• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Immortals

Ristrcted

Now I am become Death, the destroyer of worlds
Staff member
Moderator
38,997
34,990
304
Last edited:

Ristrcted

Now I am become Death, the destroyer of worlds
Staff member
Moderator
38,997
34,990
304
UPDATE - 40

Ab tak

Nikita ko goad lene ka socha tha Nana nani ne....aur unhone kiya bhi waisa...wahi DB ko mere aur meri family....jisme bua hai..wo sab pata chal gaya jisse wo sayad kuch naraz hai...wahi dusri oor...Slayer ke saath sahi nahi hua...naa ghar ke rahe naa ghat ke wali baat ho gayi....jiss chizz ke picche nikla tha wo..waha pe jaane ka rasta hi band tha...aur jaha se nikla tha waha pe logo ne band kar diya uske wapas aane ka rasta....

Ab aage...

Chaliye hero ke pass chalte hai,....shaam ho gayi thi...Nikita ko Nani ne sab kuch dikha diya tha aur ab party ki taiyari chal rahi thi...Main DB ke saath tha par wo baat nahi kar raha tha....bas taaane maar raha tha...mujhe laga mujhe isko thoda time dena hahiye akele mein....to main bas waha se nikal gaya Didi ke pass...jo pahle se hi kuch ukhdi ukhdi nazar aa rahi thi...Main gaya unke pass...aur unse puccha..

Main - Kya baat hai didi aap kuch...

Rupal didi - Kya...kya baat hai..

Main - Arre aap batao maine puccha aap aise kyun lag rahi ho....

Rupal didi - Kaisi lag rahi hu...thik to hu...hmmm...accha tu naa mere saath chal mujhe kuch puchna tha tujhse...

Main - puchna hai....yahi puch lo naa..bahar kaha jana

Rupal didi - jyada baatein nahi...kaha naa chal...matlab chal...

Aur mera haath pakda..aur ghar se bahar le jaane lag...

Chachi - kaha...oo...kaha chali tum isko leke....

Rupal didi - Wo..wo mummy isko naa....haa iska kuch saman hai jo ghar pe rah gaya hai..hum abhi aate hai leke...

Chachi - isko ghar pata hai...Prateek kaha leke jaa rahi hai ye tumhe....batao..

Main - wo chachi sach mein kuch saman hai ghar mein bas wahi laane jaa raha hu...hum turant aayenge...

Rupal didi - dekha....kaha tha naa...

Chachi - hmm theek hai..par yaad rahe...meri nazar hai tumpe....aur ab se tumpe bhi prateek...jao..aur jaldi aana

Chachi ne aisa kaha aur unki baat khatam hote hi mujhe khinchte hue wo bahar leke chali gayi...

Main - Haa ab batao...

Didi - chup...abhi nahi...humme ghar hi janna hoga...

Ab ye maanne wali to thi nahi...aur inse ladne ka dil nahi karta to main bhi chal diya unke saath....waha pahuche to wo ghar ke ander jaane ke jagah picche ke garden mein leke chali gayi mujhe....aur mujhe ek jagah khada kar ke mere saamne khadi ho gayi...pata nahi kya karne wali thi....Maine wait kiya par wo kuch bol hi nahi rahi thi yaa unko samajh nahi aa raha tha ki kya bole...

Main - Kya baat hai didi...aap..

Main baat puri karta usse pahle hi unhone haath se rukne ka ishara kiya aur...ek lambi saans li uske baad jaldi jaldi mein bahut kuch bol gayi....jinme se mujhe bas kuch sabd hi samajh mein aaye kyunki sayad wo ek do baar repeat hue the....baat bolke wo shant ho gayi aur mujhe dekhne lagi....

Main - Didi mujhe kuch samajh nahi aaya aap thoda dhire bolne ki koshish kar....maine bas kulhadi aur do logo ke baare mein sunnaa...aur kuch bhi samajh nahi paya...ek baafr acche se batao..

Didi - tujhe yaad hai elf country ke pass mujhe kulhadi milli thi...

Main - Haa aapne bataya tha wo Prof. Suraj ki kulhadi...

Didi - wo baat karti hai...

Main - kon baat karti hai...

Didi - wo kulhadi baat karti hai aur usne 2 marre hue insano ko jinda kar diya hai...

Main - Kya...kulhadi kaise baat karegi....aur jinda karna wo bhi insano ko....aap thik ho naa...

