• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Khwahishein (Completed)

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,139
189
UPDATE 5

Dhruva:- Kaisa raha aaj pehla din?

Ajith ne apna first day ka experience sunaya...Sirf ragging ki baatein chhod kar.

Dhruva:- Kitna boring hai tu?

Ajith:- Kya?

Dhruva:-College ka first day hai...Tu masti aur ladkiyo ko dekhne ki jagah din bhar padhta hi raha.

Ajith:- College padhne ke liye hi jaate hai.

Dhruva:- Wo sab sirf ideal students ke liye hai.

Ajith:- Tu kya hai fir?

Dhruva:- Aashiq...Aur college mera dating spot hai.

College join kiya hi tha ye soch kar ki larkiya bhi waha aayegi...Aur kismat bhi accha hai engineering college me bhi kuch ladkiya hai.

Ajith:- Tu aur tera aashiqui...Aisa lag raha hai koi flop story ka plot sun raha hu.

Ajith ki baat sun kar Dhruva hansne laga...Achanak Ajith ko kuch yaad aaya.

Ajith:- Subah tu bataane wala tha na...Ek saath 5 girlfriends kaise manage karta hai?

Dhruva:- Tera dost ka personality hi aisa hai yaar...Kaun ladki mujh jaise handsome boyfriend ko chhodne ki bhul kar sakti hai?

Dhruva ne apne baal ko sehlaate hue style me kaha.

Iss baar Ajith ne kuch reply nahi kiya...Dhruva ko bhi samajhte der nahi laga ki Ajith ko ye baat bilkul bhi pasand nahi aaya.

Dhruva:- Mai majaak kar raha tha.

Ajith:- Pata hai...Lekin aisa majaak bhi mujhe pasand nahi.

Dhruva:- Chal sach bata hi deta hu.

5 girlfriends hai...Lekin kisi se bhi pyar nahi hai mujhe...Aur naa hi unhe bhi...Give and take wala relation hai.

Aaj ki duniya me saccha pyar milna bahut mushkil hai...Aur ham jaiso ke liye to aur bhi jyada mushkil...Bahut saari ladkiya paise wale aur handsome ladke par marti hai.

Ham chaahe jitna bhi sharif kyu na ho jaaye ya fir kitna hi saccha pyar kyu na kare...Wo hame koi bhaaw nahi degi.

Iss liye maine socha...Jindagi sirf ek baar milta hai...Kaise jeena hai ye apna faisla hai...Aaj tak jindagi me bahut mushkilein aaya, aage kaisa pal aayega ye bhi pata nahi...Iss liye jindagi se jitna maja lena chaahiye utna le raha hu.

Aaj ke duniya me jyadatar log pyar se jyada hawas ko maante hai...Maine bhi duniya ke liye khud ko badal diya.

Lekin kisi ke saath galat nahi kiya hai...Jo karta hu sabhi ko pata hai aur naa hi kisi ko dhokha diya.

Abb mera life ka ek hi formula hai...Kabhi galat mat karo aur jitna ho sake khul kar jindagi ko jiyo.


Ajith:- Abhi tune kaha jyadatar insaan...Lekin kuch ko bhul gaya...Kuch insaan chaahe ladka ho ya ladki abhi bhi sacche pyar ko maante hai...Unme se mai bhi ek hu .

Aur ek baat yaad rakhna...Sacha pyar me paisa, haisiyat, jaat aur dharm kuch maaine nahi rakhta...Agar kuch maaine rakhta hai to saamne wala ka dil.

Dhruva:- To fir saalo tak intejaar karna padega sacche pyar ka...Aur fir bhi sure nahi ki wo milega ya nahi.

Ajith:- Iss intejaar ka alag hi maja hota hai...Kehte hai na sabra ka fal mitha hota hai.

Jab saccha pyar ho jaayega na to aisi baat bilkul bhi nahi sochega ki kitna intejaar karna padega aur kab tak?

Jis cheej ka intejaar me vishwas, mehnat aur sacchai hota hai na to wo cheej haasil karne ke baad jo maja milta hai uska koi jawaab nahi.

