• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Immortals

Ristrcted

Now I am become Death, the destroyer of worlds
Staff member
Sr. Moderator
47,792
40,299
304
Last edited:

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,059
173
UPDATE - 67

Main apne room mein utha wahi darwaje wala sapna aaya tha aaj bhi pata nahi kya hai iss bade darwaje ke picche.....iska kuch to karna hi hoga....Maine ghadi dekhi.....waqt kuch 4 baj rahe honge main jaldi se utha aur fir taiyaar hoke dhyaan lagane chala gaya.....

Main waha jaake apne naye wale element pe dhyaan lagane lag gaya....main ispe bhi achha kar raha tha...har ek ball ko dusre ball se jodd raha tha....par yaha pe dikkat ye ho jaati thi.....wo balls milke kabhi kabhi liquid ban jaate aur sab alag alag ho jaata hai

Dhyaan lagane ke baad utha to sab wahi the......par sabhi abhi bhi dhyaan laga rahe the ain hi aaj jaldi uth gaya tha.....

Waha se sidha room mein gaya main.....aur taiyaar hone laga.....aaj kabhi bhi Old Owl waha bulla sakta tha mujhe....dekhna ye tha ki kab....

Main taiyaar hua...aur jaldi se nasta karne jaane laga...tabhi room ke bahar hi Bua milli...

Bua - itni jaldi mein kaha chale......

Main - Wo bua wo dawa di thi naa sayad usse bhookh jyada lagti hai to bas khane jaa raha hu.....

Bua ne meri baat sunni aur mujhe ek baar acche se dekha....

Main - Kya hua Bua aise kya dekh rahi ho....main sach kah raha hu....

Bua - Chalo aaj mere cabin mein karte hai nasta....Kavita aur Nikita ko bhi bulla lenge....

Main - haa theek hai chaliye...

Main (mann mein) - inko pata chala to jaane nahi dengi....upar se sawal alag honge inke....accha hai akele jaaun aur bas yaadast hi to pata karna hai.....waise bhi ye gayi to uss jeev ki kahani bhi sunani hogi...aur bhi naa jaane kya kya... :sigh: akele best hai jaana....

Main chala gaya inke saath inke cabin mein waha pe 4 plates lage hue the.....thodi der mein Nikita aur k.bua bhi aa gaye....

Hum sab ne khana shuru kiya....Bua mujhe baar baar dekh rahi thi....

Bua - Nikita Bacchu kahi jaana hai kya aaj...

Nikita (muh mein khana bharre hue) - Nahi to....classes hai aaj bas.....

Bua - hmm theek hai fir....

Unhone apna phone nikala aur phir Rupal didi ko call kar diya.....jo abhi ghar se nikalne hi wali thi.....par call chachi ne utha li...

Chachi - Haa Poonam kya hua....

Bua - Aap ghar pe ho.....yaa Rupal waha hai...

Chachi - Main ghar aa gayi hu.....aur Rupal yahi hai upar gayi hai abhi.....ye janne ke liye phone kiya hai....

Bua - Nahi wo bas.....Bhabhi usko puchna jarra aaj kahi jaana hai kya usko....

Chachi - hmm rukko.....(Chillate hue) Rupal aaj kahi bahar jaana hai kya.....teri Bua puch rahi hai....

Rupal didi - Nahi to.....bas hotel jaana hai....wo project aaj hi khatam kar deti hu....

Chachi - sunna naa wo nahi jaa rahi kahi....waise usne bataya kya tujhe...usne aur Nikita ne bahut accha plan banaya hai....hotels ko puri tarah badal denge ye sab....

Bua - Nahi bhabhi.....main usse baad mein puch lungi....chalo rakhti hu.....

Chachi - hmm theek hai.....accha sunn kal sabhi aa jaana.....

Bua - Bhabhi parso class bhi hai....waise bhi fir sham ko to aayenge hi naa.....

Chachi - haa theek hai milte hai ussi din main naya dish ussi din try karungi fir rakhti hu....

Chachi ne call cut kar diya...Bua mujhe dekhne lagi.....itne mein K.Bua aur Nikita ka khana ho gaya....wo dono uthne lagi....aur haath done chali gayi....main bhi khana khatam karke utha aur haath dhone chala gaya....

Bua - Sach sach bata aaj kya karne wala hai tu.....

Main - kya....main kya karunga class hai aaj aur kuch nahi.....

Bua - Fir mujhe aisa kyun lag raha hai jaise tu aaj kuch karne wala hai.....

Main - Arre nahi Bu......aaaaaaa.......aise kon karta hai Old Owl main baat kar raha tha........ :doh: Bua se....ab unko sab batana hoga...wo pata nahi kya karegi....thodi der ruk nahi sakte the tum.....

Old Owl ne aaj bhi waise hi acchanak mujhe portal khol ke khinch liya tha.....Wo bhi tab jab Bua se main baat kar raha tha unko bata raha tha ki main kahi nahi jaa raha hu.....

Old Owl - Mujhe pata nahi tha tum aisa kuch kar rahe ho.....wo to waqt aa gaya hai naa iss wajah se....

Main - To main wo jeev leke ghoom raha tha kya.....thoda pahle bata dete to main taiyaar ho jaata aur ye sab naa hota.....pata nahi ab jaane pe wo kya karegi mera.....ab khade kya ho....chalo waha....dikhao kya ho raha hai wo jail se nikla hai yaa nahi...

Old Owl - Par tum saman to laaye nahi fir kaise hoga.....aur wo nikalne hi wala hai bas.....

Main - Dhruv Bahar bhejo Albus ko uss taskari karne wale ke roop mein....

Dhruv - hmm abhi bhejta hu....

Main - Ek minute rukko abhi bas taiyaar rakho jaise hi kahu waise bhejna theek hai....

Dhruv - Main ready rahunga.....

Main - Old Owl uss baggi ko rokna samjhe.....jaise hi wo aage jaane lage usko rok lena....aur waha pe jo bhi pahredaar uss tasari wale ko laane ko aaye hai unko bahar aane pe majboor karna......jaise hi wo bahar aaye Taskari karne wale ko udda lena....samajh gaye......apne logo ko bhi samjhao.....

Old Owl - Par tum kisi ko laaye kaha ho.....uski jagah badalne ko.....mujhe laga Nikita yaa koi aur aayegi....

Main - Aayegi.....tumne mauka diya kisi ko laane ka......aise mujhe khich liya jaise kidnap kar rahe ho mujhe.....agli baar aisa sochna bhi mat karne ki....

Old Owl - accha theek hai par waha pe jaayega kaun fir....uski jagah pe.....

Main - Uski chinta mat karo tum bas usko nikal aao.....waha koi naa koi pahuch hi jaayega....kitna waqt hai ye sab hone mein.....

Old Owl aasman ki oor dekh ke apni bhasa mein kuch bola....aur fir sayad usko bhi koi aawaj aayi.....fir wo mujhse bola...

Old Owl - Court se baggi nikal chuki hai.....3 log hai usme....ek jo chala raha hai wo....aur do kaidi ke liye....

Main - Waah......sala sahi naam hai jagah ka Strange world....itni ajeeb jagah hi hai ye ki yahi naam sahi tha.....ek itna bada apradhi hai....usko le jaane ke liye ek baggi aur usme bas 3 log...bhagana hi tha to aise hi bhaga dete naa.....

Old Owl - iss jail se nikal ke koi bhagne ki koshish hi nahi karta.....aur wo baggi bhi koi aam baggi thodi hai....ispe kisi bhi magic ka koi asar nahi hota.....

Main - To tum rokoge kaise usko....

Old Owl - Puri baat sunte nahi aur bolne lag jaate ho.....maine kaha magic ka asar nahi hota.....par agar dimmag chalaya jaaye to sab ho jaata hai....

Main - Insano mein naa jo sabse murkh hota hai usko Gadha bolte hai aur usse jo thoda sa sayana hota hai naa wo Ullu kahlata hai....to dimmag ki baat karo mat jo karna hai wo batao...

Old Owl - Main kar ke dikhata hu....mera bas kaam yahi hai naa ki uss bande ko bahar le aaun....wo main kar dunga....baaki tum samjho....mujhe bewakoof kah raha hai......boyzzzz kaam pe lag jaao......wo aane wala hai....

Main - Karne kya wale ho ye bhi bata do.....

Old Owl - Bas chup raho....Boyzzz t-30s hai hamare pass.......sab taiyari check karo ek baar.....O2 tumne smog taiyar rakhi hai naa.....

O2 - Taiyaar hai sir....

Old Owl - O1 hypnosis ke liye kam waqt milega.....isme koi chukk nahi honi chahiye....

O1- Main ready hu sir....

Old Owl - O3 tum bhi taiyaar ho naa uss bande ko nikalne ke liye.......bas 2 sec ka waqt milega tumko.....

O3 - Ready hu sir.....

Old Owl - T-10 s hai bas.....sab positions pe raho.....O2 Smog taiyaar raho.....ishara milte hi khali kar dena.....

Main - Ek minute....usko baggi mein baithne to do.....aise kya 10 s hai jaldi karo.....Baggi aayi bhi nahi hai....

Old Owl - Chup raho aur dekho....

Theek iske 5 second baad acchanak se waha pe ek baggi a gayi uss jail ke pass.....aur main dekhta hi rah gaya.....pata hi nahi chala wo aaya to aaya kaha se....matlab ekdum se prakat ho gaya jaise wo....aur uske baad dekha to uske khidki mein wo taskari karne wala banda bhi dikha mujhe...

Old Owl issi ka wait hi kar raha tha jaise.....usne ishara kiya aur charo taraf smog aa gaya.....kuch dikhne hi nahi laga....

Old Owl - O2 bahut ache.....O1 wo bahar aayenge ab.....darwaja khulega,......taiyaar raho...O3 tum bhi.....jaise hi hypnosis khatam ho tum unko udda lo.....

Main - ye kya hai......Dhruv.....Dhruv Bhejo Albus ko bahar....taiyar karke....jaise hi O3 usko nikale Albus ko waha fit kar dena...

Ye itni jaldi kar denge ye log maine socha bhi nahi tha.....plan to banaya tha iss old owl ne accha khasa....mere seene se ek light nikli aur wo chali gayi uss Baggi ki oor.....jiske bahar abhi 3 log the.....tinno hi bas khade the....O3 ne apna kaam yaani ki Taskari wale ko bahar nikalne ka kaam kar diya tha.....wahi baaki ke 2 logo ne bhi kar diya tha.....Old Owl waha pe aya aur jaldi se smog ko apni pankhon ki madad se....O2 jisne unn tino ho sammohit kiar rakha tha usne bhi unko wapas jaise the waise hi rahne ko bol diya....aur fir phir sammohan hatta diya....

Wo tinno hosh mein aaye aur Baggi wapas se gayab ho gayi.....

Main - ye kya tha Old Owl tumne to kammal hi kar diya....

Old Owl - ye kuch bhi nahi tha....aise naa jaane kitne hi kaam kiye hai maine.....khair isko chodo ab uss bande ko leke chalte hai.....O3 usko base pe pahuchao....aur wapas yaha aake command sambhalo....O4 tum jaise Baggi pe nazar rakhe hue the waise hi nazar rakhe raho.....koi gadbad ho to turant batana....

Main - hmm chalo base pe....dekhte hai kaisa base banaya hai tumne.....

Usne ek portal khola....aur uske ander jaate hi hum kahi aur pahuch gaye....dekhne mein koi guffa jaisi lag rahi thi ye jagah....

Main - ye kon si jagah hai.....

Old Owl - yahi pass ki jagah hai.....pedon se chippi hui guffa hai ye...yaha isko aise nahi laa sakte the naa to portal kholna pada.....O3 wapas jaao tum isko hum dekh lenge....

O3 waha se wapas chala jaata hai....uss taskari karne wale ko wahi pe chod ke....

Main - kya dekh lenge...main wo jeev pocket mein leke nahi ghum raha tha.....Portal kholo wapas jaane ka.....mere room ke liye kholna....

Usne Portal khola aur main room mein ander gaya....aur wo jar liya jiske ander uss jeev ko rkha tha aur wapas jaane hi laga ki saamne Bua...

Matlab....pahle portal hai....fir Bua hai aur uske baad main hu....Bua gusse se mujhe dekh rahi hai...aur main haath mein ek ajeeb sa jeev liye khada hu.....

Old Owl - milla ki nahi milla......waqt barbaad na.....oo

Bua - Kya....kya kaha tha kahi nahi jaana fir aise gayab kaha ho gaye the...aur ab fir se kaha jaa rahe ho....

Main - wo Bua main ...tabhi mere ko pata nahi tha naa jaana hai warna main to bata hi deta naa.....

Bua - tumko main jaan gayi hu itne time mei....

Old Owl - Maaf karna Bua ji par....Prateek waha court mein baggi pahuch chukki hai.....aur abhi bas waqt jaa raha hai hamara.....

Main - hmm...Bua yaar aap thodi der baad daant lena naa abhi bahut jaruri kaam hai.....'

Bua - kya kaha.... :shocked: accha theek hai...chalo main bhi dekhti hu kaun sa kaam kar rahe ho...

Main unko manna karta usse pahle unhone haath pakda mera aur portal se hote hue ander....

Bua ne aas pass dekha to kuch samajh nahi aaya unko.....bas ye pata chala ki guffa hai koi.....par kaha pe ye nahi jaanti thi wo....lekin abhi unhone sawal nahi pucha koi.....

Bua - jaa apna kaam kar....

Main bhi waqt naa jazza karte hue gaya uss taskri karne wale ke pass.....aur wo jeev jo jar mein leke aaya tha usko bahar nikala.....

Main - Dhruv isko use kaise karte hai....

Dhruv - isko uske sar pe rakh do....ye mara hua hai....par iski body fir bhi isse jud jaayegi....

Maine waisa hi kiya uss jeev ko nikala aur uske sar pe rakh diya......usko waha rakhne ke baad hi maine dekha jeev mein kuch halchal hui hai.....aur jab dhyaan se dekha to uss jeev ke pair....taskari karne wale ke dimag ke nashon se judd gaya tha...

Main - Ab kya.....

Dhruv - 2 chizzen kar sakte ho......yaa to uske muh se sunno yaa uski aankhon se dekho.....aakhon se dekhna jo hai wo ekdum se sahi jaankari degi.....par muh se sunna....isme dikkat hai agar isne apni memory ke saath kuch kiya hoga to kuch baatein jhooti bhi nikal sakti hai...

Main - Aankhon wali case mein ye logic nahi chalta kya.....waha memory mein kuch karne se nahi hota kya kuch,......

Dhruv - hota hai par usme bahut kam chances honge......tum jaao iske body mein aur main tumhari body sambhalta hu.....

Main - Abhi kaha aankhon se dekho iske muh se suno aur ab kah rahe ho iske ander chale jaao....

Dhruv - wo jo do options hai naa wo aam logo ke liye hai...aur tumhare saath main hu.....to tum iske ander aao aur main body sambhalta hu.....accha aur jab bahar nikalna ho to iske body mein ek choti si ladayi ladni padegi.....taaki ye jeev sahi se nikal jaaye....iski jarurat padegi naa baad mein.....

Main - theek hai....

Maine uss taskari karne wale ke sar pe hath rakha aur apni body se nikal ke uske body mein chala aaya......aur meri body wo Dhruv dekhne laga...

Ek ajeeb si jagah thi...andhera tha charo taraf.....ajeeb si aawajein aa rahi thi...aur garmi.....puccho mat.....aisa lag raha tha aag mein daal diya ho mujhe.....tabhi mere ass pass ki cheezin....aur main sab kuch hi hilne lag jaata hai,....Main ek bakse mein tha abhi......ek ghar mein ek baksa tha aur usme main tha.....aur ghar mein aag lagi hui thi issi wajah se ye garmi lag rahi thi....

Abhi kisi ne baksa khola tab jaake mujhe pata chala ye sab,....saamne ek aurat thi jo bas roye jaa rahi thi.....usne mujhe....mera matlab hai sayad iss taskari karne walo ko goad mein uthaya aur apne seene se laga liya...

Ass pass dekha to bas aag hi aag thi waha aur kuch nahi.....ek bada sa lakdi ka tukda hamare upar girra....aur fir se andhera.....

Main - Dhruv ye kya tha.....

Dhruv - arre bataya tha naa ye jeev aapke past ko hi nahi balki previous life ko bhi dikha sakti hai.....tumko dhyaan lagana hoga....aur iske iss life ko dhundhna hoga....fir wo yaaedin jo tumko dekhni hai....warna wahi iss mayajaal mein fasse rahoge...

Main - Ye baat pahle batani thi naa....main wo aasan tariko se kaam chala leta....ab ye batao pata kaise chalega ki iski abhi wali life kaun si hai....

Dhruv - abhi kya mar gaya hai ye....

Main - Haa mar gaya hai ye ek bakse se nikal aur fir lakdi ka tukda girra aur mar gaya saath mein koi aurat bhi thi sayad iski maa ho uss waqt ki....

Dhruv - Hmm bura hua iske saath fir uss janam mein....accha yr pata lagane ke liye ki iski ye wali life kaun si hai aas pass dekho kahi se light aa rahi hai.....dhimmi si light bhi hogi wo bhi chalegi...

Main - light se kya connection hai...mujhe koi light nahi dikh rahi....

Dhruv - Aakhen jo hoti hai naa....unse light ander jaati hai sareer ke.....aur abhi iske pass jo aankhen hai wo issi janam mein hai naa isse pahle wali bodies to khatam ho gayi hongi....to light se pata chal hi jaayega kaha hai ye...

Main - Par koi light nahi dikh rahi hai aas pass......maine acche se dekha hai...

Dhruv - aisa kaise ho sakta hai....accha main yaha kuch try karta hu.....tum waha dhyaan rakhna....dekhte rahna kaha se light aati hai....ussi taraf nikal jaana...

Main - hmm theek hai par tum karne kya wale ho....

Main bol hi raha tha ki mujhe ek taraf se bahut si light aati hui dikhi main ussi oor chal diya....

Dhruv - Dikhi kya light.....

Main - Haa dikhi...wahi jaa raha hu abhi...

Dheuv - ye kaam karta hai fir.....theek hai tum waha jaao....waha pe bhii bahut si yaadein hongi....jitni iski umar hai...uss hisad se to bahut hi hongi...