Dhruv - wo sach bol rahi hai...matlab...matlab waqt kam hai wo sab jaldi shuru ho gaya hai...

Main - Kya sab...ab tum kya bol rahe ho....

Didi - Tujhe yakkin nahi ho raha naa....ruk....

Unhone apna haath picche kiya aur unki kulhadi unke haath mein aa gayi...

Didi - Unn dono ko yaha leke aao....

Main - aap sach mein....

Dhruv / Didi - chup raho...

Main kuch bolta usse pahle waha pe ek portal jaisa hi kuch khul gaya...par ye alag tha....jwala yaa uske logo dwara khole jaane wale portal se to alag hi tha...Main to usko bas dekhta rah gaya...aur fir...ussi mein se 2 log nikle...dekhne mein ajeeb....

Didi - yahi hai wo dono....

Main - aap sach bol rahi thi...par ye sab kaise...

Didi - ye kulhadi mujhse baat karti hai aur mujhe khud ki asli hakdaar batati hai...

Main - Asli hakdaar....

Dhruv - ye nahi ho sakta...itna to maine bhi nahi socha tha...

Main - kya nahi ho sakta aur tumne kya nahi socha tha.....

Dhruv - kya...kya bol raha tha main...

Main - tumne kaha tumne ye nahi socha tha..to tumne kya nahi socha tha....

Dhruv - wo...wo maine ye nahi socha tha ki aisa bhi koi hatiyaar ho sakta hai....Rupal ka spirit animal kon sa hai....

Main - mujhe kya pata...

Didi - Main pareshan thi...mujhe samajh nahi aa raha tha unn insano ko kaise sabak sikhau...aur fir ye bolne lagi....aur fir...isne mujhe aisa karne ko kaha...aur kal raat...

Main - kal raat kya didi....

Didi - Kal raat inn dono ne...unn logo mein se kuch ko maar diya hai....main ab papa se kya kahungi...jab unko pata chalega ki main...

Dhruv - kya......sach mein....ye sab bhi sun sakta tha main...mujhe to yakin hi nahi ho raha hai.....

Main - tumko hua kya hai...pagal ho gaye ho kya....badbad karte jaa rahe ho...chup raho..

Main (didi se) - Didi par unn logo ko inn dono ne maara hai...aapne kuch nahi kiya....

Didi - ye meri wajah se yaha aaye hai aur inn dono ki jimmedaari meri honi chahiye....

Main - haa..par ye inn dono ne khud kiya hai..aur aap inn dono ko sazza dedo...

Didi - aur usse kya hoga wo jinda ho jaayenge....

Dhruv - Khooni ghudsawaron ki raani...aur aisi baatein...mujhe kuch samajh nahi aa raha hai...kahi main kisi jaal mein to nahi fass gaya hu...

Main - kya tum chup nahi rah sakte....aur ye sab kya bole jaa rahe ho.....

Dhruv - main kaha kuch bol raha hu...par ek baat samajh nahi aa rahi...ye kulhadi asli to nahi ho sakti....fir isme itni powers....

Main - Didi aapne hi to kaha tha wo insaan burre the...sayad yahi unke karmo ka fal ho....sayad inn dono ke haatho marna hi likha ho unke naseeb mein...

Didi - Par....main maarna nahi chahti thi unko...aur ab main kya karungi...jab waha pe unn priests ko pata chalega ki meri wajah se wo log....

Main - Nahi pata chalega...aap chinta mat karo....

Didi - unhe pata chal bhi gaya hoga...aur ab wo papa se bol denge aur fir...

Chachu - aur fir tumhare papa tumko sabaasi denge....

Main - chachu aap...

Chachu - haa main...Rupal yaha aao....aur tum bhi Prateek...

Hum dono unke pass gaye...

Chachu - Rupal...pata hai abhi kuch der pahle ek call aaya mujhe...

Didi - Papa mujhse galti ho gayo...wo kuch log...

Chachu - wo galti nahi thi....wo bilkul sahi tha....jinn logo ko maara hai tumne wo sab bomb bana rahe the....Spain mein hamle hone wale the....aur unn sab ke marne ki wajah se...wo sab ruk gaya....jinka ye plan tha wo to bhag gaye kisi tarah par...musibat tal gayi..

Didi - Kya...bomb bana rahe the...

