• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Immortals

Ristrcted

Now I am become Death, the destroyer of worlds
Staff member
Sr. Moderator
47,785
40,292
304
Last edited:

ANUJ KUMAR

Well-Known Member
2,669
13,384
158
UPDATE -55

Ab tak

Bua ne humme permission de di thi....sabki oor se.....ab humme bas kal ka wait karna tha clubs join karne ke liye par....yaha bhi unhone ek shart rakhi...ek goli di hum dono ko....jisse hum dono hi kamzoor ho jaate hai khaane ke baad.....isse humko dusro ka saamna karne ke liye jyada mehnat karni padti hai...isse hum aur takatwar banege aisa hi kaha tha.....wahi dusri oor Fumos pe....waha ka leader waha ke tatwon ko ikkatha kar raha tha kuch karne ke liye....aur saath hi kuch planets ke khoji dastein uss taraf jaa pahuche the jaha se Jwala ke kabile mein jaane ki jagah thi....isko dekhte hue Jwala ne security kaafi badha di thi....

Ab aage....

Pahle to hum Fumos chalenge....raat ka waqt tha.....saamne nilli aag ki laptein jal rahi thi....Leader uske theek saamne baitha tha...usne apne pass bahut si sisiyan rakhi hui thi...unme kuch bhara hua tha....

usne uss nilli aag mein unn sisiyon ko khali kiya.....ek to waise hi khali thi.....aisa karne ke baad uske saamne jo aag tha wo nille rang se laal rang mein badalne lag gaya...

"main jaanta hu sayad mera waqt aa gaya hau par main isse khush bhi hota par abhi main mukt nahi hona chahta..."

Usne aisa bola...aur uss aag ki laptein kuch ajeeb tarah se hilne lagi.....

" Haa ye mere khud ka faisla hai....main abhi kuch waqt tak aur yaha rahna chahta hu...."

Wapas se wo aag ki laptein thodi hilli...

" Mujhe pata hai naya leader yaha aa chuka hai par abhi tak usne mujhse ye planet nahi maanga....aur jab tak ye naa ho main usko apna bhaar nahi de sakta...aur naa hi main mukt ho sakta hu"

fir se wahi laptein hilli...

"theek hai agar usne maanga to main ye planet usko dene mein deri nahi karunga..."

wo lal aag wapas se nilli ho gayi....Leader waha se utha aur gayab ho gaya...

Wahi dusri taraf......Demos pe aaj bhi wahi khabar aayi ki abhi tak kuch haath nahi laga par......saath mein ek aur bhi buri khabar aayi thi unke khoji dastein mein se kuch log gayab ho gaye the....unka kuch pata nahi chal raha tha....ye baat jab Lucifer ne sunni to wo khush ho gaya.....usko aisa lagne laga jaise wo uss power ke bahut kareeb aa gaya hai ussi power ne unke logo ko gayab kiya hai....par abhi wo pakka nahi tha iss baat ko leke.....

Usne turant apne logo ko bola jaha bhi uske log gayab hue the uske aas pass ek ghera banao....aur ussi ghere ke ander dhundhna shuru karo....aur jaise jaise ye ghera chota hota jaayega wo log uss power wale ke pass pahuch jaayenge....

Uske log darr to rahe the kyunki wo ek aise power ki talash mein the jisse bachna muskil tha...ye bhi nahi pata ki wo kaisa hi sakta hai....kitna dukh de sakta hai wo power....par wo ye bhi jaante the agar khali haath wapas gaye to unko Lucifer ke gusse ka samna karna pad jaayega....aur ye sach mein unke liye bhayanak tha....

unn logo ne pahle to ye pata kiya ki kaha se unke log gayab hona shuru hue the....aur fir ek ghera banaya uske charo taraf....ek bada sa ghera....aur waha sab kuch dekhna shuru kiya...

Jo log gayab hue the......wo darasal Jwala wali jagah pe pahuch gaye the....par ye jaan bujh ke kiya gaya tha....

ye sab karne ke liye sayad Jwala ke logo ko bas kuch hi minute lage honge.....aur Polar bears aur old Owl ke logo ki thodi si madad.....

Unn sabhi ne milke unn sab raston pe nazar rakhna shuru kiya jaha se waha jaaya jaa sakta tha.....aur fir unn sabhi ne waha waha pe portals kholi.....Old Owl ke logo ne portals khooli....Jwala ke log unko energy de rahe the taaki portal ek second ke liye bhi band naa ho......aur Polar bears...wo sab suraksha ke liye the.....agar kuch bura hua to wo unhe sambhal sakke....

Portal se hote hue agar koi ander aane ki koshish karta to Portals unhe sidha pahucha deti Polar bears ke ilake mein jaha abhi tak wo jeev utpaat maccha rahe the...kyunki Rupal ko powers to mill gayi thi....par sko abhi use karna nahi aaya tha...aur naa wo usse unn jeevon ko kaabu mein kar sakti thi....

Ye puri taiyaari karke baithe hue the waha pe sab....naa sirf Lucifer ke logo ke liye balki har kisi ke liye.....wo kisi bhi kimat pe kisi anchahe mehmaan ko ander nahi aane dena chahte the.....

Inn sab se dur.....Prateek so raha tha.....haa aaj wo so raha tha ek to unn goliyon ki wajah se kamjor ho gaya tha wo aur bahut thak sa gaya tha jisse wo turant hi sone chala gaya wahi Dhruv ke liye ye aur bhi accha tha....agar Prateek aise aaram karta hai to Albus aur Cooper bahut hi jald sahi ho jaayenge....aur saath hi...Prateek ke elements mein ek sthirta banegi....

Haa to wo so raha tha aur aaj bhi wahi sapna dekh raha tha wo....wo bada sa darwaja aur aaj bhi usne usko kholne ke liye haath aage kiya....aur uski aankhen khul gayi....

Subah ke 3 baje...Main uth jaata hu....aas pass dekhne mein sab ek pal ke liye ajeeb sa lag raha tha sayad unn goliyon ka asar ho....

Maine ek baar wapas se ghadi ki oor dekha fir fresh hone chala gaya neend to ab aani nahi thi.....main taiyaar hua aur waha se nikala aur pahuch gaya dhyaan lagane wali jagah pe....aaj to kal se bhi pahle waha pahuch gaya tha main....

Main baith ke dhyaan lagane laga ki tabhi.....Jwala ki aawaj aayi mere pass....

Jwala - Yaha pe bahari log ghum rahe hai....humne suraksha ke liye kuch badlaaw kiye hai....

Main - Bahari log waha par kyun...aisa kya hua hai....

Jwala - Main bhi nahi jaanta kya hua hai......par sayad humme madad lagegi tumhari...

Main - Bas bata dena main aa jaunga waha.....

Main - Dhruv tum sun rahe ho.....Jwala kya bol raha hai ye sab.....

Dhruv - Maine manna kiya tha....par tumne sunna nahi tha....ab dekho sabko iss baare mein pata hai ...ab kya lagta hai wo chup rahenge....

Main - main samjha nahi kuch....

Dhruv - Ye sab tumhari wajah se ho raha hai.....yaad hai wo jungle aas pass ke ped......wo Dark power ki wajah se waise ho gaye the......kuch hi pal ke liye par tumhare ander se wo bahar nikle the....aur uske baad sabko pata chal gaya unke baare mein....aur ab wo dhundh rahe hai unhe...

Main - par wo Jwala ke pass kyun jaa rahe hai jabki power mere pass hai...

Dhruv - Haa power tumhare pass hai par wo power abhi active nahi hai par jab active hui thi tab tum uss jungle mein the aur wo log bhi ussi jungle ke aas pass thumhe dhundenge.....

Main - Ye to bura hua....hum isme kuch kar sakte hai kya.....

Dhruv - Waha pe Albus aur Cooper ko bhejo....wo waha pe sambhal lenge...main unpe nazar rakhunga yaha se.....

Main - par wo to aaram kar rahe the naa...

Dhruv - haa kar rahe the par kal raat tumne acche se rest kiya hai jisse wo sab bhi theek hai abhi.....to wo waha jaa sakte hai.....

Main - Theek hai...bhejo unko waha aur dhyaan rakhna

Maine aisa kaha aur fir mere ander se 2 light balls nikle.....

Dhruv - Jwala ko portal kholne bolo...

Maine waisa hi kiya....Jwala ne portal khola aur wo lights ander chale gaye....par usko iss baare mein pata nahi chala.....

Jwala - Kya baat hai.....

Main - apna dhyyan rakhna aur koi madad chahiye to mujhe batana....

Maine ye kaha jisko sunke wo mujhe ghorne laga par kuch kaha nahi portal band kiya aur chala gaya.....

Maine ek baar wapas se Dhruv se baat ki usse puccha wo unn dono ko sambhal lega ki nahi...uske baad main baith gaya dhyaan lagane.....

thodi der mein sayad baaki sab bhi aa gaye aur wo bhi dhyaan lagane lag gaye....baaki sab normal sa hi chal raha tha aaj.....

saari classes normal si gayi....haa Nikita kuch exited lag rahi thi unn clubs ko join karne ke baare mein soch soch ke.....usko...

Saare classes khatam hone ke baad Bua ne humme apne pass bulaya tha taaki wo humme introduce karwa sakke unn clubs mein par aur issi ke liye Didi bhi aayi hui thi....par ek Pankaj bhi tha jo humme introduce karwana chahta tha....

Jab Pankaj ko pata chala ki humme introduce Bua aur didi karane waali hai to wo bhi Bua ke cabin mein aa gaya....

Pankaj - Prof. Main inn dono ko introduce karwa deta hu clubs mein...

Bua - Nahi iski jarurat nahi hai Main hu abhi yaha aur dekho Rupal bhi aayi hui hai ...isko to jaante hi hoge....

Pankaj ne Rupal didi ki oor dekha aur haa mein sar hilaya....

Rupal didi - Pankaj bade dinno baad mille ho....maine Suuna hai tumne inhe pareshan kiya tha...ye sahi hai kya.....

Ye baat pata nahi unko kab aur kaise pata chali.....par wo ye bolte hue thode gusse mein lag rahi thi....

Pankaj - Uss waqt main nahi jaanta tha ye kaun hai par ab jaanta hu aur main khud iss baat ka dhyaan rakhunga ki koi inhe pareshan naa kare....

Rupal didi - jarurat nahi hai ye mere bhai bahen hai inko kisi ki dekh bhal ki jarurat nahi hai samjhe....ab jaa sakte ho yaha se....Bua isko jaane bolo

Pankaj - Nahi main jaata hu....par haa ye ladka mera bhi bhai hai....isliye thodi jimedari to meri bhi banti hai....

Rupal didi uske pass jaake....

Rupal didi - to tum jimmedari uthaoge iski....hmmm sahi hai wo ladka jo 1st year mein aate ke saath apne pita ji ka hawala deke dusron ko darata tha.....aaj mere bhai ka dhyaan rakhega....wo ladka jisko bhari class me.....

Bua - Rupal kya kar rahi ho tum....chup raho.....Pankaj iski taraf se main mafi mangti hu....tum abhi jao....aur haa tum inka dhyaan rakh sakte ho....par Rupal bas inko introduce karane ke liye hi aayi hai to ye usko hi karne dete hai....

Pankaj apna sar nicche kiye khada rahta hai aur haa bolta hai....

Itne se ye to samajh aa gaya tha ki Rupal didi ko ye bilkul pasand nahi tha.....par kal jab ye unki baatein kar rahe the tab to bade adab se inka naam le rahe the....pata nahi kyun...

Pankaj waha se nikal gaya aur Nikita Rupal didi ko dekh ke hasne lagi....

Bua - Nikita ghar pe kaha tha naa bhaiya ne......naa to Prof. Daksh aur naa hi unke bete ko hum kuch kahenge....ye sab khud Prateek dekhega...

Main - Main.....matlab kya hai iska...

Bua - Dekho humme aur unme jo rista hai uski kaddi tum ho.....ab ye tumpe hai ki tum kaise rahte ho unke saath hamare saath aur yahi baat hamare rishte ko tay karne wali hai....Papa ka kahna hai humme ek saath rahna hoga...

Main - hmm theek hai..

Rupal - Kya theek hai unki baat mat sunna khass kar ke uss Pankaj ki wo acha nahi hai....khud Prof. Daksh bhi uske kaaran fans chukke hai main nahi chahti tum uske pass raho....

Bua - Rupal....ye sab chodo aur chalo isko introduce karao....tum dono ne kaun kaun se clubs chunne hai....

Nikita ne unko wo 3 clubs ke baare mein bataya..

Bua - hmm acchi choice hai....chalo ab chalte hai waha ke heads se bhi milna hoga...aur haa iske baad naa to main aur naa hi Rupal hum dono mein se koi bhi tumhare liye uss club ka kaam kar sakte hai....

Nikita - haa pata hai waha ke niyam maine sab padh liye hai..

Main - Niyam ....

Bua - Nikita isko bhi samjha dena ab chalo....

Hum dono ko leke wo dono chal di pahle club mein jo tha wo kaadhe wala club tha ye mere bahut kaam aane wala tha....iss club ke caretaker Prof. Daksh khud the.....to yaha aane se mujhe unse baat karne ka mauka mil sakta tha....fir hum dusre club mein gaye hathiyaron ke club mein waha ke caretaker waise to Prof. Suraj the par ab naye Prof ho gaye the.....aur uske baad tisra club Literature and History ka....isme head koi aur hi prof. the....jinke baare mein aage pata chalega...

tinno jagah hi hamara introduction karwa ke Rupal didi jaane ko hui......par wo akeli nahi gayi.....Nikita bhi unke saath chali gayi jab ki kal bhi class thi...Maine pucha to kuch bataya nahi mujhe.....

Main ab apne room mein baitha tha....aur soch raha tha kuch ki tabhi Dhruv ki aawaj aayi....

Dhruv - sayad tumhe bhi waha jaana pade....

Main - kaha....

Dhruv - Jwala ke pass unn darwajon ka pata lag chukka hai....par log ab uske ander nahi jaa rahe balki uske baare mein batane jaa rahe hai apne planets pe......

Main - isse kya hoga...

Dhruv - isse sena waha aa jaayegi unn planets ki...aur Jwala aur waha ke log sab khatre mein pad jaayenge....

Main - ye to bahut bura hoga...kuch karna hoga mujhe.....

Main - Jwala portal kholo...

Jwala ne portal khola aur fir main ander chala gaya....

Jwala - Accha hua tum aa gaye....ye log ab aur logo ko laane jaa rahe hai....isse musibat ho sakti hai ye jagah tabah kar denge ye log.....aur hum beghar ho jaayenge....

Main - Nahi aisa nahi hoga koi rasta hoga jisse ye sab naa ho....

Jwala - Yaa to humme inn sab ko maarna hoga yaa fir kisi tarah inhe dhokha dena hoga...maarne se baat bigdegi bas.....

Main - Haa ye sahi hai hum maar nahi sakte kuch aur hi karna hoga....

Dhruv - Kahte hai ki aisi jagahon pe daanav chup ke raha karte the...aur portals ka ek jaal bichaye hue rahte the.....taaki wo aur unke bacche aaram se rah sake....

Main - Daanav.....main samajh gaya tum kya kahna chahte ho.....

Main - Jwala wo daanav yaad hai...jiske bacche ne tumhe pakad liya tha.....

Jwala - haa yaad hai par usse kya....

Main - Usne madad karne ka wada kiya tha....usko yaha bulao.....saare portal.....bas ek jagah khulegi....uss daanav ke pass....sabhi sunn rahe hai,....

Dhruv - kuch kuch theek hai.....par ek daanav se kuch nahi hoga.....hume aur daanav chahiye honge....

Main - Aur daanav kaha se laun sayad wo jaanti ho wo leke aa jaaye kuch aur...haa

Main - Jwala usko akele aane mat bolna aisa lagna ye jagah uska aur uss jaison ka ghar hai....humme aur bhi daanav chahiye...

Jwala - hmm main karta hu kuch...

Jwala waha se chala jaata hai tabhi waha Bijli aa jaati hai....uski haalat kuch theek nahi lag rahi thi mujhe.....aaj bahut waqt baad milla tha usse aur wo dekhne mein kamzor lag rahi thi....

Main - kya hua Bijli tum theek nahi lag rahi.....

Bijli - Nahi main theek hu.....

ussi ke saath saath waha pe Jwala ki Maa bhi thi....jo sayad uska hi khayal rakhne ke liye thi waha.....warna aise halat mein wo yun yaha nahi hoti....wo Jwala ke saath hoti uski madad karte hue....abhi ye mujhe kuch nahi batana chahti thi to main kya karta....

Thodi hi der baad uss jagah pe daanav aa pahuche....wo baccha bhi aaya tha jisne Jwala ko pakda tha uss din....

Jwala - ye aa gaye hai.....aur mere logo ne bilkul wahi mahaul bana diya hai jo ye inke ghar mein hota hai...

Main - chalo ab sahi hai sab....ab bas portals ko khol do aur unko ander aane do....(Daanav se) aapko bas unko yakkin dilana hai ye aapka thikana hai yaha aur kuch nahi hai....ek baar wo ye maan lenge uske baad wo waha aaayenge hi nahi....

Jwala - Daanavon se duri banake rakhte hai sab.....taaki unko koi khatra naa ho....

Main - haa bilkul yahi...

Bas iske baad kya tha sab set ho gaya tha ab bas intezaar karna tha....aur wo bhi jyada waqt tak nahi.....thodi der mein hi alag alag planets se log waha pahuch gaye aur unn portals se ander aane lage....ander aate hi unko dikhte hai to bade bade daanav...bahut bade daanav dekhne mein bhadde se....

Jab sabne ye sab dekha to unko ghinn aane lag gayi....Daanavon ko sab bura hi maante the....yaha tak ki Demos ke log bhi....ye daanav dekhne mein hi ajeeb nahi the balki inke kaarname bhi ajeeb hote the....khair ye sab dekhne ke baad wo sab waha se jaana chahte the...kyunki wo nahi chahte the waha ek aur second rahna agar wo waha rahe aur unn danavon ko iss baare mein pata chala to dikkat ho jaayegi

Wo naa sirf unko masal denge....bali khaa bhi jaayenge....aur isse battar maut aur kya hogi....

Wo sab waha aaye....hum sab unse dur chuppein hue the...aur dekh rahe the......

baaki sabhi planets ke log to waha se chale gaye par...Demos ke log nahi gaye wo wahi rahe....kyunki unko pata karna tha aakhir wo tha kya.....

wo sab aage badhte gaye sambhal sambhal ke....ye wo waqt tha jab Albus aur Cooper ko saamne aana pada....wo dono hi Dragons ke roop mein waha aaye aur unhone....unn sipahiyon ko darra diya...wo sab waha se bhag gaye.....

Aaj ke liye itna hi next update kal aayega raat mein.....

jaha hum Jwala aur baakiyon ke liye nayi jagah dhundhenge....saath mein apni heroine ko laayenge yaha....dekhte hai kaise milti hai wo Prateek se....
AWESOME update
 

ANUJ KUMAR

Well-Known Member
2,669
13,384
158
UPDATE -56

Ab tak

Clubs mein intro ho gaya tha hum dono ka par.....isme bhi ek baar Didi aur Pankaj ke bich thodi kaha sunni hui...khair iske baad Nikita Didi ke saath ghar chali gayi....wahi main Jwala ke pass jaa pahucha kyunki ab uske thikane ke baare mein pata chal chukka tha logo ko....humne ek plan banaya ki uss jagah ko Daanavon ka thikana dikha denge jiske baad sab chale jaayenge...par Demos ke log kuch jyada hi jiddi nikle aur unko bhagane ke liye mujhe AAlbus aur Cooper ki madad leni padi....

Ab aage

Ye aasan nahi hone wala tha....humko turant hi waha se nikalna padega...Dragon ki khabar aag ki tarah failegi....upar se wo dark power ki baatein...ab to waha rahne ka koi matlab hi nahi tha.....

Dhurv -Sabko yaha se nikalna hoga....

Main - haa jaanta hu main.....par ye sab jaayenge kya.....

Dhruv - jaayenge jarur jaayenge.....tum baat karo inse....

Main - Jwala sayad tum bhi samajh rahe hoge ab kya hone wala hai....

Jwala abhi apne aas pass apne logo ko hi dekh raha tha.....pata nahi kya soch raha tha wo....

Main - Jwala tum sun rahe ho naa...

Itne mein Jwala ki Mom waha aati hai...

J.Mom - haa wo samajh raha hai sab....bas thoda pareshan hai.....humme yaha se nikalna hoga.....sabko....

Main - haa sabko nikalna hoga....aur isme Jwala ko hi sabko batana hoga.....

J.Mom Jwala ke pass jaati hai....wahi main thodi der unki oor dekhta hu fir aage ke baare mein sochne lagta hu.....

Main(mann mein) - Old Owl ke log uske kahe binna sayad naa jaaye yaha se.....mujhe usko yaha bulana hoga....

Maine Old Owl ko bualaya....par wo aaya nahi...

Old Owl - Bataiye...kya baat hai...

Main - Tumhe abhi yaha aana chahiye.....

Old Owl - Nahi main nahi aa sakta abhi...aap bataiye kya kaam hai main kisi ko bhej deta hu....

Main - ye bas tumse hi hoga...

Old Owl - Arre mere log bahut kabil hai.....aap bataiye to....

Maine usko yaha jo kuch bhi hua sab bata diya.....isko sunne ke baad wo kuch der to chup raha fir usne kaha....

Old owl - sabhi ko hatana hoga waha se.....jungle mein bhi bahut se jeev hai....unko bhi....

Main - Par unko kaise...hum waha jaa bhi nahi sakte.....

Old Owl - Pura jungle hata do...par koi bhi prajati khatam nahi honi chahiye aur naa hi kisi baahari ko dikhni chahiye.....