Main _ Main abhi wapas se kisi andheri jagah pe aa gaya hu par yaha raoshni hai thodi......main dekh sakta hu tumko....ye Bua Old Owl ko kya samjha rahi hai...

Dhruv - Wo.....wo tum kahi aise jaao to unko in sab ki khabar pahle mill jaaye ye samjha rahi hai.... :lol: Par Old Owl unko bata raha hai wo tumhari har khabar untak nahi pahucha sakta...iske liye tumhari permission chahiye hogi....ye sab baad mein dekh lena...abhi tum iss body mein pahuch gaye ho...ab iski yaadein dekho....dhundhon unko....

Main - Kaha dhunhdna hai ye bhi batao...

Dhruv - dhyaan lagao....tum pahuch jaoge iske memory mein...

Main bhi dhyaan lagane laga aur jaise hi aankhen band karke wapas se kholi.....main kahi aur hi tha.....haathon mein ek bada sa anda tha mere......aur main bhag raha tha.....Main abhi iske jagah pe tha.....Maine picche mudd ke dekha to waha pe kuch ajeeb se saanp the jo mere picche lage hue the.....bade gusse mein lag rahe the.....unme se ek aaya aur meri.....yaani ki iss taskari karne wale ke haath pe kaat liya...Main wahi pe gir gaya aur wo anda....wo bhi wahi pe gir gaya.....jo saanp mere picche laga hua tha wo uss tute hue ande ke pass chala gaya....aur abhi wo mere pass aata usse pahle ain waha se bhag gaya.....

Main - Dhruv ye sab kya tha....ye Saanp wo anda....aur main bhag raha tha.....

Dhruv - tum nahi bhag rahe the wo sab ye kar raha tha taskari wala banda.....tum bas uske yaadon mein the....sayad ye iska abhi jaldi ka kiya hua karnama hai....iske haath pe wo chot ke nisan hai...aur dekhne se lagte hai 3-4 tmahine pahle ke hi hai ye...

Main - wo saanp uska anda toot gaya iski wajah se.....

Dhruv - Shant ho jaao.....abhi aur picche jaao aur fir dekho kya milta hai....

Main aur picche gaya.....iss baar ek baccha tha....uske sir pe singh lage hue the...ye ek daanav ka baccha tha....maine dekha hai aisa pahle....par ye size mein thoda chota tha....Main isko leke bhag raha tha....wo baccha...usko sayad ye sab ek khel sa lag raha tha....to wo hasse jaa raha tha....Maine uss bacche ko ek nadi mein phenk diya....ek gahri nadi.....maine usko abhi goad mein liya hua tha....uss nadi ke pass pahucha main....aur fir uss bacche ko jor se niche phenk diya....aur fir apna haath saaf karte hue waha se chala gaya....

Pata nahi kaun tha wo baccha aur ye kya hua.....Main abhi iss taskari karne wale ki yaadon mein tha....ye yaadien bahut hi dukh dene wali thi.....uss bacche ka hasta hua chahra....sayad wo daanav ka hi baccha kyun naa ho par uska wo hasta hua chahra jaise chapp gaya ho mere ander.....

Main iski yaadon se bahar aana chahta tha...

Dhruv - Prateek sambhalo khud ko.....tum bhool rahe ho kya karne aaye the yaha....ye sab itna kuch kiss wajah se hua tha....

Main - Tumne dekha na....isne uss bacche ko....nadi mein phenk diya....wo baccha tha....aur wo anda.....usko tod diya isne....

Dhruv - main bhi sab dekh raha hu....tum khud ko sambhalo dost....aur wo dhundho jiske liye aaye ho....iss bicch aur bhi aisi cheezin ilengi par...tumko wo cheez dhundhe bina bahar nahi aana hai....

Fir kya tha.....ek aur yaad uske baad ek aur yaad.......inn yaadon ko dekhte hue.....aisa lag raha tha jaise maine wo saare kaam kiye hai....un baccho ko maarna....unn chizzon ko churana.....wo log meri wajah se ro rahe the....main mahsosh kar raha tha unn sab ke dard ko....jo sayad iss kamine ne kabhi nahi kiya tha......iske body se nikalne ke baad isko aisi maut dunga ki ye wapas se janam nahi lega.....aisa mann bana chukka tha main....par abhi bhi wo yaad nahi milli thi mujhko jo main dhundh raha tha...

Agli yaad jo iski mujhe dikhi.....wo kuch jaani pahchani hui si thi......aisa lag raha tha ye sab dekha hua hai maine....ek aurat jo bhag rahi thi.....bas bhage hi jaa rahi thi....apni goad mein ek baccha liye hue.....aur fir wo ruk jaati hai.....main uske pass jaata hu....aur mujhe kuch ho jaata hai....wo apni bacchi ko ek baar chumti hai aur fir usko mere haathon mein deke mujhe jaane ke liye kahti hai....wo aaurat.....wo bahut jakkhmi thi....sayad mere jaane ke bad hi wo wahi pe mar gayi hogi.....Main waha se ek portal kholta hu...aur seedha chala jaata hu ek ghar ke darwaje pe.....maine knock kiya aur ek buddi mere saamne aayi....isko pahle bhi dekha tha maine...kaha ye yaad nahi aa raha.....maine uss bacchi ko uske aath mein diya...aur fir se portal khola aur jaha pe main tha wahi pe chala gaya......

Main - Dhruv ye kya tha....aisa laga jaise iss baar isko control kiya gaya tha....aur wo bacchi wo aurat....aur wo bhuddi wo bhi dekhi hui si lag rahi thi....

Dhruv - Nikita....uski yaadein jab hamne wo dekhi thi to ussi ki tarah thi naa....aur wo buddhi bilkul waisi hi dikh rahi thi.....

Main - To kya wo Nikita thi.....aur wo aurat wo kya uski Mom thi.....

Dhruv - Pata nahi par sayad aisa hi ho.....unke saath bura hua tha.....tumne dekha naa wo jakhmi thi...

Main - Haa bahut jyada....aisa lag raha tha kisi ne unko maarne ki puri koshish ki thi par wo bach ke waha se aa gayi....aur Nikita ko kahi safe jagah pe bhej diya......yaad hai Nikita ke yaadon mein hamne dekha tha wo bhuddi aurat wo bhi marr jaati hai aur fir Nikita ko Prof Suraj ke pass leke chale jaate hai...

Dhruv - Hmm yaad hai mujhe.....sayad ye baat Nikita ko naa pata ho...aur hum bhi confirm nahi hai abhi....to abhi isko bas yaad rakhte hai aur aage chalte hai.....dekho aur yaadein dekho...sayad uss ladki ke baare mein bhi mille kuch....

Karib 3-4 aur yaadein aur main wapas se gusse mein tha.....ye banda aisa tha jisne sayad...saare paap kar rahe honge...

Wahi issi ke saath Pujari ji uss ladki ko uske pariwar ke baare mein bata rahe the....par usse pahle ladki se unhone pucha hi tha ki kya tumko pata chala tum ussi jagah kyun gayi thi...

Ladki - Pata nahi...maine kal bhi to kaha tha mere dimmag mein bas wahi ek jagah hi aayi to kya bataun mein....maine dhyaan bhi lagaya par bas kuch dhundhla sa dikha tha....

Pujari - aur kya dekha tumne ye bhi batao...

Ladki - Pata nahi....main bas..maine dekha waha pe kuch ho raha tha....kya pata nahi.....bas wo jagah mere dimmag mein thi....wo taalab....wo mere dimmag mein thi.....aur kuch nahi pata kya h raha tha waha aur kaise wo mere dimmag mein hai...

Pujari - koi baat nahi....tumhe yaad hona bhi nahi chahiye tha...

Ladki - kya.....

Pujari ji - Kuch nahi ab meri kahani sunno jo tumhare baare mein hai....

Ladki - kab se wahi sunne ke liye hu main...ab aap sunao....

Pujari ji - Bhanupur....ye wo jagah hai jaha pe tum paida hui thi....kahne ko tumhara bahut bda pariwar hai dono taraf se Maa aur Papa dono ke hi taraf se....par...insano mein naa ek Prem vivah ka chalan chala hua tha uss waqt aur tumhara Maa Papa ne bas ussi ke antargat....shadi kar li......aur shadi ke theek 7 mahine baad hi tumhara janam ho gaya....

Ladki - Ek minute insano mein bacche 7 mahine pe ho jaate hai....maine to....

Pujari ji - 9 mahine lagte hai....par tumhara case hi alag tha....prem vivah mein sayad aisa aksar ho jaata hai insano ke bich....shadi se pahle hi garbh mein thi tum...bas issi ke wajah se to tumhare Maa Papa ne bhag ke shadi kari...agar unke ghar walo ko pata chalta to gadbad ho jaati...tumhara janam bhi bade ajeeb dhang se hua tha.....jinhone dekha tha wo kahte hai janam ke waqt tumhari aankhen aur baal bilkul sunahre rang ke the par waqt ke saath wo normal se ho gaye the....kareeb 1.5 sal tak to tum bade acche se rahi thi waha pe....par fir kisi ne ko bhanak lag gayi tumhari......ek insani bacchi jo jaadu jaanti hai jiske pass powers hai....baatein phailne lagi charo taraf.....jo jaaduyi jeev waha the wo aur bahar se bhi kuch tumko dekhne jaane lage......kuch insani bhesh mein jaate to kuch chupp ke.....ye saari baatein Titan tak pahuchi thi....waha se bhi log gaye the tumko dekhne....ek din kisi tarah se tuhmare pass wo aa gaya.....Earth pe uska jaana manna tha.....par wo pata nahi kaise waha pahuch gaya aur usne tumko uthaya aur leke bhag gaya....aur tumhari jagah pe chod gaya ek shaitaan.......Tumhare Maa Papa ke liye wo kisi shrap se kam nahi hone wala tha....tumhari jagah lene ke baad usne naa jaane kya kya kiya.....par uska maksad tha tumhare Maa Papa ko maarna....taaki koi bacche hi nahi waha jisko tumhare baare mein kuch yaad ho...par usne ye aaasani se nahi kiya....unn dono ke bich ke pyaar ko hi khatam kar diya....baat yaha tak aa gayi ki dono ka hi talaq hone wala tha......aur talaq ke baad jaise hi dono akele hote unko maar diya jaata.....par Orion ka ek nivasi ek bahut bade jaadugar un dinno uss jagah pe the...unko pata chala inn sab ke baare mein unhone uss shaitaan ko khatam kar diya...par talaq ko nahi rok sakke...Tum yaha thi.....iss planet pe par tumko waha pe jinda unhone hi rakha....ek nakli pahchan banayi tumhari....tunhari ek parchayi....jisko uske Maa Papa ne manhoosh samajh ke chod diya tha usko insano ke bich rakha....Tum yaha pe....uske sath thi jisko tum apna sab kuch maanti thi.....usne tum yaha pe train kiya...aur apne saath apne kaamo mein laga diya....

Ladki - To mere Maa Baap ne mujhe manhoos samajh ke fenk diya....

Pujari - unhone tumko nahi fenka tha.....wo wo shaitaan tha....

Ladki - ab wo dono alag hai.....aur kaha rahte hai ab wo....main kaise dhundhungi unko.....

Pujari - Tumhari Maa ke baare mein ye pata chala hai ki wo apne maayke wapas chali gayi thi...tumhare Nana aur unke ghar walo ne bahut kuch sunaya par baad mein maaf bhi kar diya....abhi wo wahi rahti hai....aur tumhare Papa......wo sayad kisi collage mein padhate hai.....yaa principal hai sayad waha ke....

Ladki - Par main unko kaise pahchanungi....aur usse bhi badi baat kya wo mujjhe pahchanege aur mujhe apnayenge...

Pujari ji - Ye sab to tumpe hai....kaise kya karti ho.....main bas madad kar sakta hu.....aur kuch karna hi hai to unn dono ko saath leke aana pahle....aur wo jo galatfahmiyan aayi hai unko dur karti jaana sab sahi ho jaayega...

Waha wo dono baatein kar rahe the wahi main uss yaad mein pahuch gaya jiski talash thi mujhe......

Maine dekha....ki ek paalne mein ek bacchi hai.....mere sath bhi koi tha....maine usko uss paalne mein rakha aur bacchi utayi aur chal diya waha se.....waha se nikla aur sidha pahucha...Strange world ke pass ulkapindon ke ek samuh ke pass....jaha pe main kisi ka intezar kar raha tha.....bahut wait kiya par koi nahi aaya.....main uss bacchi ko leke waha se chal diya Strange world mein....waha pahucha to sochne laga iss insan ki bacchi ka kya kiya jaaye.....jiske kahne pe ye sab kiya tha wo to aaya hi nahi....Main to maar hi deta usko agar wo banda naa aaya hota....usne mujhse wo bacchi li aur uske badle kuch paise diye....ab kuch naa se accha kuch hona hota hai.....maine bachi dedi aur chala gaya...

Main - Dhruv ye wahi hai.....yahi hogi wo ladki.....ye insani bacchi hai par isse kuch khass pata nahi chala...

Dhruv - hmm koi bada chalak banda hoga inn sab ke picche.....accha tum bahar aa jaao.....yaha pe Bua mujhe aur Old Owl ko maar degi nahi to...

Main - haa main aa raha hu....

Maine wapas se dhyaan lagaya bahar jaane ke liye....aur tabhi mujjhe ek ajeeb sa jeev dikha.....wo meri oor badh raha tha....

Main - Dhruv ye kya hai.....

Dhruv ka koi jawab hi nahi aaya.....pata nahi kya tha ye.....

Maine apni talwar ko yaad kiya aur wo mere haath mein tha.....wo jeev mere karib aata jaa raha tha....aur main talwar liye khada tha.....samajhne ki koshish kar raha tha ki ye hai kya....

Kuch samajh to nahi aaya par wo jeev mere bilkul kareeb aa gaya tha...Maine Talwar pe apna grip aur majboot kiya....aur uspe waar kiya.....

Meri talwaar usko cheerti hui nikal aayi uske ander se khoon bhi nikla par.....jis jagah ko cheer ke mera talwar bahar aaya tha....wo jagah wapas se judd gayi.....aisa laga jaise waha pe usko kuch hua hi nahi tha....maine wapas se hamla kiya....aur fir se wahi hua.....

Main samajh nahi paa raha tha ye hai kya.....aur isko khatam kaise kiya jaaye......

Main - Dhruv aawaj aa rahi hai kya.....yaha pe koi jeev aa gaya hai main isko maar raha hu par ye.....ye wapas se theek ho jaa raha hai....Dhruv...sun rahe ho kya......

Waha se koi aawaj hi nahi aa rahi thi.....

Itne mein pata nahi kaise waha pe Cooper aa gaya theek mere saamne.....aur fir ek light orb mein badal ke talwaar pe aa gaya.....jisse talwaar ka blade bahut chamakne laga....sayad ye mujhe bata raha tha kaise maarna hai saamne wale ko......maine bhi apne Lightening element ko jagaya aur uski powers ko talwaar ke blade pe kendrit kiya.....jisse wo talwaar bahut hi jyada chamakne lag gaya tha.....maine fir se ek waar kiya......aur iss baar usko cut laga tha......bas fir kya tha....jitne bhi daav pench aate the talwaarbaazi ke saare hi practice kar daale......matlab wo jeev itne pieces mein katta hoga ki ginna muskil ho gaya tha....main bas katta gaya aur katta gaya....jaise hi wo khatam hua main apni Body mein aa gaya......aur

Chattak...chattak.....

Jaha aise kisi jeev ko maar ke aane ke baad taarif milti hai....saabasi milti hai wahi.....mujhe thapad mile the wo bhi 2-2

Main apne galon pe haath rakhe khada tha....

Bua - Mujhse bahas karoge tum.....itne bade ho gaye.....isko bolte ho ki aur maar khani hai....

Main - Kya bolna hai ye to batao.....

Bua -(gusse mein) itni der se bata rahi hu....bol isko...jaha bhi tu jaaye ye mujhe khabar karega....bol warna taange tod dungi ab....

Main - par wo waisa nahi kar sakta Bua......

Bua - abhi to kaha isne ki agar tu haa karega tab hi ye aisa kar sakta hai ab haa bol usko,...

Ab kuch samajh mein aa raha tha ye thapad kyun pad rahe hai....ye sab sale uss Dhruv ka kiya hoga......Bua to bol rahi hai bahas kar raha tha.....isne aisa kar diya..... :doh:

Main - Old Owl tumne ye kaha inse......kya tum sach mein inko bata sakte ho main kaha hu....(aankhen dikhate hue usko kaha maine)

Usne meri oor dekha aur naa kaha fir Bua ne uski oor dekha aur usne haa kah diya.... :doh:

Mujhe ye nahi pata chal raha tha ye sala meri side hai yaa Bua ke.....

Bua - dekho usne kaha hai ki wo bata sakta hai....

Main - Buaa....yaar aap samajh nahi rahi naa.....ab main kahi jaaunga aur aap isse puch ke waha aa jaogi....accha lagega aisa....

Bua - isme burayi hi kya hai....ye to accha hai main hamesha tumko baccha lungi....

Main - yahi to aap hi bachate raho mujhe....main kuch karta hi nahi hu fir....school se bhi nikalwa do...aap to rahogi hi....aap baccha lena...mere saare kaam aap kar dena....main bas ghar pe baitha rahunga....ye accha hoga naa....

Bua - Jyada smart banne ke jarurat nahi hai.....sochne do mujhe.....

Old Owl - wo.....wo log wapas aa rahe hai....

Bua - Kaun log.....aur ye jagah hai kaun si.....aur ye to wahi hai naa.....

Main - Bua thodi der rukko....Old Owl kitna time hai....

Old Owl - T- 600 seconds......

Main - Dhruv sunn rahe ho....

Dhruv - haa sun raha hu.....par ye Cooper ko kya ho gaya....aisa kyun lag raha hai jaise isne bahut saari energy laga di hai apni....thakka hua sa lag raha hai....

Main - wo ek jeev aa gaya tha usko maarne mein isne madad ki.....par ye dono itni jaldi kaise kamzoor ho jaate hai.....aise mein to main mushibat mein pad jaaunga kabhi....'

Dhruv - inko baahar nikala karo....inko bahar ki hawa lagne do...tumhare ander rah rah ke ye kamzoor ho rahe hai....tum sab ki energies combied hoti hai......jitni energy level tumhari hai utni hi inn dono ki bhi.....ab socho do dragons tumhare jitni energy ke saath rah rahe hai.....ye to ye dono manage kar le rahe hai iss wajah se....warna...