Main - wo didi bomb naa wo fatt jata hai aur usse log mar....

Didi - pata hai...tujhse jyada pata hai insano ke khilauno ke baare mein...par papa kya sach mein....

Chachu - Haa sach mein aisa hi hone wala tha...aur kyunki tumne unn sab ko maara...aur waha ke logo ko bachaya hai...to Church ki taraf se tumhe innam milne wala hai...saath hi mein kuch taufe bhi....wo to aaj hi bulla rahe the par maine kal aane ke liye kaha hai...

Main - waah ye to acchi baat hai..

Chachu - haa ye accha hai...aur ab tumhari baari....tumne aaj jo kiya wo bahut accha tha....Nikita ko yaha lanna....aur fir Rupal ke nana nani ke saath rahne ko kahna...ye sab accha hai...tum bilkul mere bhai ki tarah ho....

Main - ya papa bhi aisa karte...

Chachu - nahi tumhare papa itna sab to kabhi nahi kar paate...par tumne kiya....tumne Nana Nani ko jaise iske liye raazi kiya...aur fir sab taiyari..ye sab baht hi accha tha...

Main - arre chachu raazi kya karna...wo dono to pahle din se usko apne saath rakhna chah rahe the...aur abhi Nikita ke saath kuch aisi ghatnaye hui hai ki usko jarurat thi inn sab ki....to maine bas...

Chachu - doston ki madad karna ye acchi baat hoti hai...par dhyaan rahe...dost dhyaan se banane chahiye...chalo ab bahutbhua...tum dono ke chakar mein kahi mujhe naa daant pad jaaye....waise Rupal kinn dono ki baatein kar rahi thi tum....main jab aa raha tha to sunna tha ki unn dono ne maara hai...kon dono..

Rupal didi - Nahi wo main apne hi baare mein kar rahi thi,...mere gusse ne maara tha unn dono ko...

Hum tinno baatein karte hue wapas se pahuch gaye party wali jagah pe.....par Didi ne Chachu ko nahi bataya kuch...uss kulhadi ke baare mein...yaa wo do insan....aur jaise hi Chachu aaye wo dono bhi gayab se ho gaye the...pata nahi kaise...Chachu ke jaane ke baad maine Didi se iss baare mein puccha...

Main - Didi aapne Chachu ko kyun nahi bataya...

Rupal didi - Kya batati..ki main Strange world gayi thi waha pe kulhadi milli....wo bahut gussa karte....aur main ye nahi dekh paati......

Main - aur wo dono gaayb kaise ho gaye the...

Rupal didi - kulhadi se aur kaise...maine usko pahle hi bol diya tha...jab tak main naa chahu uske shakti ko koi dekh naa paaye.....to jaise hi wo aaye honge usne un dono ko wapas bhej diya hoga...yaa fir aur kuch kar diya hoga...

Main - Ab aap thik ho....matlab ab koi guilt to nahi hai...

Rupal didi - Haa burra to lag raha hai meri wajah se marre wo...par ye jaan ke accha lag raha hai ki mere wajah se hi bahut se log bach bhi gaye....bas ye baat meri guilt ko khatam kar rahi hai....aur ab mujhe bhukh lag rahi hai..tu jaa jaake taiyaari kar...main chali kuch khaane ko...

