• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Immortals

Ristrcted

Now I am become Death, the destroyer of worlds
Staff member
Moderator
38,998
34,989
304
 
Last edited:
467
1,111
123
Raat Se subah ho gayi bhai
 

Ristrcted

Now I am become Death, the destroyer of worlds
Staff member
Moderator
38,998
34,989
304
UPDATE -42

Ab tak

Main Jwala ke body mein tha ki acchanak se kuch hua aur main apni body mein pahuch gaya aur aur waha accanak se hi kuch hua aur main behosh ho gaya aur mujhe ek aadmi dikhayi diya....iss aadmi ne ek pure gaon ko hi khatam kar diya aur uske baad ro bhi raha tha...ajeeb tha wo parbaat waha tak bhi nahi rukki main uss aadmi ko maarne jaane laga aur jaise hi maine usko touch kiya wapas se roshni hui...maine meri aankhen band ki aur wapas se wahi pahuch gaya jaha kuch der pahle tha...aur iss baar mere pass ek 3 pairon wala jeev pada hua tha..ajeeb sa jeev...par sirf wahi nahi...saath mein mujhe saamne dikhe Polar bears ke Raja aur Rani aur Ek badi si Chamdaar jaisi dikhne wali bhi...w unki rani thi jinhone Polar bears ke kabile pe hamla kiya hua tha...Maine unn tinno ko khola aur Old Owl aur uske logo ki madad se waha se bahar nikal aaya...hamdaradon ki rani ko jab ye sab rokne ko kaha to usne bataya ki uska sharir ab uski puri powers ko control karne ke kaabil nahi bacchi hai.....agar main kisi Vampire ko uske pass leke jaun to wo usko apni powers de degi aur wo unn sab ko rok sakti hai...uske baad main waha se sabko ye samjha ke nikal gaya ki wapas waha janna maut ko dawat pe bulane jaisa hai to wo naa kare...Jwala ne Bears ko kabile ke pass tent lagane ko bol diya...Main Party mein aaya aur maine dekha sab khatam ho gaya hai Chachi alag gussse mein thi...aur thodi daant sunne ke baad hum School ko chal diye...School mein jaate hi main apne room mein gaya aur Dhruv ko pukarne laga...kyunki wo koi jawab hi nahi de raha tha...fir main so gaya ye soch ke ki sayad wo training wale jagah pe mille par...aaj training bhi nahi hui...Mujhe jaane ko kah diya...aur kaha ki Dhruv kal subah tak theek rahega...wahi Slayer abhi naye naye niyamo ko jaan raha tha Fumos ki...aise niyam jinko naa manne pe khud ke haatho marne ka khatra tha...

Ab aage..

Pahle hum chalte hai Demos waha pe aaj Senapati ko sazza milne wali thi....waha pe wo apne pure pariwaaar ke saath khada tha...aur saath mein unsab ko dekhne aaye hue log bhi the...sab chilla rahe the Maaro maaro...jaldi maaro...ki tabhi ekdum se sannata chaa gaya..sab chup ho gaye....jaise kisi ne bhoot dekh liya ho...chup hone ki wajah thi Lucifer ka waha aana...apne pariwar ke saath....aur wo sab waha aise aaye the jaise koi picture dekhne jaata ho...sabhi apni apni jagah pe jaake baith gaye....

Lucifer - ab shuru kiya jaaye...

Usne dhire se hi bola par uski aawaj charo oor gayi...aur sabne saaf saaf sunni hogi...sannate ki wajah se...uski baay khatam hote hi sanata bhi khatam wapas se saare "maaro maaro jaldi maaro.." chillane lag gaye....

Par....Seenapati waha pe paas mein padi talwaar ko bas dekhe jaa raha tha...aur fir apne pariwaar ko...aur fir wapas se uss talwaar ko...wo kuch kar nahi raha tha...bas dekhe jaa raha tha...aur ab bas rone ko hi tha...usko pata tha...wo khud ko nahi maar paayega...usko Lucifer aisa karne hi nahi dega...aur wo apne pariwaar ko maarna nahi chahta tha...aur saayad iss ummid mein tha ki aaj tak usne Lucifer ki aur Demos ki itni seeva ki sayad usko daya aa jaaye..

Issi bich...wo jo abhi upsenapati tha aur iske marne ke baad senapati banne wala tha, isko pata nahi hai ki Lucifer senapati ko khud ko maarne nahi dega, wo jor se bolta hai...