Main - Ek minute iske baare mein kabhi aur baat karenge.....yaad hai isko sazza deni thi....kya main maar du isko......waise bhi ye issi ke kaabil hai...

Dhruv - Puch kya rahe ho....maar do.....yaa chod do ye tumpe hai....par sazza ke aur bhi tarike hite hai wo bhi socho...

Main - hmm sahi kaha maar dene se to iske saare dukh hi khatam ho jaane hai....main isko tadpaana chahta hu.....itna jitna koi naa tadpa ho.....batao kya karu main....

Dhurv - jo dard logo ne iski wajah se saaha hai wo dard isko dedo.....ye khud tadapta rahega....

Main - hmm ye sahi hai par kaise.....kaise karu main ye.....

Dhruv - wo jeev...wo abhi bhi laga hua hai uske sar pe.....uske upar haath rakho....aur batao usko kya dikhana chahte ho tum issko....

Main Bua aur Old Owl se thodi dur pade uss taskari karne wale ke pass gaya.....uske sar pe wo jeev tha maine uske upar haath rakha.....

Main - isne jis kisi ko bhi......dard diya hai dukhi kiya hai......ye khud ko unhi logo ke tarah dikhne lage...aur tadpe.....jaise wo sab tadpe the....roye jaise wo roye the....

Maine aisa kaha wo jeev thoda sa chamka....aur maine usko khinch liya...aur fir ussi jar mein band kar diya jisse usko nikala tha.....

Aisa karne ke baad wo taskari karne wala......wo jor jor se chikhne laga....kaan phadd de aisi aawaj....utne jor jor se chinkh raha tha wo.....

Bua ko to apne kaam band karne pad gaye.....aur main.....main bas khush ho raha tha....wo tadap....wo tadap jo maine iski yaadon mein unn logo ke ander mehsus ki thi....jo unn sab ke chahr mein dekhi thi....abhi wahi sunayi de rahi thi mujhe.....ki Bua aayi aur jaadu se uss taskari karne wale ko behosh kar diya....

Main - Ye kya kiya aapne.....aisa kyun kiya....

Bua - kya matlab kya kiya....kaan phaad deta ye....aur khud ka galla phad leta....aine bas usko aaram pahuche iss wajah se behosh kar diya....aur tumne kya kiya uske saath ue jaar mein kya leke ghoom rahe ho.....

Main - Bua aapne accha nahi kiya......wo wo accha nahi hai....wo bahut bura hai uski....uski wajah se bahut se maasum tadpe hai....usko aaram nahi...usko sazza hi milni chahiye.....

Bua - Kya bakwaas kar rahe ho tum.....yaha aao.....

Unhone mera haath pakad ke khud ki taraf khincha....aur mera maatha chute hue check kiya ki kahi main theek hu yaa nahi....

Bua - theek to lag rahe ho fir ye aisi baatein....

Main - Aap samajh nahi rahi Bua.....iski wajah se kitne logo ne apna kya kuch nahi khoya hai....

Bua - theek hai....Old Owl yaha ka iska kaam ho gaya naa....jaldi se portal kholo aur humko bahar leke jaao yaha se.....hamare ghar pe....

Main - Nahi....

Bua - Old Owl abhi karo....

Usne Portal khola aur Bua mujhe waha se leke chali aayi....ghar pe.....

Ghar pe jaise hi pahucha.....pata nahi kaise mere dimmag se jaise uss taskari karne wale ke liye jo gussa tha wo kam sa hone lag gaya.....main samajh nahi paa raha tha....

Bua - jaao jaake pahle haath muh do ke aao.....main dekhti hu Bhabhi kaha hai....aur agar kahi bhage to yaad rakhna baad mein issi ghar mein aana hai aur main yahi milungi...samjhe...

Main - haa.....

Main apne room mein gaya waha ke bathroom mein gaya apna chahra dhoya...saamne aayine mein khud ko dekhne laga......meri aankhen....aisa laga jaise....aakhon ka jo kala hissa hota hai....wo aur bada ho gaya tha mera......aur bahut ajeeb sa lag raha tha....

Maine wapas se chahre pe paani daala....aur fir dekha...to ab kuch normal sa lag raha tha......Maine shower chalu kiya....aur waise hi kapde pehne hue hi.....uske nicche jaake khada ho gaya.....

Thodi hi der mein.....Old Owl ki aaweaj aayi.....

Old Owl - Kaam ho gaya hai....usko jail mein wapas daal diya gaya hai....par wo jo uske jagah pe tha wo gayab ho gaya.....

Main - ek chota sa portal kholo kuch der ke liye....waise waha se Earth pe aise travel karke aane mein kya waqt lag jaayega....

Old Owl - 30 din sayad yaa usse bhi jyada......

Main - Portal khol do phir....aur baad mein baat karte hai....

Usne portal khola...aur usme se Mera Albus mere pass aa gaya aur mere ander chala aaya....uske mere body mein aane se....jaise kuch kuch accha sa lagne laga tha mujhe....

Dhruv - Dark power.....wo tumpe haawi ho rahi hai......sambhalo khud ko.....

Main - Wahi to kar raha hu....aur pahle nahi bata sakte the.....

Dhruv - Main samajh hi nahi paaya......ye sab jab tum uske ander se bahar aaye tabhi shuru ho gaya...agar sahi waqt pe wo chanta aur fir tumko waha se yaha leke aana naa hua hota to sayad abhi Dark Power tumpe haawi hoti....

Main - To Bua ne meri jaan bachayi.....main kaise roku iske......

Dhruv - Albus aur Cooper.....usko aazad chod do.....unki energy ko tum apnao.....jaise abhi wo tumhari apna rahe hai.....

Main - aasan bhasha mein bataoge.....

Dhruv - maine bataya.....ki tum unko aazad kar do.....abhi unki energy levels jo hai wo tumhare itni rahti hai....jaise hi wo aazad honge...bahar rahenge/....khana khayenge...unki energy level badhegi....aur saath hi tumhari bhi kyunki judde hue hai hum sab....

Main - Par wo chale gaye to....

Dhruv - ye phase pura ho chukka hai agar jaana hi hota to kabke chale jaate wo....naa to tumko bachate usse jo tumko talwar chalane shikahne aaya tha....aur naa hi tumhari baat sunte wo...

Maine thodi der socha....

Main - To kaise karu aazad unko....matlab chod du.....ki jaao jaha jaana hai waha jaao.....jee lo apni jindgi...

Dhruv - :doh: accha mazak tha ye....main kah raha hu...aazad karne ko....matlab....unko bahar bhi time do....ghumne do unko....dekhne do duniya.....wo roj aa hi jaayenge tumhare pass....bas kuch pal ki aazadi chahiye hogi unko....din mein 2 ghanta...jab wo bahar jaaye....sab dekhe...chizzen sikhen...aur emergy badhaye apni...

Main - hmm theek hai main taiyaar hu....Main abh.....

Dhruv - Abhi nahi.....abhi iss halat mein nahi hai Cooper.....wo thakka hua hai abhi aaram karne do.....kal se karna ye sab....unn dono ko bahar chod diya karo.....raat meim.....yaa jab bhi tumhe lage.....

Main - thee...

"prateek bachu theek ho naa.....kab se aawaj de rahi hu....main ander aa jaun kya....sab theek hai naa..."

Main - Haa Bua wo main shower le raha hu......abhi aaya aap jaao nicche....

Main tab se shower ke nicche hi khada tha....shower band kiya...pahle kadpe nikale khud ko shukhaya aur bahar gaya.....Bua nicche chali gayi thi :sweat: ....main kapde pehne aur nicche chala gaya.....waha Chachi pahle se baithi hui thi aur Bua se baat kar rahi thi......

Mujhe dekhte hi wo mere pass aayi...

Chachi - Tu theek hai naa....kya ho gaya tha tumko.....

Main - Kuch nahi chachi wo bas....

Bua - tumhari aankhen.....wo kaise badal gayi thi.....sab theek lag raha hai naa....kuch ajeeb to nahi lag raha.....

Main - Nahi Bua wo lagta hai portal ki wajah se...saya.....

Chachi - Portal......kitni baar kaha ki pahle seekh lo.....uske baad karna use...par nahi aapko to sab aata hai.....maine kaha tha naa portal ka use abhi nahi karna hai.....fir kyun kiya....

Main - Arre nahi chachi main....bas.....

Chachi - last warning de rahi hu....iske baad agar kuch aisa hua....to tumko main.....main.....uss waqt bataungi....dekhna bas tum....

Bua - Bhabhi khanna lagao pahle.....bhukh lagi hui hai.....iss gadhe ki wajah se 2 classes nahi li maine.....aur isne bhi apni classes miss ki hai....

CHachi - Haa leke aati hu....tu bhi baith....pata nahi kya kya karta rahta hai.....hazar baar manna karo par inko to fark hi nahi padta kuch......

Aise hi badbadate hue wo chali gayi....

Bua - sab theek hai naa.....

Main - Haa Bua sab theek hai....aap thi to theek hona hi tha naa....

Bua - Kya matlab...

Main - Aap waha se yaha naa laati to gadbad ho jaati fir....

Bua - dekha...issiliye kah rahi hu...Old Owl ko bolo....mujhe tumhari locations ka batate rahne ke liye.....

Phir se wahi baat sunke....mera Muh banne lag gaya....

Main - nahi ye nahi karunga.....par....

Bua - Nahi kya karega.....taange tod dungi....bol usko....aur ye par war naa unke saamne jaha tumhari chalti ho....samjhe....

Main - Arre aap sunti nahi na.....main kah raha hu wo nahi bata sakta....par agar kabhi mushibat mein hua naa....to sabse pahle aapko khabar pahuch jaayegi....pakka...

Bua - accha theek hai itna kaafi hai mere liye par tumko nahi lagta ki tum mushibat mein ho ki nahi ho ye baat tumko pata hi nahi lagti hai.....aaj lagi thi kya pata....

Baat to sahi hai inki.....par main aage se dhyaan rakhunga....

Main - Wo main dekh lunga..aur jab tak khatre naa milenge kaise seekhunga.....aur haa aapko bhi tab bualaya jaayega jab mujhse naa sambhle khud samjhe....aur Old Owl ke saamne chanta kyun mara aapne....

Bua - kyun nahi maar sakti....

Main - Main K.Bua ke saamne aapki burayo karta hu kya....wo dost hai mera aur aap uske saamne mujhe....

Bua - Sochna bhi mat.....meri burayi karne ka anzzam bahut burra hota hai bacchu.....aur theek hai aage se main bhi dhyaan rakhungi.......par usse pahle to waha chal kya raha tha ye sa.....

Chachi - Ye lo....sab khao....kya baatein chal rahi thi...mujhe bhi batao.....

Bua - Wo Bhabhi kuch nahi bas aise hi isko samjha rahi thi.....aage se aisa naa karne ko....

CHachi - haa acche se samjha isko....naa samjhe to mujhe batana....iss baar main samjhaungi fir....

Wo dono mujhe aise hi daanti rahi......

Wahi yaha se dur.....Strange world mein.....

Elf king....unhe abhi tak yaken nahi hua tha iss baat pe ki unka bhatija hoga....jo unko dhokha dene ki koshish karega.....ho bhi kyun....aakhir sab kuch to ussi ka hona tha....fir wo kyun karta ye sab....par saath mein ye bhi lag raha tha Leader kyun jhooth bolega....wo bhi uss waqt jab uski Beti ka sawal ho....kyun wo jhot bolne lag gaya.....

Elf King aise hi pareshan ho rahe the.....

Unhone apne ek khass bande ko bulaya.....kya khass abhi to wo apne saaye pe bhi yakkin nahii kar paa rahe the.....

Wo - Mahamahim aapne hummme yaad kiya....

Elf King - haa......aao kuch baat karni hai....

Wo - boliye maharaj aapka ye shewak sun raha hai.....

Elf King - Mujhe ek tip milli hai.....jiske anusar....(thoda soch ke) jiske anusar tum mere khilaf koi saazish rach rahe ho....

Uss bande ne bas ye sunna......ek pal ko Elf King ki oor dekha....aur fir apni talwar nikal li......

Elf King - Tum mujhpe hamla karoge.....

Wo - Aapne ye soch bhi kaise liya Mahamahim.....khair ab kya hi phark padta hai.......

Usne apni talwar nikali aur dono haathon se uska handle pakad ke khud ke pet mein daalne laga.....par ise pahle talwaar uske ander jaati Elf King uske pass chale gaye....aur uska haath pakad liya.....bahut teezi se gaye the wo.....haath pakda aur talwaar bhi fenk diya unhone....

Wo - Mahamahim......aap mat rokiye mujhe.....aaj maine aapka bharosha khoo diya hai....matlab ye jindgi bhi kho di hai.....mera marna mere liye accha hai...

Elf King - Rukko.....aur sidhe khade ho jaao.....

Uss bande ne Elf King ki baat sunni aur ekdum siddha khada ho gaya......wahi Elf king apni jagah pe wapas chale gaye.....

Elf king - ye ek imtehaan tha.....jisme tum safal hue ho....ab main jo bhi pucchu sab batana

Wo - Aapne to abhi darra hi diya tha.....aisa kya ho gaya jo mujhpe bhi yakkin naa raha aapka....jarur koi badi baat hui hai....

Elf King - Haa baat to badi hi hai.....par sawal yaha main karunga....tum bas jawab do.....

Wo - Maaf kariye Mahamahim....maine aapka apmaan kiya.....

Elf King - Ab shant raho aur meri baatein sunno....kya tum....kisi aise ko yaha laa sakte ho jo The Archery society ke baare mein jaante hai.....

Wo banda....usne ek baar ELf King ki oor dekha....jaise dekh raha ho kya chal raha hai inke dimmag mein....

Elf king - Batao kya jaante ho kisi ko....

Wo - Nahi....par koi hai jiske baare mein sunna hai ki wo jaanta hai uss society ko....aur waha ke kuch logo ko....par aap kyun....

Elf king - Mujhe madad chahiye unki.....abhi iss waqt sirf tum ho jispe main yakkin kar sakta hu....aur koi nahi hai.....jitna maine unke baare mein sunna hai wo mere.....iss gaddi ke wafadaar hai wo kabhi dhokha nahi dete.....unse kaam hai mujhe ek...kuch pata karna hai.....

Wo - Bura naa maane to aap mujhe jaanch ke dekhe iss kaam ke liye....main apni saari shakti laga dunga aapke kaam mein...chahe mujhe kuch bhi ho jaaye....

Elf King - Yahi to main nahi chahta......tum wo aakhiri ho jispe pura yakkin hai mujhe....tumko khona...bada kathin hoga.....mujhe milwao usse jo uss society ke baare mein jaanta hai...

Wo - Waqt lagega Mahamahim par aapka kaam main kar dunga...aaj hi leka aaunga usko yaha mein.....

Elf King - Nahi bewakoof yaha nahi....main khud aaunga waha....tum bas jagah batana mujhe....aur dhyaan rahe hamari ye mulakat......Kingdom mein phaili hui bimari se bachne ke vishay mein hui hai....

Wo - Theek hai Maharaj.....ab aagya de....

Elf KIng - jaao aur meri baat yaad rakhna.....

Wo banda chala jaata hai wahi....Elf King wapas se khud se baatein karne lag jaate hai...

Elf KIng - Ye phaisla sahi hai yaa nahi pata nahi par.....mujhe ye baat pakki karni hi hogi...agar inn sab mein uska naam aaya to usko sazza bhi deni hi hogi......pata nahi aur kya kya dekhna baaki hai.....bas ye mujhe Uss Society tak pahucha de....wo meri madad ke liye maan jaaye bas.....

Yaha Elf King ne soch liya tha Leader ki baat ko confirm karne ka ek hi tarika hai aur wo hai naye Yuvraj ke baare mein har ek baat janna......isme wo kisi aur ki madad lene se katra rahe the....par jaisa ki unhone sunn rakha tha....wo Society hamesha Crowned Elf family ke paksh mein rahi hai,....aur gaddi ki sewwa ki thi....to unhone madad lene ka mann banaya....

Wahi yaha se dur.....Fumos mein.....Leader to kab ka waha se nikalne ko taiyaar hua baitha tha....par dikkat ye thi.....wo Fumos se dur.....rah nahi sakta tha jyada der....ye niyam hai waha ka.....aap leader ho to aap waha se jyada samay ke liye bahar nahi jaa sakte.....ek fixed time period hota tha jitni der aap waha se bahar rah sakte the......par Leader ko iss case mein dikkat ho rahi thi....Earth itna bada.....wo akele....aur dhindhna bhi usko hai jisko inhone bahut pahle dekha hua tha.....

Leader issi samasya ke baare mein to soch raha tha...aur koi upay dhundhne ki koshish kar raha tha....upay waise to wo jaanta tha....par uske badle usko kuch karna padta.....ek keemat...

Leader jammin pe baitha hua tha.....Fumos se connect ho raha tha.....

Fumos - Batao kaise yaad kar liya mujhe....kya phaisla kar liya iss bhar se mukt hone ka......

Leader - Nahi.....main tumse ek favour chahta hu....

Fumos - Batao.....kaisa favour chahiye tumhe...

Leader - Main jyada waqt tak tumse dur rahna chahta hu.....

Fumos - Manjoor hai.....

Leader - Kya keemat chukani hogi mujhe.....

Fumos - Itne saal se mujhse judde hue ho ki ab sab samajh jaate ho tum....keemat to chukani hi hogi....shabit karo khud ko......ek ladayi....dopaher wali......kisi ek ko chunno usko harao....aur tumko main waqt de dunga....

Leader - Par uss waqt to main waha jaa hi nahi sakta....

Fumos - Ye niyam maine banaya tha.....ab main hi todne kah raha hu...jaao abhi....aur lad ke aao......chalo itne baras mere saath rahe ho ek gift to banta hai....Bonus bhi milega tumko...

Leader - Kya matlab hai iska...

Fumos - kisi 1 ko maaro....aur khud ko shabit karo.....uske baad bhi agar tum logo ko maarte ho......to tumko aur bhi jyada waqt dunga main....

Leader - Kitna waqt....

Fumos - 1 maut pe ek din diya....tum bhi kya yaad rakhoge....

Leader - tum mazak kar rahe ho....agar aisa kiya to tum bach nahi paaoge....