Main - Tumhe yaha aana chahiye....hum kuch karenge....

Old Owl - Tum unn sab ko dekho....main koi jagah dhundhta hu....jaha sabko rakha jaa sakke......

Dhruv - Uski baat bhi sahi hai par dikkat ye hai ki ye ho nahi sakta....hum kaise pure jungle ko yaha se hata denge.....aur wo jagah jaha se tumhare ander se wo Dark power nikli thi uska kya...

Main - Main kya bataun kuch samajh aaye tab naa....

Polar bear king - Humme yaha se jaana hoga.....

Main - haa main jaanta hu...aur main issi baare mein soch raha hu ki kaise jaaye....

King - tumne hamare baare mein sunna to hoga hi....agar hum aur ye pheonix mil jaaye to bahut kuch kar sakte hai....

Main - Haa jaanta hu.....par tum sab miloge hi nahi kabhi....to iss baare mein sochna hi bekar hai..

King - Main taiyaar hu....aur mujhe wo tarika bhi pata hai jisse hum apne liye ek naya ghar bana sakte hai....

Main - kya matlab hai iska.....

King - Kya lagta hai iss jagah ko kaise banaya gaya tha....humne banaya tha matlab hamare purvajon ne...aur ab jab ye khatam hone jaa raha hai to humko isko aur iske saath saath baaki ke jeevon ko bhi yaha se nikalna hoga...aur wo bhi unko binna pata chale.....

Main - kaise hoga ye.....

King - Kabile ke sardaar ko bulao.....

Main - Jwala yaha aao ye hamari madad kar sakte hai....

Jwala apni Maa se baat kar raha tha....usne meri oor dekha...aur fir mere pass aaya...

Jwala - haa batao....

Main - Ye bol raha hai agar tum dono chaho to ye puri jagah hi kahi aur chali jaayegi....

Jwala - Puri jagah ke saath saath wo jungle ka hissa bhi jiskke liye ye sab yaha aaye hai.....

Polar bear king - Haa thik waisa hi hoga....bas tumhe mera saath dena hoga....

Jwala - Batao kya karna hai mujhe......

king - apne kuch logo ko jaake bolo jungle ke uss hisse ke pass jaaye aur waha pe ek ghera banaya.......mere log bhi waha pahuchte honge.....tumhe unse kahna hai ki jab mere log barf ka use kare tab wo fire ka use karee....isse waha ke vatavaran mein asantulan aa jaayega par ye bas ussi bhag mein hona chahiye...jab ye ho raha hoga tab tum aur main wo karenge jisse ye puri jagah hi yaha se kahi aur chali jaayegi....aur rahi baat unn jeevon ki to wo ussi jagah se waha pe pahuch jaayenge aha pe hamare log asantulan paida karne wale hai.....wo ek bada sa portal ban jayega jo sabhi chizon ko khinch lega apni taraf....

Main - Kahi isse aisa kuch to nahi hoga naa ki jungle ke jeev waha se bahar aa jaayenge........

King - Nahi unko pata bhi nahi chalega kuch aur ye portal bhi koi aam portal nahi hone wala isse waves niklengi aur uske chapet mein jaise hi koi aayega wo waha se gayab ho jaayega matlab teleport ho jaayega..

Jwala - fir wo jagah kyun nahi hogi jiski wajah se ye sab ho raha hai.....

King - Mashal ke nicche hi andhera hota hai......wo portal us jagah pe hoga issi wajah se wo waisa ka waisa hi rahega......

Main - Inn daanavon ka kya......

King - Ye inpe hai jaisa ye chahe....

Jwala - tum unse baat karo main iske saath saari taiyaari karta hu........par hum jaayenge kaha.......

King - yahi sawal mera bhi tha...hum kahi bhi jaa sakte hai par accha hoga koi shant jagah dhundhe jaha koi aata jaata naa ho.....

Main - Old Owl issi kaam mein laga hua hai.....main usse baat karta rahunga jaise hi usko ko jagah milegi tum ye shuru kar dena......

Main itna bolne ke baad unn daanavon ke pass gaya.....aur wo sab apna kaam karne lage......

Main - suniye hum sab yaah se jaane wale hai.....kya aap yaha rahoge yaa hamare saath jaaoge......

D- Hum kahi bhi rah sakte hai....waise bhi ye agah humme pasand aa gayi hai...hum yahi rahna chahte hai.....

Main - theek hai par iske liye aap sab ko kuch waqt ke liye yaha se jaana hoga....

D - jaisa tum kaho.......

Wo yaha rahne ko taiyaar the aur ye ek tarah se accha bhi tha.......Bahar ke logo ne daanavon ko dekha tha yaha to agar ye yahi rahe to accha hoga..

Sab apne apne kaam mein lage hue the......humme issi raat ko sab kam khatam karna tha.......

Old Owl se meri baat ho rahi thi wo Strange world ke aas pass hi dekh raha tha nayi jagah ko......aur kuch der mein usko wo mil gayi....waha pass mein hi ek khali jagah thi jiske charo taraf ulkapind the....waha koi aata jaata bhi nahi tha.....aur agar galti se koi chala bhi jaaye to hum to adrishya hi rahenge naa to unko dikhenge hi nahi.......

Old Owl ne jaise hi mujhe uss jagah ka pata bataya maine bhi usko sab samjha diya....

Old Owl - Main portal khol raha hu.........waha se kuch logo ko idhar bhej dena...yaha bhi wo kaam mei lag jaayenge.....

Maine waisa hi kiya......aur fir kya tha sabse pahle to daanavon ko uss jagah se bahar kiya....taaki wo bhi naa teleport hi jaaye....fir Jwala aur Polar bear king ne apna kaam shuru kiya....aur dekhte hi dekhte ek bahut bada sa portal nban gaya par wo horizontal tha matlab jamen pe....theek jungle ke uss hisse mein jaha pe Dark power release hui thi mujhse......

Kuch hi der mein uske ander se tarangein nikalne lagi aur dekhte hi dekhte charo taraf phailne lagi.....

Main - ye ped paude kya ye bhi waha chale jaayenge...

Dhruv - Aisa kuch maine pahle kabhi nahi dekha to main bata nahi sakta......

King - saare nahi.......bas wo jinke ass pass koi jeev ho...nayi jagah pe jungle humme khud banana hoga....yaa fir e kaam ye jeev khud kar lenge.....

Main - isme koi dikkat to nahi hogi naa.....

King - Nahi....aur waise bhi bahari logo ko kaha pata hai ki yaha jungle thi....agar pura jungle chala bhi jaaye to koi pareshani nahi hogi.....

Main bas unko apna kaam karte dekhte raha......usme se j tarange aa rahi thi wo pahle to charo taraf phail rahi thi uske baad wapas aa rahi thi.....wahi Old Owl ke pass....wahi tarangein wapas se phail rahi thi....aur saath mein laa rahi thi apne saath yaha ki chizzen...

dekhte dekhte hamari taraf se log gayab hone lag gaye aur unki taraf pahuchne lage......

Pahle se jo log waha the wo uss ilake ko adrishya banane mein lage hue the....

Kareeb 2 ghante tak aisa chala hoga....aur fir wo portal khud band ho gaya aur iss side sirf Main Jwala King aur wo daanav the jo ki inn sab se dur khade hue the.....

Main unke pass gaya unko bataya ki sab ho chukka hai aur unko wapas aane ko bol diya....aur ander aane ke baad maine Jwala se portal kholne ko kaha aur usme se hote hue hum tinno apni nayi jagah pe pahucha gaye........yaha sab ussi tarah ka tha....kyuni jeevon ke saath saath unke aas pass ke chizzen bhi waha se yaha aa gayi thi......wo Jwalamukhi tak yaha aa chukka tha aur uske upar bane ghosle aur unke upar ke ande bhi...par saath hi saath wo saare chamgadar bhi aa chukke the Polar bear Kabile ke saath sath....matlab abhi bhi wo sab apne ghar nahi jaa sakte the...

inn sab mein Old Owl ke logo ko thodi pareshani hui thi....unko apne ghar wapas se banane pad rahe the....sabhi ke ghar waha se yaha nahi aa paaye the....wo teleport hoke purane jagah pe jaate waha se apna saman yaha leke aa rahe the...

Main - Old Owl yaha sab theek hai naa....

Old Owl - haa sab sahi hai...iss jagah pe sayad hi koi aata hoga aur maine sabse pahle iss ilake ko hi ad...

Wo ye bol hi raha tha ki mujhe saamne se ek banda aata hua dikha jo sayad nashe mein tha....Insan to hoga nahi wo...pata nahi kon si prajati thi ye.....chahre pe ajeeb se daane the uske...

Main - Ye kon hai..

Old Owl - pata nahi....

Jwala - Isko khatam karna hoga....

Main - Nahi dekho isko ye nashe mein hai isko main iske jagah tak chod ke aata hu....

King - Isne sab dekh liya hai ye khatarnak hai,,...humme wapas se jagah badalni pad sakti hai....

Main - wo nashe mein hai abhi....Jwala tum portal kholo.....Old Owl isko dhyaan se dekho aur batao iss prajati ke log kaha rahte hai Strange world mein...

Old Owl usko dekhne laga....Jwala ne Portal khol diya....

Old Owl - Elf Kingdom se thodi hi duri pe rahte hia inn jaise log...isko dekha hua hai maine kahi pe...

Main - Yaad karo....hum isko wahi chod aayenge,....

Old Owl pahle isko waha leke chalte hai abhi acche se yaad nahi aa raha kaha dekha hai sayad waha yaad aa jaaye....

Portal khula tha Uske anderr Old Owl ne apna ek pankh dala jisse wo wahi khulta jaha Old Owl chahta....

Hum tinno ander chale gaye......Main Old Owl aur wo banda...

Hum yaha pe ek nadi ke kinare the....

Main - Yaha pe rahte hai aise log....

Old Owl - Haa yahi kahi rahte hai...maine dekha tha....aur isko main jaanta hu...kahi dekha tha isko....

Main yaad karo fir....

Usne apne dimmag pe jor daala aur mujhe usse dur kar diya.....

Main - kya kar rahe ho....

Old Owl - Ye....ye jeevon ki taskari karta hai....yaha se waha....isko maine Elf Kingdom ke jail mein dekha tha...par ye bahar kaise nikla...

Main - Kya ye taskari karta hai...

Old Owl - Haa yahi sunna tha maine......ye dusre planets se jeev utha ke laata hai aur unhe bech deta hai....isko wapas se jail mein bhejna sahi hoga....

"ye kahi nahi jaayega....jab tak mujhe mere sawalon ke jawab nahi mil jaate.."

Ek ladki ki aawaj aayi aur main aur old owl chaunk gaye....Old Owl chupp gaya...adrishya ho gaya....

Aur fir ek ladki aayi.....insan yaha pe :shocking: wo bhi iss tarah se...

Mujhe ye samajh hi nahi aa raha tha....

Main bas usko dekhe jaa raha tha....

Wo mere pass aayi uss bande ko gardan se pakda....aur khinchte hue leke gayi ek ped ke pass....aur usko bandh diya.......isko magic bhi aati hai :shocking:

kuch samajh hi nahi aa raha tha....

Main - tum kon ho aur yaha kaise....tum to...insan lag rahi ho....

Mere muh se aisa sunne ke baad usne meri oor dekha...

Fir uss bande ko maarne lagi...

"Kaha se laaye the mujhe yaha....kaha hai mera parivar...."

Aise hi bolte hue wo usko maarti rahi...aur main dekhta raha........

Abhi ke liye itna kaafi hai....next update mein dekhte hai ki ye madam kon hai....aur ye yaha kaise aa pahuchi....aur Magic kaise aata hai isko.......

ye kal ka update hai aaj wala thodi der mein deta hu :verysad:
AMAZING update
 

ANUJ KUMAR

Well-Known Member
2,669
13,384
158
UPDATE - 57

Ab tak

Nayi jagah mill gayi thi humne Strange world ke pass mein hi ulkapindon ke samuh ke pass banayi thi ye nayi jagah jaha saare jeev aa gaye the....aur saath hi unke aas pass ki hcheezin bhi jisse unko pata bhi nahi chalne wala tha wo kab waha aaye....paryaha pe humme ek banda milla jo ki jeevon ki taskari karta tha...pata nahi wo waha kaise aa gaya tha....usko jab strange world leke aye to waha ek ladki aa jatti hai Insan thi wo usko magic bhi aata tha :shocking: Main samajh nahi paa raha tha wo waha kaise aayi fir usne uss bande ko maarna shuru kiya aur usse puchne laga ki kidhar hai uska parivar kaha rahte hai wo....tab samajh aaya isko bhi utha ke leke aaye hoga wo...

Ab aage

Wo ladki usko maare jaa rahi thi...Main ladki ko dekhe jaa raha tha....isko dekh ke aisa laga jaise pahle bhi milla hu isse.....yahi aas pass kahi....

Nikita ke sath ek baar jab yaha ghoom raha tha Elf Kingdom mein jaane ke liye tab....tab bhi aisa hi laga tha jaisa ab lag raha tha....par ye pata nahi tha ki kyun........

Old Owl - Wo usko maar degi roko usko.....

Dhruv - Aee pagal hai kya....dekh kya raha hai wotere samne usko maare jaa rahi hai....pata to kar kyun maar rahi hai......

Ye dono bole jaa rahe the par mujhe sunayi hi nahi de raha tha......

Ye insan...kitne aje...nahi nahi sunder hote hai....isko hi dekh lo......uss bande ko maarte hue kitni sunder lag rahi thi ye.....gusse se lal sakal.....aankhon mein thode aashu.....hawa mein jhulte hue baal..........aur uske wo pair...jisse wo usko maare jaa rahi thi.....

Old Owl - wo maar degi usko.....

Iss baar wo saamne aa gaya tha.....aur uski aawaj ladki ne bhi suni...aur wo uski oor dekhne lagi.....sayad isne bahut se ajeeb jeev dekhe honge par abhi uske saamne ek bada sa ullu tha jo bol raha tha.....wo thoda chauki aur picche chali gayi...

Main - Kon ho tum...aur yaha kaise....

Sayad andhera tha iss wajah se usne mujhe uss waqt Strange world ka hi koi banda samajh liya hoga...waise Main insano ki tarah hi dikhta hu..Mom ke karan sayad....khair...usne dhyaan se mujhe dekha...fir Old Owl ko....aur fir waha se bhag gayi.....chilate hue...

Ye samajh mein nahi aaya aakhir hua kya....itne der se mere hi saamne usko koote jaa rahi thi tab kuch nahi....aur ab dekha to aise bhagi jaise puccho mat...sayad Old Owl ki wajah se.....haa aur kya.....wo dekhne mein bhi darawna hai raat ko aur darawna lagta hoga upar se bolta bhi hai dar hi jaayega koi bhi....

Maine Old Owl ki taraf dekhte hue ye sab socha....

Old Owl - dekh kya rahe ho aise.....wo bhag gayi....aur isko dekho kaisi haalat ho gayi hai iski...iska kya karna hai.....

Main - kya karna hai iska....tum pahle ek kaam karo uss ladki ke picche lag jaao yaa laga do kisi ko mujhe uske baare mein sab janna hai.....

Old Owl - Aur Elf king unka kya.....

Main - Haa to kaha naa khud jao yaa kisi aur ko bhejo par iss ladki ke baare mein sab janna hai mujhe....

Old Owl - thik hai....

Main - Jwala Portal kholo...ek mehmaan aa raha hai....uska dhyaan rakhna hai....

Usne portal khola main uss taskari karne wale ko utha ke usse ander leke gaya....

Jwala - Isko wapas kyun leke aa gaye....

Main - isse pucch taach karni hai....tumme se kisi ko aata hai kya ye karna....

Jwala - Puch taach...hum ye sab nahi karte....

Polar bear king - Hum bhi inn sab mein waqt barbaad nahi karte....

Main - pata nahi kon hai ye sab....inko puch taach nahi karni aati....isko Earth pe leke jaaun kya....yaa yahi rahne du....

Maine kuch der socha aur fir isko Earth pe le jaane ke liye taiyaar ho gaya waha pe log mil hi jaayenge jo isse puch taach karenge aur unki madad se main pata kar paunga uss ladki ke baare mein....pata nahi kyun...par uska wo gusse se bhara chahra meri aakhon ke saamne se hat hi nahi raha tha....

Main - Jwala main isko ghar leke jaunga...waha iski khabar lenge....tum...ek kaam karo... Old Owl se ek baar baat kar lena maine usko kisi ke picche jaane ko kaha hai....wo agar kabhi bhi khatre mein ho usko bachana hai aur mujhe batana bhi hai samjhe...

Jwala - ab ye kon nayi aa gayi....

Main - Pata nahi ussi ka pata karna hai....waise mujhe tumse Bijli ke baare mein baat karni hai....wo theek nahi lag rahi thi...

Jwala - Wo....wo thodi problem hai iss wajah se...

Main - Haa to wahi to puch raha hu...kya pareshani hai....usse milna nahi hua bahut waqt se aur abhi uss din milla to wo pareshan lag rahi thi...

Jwala(hadbadate hue) mujhe pata nahi.....tumko jaana hai naa main portal khol raha hu....mujhe bhi yaha kaam hai....

Main samajh nahi paaya ye kya tha ye bata kyun nahi raha kuch aur wo bhi kuch nahi bata rahi thi.... :sigh: pata nahi kya hua hai inko....

Main usko leke Portal mein chala gaya aur waha se fir Earth pe....apne ghar ke pass aa gaya....

Waise maine socha tha Didi ke hotel mein rakhne ke liye isko...waha Didi bhi hogi aur unko to aata hi hoga puchtaach karna...par usse pahle Didi se puchna hoga lekin ab samajh nahi aa raha tha isko aise sadak pe chod ke ghar mein jaake didi se pucchu kaise....

Maine ek chota sa pather liya aur didi ke room ki taraf fenka...mujhe kya pata tha isse ek dhamaka hi ho jaayega....

Chota sa dhamaka ho gaya...aur uski wajah thi hamare ghar ke aas pass laga hua kawach....raat ke waqt ke liye....jisse koi ander naa jaa sake...kahi aur se...siway darwaje ke...

Dhamake ke karan sab uth gaye....aur main pagalon sa khada apne iss kaam ke baare mein soch raha tha...Dhruv mujhpe has raha tha...

Ghar se sabhi bahar aa gaye...Bua thi nahi baaki sab ghar pe hi the...sab aa gaye bahar...par Didi aur Nikita nahi aaye..........

Dekho to bhala jinse kaam tha unhi ka pata nahi humko.....

Khair...

Dadi ne sabse pahle mujhe dekha.....wo mere pass aayi...aur unke picche picche baaki sab bhi....

Chachi - tum yaha iss waqt kya kar rahe ho....

Main - Wo....wo main bas aise hi aa gaya tha.....

Chacha ji - WO kon hai.....aur usko bandha hua kyun hai....

Dadaji - Satya dekho jaake kaun hai wo aur tum theek ho Prateek...

Main - Ji dadaji main theek hu....

Dadi - Par tum yaha iss waqt kar kya rahe ho...aana tha to Rupal ke saath aa jaate...Nikita to aayi thi uske saath...aur pather kyun fenka tumne apne hi ghar pe...

Chachi - Maa ye aaj bhi ghar pe aaya hoga Apni Didi se milne.....ek din aur aaya tha uss din seedha ghar mein aa gaya tha...mujhe pata chala gaya tha...aaj sayad issi wajah se bahar se pather fenk raha tha jisse kisi ko pata naa chale...Ab batao tum iss waqt kya kaam hai...

Main - Haa Didi se milna tha...par mujhe pata nahi tha aisa kuch hoga...main bas apko pareshan nahi karna chahta tha....

Chacha - Papa ye to.....wahi hai jiski photo lagi hui thi uss sarkari daftar mein...ye taskari karta hai jeevon ki aur iska yaha aana nishedh hai...

Dadaji - Jaldi se phone karo....

Yaha dadaji uss mote aadmi ko phone karne ki baat kar rahe the....wo ek tarah se Strange world ki taraf se bheja gaya yaah pe ek dutt hai...

Main - Nahi.....wo mere saath hai...

Chachi - Kya matlab tumhare sath hai tum kar kya rahe ho aaj kal...

Main - Mera matlab maine usko pakda hai main usko yaha puch taach ke liye leke aaya hu...

Dadi - Beta kya bole jaa rahe ho....tum thik to ho naa...

Samajh mein nahi aa raha tha mujhe ab kon si kahani banaun main....kaha milla ye aur kya kar raha tha ye.....

thoda haklane ke baad...

Main - ye school ke pass tha....waha pe kisi ka wait kar raha tha.....jab wo aaya isne usko pakadne ki koshish ki par maine isko dekh liya....aur usko baccha liya....fir isko yaha leke aa gaya.....

Chacha - to ye nashe mein ye sab kar raha tha....

Main - haa ye nashe mein tha tabhi to maine isko pakad liya....

CHachi - fir puch taach kya karni isko Strange world bhej dete hai waha se isko sazza sunayi jaayegi...

Main - Nahi main bas...janna chahta tha isne humla kyun kiya...

Dada ji - Par kyun....

Main - wo...wo..

Dadi - bas bahut ho gaya tum sab ka....Satya isko taikhane mein rakh aao....Nidhi iske pass khana aur paani rakh aana....par isse thoda dur...jaha bas ye dekh paaye khaa aur pi naa sake...samjhi....aur aap bahut ho gaya jab se aaya hai mera baccha bas sawal sawal yahi ho raha hai.....isne isko pakda hai isko aur bhi jankari leni hai....ye acchi baat hai....Prateek tum abhi yahi raho subah chale jaana wapas.....aur sham ko wapas aa jaana tab tak ye saare sawalon ka jawab dega...

