke liye kadam aage badha.

Itna kehne ke baad Ajith canteen chala gaya aur apna naasta le kar Kajal se 2-3 table dur side ka hi ek table me baith gaya.

Yaha bhi uska dhyan khaane me kam aur Kajal ki kuch adaa aur jhalak paane me jyada tha.

Kajal ki har ek adaa usse bhaa raha tha jaise ki Kajal ka ungliyo se apne baal ko sawaarna aur hanste hue apne dosto se baat karna.

Jab bhi Kajal hans kar baatein karti Ajith ke hontho me bhi apne aap muskaan aa jaata...Hansti hui Kajal usse bahut cute lag raha tha.

Achanak usse kuch yaad aaya aur apna lunch jaldi se khaa kar wo class ki taraf chala gaya.

Door ki baahar hi khada raha wo...Aur fir se Kajal ka intejaar karne laga...Iss baar usne soch liya wo Kajal se baat karke hi rahega jab wo door se andar jaayegi.

Iss baar jyada intejaar karna nahi pada...Kuch hi der me Kajal apne dosto ke saath class ki taraf aa gayi.

Jo himmat Ajith ne jutaaya tha kuch der pehle wo achanak hi gaayab ho gaya...Haalat ye gaya tha ki wo Kajal se aankhein tak nahi mila paa raha tha.

Abb usse samajh aa raha tha pyar karna jitna aashaan hai utna hi mushkil hai pyar ko jaahir karna aur izahaar karna.

Kajal uske side se nikal gayi aur Ajith dekhta hi reh gaya...Ek shabd aawaj nahi nikaal paaya.

Iss baar bhi Ajith ko wo hi ladki nafrat se dekh rahi thi aur Ajith ne iss baar bhi ignore kar diya.

Fir baaki ka lecture suru hua...Iss baar bhi Ajith ka time sirf padhaai aur Kajal ki jhalak paane me nikal gaya.

Jab bhi Kajal ki jhalak milta usse ek alag hi sukoon milta.

Aise hi lecture ke vakt professor ne ek question Kajal ko pucha.

Kajal answer dene lagi...Ajith ka dhyan Kajal ki answer me kam uski koyal jaisi pyari aur surili aawaj me jyada tha.

Issi tarah Ajith ka saara din Kajal me hi beet gaya.

Abb wo dil se dua maangne laga...Kaash Kajal ka ye jhalak usse har roj issi tarah milta rahe.


College se aane ke baad wo apna room me chala gaya...Dhruva abhi room me nahi tha.

Usne apna ek khaali dairy uthaya aur Kajal ki yaado me likhna suru kar diya.

Title tha "My Dream Girl, My First Love And My Wishes."
 
Last edited:

Aryan s.

Active Member
744
1,383
139
:applause: :applause:
Pehli pyar mein jo tadap hota hai uska bhi ek alag hi maza hota hai....
Woh jindegi mein yaadein bankar reh jata hai....
Uss feelings ko aapne behetereen tareeke se likha hai....
Pyar mein hum ghar se usse baat karne ke liye than ke niklte hain, lekin woh samne aate hi hum sab kuch bhula baithte hain, himmat jawab de deta hai....
Fantastic, excellent, mind-blowing update...
:thanks: bhai....:hug:
 

Samurai

Well-Known Member
2,815
2,407
159
Update 5 kafi philosophy wala tha . Dhruva aur achhe dost to hain par insan bilkul alag hain . Ek taraf druva ke liya love life ka matlab 5 gf nahi hain to doosri taraf ajith ko apne mbbs me bhi pyar dikhta hai . Ek taraf dhruva ko lagta hai ki koi use reject nahi kar sakta hai to doosri taraf Ajith ko dar hai koi use koi kabhi haan nahi kahega . Fantabulous update . Lets see ki ab Dhruva kya bolne wala hai .
Rrading 6
 

Prince Sahil

◉‿◉⁩وصل یار کے دن
555
905
109
What an imaginative creativity... mind blowing...
A single word can never appreciate but i only have to say..
It was a true feeling of love ....
Very good update...
Keep posting...
 

Mbindas

Active Member
1,938
4,123
158
Bhai apki story me alag hi baat rehti h kuch kehte hi nahi banta. Kis word me kahu wo words hi nahi milte h apki story ki tarifon me. Aap jis tarah story me shabdo ka jaal pirote ho wo qabil-E-tarif rehta hai.

Mind-blowing update bhai. :yourock:
 
Top