Fumos - Naya Leader aa gaya hai yaha.....aur jab tak wo yaha rahega tum bahar rah sakte ho....

Ye baat sunte hi jaise Leader khushi se pagal ho gaya.....

Leader - To....to kya wo....wo jab tak yaha hai main bahar rah sakta hu....matlab....main aise hi aazad ho sakta hu....

Fumos - Aazadi ki keemat pata hai tumko....maut bas wahi tumko aazad kar sakti hai....abhi naye Leader ko apna saara bhar saunp do aur aazad ho jaao.....

Ghumphir ke baat wahi aa gayi thi....Kaha Leader ye soch raha tha wo inn sab se aise hi nikal paayega aur phir apni Beti ke saath rahega....par...sayad aisa kuch hona hi nahi hai....mann maar ke Leader ne khud ko taiyaar kiya....aur uss jagah se nikal wo pahuch gaya bahar....jaha pe sab lad rahe the....

Leader ne ek bande ko dekha...jo abhi h kisi se jeeta tha...Leader ne usko chunauti di.....

Usko yaad aaya kaise wo iss planet pe pahucha tha.....wo lalach...wo power ki bhookh jo usko yaha leke aa gayi thi...jisne bad mein usse uska sab kuch cheen liya....

Saamne se aa raha wo banda....usne aate hue hi jammen par se kuch pathar uthaye aur usse Leader ko maarne ki koshish ki...par Leader ke sharir pe lagte hi wo pather hi chaknachur ho gaya.....Leader ne apne haathon se uss bande ka kaath pakda....aur bade hi aaram seuska haath madod diya...yaa kahe tod diya ho...

Wo puri jagah iss waqt jung ka maidaan banni hui thi har taraf se chikhne aur chillane ki aawajein aa rahi thi par......leader ne jiska haath madoda tha uski aawaj sabhi ke kaano mein gayi thi....agar koi x-ray karke dekh leta to wo bhi chakra jaata.....uss bande ki haath ki hadiyan....karib 5 tukdon mein bat gayi thi.....

Leader - Abhi bhi taakat hai mujhme....itna bolte hue....usne....saamne wale bande ka sar apne haathon se pakda.....aur press karne lag gaya usko.....wo banda chilla raha tha....bahut jyada chilla raha tha...aur fir....ek kadddd aur phach ki aawaj ke saath chilane ki aawaj khatam ho gayi uski.....

Leader ke haath purre khoon se sanne hue the.....wo banda.......uske sar ki to chatni ban chukki thi.....

Leader - saabit kar diya maine khud ko....abhi bhi dum hai mujhme.....ab Bonus ki baari hai......

Iske baad jo khoon bahaya tha Leader ne puccho hi mat....15 logo ko maar chukka tha wo.....wahi Slayer......wo theek dusri taraf tha abhi Leader ke.....bas yahi ek wajah thi....jiss wajah se aaj dono mein ladayi nahi ho paayi....nahi to pata chal hi jaata kisme kitna dum hai....

Slayer bhi kam nahi tha....par usne jaise khud se samjhauta kar rakha tha....wo bas is jagah se nikalne ke baare mein sochta rahta....wo bas yaha pe utna hi kaam karta jisse wo jinda rah sakke.....

Ye badlaaw sayad waqt ke karan hua tha....par isme sirf waqt ka haath nahi tha.....Strange worlds se ayye hue logo ka bhi haath tha.....Slayer ne iss baat pe gaur kiya ki jab bhi wo Strange world se aaye hue logo ko maarta hai aur unko khata hai to usko bahut jyada taakat milti hai itni ki wo dhyaan laga pa raha tha....par gadbad tab hui jab usko pata chala ki ab saare Strange world wale log mare jaa chukke hai....to ye ab power generate nahi kar paa raha tha....Slayer ko lagne laga tha agar usne ek din mein 4 yaa 4 se jyada Strange world se aaye logo ko maar ke unki aatmayein khaayi to wo wapas pahle jaisa hi powerful ho jaayega aur iss jagah se nikal jaayega.....par aisa hona mushkil tha kyunki waha se abhi log aa hi nahi rahe the....to bas ye apna waqt kaat raha tha.....

Ladayi ka samay khatam hua aur Leader wapas se apne kamre mein aa gaya aur jammen pe baith gaya.....

Fumos - taakat to abhi bhi hai tumme......ispe shaz nahi kiya jaa sakta.....

Leader - tumne jo kaha tha yaad hai naa.....

Fumos - Meri baaton pe bhi shak nahi kiya jaa sakta....jaisa kaha tha waisa hi hoga.....16 log maare hai tumne.....1 khud ko sabit karne ke liye aur baaki ke 15 bonus.....khud ko shabit kiya...iske liye 5 din diye tumko.....5 din tum bahar rah sakte ho......

Leader - Bonus ka kya.....

Fumos - Tumhari issi aadat ki wajah se hum dono ek hue the naa.....sabr hi nahi hai tumme....bas bhookh hai ek tumhare ander.....aur jaise hi mauka milta hai tum lag jaate ho....

Leader iss baat ko sunke yaad karne laga kaise usne puri baat nahi sunni thi aur haa kah diya tha.....aur iss jagah pe phass gaya tha wo....

Fumos - !5 log maare hai tumne....to 15 din aur diye......par

Leader - Ye tumhara par kabhi khatam nahi hota naa.......har ek line mein ye par aa hi jaata hai tumhara....batao iss baar kya hai iss par mein.....kya chahte ho......

Fumos - Ab tum mujhse itne lambe waqt tak jab dur rah sakte ho to jab yaha aaoge to yaha bhi jyada din rahna hoga.....

Leader - ye kya baat hui.....aisa to koi sauda hi nahi hua tha....

Fumos - yahi ek baat hai.....ab ye tumpe hai ki tum kya chahte ho....mere saath rahna yaa fir hamesha ki aazadi....matlab maut....chun lo....

Leader - batao kitne din badhaye hai waha tumne....

Fumos - 20 din tum bahar raho....par uske baad jab yaha aaoge to 10 din tak kahi bhi nahi jaa sakte tum......bas yahi rahoge.....aur iss baat ka bhi dhyaan rakhna hoga...tumhare jaane ke baad yaha pe sab sahi se hota rahe.......

Leader - Uski chinta mat karo......yaha pe kabhi kuch sahi se nahi hota.....aur ye 10 din.....mujhe manjoor hai....

Fumos - Agle chand se tum ye shuru kar sakte ho.....

Chand ka matlab ho gaya full moon...inka alag hisab hai naa...

Leader - Theek hai....

Chalo aaj ke liye itna hi....wo hamare bade Dada ji expire kar gaye....aisa hi kahte hai naa :sad: khair umar bhi ho gayi thi unki...bimar bhi the.....bas issi wajah se update aa nahi paaya....ab leke aa gaye hai update...

Next update mein dekhte hai.....Elf King ki mulkat Archery society ke logo se....Prateek ka Albus aur Cooper ko bahar chodna...dekho kya karte hai wo dono.....aur Lucifer ke passs chalenge kyunki ek baar fir se.....Dark power ne apni chaap choddi thi....aur Lucifer.....wo isko pahchan hi lega....apne Bete ke liye wo kuch bhi karega...
Awesome update mitr
 
Vk248517

I love Fantasy and Sci-fiction story.
5,914
18,131
189
N

Nie updates bro
 
Naik

Well-Known Member
22,999
80,542
258

Bahot zaberdast shaandaar lajawab update bhai
Bahot khoob superb
 
Xabhi

"Injoy Everything In Limits"
10,210
42,770
174
Superb awesome update bhai kya bat hai old owl ke commend dete Samay kafi thril tha fir dimag me ghush kr bhi
Ye Nikita ke papa fumos se bate karte hai interesting to Aaj leader ne bhi apne hath khole
Bua ne bcha liya bhai
dost or gf ke samne koi mare to baki Aap samajh hi gye honge
College ke principal papa or koi lady us ka dekhte hai kya hota hai
Awesome writing skills
 
ANUJ KUMAR

Well-Known Member
2,669
13,384
158
UPDATE - 60

Aaj bhi wahi sapna....pata nahi kya ho raha tha.....kya hai uss darwaje ke picche jaise hi main usko chuta hu main jaag jaata hu....aur iske baare mein to Dhruv bhi baat nahi karta sayad mujhe usse puchna chahiye ye.....

Abhi yahi koi subah ke 4 baje honge...aur aaj bhi ussi tarah meri neend khul gayi.....Main fresh hua aur chal diya dhyaan lagane ko par baar baar dimmag mein wahi darwaja wahi sapna aa raha tha...aakhir kya tha uss darwaje ke ander...

Main - Dhruv mujhe naa ek sapna aa raha hai kuch dinno se....

Dhruv - sapna aaa raha hai.....kaisa sapna...aur mujhe iske baare mein kyun pata nahi...

Main - Matlab....kya tumhe mere har sapne ke baare mein pata hona chahiye....

Dhruv - haa aisa hi kuch.....main tumse judda hua hu.....par chizzen pata nahi kyun waisi nahi ho rahi jaisa maine socha tha.....

Main - Kya socha tha tumne....

Dhruv - Main tumse judda hua hu aur mujhe tumhari har ek baat ka pata hona chahiye tha par yaha aisa hai ki main tumhare mann ki batein bhi nahi jaan paa raha hu....

Main - To tum jaan ke kya karoge....mujhe jitna batana hota hai main wo batata hu naa.....

Dhruv - Haa par mujhe aur bhi janna hai....

Main - Nahi aur kya janna chahte ho ye batao...main din bhar khane ke baare mein sochta hu ye janna chahte ho....main kabhi kabhi tumpe bahut gussa ho jaata hu ye janna chahte ho...dekho jitna main chahta hu tumhe pata chale utna tum jaan hi jaate ho naa....aur ba ye sab chodo aur jiss baare mein Main baat kar raha tha waha pe aao...

Dhruv - haa theek hai waise bhi jiss tarah ki halat abhi tumhare dimmag ki hai main aise hi theek hu....nahi janna kuch aur bhi.....accha ab batao kya batane wale the tum....

Main - Sapne ke baare mein.....ek sapna aa raha hai kuch dinno se.....ek bada sa darwaja hota hai main usko dekh raha hota hu.....aur jaise hi usko kholne ke liye haath badhata hu charo taraf raushni phail jaati hai aur main jaag jaata hu...

Dhruv - Kaisa darwaja tha wo aur kuch dekha tha usme....upar koi board yaa aas pass koi cheez....handle kaisa tha darwaje ka....

Main - Ye sab maine nahi dekha....aur kya main ye sab dekh sakta tha....wo sapna tha....jitna dikha maine wo bata diya....

Dhruv - ye tumhara sapna tha.....aur tum kya ho ye tumhe khud nahi pata.....agle baar jab ye sapna aaye to aas pass ki chizzon pe bhi dyaan dena....taki mujhe pata chale ki ye sab hai kya...

Main - theek hai main koshish karunga....

Dhruv - Ye naye element ke baare mein kuch pata lagaya yaa nahi....

Main - sayad main kareeb hu.....kal maine Lemmo ko dekha tha aasmaan mein kuch karte hue.....aur isse mujhe yaad aaya mera element bhi ussi tarah ka hai kuch...sayad ye aasmaan se related hai....

Dhruv - haa ye ussi se related hai par bahut khass hai.....tumne Leemo ko aasmaan mein baadalon ko shape dete dekha tha......wo water element ka use kar raha tha aur thda bahut wind element ko...par tumhare pass jo hai usse tum inn sab se jyada kar sakte ho....tum apni....yaa kisi aur chizz ki aakar kam jyada kar sakte ho saath ho par uski takat utni hi rahegi....

Main - jaise mein....

Dhruv - Saamne pather dikh raha hai naa....usko dhyaan se dekho....aur socho ki wo bada ho raha hai...

Maine waisa hi kiya aur wo sach mein bada ho gaya.....

Main - wooooo ye to kammal ka elemeny hai aur kya kya hota hai isse....

Dhruv - aas pass bhi dekh liya karo pather bada nahi hua hai tum chote ho gaye ho :sigh: issi wajah se dhyaan lagana jaruri hai.....iski limits nahi hoti....par insani body ki limit hai....tumhari ye bodi....abhi bas 2 feet jitni hi choti hogi....par agar tum aur dhyaan lagao to ye 2 feet kam hoke 2 inch tak jaa sakta hai.....aur bade hone ki limit abhi ke liye sayad 10 feet hogi usse jyada nahi....par aage ye aur badhegi aur 20 feet ke karib ho jaayegi....par haa tum baaki chizzon ka size bada chota kar sakte ho jitni unki limit rahe utni....

Main - ye to kamal ki power hai....

Dhruv - abhi pura kaha sunna hai....iska sabse accha use aata hai ladayi ke waqt.....aap apne hathiyaar ko bada kar sakte hai aur samne wale ka chota....ye sab....

Main - haa main samajh gaya...aur bhi kuch hai kya isse element mein jaise water element se hum paani ke sabhi forms pe kaabu kar sakte hai waise iske bhi types honge naa...

Dhruv - iske baare mein abhi bahut si baatein raaz hi hai...main bhi utna nahi jaanta jitna pata tha wo bata diya hai maine.....Ab ye tumpe hai iske raaz jaan paate ho yaa nahi....

Main - hmm thik hai.....

Main pahle to apne sahi shape mein aaya aur fir dhyaan mein baith gaya...aur lag gaya apne iss wale element ko aur majboot banane mein....

Thodi der mein baaki sab bhi aa gaye...aur wo sab bhi dhyaan mein baith gaye....

Dhyaan se utha to waha pe Bua thi aur Kavita madam bhi....Bua ne mujhe dekha....aur bade pyaar se kaha...

Bua - Bacchu chal mere cabin mein chal thodi baat karni hai tujhse....

Itne pyaar se abhi tak to kabhi baat nahi ki thi mujhse.....Mujhe laga sayad khush hongi kisi baat ko leke iss wajah se.....par ussi waqt maine dhyaan diya...Kavita madam hasse jaa rahi thi....par mein unki hassi ka karan nahi samajh sakka....

Main - Main taiyaar hoke aata hu Bua fir class bhi jaana hai naa.....aur aaj sham ghar chalenge naa hum...

Bua - Arre bacchu kya taiyaar hona....baad mein ho lena naa taiyaar....

Kavita madam (haste hue) - Kya Poonam taiyaar hoke aana chahta hai to accha hi hai naa.....tumhe bhi sayad accha lagee.....

Bua ne unki oor dekha......aankhen dikhate hue....par wo tab bhi hasse jaa rahi thi....

Bua - Haa bacchu tu jaa taiyaar hokke aa.....par aana theek hai naa....main wait karungi tumhara...

Main - main abhi aata hu bua...

Main room mein gaya jaldi taiyaar hua aur fir waha se sidha chal diya Bua ke cabin mein .....raste mein Pankaj dikha mujhe.....

Pankaj - Aur bhai kaise ho....kal club mein nahi dikhe the tum....Prof. Poonam bahut gusse mein thi isko leke.....

Main - Haa wo main kuch kaam tha....kya Bua gusse mein thi....

Pankaj - Haa wo bhi bahut gusse mein aisa lag raha tha ki sabko wahi pe patak patak ke maaregi.....

Pata nahi kyun par pankaj ki baatein sunn ke mujhe apna aane wala waqt bhi dikhayi dene laga mere haath khud hi mere galon pe chale gaye....

Pankaj - Kya hua gaal mein kuch hua hai kya.....yaa daant ka dard hai....

Main - Kuch hua nahi hai par ab lagta hai hoga....tum jao main baad mein milta hu....

Pankaj - theek hai bhai....accha haa aaj to week ki last class hai naa......sham ko kahi chalte hai naa....manna mat karna yaar...ab jab tak sath nahi rahoge main kaise khud ko accha dikha paunga.....tum to mujhe wahi bura Pankaj hi samjhte rahoge....

Main - Main Bua ke sath ghar jaane wala tha...lekin tum kah rahe ho to thode waqt ke liye chala aaunga....par jyada der nahi....

Pankaj - bahut accha....theek hai mainn bus stop ke pass milunga.....

Main - Haa....

Itna bol main wapas se aage badhne laga dheere dheere.....ab samajh aa raha tha Bua ka itne pyaar se baat karna aur Kavita madam ka aise hasna....

Main unke cabin ke pass pahucha.....waise to darwaja khula tha par maine fir bhi knock kiya.....

Bua ne meri oor dekha aur bade hi pyaar se wapas kaha....

Bua - Bacchu aao naa ander darwaja knock karne ki kya jarurat hai....aate waqt naa band kar dena darwaja...

Main darwaja band karke unke pass jaane laga....

Main - Bua wo main kal.....ek kaam se thoda...

Bua - oo to mere pyare bacchu ko pata chal gaya main kyun bula rahi thi....(chillate hue) tumko kaha tha naa maine binna bataye kahi naa jaao aur tum....tumm meri baat hi nahi sunte....

Main chup raha.....

Bua - Ab bologe bhi kaha gaye the.....main yaha tumhe dhundh dhundh ke pareshan ho gayi thi....ghar pe bhi nahi gaye the kaha the tum....

Main fir bhi chup raha ....

Bua - Kavita isko pakdo ye aise nahi sunne wala aaj ispe magic kar hi deti hu....

Kavita madam - Poonam yaar chodo bhi dekho bada ho gaya hai.....kahi gaya hoga ghumne.....ab kya isko apne pallu se baandh ke rakhegi....

Bua - isko bata ke to jaana chahiye tha naa kal dekha nahi tha main kitna pareshan thi.....ghar pe bata nahi sakti agar batati to issi ko daant padti

Main - sorry Bua

Bua - sorry.....bacchu tumko pata bhii hai main kitni pareshan thi......ek to wo tumne uss aadmi se ladayi kari thi mujhe laga kahi uske sathi naa aa gaye ho tumhe pakadne ke liye.....Main kal hi kahne wali thi tumko ki yahi raho abhi school mein hi yahi safe rahoge par waqt nahi milla tha....

Main - Sorry naa bua....

Bua - aage se aisa kuch kiya to dekh lena.....main ye nahi kahti ki tum bahar matt jaao kahi ghummo mat par aise classes bhi bunk karna sahi nahi naa.....iss baar kuch nahi kar rahi...aagli baar samajh lena...

Main - hmm (mann mein) kuch bhi nahi kiya...sach mein bahut pareshan ho gayi hogi....