Upsenapati - unhe nahi maar sakte to khud marr jaao...

Aur uski iss baat ke baad sab yahi bolne lag jaate hai khud maar jao...maro maro....jaldi marro...par inhe kaha pata tha ye sab...

Jab lucifer ko laga ab ye kuch nahi karega to usne ishara kiya aur kuch log unki taraf badhne lage....ye the jallad...Demos mein inka alag hi rutba tha...ek tarah se inko devta ki tarah puja jaata tha...koi bhakti wakti ke karaan nahi...pujne ka karan tha daaar...sab darte the inse...aur inke jaaison se....Lucifer jo tha wo aksar insab ko bheja karta tha sazza dene ke liye..aur ye jis tarah se sazza dete the usse behtar maut hoti thi....to log inko pujte the ki sazza ke badle maut hi dedo....

TO ye log badne lage Senapati aur uske pariwar ki oor....inko apni oor aate dekh Senapati bhi ghabra gaya apne liye aur saath mein apne pariwaar ke iye...jo iss waqt waha pe bandhe hue the....Senapati ne jaldi se talwar uthayi aur bas unki rassiyan khol di....aur Lucifer ki oor dekhne laga...aur apne haath se talwar jamin pe girra di aur wahi ghutno ke bal baith gaya....puri jagah pe ek baar fir se sanata faila hua tha...Jallad saare bhi abhi ruk gaye the aur Liucifer ki oor dekh rahe the...par Lucifer uski nazar kahi aur hi thi...wo kuch aisa dekhne wala tha jo usne socha nahi tha...aur ye cheez hi usko ek alag khusi de rahi thi....

khaaaaaaaaachhhhhhhhhhhhhh......dmmmmmmmmm......dmmmmmm......drrrrrrrrrrrrrrr

ye aawaj aayi...aur issike saath sab ke sab hairaan rah gaye...jitna sab hairaan the Lucifer utna hi khush tha...uski khusi ki to seema hi khatam ho gayi thi...saayad hi wo itna khush hua ho kabhi...

Chaliye isko yahi khush hone dete hai aur hu chalte hai wapas Hero ke paass....

Main subah utha..aur jaldi se ready hoke dhyaan ke liye jaane laga...ki tabhi yaad aaya...Dhruv ke bare....par Main kuch bolta usse pahle hi uski aawaj aayi...

Dhruv - Pahle dhyaan laga lo...uske baad baat kar lenge...

Aawaj se to thik hi lag raha tha..to maine bhi uski baat ko maan ke chal diya dhyaan lagane....waha pahucha to Bua Kavita madam aur Nikita the waha pe....Master nahi thi aaj....Maine socha kahi aur kuch kaam hoga...aur fir main bhi baith gaya wahi dhyaan lagane....

Aaj bhi waisa hi hua pahle kuch dikha hi nahi fir jab maine aone Tunder element ko yaad kiya tab wo dikha..aur tab main uspe kaam karne laga...ab ye bhi sochna tha ki kon sa element chunnu....yaa fir kon sa element mil jaayega mujhe...

Dhyaan lagane ke baad jab aankhen kholi to Master ke jagah pe DB baitha hua tha...aur wo bas baitha hua tha...hum sab ko dekh raha tha...aur sayad usne mujhe dhyaan se jaagte hue dekh iya..

DB - yaar kitni der tak dhyaan lagate ho...itna kon karta hai....

Main jagga aur uske turant baad baaki sab bhi....aur unn logo ne bhi usko Master ki jagah pe baitha dekha...aur sab thode naraz ho gaye....

Kavita madam - Elf Prince....tumhe pata bhi hai kiski jagah pe baithe hue ho tum....

Db - (yaha waha dekh kar) Nahi...par usse kya hota hai....

Nikita - waha se pahle hat jao fir baat karte hai...

DB ko samajh aa gaya ki ye sab gussa karne wale hai to wo bas waha se hat gaya...aur bola...

DB - Mujhe kyun nahi bataya yaha ke baare mein...Main bhi dhyaan lagane aa jaata yaha....

Nikita - yaha aane ki kya jarurat tum to waise bhi dhyaan laga hi lete ho baakiyon ke saath...

DB - Haa par tum log yaha kyun dhyan lagane aate ho...kya yaha pe kuch khass hai....

Itna bol wo wapas se waha har jagah dekhne lag gaya...