Dadaji - kya bol rahi ho...

Dadi - bola naa maine....aur strange world ko hi saup denge isko inn sab ke baad....

Dadaji chup ho gaye...aur main Chacha ji ke saath usko uthane chala gaya aur waha se usko taikhane mein laake rakh diya....pahli baar ye jagah dekh raha tha.....kya jagah thi....kulhadi....bhala talwar.....tarah tarah ke kawach...kya kuch nahi the waha....

Main - Chachu ye to kammal ki jagah hai...

Chacha - Haa par ab chalte hai aur jaake room mein so jao...

Main - hmm thik hai...

Main upar chala gaya sone ko...

Kya sota main....3 baj gaye the inn sab mein....haa aankh lagi thi thodi der ke liye aur aaj bhi wahi darwaja saamne tha usko chuwa aur neend khul gayi meri....par jab waqt dekha to mere hosh hi udd gaye....9 Baj rahe the....pahle class ka waqt ho gaya tha mere....aur main ghar mein tha...koi uthane tak nahi aaya tha mujhe....

Main jaldi se taiyaar hua aur room se bahar nikla....

Chachi - Arre aaram se....ab bhag ke kya hoga....class shuru ho chukki hogi....

Main - Aapne uthaya kyun nahi fir...

Chachi -Maa ne manna kiya tha bol rahi thi tum raat ko aaye the...thakke hue hoge...aur ek din school ki padhayi chutt jaane se thodi tum kamzor ho jaaoge...

Main - Par chachi aaj se club mein jaana tha....

Chachi - mujhe sab pata hai....club ki timing sham ko hoti hai.....aur ye baat tumhari Dadi bhi jaanti hai issiliye uthane se manna kiya tha....

Main - :doh: Nikita to chali gayi hogi school akeli hi...waise wo thi kaha...Didi bhi nahi dikh rahi....

Chachi - wo dono kya yaha thi......wo to Mummy ke yaha thi....kal ghar aayi thi fir waha ka bol ke chali gayi....Nikita School gayi hai yaa nahi ye bhi pata nahi....

Main - :angrysad: aapko uthana chahiye tha mujhe...

CHachi - Aur main Maa se daant khati.....khana khao jaldi....

Main - Bua ka kya....wo to mujhe hi daantengi unko binna bataye yaha aaya hu........

Chachi - iss baat ke liye to tumko sabse daant padni hai...khair abhi khana khao aur fir nicche aa jaana jo puchna hai puch lena usse....

Main - wo batayega...

Chachi - Haa batayega hi waise bhi tumhare chacha ne acche se khabar li hai uski....aur sayad Papaji bhi gaye the baat karne usse....

Main - hmm theek hai..

Maine khana khaya aur fir nicche jaane laga....tabhi waha didi aa gayi...

Didi - Chotu tu yaha....kuch hua hai kya tujhe....

Main - Nahi to...

Didi - TO yaha kya kar raha hai.....school kyun mein kyun nahi hai tu....

Main - Wo main....wo....

Chachi ne unko sab bataya.....

Didi - tu school ke bahar kya kar raha tha.....raat mein....

Wapas se sawal shuru :sigh:

Didi - accha wo sab chod kaha hai wo main dekhti hu usko.....

Main - Niche hai...Nikita school gayi kya....

Didi - Wo kyun jaayegi aaj......Bua ne bataya nahi kya ki wo abhi 2 din ki chutti pe hai.....ab wo Monday se jaane wali hai waha.....

Main - Kya....par kyun....kya hua usko...

Didi - arre wo mujhe usse kuch kaam tha....wo meri madad kar rahi hai...aur kuch nahi...

Main - mujhe bata deti aap....

Didi - chup kar.....mujhe bata deti....tujhse nahi hota wo sab....Maa aap isko yahi rakho mai aati hu nicche se....

Main - Maine sawal karne hai usse...

Didi - haa to baad mein kar lena...ab yahi rukko...

Main wahi rukka raha aur wo nicche jaake pata nahi kya karne lag gayi....thodi der baad upar aayi...aur mujhe nicche leke gayi...

Didi - Puccho jo puchna hai....

Main - haa haa par aap jao yaha se....

Didi - Kya matlab hai iska....ab main kahi nahi jaa rahi jo puchna hai yahi puccho...

Main - thik hai....batao wo ladki kon thi jo tumhe maar rahi thi......kya wo insan nahi thi.....

Wo - Kiski baat kar rahe ho tum main kisi ko nahi jaanta jo mujhe maar raha tha...

Didi - Ye kiski baat kar rahe ho tum...

Main - Rukko didi pahle isse puchna hai dekho ye jawab nahi de raha hai....

Didi ne pass padde ek chaku ko uthaya aur usko uske anguli pe de maara.....wo dard se cheekhne laga....

Didi - ab bataoge....

Wo - Haa wo insan hai...

Main - Strange world mein insan kaise pahuchi...

Wo - Maine pahuchaya main usko leke gaya tha yaha se.....

Main - kyun....

Wo kuch nahi bola fir....bilkul chup raha.....

Didi - ye aise nahi sunn raha ha.....

"rukko tum dono....ab koi isko nahi chuega samjhe....sab picche hatto..."

Upar se wahi Mota aadmi bola jisne hunmme Strange world mein bheja tha....pata nahi kaha se aaya tha ye......

"isko leke chalo.....isko sazza wahi milegi...."

Main kuch bolta usse pahle hi upar se chachi ne chup rahne ka ishara kiya....aur hum dono chup ho gaye.....usko leke chale gaye wo sab....hum waise hi usko jaate hue dekhte rahe....

Unke jaane ke baad hum upar gaye....

Didi - Maa ye yaha kaise....

Chachi - Kal tumhare papa ne kaha tha ki uss taskari wale ka earth pe aana manna hai uske yaha aate hi inn sab ko pata chal gaya tha par kyunki wo yaha hamare ghar mein the issliye wo iss waqt aaye hai...naaki raat mein....

Main - Mujhe usse aur bhi batein puchni thi....

Chachi - Ab kuch nahi ho sakta hai....bhool jao usko aur koi aur rasta nikalo pata karne ka...jiss baare mein bhi pata kar rahe the....

Main - haa ab to wahi karna hoga.....Main School jaata hu fir....Bua ke class tak pahuch hi jaaunga...

Chachi - Arre ruk jaao aaj....

Didi - Nahi Maa mujhe bhi isse baat karni hai main isko waha chod ke aati hu....

Binna Chachi ki baat sunne wo leke chal di mujhe....sidhe bus stand ke pass

Didi - kis ladki ki baat kar rahe the aur insani ladki Strange world mein kaise....

Maine didi ko bata diya jo kuch bhi hua tha....jitna unko batana chahiye tha....jaise ki Jwala ke kabile ke pass ye pahuch gaya tha kisi tarah se fir hum strange world gaye aur waha pe ek ladki isko maarne lagi mujhe dekh wo bhag gayi waha se....Main ussi ke baare mein puch raha tha isse...

Didi - par kyun...

Main - Didi wo khatre mein ho sakti hai naa.....

Didi - iss liye.... :huh:

Itne mein bus aa gayi.....Main bus pe chada aur unko dekhne laga wo wahi rukki hui thi....

Main - aapko nahi chalna kya....

Didi - nahi tum jao....aur wapas se mille wo ladki to mujhse milwana usko samjhe....

Main - par kyun...

Didi - Jitna bola utna karo....

Bus chal padi aur main pahuch gaya school mein....waha se fir ander chala gaya aur abhi class chal rahi thi aur iske baad Bua ki class thi main apne room mein chala gaya thodi der ke liye.....

Aaj ke liye itna hi next update mein dekhenge uss ladki ko....aur chalenge ek nazar apne DB ji pe daalne.. sath hi kuch aur baatein
Super update
 

ANUJ KUMAR

Well-Known Member
2,669
13,384
158
UPDATE - 58

Ab tak

Maine ek ladki ko dekha Strange world mein usne mujhe dekha aur bhag gayi....main abhi bhi maanta hu iski wajah main nahi Old Owl tha...uss ladki ka pata lagane ke liye pahle to maine Old Owl ko bola uske picche lagao kisi ko yaa khud jao...saath hi jisko w peet rahi thi usko main leke aa gaya apne ghar...jaha pe thode sawal jawab ke baad usko ghar ke taikhane mein rakh diya gaya tab raat ke 2-3 baj rahe the...uske baad subah hui aur jab tak main utha tab tak uspe haath saaf kar chukke the ghar ke log....par jab main puchtaach karne pahucha tab aa gaya wo Mota aadmi....wo Strange world ka banda...usne usko arrest kiya aur strange world mein bhej diya meri puch taach wahi khatam ho gayi....main fir chal diya School....kam se kam Bua ki class karni thi sayad kam daant pade...

Ab aage

Class hone mein deri thi to Main apne room mein aaya aur baith gaya...ab bas ek hi tairka tha uss ladki ke baare mein pata karne ka aur wo tha Old Owl jab wo uska piccha karta tab hi uske baare mein koi aur khabar milti....abhi tak bas yahi pata tha Insan hai aur ladki hai...haa Sunder bhi hai...par usse jyada aur kuch pata nahi tha...haa gusse wali bhi hai sayad....maar kaise rahi thi usko

Main ye sab soch hi raha tha ki class ka waqt ho gaya aur main chal diya taiyaar hoke Bua ke class mein....wo pahle se ander thi....mujhe dekha to ghoorne lag gayi....matlab saaf tha....daant padni hi hai....Pure class mein gusse se dekhti rahi mujhe wo....fir jab class khatam hua to mujhe apne cabin mein bulaya...

Main bhi kya hoga kya karegi....aat bhi gaal lal honge....aise sochte hue waha pahuch gaya....ander Kavita Madam pahle se thi....ye accha nahi hai yaar daanta hai to akele mein daante ye Kavita madam ko har baar live show dikhane leke chali aati hai ye...ab kuch bol bhi nahi sakte.....kyunki family member type hi hai wo bhi....pata chala wo bhi lage haath

Khair waha gaya to unhone pahle darwaaj band karne ko kaha maine kar diya....unhone fir Kavita madam ko koi ishara kiya jisko dekh wo thoda hasne lagi....Bua ne gusse mein wapas se ishara kiya....aur Kavita madam apni hasi rokti hui pata nahi kuch to ki aur isse hua ye ki room mein aawajein aane lag gayi...awajein Dadi ki....

Dadi - Poonam tumse Prateek sambhala nahi jaata to bata do....ye kaise waha se nikal jaata hai roj raat ko....aur aaj to kisi se iski ladayi bhi ho gayi schoool ke bahar....ye sab chal raha hai waha....aisi security hai waha ki.....aur ye bhatija hai naa tumhara...ispe to khass dhyaan dena chahiye tumko....aur tum ho ki bas khaya piya aur so gayi....ek kaam dhang se nahi hota iss ladki se.....kya socha tha.....baccha hai Prateek room mein hi rahega ek baar bol diya to.....wo bada ho raha hai....usko abhi niyam todne ka mann karta rahega par tumko kuch to karna chahiye naa usko niyamon ka palan karate rahne ke liye....karo kuch....aur haa ab bahut waqt de diya hai maine tumhe....tumhare bhai aur Papa ke kahne pe....aur ye jo Nidhi ke picche chippi rahti ho naa...usko bhi dekhti hu main.....aage se Prateek pe jyada dhyaan dena.....wo kisi bhi tarah raat mein bahar naa jaa paaye....pata nahi kya kya karta rahta hai wo bhi....ek kaam karo.....uske upar wo jaadu kardo jo Maa apne chote bacchon pe karti hai jisse wo kho naa jaaye....

Aise hi naa jaane kitni der tak ye chalta raha aur main sunta raha wahi Kavita madam pass mein pade hue sofe pe baithi pet pakad ke hasse jaa rahi thi....aur main soche jaa raha tha aaj kya hoga....Dadi ko itna kuch bhi nahi kahna chahiye tha....sayad iske baad Chachi ko bhi kahegi abhi main waha tha to mere saamne naa kaha ho ab kah rahi hogi...aur wo bhi mujhe hi yaad kar rahi hogi....

Bua - karu tumpe wo jaadu karu main....

Main - kya hota hai uss jaadu se...

Bua - Dekho abhi bhi sawal puch raha hai ye nahi chup rahe....

Kavita - to bata do naa kya hota hai uss jaadu se...bata do ki jaha bhi ye jaayega wo sab tumko pata chalta rahega jo ye sunega wo tumko bhi sunayi dega jo ye dekhega wo tumko bhi dikhayi dega.....

Bua - Sunna na....ab bolo karu main ye sab,.....aur tumme thodi bhi akal nahi hai kya....maar peet kyun ki.....aur ki to ki chalo koi majboori rahi hogi humne bhi apne waqy mein kiya hai ye sab....par uske baad ghar kon jaata hai....aur wo bhi jisko maara usko kon ghar leke jaata hai....raat mein kahi sar pe chot wot to naa lag gayi....jisse pagal wagal ho gaye ho.....sunna naa kitna kuch kaha hai Mummy ne mujhe....aur ab bhabhi ko bole jaa rahi hongi wo.....

Main - Sorry wo main bas Didi ke pass jaana tha...

Kavita madam ne jab Rupal didi ka naam sunna to aur hasne lag gayi wo....aur Bua aur gusse mein aa gayi....

Bua - Didi....haa ye sahi hai dono bhai bahen milke mujhe satate raho bas...aur ab to ek nayi bhi aa gayi hai naa wo Nikita usko bhi gang mein samil kar liya naa wo bhi karegi pareshan ab.....par main bhi ab shant nahi rahungi....tum sab ko aage se kuch bhi galat kiya to sazza milegi....

Main kuch nahi bola bas sar nicche kar ke khada raha aur kya karta main.....

Kavita madam - waise wo milla kaha tumhe.....aur wo Earth pe aaya kaha se....uske aate hi sabko pata lag jaana chahiye tha.....

Main - (mann mein) Ab yaha bhi sawal hi hai bas.....

Main inko bhi kahani sunnane lag gaya.....

Chalo yaha Prateek ko kahani sunnane dete hai aur hum ek nazar daal aate hai apne DB bhai pe....

Ye yaha bahut koshish kar raha hai....yaha pe basne ki....yaha ke logo ke saath acche se rahne ki aur apni training karne ki par...ab kaha ye Raj mahel mein rahta tha wo bhi pure aisho-aarram ke saath aur kaha abhi ye aa pahucha hai iss aashram mein jaha aaram ka matlab hi kuch aur hai...isko to khana bhi yaha insano wala hi diya jata hai wo bhi saaf suthra khana koi masaledar nahi...inn sab mein ye banda laga hua tha...

Wo aaj bhi sabere se wahi kicchad ke pass baith dhyaan laga raha tha...

Kichad ke pass iss liye kyunki wo bhi to Nature ka hi ek hissa hai aur isko sabhi kuch apnanna hoga....itne waqt mein kuch kuch DB ki sahne ki kshamta badh gayi thi.....

Lemmi - Rajkumar guru ji aapko bula rahe hai....

Lemmi to yaad hi hogi Lemmo ki bahen...jo earth pe aayi thi apni beti ke saath aur uske aashram mein hi rahne ko kaha gaya tha...

Dhyaan mein baitha DB iss aawaj ko sunta hai aur uth ke chal deta hai....pata nahi kaise dhyaan laga raha tha ye....

DB Guruji ke pass....matlab yaha ka sabse takatwar aur samajhdar insan....uske pass chala jaata hai..

Guru ji - Tum pura dul laga ke ye sab nahi kar rahe ....tumhe aur mehnat karni hogi.....

DB ne ye sunna aur gusse se uska chahra lal ho gaya.....itne din se wo koshish kiye to jaa raha tha.....par inko tab bhi ye kam hi lag raha tha......

Guruji - tum apne desh ke logo ko apna nahi maante sayad....

DB - apna nahi maanta to yaha hota.....main unhi ke liye to seekh raha hu ye sab...

Guruji (muskurate hue)- itna jhooth khud se kaise bol lete ho....tum yaha sirf aur sirf khud ke liye ho naaki unke liye....tum yaha iss darr ki wajah se ho ki tum kahi kisi ko wapas se nuksan naa pahucha do.....aur wo sab....wo sab to bas ek parda hai jiske picche tum apne dar ko chippa ke rakhte ho.....

DB - Aap kuch bhi bol rahe hai.....

Guruji - sachayi ko jab tak nahi apnaoge tab tak kuch nahi hoga.....

DB - nahi aisa kuch nahi hai......

Guruji - Insano ke baare mein kya khayal hai tumhara....

DB ne ek baar Guruji ko upar se nicche dekha aur bas sapat lahje mein bata diya kuch bhi nahi.....

Guruji - issi tarah jhooth bolte ho tum khud se....tum Raja banne wale ho.....Raja ka dharm hota hai apne logo ki raksha karna....aur yaha tum khud ko khud ke jhoot se nahi baccha paa rahe.....Leemi isko bahar leke jao....insano ke bich mein rahega ab ye kuch din...

DB - Main insano ke bich mein hi to hu.....ab aur kaha jaun....

Guruji ne kuch nahi kaha wahi Leemi ne apni aakhen band ki aur Rajkumar yaani DB ka hath pakda aur ek roshni hui.....aur DB ki aakhen khud band ho gayi aur wo ek gaon mein the....dono ke dono....DB ka roop badal chukka tha uske bade bade kaan aur thodi si nukili naak dino hi aam insano jaisi ho gayi thi.....Wo Leemi ki oor dekhe jaaa raha tha.....usko samajh nahi aa raha tha ki kaise issne ye sab sikh liya....waise wo jaanta nahi tha ki usko kya aata hai aur kya nahi par ek elf aurat ke liye bhi aisa karna aasan nahi tha.....yaha tak ki uski apni Maa ko bhi ye sab nahi aata tha.....aur uski Maa ELf World mein sabse kabil mahila elves mein se ek thi...

Leemi - Aapko yahi rahna hai Rajkumar......main chalti hu.....

DB - tumko ye sab kaise pata hai...tumne mera roop kaise badal diya....

Leemi - ye....ye sab maine yahi seekha hai....aur haa mujhe pata hai aap hum logo ke baare mein sochte hai tabhi yaha pe hai....aap koi darpookh nahi hai...jo bas apne dar ki wajah se yaha hai....

Leemi ne ye kaha aur isko sun ke DB soch mein oad gaya kahi naa kahi uske mann mein ye sab chal raha tha...wo sach mein dara hua tha apni shaktiyon se....ab ye uspe tha ki wo kya karta...aur kya nahi.....

Leemi ne uski oor dekha...aur fir waha se chai aayi wapas aashram....

Guruji - chod aayi usko....

Leemi - aapne aisa kyun kaha unse.....wo pareshan ho gaye hai.....ab kahi kuch ho gaya to....

Guruji (haste hue)- kuch nahi hoga usko.....maine bas uske ander panap rahe ek shaq ruppi paudhe ko ukhadne ke liye thoda viss diya hai.....ab dekhna ye hai ki Raj kumar kaise uss paudhe ko khatam karte hai....isme waqt lagega....par ye accha hoga.....tum bhi janti ho issi ki wajah se wo thik se dhyaan nahi laga pa raha hai...aur naa hi uski powers kaabu mein aa rahi hai....usko khud pe yakkin nahi hai...usko uska maksad hi acche se pata nahi hai....

Leemi - haa theek hai par wo gaon.....waha pe kuch ho gaya to insan bhi khatre mein pad sakte hai....

Guruji - fikar mat karo.....meri nazar hogi unpe.....ab tum jao....aur apni powers ko badhao....aur apni bacchi ko bhi sikhao......wo bacchi kaafi aage jaayegi....apne Mama ki tarah wo bhi bade bade kaam karegi....

Leemi - Ji.....

Leemi waha se chali jaati hai apne bacchi ke pass jo ki wahi aashram mein rah rahe baccho ko practice karte hue dekh rahi hoti hai....

Leemi - kya hua....kya dekh rahi ho....

Bacchi - Maa ye sab roj aise hi karte hai....main bhi inke saath ye karu....

Leemi - Par tum to choti ho....

Bacchi - nahi main choti nahi rahi ab.....ab main bhi badi hu....

Leemi - ha ha badi ho gayi ho.....par abhi tumko main jo sikhaungi wo seekhna hai fir kuch din baad inn logo ke saath bhi seekh lena samjhi....

Bacchi kush ho jaati hai ye jaan ke ki ab usko bhi kuch sikhaya jayega....aisa aksar hota hai baccho ko wo har ek chiz chahiye hoti hai jo unko dikhti hai....aur yaha pe Leemi ki beti ko bas aur bas gyaan dikh raha tha to usko wahi chahiye tha aur ab usko wo milne wala tha....

Inko chod hum chalte hai Old Owl ke pass......

Old Owl abhi bhi laga hua tha Elf king ke picche.....matlab usne uss ladki ke picche kisi aur ko hi lagaya tha....

Old Owl dekh raha tha kaise Raja apni koshish kiye jaa raha tha sab sahi karne ki.....ek to ye bimari....jiski dawa banane mein wo safal nahi ho paa rahe the aur upar se kuch aur bhi problems aa gaye the jaise mein Naye Yuvraj ke dwara kar badha diya jaana.....isse sabhi pareshan the....par kuch aur bhi pareshaniyan thi jo usko dikh nahi rahi thi.....DB ka cousin naya yuvraj dheere dheere apne pyade baithaye jaa raha tha waha darbaar mein....

Old Owl sab dekhta rahta...sab kuch...aur saari khabarein Mujhe deta rahta tha...par ye ek kaam sahi se nahi kar raha tha waqt pe sahi khabar nahi deta tha mujhe...aur waha ki kuch pareshaniyan aisi thi jiska main kuch nahi kar sakta tha mujhe uske liye Leemo ki madad leni padegi....main iss baare mein soch hi raha tha....