Bua - Ab yahi rahna hai abhi kaha naa class bunk nahi karte jao class mein class shuru hone wala hai....

Maine waqt dekha to sach mein tme ho chukka tha aur maine nasta bhi nahi kiya tha....

Main - arre maine to nashta bhi nahi kiya aur class ka time bhi ho gaya....

Bua - haa to sazza milni hi chahiye thi naa....ek waqt ka khana naa milna sahi hai....ab agar wapas se binna bataye gaye to din bhar khana nahi milega....niklo ab...

Main usko dekhe jaa raha tha....kitni acchi tarike se unhone sazza di...khana hi nahi khane diya... :sigh:

Main waha se utha aur 1st class ke liye nikal gaya...class mein wahi sab hathiyaar ke baare mein bataya jaa raha tha....ye class khatam hui mujhe bhookh lagne lagi par abhi khane ko kuch mil nahi sakta tha....Main 2nd class ki oor jaa raha tha tab Bua wapas milli....unke haath mein ek apple tha....mujhe laga sayad daya aa gayi hogi inko ye apple mujhe de degi....par theek mere saamne aake apple ko khate hue chali gayi....

Mood kharab ho gaya....3rd class ki oor jab jaa raha tha tab main ye soch raha tha jaldi se class khatam ho aur main dopaher ka khana khane jaun...par wapas se Bua ne mujhe bulla liya....Maine pahle to socha nahi jaata hu.....phir pata nahi kya hua main chal diya ussi oor....Bua apne cabin mein baithi hui thi...unke saamne 2 plates lage hue the.....Main gaya waha....

Bua - aao baitho....khana khao...

Main jaldi se baith gaya aur khane laga....

Bua - Bukh lagi thi naa...

Main - Haa....

Maine khana khaya aur uss waqt Bua mujhe samjha rahi thi aage se aisa nahi karne ke baare mein wapas....Khana khatam hone ke baad mujhe yaad aaya Pankaj ne mujhe aaj apne saath chalne ko kaha tha maine socha is baare mein Bua ko bataun....

Main - Bua wo Pankaj ne aaj mujhe apne saath chalne ke liye puccha....

Bua - haa to tumne kya kaha.....

Main - wo bahut emotional baatein kar raha tha to maine bhi thodi der ke liye bol diya hai....main jaun kya....

Bua - Jao...waise bhi tumhari Master aayi thi unhone kaha hai tumko baandh ke nahi rakhna hai issi wajah se baith ke khana khaa rahe ho yaha....warna chunne bhi naa deti....par haa jaise abhi bataay naa waise hi bata ke jaaya karo...aur class bunk nahi karne ka samjha...

Main - thik hai Bua aur master mujhse mil nahi rahi abhi kuch dinno se....

Bua - pata nahi wo tum dono ke bich ka hai main nahi janti chalo ab class mein chalte hai.....

Main Bua ke saath chal diya class ke liye class khatam hua....aaj maine socha tha ki koi ek club jaunga par aaj chukki week ki last class thi iss wajah se club band kar rakhe the pata nahi rules the aise sayad......khair main apne room mein aa gaya.....thodi deer wahi raha......

Main - Old Owl se puchta hu uss taskari wale ka pata chala ki nahi.....

Maine Old Owl ko yaad kiya aur usse puccha iss baare mein....

Old Owl ki aawaj aayi...

Old Owl - Usko abhi waha ke court mein bheja jaana hai......uspe aur bhi charges lage hue hai......wo bahut waqt ke liye jail jaane wala hai....

Main - usko ek baar milna hi hoga tabhi hum uske mind ko padh paayenge....

Old Owl - tum mind kaise padhoge....

Main - wo mere pass ek tarika hai....accha ek aur baat batao.....ye Bijli ki madad kaise karu kuch idea do...

Old Owl - Main kaise bataun mujhe pata hota to main unhe nahi bata deta.....waha ke vaidyon se kuch nahi ho raha hai....sayad tum kisi aise ko jaante ho jo inn sab ke baare mein jaanta ho....

Main - Ek doctor....haa aisa hi kuch....main samajh gaya hu...

Old Owl - kya....

Main - abhi jaao baad mein batata hu......ek minute uss ladki ke baare mein bhi kuch pata chala hai kya yaa wo wahi hai Nix temple mein.....

Old Owl - Haa wo abhi wahi hai training le rahi hai......kuch jyada dilchaspi nahi le rahe usme....

Main - nahi wo bas aise hi ab jao.....aur haa Leemo ki madad karte rahna wo mushibat mein ho to mujhe bata dena.....

Old Owl - theek hai....kuch aur kahna hai wapas se nahi rokoge naa....

Main - Nahi sab ho gaya jao ab...

Wo chala gaya.....wahi main room mein ye sochne laga ki ab doctor ko kaha se dhundha jaaye....mere dimag mein Kavita madam aayi.....haa wo bhi doctor hi thi par pata nahi unko waha kaise leke jaaunga.....

Main yahi sab soch raha tha ki itne mein Pankaj ki aawaj aayi bahar se....Maine usko rukne bola jaldi se ready hua aur Bua ko wapas se ek baar uske saath jaa raha hu bol diya....unhone kaha ghar pe aa jaane seedhe....

Maine socha agar aaj bhi Kavita madam hamare hi ghar aayi to main unse puch sakta hu iss baare mein.....Main Bua se unke baare mein puccha to pata chala wo wahi aane wali hai...

Main fir waha se Pankaj ke saath chal diya....main nahi jaanta tha wo kaha leke jaane wala tha mujhe.....

Maine usko bus ke pass jaane ko bola tha main bhi wahi chala gaya Bus aayi ussi ne ticket kharidi.....

Main - kaha jaa rahe hai hum....

Pankaj - Ladayi dekhne....bahut mazza aata hai usme.....

Main - ladayi dekhne....tum sach kah rahe ho.....tumne mujhse kaha ki main tumhare saath aaun taaki tum mere saamne khud ki image sahi kar paao aur ab tum mujhe ladayi dikhane leke chal rahe ho....

Pankaj - arre bahut mast ladayi hoti hai waha tum chalo to sahi.....

Maine kuch nahi kaha aur bus wapas se ruk gayi hamara stop aa gaya tha....ye pata nahi kaun se jungle mein leke aa gaya tha mujhe.....maine aas pass dekha pura ka pura jungle hi tha ye.....

Main - ye to jungle hai....

Pankaj - Mere picche picche aana...issi insani kabile mein hoti hai ladayi....

Main - Insani kabila...hum Insano ki ladayi dekhne aaye hai....

Pankaj - Aisa kisne kaha....ye kabila insano ka hai jo hum jaison ko jaante hai.......aur paison ke liye humme yaha ladne dete hai....

Main - matlab ladne wala hum jaisa hi hota hai.....

Pankaj - haa sahi sunna....ab chalo chup chap aur dhyaan rahe jyada bolna mat.....ye log hamari bhasa samajhte nahi hai.....kahi kuch ulta puta samajh baithe to leni ke deni ho jaayegi...

Main - hm thik hai....

Main bhi aage chalta gaya Pankaj ke saath hum ek lakdi ke banne chote se kutiya ke pass aaye.....

Main - kaha hai kabila aur ladayi kaha ho rahi hai....

Pankaj - ladayi iske ander ho rahi hai aur kabila yahi hai jaha hum khade hai....wo sab chuppe hue hote hai...

Pankaj ne apne pocket se sone ke 2 sikke nikale aur unko hawa mein uchala....aur sikke gayab.....jaise hi sikke gayab hue wahi wo kutiya ki gate khuli...bahar se dekhne mein jitni hi choti thi ye....ander se utni hi badi thi ye kutiya.....main to dekhta hi rah gaya....bahut se log aaye hue the yaha....tarah tarah ke log...

Dhruv - ye jagah sahi nahi hai...yaha nahi aana chahiye tha.....

Main - Pahle kyun nahi bataya.....ab aa gaye hain to thoda ruk jaate hai....

Dhruv - dekhte hai ab yaha kya hota hai....

Main aur Pankaj dono ander gaye usne acchi seat li thi hum wahi se ladayi dekhne lage...abhi ek 3 element wala banda waha pe khada tha...jiske pass water air aur saath hi fir element the....aur uske saamne ek 2 element wala banda earth aur air ka....dono ke bich ka mukabla hona tha...

Main dhyaan se dekhne laga...

F1 joki 3 elements wala tha usne shuruwat ki....aur pahle air element aur fire element ko milla ke hawa mein ek aag ka bhawandar bana diya aur uski oor fenka......

Main to dekhta hi rah gaya.....bahut hi aascharay karne wala drishya tha mere liye ye.....

Saamne wale bande ne uss bhawander mein chote chote pather de diye....aur khud ko ek pathar ke piche chippa liya.....usse hua ye wo pather yaha waha jaane laga....aur usse F1 ko bhi chott lag rahi thi saath hi baaki sab jo dekhne aaye the unko bhi chott lag jaati agar uss purre jagah ko ussi waqt ghera naa jaata.....jaise hi usne aisa kiya tha uss ring ke charo taraf energy field phail gayi jisse wo pather bahar nahi aa sake....

F1 ne takat ka use kiya tha aur F2 ne dimmag ka...Jab F1 ko jyada chot lagne lagi usne....paani se uss bhawandar ko bujhana chaha...par hua kuch aur...wo bhawander ab aag aur paani dono ka ban gaya tha....aur uske ander jo pather the wo uss paani ke tezz bahao ki wajah se aur aag ki garmi ki wajah se tutne lage the...aur chote chote kanno mein badal gaye the....F1 ne usko waise hi rahne diya aur tezz force ke saath paani ki dhaar chodi uss pather pe jaha pe F2 chippa hua tha....aur saath hi ussi paani ke baad aag bhi uski taraf dene laga.....pather pahle kuch soft hota aur fir tut raha tha....

Main - Ye F1 to bada bailbuddhi lag raha hai....ye to haar jaayega aise mein....

Pankaj ne meri oor dekha.....aur apna saar peet liya....

Maine aas pass dekha to sab mujhe dekh rahe the aur muskura rahe the....main samajh nahi paaya ye sab aise kyun muskura rahe hai....

Maine wapas se match ki oor dekhna shuru kiya....abhi bhi F1 laga hua tha aise hi F2 ke pather ko pighlane mein....

Main - Kitna bada chutiya hai ye....isse accha apne wind element se hamla kare....

Iss baar bhi sab dekhne lage.....Pankaj haath jod ke mujhe ungli se chupp rahne ko bol raha tha...par mujhe samajh nahi aa raha tha kyun ek to ye mujhe iss gadhe ki fight dikhane leke aa gaya hai aur ab :sigh:

Wapas dekha to abhi bhi F1 laga hua tha aise hi.....usne lagbhag se pathar ko pighla diya tha.....aur tabhi F2 ne apne wind element se uske upar bahut jorr ka waar kiya.....wo banda pahle se hi thak chukka tha to iss waar ko sambhal nahi sakka aur gir gaya...

Main - Pata tha ye haarega :sigh: isse accha to koi baccha lad le...

Maine theesri baari apna muh khol liya tha....aur iss wahiyaat si jagah ka ye niyam tha ki jo bhi aisa karega usko agla mukabla karna hota tha jeetne wale ke saath.....aur agar wo jeeta to usko inam milega aur haara to sazza.....sazza koi fix nahi thi yaha ki kuch bhi sazza de dete ye logo ko......par mujhe kaha pata tha ye sab....aur jo mujhe yaha laaya tha usne bhi kaha kuch bataya tha iss bare mein...usne to bas kaha tha bolna mat thodi kaha tha bologe to ladna padega....

Mujhe ye sab tab pata chala jab main ring ke bilkul pass pahuch gaya tha.....Ye sab kab hua kaise hua pata bhi nahi chala....main abhi apne jagah pe hi tha ki tabhi meri seat udhte hue waha aa pahuchi...

Mujhe ring ke pass utara gaya.....aur fir announcement hui....

"agla mukabla F2 aur iss ladke ke bich hogi....isne khud usko challange kiya hai"

Main samjha hi nahi fir baad mein mujhe inn sab ne samjhaya yaha ke niyam....aur ring mein bhej diya...

Main - Dhruv ab main kya karu....

Dhruv - Maine kaha tha jagah sahi nahi hai ye....ab lado aur kya.....par khud pe kaabu rakhna....thunder element hi use karna bas....aur kuch nahi....

Main - samajh gaya..

Ab ladna to tha hi main bhi taiyaar ho gaya saamne mere tha F2 2 elements the iske earth aur wind....wahi mere pass bhi 2 the par use 1 karna tha tunder....wo bhi aaram se....kisi ko meri powers ka andaza nahi hona chahiye waise....

Iss baar waar usne kiya....main bas bachna chahta tha....to jab usne wind element se ek tezz hawa ka jhonkha banaya aur usme earth element ki madad se pather daal diye....to maine apne thunder element se apne saamne ek triangular shape ki shield bana diya...isse hua ye ki hawa katt ke mere aas pass se gujar gayi aur jo pather the wo bhi tut gaye thunder element ki wajah se....

Sabne mere shield ka aakar dekha aur chillane lage...accha shape tha uska...dimmag sahi lagaya tha maine...

Usne wapas se waar kiya iss baar ek bhawander.....sirf bhawander.....par sayad iski akal thikane nahi thi....maana main hawa ko nahi kaabu kar sakta par bijli to mere pass hai....maine uss bhawander pe thunder element se uspe kaabu paane laga usme itni thunder waves daal di ki jaise wo bas ek bijli ka gola tha jo ghumme jaa raha tha....aur wo uss F2 ke kaabu se nikalta jaa raha tha aur mere kaabu mein aata jaa raha tha....

Maine usko ussi ki taraf modd diya.....usne jab usko apni oor aate dekha usne pathoron mein chipne ka socha.....par ye bijli hai...pather toot jaate hai jab bijli girti hai....maine aur thunder attacks kiye....itne ki uske chupne ki jagah barbaad ho gayi aur abhi bhi wo bijli ka bhawander ske picche hi tha.....ab woo kuch aur karta usse pahle maine ek thundeer attack thi uske upar kar diya jisse wo nicche gir gaya baaki kaa kaam uss bhawander ne kar diya.....

Waha pe sab muh baaye mujhe dekh rahe the....ye mukabla to jaise shuru hote hi khatam ho gaya ho.....

Maine Pankaj ki oor dekha jab main ring mein aaya tha aur tab usko dekha tha tab wo pareshan dikh raha tha...sach mein pareshan aur abhi wo thoda khush dikh raha tha....

Main aur logo ko dekh raha tha tabhi waha dhuwan sa phail gaya....aur hum sabhi ke saamne ek banda aa khada hua...ajeeb se kapde the uske....dekhne mein hi joker lag raha tha wo...

Wo - Tum jeet gaye ho....ye lo tumhara innam...

Wo pagal mujhe ek kagaz de raha tha....pata nahi kya tha usme....maine usko liya.....khola to usme ek ajeeb si drawing banni hui thi...aisa lag raha tha class 2 ke bacche ki banayi hui hai....

Main kabhi usko dekhta to kabhi uss joker ko....

Pankaj ki oor dekha to wo ishare se chup chap bahar aane bol raha tha...iss baar koi bhi galti kiye binna main bahar chala gaya...

Bahar jaate hi mere saar pe ek haath maara usne.... :angry:

Pankaj - kab se chup rahne bol raha tha sunayi nahi deta....tumhare chakar mein main maar diya jaunga....ab mujhe nahi rahna tumhare saath....main jaa raha hu....ye lo paise.....bus aayegi ticket lena aur nikal lo....aur haa please bhai iss baare mein kisi ko pata naa chale please....haath jodta hu tere saamne....

Ab main kya karu samajh nahi aa raha tha ye mujhe khud yaha leke aaya ye batane ki ye badal gaya hai....aur ab dekho...

Main - theek hai...

Bas itna hi kaha wo bhaddi se drawing modd ke apni pocket mein rakhi aur Bus ke pass chala gaya....bus aayi hum dono ussi mein baithe par alag alag....Maine apni ticket li usne apni....aur hum dono apne apne jagah pe itar gaye...Main ghar ke saamne utra.....aur ghar ki oor jaane laga tabhi picche se aawaj aayi....

"ooye....ooye Prateek rukko.....Main aati hu...."

Picche dekha to wo Nikita thi....Main wahi pe rukka wo mere pass aayi ye saayad Nani ke yaha se aa rahi hogi....

Usne aate h mujhe dekha aur pucha.....

Nikita - ye aisi halat kyun banayi hai gir gaye the kya....

Main - Nahi to.....

Itna bol ke maine khud ke kapdo pe dekha to har jagah dhull lagi hui thi...

Main usko saaf karne lag gaya....ab aise ghar jaana matlab waha sawalon ke jawab dene honge....Mujhe saaf karte dekh.....Nikita ne rukne ko kaha aur fukk maari mere upar....saari dhull saaf....ek dum chaka chak.....

Main - waah ye kya tha....ye kaha se sikha...

Wo - Kya lagta hai school mein hi padhayi hoti hai bas......hum sab jab pahle saath hua karte the tab aise hi ek dusre ko saaf karke missions pe jaya karte the.....

Ye aaj bhi apne unn sathiyon ke baare mein batane lagi....uski baaton ke dauran maine uske chahre pe thodi maayusi mahsush ki.....sayad isko unn sab ki yaad aa rahi thi....

Main - Chalo ghar chalte hai pata nahi sab kab se wait kar rahe honge....

WO - Haa wait hi kar rahe hai main to abhi waha Nana Nani ki bulane gayi thi aaj sab sath mein dinner karenge iss liye wo bhi aate hi honge....

Hum dono ghar pe chale gaye.....waha pe Maine sabse pahle to Kavita madam ko dhundha.....

Main - Kavita Madam nahi aayi kya....

Bua - aayi hai naa par tumhe usse kya kaam hai.....school mein bhi pucch rahe the...yaha bhi...

Dadi - Beta sab theek hai naa choot woot to naa lagi kahi....

Chachi - Kya...choot lagi hai isko.....

Rupal didi - Kya aap sab bhi bacche ne ek sawal hi puccha hai aur aap sab ke sab pata nahi kaha se kaha pahuch gaye....Kavita Bua ander hi hai kitchen mein....

Kavita Madam - Meri baat ho rahi hai....kyun...

Rupal - Wo ye baccha...issko to aap jaanti hi hongi naa....ye apni Kisi Kavita madam ko dhundh raha tha....