Yaha ka chod ke ab hum ek nazar Polar bear prince ki oor bhi daalte hai jo abhi burf mein hi dakka hua tha...aur uske aas pass Jwala ke kabile wale the...Vaidyaji bhi wahi pe baithe the....bahut waqt ho gaya tha usko barf mein dhakke hue...par halchal nahi ho rahi thi koi...jis wajah se Vaidyaji ko thodi thodi ghabrahat ho rahi thi....unko samajh nahi aa raha th a ki kare to kare kya....wo yahi sab soch rahe the ki aacahank se unko barf mein kuch halcha hote hue dikhayi diya....unhone pahle to barf hatane ka socha fir Old Owl ka chahra unki aankhon ke saamne aa gaya aur unhone barf ko nahi hataya bas dekhte rahe usko...aur thodi hi der mein uss barf se ek panja bahar aaya...panja tha Polar bear prince ka...pahle ek panja fir pair...aur aise karte karte puri body uski bahar aa gayi....par wo baccha tha...aur darra hua bhi tha....usko samajh nahi aa raha tha ki wo waha aise aa gaya...wo to raat ko apni Maa ke pass soya tha...aur abhi wo waha pe tha....usko jab kuch samajh nahi aaya to wo thoda picche hua aur hamla karne ki postion mein aa gaya...aaye bhi kyun naa kyunki saamne uske....wo the...jinko uska aur uske kabile ka dusmman bataya jaa raha hai usse jab se wo paida hua hai...aas pass dekha to waha pe sirf Jwala ke kabile wale hi the...ab usko darr bhi lag raha tha....tabhi waha pe Jwala aa jaata hai...usko khabar pahuch gayi thi ki Polar bear prince ko hosh aa gayahai...aur Prateek ki baat ko maante hue usne hi ab usko uske ghar tak pahuchana tha....par wo ye bhi jaanta tha ki aisa karna maltab apne pair pe kulhadi maanra hoga..jo wo nahi chahta tha.....usne yaha aane se pahle...Bijli ko acche se samjhaya ki binna koi panga kiye...usko Polar bear kabile mein janna hai aur waha pe ye khabar pahuchani hai....jisse waha se koi aa jaaye unke pass...aur wo apne raj kumar ko leke chala jaaye...Bijli bhi ye sab samajh ke chal deti hai khabar dene ko....wahi Jwala...wo abhi Polar bear prince ke pass khada tha....

Jwala - darro nahi hum koi nuksan nahi pahuchayenge....hum tumhe tumhare ghar bhej denge...

Jwala ki baat sun ke aur usko dekh ke wo baccha aur daar gaya aur iss baar khud ke daar ko chuppa nahi sakka...aur rone lag gaya...

Jwala - arre main kuch nahi karunga koi kuch nahi karega....thodi hi der mein tumhare kabile se log aayenge aur tumhe le jaayenge....

Par wo sunne ko taiyar hi nahi tha...wo bas roota jaa raha tha....Jwala ko kuch samajh nahi aa raha tha....to usne apni Maa ko bulla liya...

Wo waha pe aayi...aur wo apne saath kuch khane ko leke aayi thi...unhone aate hi wo chiz Prince ke saamne rakh diya...aur sabhi ko picche jaane ko kaha....thodi der to Polar bear prince usko dekhta raha....usko sungha...aur jab usse uski bhukh pe bhi kaabu nahi raha to wo usko khane laga.....dekhne se to lag raha tha bahut din se bhukha hai wo...

Jwala - aapne ye kaise kiya...aapko kaise pata ki isko bhukh lagi hai...

J.Mom - waise hi jaise tumhe kab bhukh lagi hai ye pata hota hai mujhe...(prince ko dekh ke) ye darra hua hai...tum sab jao main isko dekhti hu...

Jwala - aap sambhal logi naa isko....

J.mom - tumhe sambhala hai isko bhi sambhal lungi....ab jao....aur haa iski Maa ka pata karo jaldi...jitna main jaanti hu...inki prajati mein iss umar ke bacche apni Maa se jyada din dur rahne pe...nahi rahte...

Jwala - Maine Bijli ko khabar dene bheja hai....wo humme sabse tezz hai ab tak to waha pahuch bhi gayi hogi wo....

J.mom- haa bas koi karnama naa kar aaye hamesha ki tarah...

inn sab ko bhi chod ke hum chate hai Slayer ke pass...

Slayer ne bahut koshish ki....Earth pe aane ki par wo nahi aa paaya jitni takat wo lagata tha...usse jyada takat usko rok leti thi...usko samajh mein nahi aa raha tha aisa ho kyun raha hai...aur jab jyada kuch pata nahi chal paya to wo wapas se Dark world jaane ke baare mein sochne laga.....par jaate jaate usne Earth ke charo oor...kuch kiya...pata nahi kya tha wo....par uske waha se jaate hi....wo jo bhi tha wo jal gaya....aur ye dekh wo aag babula ho gaya tha...gussa saatve aasmaan pe tha uska....wo jaldi se Dark world ki oor badhne laga....aaj to waha pe ye bahut khoon kharaba karne wala hai....par kismat...waha pahucha to waha pe bhi wo ander nahi jaa paaya....yaha pe bhi usne koshish ki par kuch nahi hua.....usne apne ander maujood sabhi aatmayon ko aadesh diya apni saari shakti usko dene ki...jisse wo ander jaa sake....par aisa hua hi nahi....unn aatmayon ne shakti to di....par usse kuch nahi hua.....aisa lag raha tha jaise wo powers shield khud hi khich le rahi thi...

