• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Khwahishein (Completed)

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,139
189
UPDATE 26

Ye kaisa majaak hai? Fir se jhuth bola tune?

Dhruva ko sahi salaamat dekh Ajith ne bahut gusse me kaha.

Dhruva:- To kya karna chahiye tha mujhe?

Ajith:- Kuch bhi...Lekin iss tarah jhuth bol kar bulaana.

Ajith ke chehre par bahut gussa tha abhi.

Ajith:- Serious baat par bhi itni aasani se jhuth bol diya tune.

Dhruva ko Ajith ka gussa dekh muskaan aa gaya.

Aaj bhi Ajith uske liye kuch bhi kar sakta hai iska saboot saamne Ajith maujud tha.

Ajith ka roop aur haaw bhaaw bata raha tha ki wo kitni jaldi me Dhruva se milne aaya tha.

Saamne Ajith White Coat me tha...Gale par Sthescope aur White Coat me ek card jisme likha tha.

Dr. Ajith
Intern

Ek pal ka saans nahi liya hoga bechaare ne jab se usne khud ki haalath ke baare me suna hai aisa soch kar Dhruva ki hontho me muskaan aur dil me Ajith ke liye izzat aur bhi badh gaya.

Ajith:- Tu hans raha hai?

Dhruva:- Tera dosti dekh kar.

Ajith:- Accha aisa kya dikh gaya tujhe mere dosti me.

Dhruva:- Ye baat tu khud se puch? Pata chal jaayega.

Mere baare me sunte hi bina koi change kiye (dressup) bhaaga chala aaya.

Ajith kuch bol nahi paa raha tha.

Ajith:- Fir bhi tune galat kiya iss tarah se bol kar.

Dhruva:- Jaanta hu...Lekin ye bhi jaanta hu sidhi ungli se ghee bhi nahi nikaal sakta...Iss liye aisa karna pada.

Ajith ne ek lambi saans le liya...Iss baat se wo bhi waakif tha ki Dhruva ki jidd ke saamne wo kabhi jeet nahi sakta.

Ajith:- Abb bata kaise yaad kiya?

Dhruva:- Tu to mujhe bhul hi gaya hai...Issi liye mujhe hi tujhe yaad karna pada.

Ajith:- Kaam ki baatein kare?

Ajith ke liye waha rukna bahut mushkil tha...Wo jaanta tha wo kabhi bhi Dhruva ke saamne tut sakta hai.

Dhruva:- Bilkul professional ho gaya tu.

Dhruva ne Ajith ki taraf muskura kar kaha.

Ajith:- Responsibility bhi kuch cheej hota hai.

Dhruva:- Sahi kaha...Responsibility nibhaana hi chaahiye...Ye har insaan ka kartavya (duty) hai.

Lekin ye responsibility jo hota hai na wo khud par bhi applied hota hai...Kabhi kabhi insaan ko khud ke baare me bhi sochna chaahiye.

Ajith:- Kya matlab hai tera?

Achanak hi Ajith ne pucha.

Dhruva:- Cool yaar...Khud se puch...Jawaab mil jaayega.

Dhruva ki hontho me muskaan tha jisse Ajith har baar uncomfortable feel kar raha tha.

Ajith:- Accha abhi chalta hu...Ek emergency case hai...Baad me milte hai.

Itna keh kar Ajith utth gaya.

Dhruva:- Kahi nahi jaayega tu? 2 hrs ka chhuti le hospital se.

Dhruva ki baato me request kam order jyada tha.

Ajith:- Aisa kyu?

Dhruva:- Dost hu tera...2 saal baad mile hai...Baatein karni hai.

Ajith:- Sorry dear friend...Lekin abhi ye possible nahi hai...This is my duty time...Abhi jo time hai wo sirf patirnt ke liye hai...Naa hi kisi dost aur rishtedaar ke liye...Shaam me baat karenge fursat se.

Dhruva:- Kuch baatein aisi hoti hai jisko thik samay me karna chaahiye...Aur aisi hi baatein mai abhi karne jaa raha hu jiska sahi vakt ye hi hai.

Ajith:- Lekin kya kar sakte hai...Har koi vakt se bandha hota hai...Mai bhi hu...Chaah kar bhi vakt ki iss bandhan ko tod nahi sakta...Kaash vakt ko apne kaabu me kar paata aur apne hisaab se chala paata.

Ajith ki aawaj me ek dard tha...Jo uski majburi dikha raha tha...Dhruva ko bhi ye mehsus karne me jyada vakt nahi laga.

Ajith:- Jab bhi tere liye vakt nikaalunga tujhe bula lunga...Iss vakt ko tera naam nahi kar paaunga.

Dhruva:- Kar sakta hai...Vakt ki bandhan ko bhi tod sakta hai aur apne kaabu bhi kar sakta hai.

Bas chaahiye to himmat aur iccha...Jo tu kho raha hai.

