• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Khwahishein (Completed)

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,139
189
UPDATE 32

Preeti:- Tumhari aankhein kuch keh rahi hai?

Exam complete hone ke party ke baad Preeti ne Ajith se kaha.

Ajith:- Kya?

Preeti:- Doctor ho...Khud pata kar lo.

Ajith:- Meri aankho me to pyar hai...Sirf pyar.

Ajith ne Kajal ki taraf dekh kar bahut pyar se kaha.

Kajal:- Tum bhi na...Kahi bhi kuch bhi kehte ho?

Ajith:- Kya karu...Hu hi itna romantic...Jaha bhi dekhu aur kabhi bhi dekhu tum par pyar aata hi hai.

Kajal:- Aas paas bhi to dekho...Tum bhi na...Kabhi kabhi hadd karte ho.

Kajal ne sharma kar kaha.

Ajith ne aas paas dekha...Preeti, Vijay aur kuch dost thhe.

Ajith:- Aas paas apne hi to hai...Kyu? Tum log ko koi problem to nahi hai na mere pyar se?

Sabhi ki ek saath jawaab aata hai...No.

Preeti:- Koi problem nahi hai...Bahut acche lagte ho dono ek saath.

Fir Ajith Kajal ko aankh maar deta hai.

Kajal:- You?

Itna keh kar Preeti dhire se Ajith ko maarne lagti hai.

Sabhi dost ye dekh kar hans rahe thhe...Unhe bhi Ajith aur Kajal ka pyar dekh kar bahut maja aa raha tha.

Preeti:- Haath dikhaao?

Itna keh kar Preeti Ajith ki haath khinch leti hai apni taraf.

Ajith:- Tum haath bhi padh sakti ho? Waise padhne ki jarurat nahi hai...Mujhe pata hai mera future bright hai.

Ajith ne hanste hue kaha.

Preeti lekin serious ho kar dekh rahi thi.

Ajith:- Mere aankho ko dekhogi to usme sirf pyar najar aayega aur haath ki rekha ko dekhogi to ujjwal bhavisya (bright future).

Preeti:- Nahi janaab...Mai kuch aur hi dekh rahi thi.

Ajith:- Kya?

Preeti:- Anaemia.

Preeti ki iss baat se Ajith ke saath sabhi chaunk gaye...Ajith bhi apne haath ke nail check karne laga aur mobile me selfie camera on karke aankh ko check karne laga.

Preeti sahi thi.

Preeti:- Janaab pyar me itna bhi mat khoiye ki apna hi khayal rakhna na rakh paaye.

Kajal:- Tum bhi na...Apna to khayal rakho...Bahut laaparwah ho.

Kajal ne naarajgi dikhaate hue kaha.

Preeti:- Tum subah utth kar aayine (mirror) me apna face nahi dekhte? Ye to aasani se pata chal jaana chaahiye tha.

Ajith:- Aayine ki jarurat kise hai jab Kajal jaisi pyari gf mere saath hai...Abb sajne sawarne ki koi jarurat nahi...Mai jaanta hu chaahe jaisa bhi dikhu Kajal mujhe chhod kar jaane wali nahi hai.

Ajith ne hanste hue kaha.

Kajal:- Abhi bhi majaak kar rahe ho?

Ajith:- Sorry dear...Aage se rakhunga apna khayal.

Preeti:- Kal aa jaana...Blood test karna hai.

Ajith:- No way dear Pathologist...Bilkul nahi...Itni chhoti si baat ke liye mai Blood test nahi karunga...Sirf anaemia hi to hai...Diet me iron supplements lunga aur agar jaruri pada to dawaai...Lekin Blood test bilkul bhi nahi.

Ajith ne saaf mana kar diya blood test se.

Preeti:- Blood test karne se accha rahega...Each and every detail pata chalega aur anaemia ki vajah se.

Ajith:- Bilkul nahi...Jaanta hu Pathology me tumse koi jeet nahi sakta...Aur iss liye tum bahut interested bhi ho.

Lekin abhi tumhari saamne patient ke roop me ek doctor hai...Aur usse pata hai "He is suffering from Iron Deficiency Anaemia"...Picchle kuch din se acche se khaa nahi raha tha iss vajah se.

Acche se khaana suru karunga iron supplements ke saath to thik ho jaaunga...And this Anaemia is not a serious one.

Ajith ki mana karne ke baawjud sabhi usse manaate rahe lekin wo bilkul bhi nahi maana...Apne hi jidd me raha ki wo aise hi thik ho jaayega.

Ajith bhi apni jagah galat nahi tha...Dikhne me to ye beemari kuch jaan lewa nahi tha.



Preeti:- Bas yahi tha Blood Cancer ka first symptom.

Ye kehte vakt Preeti ki aankho se bhi aansu aa gaye.

Kajal bechari sab sun rahi thi...Saamne wo ek jinda laash ki tarah baithi thi lekin fir bhi sab jaane ki jidd me thi.

Kajal ke Maa aur Papa bhi uske liye bahut fikar kar rahe thhe...Engagement to cancel ho hi gaya tha...Lekin isse jyada unhe apne beti ki fikar thi...Aur abhi unhe kuch samajh me nahi aa raha tha achanak ye sab kya ho gaya.


