• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Khwahishein (Completed)

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,138
189
UPDATE 27

Ajith:- Hmm yaar...Badlaaw to bahut aaya hai...Aankho me chasma...Side se kuch baal fulne lage hai...Daadhi aur moonch bhi badha diya...Weight bhi badhne laga hai.

Kul milaa kar pehle se badsurat hota jaa raha hu.

Ajith ne muskura kar kaha.

Dhruva:- Roop ki baat kisne kiya...Look me to aaj bhi kisi se kam nahi...Maintain kiya to koi jawaab nahi.

Mai tera chehra aur roop ki baat nahi kar raha hu...Andar se badal gaya hai yaar tu.

Tera chehre me hamesha khilne wala smile gaayab hai...Hamesha khus rehne wala Ajith ko hamesha kisi gehri soch me dekh raha hu...Jindagi ke har pal ko khul kar jeene wale Ajith ko aaj ghut ghut kar jeeta hua dekh raha hu.

Apno ke khushi ke liye kuch bhi kar gujarne wale Ajith ko dekh raha hu ki kaise wo apno se hi dur bhaag raha hai.

Lekin aaj bhi ek baat nahi badla...Aaj bhi mera dost utna hi mahan hai jaisa pehle tha...Apne gham me kisi ko shaamil nahi karna chaahta...Khud hi ladna chahta hai.

Lekin yaar...Mai apne dost ko itna mahan dekhna nahi chaahta...Mai apne dost se sirf itna chaahta hu ki wo mera dost hi rahe...Mujhe apna pareshaani bataaye aur khul kar baat kare.

Tu sirf mera pareshaani dur karta tha kabhi apna pareshaani nahi bataata tha...Aur mujhe tere pareshaani aur dard dur karne ka hak nahi deta tha...Isko mahanta kehte hai dosti nahi...Tune mere saath dosti kabhi nahi nibhaya sirf mujh par reham kiya hai.


Ye baat Ajith ke dil me jaake chubh gaya...Aur ye baat Dhruva saaf mehsus kar sakta tha...Ajith ko pata tha Dhruva ki baat galat to nahi par puri tarah sach bhi nahi...Ajith ne iss tarah kabhi nahi socha...Wo samjhaana to chaahta tha Dhruva ko par ye vakt sahi nahi tha.


Dhruva:- Bataayega na mujhe...Ek baar bata kar to dekh...Puri duniya se lad jaaunga...Dekhna tu.

Please yaar mujhe bhi apna dosti saabit karne ka ek mauka de.


Dhruva ne emotional ho kar kaha iss ummeed ke saath ki Ajith pighal jaaye.

Ajith:- (In his mind) Nahi yaar...Ye hamaare bas ki baat nahi hai...Naa tere aur naa hi mere...Sab kismat aur uparwala ke haath me hai.


Ajith:- Ye kaisi baat kar raha hai...Mai kis se dur bhaag raha hu.

Ajith ne jald hi khud ko sambhaal liya.

Dhruva:- Kajal se aur mujh se.

Ajith:- Mai kisi se kyu bhaagunga...Agar tujhse bhaagta to abhi tujh se baat nahi karta...Aur rahi baat Kajal ki...Kya bataau yaar...Usne bewafaayi kiya hai mujhse...

Kajal ke baare me baat karte vakt Ajith ka jubaan ladkhada raha tha...Ajith isse aage kuch bolta Dhruva ne usse bich me rok kar kaha.

Dhruva:- Ye baat mujhse nahi khud se keh...Khud se keh ki Kajal ne tere saath bewafaayi kiya hai?

Dhruva ki baat se Ajith chup ho gaya...Aakhir kis munh se jhuth bol paata khud se?

Fir bhi ek koshish kiya usne...Apne chehre ko shakth kar liya usne aur kehne hi wala tha ki.

Dhruva:- Nahi...Aisa karna bhi mat...Pehle ye soch ki kis ke baare me baat kar raha hai aur kya baat kar raha hai.

Ek jhuth ko chupaane ke liye 10 jhuth aur bolne jaa raha hai...Aur jhuth bhi kis ke baare me? Apna saccha pyar?