Bua - Elf prince yaha pe bhid nahi hoti...bas hum kuch hi hote hai iss taraf...aur jaisa tumne dekha humme aadat hai bahut waqt tak dhyaan mein baithne ki to bas wahi karte hai...

DB - accha...thik hai fir main bhi yaha aa jaunga kal se....main bhi lambe waqt tak dhyaan lagana chahta hu...

Nikita - Main bhi Elf Counrty ki Rani banna chahti hu...

DB - kya bol rahi ho tum...ye nahi ho sakta....tum ek vampire ho....

Nikita - Haa to jo tumne bola naa wo bhi nahi hi ho sakta...bahut si wajahein hai iske picche....jaise mein tum jyadatar apne hi baare mein sochte rahte ho...dhyaan lagane waqt naa sirf apne baare mein bali apne aas pass ke vatavaran ke baare mein bhi sochna padta hai...dusra tumhara dimmag ghum phir ke ek jagah hi jaata hai bas...aur ye bhi tumhe rokke rakhega..aur...

Kavita Madam - Haa haa bas bhi karo ab wo samajh gaya...chalo ab taiyaar holo...aur class ke liye bhi janna hai....

Db - Haa class ke liye bhi jaana hai.....waise aap dono ko to pata hoga...Prof. Suraj kaha gaye....wo pata nahi kyun mera cousin uske baare mein puch raha tha.....

Nikita - Dekha ye bhi ek wajah hai...

Bua - Nikita....chalo jao....DB humme nahi pata wo kaha hai...bas itna sunna hai ki unhe waqt lagega aane mein...ab wo kab aate hai ye to wo hi jaane...

Kavita Madam - Haa...par tumhare Bhai ko usse kya kaam..

DB - Pata nahi...

Kavita madam - to koshish karo....pata lagane ki...

Bua - Kavita chalo...ab hamare jaane ka waqt ho gaya hai...

Bua aur Kavita Madam bhi waha se chale gaye...ab waha pe bas confused sa DB bacha tha....aur wo bhi thodi der mein apne room mein chala gaya....wahi Main apne room mein aake Dhruv se baatein kar raha tha...usse puch raha tha ki aakhir kal hua kya tha....par wo kuch batane ke jagah mujhse hi pucche jaa raha tha ki jab main apni body mein aaya to kya kuch hua tha....

Maine usko uss aadmi aur gaon ke baare mein bataya...jisko sunne ke baad wo wapas se jawab nahi dene laga ajeeb tha ye...haa par iss baaar janab ne bata diya ki wo ab 2 classes ke baad baat karenge...unko bhi kuch kaam karne hai...
\
Maine bhi socha hoga kuch kaam isko..to jaane dete hai...aur Class mein chala gaya breakfast karne ke baad.....weaponary ki classes thi wahi jo Prof. Suraj liya karte the....ab koi aur le raha tha...par isse jyada fark nahi pad raha tha...sab padh rahe the......ye class khatam hui...aur fir aayi baari dusre class ki jaduyi dawayi wali class ki....Pankaj ke papa wali class ki...hum sab gaye waha....aaj bhi HOD sahab khud aaye the....par wo pareshan lag rahe the...waise to humme usse jyada fark nahi padna chahiye tha....par pata nahi kyun accha nahi lag raha tha unko aise dekh ke....class to unhone complete kara di par doubts aur Practicals related problems ke liye waqt nahi diya...ye sabse ajeeb baat thi....iss school mein jaha tak mujhe pata hai wo hi the jinhone ye sab shuru kiya tha...aur isko strictly follow karte the..isse students ko kaafi madad milti thi...

To aaj unhone ye sab nahi karaya aur waha se nikal gaye....DB aur Nikita dono hi mere saath the....

Main - tum sab jao main thodi der mein aata hu....

Main pata karna chahta tha unko hua kya hai...aur iske liye unke picche janna padta par abhi inn dono ko saath le jaana...khass kar DB ko accha plan nahi hota...

Maine unse jaane ko kaha to DB maharaj taane maarne lag gaye...

DB - Kyun kaha jaa rahe ho...koi aur bhi secret hai kya....aur brhi log hai kya yaha tumhare group ke....

Main - Kya...

Nikita - kya baat hai...kuch hua hai kya...dark....

Itna bolke wo DB ki oor dekhne lagi...jaise bata rahi ho ki wo ye baat yaha nahi bol sakti naa....

