• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Romance Khwahishein (Completed)

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,139
189
UPDATE 25

Kajal:- Aa chhi.

Aur Kajal ka ek dam se chheenkh nikal gaya.

Ajith:- Thik to ho naa?

Ajith ne Kajal ke baalo par haath ferte hue kaha.

Kajal:- Ha...Bas thoda sa sardi hai.

Kajal ne Ajith ki taraf dekh kar kaha.

Ajith:- Thoda nahi bahut...Dekho tumhaara naak bhi laal ho gaya hai thand ki vajah se.

Ajith ne bahut fikar ke saath kaha.

Kajal:- Hmm...Thoda sa jukhaam hai.

Ajith:- Thoda sa?

Kajal:- Ha thoda sa...Dawaai khaaungi to thik ho jaayega.

Ajith:- Not fair...Har baar dawaai...Apna khayal kabhi nahi rakhti tum.

Kajal:- Tum ho na mera khayal rakhne ke liye.

Kajal ne sharm aur muskaan ke saath kaha.

Ajith:- To fir tum se dur chala jaaunga.

Kajal:- Taang tod dungi.

Itna keh kar hasne lagi...Saath me Ajith bhi hasne laga.

Ajith:- Oh God...You are too much.

Kajal:- I know.

Ajith:- Khair ye baatein chhodo...Chalo ghar chhod deta hu tumhe...Warna jukhaam badh jaayega.

Kajal:- Please kuch der aur.

Ajith:- Bilkul nahi.

Kajal:- Tum bhi kitna unromantic ho...Itna romantic mausam hai...Thandi thandi haawaien...Har taraf hariyali aur shaanti...Aur aasmaan me safed aur ghane baadal...Mera dil to naachne ka kar raha hai.

Ajith:- Iss baar to bilkul bhi nahi...Aur raha tumhaari shikaayat ki mai unromantic hu ya romantic...Wo to tumhe baad me bataaunga...Abhi filhaal tum ghar chalo.

Kajal Ajith ki iss baat par munh bigaadti hai...Ajith ko ye dekh kar fir hansi aa jaata hai.

Ajith ne fir mehsus kiya ki Kajal thand se kaamp rahi hai.

Usne apne bag se jacket nikala aur Kajal ko pehna diya.

Kajal ko ye dekh Ajith par aur bhi pyar aa raha tha...Ye Ajith ka care hi tha uske liye jis vajah se uska pyar Ajith ke liye badh raha tha.

Wo Ajith ko hi dekhe jaa rahi thi...Fir dhire se boli.

Kajal:- Lekin tumhe bhi to thand lag raha hai.

Ajith:- Tum jitna nahi...I will take care.

Kajal:- Lekin...

Ajith:- Mere liye.

Abb Kajal kuch bol nahi paa rahi thi...Ajith ka ye pyar dekh kar khushi se uski aankho se aansu aa gaya.

Kajal:- Itna pyar karte ho mujhse?

Ajith:- Isse bhi jyada.

Kajal:- Hamesha aise hi pyar karte rehna.

Itna keh kar Kajal ne Ajith ko gale laga liya.

Ajith:- Abhi tak sirf kehta aaya hu kitna pyar karta hu tumse...Lekin kabhi dikha nahi paaya.

Kajal:- Sab dikhta hai.

Ajith:- Vaada karta hu...Bas ek baar settle ho jaane do Doctor banne ke baad...Tumhaara har sapna pura karunga...Kabhi koi khwahish adhura nahi rahega...Duniya ka har jagah ghumenge...Har khushiyan mehsus karenge...Saath jiyenge pyar aur khushiyan ke saath.

Paisa kabhi bhi hamaari khushiyon ke bich diwaar nahi banega.

Kajal:- Nahi mujhe ye sab nahi chaahiye...Sirf tumhara pyar...Please tum jaise ho waise hi rehna.

Kajal Ajith se alag hote hue boli.

Ajith:- Lekin kyu? Ye sab tumhaare liye hi to soch raha hu...Tumhaare pyar ke liye.

Kajal:- Safalta aur khushiyan to milta hi rehta hai jindagi me...Lekin jaruri ye hai ki ham aasmaan ki taraf kitni bhi ucchai (height) haasil kyu na kar le pair jameen me hi hona chaahiye.

Tum abhi jo Ajith ho mujhe wohi Ajith se pyar hai...Jo bahut pyara hai, thoda maasum hai...Jo sabhi se bahut pyar karta hai aur har insaan ka bhala chaahta hai...Aur paiso ke piche paagal nahi hai.

Mai tumhaare saath har haal me khus rahungi...Mujhe yakin hai tum par.


Ajith ko samajh me nahi aa raha tha kya bole.

Kajal:- Ha paiso ki kami nahi aayegi...Tum aur mai mil kar kaam karenge to paiso ka problem bilkul bhi nahi aayega...Lekin mai chaahti hu paiso ki vajah se ham me koi badlaaw nahi aana chaahiye.

Hamaara pyar pehle jaisa tha waisa hi rehna chaahiye...Unconditional.

Kajal ne Ajith ki aankho me dekh kar kaha.