Pyar koi majaak nahi jiske baare me majaak kar liya aur jhuth bol diya...Agar sach bolne ki himmat na ho to jhuth bhi mat bol...Apne pyar ke baare me to bilkul bhi nahi.


Abb Ajith bhi chup ho gaya...Usse kuch samajh me nahi aa raha tha usse kya karna chaahiye.

Dhruva bhi Ajith ko hi dekhe jaa raha tha...Usne mehsus kiya ki Ajith ne ek baar bhi uski aankho me aankhein daal kar baat nahi kiya hai.

Kuch der dono khaamosh hi rahe.

Dhruva:- Kaise akele reh leta hai yaar?

Ajith:- Aadat ho gaya hai.

Dhruva:- Aur ye aadat ki vajah?

Ajith:- Tu nahi samjhega.

Achanak Ajith ki munh se nikla...Saamne dekha to Dhruva muskura raha tha.

Dhruva:- Matlab tu maanta hai tera koi pareshaani hai aur tu maanna nahi chaahta.

Iss baar Ajith ne koi jawaab nahi diya.

Dhruva:- Please yaar...Keh kar to dekh...Vaada karta hu sab kuch thik kar dunga.

Ajith:- Tera bas ki baat nahi hai.

Dhruva:- Kyu?

Ajith:- Mai doctor ho kar kuch nahi kar paa raha hu to tu kya kar paayega?

Dhruva:- Matlab koi disease.

Dhruva ki ye baat sunte hi Ajith ko khud par fir se gussa aaya...Na chaahte hue bhi wo Dhruva ko har baat bata raha tha.

Dhruva:- Lekin doctor se upar bhi kuch hota hai.

Ajith Dhruva ko dekhne laga.

Dhruva:- Bhagwaan

Ajith:- Lekin tu bhagwaan nahi hai.

Dhruva:- Lekin bhagwaan kab kis roop me madad kar de koi pata nahi...Shaayad wo roop hamara dosti hi ho.

Abb Ajith se raha nahi jaa raha tha...Dil kar raha tha ek baar toot kar sab kuch bata de...Uska dar, uska pareshani aur sab kuch.

Lekin fir wo sambhal gaya...Itne dino ki mehnat aur khud ko jis tarah se sambhala tha usne wo sab paani me mil jaata.

Dhruva:- Accha yaar chalta hu.

Ajith ko vishwas hi nahi hua...Ek baar Dhruva ki taraf dekha...Dhruva serious tha.

Dhruva:- Mujhe yakin hai tu isse jyada kuch nahi batayega...Mujhe jo pata karna tha wo pata laga liya...Isse jyada ummeed bhi nahi hai...Aur tere marji ke bina aur puch taach karna bhi nahi chaahta.

Ajith abhi bhi Dhruva ko hi dekh raha tha.

Dhruva:- Jaa raha hu...Lekin saath chhod kar nahi...Tujhe wapas theek kar dunga ye vaada ke saath jaa raha hu.

Dhruva ki baato me confidence tha.

Ajith:- Sunne me bahut accha lag raha hai.

Dhruva:- Hakikat bhi utna hi accha lagega.

Ajith:- Tu bhi jaanta hai sapne, khwaab aur khwahishein bahut suhaana hota hai aur hakikat utna hi dardnaak.

Dhruva:- Hakikat ko khaamosh rehne se aur koshish na karne se badal nahi sakte.

Hakikat ko dardnaak sach se kaisa suhaana banana hai ye mujhe acche se pata hai.

Ajith:- Kya karega?

Dhruva:- Mere sir me paagal likha nahi hai...Jo tujhe bataaunga...Agar bata diya to tu plan ki watt lagaane ki koshish me koi kami nahi rakhega.

Ajith:- Bhagwaan ki baat kar raha tha...Kya pooja paath karega?

Dhruva:- Agar jaruri pade to wo bhi karunga...Lekin abhi kuch aur hi socha hai.

Ajith:- Kya?

Dhruva:- Tu bas aam khaane se matlab rakh...Pedd mat ginn.