Aaj Old owl wahi Raja pe nazar rakh raha tha aur usne sunna ki Elf king ne Orion se madad maangi hai saath hi Titan pe bhi madad ke liye chithi bheji hai.....Titan pe rah rahe log bahut takatwar the....wo inn sab chooti baaton pe dhyaan bhi nahi dete the....par iss baar ka mamla jab unko pata chala to waha se bhi ek banda bheja gaya tha Strange world mein

Orion se ek jaadugar aur Titan se ek devta....yaha devta inko iss liye kaha jaata hai kyunki inki powers undifined hoti hai....aisa bhi nahi hai bahut tatrah ki powers hai inme.....bas ye ek hi power ko lakhon tarah se use karna jaante hai usko har situation mein kaise use karna hai sab pata hota hai inko....

Dono hi apne jagah se aaye....Raja ne dono ke liye bahut hi accha prabandh kiya hua tha....

Raja ne dono ko uss bimari ke baare mein bataya....waise to wo dono bhi jaante the uske baare mein par ye protocol hai aisa samjha jaa sakta hai.....

Titan wala banda - Aapko malum hai hum aaye hai to iske picche ki wajah bhi badi hogi....warna hum nahi aate....

Elf king - Ji main jaanta hu.....aur maine ye sab dekhte hue hi aap dono ke yaha khat bhijwaya tha.....ab ye sab mujhse nahi saha jaa raha......roj mere desh ke log mar rahe hai....upar se kuch narbhakshi bhi aa gaye hai yaha jo unki bodies tak leke chale jaate hai...

Titan wale ne ye sunna aur soch mein pad gaya......

Elf ki body khayi nahi jaa sakti.....pahle to ye bahut hi beswad hoga....dusra ye jahrela hota hai.....

Yahi baat Orion se aaya hua banda bhi soch raha tha.....dono ne ek dusre ki oor dekha.....

Elf king ne uss bimari ke baare mein batana jaari rakha...aur sab kuch batate gaye....

Wo dono ye sab sunn rahe the.....jab Elf king ki baatein khatam hui to unn dono ne unse kaha ki apne pramukh vaidya ko bulao....

Elf king ne usko bulawa bheja aur wahi wo dono apni jagah se khade hue aur bahar ki oor jaane lage bagiche ki taraf.....

Orion wala - Aapko bhi ye wahi lag raha hai kya.....

Titan - Sunkicho......tumne hamri Library mein kaam kiya hai waha ke bahut se kitabein padhi hui hai tumko......tum iske baare mein jaante hi ho.....fir kyun puch rahe ho.....

Orion wala - Main bas pakka hona chahta hu....par ye sab yaha hua kaise....ye sab to hona bhi nahi chahiye tha.....

Titan - Ye to ab ye Elf king hi jaane khair humme yaha se nikalna hoga ye sab inki apni pareshani hai.....aur hum isme koi madad nahi kar sakte....aisa humne wada kiya tha.....

Orion wala - haa par isme inke log maare jaa rahe hai...

Titan wala (haste hye) - Sunkicho tum abhi tak samjhe nahi koi nahi marra hai......inn logo ko aisa laga hoga ki wo sab mar chukke hai aur in logo ne unko jameen mein dafna diya hoga....par koi hai yaah budhimaan jo unn bodies ko waha se nikal ke sahi tarike se rakh raha hai.....

Orion wala - haa aisa ho sakta hai....main usse milna chahunga agar mumkin hua to....

Titan wala - abhi iske liye waqt nahi hai......par main unki madad jarur karna chahunga....iss bimari ko dheemi karne ki dawa pata hai tumko.....

Orion wala - Ji main jaanta hu....

Titan wala - Sunkicho wo dawa yaha ke pramukh vaidya ko batao.....aur usse bolo iske baare mein pure desh ko bata diya jaaye.....naa sirf ye bimari balki aur bhi chizzen hai jo yaha sahi nahi hai.....

Orion wala - par wo jadi butiya....wo sab yaha utni mat.....

Wo bol hi raha tha ki Titan washi ne apna pair.....apne jutte se nikala aur usko jameen pe rakha...aur apni aakhen band kar di.....isse ek wave sa unke sareer se nikla aur wo charo taraf phail gaya....

Orion wala - hmm main unko bata deta hu...aap nikle Titan ke liye main bhi apna kaam karke yaha se Orion ki oor nikalta hu....

Titan wala - Sunkicho.....kabhi waqt mille to Titan aao....hum waha baatein karenge...apne purane din yaad karenge.....

Orion wale ne haa mein sar hilaya......aur agle hi pal Titan se aaya hua banda gayab ho gaya tha.....wahi thodi der baad uske pass waha ke vaidya aaye....usne ek kagaz pe kuch baatein likh unko dedi....aur kaha isko pure desh mein phaila do....

Vaidya ne waisa hi kiya....apne sishyon ke pass uss kagaz ko leke gaya aur uski copies banwani shuru kar di....aur fir usko har jagah baatne ki taiyaari karne lag gaya....

Orion wala bhi waha se gayab ho gaya binna Elf king se wapas mille hue....

Ye sab Old Owl dekh raha tha...

Usne ye sab mujhe batane ke liye mujhse contact karna shuru kiya.....

Chalo isko bhi chod hum ek nazar uss ladki pe daalte hai.....

Ye ladki itne waqt se yaha pe rahte rahte ek acchi khasi bahrupiya ban chukki thi.....rup aise badalti thi ki pata hi nahi chale...kab elf hai aur kab fairy aur kab Nix.....

Jisko Old Owl ne iske picche bheja tha wo bhi 2 - 3 baar dhokha khaa chukka tha...

ye ladki koi aam insan nahi thi.....matlab kammal ki thi ye.....abhi to apne pariwar ke talash mein thi ye par saath hi kisi aur ko bhi dhoondh rahi thi ye ladki.....

Strange world ke dusre chhor pe jaha pe Nix (water spirits) baste the....waha pe ye jaa pahuchi thi....unhi ka roop leke....aur waha pe dhoondh rahi thi apne master ke katil ko yaha....

Ye sab mujhe issi Old Owl ke bande ne bataya.....wo Nix world mein jaake waha pe banne ek mandir mein gayi....jaha pe sab apni apni training kar rahe the....ye bhi unme se ek ban ke sabme ghul mil gayi....aur apne dusman ko saamne dekhne lagi.....

Wo dusman yaha ka pramukh pujari tha,...jisne iske master ko maara tha kyunki wo yaha pe koi chizz churane aaya tha aur pakda gaya tha.....

Ladki ka kahna tha ki unko marne ki kya jarurat thi.....unko jail bheja jaa sakta tha.....

Sab tarining kar rahe the aur fir waqt khatam ho gaya sab chale gaye par kadki wahi pe rukki rahi....wo chiipi hui thi....Wo mukhya pujari bhi wahi tha....

Pujari - chupne ki jarurat nahi hai tum bahar aa sakti ho....

Ladki ne aisa socha nahi tha ki uske baare mein pujari ko pata hoga.....fir usne socha ab jab pata hai hi to humla kar dete hai....aur wo hamla karne ke liye aage badhi.....Pujari waise hi khada raha.....usne usko rokne ki koshish tak nahi ki.....

Ladki ne 2-3 waar kiye uspe aur usko chot bhi lagi par usne wapas se waar nahi kiya....

Ladki ab thodi confuse ho gayi thi...

Ladki - tumne kyun maara mere master ko....

Pujari - Master yaa usse jisko tum apna pita manti thi.....

Ladki - Wo mere pita nahi the.....ab to nahi.....wo mere master hi the bas....

Pujari - Aur ye baat tumhe meri wajah se pata chali hai.....aur tum mujhhe maarne chali aayi....

Ladki - tumne mere master ko maara hai....

Pujari - wo yaha se yaha ki sabse kimti cheez churane aaya tha.....mujhe to ye karna hi tha.....par main usko nahi maarta agar mujhe ye pata nahi chala hota ki wo kitna ghatiya tha....aur kaise kaise ghinaunne kam kiye the usne.....

Ladki - haa wo bure the par mere master the aur main badla lungi.....

Pujari - saukh se lo....pae sayad iske baad tum apne pariwar se naa mil pao.....wahi pariwar jisse tumko alag kar diya gaya....aur isme tumhare master ka bahut bada haath tha...tum bhi jaanti ho ye.....yaa sayad nahi pata tumko....

Wo ladki ye baat sunke sunnn ho gayi....usko marte waqt bas yahi bataya tha uske master ne ki usko apne logo se chori karke laya gaya tha.....par ye nahi ki isme uska bhi haath tha aakhir kyun kahega wo ye baat....

Ladki ko pujari pe yakkin tha wo jaanti thi usne pahle jo bhi kaha wo sab sach hai sayad ye bhi sach hi hoga....aur pichle kuch din jaise uske bitthe hai wo abhi bahut kamzor ho gayi thi ander se.....

Pujari - Main tumhe tumhare ghar oahucha sakta hu.....par tumhare uss master ne aisa kuch kiya hai waha oe ki wo log tumhe kabhi nahi apnayenge.....

Ladki - aisa kya kiya hai usne....

Pujari - main sab bataunga tumhe....par abhi nahi....ab jab tum yaha aayi ho......jaisa ki hamare granth mein likha tha.....to tumhe wo sab gyaan bhi dena hoga mujhe jo uss granth mein bataaya gaya hai....kal se...main tumhe train karunga....aur training puri hone ke baad tumko Earth pe chod aaunga...jaha tumhe khud ane pariwar ko paana hoga...pata hai ye bahut mushkil hone wala hai....par tumhara asli safar wahi se shuru hone wala hai.....insano ko wo sab wapas milega jo unka tha....jisko wo bhul gaye hai yaa khoo diya hai.....

Abhi ke liye itna hi next update aaj hi aayega jaha hum dekhenge...Prateek aur Leemo mein thodi baat cheet.....DB ka insano ke saath rahna aur...Prateek ki choti si ladayi....
Very nice update
 

ANUJ KUMAR

Well-Known Member
2,669
13,384
158
UPDATE - 59

aage

Main Bua ke sawalon ki bauchar se bachte bachate.....ab apne room mein pahucha hi tha....aur baitha hi tha ki tabhi waha se Old Owl aa gaya.....iss baar wo aaya tha yaha....matlab baat serious thi.....usne mujhe sab bataya sab kuch kaise aaj orion aur titan se log aaye the Elf king ki madad ke liye aur unme kya baatein hui...maine bhi sab dhyaan se sunna.....

Main - Wo vaidya.....usko koi pareshani naa ho iska dhyaan rakhna....jaise hi ye baat pata chalegi sabko ki wo dawayi ke baare mein sabhi jagah batane wala hai....Naya Yuvraj kuch naa kuch karega.....uske lakshan sahi nahi lag rahe mujhe....usne tax bhi badha diya hai wo bhi aise waqt mein....aur baaki ke log kya karte hai uss darbaar mein....

Old Owl - Maine bataya naa wo apne pyaade rakhe jaa raha hai darbaar mein.....ek durri si banti jaa rahi hai janta aur Elf king mein......ek parda sa aata jaa raha hai bich mein.....aur uss parde se janta ko ye dikhaya jaa raha hai ki Raja bas khud mein hi magan hai aur Raja k ye dikhaya jaa raha ki halat abhi bhi kaabu mein hi hai.....Orion aur titan se logo ko aur pahle hi bulana chahiye tha.....abhi halat aur kharab hoti jaa rahi hai waha pe

Main - Leemo ko iss baare mein abhi kitni jaankari hai....kya wo ye sab jannta hai...

Old Owl - Leemo ke baare mein mujhe abhi utna pata nahi.....haa wo aur uske sathi lage rahte hai log ki madad karne mein.....abhi to jaise unka maksad hi badal gaya hai....wo Raja ke liye nahi balki janta ke liye kaam kar rahe hai....aur ye accha bhi hai abhi ke hisab se...

Main - Main usse milna chahta hu......waise tum bhi ye kar sakte the par main khud usko batana chahta hu ye sab......ek aur baat uss vaidya ka...

Old Owl - ye tum pahle bhi bata chukke ho...main uska dhyaan rakhunga.....

Main - wo ladki uska kya hua.....uske baare mein aur bhi kuch pata chala hai kya.....Nix logo ke saath hi hai kya wo....

Old Owl - haa abhi tak to yahi pata chala hai bas ki wo Nix logo ke saath hai.....

Main - Tumhare uss bande ne bataya tha ki uska Master jisko wo apna Pita maanti thi wo maara gaya tha...uske baare mein bhi kuch pata hai kya.....sayad usse mujhe Earth pe uske baare mein pata karne mein madad mil jaaye....

Old Owl - haa ye bhi hai...main kisi ko iss baare mein bhi pata lagane bhejta hu.....waise maine uss taskari wale ke baare mein saari khabar nikalne ke liye bola hai kisi ko....

Main - haa usse bhi kuch naa kuch pata chalega.....ye sahi kiya hai tumne....

Old Owl - waise ek aur baat thi kya humko....uss taskari wale ko maar dena chahiye....usko hamare naye thikane ka pata hai....manna wo nashe mein tha....par kuch bhi ho sakta hai risk lena sahi hoga kya.....

Main - Kya lagta hai iske baare mein ye hum sabhi ke liye khatra ho sakta hai...

Old Owl - Ho sakta hai ye baad mein khatra ban jaaye.....aur waha pe baat fir se sabhi ki hogi....ek to ye banda waise hi kameena hai.....aur inke jaise agar maare bhi jaaye to accha hi hai....

Main - yaad hai wo jeev jisse mind reading hoti thi....Dhruv kya ye ispe kaam karega.....mujhe nahi lagta isne bas uss ladki ke saath aisa kuch kiya hoga....aur bhi bahut se log honge waise.....

Dhruv - hmm wo mind controller jo uss rani pe tha.....

Main - aur bhi hai kya hamare pass kuch... :sigh: ussi ki baat kar raha hu...

Dhruv - Ho jaayega....usse ye kaam ho jaayega hum usse uss taskari karne wale ki saari baatein jaan sakte hai...

Main - hmm ye sahi hai fir.....Old Owl ek kaam karo....tum uss taskari karne wale ka bhi pata lagwao...mujhe wo chahiye...usne naa jaane kitno ke saath aisa kuch kiya ho...

Old Owl - haa ye bhi kar dunga....aur kuch ho to batao....

Main - nahi Main Jwala ke saath chala jaunga waha Leemo ke pass.....accha ek aur baat thi ye Bijli ko kya hua hai....naa usne kuch bataya naa hi uss Jwala ne....

Old Owl - tumhe pata nahi kya....

Main - nahi main nahi jaanta kya hua hai.....

Old Owl - wo ande dene wali hai....par kuch complications hai....

Main - :shocked: kya.....matlab Jwala aur uska...

Old Owl - haa aur tumhe ye pata nahi abhi tak...

Main - nahi mujhe nahi bataya gaya iss baare mein.....aur kaisi complications hai.....

Old Owl - Pata nahi mujhe jyada bas.....uska anda sayad thoda bada hai....Dark power ke karan sayad aisa hua hai....

Main - Dark Power ki wajah se....matlab ye sab meri wajah se ho raha hai.....

Old Owl - Nahi aisi baat nahi hai.....sab theek ho jaayega....waise agar tum madad karna chaho to koi vaidya leke aa sakte ho waha...jo usko dekhe....aur uski pareshani dur kare....

Main - hmm main dekhta hu iske baare mein kya ar sakta hu....accha kya tum hi mujhe Leemo ke pass chod sakte ho....main abhi Jwala ke pass nahi jaa paunga....meri wajah se unko ye sab sahna pad raha hai...aur unn logo ne mujhe iske baare mein ek baar bhi nahi bataya....

Old Owl - Haa main leke chal sakta hu waise bhi wahi jaa raha hu main....par haa uss mirror wall se pahle hi utarna hoga....kyunki uske aage jaa nahi paohe mere saath....

Main - haa samajh sakta hu....

Main Old Owl ke saath wahi unn deewaro ke pass aa gaya....kismat acchi thi meri....maine dekha ki saamne hi ek pahredar tha....jiske maine Leemo ke saath dekha tha.....main uske pass gaya....wo mujhe pahchan gaya.....wo mujhe baaki logo se thodi dur leke gaya.....

Wo - Aap yaha....sab theek to hai naa....

Main - hmm sayad sab theek hi hai....tum batao yaha ke kya haal hai aur Leemo kaha hai....mujhe usse baat karni hai....

Wo - Yaha ke baaare mein main kya hi bataun....haalat bat se battar hote jaa rahe hai...

Usne bhi wahi sab bataya jo mujhe Old Owl ne bataya tha bas....iski baaton mein wo dard saaf saaf jhalak raha tha.....kahte hai naa jo sahta hai wahi jaanta hai uss dard ko...

Wo - Leemo abhi kuch logo ke saath kabristan ke pass gaye hue hai....wo khud jaate hai waha se baccho ki bodies laane....naa jaane kaise din dekh raha hai ye desh...

Main - Bas kuch aur din.....DB apni taiyaari mein laga hua hai....wo yaha aayega aur sab sahi ho jaayega...

Meri iss baat pe usne bas ek fikki muskan dikhayi mujhe....ye fikki muskan bata rahi thi kaise logo ka apne raja aur uske pariwar ke logo se bharosa uthta jaa raha hai....DB ko baht pareshani hone wali hai yaha aane ke baad.....

Baatein karte hue hi wo mujhe apne uss thikane pe leke gaya jaha pe baccho ki bodies padi hua thi waha pe kuch log the jo unn bodies ko saaf kar rahe the wahi kuch the jo koi juice jaisa kuch unke muh mein dete jaa rahe the....wo juice unn baccho ki bodies mein jaa raha tha thoda thoda....ye manjar bahut hi bura tha...main bata nahi sakta inn sab ko dekh ke kaisa lag raha tha mujhe....agar main bhi inn logo ke jagah hota to mera bhi yakkin utth chuka hota apne Raja se....apne Desh se....

Main wo sab dekh hi raha tha ki waha pe Leemo wapas aa gaya....uske saath 3 bodies bhi thi....usne unko sahi jagah pe rakhwaya....aur uske baad log aa gaye unn bodies ko dekhne ke liye.....

Wo bhi unki madad kar raha tha....thodi der mein uski nazar mere upar padi....

Leemo - Prateek aap...aap yaha....kisi ne dekha to nahi aapko....

Main - nahi sab theek hai....mujhe ye leke aaye hai yaha.....uss aadmi ki oor ishara karte hue maine kaha....

Leemo - hmm thik hai chaliye aap mere saath hall mein chalte hai waha baatein karenge....

wo mujhe apne saath leke gaya....hall mein pahle se kuch log the Leemo ke waha jaate hi wo sab jhukte hue waha se chale gaye....

Leemo - sab kaisa chal raha hai waha.....raj kumar theek hai naa....wo apni training dhyaan se kar rahe hai naa...

Main - haa wo kar raha hai....par tumne apni bhanji aur bahen ke baare mein nahi pucha...

Leemo - Unn dono ka kya hai wo waha acche hi honge....main jaanta hu....par yaha sab accha hone ke liye Raj kumar ki jarurat hai iss liye unke baare mein puccha hai....

Main - Haa wo dono bhi theek hai....main waha nahi gaya kabhi par.....chacha ji waha jaate rahte hai.....unse maine sunna hai iss baare mein....wo dono abhi bilkul theek hai...

Leemo - Bas wo jaldi aa jaaye...aur ye sab theek ho jaaye....

Main - Leemo yaha pe Orion aur Titan se log aaye the iss bimari ke liye...unhone koi dawayi di hai....jisse inn sab mein thodi kammi aayegi....

Leemo - kya.....sach mein ye to bahut accha hai aap mujhe uss dawayi ke baare mein bataye.....main khud usko baatunga sabhi jagah.....

Main - wo mere pass nahi hai dost agar hota to main jarur lata.....abhi wo yaha ke mukhya Vaidya ke pass hai.....aur wo laga hua hai usko sabhi jagah pahuchane mein.....maine uski surakhsa ke liye log laga diye hai par....tumhe bhi isme madad karni hogi.....tumko bhi usko dekhna hoga....

Leemo - Isme kahne ki baat nahi hai.....main ye karunga hi......main abhi nikal raha hu...iske liye...

Main - Leemo...sunno to....arre dost baat ye hai ki...tum bhi jaante ho iss baat ko ki naye Yuvraj apne logo ko yaha phaila raha hai....Main uske baare mein bhi baat karne aaya tha....Maine mahsus kiya hai uske inn saare karnamo ki wajah se.....logo ka bharosa uthne laga hai Elf King se....

Leemo -(serious hote hue) Haa aapne sahi kaha....aisa hone laga hai.....aur aap sayad puri picture nahi dekh rahe hai.....bahut si jagah aisi hai jaha pe ab log Kranti laane ki baatein kar rahe hai....aapko iska matlab pata hai....abhi Elf kingdom kisi jivit jwalamukhi ke muh pe hai....naa jaane kab wo jwalamukhi fatte aur ye sab khatam....

Main - Isse bachne ka koi upay hai kya tumhare pass....

Leemo - Rasta hai par.....mera jamir uski ijjajat nahi deta.....par haa agar aisa hi chalta raha to ye gunaah bhi karne pe majboor ho jaunga main.....

Main samajh raha tha ye kiss baare mein baat kar raha tha......Military coup ki wo sena nayak tha yaha ka par fir bhi yaha ke seena mein jitna Leemo ka sikka chalta hai utna kisi ka bhi nahi.....abhi ke situation ko dekhte hue....mujhe bhi yahi sahi lag raha tha......

