• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Khwahishein (Completed)

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,139
189
UPDATE 29

After 2 days

Abb aisa hi chal raha tha jaisa Ajith ne chaaha tha...Usne laghbhag sabhi se duriyan bana liya tha...Vijay ko chhod kar...Vijay bhi Ajith ko jyada pareshaan nahi kar raha tha uski majburi jaane ke liye...Usse bhi dar tha ki kahi Ajith usse bhi dosti na tod le...Lekin Ajith par vishwash tha ki Ajith jald hi thik ho jaayega.

Lekin Ajith ka sabhi se dur jaana, aabhi ke liye bura banna usse hairaan jarur kar raha tha...Lekin dua maangne ke alawa wo kuch nahi kar raha tha.



Aise hi ek din hospital me night duty ke time uske cabin me usse milne Kajal ke Papa aaye.

Jab dono ki aankhein ek dusre se mila to dono hi chup thhe...Ajith ke chehre me dar tha...Kajal ke Papa ke chehre me dar (Kajal ke liye) ke saath saath gussa bhi tha.

Ek dusre ko dekhte hi dono apne ateet me jaane se khud ko rok nahi paaye.


FLASHBACK

K. Dad:- Aao andar aao.

Kajal ke Papa ne Ajith ko khushi se apne ghar me swagat karte hue kaha.

Ajith:- Thank you Uncle.

Ajith ke aate hi Kajal ke hontho par muskaan aur gaal me sharm saaf dikh raha tha.

K. Dad:- So Dr. Ajith or Mr. Ajith...Kya keh kar bulaau?

Ajith:- Ji Ajith ya fir beta keh kar bulaaiye...Apna pan mehsus hoga.

K. Dad:- Kajal ne bataya mujhe sab kuch...Tum dono ke baare me.

Waise to beti apne baap se ye baatein kehne se darti hai...Lekin ye meri laadli hai...Kuch nahi chhupaati...Iss baat ko bhi nahi chhupaaya.

Ajith Kajal ke Papa ki baat sunta raha.

K. Dad:- Maine puccha bhi...Kya tumhe dar nahi lagta mai ye rishta inkaar kar dunga?

Inkaar shabd sunte hi Ajith ek pal ke liye dar gaya.

Kajal ki Papa ne fir muskura kar kaha.

K. Dad:- Kehti hai mai inkaar kar hi nahi paaunga...Sahi bhi hai mai apni beti ki khushi ko kyu inkaar karunga.

Kajal tumse bahut pyar karti hai aur usse apne pyar par vishwas bhi hai aur mujhe ye bataane me usse bilkul bhi dar nahi tha.

Ajith ko abb lag raha tha shaayad wo unke rishte ke liye maan jaayenge.

K. Dad:- Lekin wo bahut hi nadan hai...Mujhe dar hai ki kahi usne insan ko chunne me galti to nahi kar diya.

Maine bhi socha dekhu to sahi meri beti kisse pyar karti hai aur wo meri Kajal ke laayak hai ya nahi.

Kajal:- Papa?

K. Dad:- Nahi abhi tum kuch nahi bologi.

Fir Kajal bhi chup ho gayi aur Ajith ko dekhne lagi.

Ajith:- Mai bhi aaj aapse Kajal ka haath maangne hi aaya tha...Aur ye bhi saabit karne ke liye ki mai Kajal ke laayak hu.

Ajith ne confidently kaha.

K. Dad:- Saabit? Aur Kajal ka laayak...Chalo saabit karo kaise?

Lekin kuch bhi kehne se pehle ye samajh lo mujhe jhuth bilkul pasand nahi hai...Tumhe to pata hi hoga mai ek Psychiatrist hu...Jhuth thoda bhi dikha chehre par to samajh lena.

Ajith:- Mai bhi apna pyar jhuth ke sahaare haasil nahi karna chaahta...Bas ek hi khwahish hai mai jaisa hu waise hi aap aur Kajal mujhe accept kare.

Mai Kajal ke layak khud ko iss liye maanta hu kyu ki mai Kajal se bahut pyar karta hu...Aur kuch bhi kar sakta hu Kajal ki khushi ke liye...Maine mehsus kiya hai Kajal bhi mere saath bahut khush rehti hai...Aur mujhe vishwas hai aage bhi mai Kajal ka hamesha khus rakhunga.

