• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Khwahishein (Completed)

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,138
189
UPDATE 34

"My life and My last Note"

Waise jyada mai likhta to nahi hu apne baare me...Lekin aaj likhne ka man kar raha hai...Abb likhne ke alawa bacha hi kya hai mere paas...Everything is over now...Abb jindagi ke aakhiri pal me kuch likhna chaahta hu.

Apne baare me...Aaj fir se apni jindagi ki kuch yaadein taaja karna chaahta hu...Kuch acche pal aur kuch bure...Abb to inn yaadon ke sahare hi baaki ki jindagi kaat sakta hu.

Acche pal to Dhruva aur Kajal ke saath se hi shuru hua tha...Dono mere life me kya maayne rakhte hai ye shabd me bayaan nahi kar sakta.

Mai aaj jo bhi hu dono ki vajah se hi...Dono ki pyar aur dosti ki vajah se...Mera himmat hai dono, hausla hai dono...Jab bhi kamjor padta aur haara hua mehsus karta dono se baatein kar leta...Dil aise hi halka ho jaata.

Bachpan acche se beeta vajah hai Dhruva...Uska dosti, uska masti majaak, mujhe hasaana, mujhe himmat dena aur ye kehna ki "I am the best" Mai agar kuch bhi chaahu to haasil kar sakta hu...Apne mehnat aur talent ki vajah se.

Shaayad sahi bhi tha wo...Aaj bhi jab Dhruva ko yaad karta hu wohi bachpan wala Dhruva yaad aata hai...Wohi paagal, shararati aur masti majaak karne wala...Mera dost Dhruva.

Jab se hosh sambhala tab se wo mere saath tha...Saath hi room me rehte, saath hi ghumne jaate, saath hi khaana khaate, saath hi baat karte...Saath to ham shaayad 22 saal tak rahe...Jab mai 3rd year Clinical Science me thha...Rok bhi nahi sakta tha...Job jo mil gaya tha usse...Kaun dost nahi chaahega apne dost ko safalta haasil karte hue.

Mehnati aur talent to wo bhi tha...Lekin jyada serious nahi rehta tha...Kabhi kabhi uska fikar bhi hota...Mujhse dur jaane ke baad kya karega, kaise life me settle hoga...Sabse bada sawal...Kya wo kar paayega?

Lekin mai galat tha...Aur mujhse khushi hai...2 din pehle mila tha...Tabhi pata chala jarurat padne par wo serious bhi ho sakta hai...Haalaath ke hisaab se jee sakta hai.

Maine khud se kasam khaya tha mai apna Cancer sabhi se chhupaaunga...Lekin usne to pata laga hi liya tha...Khair Cancer to nahi bataya, lekin usse inkar bhi nahi kar paaya mai mushibat me nahi hu.


Ek baat kehna chahunga...Mai baaton me tujhse haara nahi tha Dhruva...Wo to hamaara dosti tha jisne mujhe haraya tha...Warna tujhse bhi hazaar baat tere hi munh se bulwaya tha...Dosti hi hai wo jiske saamne ham jhuk jaate hai.

Accha laga tujhe mere liye fikar karta dekh...Jaanta hu tu mere liye kuch bhi karne ke liye taiyar hai...Uss din bhi saaf dikha tha...Lekin kya karu mushibat hi aisa hai jisse na tu jeet sakta hai aur na mai.

Ek aur baat...Socha nahi tha tujhe kabhi saccha pyar hoga :D...Mai to tere gf ke list count kar raha tha.

Lekin meri ginti bahut kam reh gayi...Sirf 6...Chal koi baat nahi...Tujhe tera pyar to mila...Bahut khus hu...Aur aage bhi rahunga.

Kabhi bhula nahi paaunga dost tujhe.


Kajal...Kya kahu tumhaare baare me...You are my everything...My love...My friend...My future...My life...Even myself.

Jab se tum meri jindagi me aayi meri jindagi hi badal gayi...Meri jindagi me ek alag tarah ki khushiyan aa gaya.