Main - Main iss baare mein DB se ek baar baat karna chahunga....usko yaha ke situation ke baare mein sab batana chahunga.....aakhir ye uska rajya hai.....main isme kuch nahi kar sakta....

Leemo - Haa unka rajya hai ye....aap baat kare unse.....abhi ke liye main uss Vaidya ke pass jaa raha hu....unki madad karne aap chalna chahenge.....ek baar aap bhi iss jagah ko dekh lenge...sayad Raj kumar ko yaha ke haalat ke baare mein batane mein accha hoga....

Main - Mujhe abhi jaana tha....par wo sab baad mein bhi ho jaayega chalo main taiyaar hu....chalo....

Leemo mere saath chal diya......pahle to usne apne logo se pata kiya ki ye Mukhya Vaidhya abhi kaha hai.....aur fir hum uss oor chal diye.....raste mein aisi aisi cheejen dekhne ko mil rahi thi jisko dekh samajh nahi aa raha tha kya karu....agar main inn sab ke picche ka karan naa jaanta to abhi tak yaha ke raja ko maarne ke liye nikal chukka hota....charo taraf maatam hi maatam tha....

Main - Leemo inn sab ko bhi rokne ka koi rasta hai kya...

Leemo - Raasta hai.....par usme khoon karna hoga.....uss naye yuvraj ka.....jo ab aasan nahi hai...usne bahut hi sakht pahra lagwa rakha hai apne charo taraf wo bhi apne khass sainikon ka pahra.....uss tak pahuchna bahut mushkil hai...

Main - Koi to aur rasta hoga.....hum usko dara sakte hai...

Lemmo - Darayenge...kaise darayenge usko....uske saamne 12 pairon wala makda fenk de.....jisse wo dar ke bhag jaayega...

Main - Nahi aise nahi....pata hai main naa Earth pe insano ke bich raha karta tha.....waha pe maine ek baat ache se sikhi hai.....Janta mein bahut power hoti hai....aur yaha to Janta ke saath tum ho aur tumhare jaise log hai to power aur bhi jyada hai yaha pe...

Leemo - kya kahna chahte ho.....

Main - Pata nahi kyun par aaj unn insano ke likhe kitabon ki baatein yaha karne ka dil kar raha hai.....sath hi main bhi kuch pareshan hu sayad wo pareshani ye karne se thodi kam lagne lag jaaye....

Leemo - kya kahna chahte ho tum....

Main - Apne kuch logo ko bulao.....aur mujhe ek naksha chahiye...

Leemo - Humme pahle Vaidya ko surakshit karna chahiye....

Main - Uski fikar mat karo...agar unpe kisi ka saya bhi padega naa to mujhe pata chal jaayega aur agle hi pal hum waha honge....

Leemo - fir batao kya kya chahiye main taiyar hu....

Main - ek naksa 5-5 logo ke 4 gut....aur haa ye log aise hone chahiye jinko dekh janta bhi unke saath aa jaye...

Leemo - ho jaayega....

Leemo thoda picche gaya aur usne aasman ki oor dekhte hue kuch kiya....maine upar dekha to aakash mein koi aakriti banti hui dikhayi di mujhe....aur fir ek aawaj bhi hui....

Main - Ye kya hai....

Leemo - jo tumne kaha uska bandobast kar raha hu....wo sab yaha aate hi honge....

Main - waah....waise ye tha kya....

Leemo - Ye hamara tarika hai baat karne ka messages pahuchane ka......inko bas wahi samajh sakte hai jo inke baare mein jaante hai nahi to sab bas inko baadal hi samjhte hai....

Jyada der nahi lagi aur wo log waha pe aa gaye the....20 log.....saath mein maps bhi the....

Main - sabse jyada aabadi kaha hai.....

Ek ne mujhe map pe ek taraf ishara karke bataya maine waha pe nishan laga diye....

Main - sabse gareeb log kaha rahte hai....

wapas se ishara hua waha bhi maine nishan laga diya...

Main - Ameer log kaha rahte hai aur wo jagah jaha pe koi manufacturing ka kaam hota hai...

unn dono jagahon ke baare mein bhi bataya gaya....

Main 2 gutt....sabse jyada aabadi wali jagah jaayege....waha pe logo ko bhadkao....yaha ke Raja aur unke logo ke khilaf.....apni ye dress badal ke jaana aur ho sakke to chahra bhi chuppa ke rakhna...1 gutt garibon ke ilake mein....1 gutt ameeron ke pass.....aur ek gutt manufacturing wali jagah pe hoga....par waha wo kuch karega nahi....bas waha pe hoga.....baaki 4 gutt logo ko ikatha karo aur unko uss manufacturing wale jagah pe leke aana hai....ek kitab mein padha tha maine kisi bae Krantikari ki baat....Bahre logo ko sunne ke liye ucchi aawaj ki jarurat hoti hai.....aaj wahi aawaj unko sunayenge......Elf King ke saamne ka wo parda aaj khud ba khud jal ke raakh ho jaayega jisse unko yaha ke logo ki haalat nahi dikh rahi hai....Main ye bhi bata du......iske baad aapko aur bhi pareshaniyan jhelni pad sakti hai.....

Leemo - Kisi ko bhi isse koi pareshani hai to abhi batao...

Koi kuch nahi bola....sab chup the....

Leemo - Hum ye karenge.....wo parda aaj hi jalle ga.....Maharaj ko apni Janta ke dukh dekhne hi honge....hum unko mazboor kar denge...

Sabhi ne ek saath haa bola....

Main - fir chalo....jaisa kaha hai waisa hi karo....sab wahi manufacturing area mein aayenge....aur uss jagah pe hum kabza karenge....uss jagah pe ab kuch nahi banega.....jab tak khud maharaj naa aaye waha.....

Sabne wapas se haa kaha aur sab chal diye....

Main - Leemo ye to inka hua...ab ye humpe hai ki Maharaj aaj hi iss jagah pe pahuche....Darbaar mein tumhare kitne log hai abhi....aur unka kitna prabhav hai waha....

Leemo - Ab bas 3-4 hi hai pahle to 10 the...par ab sabko yaha se hataya jaa raha hai...ye 3-4 jo hai wo Raja ke bahut khass hai iss liye banne hue hai warna ye bhi nahi hote......waha pe banne rhne ke liye inko bhi Yuvraj ki baatein manni padti hai...aaki ye waha banne rahe aur humme khabar milti rahe....aisa naa ho ki hum bilkul hi katt jaaye uss jagah se....

Main - hmm to unse bolo....Yuvraj tak ye baat pahuchane ki log aakroshit ho rahe hai aur wo manufacturing area mein aa rahe hai....

Leemo - Wo seena bhej dega....

Main - Haa aur uske baad kya hoga....

Leemo - Uske baad Maharaj ko waha aana hoga....par agar usne ye baat unse chupp ke kari tab....

Main - Tab ek hi rasta hoga....hum sidha uske upar hamla kar denge.....Main karunga ye.....

Leemo - Aap samjhe nahi maine kaha naa uske pass sabse takatwar pahredaar hai....

Main - Haa maine suna par wo nahi jaante ki unke saamne kon aane wala hai...maine jaisa kaha waisa karo....aur main yaha thoda apna kaam kar lu....

Leemo ko lag nahi raha tha ye sab itni aasani se hoga...waise mujhe bhi nahi lag raha tha par ye karna jaruri tha...nahi to ye sab bas badhta hi jaata....aur ise bas yaha tanav hi badhta aur sayad isse bhi bada kuch ho jaata.....

Maine Old Owl se puccha...waha sab theek hai naa....

Old Owl - haa sab theek hai ye yaha se nikalne wala hi hai....ek minute.....kuch sainik yaha aa rahe hai....

Main - Sainik....theek se batao kya ho raha hai.....

Old Owl - ye naya yuvraj hai...wo yaha pe hai....usko pata chal chukka hai iss baare mein....

Main - kya kar raha hai wo.....

Old Owl - wo abhi unn chizon ko padh raha hai.....

Main - Portal kholo ek chota sa.....

Old Owl - Chota sa...tum usse nahi aa paoge....

Main - Mujhe aana bhi nahi hai bas jaldi se portal kholo...

Main - Dhruv - Albus ko bhejo waha.....aur usko bolo wo waha sab sambhale.....maine socha nahi tha isko itne jaldi pitna hoga...

Dhruv - hmm jaisa tum kaho....

Ek light orb mere seene se nikla aur uss portal se hote hue Old Owl ke pass pahucha aur fir waha se nicche chala gaya.....

Jab Albus waha pahucha to main khud hi unki baatein sun paa raha tha....

Yuvraj - ye to bade kaam ki cheez hai....hum ispe bhi tax lagayenge....sainiko.....jo jo bhi isme likha hai sab ikkatha karo....hum isko bechenge wo bhi moti kimat mein....aur iss vaidya...saath hi iske sabhi logo ko....jail bhejo jaldi se...

Itna bol Yuvraj waha se nikal gaya....

Main - Dhruv Albus ko main bhi guide kar sakta hu kya...

Dhruv - haa kar sakte ho....ab tum hi karo...

Main - haa ab theek hai....

Main - Albus....abhi ek Elf baccha ban jao...

WO turant ban gaya ek chota sa elf baccha...Rup badal sakte the albus aur cooper dono hi...

Main - jo bh unn kagazon ko chunne ki koshish kare....unpe hamla karo....par marna nahi chahiye wo...bas jakhmi karo....aur haa bas sainiko ko karna naa ki Vaidya yaa uske logo ko....

Albus taiyaar tha....

Old Owl - yaha pe ek baccha aa gaya hai kahi se.....

Old Owl Albus aur cooper ke baare mein nahi jaanta tha....naa hi Jwala.....

Main - haa pata hai...ek kaam karo....tum abhi Leemo ke pass jao....aur kuch logo ko uske sathiyon ke pass bhi bhejo mujhe unke har kadam ki jankaari dete raho....

Old Owl - Main yaha se chala jaun pakka naa...

Main - Haa yaha ka main dekh lunga ab....

Old Owl waha se chala gaya wahi......

Ek sainik ne waha pe rakhe unn kagazon ko chune ke liye haath hi badhaya tha ki Albus....jo ki abhi ek chota sa elf baccha bana hua tha....uske uska haath pakda....aur 180 degree ghuma ke patak diya.....log samajh hi nahi paaye hua kya....Vaidya aur uske log iss baat se parehan the ki ye baccha hai kaun....aur wahi Yuvraj ke log iss baat ko dekh ke pareshan ki unke ek sathi ko isne khilaune ki tarah patak diya....

Main - Dhruv ye Albus bolta bhi hai kya....

Dhruv - haa tum jo kahoge wo wo bolega.....

Main - Albus....sabko kaho....ki inn kagazon ko jisne bhi chua uska yahi haal hoga....

Usne bhi waisa hi bol diya....sab bas usko dekhe jaa rahe the....koi samajh hi nahi paa raha tha ye tingu hai kaun.....

3 aur sainik bacche hue the waha unme se ek aage aaya....

Sainik - tu koi mayavi hai...bahrupiya hai tu....himmat hai to apne asli roop mein aa fir dikhata hu

Main - Albus isko abhi chodo aur wo jo baaki ke 2 hai naa unko maaro.....behosh kar do unko bhi....

Albus ne bilkul waisa hi kiya aur itni tezzi se ki koi samajh hi nahi paaya hua kya....

Albus - inse kaho ki inn kagazon ko jaldi se sabhi jagah baatein...aur iss waale sainik ko jara bahar leke jao aur isko apna asli roop dikhao....

Albus ne pahle to sabko wo message diya.....jisko sunke unko samajh aa gaya ye unke hi side ka hai.....wahi uske baad usne uss bacche hue sainik ko pakda...aur usko leke aa gaya bahar ek khali maidaan mein ye sab bahut jaldi hua tha....wo sainik khud ko sambhalne mein laga hua tha....

Main - Albus baakiyon ko bhi leke aao dost wo yahi pe sahi rahenge....

Albus turant gaya aur waha se unn 3no ko bhi leke aa gaya.....

Main - hosh mein lao inko....aur ab apne asli rup mein aao aur wahi kahna jo main kahu....

Wo apne asli roop mein aaya....ek bada sa dragon.....

Main - Main iss planet ki ek spirit hu......main tum sabhi ke kaamo se bahut dukhi hua....tum sab ke sab....logo ko pareshan kar rahe ho....iss waqt jab unko madad chahiye tum unko parehsan kar rahe ho.....Main sab dekh raha hu.....ab iski sazza milegi....suruawt ho chuki hai ab bas dekhte jao.....

Ek to unn sab ki halat pahle hi kharab thi Albus ka roop dekhke...uske baad uski baatein aur bolne ka andaaz wo dekh ke to aur bhi halat patli ho gayi thi....to wo thar thar kapte hue wahi pe pade rahe....

Main - Albus waha se wapas aa jao....

Wo waha pe wapas se uss light orb mein badla aur waha se gayab ho gaya jaise....aur mere pass aa gaya....

Main - chalo yaha pe sab theek hi hai...ab jo plan banaya hai uska bhi dekha jaaye...Old Owl kya khabar hai...

Old Owl - Kya khabar hai tum to yaha pe dange dharna karane jaa rahe ho....ye sab aa rahe hai waha.....ye sab sach mein bahut hi jyada dukhi hai aur gusse mein hai....

Main - honge bhi kyun nahi apne bacche khoye hai inhone.....kya sabhi jagah se log aa rahe hai...

Old Owl - haa sabhi jagah se aa rahe hai log.....

Main - Seena ka kya haal hai....iske baare mein Leemo ne waha baat pahuchayi hai yaa nahi...

Old Owl - Ab kya bataun main.....sena ke jawan bhi inn sabhi ke saath hai unhone bhi apne bacche khoye hai....

Main - ye to jyada ho gaya...par koi baat nahi isse hamara kaam aur jaldi hoga....

Old Owl - Maine Raja ke pass bhi kisi ko lagaya tha...uska kahna hai ye baat seedha untak hi pahuchi hai....

Main - kya baat pahuch bhi gayi....par abhi to kuch shuru bhi nahi hua hai....aur ye Yuvraj kaha gaya....

Old Owl - Pata nahi uske baare mein main nahi jaanta.....

Main - hmm uske picche bhi bhejna tha kisi ko khair abhi rahne dete hai...Elf King ke kya haal hai ye batao....

Old Owl - wo pata kar rahe hai ki ye sab log kaha jaa rahe hai....aur sayad wo bhi wahi jaane wale hai....

Main - hmm ye accha hai...bahut sahi jaa raha hai ye.....kuch hone se pahle hi ye khatam hone wala hai ab sayad Elf King khud sab kuch dekhne lag jaaye wapas se....isse sabhi ko aaram mille....

Old Owl - haa sayad.....par agar unhone isko apne ego pe le liya to baat aur bhi bigad sakti hai....

Main - nahi aisa nahi hona chahiye....dekhte hai....

Old Owl - wo waha se nikalne wale hai ab.....

Main - Aur log....unka kya hai wo kaha pe hai abhi....

Old Owl - Log bas uss jagah pahuchne wale hai jaha pe ek aur gutt unka intezar kar raha hai....

Main - hmm theek hai accha kuch 4 logo ko waha pe teleport kar sakte ho kya....maine thoda aur socha hai iske baare mein....

Old Owl - haa koshish karta hu...

Maine usko unn charo sainiko ke baare mein bataya jo abhi bhi darr se kaamp rahe the unko Old Owl ne waha se teleport kar diya...aur wo jaa pahuche......Manufacturing area mein.....aur iss baar to aur bhi daare hue the....pahle unko lag raha tha ab Albus....joki unke hisab se planet ka koi spirit hoga....wo chala gaya hai.....apr ab wo apni jagah se wapas se teleport ho gaye....to aur bhi jyada darr gaye....itne hi der mein waha pe Elf King apne logo ke sath pahuch gaye aur waha pe logo ke aane ka intezar kar rahe the...ki wo charo unke saamne aa gaye...

Elf King ko samne dekh ke wo charo hi unke kadmo mein gir gaye....aur naa jaane kya kya bolne lage....Elf king samajh nahi paa rahe the ye hai kaun aur kyun pareshan hai itna...

Elf king - kon hai ye aur sena ki paushakh pehen ke aise kyun kar rahe hai....

"Maharaj humme baccha lijiye hume uss spirit se baccha lijiye...."

Elf king - Spirit kon si spirit....

Unn charo ne Albus ke baare mein sab batana shuru kar diya.....ab sayad wo itne darre hue the ki flow flow mein ye bhi bata baithe ki wo unko milla kaha tha matlab Vaidya ke pass jaane ki baat bhi....aur Yuvraj ka aadesh bhi.....isko sunte hi.....Elf King ko jhatka laga wo samajh nahi paaye ki aisa bhi kar sakta hai kya ye....

Abhi ye sab ho hi raha tha ki waha pe Janta bho pahucha gayi.....Ab ye Maharaj pe tha wo kaise handle karte hai ye sab....

Wo inn sab ko bhul ke Janta ki oor dekhne lage....par usse pahle unn charo ko kaidkhane mein bhejne ko kah diya....saamne naa sirf unki janta thi balki unki seena ke bhi log the....ek raja ke liye ye bahut hi badi baat thi......wo samajh rahe the ki janta hi nahi balki Seena ko bhi unke netritwa pe shaq hai....

Wahi saari Janta ne dekha unke raja wahi pe hai aur unka intezar kar rahe the....wo sab waha ruk gaye...

Elf King - Mujhe dikha hi nahi.....ki meri janta.....meri khud ki seena mujhse kitna gussa hai.....main samajh hi nahi paaya isko.....Main jaanta hu...hamara desh sankat se gujar raha hai....par ye pata nahi tha ki ye sankat itna badh gaya hai ki hamare bich ek deewar si ban gayi hai....

Maharaj itna bolke saamne ki oor dekhne lage.....tabhi picche se kisi ne kaha....

"Maharaj abhi aur bhi baatein hai jo aapko pata nahi hai....kar bahut jyada badha diya gaya hai....dawaiyan jo sasti hua karti thi wo mahngi hone lagi hai...khane pinne ke saman bhi mahnge hone lage hai..."

Elf King - Ye kya bol rahe ho....maine inn sab ke baare mein kab aadesh diya.....kisne badhaya hai ye sab kar....

" Maharaj sarkari mohar hai unn aadeshon pe....sabko yahi pata hai aapne hi aadesh diya hai"

Elf King - Maine bas kuch hi kar badhane ke aadesh diye the....aur wo bhi iss wajahse kyunki hamara khajana khali ho raha tha...par itne kar nahi...hamare Vitta Salahkaar ko iske baare mein pata hai kya.....

"Maharaj sayad aap samajh chukke honge...aapke pith picche kya kya chal raha hai yaha...."

Elf King (gusse mein) Inn sab ko abhi yaha se jaane bolo....aur turant hi darbaar lagegi abhi.....Yuvraj ko waha upasthit hone bolo...aur saath hi vitt salahkaar ko bhi....

Jo Maharaj se abhi baatein kar raha tha wo Leemo ke saath ka hi tha...usne Leemo ki oor ishara kiya....Leemo samajh gaya usne apne logo ko sab yahi pe rokne ka ishara kiya....kuch pareshani hui....par sabhi wapas apne apne ghar chale gaye....bheed bulani aasan hoti hai par usko kaabu kar paana sabke bas ki baat nahi hoti...

Elf king ke kahe anusar darbaar lagaya gaya aur iss waqt sabse mazze ki baat ye hui ki yuvraj pure nashe mein darbaar mein pesh kiye gaye.....inn janab ne soch liya tha ki aaj ke kaam ke baad inko aur bhi bahut paise milne wale hai to enjoy karna banta hai...unke rakhshakon ko bas yahi bataya gaya tha ki inko Maharaj ne bulaya hai kaha bulaya hai ye sab bataya hi nahi to wo sab bhi binna koi pareshani ke leke chal diye inhe....

Saath hi mein Iss Yuvraj ke saath Vitt salahkar bhi the waha pe.....unse puch tach hui....aur fir ye saamne nikal ke aaya ki ye sab unhone ne kiya hai...khud kiya hai isme Yuvraj ka koi dosh nahi tha.....yaha pe Raja ko bachane ke liye ek pyade ne khud ko kurbaan kar diya.......

Elf King ne ye sunna...aur uske baad usss Vitt salahkaar ko Fumos bhejne ko kaha.......wahi Yuvraj ko Darbaar se agli neeli chandni tak keliye nikala gaya...wo waha nahi aa sakta tha....

Main wahi tha....Leemo bhi aur uske kuch log bhi....

Leemo - isne usko bacha liya aur khud ki bali dedi...koi to baat hogi iss yuvraj mein bhi....isne kuch to patti padhayi hogi inn logo ko...

Main - sahi kaha.....aise hi bhala kaun koi itna bada ilzam khud pe le lega....khair abhi ke liye main chalta hu.....raat hone ko aayi hai.....waha log mujhe dhundh rahe honge....

Leemo - ji theek hai......aur aapka sukriya kaise kare samajh nahi aa raha......ab sayad kuch chizzen badlegi uss dawayi ke wajah se bhi aur saath hi inn karo ke khatam hone se bhi...gareebi aur bhukhmari ke halat to khatam ho hi jaayenge....

Main -haa ye to hai...aur shukriya ki koi baat nahi....main aata rahunga yaha....abhi chalta hu....

Maine Old Owl ko yaad kiya usne ek portal khola aur main chala gaya Earth pe apne school ke room mein....aur issi ke saath aaj bhi main Club mein nahi gaya....dekhte hai kab mauka milta hai inn clubs mein jaane ka....

