• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Khwahishein (Completed)

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,139
189
UPDATE 10

Dono college ke samne wale tea shop me to chale gaye...Lekin waha ka bheed dekh kar dono ko yakin ho gaya aaj shaayad hi wo yaha chaai pee paaye.

Kajal:- Bahut bheed hai yaha to.

Ajith:- Hmm...Thanda bhi kaafi badh gaya hai...Aur shaam ka vakt bhi hai...Kisi aur din pee lenge.

Ajith ne maayus ho kar kaha...Kajal ke saath keemti vakt miss karne wala tha wo.

Kajal:- Kisi aur din kyu? Chalo kisi aur dukaan par.

Kajal ki ye baat sunte hi Ajith ka udd chuka chehre ka rang fir se laut aaya.

Ajith:- Lekin kaha?

Kajal:- Wo to mujhe bhi nahi pata...Tumne bhi dekha nahi hai aas paas chaai ki dukaan?

Ajith:- Ek dekha to hai...Lekin thoda dur hai.

Kajal:- Kitna time lagega?

Ajith:- Auto se 15 minutes.

Kajal:- Ok thik hai...Aao mere saath.

Kajal ne college ki taraf ishaara kar ke kaha.

Ajith:- Kaha?

Kajal:- College...Scooty nikaalna hai...Paidal to bahut hai.

Dono parking tak chale jaate hai...Kajal scooty me baith jaati hai aur Ajith ko bhi baithne ke liye bolti hai.

Ajith khada ho kar hi kuch soch raha tha...Scooty me baithna bhi usse thoda ajeeb lag raha tha.

Kajal:- Kya soch rahe ho...Baitho na?

Ajith bhi abb baith jaata hai.

Abb dono scooty me sawaar ho kar chal padte hai apne manjil chaai ki dukaan par.

Kajal ka dhyan to sirf scooty chalaane me hi tha...Lekin Ajith.

Wo to iss pal aur iss safar ko khul kar mehsus kar raha tha...Baar baar wo saamne mirror se Kajal ka khubsurat chehra ko dekhne ki koshish karta...Kayi baar wo kaamyaab ho jaata to kayi baar hawa se udd rahe Kajal ki ghane aur lambe baal uss ki aankho ko dhak leta...Lekin isme bhi Kajal ki baalo ki khusbu usse aur madhosh karte jaa raha tha.

Wo puri tarah se Kajal me kho chuka tha...Raasta bhi sub-conscious mind se hi bata raha tha...Kajal ke saath ye safar usse bahut accha lag raha tha aur beeta hua har ek pal Kajal uske dil ke gehraai me samaati jaa rahi thi.

Usse aisa lag raha tha jaise ye safar khatm hi naa ho...Lekin afsos...15 minute me hi dono pahunch gaye chaai ki dukaan par.

Kajal:- Aa gaye.

Lekin Ajith ko sunaayi hi nahi diya.

Ajith abhi bhi madhoshi me hi gumm tha.

Kajal:- So gaye kya?

Ajith ki band aankho ko dekh Kajal ne pucha...Iss baar Ajith ne bhi aankhein khola...Aankh kholte hi uske saamne Kajal ka muskuraata hua pyaari si chehra dikh gaya.

Kajal:- Kamaal hai...Scooty me hi soo jaate ho.

Kajal ne hairaani se kaha.

Ajith ne bhi muskuraate hue sir ko haa me hilaa diya...Wo Kajal se ye to keh nahi sakta tha ki wo uske pyar me kho gaya hai...Isme usse ye hi sahi jawaab mila.

Kajal:- Chalo...Garma garam chhai peete hai...Dekhna fir tum kaise fresh ho jaaoge.

Fir dono hi saamne ke chaai ki dukaan me chale jaate hai.

Dono ek table me baith jaate hai...Unke paas waiter ki jagah khud dukaan ki maalik aate hai aur kehte hai.

"Kya baat hai Dr. Sahab...Lagta hai abb yaha ka raasta hi bhul gaye hai?"

Ajith:- Nahi chacha...Abhi abhi college join kiya hai...Iss vajah se thoda busy tha...Abb aage se aata rahunga.

Chacha:- Shukr hai...Warna hame to laga tha ki abb mera ye dukaan kahi aapke haisiyat ke saamne chhota to nahi ho gaya.

Chacha ne muskuraate hue kaha.

Ajith:- Sabse pehle to aap mujhe aap kehna band kijiye...Aur ye kya haisiyat ki baat kar rahe hai aap...Aap ko bas aise hi chacha nahi bulaata hu...Dil se maanta hu iss vajah se...Aur chahe baad me kitna hi bada kyu na ban jaau aap sabhi ke liye chhota hi rahunga.