Slayer - ye kya ho raha hai....meri powers mujhe dokha nahi de sakti....

wo gusse mein aur bhi tarike aazma raha tha...par kuch ho hi nahi raha tha...jis wajah se uska gussa badhta jaa raha tha....wahi Dark world mein log dekh sakte the usko...uske gusse ko....wo samajh rahe the agar wo shield tut gaya....to wo sabhi ko maar dega....par wo kuch kar bhi nahi sakte the....

Bas dekh sakte the wo....ur ummid kar sakte the ki ye waha se chala jaaye....aur sayad aaj inki ye ummid kaayam rahne wali thi...kyunki...Slayer ne bahut takat use kar li thi apni....aur ab usko jarurat thi...aatmayon ki...nahi to wo kamzor hota jaata...wo waha se nikal gaya......ab uske pass kuch hi jagah the jaha pe wo apni bhukh mitta sakta tha....ek Fumos aur dusra Demos....waise to aur bhi jagah the...par waha jaane mein waqt lagta saath hi khana milta yaa nahi iska pata bhi nahi tha...to usne apne sabse najdik jagah Fumos jaana tay kiya....wo jagah bikul rahne layak nahi thi...waha khane ke liye pahle mukabla karna hota tha...jungli logo ki basti thi jaise wo...par ye jagah abhi ke liye to Slayer ki har ek jarurat puri karne wala tha.....wo yaha pe aa gaya...

Chaliye ab hum ek nazar apne Prof. pr bhi daal lete hai...

Janab ki halat thik nahi hai...wo abhi bhi bistar pe padde hue the...aur uske bagal mein khud Demos ka Raja aur waha ka senapati khada tha...

Lucifer - Kab tak hoss aayega isko.....

A1 - Pata nahi maharaj...Main nahi jaanta...ye kab jaagega....

Lucifar - to patta karo....agar ye nahi jaaga to tum aur tumhare saath hi seenapati ji bhi so jaayege hamesha ke liye....

Seenapati - Maharaj...Main maafi maangne ke layak to nahi hu...par mujhe lagta hai hamare saath dhokha hua hai...

Lucifer - Lagta hai....nahi hua hai Seena pati....tumhe pata bhi nahi chala kab isne tumhari naak ke nicche se wo hatiyaar utha liya.....yaa fir tumne khud usko aisa karne diya...waha tumhare alawa koi jaa nahi sakta....

Seenapati - Nahi Maharaj main to....

Lucifer - samajh gaya main.....(A1 se) jao iske ghar walo ko utha ke le aao....

Seenapati - Nahi....maharaj maine hi diya tha usko wo hathiyaar....mujhe laga aap khush honge....

Lucifer - Khush hota agar tum kamiyaab hote...par...marna to tab bhi tay tha tumhara.....mujhse bina pucche wo hathiyaar leke kaise gaye tum...(A1 se) ab ye khud apne pariwaar ko maarega....leke aao sabhi ko...ye sab Arena mein hoga....

Seenapati - Nahi Maharaj aisa mat kariye...unka koi kusooor nahi....

Lucifeer - Main tumhe do raste deta hu...Yaa to tum khud apne pariwar ko aaram se acchi maut dedo....yaa mujhe apne haath gande karne honge...jo ki tumhe pata hai bahut dard denge unhe...to batao kon sa rasta....

Senapati - Maharaj Mujhe maaf kar do...

Lucifer - Ye koi rasta nahi hai...(A1 se)leke aao unhe khade kyun ho.....

Wo bhagta hua waha se chala gaya....Seenapati ne apni talwar nikali aur khud ko maarne ki koshish ki par....par Lucifer ne uski talwar hi gayab kar di....aur fir usko apni shakti se baandh liya....

Lucifer - mujhse dokha kiya hai tumne....tum maroge....aur ye bhi...par pahle mujhe mere sawalon ke jawab dega uske baad

Old Owl bahar se sab dekh aur sunn raha tha....wo waha se udd gaya

Aaj ke liye bas itna hi....next mein Polar bear kabile ki ladayi....saath mein Slayer ka Fumos pe jaana....aur Dhruv ki kuch yaadein jo galti se Prateek ko pata chalne wali hai
 
Top