Dhruva:- Lekin Vijay ne to kaha tha Anaemia ki vajah se Cancer nahi hota.

Preeti:- Lekin Anaemia Cancer ki vajah se hua tha.

Dhruva ko uska sawaal ka jawaab mil gaya.

Dhruva:- To kya bahut der ho gaya tha Cancer pata lagne me? Aur iss vajah se Ajith sabse bhaag raha tha?

Preeti:- Nahi...2 din baad hi pata laga liya tha maine ye Cancer hai.

Kajal yaad hai tujhe...Jab Ajith tujhe kuch gundo se bachane ke liye unse lada tha...Tujhe bacha kar unn gundo ko bhaga to diya lekin wo bhi jakhmi ho gaya tha.

Jab dressing me liye wo hospital aaya tha to kuch sample maine nikaal liya tha blood ka.

Maine bas aise hi blood cells check kiya to bahut bada jhatka laga...Blood smear se pata chala Cancer hai.

Yakin nahi hua to Bone Marrow aur Cytochemistry test bhi kiya...Lekin same result...He was suffering from Acute Myeloid Leukemia.

Itna keh kar Preeti chup ho gayi...Ek najr Kajal ko dekha...Wo fir se tadap uthi.

Preeti:- Lekin wo initial condition me hi diagnose kar liya tha maine...Aasani se ilaaj ho sakta tha.

Abb isse aage Preeti bhi kuch bol nahi paa rahi thi.

Dhruva bhi himmat haar chuka tha...Andar se to wo bhi ro raha tha lekin baahar se kisi ko mehsus karne nahi diya tha.

Kajal:- Fir usne aisa kyu kiya? ilaaj kyu nahi karwaya aur mujhse bhi kyu chhupaya.

Kajal ne abb apna munh khola...Saath hi ek baar fir se uski aankho se aansu girna chaalu hua.

Preeti:- Pyar.

Uska pyar uaka mahaanta tha ya bewkufi ye mai nahi jaanti...Pehli baar dekha hai maine kisi ne pyar me apni jaan tak gawa diya.

Bahut pyar karta tha Kajal Ajith tujh se...Wo jiya to tere liye aur mara bhi to tere liye.

Kya kahu aise pyar ko...Aur kya kahu tujhe? Tu lucky bhi hai aur unlucky bhi.

Ajith ne tujhse pyar kiya iss vajah se tu bahut lucky hai...Lekin abb wo tere paas kabhi laut kar nahi aa sakta iss vajah se tu unlucky hai.

Pata nahi kaisa aashiq tha Ajith...Kabhi usse mahan kehne ka dil karta hai to kabhi bewkuf.


Kajal:- Aisa kya kami tha meri pyar me?

Preeti:- Kami nahi taaqat tha.

Kajal:- To fir kyu wo mujhe chhod kar chala gaya? Ek baar bataya bhi nahi aur mujhse alag bhi ho gaya.

Kajal se abb bola bhi nahi jaa raha tha...Aaj usse bahut rona aa raha tha...Uski aankhein to ye bayan kar hi rahi thi lekin uska dil kitna ro raha tha ye koi soch bhi nahi sakta tha.

Ajith ko khona usko har pal tadpa tadpa kar maar raha tha...Jab bhi Ajith ko yaad karti andar se tadap utthti...Kaisi bebsi thi uski? Jisse wo itna pyar karti thi aaj ussi ki baare me ye sab sunna pad raha tha.

Aur jab se ye pata chala ki Ajith ki marne ka vajah unka pyar hai to usse abb khud se hi nafrat ho rahi thi.


Aur jab Preeti ne baaki ki sach bataana suru kiya to sabhi ki aankhon se aansu aane laga...Sabhi ko Ajith ke pyar par garv aane ke saath gussa bhi aa raha tha.

Kajal to aur sunn hi nahi saki.

Kya aisa bhi pyar hota hai? Bas yahi sawal aaya tha sabhi ki dimaag par.
 

King

𝕿𝖍𝖊 𝕺𝖓𝖊 & 𝕺𝖓𝖑𝖞 𝕿𝖗𝖚𝖊 𝕶𝖎𝖓𝖌
3,963
6,957
159
:coffeepc:
 

ULTRA

Life isn't a film, don't End it..,
Prime
38,536
16,766
274
jab cancer detect ho gya toh fir diagonse me kya problem thi jo ajith nhi diagnosis nhi karwa shayad "money" ki problem ya phir wo apni bimari ke wajah se Kajal ko pareshan hote na dekhna chhata after all usne kajal ke dad se wada jo kiya tha ki uski wajah se khabi kajal ko koi pareshani nhi hogi..
par abhi bhi bahut jhol hai, kuch samjh nhi aar@ha akhir ajith ne akhir sachhi se sab kyu berubaru rehne diya , akhir parde ke piche kya raaz hai :hmm:
 

King

𝕿𝖍𝖊 𝕺𝖓𝖊 & 𝕺𝖓𝖑𝖞 𝕿𝖗𝖚𝖊 𝕶𝖎𝖓𝖌
3,963
6,957
159
Preeti ne toh Ajith ka pehle stage mei hie diagnose kar diya toh woh asani se thick ho sakta tha..
Pir Ajith kyu mar gaya ye kuch samajh mei ara...

Kuch toh missing hai...
 
Top