Aur rahi baat chhai peene ki to ye baat yaad rakhna...Chahe aap ki marji ho ya na ho mai to hamesha aata rahunga chaai peene...Bachpan ki yaadein hai ye sab mera.

Chacha:- Abhi bhi nahi badla tu.

Chacha ne fir se muskura kar kaha...

Ajith:- Aur badlunga bhi nahi.

Chacha:- Jaanta hu...Mai to bas aise hi majaak kar raha tha...Ye bata ye saath me kaun hai.

Chacha ne Kajal ki taraf ishaara kar ke kaha.

Ajith:- Kajal...Mera dost...Aaj saath me chaai peene aaye hai.

Kajal ne Chacha ko namaste kiya aur apna chhota sa intro diya.

Fir...

Chacha:- Bas kuch der aur intejaar karo...Ek garma garam special chhai bana kar laata hu tum dono ke liye.

Kajal:- Bahut acchi jaan pehchaan hai?

Ajith:- Ha bachpan se hi yaha aata hu chhai peene...Bagal me hi rehta hu.

Ajith ne last ke sentence bahut mushkil se kaha...Usse apna pehchaan bataane me thoda dar sa lag raha tha.

Kajal:- Yahi bagal me...Lets go...Tumhaara ghar bhi dekh leti hu aur tumhaare parents se mil bhi lungi.

Kajal ne thoda excited ho kar kaha.

Ajith ko jis baat ka dar tha wo hi hua...Itna jaldi usse apna asli pehchaan batana padega ye usne socha nahi tha.

Ajith:- Pehle chhai pee lete hai uske baad.

Ajith ne baat ko taalne ki koshish kiya.

Fir kuch hi der me chhai bhi aa gaya.

Kajal:- Wow...Bahut hi lajawaab hai.

Kajal ki chehre me jo khushi dikh raha tha wo bata raha tha usse chhai kitna pasand aaya hai.

Aur Ajith Kajal ka issi adaa me hi to fidaa tha...Chhoti si baato par khush ho jaana...Uska muskaan jab bhi dekhta wo bhi muskuraaye bina nahi reh paata.

Ajith ne bhi ek chuski liya chhai ka.

Ajith:- Chacha.

Chacha:- Kya hua beta?

Chacha jaldi se apna kaam chhod kar aa gaye.

Ajith:- Ye sab kya hai chacha...Itna kam sakkhar (sugar)...Aap to jaante hai na mujhe chhai me sakkhar kitna pasand hai.

Chacha:- Sambhal jaa abb...Kahi Doctor banne se pehle hi Diabetes ka marij na ban jaaye tu...Doctor banne jaa raha hai...Apna sharir ka to kuch khayal kar.

Ajith:- Kuch nahi hoga Chacha...Aadat ho gaya hai abb to...Aur Chacha maine pehle bhi keh diya hai mai khud ko nahi badalna chaahta.

Jaisa tha waisa hi rehna chaahta hu...Agar chhoti chhoti baato me badalne lag gaya to pata nahi kya se kya ban jaaunga aur dar hai ki mai khud ko hi na kho du.

Mai apne liye nahi apno ke liye jeena chaahta hu jinki vajah se aaj mai yaha hu.

Ajith ki baat sun kar Chacha to kuch kahe bina hi muskuraate hue chale gaye...Wo to pehle se hi jaante thhe ki Ajith kaisa hai aur issi me khush thhe ki Ajith me aaj bhi koi barlaaw nahi aaya.

Lekin dusri taraf Kajal bhi Ajith ke baare me nayi nayi baatein jaan rahi thi...Kuch hi din me wo bhi Ajith se bahut impressed ho gayi thi.

At counter

Ajith:- Kitna hua Chacha?

Chacha:- Aaj tum se koi paisa nahi lunga.

Ajith:- Kyu? Abb achanak se aap ko kya hua?

Chacha:- Aaj meri taraf se party samajh le.

Ajith:- Kaisa party?

Chacha:- Itni mehnat se tune college me admission karwaya...Tera mehnat aur safalta ke liye hai ye party.

Ajith:- Lekin chacha paisa to...

Ajith ne sirf itna hi kaha tha ki...

Chacha:- Ek baar keh diya na aaj koi paisa nahi lunga...Aur abb mai kuch nahi sununga.

Isa baar Ajith ne bhi kuch nahi kaha.

Chacha:- Maan jaa...Mujhe khushi hoga.

Iss baar Chacha ne bahut pyar se kaha...Aur Ajith bhi maan gaya.