Chalo iss Prateek ko chod dete hai ye khana wana khake so hi jaayega hum thoda picche chalte hai jab DB ko insano ke bich bheja gaya tha uss waqt mein...dekhte hai ye DB kaise rahta hai insano ke bich jo usko utne acche nahi lagte....

DB ko Leemi chod ke to chali gayi ek gaon mein....ab DB yaha waha dekhta ghum raha tha....usko samajh nahi aa raha tha wo yaha kare to kare kya.....upar se usko kisi insan se kuch puchne mein bura lag raha tha...par khud ko sambhalte hue usne ek insan se puch hi liya....

DB - ye jagah kaun si hai...

"Cikanagar....naya aaya hai kya yaha...."

DB - haa

"rahne ke liye jagah chahiye naa....chal main dikhata hu mast jagah..."

DB - nahi humme koi jagah nahi chahiye....hum chalte hai yaha se.....

WO aadmi usko dekhta raha wahi DB waha se aage badh gaya....usko samajh nahi aa raha tha wo yaha kare kya....usko kaha gaya tha ki insano ke bich raho.....par rahke karo kya....ye kaun batayega....aur kab tak rahna tha usko ek din do din kab tak....

Wo yaha waha ghoomta raha aur shaam ho gayi....ab usko bhukh lag gayi.....khane ke naam pe Aashram mein kuch mil to jaata tha par yaha to wo bhi nahi tha...usne dekha saamne ek mandir tha...jaha logo ko prasad mil raha tha.....pahle to usko wo lene mein bhi bura lag raha tha par bhukh...sabko majbor karti hai aur ye jo Raja raj kumar type log hote hai unko bhukh bhi jyada hi lagti hai....DB bhi chala jaata hai waha aur usko bhi prasad mil jaata hai wo prasad khaa leta hai...par utne mein uska hoga kya....wo yaha waha fir se ghomne laga khane ki talash mein....aur aise hi wo pahuch gaya ek jungle mein....waha usko ek ped pe kuch phal lage mille....wo chad gaya waha phal khane ke liye..aur waha khane lag gaya fal....Ye sab uske Guruji dekh rahe the...

Guruji - Insano ke bich rahne bola tha...jungle mein nahi....ab wapas se unn insano ke bich jao....aur wahi raho......unke saath unko samjho...unko apnao....

Db - Main kahi nahi jaa raha aapne mujhe aashram se nikala hai main ab yahi jungle mein rahunga aur yaha pe apne element pe kaabu paunga....

Guruji - Jaisi tumhari marji...

Leemi - Guruji ye kya kar rahe hai Raj kumar....isse to aur pareshani hogi....

Guruji - haa pata hai...sayad isko iske dost se milne ki jarurat hai...Tum iske uss dost ke pass jao...aur usko kaho ise sab bataye.....jo kuch bhi iske desh mein ho raha hai....sayad tab ye samjhe kuch....

Leemi - ji...

DB bhatak gaya hai :sigh: usko insano ke pass bheja gaya tha taaki wo unke saath rahe aur unse bhi seekhe par wo ye samajh nahi paaya....ab dekhte hai wo iss baat ko kaise samajhta hai...

Nexxt update mein dekhenge.....Jwala ki pareshani ke baare mein.....dekhte hai Prateek kya karta hai iske baare mein....aur saath hi wo jo fight hai....wo bhi wahi hogi :sigh:
Nice update
 

Ristrcted

Now I am become Death, the destroyer of worlds
Staff member
Sr. Moderator
47,785
40,292
304
UPDATE - 67

Main apne room mein utha wahi darwaje wala sapna aaya tha aaj bhi pata nahi kya hai iss bade darwaje ke picche.....iska kuch to karna hi hoga....Maine ghadi dekhi.....waqt kuch 4 baj rahe honge main jaldi se utha aur fir taiyaar hoke dhyaan lagane chala gaya.....

Main waha jaake apne naye wale element pe dhyaan lagane lag gaya....main ispe bhi achha kar raha tha...har ek ball ko dusre ball se jodd raha tha....par yaha pe dikkat ye ho jaati thi.....wo balls milke kabhi kabhi liquid ban jaate aur sab alag alag ho jaata hai

Dhyaan lagane ke baad utha to sab wahi the......par sabhi abhi bhi dhyaan laga rahe the ain hi aaj jaldi uth gaya tha.....

Waha se sidha room mein gaya main.....aur taiyaar hone laga.....aaj kabhi bhi Old Owl waha bulla sakta tha mujhe....dekhna ye tha ki kab....

Main taiyaar hua...aur jaldi se nasta karne jaane laga...tabhi room ke bahar hi Bua milli...

Bua - itni jaldi mein kaha chale......

Main - Wo bua wo dawa di thi naa sayad usse bhookh jyada lagti hai to bas khane jaa raha hu.....

Bua ne meri baat sunni aur mujhe ek baar acche se dekha....

Main - Kya hua Bua aise kya dekh rahi ho....main sach kah raha hu....

Bua - Chalo aaj mere cabin mein karte hai nasta....Kavita aur Nikita ko bhi bulla lenge....

Main - haa theek hai chaliye...

Main (mann mein) - inko pata chala to jaane nahi dengi....upar se sawal alag honge inke....accha hai akele jaaun aur bas yaadast hi to pata karna hai.....waise bhi ye gayi to uss jeev ki kahani bhi sunani hogi...aur bhi naa jaane kya kya... :sigh: akele best hai jaana....

Main chala gaya inke saath inke cabin mein waha pe 4 plates lage hue the.....thodi der mein Nikita aur k.bua bhi aa gaye....

Hum sab ne khana shuru kiya....Bua mujhe baar baar dekh rahi thi....

Bua - Nikita Bacchu kahi jaana hai kya aaj...

Nikita (muh mein khana bharre hue) - Nahi to....classes hai aaj bas.....

Bua - hmm theek hai fir....

Unhone apna phone nikala aur phir Rupal didi ko call kar diya.....jo abhi ghar se nikalne hi wali thi.....par call chachi ne utha li...

Chachi - Haa Poonam kya hua....

Bua - Aap ghar pe ho.....yaa Rupal waha hai...

Chachi - Main ghar aa gayi hu.....aur Rupal yahi hai upar gayi hai abhi.....ye janne ke liye phone kiya hai....

Bua - Nahi wo bas.....Bhabhi usko puchna jarra aaj kahi jaana hai kya usko....

Chachi - hmm rukko.....(Chillate hue) Rupal aaj kahi bahar jaana hai kya.....teri Bua puch rahi hai....

Rupal didi - Nahi to.....bas hotel jaana hai....wo project aaj hi khatam kar deti hu....

Chachi - sunna naa wo nahi jaa rahi kahi....waise usne bataya kya tujhe...usne aur Nikita ne bahut accha plan banaya hai....hotels ko puri tarah badal denge ye sab....

Bua - Nahi bhabhi.....main usse baad mein puch lungi....chalo rakhti hu.....

Chachi - hmm theek hai.....accha sunn kal sabhi aa jaana.....

Bua - Bhabhi parso class bhi hai....waise bhi fir sham ko to aayenge hi naa.....

Chachi - haa theek hai milte hai ussi din main naya dish ussi din try karungi fir rakhti hu....

Chachi ne call cut kar diya...Bua mujhe dekhne lagi.....itne mein K.Bua aur Nikita ka khana ho gaya....wo dono uthne lagi....aur haath done chali gayi....main bhi khana khatam karke utha aur haath dhone chala gaya....

Bua - Sach sach bata aaj kya karne wala hai tu.....

Main - kya....main kya karunga class hai aaj aur kuch nahi.....

Bua - Fir mujhe aisa kyun lag raha hai jaise tu aaj kuch karne wala hai.....

Main - Arre nahi Bu......aaaaaaa.......aise kon karta hai Old Owl main baat kar raha tha........ :doh: Bua se....ab unko sab batana hoga...wo pata nahi kya karegi....thodi der ruk nahi sakte the tum.....

Old Owl ne aaj bhi waise hi acchanak mujhe portal khol ke khinch liya tha.....Wo bhi tab jab Bua se main baat kar raha tha unko bata raha tha ki main kahi nahi jaa raha hu.....

Old Owl - Mujhe pata nahi tha tum aisa kuch kar rahe ho.....wo to waqt aa gaya hai naa iss wajah se....

Main - To main wo jeev leke ghoom raha tha kya.....thoda pahle bata dete to main taiyaar ho jaata aur ye sab naa hota.....pata nahi ab jaane pe wo kya karegi mera.....ab khade kya ho....chalo waha....dikhao kya ho raha hai wo jail se nikla hai yaa nahi...

Old Owl - Par tum saman to laaye nahi fir kaise hoga.....aur wo nikalne hi wala hai bas.....

Main - Dhruv Bahar bhejo Albus ko uss taskari karne wale ke roop mein....

Dhruv - hmm abhi bhejta hu....

Main - Ek minute rukko abhi bas taiyaar rakho jaise hi kahu waise bhejna theek hai....

Dhruv - Main ready rahunga.....

Main - Old Owl uss baggi ko rokna samjhe.....jaise hi wo aage jaane lage usko rok lena....aur waha pe jo bhi pahredaar uss tasari wale ko laane ko aaye hai unko bahar aane pe majboor karna......jaise hi wo bahar aaye Taskari karne wale ko udda lena....samajh gaye......apne logo ko bhi samjhao.....

Old Owl - Par tum kisi ko laaye kaha ho.....uski jagah badalne ko.....mujhe laga Nikita yaa koi aur aayegi....

Main - Aayegi.....tumne mauka diya kisi ko laane ka......aise mujhe khich liya jaise kidnap kar rahe ho mujhe.....agli baar aisa sochna bhi mat karne ki....

Old Owl - accha theek hai par waha pe jaayega kaun fir....uski jagah pe.....

Main - Uski chinta mat karo tum bas usko nikal aao.....waha koi naa koi pahuch hi jaayega....kitna waqt hai ye sab hone mein.....

Old Owl aasman ki oor dekh ke apni bhasa mein kuch bola....aur fir sayad usko bhi koi aawaj aayi.....fir wo mujhse bola...

Old Owl - Court se baggi nikal chuki hai.....3 log hai usme....ek jo chala raha hai wo....aur do kaidi ke liye....

Main - Waah......sala sahi naam hai jagah ka Strange world....itni ajeeb jagah hi hai ye ki yahi naam sahi tha.....ek itna bada apradhi hai....usko le jaane ke liye ek baggi aur usme bas 3 log...bhagana hi tha to aise hi bhaga dete naa.....

Old Owl - iss jail se nikal ke koi bhagne ki koshish hi nahi karta.....aur wo baggi bhi koi aam baggi thodi hai....ispe kisi bhi magic ka koi asar nahi hota.....

Main - To tum rokoge kaise usko....

Old Owl - Puri baat sunte nahi aur bolne lag jaate ho.....maine kaha magic ka asar nahi hota.....par agar dimmag chalaya jaaye to sab ho jaata hai....

Main - Insano mein naa jo sabse murkh hota hai usko Gadha bolte hai aur usse jo thoda sa sayana hota hai naa wo Ullu kahlata hai....to dimmag ki baat karo mat jo karna hai wo batao...

Old Owl - Main kar ke dikhata hu....mera bas kaam yahi hai naa ki uss bande ko bahar le aaun....wo main kar dunga....baaki tum samjho....mujhe bewakoof kah raha hai......boyzzzz kaam pe lag jaao......wo aane wala hai....

Main - Karne kya wale ho ye bhi bata do.....

Old Owl - Bas chup raho....Boyzzz t-30s hai hamare pass.......sab taiyari check karo ek baar.....O2 tumne smog taiyar rakhi hai naa.....

O2 - Taiyaar hai sir....

Old Owl - O1 hypnosis ke liye kam waqt milega.....isme koi chukk nahi honi chahiye....

O1- Main ready hu sir....

Old Owl - O3 tum bhi taiyaar ho naa uss bande ko nikalne ke liye.......bas 2 sec ka waqt milega tumko.....

O3 - Ready hu sir.....

Old Owl - T-10 s hai bas.....sab positions pe raho.....O2 Smog taiyaar raho.....ishara milte hi khali kar dena.....

Main - Ek minute....usko baggi mein baithne to do.....aise kya 10 s hai jaldi karo.....Baggi aayi bhi nahi hai....

Old Owl - Chup raho aur dekho....

Theek iske 5 second baad acchanak se waha pe ek baggi a gayi uss jail ke pass.....aur main dekhta hi rah gaya.....pata hi nahi chala wo aaya to aaya kaha se....matlab ekdum se prakat ho gaya jaise wo....aur uske baad dekha to uske khidki mein wo taskari karne wala banda bhi dikha mujhe...

Old Owl issi ka wait hi kar raha tha jaise.....usne ishara kiya aur charo taraf smog aa gaya.....kuch dikhne hi nahi laga....

Old Owl - O2 bahut ache.....O1 wo bahar aayenge ab.....darwaja khulega,......taiyaar raho...O3 tum bhi.....jaise hi hypnosis khatam ho tum unko udda lo.....

Main - ye kya hai......Dhruv.....Dhruv Bhejo Albus ko bahar....taiyar karke....jaise hi O3 usko nikale Albus ko waha fit kar dena...

Ye itni jaldi kar denge ye log maine socha bhi nahi tha.....plan to banaya tha iss old owl ne accha khasa....mere seene se ek light nikli aur wo chali gayi uss Baggi ki oor.....jiske bahar abhi 3 log the.....tinno hi bas khade the....O3 ne apna kaam yaani ki Taskari wale ko bahar nikalne ka kaam kar diya tha.....wahi baaki ke 2 logo ne bhi kar diya tha.....Old Owl waha pe aya aur jaldi se smog ko apni pankhon ki madad se....O2 jisne unn tino ho sammohit kiar rakha tha usne bhi unko wapas jaise the waise hi rahne ko bol diya....aur fir phir sammohan hatta diya....

Wo tinno hosh mein aaye aur Baggi wapas se gayab ho gayi.....

Main - ye kya tha Old Owl tumne to kammal hi kar diya....

Old Owl - ye kuch bhi nahi tha....aise naa jaane kitne hi kaam kiye hai maine.....khair isko chodo ab uss bande ko leke chalte hai.....O3 usko base pe pahuchao....aur wapas yaha aake command sambhalo....O4 tum jaise Baggi pe nazar rakhe hue the waise hi nazar rakhe raho.....koi gadbad ho to turant batana....

Main - hmm chalo base pe....dekhte hai kaisa base banaya hai tumne.....

Usne ek portal khola....aur uske ander jaate hi hum kahi aur pahuch gaye....dekhne mein koi guffa jaisi lag rahi thi ye jagah....

Main - ye kon si jagah hai.....

Old Owl - yahi pass ki jagah hai.....pedon se chippi hui guffa hai ye...yaha isko aise nahi laa sakte the naa to portal kholna pada.....O3 wapas jaao tum isko hum dekh lenge....

O3 waha se wapas chala jaata hai....uss taskari karne wale ko wahi pe chod ke....

Main - kya dekh lenge...main wo jeev pocket mein leke nahi ghum raha tha.....Portal kholo wapas jaane ka.....mere room ke liye kholna....

Usne Portal khola aur main room mein ander gaya....aur wo jar liya jiske ander uss jeev ko rkha tha aur wapas jaane hi laga ki saamne Bua...

Matlab....pahle portal hai....fir Bua hai aur uske baad main hu....Bua gusse se mujhe dekh rahi hai...aur main haath mein ek ajeeb sa jeev liye khada hu.....

Old Owl - milla ki nahi milla......waqt barbaad na.....oo

Bua - Kya....kya kaha tha kahi nahi jaana fir aise gayab kaha ho gaye the...aur ab fir se kaha jaa rahe ho....

Main - wo Bua main ...tabhi mere ko pata nahi tha naa jaana hai warna main to bata hi deta naa.....

Bua - tumko main jaan gayi hu itne time mei....

Old Owl - Maaf karna Bua ji par....Prateek waha court mein baggi pahuch chukki hai.....aur abhi bas waqt jaa raha hai hamara.....

Main - hmm...Bua yaar aap thodi der baad daant lena naa abhi bahut jaruri kaam hai.....'

Bua - kya kaha.... :shocked: accha theek hai...chalo main bhi dekhti hu kaun sa kaam kar rahe ho...

Main unko manna karta usse pahle unhone haath pakda mera aur portal se hote hue ander....

Bua ne aas pass dekha to kuch samajh nahi aaya unko.....bas ye pata chala ki guffa hai koi.....par kaha pe ye nahi jaanti thi wo....lekin abhi unhone sawal nahi pucha koi.....

Bua - jaa apna kaam kar....

Main bhi waqt naa jazza karte hue gaya uss taskri karne wale ke pass.....aur wo jeev jo jar mein leke aaya tha usko bahar nikala.....

Main - Dhruv isko use kaise karte hai....

Dhruv - isko uske sar pe rakh do....ye mara hua hai....par iski body fir bhi isse jud jaayegi....

Maine waisa hi kiya uss jeev ko nikala aur uske sar pe rakh diya......usko waha rakhne ke baad hi maine dekha jeev mein kuch halchal hui hai.....aur jab dhyaan se dekha to uss jeev ke pair....taskari karne wale ke dimag ke nashon se judd gaya tha...

Main - Ab kya.....

Dhruv - 2 chizzen kar sakte ho......yaa to uske muh se sunno yaa uski aankhon se dekho.....aakhon se dekhna jo hai wo ekdum se sahi jaankari degi.....par muh se sunna....isme dikkat hai agar isne apni memory ke saath kuch kiya hoga to kuch baatein jhooti bhi nikal sakti hai...

Main - Aankhon wali case mein ye logic nahi chalta kya.....waha memory mein kuch karne se nahi hota kya kuch,......

Dhruv - hota hai par usme bahut kam chances honge......tum jaao iske body mein aur main tumhari body sambhalta hu.....

Main - Abhi kaha aankhon se dekho iske muh se suno aur ab kah rahe ho iske ander chale jaao....

Dhruv - wo jo do options hai naa wo aam logo ke liye hai...aur tumhare saath main hu.....to tum iske ander aao aur main body sambhalta hu.....accha aur jab bahar nikalna ho to iske body mein ek choti si ladayi ladni padegi.....taaki ye jeev sahi se nikal jaaye....iski jarurat padegi naa baad mein.....

Main - theek hai....

Maine uss taskari karne wale ke sar pe hath rakha aur apni body se nikal ke uske body mein chala aaya......aur meri body wo Dhruv dekhne laga...

Ek ajeeb si jagah thi...andhera tha charo taraf.....ajeeb si aawajein aa rahi thi...aur garmi.....puccho mat.....aisa lag raha tha aag mein daal diya ho mujhe.....tabhi mere ass pass ki cheezin....aur main sab kuch hi hilne lag jaata hai,....Main ek bakse mein tha abhi......ek ghar mein ek baksa tha aur usme main tha.....aur ghar mein aag lagi hui thi issi wajah se ye garmi lag rahi thi....

Abhi kisi ne baksa khola tab jaake mujhe pata chala ye sab,....saamne ek aurat thi jo bas roye jaa rahi thi.....usne mujhe....mera matlab hai sayad iss taskari karne walo ko goad mein uthaya aur apne seene se laga liya...

Ass pass dekha to bas aag hi aag thi waha aur kuch nahi.....ek bada sa lakdi ka tukda hamare upar girra....aur fir se andhera.....

Main - Dhruv ye kya tha.....

Dhruv - arre bataya tha naa ye jeev aapke past ko hi nahi balki previous life ko bhi dikha sakti hai.....tumko dhyaan lagana hoga....aur iske iss life ko dhundhna hoga....fir wo yaaedin jo tumko dekhni hai....warna wahi iss mayajaal mein fasse rahoge...

Main - Ye baat pahle batani thi naa....main wo aasan tariko se kaam chala leta....ab ye batao pata kaise chalega ki iski abhi wali life kaun si hai....

Dhruv - abhi kya mar gaya hai ye....

Main - Haa mar gaya hai ye ek bakse se nikal aur fir lakdi ka tukda girra aur mar gaya saath mein koi aurat bhi thi sayad iski maa ho uss waqt ki....

Dhruv - Hmm bura hua iske saath fir uss janam mein....accha yr pata lagane ke liye ki iski ye wali life kaun si hai aas pass dekho kahi se light aa rahi hai.....dhimmi si light bhi hogi wo bhi chalegi...

Main - light se kya connection hai...mujhe koi light nahi dikh rahi....

Dhruv - Aakhen jo hoti hai naa....unse light ander jaati hai sareer ke.....aur abhi iske pass jo aankhen hai wo issi janam mein hai naa isse pahle wali bodies to khatam ho gayi hongi....to light se pata chal hi jaayega kaha hai ye...

Main - Par koi light nahi dikh rahi hai aas pass......maine acche se dekha hai...

Dhruv - aisa kaise ho sakta hai....accha main yaha kuch try karta hu.....tum waha dhyaan rakhna....dekhte rahna kaha se light aati hai....ussi taraf nikal jaana...

Main - hmm theek hai par tum karne kya wale ho....

Main bol hi raha tha ki mujhe ek taraf se bahut si light aati hui dikhi main ussi oor chal diya....

Dhruv - Dikhi kya light.....

Main - Haa dikhi...wahi jaa raha hu abhi...

Dheuv - ye kaam karta hai fir.....theek hai tum waha jaao....waha pe bhii bahut si yaadein hongi....jitni iski umar hai...uss hisad se to bahut hi hongi...

Main _ Main abhi wapas se kisi andheri jagah pe aa gaya hu par yaha raoshni hai thodi......main dekh sakta hu tumko....ye Bua Old Owl ko kya samjha rahi hai...