Mai muskuraane laga tumhari yaadon me...Hasne laga tumhaari meethi baato me...Pyar karne laga tum se.

Ek naya ehsas tha ye pyar...Tum se milne ke baad hi jaana pyar hota kya hai...Tumhare baare me sochna, tumhari fikar karna, tumse baatein karna, tumhaara saath dena, tumhe hamesha khus rehna, tumse apni dil ki baat karna...Sach me bahut accha lagta tha.

Kabhi socha nahi tha tum bhi mujhse pyar karogi...Thanks for loving me...Tum nahi jaanti kitna khusnaseeb hu mai jo tum mujhe mili.

Fir hamaara pyar, romance, mastiyan aur future ke baare me sochna...Subah bhi issi se hota aur raat bhi.

Mai nahi jaanta mai tumhe kitna pyar de paaya...Khwahish to tha jindagi bhar pyar dene ka...Saath jeene ka.

Lekin tumse koi shikaayat nahi hai pyar me...Tumhaari pyar me koi kami nahi tha...Hamesha tumne mujhse pyar kiya...Ye bhi nahi socha mai kaun hu aur background kya hai...Unconditional love liya tha tumne.

Aur mai...Mai majbur ho gaya ussi saccha prem ki apman karne me...Bahut gira hua mehsus karta hu.

Bahut bura lag raha hai iss tarah se tumhe chhod kar jaane me, dhokha dene me aur tumhara dil dukha kar jaane me.

Lekin ek ummeed hai...Isse aage tum hamesha khus raho...Bhagwaan tumhe har khushiyan de.

Please hate me and move ahead with your life.


Dhruva aur Kajal...Tum dono ki hamesha mujhse ye shikayat raha hai...Dosti aur Pyar me taklif sirf mai sehta hu...Sab kuch thik kar deta hu...Lekin tum dono ko kabhi mauka nahi deta...Sach bhi hai...Kabhi mauka diya hi nahi...Lekin pehle kabhi aisi taklif tha hi nahi...Tum dono ke hote kaisi taklif.

Lekin aaj taklif me hu...Bahut badi taklif me hu...Chaahta to bahut hu cheekh cheekh kar bataau tumhe apna haal...Lekin kya tum dono sun paaoge? Issi vajh se bata nahi paa raha hu...Jindagi ne ek mauka diya tha fir bhi bata nahi paaya.

Shaayad yahi accha hai...Jo jaise chal raha hai waisa hi chalna chaahiye.


Vijay...My room mate...Dhruva ke jaane ke baad...Mera ek aur saccha dost...Dhruva aur Kajal jitna vakt to nahi bitaya fir bhi jitna bitaya acche se bitaaya...Pata hi nahi chala kitne jaldi dost ban gaye.

Ladka hai bahut mehnati...Hamesha kuch na kuch sikhna chaahta hai...Kuch karna chaahta hai...Preeti se bahut pyar karta hai lekin bataane se darta hai :D.

Kuch nahi hoga? Bataa de.

Hajaar baar keh chuka hu lekin maanta hi nahi.

Ye baat acche se jaanta hu mujhe bahut accha dost maanta hai...Meri taklif jaana chaahta hai...Lekin fir wohi problem ..Dar...Kahi mujhe dost ke roop me kho na de.

Ha sach hi hai...Kajal aur Dhruva se dur jaa sakta hu to tujhse kyu nahi?

Abb to sabhi se jaa raha hu lekin ek aur khwahish adhuri reh gayi...Tujhe apna dar se jeet ta hua na dekhna.

Vishwas hai ek din tu jarur jeetega.

Teri dosti me bhi bahut si yaadein hai...Unhe apne saath le kar jaaunga...Tujhe bhi kabhi bhula nahi paaunga dost.


Preeti...Sach kahu to kabhi socha nahi tha tumse dosti hoga...Pehle hamesha ladaai hota tha...Chaahta tha tumhe ignore karu...Lekin fir bhi ladaai hota tha.

Mai hamesha tumhaara majaak udaata ki tum Pathology me weak ho.