Kavita madam - Kya baat hai Prateek mujse kuch kaam hai...

Main - Haa Ma'am wo kuch puchna tha...

Kavita madam Mujhe dekhte hue...unke chahre pe koi emotions hi nahi rahi the uss waqt....

Kavita madam - sorry abhi main chutti pe hu...aap monday ko aaiye aur mere cabin mein jo puchna hai puch lijiye...

Main - Kya...

Bua - haa theek hi to kaha isne...hai naa bhabhi....

Chachi - Haa baat to sahi hai....Kavita madam to chutti pe hi hai....

Main - Arre par mujhe school se related kuch nahi puchna hai.....main to in general puchne wala tha....

Bua - tu ye bata isko madam madam kyun bolta hai...

Main - Madam ko madam nahi to kya sir bulaun :sigh: aap bhi naa bua...

Chachi - Teri didi usko kya bulati hai....

Main - Wo to kabhi naam se kabhi Bua aise bulati hai.....

Bua - to tu koi special hai kya.....jo tujhe batana padega...isko bhi bua bolne ka....ye dost hai meri.....

Main - haa theek hai.....to Kavita Bua ab jawab dogi naa....

K.Bua - Haa beta ab to dungi jawab....puccho kya puchna hai...

Main - Abhi nahi khane ke baad....

Main bol hi raha tha tabhi Nana Nani bhi aa gaye aur wo bhi baith gaye khana khane ko.....hum sabne khana khaya aur fir Rupal didi aur Nikita chal di Nana nani ke saath wahi Poonam Bua Kavita madam ko leke chal di apne room ki oor.....

Main - Arre Bua meri baat to sun leti....

Bua - Kya kahna hai tujhko isse main bhi to sunnu mujhe bhi kuch naya seekhne ko mille...

Main - Nahi mujhe inse hi kaam hai.....

Bua - waah ye sahi hai nayi millli to purani ko bhul jaao....accha hai bachu hamare bhi din aayenge....

Main - aap bhi naa.....accha K.Bua aapko panchiyon ke baare mein pata hai.....

K.Bua - Kaise panchi...panchi bahut tarah ke hote hai tum kya paalne wale ko koi panchi ko....

Main - nahi aisa nahi hai....aur wo panchi naa cheel ki tarah hai par usse thoda bada hai...

Maine aisa kaha hi tha ki dono mujhe ghoorne lage...hum abhi hall mein hi the...to Bua ne mujhe pakda aur apne room mein leke chali gayi...

Bua - tum kahi ussi panchi ki baat to nahi kar rahe jo hume bachane aata hai

K.Bua - wahi panchi jo uss din Strange woorld mein aaya tha humme bachane....

Maine pahle socha kuch aur kah du.....par ye sab bekar hota....waise bhi inn dono ko batane se mujhe nahi lagta koi nukshan hone wala tha balki ye dono to madad kar sakti hai aage bhi...

Maine bas haa mein sar hilaya....

Bua - unka kya....unke baare mein kya ye bata....

Main - Main unko jaanta hu ye bhi jaanta hu wo kaha se aate hai aur kaha rahte hai abhi unme se ek ko meri wajah se pareshani ho rahi hai...main chahta hu Kavita bua aap agar madad kar sake unki to kar do please....

Pahle to 2 minute wo dono kabhi mujhe kabhi ek dusre ko to kabhi fir mujhe aise hi dekhte rahe....kuch bolne wale hote fir chup ho jaate....

K.Bua - tumne kaha tumhari wajah se aisa kya hua hai....

Main - Wo unme se ek anda nahi de paa rahi hai...

Bua - Kya,....anda....tumhari wajah se....kya bol rahe ho samajh mein aa raha hai....

K.Bua - Poonam paagal wo kuch aur lah raha hai....aur tum ho ki Prateek puri baat batao beta....

Maine ek gahri saans li aur unko sab batana shuru kiya par dark power ke baare mein abhi nahi bataya...mujhe khud nahi pata iske baare mein main unhe kya batata....aur saath hi ye sab bhi nahi ki unki jagah badal di hai maine bla bal...

Meri baatein sunne ke baad bhi unka same reaction tha....

Bua - matlab tum raja ho unke....

Main - Nahi main unke Raja Jwala ka dost hu.....waise maalik hu par main usko dost hi maanta hu....

K.Bua - aur waha pe aur bhi tarah ke jeev hai...

Main - Haa hai par main bas kuch ko jaanta hu jinme Polar bears hai aur ek ullu ki prajati hai....jiska raja bhi mera dost hai...

Bua - to tum uske bhi maalik ho...

Main - Haa uska bhi.....

K.Bua - Polar bear waha kyun hai wo to ladte rahte the naa....

Main - maine bataya naa kuch mushibat aayi aur mere kahne pe wo sab saath mein hai...

Bua - to Polar bear bhi tumhare gulam hai.....

Main - nahi wo nahi hai...ab bas bhi karo.....itna sawal Nikita aur didi ne to nahi puccha tha.....aur aap dono ho bakbak kiye jaa rahe ho...

Bua - ek minute tumne ye nahi bataya wo dono bhi waha gaye hue hai....

Maine ye nahi bataya tha.... :sad: ab inko ye bhi batana hoga aur wo wapas se sawal puchenge.....

Main - ek minute....unko meri madad chahiye...aur aap logo ke sawalon ke jawab naa main baad mein bhi de dunga...ab K.Bua aap batao madad kar paaogi aap.....

K.Bua - tumne kaha ki anda bada hai sayad...tum conform nahi lag rahe.....mujhe usko acche se dekhna hoga tab bata sakti hu kya karna hai....

Bua - Main bhi chalungi...

Main - hum picnic nahi jaa rahe....

Bua (aankhen dikhate hue) - issi liye kaha main bhi chalungi....ab bula unko aur le chal humme.....

Main - theek hai...K bua aap naa apne saman rakh lo...main Old Owl ko bulata hu....aur ek baat kisi ko iss baare mein nahi batana hai samjhe naa...

Dono ne haa kar diya....

Maine Old Owl ko bulaya wo waha aaya usne portal khola waha ke liye aur main inn dono ko leke waha pahuch gaya.....

Main seedha Jwala ke mahel ke pass aaya tha dono ko leke......wo sab abhi aas pass ke ilake dekh rahi thi...waha pe jwalamukhi tha....thodi duri pe polar bears ke tent dikh rahe the...pedon pe ullu the jo sab pe nazar rakhe hue the.....

Humme dekh waha pe kuch sainik aa gaye....aur dono ko dekhne lage.....

Main- ye mere saath hai Jwala ko bolo main aaya hu....aur kaho Bijli ko bhi apne pass bulaye....

Meri baat sunne ke baad unme se ek sainik waha se chala gaya.....

Bua - tum to sach kah rahe the ye to tumhari baat mante hai....

Main - haa par ab jiske liye aaye hai wo karte hai theek hai....

K.Bua - ye jagah to kammal ki hai....aur ye jeev ye bhi..

Itne mein wo sainik wapas aaya....aur kaha....

Maharaj mahel mein hi hai....wo wahi intezar kar rahe hai....

Hum tinno uss oor jaane lage waha pahuche to Jwala milla.....

Jwala - tum fir se logo ko leke aa gaye ho....aisa nahi karna chahiye tha....hum....

Wo aage kuch bolta usse pahle hi chup rahne ka ishara kar diya maine aur wo samajh bhi gaya....

Main - ye dono meri Bua hai tumhe to pata hi hai aur ye yaha tumhare liye hi aayi hai....

K.Bua - ye to male lag raha hai male ande dega kya....

Jwala - Ande....

Main - haa ande....mujhe pata chala hai Bijli ko kuch dikkat ho rahi hai....bas ussi wajah se ye yaha aaye hai ye hamare yaha waidya ka kaam karti hai aur wo dusri wali bas haath batane ayi hai...inko panchiyon ke baare mein bhi pata hai agar tum izzazat do to ye Bijli ko ek baar....

Jwala meri baaton ko sun ke dang rah gaya usko ye samajh nahi aa raha tha ki mujhe ye sab kaise pata chala

Main - ab bataoge bhi izzazat hai yaa nahi...

Jwala - haa....

Usne haa kaha aur maine dono ko ander jaane ke liye kaha....ander pahle se Jwala ki Maa thi jo Bijli ka dhyaan rakha karti thi.....

Main - ab ye batao mujhe iske baare mein kyun nahi bataya gaya....

Jwala - wo darashal baat aisi thi ki main...main batane wala tha par uss waqt halat sahi nahi the....fir ye sab hua...aur uski halat kharab hoti jaa rahi thi.....aur tum inn sab ka jimmedar khud ko maante....

Main - Haa jimmedar to main hu hi.....aur ab mujhe aur bhi jyada dar lag raha hai bas tum hi nahi ho jisko maine ye power di thi waha Nikita bhi hai uske saath bhi kuch aisa ho sakta hai....mujhe iss power ke baare mein jald se pata karna hoga....aur ek baat aage se kuch bhi aisa ho to mujhe bataya karo.....mere pass mauka to hoga naa jo galat hua usko sudharne ka....warna main to bas pachtata hi rahunga...

Yaha ka rahne dete hai aur ander chalte hai....

Ander Dono gayi waha pe Jwala ki Maa bhi thi.....unhone unn dono ko dekha....Bua ko to wo pahchan gayi wo sayad mere pure pariwar ko jaanti thi....par sayad Kavita bua ko nahi dekha ho....par Bijli ne dekha tha usko bhi....khair

J. Mom - aap dono yaha....

Bua - haa humko Bijli ko dekhne ke liye leke aaya hai Prateek

Maine unko bata diya tha Bijli ke baare mein bhi...khair...

J.mom ne kuch nahi kaha wo thodi side ho gayi wahi K.bua aur bua dono hi Bijli ke paas gaye....

K.bua ne Bijli ke panjho ko dekha....waise to inn panchiyon ke nabs pairon mein pata nahi chal paata to yaha bhi kuchh nahi milla....par thoda upar jaate hi kuch milla K.bua ko unhone waha apna haath rakha aur aankhen band ki....aisa karte hi K.bua ke dimmag mein Bijli ki puri body hi ban gayi....aur abhi jaisa bhi uski body mein chal raha tha wo sab bhi dikh raha tha unko...

Thodi der sab observe karne ke baad....

K.bua - ye puri tarah se theek hai....aur jaisa humme pata chala tha iska anda kuch bada hai waisi bhi koi baat nahi hai....wo bhi theek hi hai....

J.Mom - aap kya kah rahi ho...humne yaha pe check karaya tha...aur sabhi ne yahi bataya ki anda bada hai aur usse iski jaan ko bhi khatra ho sakta hai...

K.Bua - nahi aisi koi baat nahi hai main aapko dikhati hu....

Saamne ek deewar tha ussi ki taraf unhone apna haath kiya.....unki haath se roshani nikli aur uss deewar pe Bijli ki puri body hi dikhne lagi.....

K.bua - Poonam samne wo pet ke pass gol kuch dikh raha hai naa...uske pass jao...

Bua waha gayi....

K.Bua - dekhiye jaha abhi Poonam khadi hai ussi jagah pe anda hai....aur aap dekh sakti hai ye size mein thik thak hi hai....yaha pe baat size ki nahi hai...baat powers ki hai sayad.....

J.Mom ne gaur se uss oor dekha unhone bhi ye mehsus kiya ki wo to bilkul sahi hai...size mein koi dikkat hi nahi hai....

J.Mom - Power mein dikkat hai....ye humme pata hai par hum ye samajh rahe the ki ussi dikkat ki wajah se anda bada hai aur wo ander hi fasa hua hai...

K.Bua - aap sab mein kitne waqy mein ande de diya jaata hai...

J.Mom - 6-7 din mein....hamara shareer jaldi react karta hai inn mamlo mein iss wajah se....par Bijli ke saath to waqt jyada hi lag raha hai...ab to karib 14 din hone wale hai...aur hum issi wajah se pareshan hai....

K.Bua - aapki aur Bijli ki powers bhi alag alag lagti hai isme kuch thunder power ke bhi ansh dikhe hai mujhe....

J.Mom - haa ye sach hai...par isse koi fark nahi padna chahiye tha....

K.Bua - haa fark usse nahi pada hai baat ye hai ki iske body mein jo anda hai wo isse bhi jyada takatwar hone wala hai....uske pass 2 nahi aur bhi jyada elements h sakte hai aur issi wajah se ande ko puri tarah se bahar aane ke liye taiyar hone mein waqt jyada lag raha hai...anda bilkul pather ki tarah hone wala hai...ek aur baat anda tutne mein bhi waqt aam se jyada lagega...Main samajhti hu mujhe inke liye kuch jadi butiyan de deni chahiye...isse inko takat milti rahegi aur inka anda bhi aaram se taiyaar hota rahega...

J.Mom - aap aisa karengi to hum aapka ye ahsaan kabhi nahi bhulenge....

K.Bua - arre aap kaisi baat kar rhi hai aapne jaan bachayyi thi hamari....accha main wo jadi butiyan yahi bana deti hu....yaha koi dawa khana hoga to....waja ke vaidya ko bhi iss baare mein bata dungi...

J.Mom - haa jarur....

Unhone kuch sainikon ko bulwaya aur unn dono ko waha ki vaidyashala mein bhijwa diya....waha pe 3 head vaidya the...polar bear ka Jwala ke kabile ka aur saath hi Old Owl ka bhi...

Dono Bua ander gayi...wo sab unko dekh thoda hairaan hue par sainik saath mein the to koi pareshani hamgama kuch nahi hua....

K.Bua - hello hum yaha Bijli ji ke illaj ke liye aaye the....humme kuch jadi butti chahiye thi agar yaha mil jaati to....

P.Vaidya - Bataiye kon se jadi butti hamare paas bahut tarah ke hai aise bhi jo bahut pahle hi vilupt ho chukke hai....

O.Vaidya - aapne kaha aapne dekha hai unko....ab kaisi hai wo aur kya wo theek ho jaayengi....

Bua - haa wo theek hai aur abhi jo jadi butti se dawa hum banayenge wo unko aur theek kar dega....

K.Bua ne unko kuch jadi buti ke baare mein bataya....aur wo log wo sab jadi buti unke pass leke aa gaye.....

K.Bua ne Bua ki madad se 2 dawaiyan banayi...aur dono ko side mein rakha......wo inn dawaiyon ke banane ka tarika bhi bata rahi thi...jisse agar aage kabhi bhi aisi koi dikkat ho to wo dekh le....

Wo tinno vaidya dhyaan se dekh rahe the ye sab.....aur samajh bhi rahe the...

K.Bua - ye ho gayi Bijli ji ki dawaiyan....accha main aapko kuch aur dawaiyan banana sikha deti hu jisse agar kisi aur ke saath iss tarah ka koi case ho yaa kisi ko bahut jyada energy milegi unko....ye aap kisi male ko bhi de sakte hai jisse wo agar bimar ho to jaldi theek ho jaayega.....

Wo tinno inn dawaon ko bante hue bhi dhyan se dekh rahe the....

Yaha pe bas K.Bua ne sikhaya hi nahi balki unhone sikha bhi.....unn tinno vaidyon se bahut si baatein sikhi unhone....aur jab Bua wapas aayi Dawa dene tab wo wahi vaidyashala mein thi aur baaki ke marizon ko dekh rahi thi....aur unka ilaz kaise kiya jaa raha hai ye sab bh dekh rahi thi.....itne mein waha ek sainik jaata hai aur unko mere pass aane ko bolta hai kyunki ab humme jaana tha....raat kaafi ho gayi thi....

Wo unko leke Jwala aur mere pass aaye....itne waqt mein maine Jwala ko bahut si baatein batayi thi samjhayi thi....

Wo dono waha aaye....

Jwala - aap dono ka sukriya...aap yaha aayi Bijli ko dekha....aur uske liye dawa banayi....

K.Bua - arre ye to kaam hai hamara....accha aapse bhi ek baat karni thi....

Jwala - Ji bataiye...

K.Bua - inn sab mein Bijli ko aapki jarurat padegi...waqt jyada bhi lag sakta hai aur wo ek maa banne wali hogi....sayad emotions ko control naa kar paaye....uss waqt aapko usko sambhalna hoga.....aur ande ko safe rakhna hoga....aur ek baat ye anda bahut hi takatwar hai....aap soch bhi nahi sakte aap dono ka ye baccha kaisa hoga...

Jwala - ji main uska saath dunga...

Main - haa aur inn sab ke bich maine agar galti se kuch kaam waam de diya naa to mujhe bhaga dena samjhe...pali priority abhi uss ande ko banana hoga tumko...

Jwala - haa theek hai.....chaliye main portal khol deta hu aap thak gaye honge....

Unse Portal khola aur hum jaane lage....usne wapas se humko thanks kaha......

Hum ghar pe aa gaye....karib 12 baje hue the sayad...sabhi so gaye the....

Main - chalo main bhi chalta hu...aap dono bhi so jaana....

Bua - tumne ye sab pahle kyun nahi bataya tha...

Main - Yaar bua abhi hi karna hai ye....jao naa so jaao mujhe bhi sone do...baad mein karte hai na ye sab...

Bia - hmm theek hai par baad mein bhi chodungi nahi tujhe....

Main apne room mein gaya aur sone ki koshish karne hi laga tha ki.....tabhi aisa laga jaise khidki ke bahar garden mein koi hai jo meri oor dekh raha hai...

Maine jab dhyaan se dekha to wo Leemi thi....

Main bahar gaya....

Main - leemi tum iss waqt sab theek hai naa....

Leemi - haa bhi aur nahi bhi....aapko sayad Raj kumar se baat karni hogi....unko guruji ne insano ke saath rahne kaha hai insano ko samajhne ke liye par wo jungle mein chale gaye hai...

Main - theek hai main iss baat pe gaur karunga...abhi tum bhi jao itni raat mein aane ki kya jarurat thi...aur tumhari bacchi wo theek hai naa....

Leemi - haa wo acchi hai....

Main - accha rukko main kal hi Leemo se milla tha.....wo bhi thik thak hi hai....

Leemi - mujhe pata hai main hamesha unko dekhti rahti hu....

Main - dekhti rahti ho ???

Leemi - Main chalti hu....aap kal pahle guruji se mil lena aur fir raj kumar se...

Itna bolne ke baad wo binna kuch sune hi gayab ho gayi....