Dhruv - Wo.....wo tum kahi aise jaao to unko in sab ki khabar pahle mill jaaye ye samjha rahi hai.... :lol: Par Old Owl unko bata raha hai wo tumhari har khabar untak nahi pahucha sakta...iske liye tumhari permission chahiye hogi....ye sab baad mein dekh lena...abhi tum iss body mein pahuch gaye ho...ab iski yaadein dekho....dhundhon unko....

Main - Kaha dhunhdna hai ye bhi batao...

Dhruv - dhyaan lagao....tum pahuch jaoge iske memory mein...

Main bhi dhyaan lagane laga aur jaise hi aankhen band karke wapas se kholi.....main kahi aur hi tha.....haathon mein ek bada sa anda tha mere......aur main bhag raha tha.....Main abhi iske jagah pe tha.....Maine picche mudd ke dekha to waha pe kuch ajeeb se saanp the jo mere picche lage hue the.....bade gusse mein lag rahe the.....unme se ek aaya aur meri.....yaani ki iss taskari karne wale ke haath pe kaat liya...Main wahi pe gir gaya aur wo anda....wo bhi wahi pe gir gaya.....jo saanp mere picche laga hua tha wo uss tute hue ande ke pass chala gaya....aur abhi wo mere pass aata usse pahle ain waha se bhag gaya.....

Main - Dhruv ye sab kya tha....ye Saanp wo anda....aur main bhag raha tha.....

Dhruv - tum nahi bhag rahe the wo sab ye kar raha tha taskari wala banda.....tum bas uske yaadon mein the....sayad ye iska abhi jaldi ka kiya hua karnama hai....iske haath pe wo chot ke nisan hai...aur dekhne se lagte hai 3-4 tmahine pahle ke hi hai ye...

Main - wo saanp uska anda toot gaya iski wajah se.....

Dhruv - Shant ho jaao.....abhi aur picche jaao aur fir dekho kya milta hai....

Main aur picche gaya.....iss baar ek baccha tha....uske sir pe singh lage hue the...ye ek daanav ka baccha tha....maine dekha hai aisa pahle....par ye size mein thoda chota tha....Main isko leke bhag raha tha....wo baccha...usko sayad ye sab ek khel sa lag raha tha....to wo hasse jaa raha tha....Maine uss bacche ko ek nadi mein phenk diya....ek gahri nadi.....maine usko abhi goad mein liya hua tha....uss nadi ke pass pahucha main....aur fir uss bacche ko jor se niche phenk diya....aur fir apna haath saaf karte hue waha se chala gaya....

Pata nahi kaun tha wo baccha aur ye kya hua.....Main abhi iss taskari karne wale ki yaadon mein tha....ye yaadien bahut hi dukh dene wali thi.....uss bacche ka hasta hua chahra....sayad wo daanav ka hi baccha kyun naa ho par uska wo hasta hua chahra jaise chapp gaya ho mere ander.....

Main iski yaadon se bahar aana chahta tha...

Dhruv - Prateek sambhalo khud ko.....tum bhool rahe ho kya karne aaye the yaha....ye sab itna kuch kiss wajah se hua tha....

Main - Tumne dekha na....isne uss bacche ko....nadi mein phenk diya....wo baccha tha....aur wo anda.....usko tod diya isne....

Dhruv - main bhi sab dekh raha hu....tum khud ko sambhalo dost....aur wo dhundho jiske liye aaye ho....iss bicch aur bhi aisi cheezin ilengi par...tumko wo cheez dhundhe bina bahar nahi aana hai....

Fir kya tha.....ek aur yaad uske baad ek aur yaad.......inn yaadon ko dekhte hue.....aisa lag raha tha jaise maine wo saare kaam kiye hai....un baccho ko maarna....unn chizzon ko churana.....wo log meri wajah se ro rahe the....main mahsosh kar raha tha unn sab ke dard ko....jo sayad iss kamine ne kabhi nahi kiya tha......iske body se nikalne ke baad isko aisi maut dunga ki ye wapas se janam nahi lega.....aisa mann bana chukka tha main....par abhi bhi wo yaad nahi milli thi mujhko jo main dhundh raha tha...

Agli yaad jo iski mujhe dikhi.....wo kuch jaani pahchani hui si thi......aisa lag raha tha ye sab dekha hua hai maine....ek aurat jo bhag rahi thi.....bas bhage hi jaa rahi thi....apni goad mein ek baccha liye hue.....aur fir wo ruk jaati hai.....main uske pass jaata hu....aur mujhe kuch ho jaata hai....wo apni bacchi ko ek baar chumti hai aur fir usko mere haathon mein deke mujhe jaane ke liye kahti hai....wo aaurat.....wo bahut jakkhmi thi....sayad mere jaane ke bad hi wo wahi pe mar gayi hogi.....Main waha se ek portal kholta hu...aur seedha chala jaata hu ek ghar ke darwaje pe.....maine knock kiya aur ek buddi mere saamne aayi....isko pahle bhi dekha tha maine...kaha ye yaad nahi aa raha.....maine uss bacchi ko uske aath mein diya...aur fir se portal khola aur jaha pe main tha wahi pe chala gaya......

Main - Dhruv ye kya tha....aisa laga jaise iss baar isko control kiya gaya tha....aur wo bacchi wo aurat....aur wo bhuddi wo bhi dekhi hui si lag rahi thi....

Dhruv - Nikita....uski yaadein jab hamne wo dekhi thi to ussi ki tarah thi naa....aur wo buddhi bilkul waisi hi dikh rahi thi.....

Main - To kya wo Nikita thi.....aur wo aurat wo kya uski Mom thi.....

Dhruv - Pata nahi par sayad aisa hi ho.....unke saath bura hua tha.....tumne dekha naa wo jakhmi thi...

Main - Haa bahut jyada....aisa lag raha tha kisi ne unko maarne ki puri koshish ki thi par wo bach ke waha se aa gayi....aur Nikita ko kahi safe jagah pe bhej diya......yaad hai Nikita ke yaadon mein hamne dekha tha wo bhuddi aurat wo bhi marr jaati hai aur fir Nikita ko Prof Suraj ke pass leke chale jaate hai...

Dhruv - Hmm yaad hai mujhe.....sayad ye baat Nikita ko naa pata ho...aur hum bhi confirm nahi hai abhi....to abhi isko bas yaad rakhte hai aur aage chalte hai.....dekho aur yaadein dekho...sayad uss ladki ke baare mein bhi mille kuch....

Karib 3-4 aur yaadein aur main wapas se gusse mein tha.....ye banda aisa tha jisne sayad...saare paap kar rahe honge...

Wahi issi ke saath Pujari ji uss ladki ko uske pariwar ke baare mein bata rahe the....par usse pahle ladki se unhone pucha hi tha ki kya tumko pata chala tum ussi jagah kyun gayi thi...

Ladki - Pata nahi...maine kal bhi to kaha tha mere dimmag mein bas wahi ek jagah hi aayi to kya bataun mein....maine dhyaan bhi lagaya par bas kuch dhundhla sa dikha tha....

Pujari - aur kya dekha tumne ye bhi batao...

Ladki - Pata nahi....main bas..maine dekha waha pe kuch ho raha tha....kya pata nahi.....bas wo jagah mere dimmag mein thi....wo taalab....wo mere dimmag mein thi.....aur kuch nahi pata kya h raha tha waha aur kaise wo mere dimmag mein hai...

Pujari - koi baat nahi....tumhe yaad hona bhi nahi chahiye tha...

Ladki - kya.....

Pujari ji - Kuch nahi ab meri kahani sunno jo tumhare baare mein hai....

Ladki - kab se wahi sunne ke liye hu main...ab aap sunao....

Pujari ji - Bhanupur....ye wo jagah hai jaha pe tum paida hui thi....kahne ko tumhara bahut bda pariwar hai dono taraf se Maa aur Papa dono ke hi taraf se....par...insano mein naa ek Prem vivah ka chalan chala hua tha uss waqt aur tumhara Maa Papa ne bas ussi ke antargat....shadi kar li......aur shadi ke theek 7 mahine baad hi tumhara janam ho gaya....

Ladki - Ek minute insano mein bacche 7 mahine pe ho jaate hai....maine to....

Pujari ji - 9 mahine lagte hai....par tumhara case hi alag tha....prem vivah mein sayad aisa aksar ho jaata hai insano ke bich....shadi se pahle hi garbh mein thi tum...bas issi ke wajah se to tumhare Maa Papa ne bhag ke shadi kari...agar unke ghar walo ko pata chalta to gadbad ho jaati...tumhara janam bhi bade ajeeb dhang se hua tha.....jinhone dekha tha wo kahte hai janam ke waqt tumhari aankhen aur baal bilkul sunahre rang ke the par waqt ke saath wo normal se ho gaye the....kareeb 1.5 sal tak to tum bade acche se rahi thi waha pe....par fir kisi ne ko bhanak lag gayi tumhari......ek insani bacchi jo jaadu jaanti hai jiske pass powers hai....baatein phailne lagi charo taraf.....jo jaaduyi jeev waha the wo aur bahar se bhi kuch tumko dekhne jaane lage......kuch insani bhesh mein jaate to kuch chupp ke.....ye saari baatein Titan tak pahuchi thi....waha se bhi log gaye the tumko dekhne....ek din kisi tarah se tuhmare pass wo aa gaya.....Earth pe uska jaana manna tha.....par wo pata nahi kaise waha pahuch gaya aur usne tumko uthaya aur leke bhag gaya....aur tumhari jagah pe chod gaya ek shaitaan.......Tumhare Maa Papa ke liye wo kisi shrap se kam nahi hone wala tha....tumhari jagah lene ke baad usne naa jaane kya kya kiya.....par uska maksad tha tumhare Maa Papa ko maarna....taaki koi bacche hi nahi waha jisko tumhare baare mein kuch yaad ho...par usne ye aaasani se nahi kiya....unn dono ke bich ke pyaar ko hi khatam kar diya....baat yaha tak aa gayi ki dono ka hi talaq hone wala tha......aur talaq ke baad jaise hi dono akele hote unko maar diya jaata.....par Orion ka ek nivasi ek bahut bade jaadugar un dinno uss jagah pe the...unko pata chala inn sab ke baare mein unhone uss shaitaan ko khatam kar diya...par talaq ko nahi rok sakke...Tum yaha thi.....iss planet pe par tumko waha pe jinda unhone hi rakha....ek nakli pahchan banayi tumhari....tunhari ek parchayi....jisko uske Maa Papa ne manhoosh samajh ke chod diya tha usko insano ke bich rakha....Tum yaha pe....uske sath thi jisko tum apna sab kuch maanti thi.....usne tum yaha pe train kiya...aur apne saath apne kaamo mein laga diya....

Ladki - To mere Maa Baap ne mujhe manhoos samajh ke fenk diya....

Pujari - unhone tumko nahi fenka tha.....wo wo shaitaan tha....

Ladki - ab wo dono alag hai.....aur kaha rahte hai ab wo....main kaise dhundhungi unko.....

Pujari - Tumhari Maa ke baare mein ye pata chala hai ki wo apne maayke wapas chali gayi thi...tumhare Nana aur unke ghar walo ne bahut kuch sunaya par baad mein maaf bhi kar diya....abhi wo wahi rahti hai....aur tumhare Papa......wo sayad kisi collage mein padhate hai.....yaa principal hai sayad waha ke....

Ladki - Par main unko kaise pahchanungi....aur usse bhi badi baat kya wo mujjhe pahchanege aur mujhe apnayenge...

Pujari ji - Ye sab to tumpe hai....kaise kya karti ho.....main bas madad kar sakta hu.....aur kuch karna hi hai to unn dono ko saath leke aana pahle....aur wo jo galatfahmiyan aayi hai unko dur karti jaana sab sahi ho jaayega...

Waha wo dono baatein kar rahe the wahi main uss yaad mein pahuch gaya jiski talash thi mujhe......

Maine dekha....ki ek paalne mein ek bacchi hai.....mere sath bhi koi tha....maine usko uss paalne mein rakha aur bacchi utayi aur chal diya waha se.....waha se nikla aur sidha pahucha...Strange world ke pass ulkapindon ke ek samuh ke pass....jaha pe main kisi ka intezar kar raha tha.....bahut wait kiya par koi nahi aaya.....main uss bacchi ko leke waha se chal diya Strange world mein....waha pahucha to sochne laga iss insan ki bacchi ka kya kiya jaaye.....jiske kahne pe ye sab kiya tha wo to aaya hi nahi....Main to maar hi deta usko agar wo banda naa aaya hota....usne mujhse wo bacchi li aur uske badle kuch paise diye....ab kuch naa se accha kuch hona hota hai.....maine bachi dedi aur chala gaya...

Main - Dhruv ye wahi hai.....yahi hogi wo ladki.....ye insani bacchi hai par isse kuch khass pata nahi chala...

Dhruv - hmm koi bada chalak banda hoga inn sab ke picche.....accha tum bahar aa jaao.....yaha pe Bua mujhe aur Old Owl ko maar degi nahi to...

Main - haa main aa raha hu....

Maine wapas se dhyaan lagaya bahar jaane ke liye....aur tabhi mujjhe ek ajeeb sa jeev dikha.....wo meri oor badh raha tha....

Main - Dhruv ye kya hai.....

Dhruv ka koi jawab hi nahi aaya.....pata nahi kya tha ye.....

Maine apni talwar ko yaad kiya aur wo mere haath mein tha.....wo jeev mere karib aata jaa raha tha....aur main talwar liye khada tha.....samajhne ki koshish kar raha tha ki ye hai kya....

Kuch samajh to nahi aaya par wo jeev mere bilkul kareeb aa gaya tha...Maine Talwar pe apna grip aur majboot kiya....aur uspe waar kiya.....

Meri talwaar usko cheerti hui nikal aayi uske ander se khoon bhi nikla par.....jis jagah ko cheer ke mera talwar bahar aaya tha....wo jagah wapas se judd gayi.....aisa laga jaise waha pe usko kuch hua hi nahi tha....maine wapas se hamla kiya....aur fir se wahi hua.....

Main samajh nahi paa raha tha ye hai kya.....aur isko khatam kaise kiya jaaye......

Main - Dhruv aawaj aa rahi hai kya.....yaha pe koi jeev aa gaya hai main isko maar raha hu par ye.....ye wapas se theek ho jaa raha hai....Dhruv...sun rahe ho kya......

Waha se koi aawaj hi nahi aa rahi thi.....

Itne mein pata nahi kaise waha pe Cooper aa gaya theek mere saamne.....aur fir ek light orb mein badal ke talwaar pe aa gaya.....jisse talwaar ka blade bahut chamakne laga....sayad ye mujhe bata raha tha kaise maarna hai saamne wale ko......maine bhi apne Lightening element ko jagaya aur uski powers ko talwaar ke blade pe kendrit kiya.....jisse wo talwaar bahut hi jyada chamakne lag gaya tha.....maine fir se ek waar kiya......aur iss baar usko cut laga tha......bas fir kya tha....jitne bhi daav pench aate the talwaarbaazi ke saare hi practice kar daale......matlab wo jeev itne pieces mein katta hoga ki ginna muskil ho gaya tha....main bas katta gaya aur katta gaya....jaise hi wo khatam hua main apni Body mein aa gaya......aur

Chattak...chattak.....

Jaha aise kisi jeev ko maar ke aane ke baad taarif milti hai....saabasi milti hai wahi.....mujhe thapad mile the wo bhi 2-2

Main apne galon pe haath rakhe khada tha....

Bua - Mujhse bahas karoge tum.....itne bade ho gaye.....isko bolte ho ki aur maar khani hai....

Main - Kya bolna hai ye to batao.....

Bua -(gusse mein) itni der se bata rahi hu....bol isko...jaha bhi tu jaaye ye mujhe khabar karega....bol warna taange tod dungi ab....

Main - par wo waisa nahi kar sakta Bua......

Bua - abhi to kaha isne ki agar tu haa karega tab hi ye aisa kar sakta hai ab haa bol usko,...

Ab kuch samajh mein aa raha tha ye thapad kyun pad rahe hai....ye sab sale uss Dhruv ka kiya hoga......Bua to bol rahi hai bahas kar raha tha.....isne aisa kar diya..... :doh:

Main - Old Owl tumne ye kaha inse......kya tum sach mein inko bata sakte ho main kaha hu....(aankhen dikhate hue usko kaha maine)

Usne meri oor dekha aur naa kaha fir Bua ne uski oor dekha aur usne haa kah diya.... :doh:

Mujhe ye nahi pata chal raha tha ye sala meri side hai yaa Bua ke.....

Bua - dekho usne kaha hai ki wo bata sakta hai....

Main - Buaa....yaar aap samajh nahi rahi naa.....ab main kahi jaaunga aur aap isse puch ke waha aa jaogi....accha lagega aisa....

Bua - isme burayi hi kya hai....ye to accha hai main hamesha tumko baccha lungi....

Main - yahi to aap hi bachate raho mujhe....main kuch karta hi nahi hu fir....school se bhi nikalwa do...aap to rahogi hi....aap baccha lena...mere saare kaam aap kar dena....main bas ghar pe baitha rahunga....ye accha hoga naa....

Bua - Jyada smart banne ke jarurat nahi hai.....sochne do mujhe.....

Old Owl - wo.....wo log wapas aa rahe hai....

Bua - Kaun log.....aur ye jagah hai kaun si.....aur ye to wahi hai naa.....

Main - Bua thodi der rukko....Old Owl kitna time hai....

Old Owl - T- 600 seconds......

Main - Dhruv sunn rahe ho....

Dhruv - haa sun raha hu.....par ye Cooper ko kya ho gaya....aisa kyun lag raha hai jaise isne bahut saari energy laga di hai apni....thakka hua sa lag raha hai....

Main - wo ek jeev aa gaya tha usko maarne mein isne madad ki.....par ye dono itni jaldi kaise kamzoor ho jaate hai.....aise mein to main mushibat mein pad jaaunga kabhi....'

Dhruv - inko baahar nikala karo....inko bahar ki hawa lagne do...tumhare ander rah rah ke ye kamzoor ho rahe hai....tum sab ki energies combied hoti hai......jitni energy level tumhari hai utni hi inn dono ki bhi.....ab socho do dragons tumhare jitni energy ke saath rah rahe hai.....ye to ye dono manage kar le rahe hai iss wajah se....warna...

Main - Ek minute iske baare mein kabhi aur baat karenge.....yaad hai isko sazza deni thi....kya main maar du isko......waise bhi ye issi ke kaabil hai...

Dhruv - Puch kya rahe ho....maar do.....yaa chod do ye tumpe hai....par sazza ke aur bhi tarike hite hai wo bhi socho...

Main - hmm sahi kaha maar dene se to iske saare dukh hi khatam ho jaane hai....main isko tadpaana chahta hu.....itna jitna koi naa tadpa ho.....batao kya karu main....

Dhurv - jo dard logo ne iski wajah se saaha hai wo dard isko dedo.....ye khud tadapta rahega....

Main - hmm ye sahi hai par kaise.....kaise karu main ye.....

Dhruv - wo jeev...wo abhi bhi laga hua hai uske sar pe.....uske upar haath rakho....aur batao usko kya dikhana chahte ho tum issko....

Main Bua aur Old Owl se thodi dur pade uss taskari karne wale ke pass gaya.....uske sar pe wo jeev tha maine uske upar haath rakha.....

Main - isne jis kisi ko bhi......dard diya hai dukhi kiya hai......ye khud ko unhi logo ke tarah dikhne lage...aur tadpe.....jaise wo sab tadpe the....roye jaise wo roye the....

Maine aisa kaha wo jeev thoda sa chamka....aur maine usko khinch liya...aur fir ussi jar mein band kar diya jisse usko nikala tha.....

Aisa karne ke baad wo taskari karne wala......wo jor jor se chikhne laga....kaan phadd de aisi aawaj....utne jor jor se chinkh raha tha wo.....

Bua ko to apne kaam band karne pad gaye.....aur main.....main bas khush ho raha tha....wo tadap....wo tadap jo maine iski yaadon mein unn logo ke ander mehsus ki thi....jo unn sab ke chahr mein dekhi thi....abhi wahi sunayi de rahi thi mujhe.....ki Bua aayi aur jaadu se uss taskari karne wale ko behosh kar diya....

Main - Ye kya kiya aapne.....aisa kyun kiya....

Bua - kya matlab kya kiya....kaan phaad deta ye....aur khud ka galla phad leta....aine bas usko aaram pahuche iss wajah se behosh kar diya....aur tumne kya kiya uske saath ue jaar mein kya leke ghoom rahe ho.....

Main - Bua aapne accha nahi kiya......wo wo accha nahi hai....wo bahut bura hai uski....uski wajah se bahut se maasum tadpe hai....usko aaram nahi...usko sazza hi milni chahiye.....

Bua - Kya bakwaas kar rahe ho tum.....yaha aao.....

Unhone mera haath pakad ke khud ki taraf khincha....aur mera maatha chute hue check kiya ki kahi main theek hu yaa nahi....

Bua - theek to lag rahe ho fir ye aisi baatein....

Main - Aap samajh nahi rahi Bua.....iski wajah se kitne logo ne apna kya kuch nahi khoya hai....

Bua - theek hai....Old Owl yaha ka iska kaam ho gaya naa....jaldi se portal kholo aur humko bahar leke jaao yaha se.....hamare ghar pe....

Main - Nahi....

Bua - Old Owl abhi karo....

Usne Portal khola aur Bua mujhe waha se leke chali aayi....ghar pe.....

Ghar pe jaise hi pahucha.....pata nahi kaise mere dimmag se jaise uss taskari karne wale ke liye jo gussa tha wo kam sa hone lag gaya.....main samajh nahi paa raha tha....

Bua - jaao jaake pahle haath muh do ke aao.....main dekhti hu Bhabhi kaha hai....aur agar kahi bhage to yaad rakhna baad mein issi ghar mein aana hai aur main yahi milungi...samjhe...