K. Dad:- Ye to tha pyar ki baatein...Sirf pyar se hi roti to nahi milta hai na.

Ajith:- Agar aap paise ki baat kar rahe hai to abhi abhi maine kamana suru hi kiya hai...Lekin mujhe apne talent aur mehnat par vishwas hai...Bahut jaldi accha khaasa kamaunga aur Kajal ko kisi cheej ki kami nahi rehne dunga.

K. Dad:- Hmm...Tumne kaha tha tum Kajal se bahut pyar karte ho...Kajal bhi kehti hai tum bhi usse utna pyar karte ho jitna mai karta hu...Iss baare me kya kahoge?

Ajith:- Ye sach nahi ho sakta uncle...Mai kabhi Kajal ko aap jitna pyar nahi kar sakta.

Ajith ki iss baat par Kajal ki Papa Kajal ko dekhne lage aur Kajal Ajith ko wo bhi hairaani se.

Ajith:- Aap ka Kajal ke liye jo pyar hai usse comparison ka kabhi soch bhi nahi sakta....Suna hai maine aur Kajal bhi kehti hai ek baap ka apne beti ke liye pyar ka koi hadd nahi hota.

Aap Kajal se jo pyar karte hai wo unconditional hai...Bina kou faaidaa aur nuksaan wala pyar...Aapne aaj tak Kajal ko jaise paala, parwarish kiya, har khushi pura kiya aur uski jidd me aaj mujhe milne ke liye bula bhi liya.

Aur fir Kajal ka rishta ho jaane ke baad jo pyar se vidaai karenge uss pyar ka kya hadd ho sakta hai.

Aapka pyar mahan hai uncle aur please isse mere pyar ke saath compare mat kijiye.


Ajith ki iss baat se Kajal ki Papa bahut khus ho gaye.

Ajith:- Lekin Uncle compare to jarur karunga Aapke aur Kajal ke pyar ka...Jab mera bhi koi beti hogi to koshish karunga aap jitna hi pyar de paau mai apne pari ko.

But as a husband jo pyar mujhe Kajal ko dena chaahiye wo mai jarur dunga...Shaayad usse jyada bhi...Aur iss me mai daawa kar sakta hu Kajal ke liye sabse best husband ka choice mai hi hu.

Ajith ne puri confident ke saath kaha.

K. Dad:- Tum baar baar keh rahe ho Kajal ko jindagi bhar khus rakhoge...Lekin beta jindagi itna bhi aasan nahi hota...Kabhi kabhi chhoti chhoti baaton par badi ladaai ho jaata hai...Aur ego dono par aa jaaye to pyar ka koi astitwa hi nahi rehta.

Shaadi se pehle sab bahut aashan lagta hai lekin shaadi hote hi dono ka interest ek dusre se kam ho jaata hai.

Ajith:- Mai aisa hone nahi dunga.

K. Dad:- Wo kaise?

Ajith:- Bahut hi simple hai uncle...Insaan ko honest hona chaahiye...Ye nahi kahunga ki kabhi hamaare bich me problem nahi aayega...Aayega lekin jab bhi mujhe mere galti ka ehsas hoga mai maafi maang lunga...Pyar karta hu aur jhukna bhi jaanta hu.

Jab mera galti hoga mai maafi maanunga aur jab Kajal ki tab wo.

Mujhe lagta hai pati aur patni ka rishta aisa hi hona chaahiye...Ek dusre se pyar, samman (respect) aur vishwas...Jo ham dono me hi hai.

Aur uncle rahi baat interest ka to...Kajal mera pyar hai...Mai sirf Kajal ko pyar hi nahi respect bhi karta hu...Uska mera jindagi me aane se mera jindagi hi badal gaya hai...Kajal meri jindagi ka sabse badi khushi aur bardaan hai...Mai bahut khus naseeb maanta hu jo Kajal bhi mujhse pyar karti hai.

Abb tak Kajal ki Papa bahut impress hk gaye thhe.

K. Dad:- Soch to bahut accha hai beta tumhaara...Tumhaare parents ko tum par bahut garv hoga.

Kajal:- Papa?

Tab Kajal ki Papa ko ehsas hua unhone kya bol diya.

Ajith:- Ji uncle...Mai bhi aisa hi mehsus karta hu...Jab bhi koi accha kaam karta hu yahi sochta hu wo jaha kahi bhi hai mujhe dekh kar garv mehsus karte honge.

K. Dad:- Sorry.

Ajith:- Koi baat nahi uncle...Abb aadat pad gaya hai...Aur sach se dur bhi to bhaag nahi sakta.