Main bhi apne room mein aaya aur so gaya....

Next update mein dekhte hai kya hota hai jab ghar mein uss choti si ladayi ke baare mein pata chalega sabko....aur saath hi....kaise main DB ko samjhaunga....saath mein Nix temple ka bhi ek chakkar mqar aayenge aur taskari karne wale bande ko udana bhi to hai Strange world se kuch waqt ke loiye....
AMAZING update
 
ashish_1982_in

Well-Known Member
5,616
19,015
188
UPDATE - 67

Main apne room mein utha wahi darwaje wala sapna aaya tha aaj bhi pata nahi kya hai iss bade darwaje ke picche.....iska kuch to karna hi hoga....Maine ghadi dekhi.....waqt kuch 4 baj rahe honge main jaldi se utha aur fir taiyaar hoke dhyaan lagane chala gaya.....

Main waha jaake apne naye wale element pe dhyaan lagane lag gaya....main ispe bhi achha kar raha tha...har ek ball ko dusre ball se jodd raha tha....par yaha pe dikkat ye ho jaati thi.....wo balls milke kabhi kabhi liquid ban jaate aur sab alag alag ho jaata hai

Dhyaan lagane ke baad utha to sab wahi the......par sabhi abhi bhi dhyaan laga rahe the ain hi aaj jaldi uth gaya tha.....

Waha se sidha room mein gaya main.....aur taiyaar hone laga.....aaj kabhi bhi Old Owl waha bulla sakta tha mujhe....dekhna ye tha ki kab....

Main taiyaar hua...aur jaldi se nasta karne jaane laga...tabhi room ke bahar hi Bua milli...

Bua - itni jaldi mein kaha chale......

Main - Wo bua wo dawa di thi naa sayad usse bhookh jyada lagti hai to bas khane jaa raha hu.....

Bua ne meri baat sunni aur mujhe ek baar acche se dekha....

Main - Kya hua Bua aise kya dekh rahi ho....main sach kah raha hu....

Bua - Chalo aaj mere cabin mein karte hai nasta....Kavita aur Nikita ko bhi bulla lenge....

Main - haa theek hai chaliye...

Main (mann mein) - inko pata chala to jaane nahi dengi....upar se sawal alag honge inke....accha hai akele jaaun aur bas yaadast hi to pata karna hai.....waise bhi ye gayi to uss jeev ki kahani bhi sunani hogi...aur bhi naa jaane kya kya... :sigh: akele best hai jaana....

Main chala gaya inke saath inke cabin mein waha pe 4 plates lage hue the.....thodi der mein Nikita aur k.bua bhi aa gaye....

Hum sab ne khana shuru kiya....Bua mujhe baar baar dekh rahi thi....

Bua - Nikita Bacchu kahi jaana hai kya aaj...

Nikita (muh mein khana bharre hue) - Nahi to....classes hai aaj bas.....

Bua - hmm theek hai fir....

Unhone apna phone nikala aur phir Rupal didi ko call kar diya.....jo abhi ghar se nikalne hi wali thi.....par call chachi ne utha li...

Chachi - Haa Poonam kya hua....

Bua - Aap ghar pe ho.....yaa Rupal waha hai...

Chachi - Main ghar aa gayi hu.....aur Rupal yahi hai upar gayi hai abhi.....ye janne ke liye phone kiya hai....

Bua - Nahi wo bas.....Bhabhi usko puchna jarra aaj kahi jaana hai kya usko....

Chachi - hmm rukko.....(Chillate hue) Rupal aaj kahi bahar jaana hai kya.....teri Bua puch rahi hai....

Rupal didi - Nahi to.....bas hotel jaana hai....wo project aaj hi khatam kar deti hu....

Chachi - sunna naa wo nahi jaa rahi kahi....waise usne bataya kya tujhe...usne aur Nikita ne bahut accha plan banaya hai....hotels ko puri tarah badal denge ye sab....

Bua - Nahi bhabhi.....main usse baad mein puch lungi....chalo rakhti hu.....

Chachi - hmm theek hai.....accha sunn kal sabhi aa jaana.....

Bua - Bhabhi parso class bhi hai....waise bhi fir sham ko to aayenge hi naa.....

Chachi - haa theek hai milte hai ussi din main naya dish ussi din try karungi fir rakhti hu....

Chachi ne call cut kar diya...Bua mujhe dekhne lagi.....itne mein K.Bua aur Nikita ka khana ho gaya....wo dono uthne lagi....aur haath done chali gayi....main bhi khana khatam karke utha aur haath dhone chala gaya....

Bua - Sach sach bata aaj kya karne wala hai tu.....

Main - kya....main kya karunga class hai aaj aur kuch nahi.....

Bua - Fir mujhe aisa kyun lag raha hai jaise tu aaj kuch karne wala hai.....

Main - Arre nahi Bu......aaaaaaa.......aise kon karta hai Old Owl main baat kar raha tha........ :doh: Bua se....ab unko sab batana hoga...wo pata nahi kya karegi....thodi der ruk nahi sakte the tum.....

Old Owl ne aaj bhi waise hi acchanak mujhe portal khol ke khinch liya tha.....Wo bhi tab jab Bua se main baat kar raha tha unko bata raha tha ki main kahi nahi jaa raha hu.....

Old Owl - Mujhe pata nahi tha tum aisa kuch kar rahe ho.....wo to waqt aa gaya hai naa iss wajah se....

Main - To main wo jeev leke ghoom raha tha kya.....thoda pahle bata dete to main taiyaar ho jaata aur ye sab naa hota.....pata nahi ab jaane pe wo kya karegi mera.....ab khade kya ho....chalo waha....dikhao kya ho raha hai wo jail se nikla hai yaa nahi...

Old Owl - Par tum saman to laaye nahi fir kaise hoga.....aur wo nikalne hi wala hai bas.....

Main - Dhruv Bahar bhejo Albus ko uss taskari karne wale ke roop mein....

Dhruv - hmm abhi bhejta hu....

Main - Ek minute rukko abhi bas taiyaar rakho jaise hi kahu waise bhejna theek hai....

Dhruv - Main ready rahunga.....

Main - Old Owl uss baggi ko rokna samjhe.....jaise hi wo aage jaane lage usko rok lena....aur waha pe jo bhi pahredaar uss tasari wale ko laane ko aaye hai unko bahar aane pe majboor karna......jaise hi wo bahar aaye Taskari karne wale ko udda lena....samajh gaye......apne logo ko bhi samjhao.....

Old Owl - Par tum kisi ko laaye kaha ho.....uski jagah badalne ko.....mujhe laga Nikita yaa koi aur aayegi....

Main - Aayegi.....tumne mauka diya kisi ko laane ka......aise mujhe khich liya jaise kidnap kar rahe ho mujhe.....agli baar aisa sochna bhi mat karne ki....

Old Owl - accha theek hai par waha pe jaayega kaun fir....uski jagah pe.....

Main - Uski chinta mat karo tum bas usko nikal aao.....waha koi naa koi pahuch hi jaayega....kitna waqt hai ye sab hone mein.....

Old Owl aasman ki oor dekh ke apni bhasa mein kuch bola....aur fir sayad usko bhi koi aawaj aayi.....fir wo mujhse bola...

Old Owl - Court se baggi nikal chuki hai.....3 log hai usme....ek jo chala raha hai wo....aur do kaidi ke liye....

Main - Waah......sala sahi naam hai jagah ka Strange world....itni ajeeb jagah hi hai ye ki yahi naam sahi tha.....ek itna bada apradhi hai....usko le jaane ke liye ek baggi aur usme bas 3 log...bhagana hi tha to aise hi bhaga dete naa.....

Old Owl - iss jail se nikal ke koi bhagne ki koshish hi nahi karta.....aur wo baggi bhi koi aam baggi thodi hai....ispe kisi bhi magic ka koi asar nahi hota.....

Main - To tum rokoge kaise usko....

Old Owl - Puri baat sunte nahi aur bolne lag jaate ho.....maine kaha magic ka asar nahi hota.....par agar dimmag chalaya jaaye to sab ho jaata hai....

Main - Insano mein naa jo sabse murkh hota hai usko Gadha bolte hai aur usse jo thoda sa sayana hota hai naa wo Ullu kahlata hai....to dimmag ki baat karo mat jo karna hai wo batao...

Old Owl - Main kar ke dikhata hu....mera bas kaam yahi hai naa ki uss bande ko bahar le aaun....wo main kar dunga....baaki tum samjho....mujhe bewakoof kah raha hai......boyzzzz kaam pe lag jaao......wo aane wala hai....

Main - Karne kya wale ho ye bhi bata do.....

Old Owl - Bas chup raho....Boyzzz t-30s hai hamare pass.......sab taiyari check karo ek baar.....O2 tumne smog taiyar rakhi hai naa.....

O2 - Taiyaar hai sir....

Old Owl - O1 hypnosis ke liye kam waqt milega.....isme koi chukk nahi honi chahiye....

O1- Main ready hu sir....

Old Owl - O3 tum bhi taiyaar ho naa uss bande ko nikalne ke liye.......bas 2 sec ka waqt milega tumko.....

O3 - Ready hu sir.....

Old Owl - T-10 s hai bas.....sab positions pe raho.....O2 Smog taiyaar raho.....ishara milte hi khali kar dena.....

Main - Ek minute....usko baggi mein baithne to do.....aise kya 10 s hai jaldi karo.....Baggi aayi bhi nahi hai....

Old Owl - Chup raho aur dekho....

Theek iske 5 second baad acchanak se waha pe ek baggi a gayi uss jail ke pass.....aur main dekhta hi rah gaya.....pata hi nahi chala wo aaya to aaya kaha se....matlab ekdum se prakat ho gaya jaise wo....aur uske baad dekha to uske khidki mein wo taskari karne wala banda bhi dikha mujhe...

Old Owl issi ka wait hi kar raha tha jaise.....usne ishara kiya aur charo taraf smog aa gaya.....kuch dikhne hi nahi laga....

Old Owl - O2 bahut ache.....O1 wo bahar aayenge ab.....darwaja khulega,......taiyaar raho...O3 tum bhi.....jaise hi hypnosis khatam ho tum unko udda lo.....

Main - ye kya hai......Dhruv.....Dhruv Bhejo Albus ko bahar....taiyar karke....jaise hi O3 usko nikale Albus ko waha fit kar dena...

Ye itni jaldi kar denge ye log maine socha bhi nahi tha.....plan to banaya tha iss old owl ne accha khasa....mere seene se ek light nikli aur wo chali gayi uss Baggi ki oor.....jiske bahar abhi 3 log the.....tinno hi bas khade the....O3 ne apna kaam yaani ki Taskari wale ko bahar nikalne ka kaam kar diya tha.....wahi baaki ke 2 logo ne bhi kar diya tha.....Old Owl waha pe aya aur jaldi se smog ko apni pankhon ki madad se....O2 jisne unn tino ho sammohit kiar rakha tha usne bhi unko wapas jaise the waise hi rahne ko bol diya....aur fir phir sammohan hatta diya....

Wo tinno hosh mein aaye aur Baggi wapas se gayab ho gayi.....

Main - ye kya tha Old Owl tumne to kammal hi kar diya....

Old Owl - ye kuch bhi nahi tha....aise naa jaane kitne hi kaam kiye hai maine.....khair isko chodo ab uss bande ko leke chalte hai.....O3 usko base pe pahuchao....aur wapas yaha aake command sambhalo....O4 tum jaise Baggi pe nazar rakhe hue the waise hi nazar rakhe raho.....koi gadbad ho to turant batana....

Main - hmm chalo base pe....dekhte hai kaisa base banaya hai tumne.....

Usne ek portal khola....aur uske ander jaate hi hum kahi aur pahuch gaye....dekhne mein koi guffa jaisi lag rahi thi ye jagah....

Main - ye kon si jagah hai.....

Old Owl - yahi pass ki jagah hai.....pedon se chippi hui guffa hai ye...yaha isko aise nahi laa sakte the naa to portal kholna pada.....O3 wapas jaao tum isko hum dekh lenge....

O3 waha se wapas chala jaata hai....uss taskari karne wale ko wahi pe chod ke....

Main - kya dekh lenge...main wo jeev pocket mein leke nahi ghum raha tha.....Portal kholo wapas jaane ka.....mere room ke liye kholna....

Usne Portal khola aur main room mein ander gaya....aur wo jar liya jiske ander uss jeev ko rkha tha aur wapas jaane hi laga ki saamne Bua...

Matlab....pahle portal hai....fir Bua hai aur uske baad main hu....Bua gusse se mujhe dekh rahi hai...aur main haath mein ek ajeeb sa jeev liye khada hu.....

Old Owl - milla ki nahi milla......waqt barbaad na.....oo

Bua - Kya....kya kaha tha kahi nahi jaana fir aise gayab kaha ho gaye the...aur ab fir se kaha jaa rahe ho....

Main - wo Bua main ...tabhi mere ko pata nahi tha naa jaana hai warna main to bata hi deta naa.....

Bua - tumko main jaan gayi hu itne time mei....

Old Owl - Maaf karna Bua ji par....Prateek waha court mein baggi pahuch chukki hai.....aur abhi bas waqt jaa raha hai hamara.....

Main - hmm...Bua yaar aap thodi der baad daant lena naa abhi bahut jaruri kaam hai.....'

Bua - kya kaha.... :shocked: accha theek hai...chalo main bhi dekhti hu kaun sa kaam kar rahe ho...

Main unko manna karta usse pahle unhone haath pakda mera aur portal se hote hue ander....

Bua ne aas pass dekha to kuch samajh nahi aaya unko.....bas ye pata chala ki guffa hai koi.....par kaha pe ye nahi jaanti thi wo....lekin abhi unhone sawal nahi pucha koi.....

Bua - jaa apna kaam kar....

Main bhi waqt naa jazza karte hue gaya uss taskri karne wale ke pass.....aur wo jeev jo jar mein leke aaya tha usko bahar nikala.....

Main - Dhruv isko use kaise karte hai....

Dhruv - isko uske sar pe rakh do....ye mara hua hai....par iski body fir bhi isse jud jaayegi....

Maine waisa hi kiya uss jeev ko nikala aur uske sar pe rakh diya......usko waha rakhne ke baad hi maine dekha jeev mein kuch halchal hui hai.....aur jab dhyaan se dekha to uss jeev ke pair....taskari karne wale ke dimag ke nashon se judd gaya tha...

Main - Ab kya.....

Dhruv - 2 chizzen kar sakte ho......yaa to uske muh se sunno yaa uski aankhon se dekho.....aakhon se dekhna jo hai wo ekdum se sahi jaankari degi.....par muh se sunna....isme dikkat hai agar isne apni memory ke saath kuch kiya hoga to kuch baatein jhooti bhi nikal sakti hai...

Main - Aankhon wali case mein ye logic nahi chalta kya.....waha memory mein kuch karne se nahi hota kya kuch,......

Dhruv - hota hai par usme bahut kam chances honge......tum jaao iske body mein aur main tumhari body sambhalta hu.....

Main - Abhi kaha aankhon se dekho iske muh se suno aur ab kah rahe ho iske ander chale jaao....

Dhruv - wo jo do options hai naa wo aam logo ke liye hai...aur tumhare saath main hu.....to tum iske ander aao aur main body sambhalta hu.....accha aur jab bahar nikalna ho to iske body mein ek choti si ladayi ladni padegi.....taaki ye jeev sahi se nikal jaaye....iski jarurat padegi naa baad mein.....

Main - theek hai....

Maine uss taskari karne wale ke sar pe hath rakha aur apni body se nikal ke uske body mein chala aaya......aur meri body wo Dhruv dekhne laga...

Ek ajeeb si jagah thi...andhera tha charo taraf.....ajeeb si aawajein aa rahi thi...aur garmi.....puccho mat.....aisa lag raha tha aag mein daal diya ho mujhe.....tabhi mere ass pass ki cheezin....aur main sab kuch hi hilne lag jaata hai,....Main ek bakse mein tha abhi......ek ghar mein ek baksa tha aur usme main tha.....aur ghar mein aag lagi hui thi issi wajah se ye garmi lag rahi thi....

Abhi kisi ne baksa khola tab jaake mujhe pata chala ye sab,....saamne ek aurat thi jo bas roye jaa rahi thi.....usne mujhe....mera matlab hai sayad iss taskari karne walo ko goad mein uthaya aur apne seene se laga liya...

Ass pass dekha to bas aag hi aag thi waha aur kuch nahi.....ek bada sa lakdi ka tukda hamare upar girra....aur fir se andhera.....

Main - Dhruv ye kya tha.....

Dhruv - arre bataya tha naa ye jeev aapke past ko hi nahi balki previous life ko bhi dikha sakti hai.....tumko dhyaan lagana hoga....aur iske iss life ko dhundhna hoga....fir wo yaaedin jo tumko dekhni hai....warna wahi iss mayajaal mein fasse rahoge...

Main - Ye baat pahle batani thi naa....main wo aasan tariko se kaam chala leta....ab ye batao pata kaise chalega ki iski abhi wali life kaun si hai....

Dhruv - abhi kya mar gaya hai ye....

Main - Haa mar gaya hai ye ek bakse se nikal aur fir lakdi ka tukda girra aur mar gaya saath mein koi aurat bhi thi sayad iski maa ho uss waqt ki....

Dhruv - Hmm bura hua iske saath fir uss janam mein....accha yr pata lagane ke liye ki iski ye wali life kaun si hai aas pass dekho kahi se light aa rahi hai.....dhimmi si light bhi hogi wo bhi chalegi...

Main - light se kya connection hai...mujhe koi light nahi dikh rahi....

Dhruv - Aakhen jo hoti hai naa....unse light ander jaati hai sareer ke.....aur abhi iske pass jo aankhen hai wo issi janam mein hai naa isse pahle wali bodies to khatam ho gayi hongi....to light se pata chal hi jaayega kaha hai ye...

Main - Par koi light nahi dikh rahi hai aas pass......maine acche se dekha hai...

Dhruv - aisa kaise ho sakta hai....accha main yaha kuch try karta hu.....tum waha dhyaan rakhna....dekhte rahna kaha se light aati hai....ussi taraf nikal jaana...

Main - hmm theek hai par tum karne kya wale ho....

Main bol hi raha tha ki mujhe ek taraf se bahut si light aati hui dikhi main ussi oor chal diya....

Dhruv - Dikhi kya light.....

Main - Haa dikhi...wahi jaa raha hu abhi...