Main - haa.....

Main apne room mein gaya waha ke bathroom mein gaya apna chahra dhoya...saamne aayine mein khud ko dekhne laga......meri aankhen....aisa laga jaise....aakhon ka jo kala hissa hota hai....wo aur bada ho gaya tha mera......aur bahut ajeeb sa lag raha tha....

Maine wapas se chahre pe paani daala....aur fir dekha...to ab kuch normal sa lag raha tha......Maine shower chalu kiya....aur waise hi kapde pehne hue hi.....uske nicche jaake khada ho gaya.....

Thodi hi der mein.....Old Owl ki aaweaj aayi.....

Old Owl - Kaam ho gaya hai....usko jail mein wapas daal diya gaya hai....par wo jo uske jagah pe tha wo gayab ho gaya.....

Main - ek chota sa portal kholo kuch der ke liye....waise waha se Earth pe aise travel karke aane mein kya waqt lag jaayega....

Old Owl - 30 din sayad yaa usse bhi jyada......

Main - Portal khol do phir....aur baad mein baat karte hai....

Usne portal khola...aur usme se Mera Albus mere pass aa gaya aur mere ander chala aaya....uske mere body mein aane se....jaise kuch kuch accha sa lagne laga tha mujhe....

Dhruv - Dark power.....wo tumpe haawi ho rahi hai......sambhalo khud ko.....

Main - Wahi to kar raha hu....aur pahle nahi bata sakte the.....

Dhruv - Main samajh hi nahi paaya......ye sab jab tum uske ander se bahar aaye tabhi shuru ho gaya...agar sahi waqt pe wo chanta aur fir tumko waha se yaha leke aana naa hua hota to sayad abhi Dark Power tumpe haawi hoti....

Main - To Bua ne meri jaan bachayi.....main kaise roku iske......

Dhruv - Albus aur Cooper.....usko aazad chod do.....unki energy ko tum apnao.....jaise abhi wo tumhari apna rahe hai.....

Main - aasan bhasha mein bataoge.....

Dhruv - maine bataya.....ki tum unko aazad kar do.....abhi unki energy levels jo hai wo tumhare itni rahti hai....jaise hi wo aazad honge...bahar rahenge/....khana khayenge...unki energy level badhegi....aur saath hi tumhari bhi kyunki judde hue hai hum sab....

Main - Par wo chale gaye to....

Dhruv - ye phase pura ho chukka hai agar jaana hi hota to kabke chale jaate wo....naa to tumko bachate usse jo tumko talwar chalane shikahne aaya tha....aur naa hi tumhari baat sunte wo...

Maine thodi der socha....

Main - To kaise karu aazad unko....matlab chod du.....ki jaao jaha jaana hai waha jaao.....jee lo apni jindgi...

Dhruv - :doh: accha mazak tha ye....main kah raha hu...aazad karne ko....matlab....unko bahar bhi time do....ghumne do unko....dekhne do duniya.....wo roj aa hi jaayenge tumhare pass....bas kuch pal ki aazadi chahiye hogi unko....din mein 2 ghanta...jab wo bahar jaaye....sab dekhe...chizzen sikhen...aur emergy badhaye apni...

Main - hmm theek hai main taiyaar hu....Main abh.....

Dhruv - Abhi nahi.....abhi iss halat mein nahi hai Cooper.....wo thakka hua hai abhi aaram karne do.....kal se karna ye sab....unn dono ko bahar chod diya karo.....raat meim.....yaa jab bhi tumhe lage.....

Main - thee...

"prateek bachu theek ho naa.....kab se aawaj de rahi hu....main ander aa jaun kya....sab theek hai naa..."

Main - Haa Bua wo main shower le raha hu......abhi aaya aap jaao nicche....

Main tab se shower ke nicche hi khada tha....shower band kiya...pahle kadpe nikale khud ko shukhaya aur bahar gaya.....Bua nicche chali gayi thi :sweat: ....main kapde pehne aur nicche chala gaya.....waha Chachi pahle se baithi hui thi aur Bua se baat kar rahi thi......

Mujhe dekhte hi wo mere pass aayi...

Chachi - Tu theek hai naa....kya ho gaya tha tumko.....

Main - Kuch nahi chachi wo bas....

Bua - tumhari aankhen.....wo kaise badal gayi thi.....sab theek lag raha hai naa....kuch ajeeb to nahi lag raha.....

Main - Nahi Bua wo lagta hai portal ki wajah se...saya.....

Chachi - Portal......kitni baar kaha ki pahle seekh lo.....uske baad karna use...par nahi aapko to sab aata hai.....maine kaha tha naa portal ka use abhi nahi karna hai.....fir kyun kiya....

Main - Arre nahi chachi main....bas.....

Chachi - last warning de rahi hu....iske baad agar kuch aisa hua....to tumko main.....main.....uss waqt bataungi....dekhna bas tum....

Bua - Bhabhi khanna lagao pahle.....bhukh lagi hui hai.....iss gadhe ki wajah se 2 classes nahi li maine.....aur isne bhi apni classes miss ki hai....

CHachi - Haa leke aati hu....tu bhi baith....pata nahi kya kya karta rahta hai.....hazar baar manna karo par inko to fark hi nahi padta kuch......

Aise hi badbadate hue wo chali gayi....

Bua - sab theek hai naa.....

Main - Haa Bua sab theek hai....aap thi to theek hona hi tha naa....

Bua - Kya matlab...

Main - Aap waha se yaha naa laati to gadbad ho jaati fir....

Bua - dekha...issiliye kah rahi hu...Old Owl ko bolo....mujhe tumhari locations ka batate rahne ke liye.....

Phir se wahi baat sunke....mera Muh banne lag gaya....

Main - nahi ye nahi karunga.....par....

Bua - Nahi kya karega.....taange tod dungi....bol usko....aur ye par war naa unke saamne jaha tumhari chalti ho....samjhe....

Main - Arre aap sunti nahi na.....main kah raha hu wo nahi bata sakta....par agar kabhi mushibat mein hua naa....to sabse pahle aapko khabar pahuch jaayegi....pakka...

Bua - accha theek hai itna kaafi hai mere liye par tumko nahi lagta ki tum mushibat mein ho ki nahi ho ye baat tumko pata hi nahi lagti hai.....aaj lagi thi kya pata....

Baat to sahi hai inki.....par main aage se dhyaan rakhunga....

Main - Wo main dekh lunga..aur jab tak khatre naa milenge kaise seekhunga.....aur haa aapko bhi tab bualaya jaayega jab mujhse naa sambhle khud samjhe....aur Old Owl ke saamne chanta kyun mara aapne....

Bua - kyun nahi maar sakti....

Main - Main K.Bua ke saamne aapki burayo karta hu kya....wo dost hai mera aur aap uske saamne mujhe....

Bua - Sochna bhi mat.....meri burayi karne ka anzzam bahut burra hota hai bacchu.....aur theek hai aage se main bhi dhyaan rakhungi.......par usse pahle to waha chal kya raha tha ye sa.....

Chachi - Ye lo....sab khao....kya baatein chal rahi thi...mujhe bhi batao.....

Bua - Wo Bhabhi kuch nahi bas aise hi isko samjha rahi thi.....aage se aisa naa karne ko....

CHachi - haa acche se samjha isko....naa samjhe to mujhe batana....iss baar main samjhaungi fir....

Wo dono mujhe aise hi daanti rahi......

Wahi yaha se dur.....Strange world mein.....

Elf king....unhe abhi tak yaken nahi hua tha iss baat pe ki unka bhatija hoga....jo unko dhokha dene ki koshish karega.....ho bhi kyun....aakhir sab kuch to ussi ka hona tha....fir wo kyun karta ye sab....par saath mein ye bhi lag raha tha Leader kyun jhooth bolega....wo bhi uss waqt jab uski Beti ka sawal ho....kyun wo jhot bolne lag gaya.....

Elf King aise hi pareshan ho rahe the.....

Unhone apne ek khass bande ko bulaya.....kya khass abhi to wo apne saaye pe bhi yakkin nahii kar paa rahe the.....

Wo - Mahamahim aapne hummme yaad kiya....

Elf King - haa......aao kuch baat karni hai....

Wo - boliye maharaj aapka ye shewak sun raha hai.....

Elf King - Mujhe ek tip milli hai.....jiske anusar....(thoda soch ke) jiske anusar tum mere khilaf koi saazish rach rahe ho....

Uss bande ne bas ye sunna......ek pal ko Elf King ki oor dekha....aur fir apni talwar nikal li......

Elf King - Tum mujhpe hamla karoge.....

Wo - Aapne ye soch bhi kaise liya Mahamahim.....khair ab kya hi phark padta hai.......

Usne apni talwar nikali aur dono haathon se uska handle pakad ke khud ke pet mein daalne laga.....par ise pahle talwaar uske ander jaati Elf King uske pass chale gaye....aur uska haath pakad liya.....bahut teezi se gaye the wo.....haath pakda aur talwaar bhi fenk diya unhone....

Wo - Mahamahim......aap mat rokiye mujhe.....aaj maine aapka bharosha khoo diya hai....matlab ye jindgi bhi kho di hai.....mera marna mere liye accha hai...

Elf King - Rukko.....aur sidhe khade ho jaao.....

Uss bande ne Elf King ki baat sunni aur ekdum siddha khada ho gaya......wahi Elf king apni jagah pe wapas chale gaye.....

Elf king - ye ek imtehaan tha.....jisme tum safal hue ho....ab main jo bhi pucchu sab batana

Wo - Aapne to abhi darra hi diya tha.....aisa kya ho gaya jo mujhpe bhi yakkin naa raha aapka....jarur koi badi baat hui hai....

Elf King - Haa baat to badi hi hai.....par sawal yaha main karunga....tum bas jawab do.....

Wo - Maaf kariye Mahamahim....maine aapka apmaan kiya.....

Elf King - Ab shant raho aur meri baatein sunno....kya tum....kisi aise ko yaha laa sakte ho jo The Archery society ke baare mein jaante hai.....

Wo banda....usne ek baar ELf King ki oor dekha....jaise dekh raha ho kya chal raha hai inke dimmag mein....

Elf king - Batao kya jaante ho kisi ko....

Wo - Nahi....par koi hai jiske baare mein sunna hai ki wo jaanta hai uss society ko....aur waha ke kuch logo ko....par aap kyun....

Elf king - Mujhe madad chahiye unki.....abhi iss waqt sirf tum ho jispe main yakkin kar sakta hu....aur koi nahi hai.....jitna maine unke baare mein sunna hai wo mere.....iss gaddi ke wafadaar hai wo kabhi dhokha nahi dete.....unse kaam hai mujhe ek...kuch pata karna hai.....

Wo - Bura naa maane to aap mujhe jaanch ke dekhe iss kaam ke liye....main apni saari shakti laga dunga aapke kaam mein...chahe mujhe kuch bhi ho jaaye....

Elf King - Yahi to main nahi chahta......tum wo aakhiri ho jispe pura yakkin hai mujhe....tumko khona...bada kathin hoga.....mujhe milwao usse jo uss society ke baare mein jaanta hai...

Wo - Waqt lagega Mahamahim par aapka kaam main kar dunga...aaj hi leka aaunga usko yaha mein.....

Elf King - Nahi bewakoof yaha nahi....main khud aaunga waha....tum bas jagah batana mujhe....aur dhyaan rahe hamari ye mulakat......Kingdom mein phaili hui bimari se bachne ke vishay mein hui hai....

Wo - Theek hai Maharaj.....ab aagya de....

Elf KIng - jaao aur meri baat yaad rakhna.....

Wo banda chala jaata hai wahi....Elf King wapas se khud se baatein karne lag jaate hai...

Elf KIng - Ye phaisla sahi hai yaa nahi pata nahi par.....mujhe ye baat pakki karni hi hogi...agar inn sab mein uska naam aaya to usko sazza bhi deni hi hogi......pata nahi aur kya kya dekhna baaki hai.....bas ye mujhe Uss Society tak pahucha de....wo meri madad ke liye maan jaaye bas.....

Yaha Elf King ne soch liya tha Leader ki baat ko confirm karne ka ek hi tarika hai aur wo hai naye Yuvraj ke baare mein har ek baat janna......isme wo kisi aur ki madad lene se katra rahe the....par jaisa ki unhone sunn rakha tha....wo Society hamesha Crowned Elf family ke paksh mein rahi hai,....aur gaddi ki sewwa ki thi....to unhone madad lene ka mann banaya....

Wahi yaha se dur.....Fumos mein.....Leader to kab ka waha se nikalne ko taiyaar hua baitha tha....par dikkat ye thi.....wo Fumos se dur.....rah nahi sakta tha jyada der....ye niyam hai waha ka.....aap leader ho to aap waha se jyada samay ke liye bahar nahi jaa sakte.....ek fixed time period hota tha jitni der aap waha se bahar rah sakte the......par Leader ko iss case mein dikkat ho rahi thi....Earth itna bada.....wo akele....aur dhindhna bhi usko hai jisko inhone bahut pahle dekha hua tha.....

Leader issi samasya ke baare mein to soch raha tha...aur koi upay dhundhne ki koshish kar raha tha....upay waise to wo jaanta tha....par uske badle usko kuch karna padta.....ek keemat...

Leader jammin pe baitha hua tha.....Fumos se connect ho raha tha.....

Fumos - Batao kaise yaad kar liya mujhe....kya phaisla kar liya iss bhar se mukt hone ka......

Leader - Nahi.....main tumse ek favour chahta hu....

Fumos - Batao.....kaisa favour chahiye tumhe...

Leader - Main jyada waqt tak tumse dur rahna chahta hu.....

Fumos - Manjoor hai.....

Leader - Kya keemat chukani hogi mujhe.....

Fumos - Itne saal se mujhse judde hue ho ki ab sab samajh jaate ho tum....keemat to chukani hi hogi....shabit karo khud ko......ek ladayi....dopaher wali......kisi ek ko chunno usko harao....aur tumko main waqt de dunga....

Leader - Par uss waqt to main waha jaa hi nahi sakta....

Fumos - Ye niyam maine banaya tha.....ab main hi todne kah raha hu...jaao abhi....aur lad ke aao......chalo itne baras mere saath rahe ho ek gift to banta hai....Bonus bhi milega tumko...

Leader - Kya matlab hai iska...

Fumos - kisi 1 ko maaro....aur khud ko shabit karo.....uske baad bhi agar tum logo ko maarte ho......to tumko aur bhi jyada waqt dunga main....

Leader - Kitna waqt....

Fumos - 1 maut pe ek din diya....tum bhi kya yaad rakhoge....

Leader - tum mazak kar rahe ho....agar aisa kiya to tum bach nahi paaoge....

Fumos - Naya Leader aa gaya hai yaha.....aur jab tak wo yaha rahega tum bahar rah sakte ho....

Ye baat sunte hi jaise Leader khushi se pagal ho gaya.....

Leader - To....to kya wo....wo jab tak yaha hai main bahar rah sakta hu....matlab....main aise hi aazad ho sakta hu....

Fumos - Aazadi ki keemat pata hai tumko....maut bas wahi tumko aazad kar sakti hai....abhi naye Leader ko apna saara bhar saunp do aur aazad ho jaao.....

Ghumphir ke baat wahi aa gayi thi....Kaha Leader ye soch raha tha wo inn sab se aise hi nikal paayega aur phir apni Beti ke saath rahega....par...sayad aisa kuch hona hi nahi hai....mann maar ke Leader ne khud ko taiyaar kiya....aur uss jagah se nikal wo pahuch gaya bahar....jaha pe sab lad rahe the....

Leader ne ek bande ko dekha...jo abhi h kisi se jeeta tha...Leader ne usko chunauti di.....

Usko yaad aaya kaise wo iss planet pe pahucha tha.....wo lalach...wo power ki bhookh jo usko yaha leke aa gayi thi...jisne bad mein usse uska sab kuch cheen liya....

Saamne se aa raha wo banda....usne aate hue hi jammen par se kuch pathar uthaye aur usse Leader ko maarne ki koshish ki...par Leader ke sharir pe lagte hi wo pather hi chaknachur ho gaya.....Leader ne apne haathon se uss bande ka kaath pakda....aur bade hi aaram seuska haath madod diya...yaa kahe tod diya ho...

Wo puri jagah iss waqt jung ka maidaan banni hui thi har taraf se chikhne aur chillane ki aawajein aa rahi thi par......leader ne jiska haath madoda tha uski aawaj sabhi ke kaano mein gayi thi....agar koi x-ray karke dekh leta to wo bhi chakra jaata.....uss bande ki haath ki hadiyan....karib 5 tukdon mein bat gayi thi.....

Leader - Abhi bhi taakat hai mujhme....itna bolte hue....usne....saamne wale bande ka sar apne haathon se pakda.....aur press karne lag gaya usko.....wo banda chilla raha tha....bahut jyada chilla raha tha...aur fir....ek kadddd aur phach ki aawaj ke saath chilane ki aawaj khatam ho gayi uski.....

Leader ke haath purre khoon se sanne hue the.....wo banda.......uske sar ki to chatni ban chukki thi.....

Leader - saabit kar diya maine khud ko....abhi bhi dum hai mujhme.....ab Bonus ki baari hai......

Iske baad jo khoon bahaya tha Leader ne puccho hi mat....15 logo ko maar chukka tha wo.....wahi Slayer......wo theek dusri taraf tha abhi Leader ke.....bas yahi ek wajah thi....jiss wajah se aaj dono mein ladayi nahi ho paayi....nahi to pata chal hi jaata kisme kitna dum hai....

Slayer bhi kam nahi tha....par usne jaise khud se samjhauta kar rakha tha....wo bas is jagah se nikalne ke baare mein sochta rahta....wo bas yaha pe utna hi kaam karta jisse wo jinda rah sakke.....

Ye badlaaw sayad waqt ke karan hua tha....par isme sirf waqt ka haath nahi tha.....Strange worlds se ayye hue logo ka bhi haath tha.....Slayer ne iss baat pe gaur kiya ki jab bhi wo Strange world se aaye hue logo ko maarta hai aur unko khata hai to usko bahut jyada taakat milti hai itni ki wo dhyaan laga pa raha tha....par gadbad tab hui jab usko pata chala ki ab saare Strange world wale log mare jaa chukke hai....to ye ab power generate nahi kar paa raha tha....Slayer ko lagne laga tha agar usne ek din mein 4 yaa 4 se jyada Strange world se aaye logo ko maar ke unki aatmayein khaayi to wo wapas pahle jaisa hi powerful ho jaayega aur iss jagah se nikal jaayega.....par aisa hona mushkil tha kyunki waha se abhi log aa hi nahi rahe the....to bas ye apna waqt kaat raha tha.....

Ladayi ka samay khatam hua aur Leader wapas se apne kamre mein aa gaya aur jammen pe baith gaya.....

Fumos - taakat to abhi bhi hai tumme......ispe shaz nahi kiya jaa sakta.....

Leader - tumne jo kaha tha yaad hai naa.....

Fumos - Meri baaton pe bhi shak nahi kiya jaa sakta....jaisa kaha tha waisa hi hoga.....16 log maare hai tumne.....1 khud ko sabit karne ke liye aur baaki ke 15 bonus.....khud ko shabit kiya...iske liye 5 din diye tumko.....5 din tum bahar rah sakte ho......

Leader - Bonus ka kya.....

Fumos - Tumhari issi aadat ki wajah se hum dono ek hue the naa.....sabr hi nahi hai tumme....bas bhookh hai ek tumhare ander.....aur jaise hi mauka milta hai tum lag jaate ho....

Leader iss baat ko sunke yaad karne laga kaise usne puri baat nahi sunni thi aur haa kah diya tha.....aur iss jagah pe phass gaya tha wo....

Fumos - !5 log maare hai tumne....to 15 din aur diye......par

Leader - Ye tumhara par kabhi khatam nahi hota naa.......har ek line mein ye par aa hi jaata hai tumhara....batao iss baar kya hai iss par mein.....kya chahte ho......

Fumos - Ab tum mujhse itne lambe waqt tak jab dur rah sakte ho to jab yaha aaoge to yaha bhi jyada din rahna hoga.....

Leader - ye kya baat hui.....aisa to koi sauda hi nahi hua tha....

Fumos - yahi ek baat hai.....ab ye tumpe hai ki tum kya chahte ho....mere saath rahna yaa fir hamesha ki aazadi....matlab maut....chun lo....

Leader - batao kitne din badhaye hai waha tumne....

Fumos - 20 din tum bahar raho....par uske baad jab yaha aaoge to 10 din tak kahi bhi nahi jaa sakte tum......bas yahi rahoge.....aur iss baat ka bhi dhyaan rakhna hoga...tumhare jaane ke baad yaha pe sab sahi se hota rahe.......

Leader - Uski chinta mat karo......yaha pe kabhi kuch sahi se nahi hota.....aur ye 10 din.....mujhe manjoor hai....

Fumos - Agle chand se tum ye shuru kar sakte ho.....

Chand ka matlab ho gaya full moon...inka alag hisab hai naa...

Leader - Theek hai....

Chalo aaj ke liye itna hi....wo hamare bade Dada ji expire kar gaye....aisa hi kahte hai naa :sad: khair umar bhi ho gayi thi unki...bimar bhi the.....bas issi wajah se update aa nahi paaya....ab leke aa gaye hai update...

Next update mein dekhte hai.....Elf King ki mulkat Archery society ke logo se....Prateek ka Albus aur Cooper ko bahar chodna...dekho kya karte hai wo dono.....aur Lucifer ke passs chalenge kyunki ek baar fir se.....Dark power ne apni chaap choddi thi....aur Lucifer.....wo isko pahchan hi lega....apne Bete ke liye wo kuch bhi karega...
 
Top