Dhruva ne bhi Ajith ki sabse badi pareshaani ki taraf ishaara karte hue kaha.

Ajith:- Har raasta itna aashaan bhi nahi hota...Kahi na kahi haar ka saamna karna padta hi hai.

Dhruva:- Where there is a will, there is a way...Tu bas manjil ka soch, raasta khud mil jaayega.

Aur rahi baat haar ka to...Jab tak tu khud haar nahi maanega tab tak tujhe koi hara nahi paayega...Haarta to wo hai jo koshish hi nahi karta...Haarta kaayar hai jiske paas ladne ki taakat hi na ho.


Ye sab kehte hue Dhruva ko bahut bura lag raha tha...Apne hi dost ke liye ye sab kehna usse hi bardast hi nahi ho raha tha...Lekin abhi ke liye yahi jaruri tha.

Jaanta to wo bhi tha uska dost kaayar nahi veer hai...Jo har mushkil se lad sakta hai aur lada bhi hai...Iss baar wo apne ussi veer dost ko waapas dekhna chaahta tha.


Dhruva ki ye baatein nishaane par laga...Sidhe Ajith ki dil me baar kar diya usne.

Ajith:- (In his mind) Aisa nahi hai yaar...Bahut lad chuka hu mai aur aaj bhi lad sakta hu...Lekin jeet aur haar ke bich ek aisa cheej hai jis vajah se maine haar ko hi apna liya...Jeetne ki khwahish hi khatm jo gaya.


Lekin Ajith ne baat khud tak hi rakha...Dhruva ke saamne bol nahi paaya.


Ajith:- Bahut bolta hai yaar tu...Baato me itna time waste kar diya...Aur yaha raha to pata nahi kya hoga...Chalta hu...Ye vakt sirf patient ke liye hai.

Itna keh kar Ajith jaane laga.

Dhruva:- Apne dost ke liye bhi nahi?

Ajith:- Nahi...Sirf patient.

Dhruva:- To thik hai...Mai hi patient ban jaata hu...Tab to mere paas hi rahega na tu.

Dhruva ki baaton me ek himmat tha...Sacchai tha...Jisse saaf pata chal raha tha ki wo soch bol raha hai.

Ajith bhi jald hi Dhruva ki taraf muda...Dhruva ki daaya haath me chaaku (knife) aur baaya haath uske nishaane par dekh Ajith ka hosh hi udd gaya.

Dhruva:- Faisla tera hai...Dost ke liye vakt nikaalega ya Patient dost ke lige?

Ajith kuch bol hi nahi paa raha tha.

Dhruva:- Kaisa doctor hai tu? Mujhe to bahut kehta tha..."Prevention is better than cure."

Kya iss accident ko prevent nahi kar sakta.

Ajith ko fir ehsas ho gaya Dhruva aur dosti se wo jeet nahi paayega...Ek baar fir usse haar maana pada.

Ajith:- Chal thik hai...2 ghante ko tere naam kiya...Abb bol...Kya baat karni hai?

Ajith ki ye baat sun kar Dhruva muskuraaye bina nahi reh paaya.

Dhruva:- Dekha...Kaha tha na agar iccha ho to vakt ko badal sakte hai...Abhi tune badal hi diya.

Issi tarah kisi bhi haalaath ko badal sakte hai aur kisi bhi mushkilon se lad sakte hai...Bas ek himmat to kar.

Fir Ajith kuch bol nahi paaya...Bolta bhi kya? Uski har baato ka jawaab tha Dhruva ke paas.

Wo chup hi raha...Aur iss baar Dhruva bhi kuch na bola...Wo bas Ajith ki chehre ko hi padhne ki koshish kar raha tha.

Dhruva:- Tu bahut badal gaya yaar.

Iss baar Dhruva ki aawaj me dard tha...Ajith ki aankho ko padh chuka tha wo.

Ajith ne khaamoshi me bin bole hi bahut kuch bata diya Dhruva ko.

Dhruva ko Ajith ki ye haal bahut chubh raha tha...Lekin usse raasta bhi mil gaya usse aage kya karna hai jo jo wo itne dino se dhund raha tha.
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,139
189

Samurai

Well-Known Member
2,815
2,407
159
One of the best upsate of the story:bow: . Gajjab ka emotion likhte ho aap hats off:applause:
Jindgi , dosti aur majboori uff kya kya samhale Ajith .
Dhruva me dosti ka jazba uski jidd ban chuka hai jabki Ajith thode halaat aur thodi bebsi se toot gaya hai .
Har dilouge khud me best tha :rose:
Ajith ki baaton me kitna dard hai yaar , kya kuchh gujar raha hoga uspar , hausla buland hai par kya aisa hai beech me jiski wajah se usne haar ko chuna hai .
Dhruva ke liye to mai kya kahoon am speechless itna jyada samjhdaar lag ra mujhe is wakt ki :bow: dekhte hain kya socha hai Dhruva ne , kya hogi uska agla kadam :hmm:
 
Top