K. Dad:- Beta bura mat maana...Lekin ek baat pucchna chaahta hu...Tum unke bina hi yaha tak pahunch gaye ho bahut mehnati ho...Lekin tumhe unka kami mehsus nahi hota?

Ajith:- Pehle hota tha...Aur bahut bura bhi lagta tha.

Lekin jaise jaise bada hota gaya socha ye to mera kismat hai...Isae badal to nahi sakta...Lekin aisa jarur karunga ki unhe mujhe garv ho...Har baccha ka yahi to khwaab hota hai ki wo apne parents ka naam roahan kare aur unhe garv ho apne baccha par.

Unhone mujhe janm diya...Koi vajah hoga jo wo mujhe paal nahi paaye aur parwarish kar na sake...Lekin mai bhi apne farz se bhaag nahi sakta.

Hamesha se sochta aaya hu aur aaj bhi sochta hu...Ek aisa insaan banunga ki unhe mujh par garv hoga aur jaha bhi honge mujhe dekh kar keh sakenge "Ha ye hamara beta hai."

Ajith ye sab kehte vakt bahut hi emotional ho gaya tha...Lekin khus bhi bahut tha ki aaj wo apne soch par hi chal raha hai.

Fir dono ke bich aise hi baat hua...Kajal bhi Ajith ki baat sun kar hamesha ki tarah garv mehsus kar rahi thi.

K. Dad:- Beta tum se baat kar ke bahut accha laga...Bahut acche ho tum...Lekin jo mai apne damad me khoj raha tha wo tum me nahi hai.

Mai chaahta hu meri beti raaj kare kisi ghar me...Lekin tumhaare saath ye possible nahi hai.

Unki iss baat se waha maujud Ajith ke saath Kajal aur uski Maa bhi hairaan ho gayi.

Kajal:- Papa aap aisa kaise keh sakte hai?

Iss baar gusse me Kajal ne kaha.

K. Dad:- Abhi tumhe bolne se mana kiya hai na.

K. Dad:- (To Ajith) Bhaga kar le jaane ki sochna bhi mat.

Ajith:- Nahi Uncle...Wo to socha bhi nahi hai aur sochunga bhi nahi.

Vaada kiya tha Kajal se aap sabhi ki khushi se hi shaadi hoga.

Mai apne pyar ke liye aapka pyar ka apmaan to nahi kar sakta...Aapne itne pyar se Kajal ko paala, pyar diya aur ek jhatke se mai aapse Kajal ko chheen to nahi sakta.

Aur isse samaaj me aapka izzat bhi mitti me mil jaayega...Aapka Kajal ke liye jo pyar ko aap apna taakat maante hai mai nahi chaahta Kajal ke bhaag jaane se log aapki sanskar aur parwarish par ungli uthaaye...Maine Kajal ke saath saath aap sabhi ko apna maan liya hai...Aur kaise mai apno ke saath itna galat kar sakta hu...Aap mere bhi Papa jaise hai...Aapko rulaa kar mai kaise khus reh sakta hu?

Kajal bhi kabhi khus nahi reh paayegi aapki asehmati mai...Mujhe bhi hamesha yahi baat pareshaan karta rahega ki galat tarike se maine apna ghar basaya hai.

Papa hai aap Kajal ke...Aur uske baare me accha bura sab kuch jaante hai...Faisla bhi aapka hi hai.


Ajith ne ye to keh diya...Lekin kehte vakt jo khud par beet raha tha wo har pal usse maar raha tha...Abb aankho ne bhi saath chhod diya...Aankho se aansu behna suru ho gaya.

Lekin sach bhi yahi tha...Bhale hi khud par kuch bhi kyu na beete lekin apno ko kabhi dukhi nahi kar sakta tha wo.

K. Dad:- Lekin tumhaara aansu to kuch aur hi keh rahe hai?

Ajith:- Dard to hoga hi na...Lekin saccha se bhaag bhi nahi sakta...Ye ek kadwa sach hai mere liye.


Fir waha par ek khaamoshi chhaa gaya...Koi khus nahi tha Kajal ki Papa ki isa faisle se...Lekin abhi koi bol bhi nahi raha tha.

Fir Ajith ne socha...Aise haar maana bewkufi hai.

Ajith:- Uncle ek mauka to dijiye...Mai koshish karunga jyada se jyada paisa kamaane ka...Aur aapke beti ke laayak banne ka jo aap chahte hai.

K. Dad:- Kar paaoge?

Ajith:- Jarur...Jarur karunga...Kajal ke liye kuch bhi karunga.