For eg...Mai tujhe bata bhi nahi sakta mai kitna khus hu MBBS padh kar...Iske liye entrance preparation ke vakt din raat ek kar diya tha...Hamesha vishwas tha ki mai kar paaunga aur mujhe kar ke dikhaana hi hoga...Pehli baar haar gaya...1 saal intejaar kiya lekin vishwas kabhi kam nahi hua...Aur aaj dekh mujhe safalta mil hi gaya.


Dhruva:- Mai maanta hu...Baat tera sahi hai...Lekin ye bhi sach hai ki har insaan alag hota hai...Tu apni jagah bilkul sahi hai aur shaayad mai apni jagah...Mujhse ye intejaar nahi hota aur naa hi mai itna optimist hu.

Ajith:- Tu bhi apni jagah sahi hai...Bas itna kahunga ki itna khayal rakhna ki aaj ka present se kal tera furure me koi mushibat na aa paaye.

Dhruva:- Nahi aayega yaar.

Dhruva ne confident ke saath kaha.

Ajith ne bhi socha abb iss topic par baat karne se koi faaidaa nahi...Behtar yahi hai ki Dhruva ko uski tarah hi jeene ko mile...Waise bhi wo apna faisla lene ke liye khud kaabil tha.


Fir Ajith apna book nikaal kar class me jo padhaai hua tha uska revision karne laga...Revision karne ke baad wo sone ke liye bed par lait gaya.

Lekin aaj usse neend nahi lag raha tha...Aur vajah thi Kajal.

Ajith ke dimaag me baar baar hospital wala scene hi yaad aa raha tha.

Ajith :- (In his mind) Bahut acchi ladki hai...Dekh kar to lag raha hai ki bade ghar se hai...Lekin fir bhi kitni simple aur acchi thi...Aur helping nature bhi...Aaj kal to jaise sabhi ke dil se insaaniyat khatm hi ho chuka hai...Lekin usne khud hi scooty rok kar uss bacche ko paisa diya...Bahut bada dil hai uska.


Aur saath hi jab Ajith ne Kajal ko class me dekha tab uska khushi ka koi thikaana hi nahi raha.

Ajith:- (In his mind) Socha tha wo apne ilaaj ke liye hospital aayi hai...Lekin wo to mere hi class me padhti hai...Kal kisi tarah uske saath dosti kar lunga...Ha dosti to karna hi padega.

Kya wo mujhse dosti karegi? Kaha wo aur kaha mai? Aur usse mujhse dosti karke kya milega?

Paagal hu mai bhi...Kya kya soch raha hu...Dosti ko haisiyat aur faaidaa ke saath compare kar raha hu ye jaante hue bhi ki wo ladki aisi nahi hai...Ha wo meri dost jarur banegi.

Kal pakka...Uske saath dosti jarur karunga.

Ajith yahi sab soch me gumm tha...Aaj Kajal ke baare me sochte hue usse neend bhi nahi lag raha tha.

Dhruva:- Abhi bhi padhai ke baare me hi soch raha hai?

Ajith:- Nahi to?

Ajith ne achanak se hadbada kar kaha.

Dhruva:- To fir kaha khoya hua tha?

Ajith:- Kahi bhi to nahi.

Dhruva iss baar kuch bola nahi sirf muskuraata raha Ajith ki dekh kar.

Ajith:- Aise kyu muskura raha hai?

Dhruva:- Mai sab samajhta hu.

Ajith:- Kya samjha?

Ajith bhi soch me pad gaya ki kahi Dhruva ne sach to nahi samajh liya.

Dhruva:- Rehne de...Tu nahi maanega agar maine keh bhi diya to.

Ajith:- Agar sach kaha to kyu nahi maanunga...Abb bata.

Dhruva:- Kuch nahi.

Itna keh kar Dhruva dusri taraf dekhne laga.
 
Last edited:

Loveshuda111

Member
486
1,203
138
2nd update gajab ka tha
Jisme richa bhi ajith ko bdal gya khti h aaur gussa bhi ho jati h

Flashback me
Ajith ek orphan h jo doctor bn kr garibo ki seva krna chahta h
Bhut hi achhi soch h
Pr aisa kya hua ki wo bdal gya
 
Top