Lekin hua kya...1 saal me hi tum pathology me sabse brilliant student ban gayi...Mai bahut khus hu...Lekin iss baat par khus hou ya nahi ki tumne mera Cancer diagnose kiya?

Ladaai, jhagde pata nahi kab dosti me badal gaya...Lekin jab se dosti bani ho...Mushibat fir bhi kam nahi...Hamesha mujhe aur Kajal ko disturb karne aa jaati. :beee:

Koi baat nahi...Dosti me ye sab chalta rehta hai.

Aur hamaari dosti ki gehraai mujhe tab pata chala jab mujhe Cancer hua tha...Kitni fikar tha tumhe mere liye? Har pal aur har vakt mujhe motivate karti rehti thi ki mai thik ho jaaunga...Ek koshish to karu...Lekin sacchaai kuch aur hi laga mujhe.

Cancer bhi tumne bahut jald diagnose kar diya tha...Isse jyada kya kar sakti thi tum...Lekin mai hi nalaayak tha jo aise mauka gawa diya.

Sach me tumhe bahut miss karunga...Aaj bhi ek khwashish hai tumse ladne ka, jhagadne ka jo shaayad abb pura nahi hoga.


Kajal's Dad...Kya kahunga unke baare me...Mahan insaan...Yahi sochta hu unke baare me...Jab mere paas kuch nahi tha tab bhi mujhe apnaya aur mujh par vishwas dikhaya.

Aur ek mai hu...Unka pyar aur vishwas ka iss tarah se jawaab de raha hu.

Kajal's Mom...Jab bhi unhe dekhta hu khud se nafrat hone lagti hai...Wo bolti to kuch nahi hai...Lekin apni beti ke liye unki aankho me aansu to dekha hai jo ek dhokhebaaz ki vajah se hai.

Kaise mai ek Maa ko iss tarah se rulaa sakta hu?


Sabhi ko iss tarah se dukh de kar jaana to mujhe bhi accha nahi lag raha...Gussa, nafrat aur aatmaglaani mehsus ho raha hai...Lekin kya karu? Iske alawa kuch kar bhi to nahi sakta.



Aur mai khud...Khud par hi hansi aata hai...Kaise itna laaparwaah ho sakta hu? Aur bebsi bhi...Khud doctor hokar bhi apna beemari ka ilaaj nahi kar paa raha hu.

Kya faaidaa 6 saal se itna padh kar...Jab ye apne hi kaam na aaye.

Kya mujhe scientist banna chaahiye tha? Jo naya dawaai invent karke khud ko bacha leta...Shaayad waha bhi ussi tarah ki taklif aata...To fir kya bhagwaan? Nahi...Kuch jyada hi soch raha hu.


Bahut dar lag raha hai marne se...Aur meri kismat...Saamne maut ko dekh raha hu aur ussi ka intejaar kar raha hu...Kitna badnaseeb hu mai.

Hamesha sochta hu...Abhi bhi mai yaha kyu hu...Sabhi se duriyan to bana liya...Aur sabhi ka saamna roj kar bhi nahi paa raha hu...Lekin abhi bhi yaha hu.

Shaayad apna internship complete hone ka intejaar kar raha hu...Aur doctor ban jaane ki...Ye bhi to meri khwahish hai...Ek hi khwahish jo pura ho sakta hai.

Preeti kehti hai mai dar gaya hu aur lad nahi paa raha hu Cancer se...Shaayad wo sach bhi hai.

Lekin ladu to bhi kaise jaha aage sirf maut hi maut najar aa raha hai.

Ha darta hu...Marne se...Lekin kuch kar bhi nahi sakta.

Abhi tak ilaaj nahi karwaya...Kya ye sahi tha? Pata nahi...Abb to aur bhi der ho gaya hai.

Ilaaj na karwaane ki do vajah tha...Thik hone ke chances bahut kam tha...Thik hone ke baad bhi marne ki chances tha...Anti Cancer drug se hone wali dard ko bhi sehne ki himmat nahi tha.