Chaai ki dukaan se nikalne ke baad.

Kajal:- Sach me bahut laajawah chhai pilaaya tumne.

Kajal abhi bhi chhai ki duniya se baahar nahi nikal paayi thi.

Ajith:- Ye to Chacha ki haath ka jaadu hai.

Kajal:- Ha sach me...Kya ham kabhi kabhi yaha aa sakte hai chhai peene.

Ajith:- Jarur.

Ajith bhi khus tha ki Kajal ko chhai pasand aaya aur baad me yaha aur saath vakt bitaane ko milega.

Kajal:- So now...Lets go.

Ajith:- Kaha?

Kajal:- Tumhaara ghar.

Ajith ko jis baat ka dar tha wo hi hua...Wo ummeed kar raha tha ki kaash Kajal ghar wali baat bhul jaaye lekin aisa nahi hua.

Kajal:- Chalo na...Kya soch rahe ho?

Kajal ne dosti ke hak ke saath kaha.

Ajith:- Aaj nahi...Fir kabhi.

Kajal:- Kyu?

Ajith:- Aaj mujhe baahar jaana hai abhi.

Kajal:- To thik hai...Ghar dikhaa fo...Mai khud chali jaaungi.

Abb Ajith buri tarah se fass gaya...Usse kuch bhi samajh me nahi aa raha tha.

Ajith:- Wo kya hai ki...Wo...

Ajith bas haklaata hi reh gaya.

Kajal ko bhi kuch samajh me nahi aa raha tha ki achanak Ajith ko kya ho gaya.

Kajal:- Are you fine?

Ajith:- Yyes yes...I i am ffine.

Ajith ne bhi socha...Ek na ek din to sab bataana hi hoga...To fir aaj hi kyu nahi...Aur apna asli pehchaan bataane me bhi kaisa dar?

Aur wo khud bhi to yahi chaahta tha ki koi ladki usse pyar kare aur naa ki usme uska haisiyat dekhe.

Usne socha...Agar Kajal usse pyar karegi to usko uska asli haal me apnana hoga.

Iss baar himmat kar ke Ajith ne apne ungli se saamne Anaath Aashram ki aur ishaara kar diya...Wo nahi chaahta tha ki uska pyar ka suruwaat jhuth se ho.

Jab Kajal ne Ajith ki ungliyo ka peecha kiya aur building ke board ko padha tab wo bilkul hi hairaan ho gayi...Usse na hi kuch samajh me aa raha tha aur naa hi apne aankho me viswaas ho raha tha.

Abb wo Ajith ki taraf dekhne lagi...Ajith ka jhuka hua chehra uska shak ko yakin me badal raha tha.
 

Aryan s.

Active Member
744
1,383
139
:applause: :applause:
Superbly written......
Ajith ko aaj kuch samay Kajal ke sath spend karne ke liye mil gaya woh uske liye badi baat hai....
Ajith toh kajal ki pyar ki nashe mein puri tarah doob chuka hai....
Ajit aur Chacha ki baatein bohot impressive tha....
Aap jis soch se likhte ho wohi bohot achhha lagta hai....
Humse koi pyar kare toh hum joh hain usse chahen....
Dekhte hai kajal ki reaction kya hota hai....
Excellent update....
:thanks: for the update.... :hug: :dost:
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,139
189
Bhai kya update diya hai aapne. Wese is story me kahi na kahi kasam story ki jhalak bhi aa hi jati hai. Jo bhi ho story bohot achchhi hai. :yourock:
Thanks Mbindas bhai for your review...Sahi kaha bhai aapne...Abhi tak kuch updates me Kasam ka jhalak dikh rakha hai maybe Atul and Ajith ka character thoda matching hai...Lekin aage ka plot different hai...Saath bane rahiye bhai.
 
  • Like
Reactions: Nevil singh

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,139
189
:applause: :applause:
Superbly written......
Ajith ko aaj kuch samay Kajal ke sath spend karne ke liye mil gaya woh uske liye badi baat hai....
Ajith toh kajal ki pyar ki nashe mein puri tarah doob chuka hai....
Ajit aur Chacha ki baatein bohot impressive tha....
Aap jis soch se likhte ho wohi bohot achhha lagta hai....
Humse koi pyar kare toh hum joh hain usse chahen....
Dekhte hai kajal ki reaction kya hota hai....
Excellent update....
:thanks: for the update.... :hug: :dost:
Thanks Aryan bhai for your support and such a nice review...Kajal ka kya reaction hoga wo bahut jald pata chalega...Saath bane rahiye bhai.
 
  • Like
Reactions: Nevil singh
Top