Kajal:- Tum samajh rahe ho na? Mai kya keh rahi hu.

Ajith:- Ha samajh gaya.

Ajith ne fir se gale laga kar kaha.

Ajith:- Shaayad galat raaste ki taraf soch raha tha...Accha hua pehle hi ehsas ho gaya...Paise se pyar dikhaa nahi sakte...Paise apni jagah jaruri hai...Aur pyar to pyar hai...Bas dil se ki jaati hai...And it is unconditional.

Ajith ne muskura kar kaha.

Fir Ajith ne Kajal ki maathe (forehead) par ek kiss kar diya.

Kajal bhi Ajith ko pyar se dekhti rahi.

Ajith:- Niche to karne nahi dogi.

Ajith ne Kajal ki hontho ko chhu kar kaha.

Kajal sarma kar dusri taraf dekhne lagi.

Fir achanak usse yaad aaya.

Ajith:- Tum bhi na...Bahut emotional ho jaati ho aur mujhse bhi kar deti ho...Aur iss chakkar me bhul gaya tha ki tumhe ghar bhi jaana hai.

Kajal:- Please kuch der aur.

Kajal ko abhi jaane ka bilkul bhi man nahi kar raha tha.

Ajith:- Bilkul bhi nahi...Tumhara health ke saath no compromise.

Itna keh kar Ajith aage badh gaya aur Kajal ki scooty par baith gaya...Kajal bhi puche piche aa gayi.

Ajith:- Key do.

Kajal key deti hai.

Ajith:- Chalo...Tumhe drop kar deta hu.

Kajal:- Nahi nahi...Mai chali jaaungi.

Ajith:- Nahi...Iss baar tumhaara bilkul bhi nahi sununga.

Abhi tumhaari tabiyat thik nahi hai...Mai khud chalaunga.

Kajal fir scooty me baith jaati hai.

Ajith scooty chalaana suru kar deta hai.

Kajal:- Kitna slow hai? Thoda fast to karo.

Fir Kajal speed dekhti hai...25km/hr tha.

Ajith:- Issi liye tumhe chalaane nahi de raha tha...Agar tej chalaunga to aur thand lagega tumhe.

Fir Kajal bhi kuch na boli...Wo mirror me Ajith ka chehra dekh muskuraane lagi.

Aaj Kajal ka wohi haal tha jo pehle Ajith ka hua karta tha...Wo iss safar ka maja le rahi thi...Kabhi Ajith ka chehra mirror se dekh kar to kabhi Ajith ka apne paas hone ki mehsoos se.

Kajal ke ghar se kuch doori par Ajith ne scooty rok diya.

Kajal:- Ghar ke andar to chalo.

Ajith:- Aaj nahi.

Kajal:- Fir kab?

Ajith:- 1 mahine baad...Tumhaare ghar rishte ki baat le kar aaunga.

Ajith ki iss baat se Kajal thoda sarma gayi.

Kajal:- Kya khaas hai uss din?

Ajith:- Khaas din hi hai...Mera pehla salary...Kal se Internship hai...1 month baad first salary as a doctor.

Kajal:- Fir paise ki baat?

Ajith:- Tumhaare liye nahi...Sasur ji ke liye.

Unhe ye ehsas to dilaana padega na ki mai apne pairo par khada hu aur unke beti ke laayak hu.

Gift le kar aaunga tumhaare liye uss din...Apne pehli kamaayi ki paise se...Intejaar karna.

Ajith ki baat se Kajal ki khushi ka koi thikaana hi nahi raha.

Kajal:- Intejaar rahega.

Fir Ajith Kajal ki kaan ke paas jaa kar dhire se kehta hai.

Ajith:- Internship me romance bhi karenge...Night duty bas mil jaaye...Apne duty ke saath saath pyar bhi karenge.

Kajal:- Dhatt paagal.

Dhire se Ajith ko maarte hue sarma kar apne ghar ki taraf bhaag gayi Kajal.

Ajith bas usse muskuraata hua dekhta raha.

Kajal aage jaa kar palti...Fir dono ka najar milte hi muskaan aur sarm aur bhi jyada fail gaya Kajal ki chehre me...Fir wo bhaag gayi apne ghar ki andar.

Ajith bhi dusri aur muskuraata hua apna hostel ki taraf chala gaya aankhon me naye naye sapne le kar.

Iss baat se anjaan ki jitna haseen sapna usne dekha hai utna hi daraawna hakikat se usse saamna karna padega jald hi bhavisya me.
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,139
189
Last edited:
  • Like
Reactions: Nevil singh

Aryan s.

Active Member
744
1,383
139
How romantic it is !!!!
Mind blowing.....
Kajal aur Ajith ke har baaton se pyar jhalak raha tha....
Pyar unconditional hota hai , usse jis tarah se aapne present kiya hai woh bohot achha tha....
:thanks: for the update
 

Champ_AK_81

Well-Known Member
5,758
13,139
189
bahut hi shaaaandar update hain
pyaari pyaari pyaar bhari baate
pyaare se moausam me pyaara sa inka joda
feeling love everywhere
Thanks Sonu bhai for your support and review...Aise hi saath bane rahiye bhai.
 
Top