Main - Nahi ye uske baare mein nahi hai....abhi jao main aata hu thodi der main....

DB - Ye dark kya hai...kya bol rahi thi ye...

Main - Mujhe kya pata usse puccho....

Wo uski oor mudda aur main chala gaya waha se...waise agar abhi ye Dhruv sahi hota to ye sab karne ki jarurat nahi hoti...apni body unko de deta aur khud nikal jaata HOD ji ke picche...par ye bhi bhaw khaa raha hai abhi...

Main waha se nikla aur dekhne laga ki aakhir wo gaye kaha....par kuch milla hi nahi aisa laga jaise wo gayab ho gaye hai waha se...

Main - Dhruv....tum sun rahe ho...mujhe lagta hai inke saath kuch to gadbad hai....

Dhruv - aisa lagta hai to Old Owl se bolo inpe nazar rkahne ko...ya wo kisi aur ko bhej de...

Main - Haa ye sahi hai....

Maine turant Old Owl ko waha pe bulaya aur usse bola ki mujhe unpe nazar rakhni hai...

Old Owl - Main khud bhi ye kar deta par...abhi waha camp mein meri jarurat pad rahi hai...ar mujhe apne yaha ke bhi kaam dekhne hai...maine apna sabse khass ullu aapke kaam pe laga deta hu....aap uspe mere jitna hi yakkin kar sakte hai...

Main - arre thik hai...aur itna sab batane ki jarurat nahi thi...bhej do usko haa bas ye bata dena...mujhe roj khabar chahiye...

Old Owl - Ji thik hai...

Wo waha se chala gaya aur main chal diya next class ki oor...waha pahucha to Nikita aur DB dono hi ekdum alag alag baithe hue the...sayad wapas se kaha sunni hui ho dono mein...Main gaya aur bas baith gaya....abhi udna sikhana...teleport hona...inn sab ki class chal rahi thi....wo bhi theory..

Main - Dhruv ek aur baat hai....wo uss Rani ne kaha hai ki ek vampire ko lao aur wo ussi ko apni powers degi...jiske baad hi uske saare log rukenge...

Dhruv - Vampire....nahi aisi vampire jispe hum yakkin kar sake...jo unn powers ka galat use naa kare...

Main - Jaise Nikita...

Dhruv -haa wo ho sakti hai par...usse pahle ye janna hoga ki kya wo ye karna chahti hai.....Dark power ke baare mein bhulle to nahi...abhi tak wo pareshan hai isko leke...

Main - Haa ye bhi hai...mujhe usse baat karna hoga fir hi kuch kar sakte hai...

Dhruv - Haa aur agar wo manna kare to hamare pass aur bhi options hone chahiye...

Main - Vampire mein to Chachi hai Nana Nani hai...aur Rupal Didi bhi to hai......haa par wo pure nahi hai sayad...

Dhruv - Rupal Didi.... uske baare mein sochna bhi mat....wo pahle se khataranaak hai aur khatarnaak banane ki koi jarurat nahi hai khooni ghudsawaron ki Rani ko....

Main - Par aur kon kon option hai...aur tum unko ye kya bolte rahte ho..gudsawaron ki rani...

Dhruv - Kuch nahi wo bas usko dekh ke kisi ki yaad aane lagti hai....aur options to aur dhundhne honge...kyunki Chachi aayegi nahi balki wo to aur tumhe band kar degi ghar mein....aur Nana Nani ka bhi yahi haal hai...to koi naya dhundhna hoga...yaa fir hum Nikita ko hi taiyaar kare...

Main - Haa Nikita ko taiyaar karne ka idea sahi hai...

Dhruv - Rupal didi se yaad aaya mujhe lagta hai aaj bhi yaha se bhagna padega.....

Main - Class bunk nahi kar sakta...Bua ne manna kiya hai...waise bhi main kam hi class attend kar raha hu...

Dhruv - Class bunk nahi karne kah raha par nikalna to padega...aur sayad ek aur chiz bhul rahe ho tum...

Main - Bhool raha hu....nahi ab to sab bata diya hai....ek minute wo jeev uske baare mein nahi bataya tha....wo room mein hai mere....

Dhruv - Haa pata hai...aur ye sahi kiya ki uski body apne pass rakh li...ye bahut hi khass prajati hai...mind readers ki....ye sab jaan jaaate hai...sab kuch par host ki saari energy bhi choos lete hai jaise tumhari chosne lage the...par Dark power ne bacha liya tumhe...