Jab tu thik ho jaayega na to mujhe yaad kar lena...Aur phone karke dost keh dena...Bahut khushi hoga...Dosti ka farz nibhaa kar tere munh se dost sunne me.

Ajith:- Agar thik naa hua to?

Dhruva:- Ek aur sabut tere badalne ka...Pehle tu pessimist nahi tha.

Vishwas kar mujh par aur mere dosti par...Agar hamaara dosti me sacchaai hai aur mai kisi laayak hu to tu thik ho jaayega.

Tere chehre ka muskaan waapas laaunga...Kajal ko uska pyar se dobara milaaunga jisko todne ki maine kabhi koshish kiya tha...Aur pure duniya ko ek doctor jiska har kisi ko jarurat hai.

Ajith ko samajh me nahi aa raha tha kya react kare...Usse khud apna thik hona mumkin nahi lag raha tha aur abb Dhruva ki aisi baatein.

Dhruva:- Fir milenge.

Dhruva ne gate ke paas jaa kar kaha...Ek baar muskura kar Ajith ko dekha aur waha se nikal gaya ek vishwas ke saath.

Jaate vakt Ajith ne Dhruva ko muskura kar vidaa kiya.

Ajith khidki ke paas aa kar Dhruva ko jaate hue dekhta raha.

Chaahta to wo bhi tha sab kuch bata de aur sab kuch thik ho jaaye...Lekin koi faaidaa nahi tha...Kehne se dil halka hota uska dard nahi.

Dhruva ki baatein sunne me to usse bahut accha lag raha tha...Aur sunne ka man kar raha tha aur yahi ummeed kar raha tha ki kaash yahi sach ho.

Lekin wo iss baat ko jhuthla nahi sakta tha ki sapna, khwaab aur khwahish kitna bhi haseen kyu na ho lekin sacchaai sacchai hi hota hai...Isse ham bhaag nahi sakte.

Andhere me hamaara shaaya (shadow) bhi saath chhod deta hai...Lekin sacchai kabhi bhi picha nahi chhodta hai...Wo bhi apne iss kadwa sach se bhaag nahi sakta hai.

Dhruva ki baat par usne sirf itna ho socha ki usne bas uska confidence high karne ki koshish kiya hai...Aur isse jyada wo kar bhi kya sakta hai?

Lekin uska pareshaani aisa tha ki usse thik karna naamumkin ke barabar tha...Naa hi uska confidence kaam aata aur naa hi kisi ka saath.

Yahi sab sochte hue wo apne hakikat ke duniya me waapas laut aaya...Jaha sirf wo ek hi cheej kar sakta tha...Apne kismat ki faisla ka intejaar.
 

King

𝕿𝖍𝖊 𝕺𝖓𝖊 & 𝕺𝖓𝖑𝖞 𝕿𝖗𝖚𝖊 𝕶𝖎𝖓𝖌
3,963
6,954
159
Superb update bhai
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,138
189
Bhai bohot hi achchha update hai bhai par ab kitna suspence rakhoge story me plzz ab to clear kar dijiye.
:yourock:
Thank you Mbindas bhai for your support and review...Abb story jyada nahi hai aur suspense bhi bahut jald clear ho jaayega...Maybe before 5 updates of ending...Aise hi saath bane rahiye bhai.
 

Prince Sahil

◉‿◉⁩وصل یار کے دن
555
905
109
Very nice update...
Wo dost hi kya jo apne dost ki pareshani ko bhi na jaan sake....
Dhruva ka bhi dimaag doctor se teej nikla akhir wo engineer jo hai ...
And last
Dhruva aur Ajit ke jo dialogues aapne likhe were awesome....
Keep rocking...:yourock:
 

Aryan s.

Active Member
744
1,383
139
Very nice update....
Dosti kya hota hai aapne iss story ke zariye bohot achha example set kiya hai....
Finally Dhruv ko kuch had tak problem ke baare mein pata chal gaya hai aur ek biswas hai ki woh Ajith ko thik kar dega....
:thanks: for the update
 
Top