Abb marna hi hai to sukoon se marna chaahta hu...Naa hi dard se tadap tadap kar.

Aur Kajal ke saath saath apne dosto ko bhi iss baat ka ehsas hone nahi dena chaahta tha.Lya beetega unn par...Kajal ko jaanta hu...Wo paagal hai...Dard sehti rahegi lekin kabhi aage nahi badhegi.


Kabhi kabhi to lagta hai Bhagwaan ko dosh du meri aisi kismat par...Lekin koi hak nahi...Shayad Preeti ki hi roop me ek mauka to mila tha...Jiska mai sahi tarah se istemaal nahi kar paaya.

Abb bhagwaan se yahi dua hai...Sabhi ko khush rakhna mere jaane ke baad.

Nahi apne baare me abb kuch nahi mangunga aur maangne ki hak bhi nahi hai.



Jindagi ne bahut kuch sikhaya aur dikhaya...Kai khwahish bhi thhe jindagi me.

Sirf ek pura hua...Baaki sab adhuri reh gayi.

Dhruva meri taklif kam kare.

Kajal ke saath duniya bhar ghumna, Saath jeena, Har wo khushiyan dena jo wo chaahti hai...Aur wo saari kasam aur vaada pura karna jo hamne pyar me ek dusre ke saath khaaya tha...Ek pyari si beti ho hamaari...Bahut cute...Bilkul Kajal ki tarah...Jisse mai apni ungliyo se chalna sikhaau, apni pari ki tarh parwarish karu...Aur din raat uski pyari si baaton ko sunta rahu.

Vijay...Kaash teri aur Preeti ki love story apni aankho se dekh paata.

Preeti:- Tum se aur bhi ladna chaahta hu.

Kajal ki Parents...Kaash unki ummeedo par khada utar paata.

Aise hi bahut si khwahishein thi...Lekin sab ke sab adhure reh jaayenge...Mere marne se.

Abb to sirf ek hi khwahish hai...Sab khush rahe hameaha hamesha ke liye.


Abb wo din bhi aa raha hai jab mai Kajal se dur chala jaaunga...Hamesha hamesha ke liye...Kal.

Kal...Internship complete hone wali hai...Abb aur raha nahi jaayega mujhse yaha...Kal hi jaa raha hu yaha se...Ek anjaan jagah, anjaan soch aur kismat ke saath...Jaha apna baaki ki jindagi bita saku...Ek dua ke saath...Sabhi ki jindagi me khushiyan aaye.



Note padhne ke baad sabhi chup rahe...Koi kuch bol nahi paa raha tha...Bolte bhi kya? Sabko jawaab mil gaya tha...Iss chhote se note me.

Dhruva:- Kya Ajith ki bachne ki abb koi chance nahi?

Dhruva ko abhi bhi ummeed tha.

Preeti:- Nahi...Pehle hi bahut der ho chuka hai...Aur iske baawjud Ajith ilaaj karaana nahi chaahta tha...Himmat haar chuka tha wo...Dekha tha maine usse...Koi khwahish hi nahi tha uske thik hone se.

Preeti ki iss baat se fir kisi ne kuch nahi kaha.

Lekin Kajal apne hi soch me gumm thi...Abhi bhi usse vishwas tha.


Kajal:- "Nahi mere Ajith ko kuch nahi ho sakta...Wo jinda hai aur bilkul thik hai...Jald hi mere paas aayega wo."

Na jaane ye pyar tha, vishwas tha ya fir paagalpan...Lekin jo bhi tha ye uska pyar tha...Jo apne pyar ko abhi bhi khona nahi chahti thi.

Uska iss ummeed ka faisla bhi jald hi hone wala tha...Ya to vishwas ke roop me ya fir paagalpan.
 

King

𝕿𝖍𝖊 𝕺𝖓𝖊 & 𝕺𝖓𝖑𝖞 𝕿𝖗𝖚𝖊 𝕶𝖎𝖓𝖌
3,963
6,954
159
Kya kahun... I am totally speechless.
Truly emotional update bhai...
 
Top