Main - Ye Dark Power ke baare mein bhi nahi bataya hai abhi tak....iske baare mein bhi batao...

Dhurv - Haa iske baare mein bhi bataunga....par abhi koi bhi bahana banao aur niklo yaha se....aur ek jaar aur namkeen paani ka bandobast karo...wo body bahut der se bahar hai...tumhe usko sambhal ke rakhna chahiye tha....

Main - Ye baat pahle batani thi tumhe...har baar baat karna taal rahe the tum...

Dhruv - ab baccho ki tarah sikayat karna band karo aur niklo yaha se...

Main - Prof. mujhe teleportation mein ek baat samajh nahi aayi...

Prof. - Bacche abhi waqt hai isko pura samajhne mein....aur jab tak khud teleport nahi hote naa tab tak saari baatein samajhna muskil hi hoti hai....lekin koshish karne mein kya dikkat hai batao kya pareshani hai....

Main - Prof. Main wo choti chizon ko teleport karne ki koshish kar raha tha...aur maine issi koshish mein apni ek khass chiz kho di hai....kya wo wapas aa sakti hai...

Prof. - Aa to jaayegi par waqt lagega....dekho tumne usko bataya ek jagah se dusre jagah jaana hai tumne rasta bhi khola hoga.....par raste ki banawaqt ...uski lambayi caudayi inn sab ke baare mein nahi socha hoga aur wo abhi kahi ghoom rahi hogi....jaise main..agar maine abhi tumhe teleport karna chala aur unn chizzon pe gaur nahi kiya to tum gumte rahoge...bahut waqt tak....

Dhruv - yaha se nikalne ko bola tha ye kya karr ahe ho....

Main - mujhe laga ye mujhe bahar kar denge...kyunki ye sabse easy topic tha aur mujhe isme bhi problem hai par ye to sab batane lag gaye...

Dhruv chup ho gaya....aur Prof. mujhe samjhate rahe class khatam hone tak...unka mann nahi bhara tha abhi tak..wo mujhe apne saath unke cabin mein leke janna chah rahe the...wo to main bhag gaya waha se aur room mein aa gaya....aur jaldi se jar aur namkin paani ka bandobast kiya....aur uss jeev ke body ko dhyaan se uske ander rakha....jisme dhruv ne madad ki...

aur fir Bua ki class ki baari aayi to main waha chala gaya...

Shaam hone ko hai to hum Fumos chalte hai apne Slayer ke pass...iss Fumos pe aake usko ek din hi hua tha...aur wo yaha ke baare mein bas thoda bahut hi jaan paya tha...yaha pe leader wahi hai jo sabse khatarnaak hai...aur jiska dimmag sabse tezz hai...par..abhi jo leader tha wo kabhi bahar aata hi nahi tha...chup ke rahta tha....taaki koi usko maar naa de..khass karke shaam ke waqt to jaise wo ho hi nahi uss planet pe....Subah ke waqt wo roj waha aata tha nazar rakhne ye sab Slayer ne sunna tha...Leader yaha aata aur sabko kaam deta....aur uske badle unko sahuliyat di jaati thi...aur uske baad wo dopahar mein hi nikal leta aur fir seeedha raat ke waqt hi aata tha...

Iss jagah pe kuch aisi chizzen thi jo naa karne ki hidayat di jaati thi...hidayat isliye kyunki jo bhi unn kaamo ko karne wala hota tha wo yaa to gayab ho jaate yaa bas unki lass milti thi...aur inn chizzon mein sabse pahle aaati thi Dhyaan lagana....iss planet pe dhyaan laana allowed nahi tha...dhyaan lagane se aapki powers badhti hai...aur ye Fumos aapko karne nahi deta hai...

haa to shaam ka waqt tha Slayer ne aaj subah se kaam bhi kiye the...jo usne kabhi nahi kiya tha....kaam se uska koi wasta hi nahi tha....school mein padhayi ki...fir uske baad khoon kharabe mein utar aaye...aur fir bas naye naye powers ki talash mein lage the...kaam waam ke chakar mein lage hi nahi ye kabhi...jo aatmayein milti thi...unse energy mil jaat thi kuch par wo energy kaam karne jaisi nahi thi...aur issi wajah se inki halat kharab thi aaj...