Ajith ke dimaag me ek alag hi junoon chha gaya tha.

K. Dad:- 5 lakhs...Abb time tum maango?

Ajith:- Internship complete hone ke 1 year baad.

K. Dad:- Itna jyada?

Ajith:- Imaandaari se kamana chaahta hu...Warna 1 din hi kaafi hai...Kisi ko maar kar , loot kar bhi laa sakta hu lekin aisa nahi karunga.

Ajith ki iss baat se Kajal ke Papa muskuraaye bina nahi rwh paaye.

Ajith:- Please Uncle kuch to boliye...Mai jarur karunga...Aap mauka to dijiye.

Lekin Kajal ke Papa muskura hi rahe the.

Idhar Ajith ka haal behaal ho chuka tha...Aankho se aansu beh rahe the...Aur bin paani ke macchli ke jaise tadap raha tha...Kisi bhi haal me khud ko saabit karna chaahta tha.

Aur Kajal ke Papa uska bechaini aur bhi badha rahe thhe.

Ajith:- Please Uncle.

Itna keh kar Ajith dono haath jod kar apne ghutno me gir gaya.

Kajal ke Papa ne unhe utha kar kaha.

K. Dad:- Shaadi ki date kab fix karu?

Ye sunte hi ajith ka khushi ka koi thikana nahi raha...Bahut hi jhumne aur naachne ka man kar raha tha usse.

Kajal ko dekha to wo bhi ro rahi thi...Lekin aankho me khushi ka aansu tha...Usne bhi apne Maa ko gale laga liya.

Aur apne Papa se bach kar Ajith ko aankh bhi maar diya.

Kajal ki Papa bhi bahut khus the Ajith ko...Unhe Ajith me har cheej dikh gaya jo wo dekhna chaahte the.

Ajith ka honesty, character, responsibility ke saath ye bhi dekha ki usme kitna acchaayi hai...Rishte se mana kar dene ke baad bhi naa hi koi dhamki aur birodh kiya...Unka Kajal ke liye pyar ko respect kar ke bhagaane ka to socha hi nahi.

Aur sabse jaruri baat Ajith ka Kajal ke liye pyar bhi dikha...Aisa pyar jisme respect aur vishwas to tha...Saath hi Kajal ko khus rakhne ke liye paagal pan bhi tha...Aur wo puri tarah sach tha.

Aisa rishta ko kaun pita mana kar sakta hai? Wo bhi apne ladli beti ke liye?
 
Last edited:

Mbindas

Active Member
1,938
4,123
158
Bhai ab jaldi jaldi update dijiye na ab wait nahi hota hai suspence ko janne ke liye.

:yourock:
 
  • Like
Reactions: Champ_AK_81

ULTRA

Life isn't a film, don't End it..,
Prime
38,536
16,766
274
गुलशन की बहारों पे सर-ए-शाम लिखा है,
फिर उस ने किताबों पे मेरा नाम लिखा है,
ये दर्द इसी तरह मेरी दुनिया में रहेगा,
कुछ सोच के उस ने मेरा अंजाम लिखा है

प्यार जो प्रेमी प्रेमिका में होता है उसका एहसास केसा होता है यह तो मुझे नहीं पता क्युकी मैने कभी किसी से वैसा वाला प्यार किया नहीं है बस कहानियों में ही जाना है ।

काजल के पिता ने एक जिम्मेदार पिता का कर्तव्य बखूभी निभाया , उन्होंने अजित की परीक्षा हर कोण को जांच परख के ली।

जैसा कि अपने कहा कि काजल के पिता मनोविसेशक है और झूठ को झट फट पकड़ लेते है तो अब अजित किं असली परीक्षा होगी कि कैसे वो अपनी परेशानी छुपाकर , झूठ बोलता है

champ sir you always rocks
 
  • Like
Reactions: Champ_AK_81

Aryan s.

Active Member
744
1,383
139
:applause: :applause:
Aapne toh rula diya yaar....
So emotional and so heart-touching update....
Ajith ke har shabdon mein pyar tha, sachhai tha, apne pyar ke liye samman tha aur ek alag tarah ke confidence tha, aesa lag raha tha jaise dil ki gehrayion se har words nikal raha ho.....
Uske baaton mein apne parents ke sath sath kajal ke parents ke jo respect tha uska jitna bhi tareef kiya jaye woh kam hoga.....
Supeb, mind-blowing, excellent....
:thanks: for such a beautiful update....:hug: :dost:
 
  • Like
Reactions: Champ_AK_81
Top