Ladayi ka time shuru hua...aur sab ladne lag gaye...koi isko aar raha hai koi usko maar raha hai...bas yahi chal raha tha yaha...Slayer ne bhi 2 logo ko marra...bas do hi log...aur do hi aatmayein....aur itne mein waqt khatam ho gaya...paraaj Slayer ko aatmayon se kaam nahi chakne wala tha usne jinko marra tha unki bodies bhi uthali....aur jaisa ki waha pe bahut se log karte the...usne bhi unko khana shru kar diya....

Iss jagah ki bas yahi batein batane layak thi...ab iss jagah pe hum Elf King ke saath hi aayenge...next update mein...

Ab wapas se chalte hai Hero ke pass class khatam ho gayi thi Main apne room mein aa gaya tha...

Main - Dhruv batao ab Dark power aur iss jeev ke baare mein...

Dhruv - Dekho Dark power ke baare mein abhi batana thoda kathin hai....ek to main isme vishesagya nahi hu..aur dusra..ye mera kaam bhi nahi hai...haa par main wada karta hu...jald hi usse milaunga jo tumhe iske baare mein bataya...haa par main iss Mind reader ke baare mein bata sakta hu...

Main - Chalo kuch nahi se accha kuch hi sahi...batao....aur ye kaisa naam hai mind reader...ye sach mein dimmag padhta hai kya...

Dhruv - Haa kah sakte hai waisa...waise ye dimmag nahi padhta....ye bas hamare dimmag mein jo yaadien baatein dabbi hui hoti hai naa unko bahar nikalta hai....hamare saamne rakh deta hai...aur hum unme kho jaate hai aur ye hamari saari energy sokh leta hai aur humme maar deta hai...yaa bas hamara istemal karta hai jaise mein ye wala....ye bahut hi khass prajati hai Mind readers ki....sayad ginne chunne mein se ek ho...

Main - Isme aisi kya khass baat hai...

Dhuv - ye bhi yaadein hi dikhata hai par...bahut purani yaadein...aur ye aatma pe humla karta hai...isko waise to Soul readers ki category mein rakhna chahiye tha....par waha pe ye fit nahi hota apni body ke banawat ki wajah se...khair ye sab baad mein...pahle iske baare mein sunno...isme itni power hai ki agar ye chahe to hume hamare pichle janmo tak ki baatein yaad dilla de...par aisa hota nahi hai...

Main - Pichle janam...ye purvjanam pichlejanam inme main nahi manta...

Dhruv - Naa manne se kya hota hai....wo chodo hum ispe baat kar rahe the...to ye wo sab bhi kar sakta hai....ab isko yaha pe aise rakhne ki wajah bhi jaan lo....Maine sunna hai Titan planet pe iska use hota hai puchtaach karne ke liye...aur sirf waha hi nahi Orion pe bhi.....issiliye maine isko yaha rakhne ko kaha hai....kya pata kabhi hamare kaam aa jaaye...

Main - Waah ye to kammal ki cheez hai...ye sahi kiya maine isko yaha leke aa gaya...

Dhru - chalo ye sab ho gaya ab chalte hai Rupal ke pass....sayad usse baat karni hogi....

Main- Baat karni hogi par kyun...

Dhruv - Kal ka bhul gaye tum wo jo uski saheli bhagi thi...wo sab musibat mein hai....agar Rupal ko naa rokka to wo anjaane mein unn sabhi ki maut ki wajah ban jaayegi....

Main - Kya....aur tum ye sab ab bata rahe ho....

Dhruv - pahle main kuch pareshan tha..aur uske baad tumko class attend karni thi...ab Main kya karta isme....ab bhi der nahi hui hai...jo bhi hona hoga wo aadhi raat se hi shuru hoga...wo sab kal hjhua tha...to unn sabke marne mein abhi 3 aur raatein honi chahiye.....haa ek raat mein sabak to sheekh hi liya hoga unn sab ne...

Main - jaldi chalo fir....Jwala portal kholo mere ghar tak ke liye....

Maine aisa bola aur portal khul gaya aur main binnna kuch sunne ander chala gaya..

Aaj ke liye itna hi next update mein dekhte hai ki kya hua Demos mein jo sab hairaan ho gaye aur Lucifer khushi ke maare pagal hua jaa raha tha...saath hi Fumos ke leader aur Elf King ki meeting bhi dekhenge...aur Main kya karta hu aur kaise bachata hu Rupal didi ki saheliyon ko...

To banne rahe
 
Top