Dheuv - ye kaam karta hai fir.....theek hai tum waha jaao....waha pe bhii bahut si yaadein hongi....jitni iski umar hai...uss hisad se to bahut hi hongi...

Main _ Main abhi wapas se kisi andheri jagah pe aa gaya hu par yaha raoshni hai thodi......main dekh sakta hu tumko....ye Bua Old Owl ko kya samjha rahi hai...

Dhruv - Wo.....wo tum kahi aise jaao to unko in sab ki khabar pahle mill jaaye ye samjha rahi hai.... :lol: Par Old Owl unko bata raha hai wo tumhari har khabar untak nahi pahucha sakta...iske liye tumhari permission chahiye hogi....ye sab baad mein dekh lena...abhi tum iss body mein pahuch gaye ho...ab iski yaadein dekho....dhundhon unko....

Main - Kaha dhunhdna hai ye bhi batao...

Dhruv - dhyaan lagao....tum pahuch jaoge iske memory mein...

Main bhi dhyaan lagane laga aur jaise hi aankhen band karke wapas se kholi.....main kahi aur hi tha.....haathon mein ek bada sa anda tha mere......aur main bhag raha tha.....Main abhi iske jagah pe tha.....Maine picche mudd ke dekha to waha pe kuch ajeeb se saanp the jo mere picche lage hue the.....bade gusse mein lag rahe the.....unme se ek aaya aur meri.....yaani ki iss taskari karne wale ke haath pe kaat liya...Main wahi pe gir gaya aur wo anda....wo bhi wahi pe gir gaya.....jo saanp mere picche laga hua tha wo uss tute hue ande ke pass chala gaya....aur abhi wo mere pass aata usse pahle ain waha se bhag gaya.....

Main - Dhruv ye sab kya tha....ye Saanp wo anda....aur main bhag raha tha.....

Dhruv - tum nahi bhag rahe the wo sab ye kar raha tha taskari wala banda.....tum bas uske yaadon mein the....sayad ye iska abhi jaldi ka kiya hua karnama hai....iske haath pe wo chot ke nisan hai...aur dekhne se lagte hai 3-4 tmahine pahle ke hi hai ye...

Main - wo saanp uska anda toot gaya iski wajah se.....

Dhruv - Shant ho jaao.....abhi aur picche jaao aur fir dekho kya milta hai....

Main aur picche gaya.....iss baar ek baccha tha....uske sir pe singh lage hue the...ye ek daanav ka baccha tha....maine dekha hai aisa pahle....par ye size mein thoda chota tha....Main isko leke bhag raha tha....wo baccha...usko sayad ye sab ek khel sa lag raha tha....to wo hasse jaa raha tha....Maine uss bacche ko ek nadi mein phenk diya....ek gahri nadi.....maine usko abhi goad mein liya hua tha....uss nadi ke pass pahucha main....aur fir uss bacche ko jor se niche phenk diya....aur fir apna haath saaf karte hue waha se chala gaya....

Pata nahi kaun tha wo baccha aur ye kya hua.....Main abhi iss taskari karne wale ki yaadon mein tha....ye yaadien bahut hi dukh dene wali thi.....uss bacche ka hasta hua chahra....sayad wo daanav ka hi baccha kyun naa ho par uska wo hasta hua chahra jaise chapp gaya ho mere ander.....

Main iski yaadon se bahar aana chahta tha...

Dhruv - Prateek sambhalo khud ko.....tum bhool rahe ho kya karne aaye the yaha....ye sab itna kuch kiss wajah se hua tha....

Main - Tumne dekha na....isne uss bacche ko....nadi mein phenk diya....wo baccha tha....aur wo anda.....usko tod diya isne....

Dhruv - main bhi sab dekh raha hu....tum khud ko sambhalo dost....aur wo dhundho jiske liye aaye ho....iss bicch aur bhi aisi cheezin ilengi par...tumko wo cheez dhundhe bina bahar nahi aana hai....

Fir kya tha.....ek aur yaad uske baad ek aur yaad.......inn yaadon ko dekhte hue.....aisa lag raha tha jaise maine wo saare kaam kiye hai....un baccho ko maarna....unn chizzon ko churana.....wo log meri wajah se ro rahe the....main mahsosh kar raha tha unn sab ke dard ko....jo sayad iss kamine ne kabhi nahi kiya tha......iske body se nikalne ke baad isko aisi maut dunga ki ye wapas se janam nahi lega.....aisa mann bana chukka tha main....par abhi bhi wo yaad nahi milli thi mujhko jo main dhundh raha tha...

Agli yaad jo iski mujhe dikhi.....wo kuch jaani pahchani hui si thi......aisa lag raha tha ye sab dekha hua hai maine....ek aurat jo bhag rahi thi.....bas bhage hi jaa rahi thi....apni goad mein ek baccha liye hue.....aur fir wo ruk jaati hai.....main uske pass jaata hu....aur mujhe kuch ho jaata hai....wo apni bacchi ko ek baar chumti hai aur fir usko mere haathon mein deke mujhe jaane ke liye kahti hai....wo aaurat.....wo bahut jakkhmi thi....sayad mere jaane ke bad hi wo wahi pe mar gayi hogi.....Main waha se ek portal kholta hu...aur seedha chala jaata hu ek ghar ke darwaje pe.....maine knock kiya aur ek buddi mere saamne aayi....isko pahle bhi dekha tha maine...kaha ye yaad nahi aa raha.....maine uss bacchi ko uske aath mein diya...aur fir se portal khola aur jaha pe main tha wahi pe chala gaya......

Main - Dhruv ye kya tha....aisa laga jaise iss baar isko control kiya gaya tha....aur wo bacchi wo aurat....aur wo bhuddi wo bhi dekhi hui si lag rahi thi....

Dhruv - Nikita....uski yaadein jab hamne wo dekhi thi to ussi ki tarah thi naa....aur wo buddhi bilkul waisi hi dikh rahi thi.....

Main - To kya wo Nikita thi.....aur wo aurat wo kya uski Mom thi.....

Dhruv - Pata nahi par sayad aisa hi ho.....unke saath bura hua tha.....tumne dekha naa wo jakhmi thi...

Main - Haa bahut jyada....aisa lag raha tha kisi ne unko maarne ki puri koshish ki thi par wo bach ke waha se aa gayi....aur Nikita ko kahi safe jagah pe bhej diya......yaad hai Nikita ke yaadon mein hamne dekha tha wo bhuddi aurat wo bhi marr jaati hai aur fir Nikita ko Prof Suraj ke pass leke chale jaate hai...

Dhruv - Hmm yaad hai mujhe.....sayad ye baat Nikita ko naa pata ho...aur hum bhi confirm nahi hai abhi....to abhi isko bas yaad rakhte hai aur aage chalte hai.....dekho aur yaadein dekho...sayad uss ladki ke baare mein bhi mille kuch....

Karib 3-4 aur yaadein aur main wapas se gusse mein tha.....ye banda aisa tha jisne sayad...saare paap kar rahe honge...

Wahi issi ke saath Pujari ji uss ladki ko uske pariwar ke baare mein bata rahe the....par usse pahle ladki se unhone pucha hi tha ki kya tumko pata chala tum ussi jagah kyun gayi thi...

Ladki - Pata nahi...maine kal bhi to kaha tha mere dimmag mein bas wahi ek jagah hi aayi to kya bataun mein....maine dhyaan bhi lagaya par bas kuch dhundhla sa dikha tha....

Pujari - aur kya dekha tumne ye bhi batao...

Ladki - Pata nahi....main bas..maine dekha waha pe kuch ho raha tha....kya pata nahi.....bas wo jagah mere dimmag mein thi....wo taalab....wo mere dimmag mein thi.....aur kuch nahi pata kya h raha tha waha aur kaise wo mere dimmag mein hai...

Pujari - koi baat nahi....tumhe yaad hona bhi nahi chahiye tha...

Ladki - kya.....

Pujari ji - Kuch nahi ab meri kahani sunno jo tumhare baare mein hai....

Ladki - kab se wahi sunne ke liye hu main...ab aap sunao....

Pujari ji - Bhanupur....ye wo jagah hai jaha pe tum paida hui thi....kahne ko tumhara bahut bda pariwar hai dono taraf se Maa aur Papa dono ke hi taraf se....par...insano mein naa ek Prem vivah ka chalan chala hua tha uss waqt aur tumhara Maa Papa ne bas ussi ke antargat....shadi kar li......aur shadi ke theek 7 mahine baad hi tumhara janam ho gaya....

Ladki - Ek minute insano mein bacche 7 mahine pe ho jaate hai....maine to....

Pujari ji - 9 mahine lagte hai....par tumhara case hi alag tha....prem vivah mein sayad aisa aksar ho jaata hai insano ke bich....shadi se pahle hi garbh mein thi tum...bas issi ke wajah se to tumhare Maa Papa ne bhag ke shadi kari...agar unke ghar walo ko pata chalta to gadbad ho jaati...tumhara janam bhi bade ajeeb dhang se hua tha.....jinhone dekha tha wo kahte hai janam ke waqt tumhari aankhen aur baal bilkul sunahre rang ke the par waqt ke saath wo normal se ho gaye the....kareeb 1.5 sal tak to tum bade acche se rahi thi waha pe....par fir kisi ne ko bhanak lag gayi tumhari......ek insani bacchi jo jaadu jaanti hai jiske pass powers hai....baatein phailne lagi charo taraf.....jo jaaduyi jeev waha the wo aur bahar se bhi kuch tumko dekhne jaane lage......kuch insani bhesh mein jaate to kuch chupp ke.....ye saari baatein Titan tak pahuchi thi....waha se bhi log gaye the tumko dekhne....ek din kisi tarah se tuhmare pass wo aa gaya.....Earth pe uska jaana manna tha.....par wo pata nahi kaise waha pahuch gaya aur usne tumko uthaya aur leke bhag gaya....aur tumhari jagah pe chod gaya ek shaitaan.......Tumhare Maa Papa ke liye wo kisi shrap se kam nahi hone wala tha....tumhari jagah lene ke baad usne naa jaane kya kya kiya.....par uska maksad tha tumhare Maa Papa ko maarna....taaki koi bacche hi nahi waha jisko tumhare baare mein kuch yaad ho...par usne ye aaasani se nahi kiya....unn dono ke bich ke pyaar ko hi khatam kar diya....baat yaha tak aa gayi ki dono ka hi talaq hone wala tha......aur talaq ke baad jaise hi dono akele hote unko maar diya jaata.....par Orion ka ek nivasi ek bahut bade jaadugar un dinno uss jagah pe the...unko pata chala inn sab ke baare mein unhone uss shaitaan ko khatam kar diya...par talaq ko nahi rok sakke...Tum yaha thi.....iss planet pe par tumko waha pe jinda unhone hi rakha....ek nakli pahchan banayi tumhari....tunhari ek parchayi....jisko uske Maa Papa ne manhoosh samajh ke chod diya tha usko insano ke bich rakha....Tum yaha pe....uske sath thi jisko tum apna sab kuch maanti thi.....usne tum yaha pe train kiya...aur apne saath apne kaamo mein laga diya....

Ladki - To mere Maa Baap ne mujhe manhoos samajh ke fenk diya....

Pujari - unhone tumko nahi fenka tha.....wo wo shaitaan tha....

Ladki - ab wo dono alag hai.....aur kaha rahte hai ab wo....main kaise dhundhungi unko.....

Pujari - Tumhari Maa ke baare mein ye pata chala hai ki wo apne maayke wapas chali gayi thi...tumhare Nana aur unke ghar walo ne bahut kuch sunaya par baad mein maaf bhi kar diya....abhi wo wahi rahti hai....aur tumhare Papa......wo sayad kisi collage mein padhate hai.....yaa principal hai sayad waha ke....

Ladki - Par main unko kaise pahchanungi....aur usse bhi badi baat kya wo mujjhe pahchanege aur mujhe apnayenge...

Pujari ji - Ye sab to tumpe hai....kaise kya karti ho.....main bas madad kar sakta hu.....aur kuch karna hi hai to unn dono ko saath leke aana pahle....aur wo jo galatfahmiyan aayi hai unko dur karti jaana sab sahi ho jaayega...

Waha wo dono baatein kar rahe the wahi main uss yaad mein pahuch gaya jiski talash thi mujhe......

Maine dekha....ki ek paalne mein ek bacchi hai.....mere sath bhi koi tha....maine usko uss paalne mein rakha aur bacchi utayi aur chal diya waha se.....waha se nikla aur sidha pahucha...Strange world ke pass ulkapindon ke ek samuh ke pass....jaha pe main kisi ka intezar kar raha tha.....bahut wait kiya par koi nahi aaya.....main uss bacchi ko leke waha se chal diya Strange world mein....waha pahucha to sochne laga iss insan ki bacchi ka kya kiya jaaye.....jiske kahne pe ye sab kiya tha wo to aaya hi nahi....Main to maar hi deta usko agar wo banda naa aaya hota....usne mujhse wo bacchi li aur uske badle kuch paise diye....ab kuch naa se accha kuch hona hota hai.....maine bachi dedi aur chala gaya...

Main - Dhruv ye wahi hai.....yahi hogi wo ladki.....ye insani bacchi hai par isse kuch khass pata nahi chala...

Dhruv - hmm koi bada chalak banda hoga inn sab ke picche.....accha tum bahar aa jaao.....yaha pe Bua mujhe aur Old Owl ko maar degi nahi to...

Main - haa main aa raha hu....

Maine wapas se dhyaan lagaya bahar jaane ke liye....aur tabhi mujjhe ek ajeeb sa jeev dikha.....wo meri oor badh raha tha....

Main - Dhruv ye kya hai.....

Dhruv ka koi jawab hi nahi aaya.....pata nahi kya tha ye.....

Maine apni talwar ko yaad kiya aur wo mere haath mein tha.....wo jeev mere karib aata jaa raha tha....aur main talwar liye khada tha.....samajhne ki koshish kar raha tha ki ye hai kya....

Kuch samajh to nahi aaya par wo jeev mere bilkul kareeb aa gaya tha...Maine Talwar pe apna grip aur majboot kiya....aur uspe waar kiya.....

Meri talwaar usko cheerti hui nikal aayi uske ander se khoon bhi nikla par.....jis jagah ko cheer ke mera talwar bahar aaya tha....wo jagah wapas se judd gayi.....aisa laga jaise waha pe usko kuch hua hi nahi tha....maine wapas se hamla kiya....aur fir se wahi hua.....

Main samajh nahi paa raha tha ye hai kya.....aur isko khatam kaise kiya jaaye......

Main - Dhruv aawaj aa rahi hai kya.....yaha pe koi jeev aa gaya hai main isko maar raha hu par ye.....ye wapas se theek ho jaa raha hai....Dhruv...sun rahe ho kya......

Waha se koi aawaj hi nahi aa rahi thi.....

Itne mein pata nahi kaise waha pe Cooper aa gaya theek mere saamne.....aur fir ek light orb mein badal ke talwaar pe aa gaya.....jisse talwaar ka blade bahut chamakne laga....sayad ye mujhe bata raha tha kaise maarna hai saamne wale ko......maine bhi apne Lightening element ko jagaya aur uski powers ko talwaar ke blade pe kendrit kiya.....jisse wo talwaar bahut hi jyada chamakne lag gaya tha.....maine fir se ek waar kiya......aur iss baar usko cut laga tha......bas fir kya tha....jitne bhi daav pench aate the talwaarbaazi ke saare hi practice kar daale......matlab wo jeev itne pieces mein katta hoga ki ginna muskil ho gaya tha....main bas katta gaya aur katta gaya....jaise hi wo khatam hua main apni Body mein aa gaya......aur

Chattak...chattak.....

Jaha aise kisi jeev ko maar ke aane ke baad taarif milti hai....saabasi milti hai wahi.....mujhe thapad mile the wo bhi 2-2

Main apne galon pe haath rakhe khada tha....

Bua - Mujhse bahas karoge tum.....itne bade ho gaye.....isko bolte ho ki aur maar khani hai....

Main - Kya bolna hai ye to batao.....

Bua -(gusse mein) itni der se bata rahi hu....bol isko...jaha bhi tu jaaye ye mujhe khabar karega....bol warna taange tod dungi ab....

Main - par wo waisa nahi kar sakta Bua......

Bua - abhi to kaha isne ki agar tu haa karega tab hi ye aisa kar sakta hai ab haa bol usko,...

Ab kuch samajh mein aa raha tha ye thapad kyun pad rahe hai....ye sab sale uss Dhruv ka kiya hoga......Bua to bol rahi hai bahas kar raha tha.....isne aisa kar diya..... :doh:

Main - Old Owl tumne ye kaha inse......kya tum sach mein inko bata sakte ho main kaha hu....(aankhen dikhate hue usko kaha maine)

Usne meri oor dekha aur naa kaha fir Bua ne uski oor dekha aur usne haa kah diya.... :doh:

Mujhe ye nahi pata chal raha tha ye sala meri side hai yaa Bua ke.....

Bua - dekho usne kaha hai ki wo bata sakta hai....

Main - Buaa....yaar aap samajh nahi rahi naa.....ab main kahi jaaunga aur aap isse puch ke waha aa jaogi....accha lagega aisa....

Bua - isme burayi hi kya hai....ye to accha hai main hamesha tumko baccha lungi....

Main - yahi to aap hi bachate raho mujhe....main kuch karta hi nahi hu fir....school se bhi nikalwa do...aap to rahogi hi....aap baccha lena...mere saare kaam aap kar dena....main bas ghar pe baitha rahunga....ye accha hoga naa....

Bua - Jyada smart banne ke jarurat nahi hai.....sochne do mujhe.....

Old Owl - wo.....wo log wapas aa rahe hai....

Bua - Kaun log.....aur ye jagah hai kaun si.....aur ye to wahi hai naa.....

Main - Bua thodi der rukko....Old Owl kitna time hai....

Old Owl - T- 600 seconds......

Main - Dhruv sunn rahe ho....

Dhruv - haa sun raha hu.....par ye Cooper ko kya ho gaya....aisa kyun lag raha hai jaise isne bahut saari energy laga di hai apni....thakka hua sa lag raha hai....

Main - wo ek jeev aa gaya tha usko maarne mein isne madad ki.....par ye dono itni jaldi kaise kamzoor ho jaate hai.....aise mein to main mushibat mein pad jaaunga kabhi....'

Dhruv - inko baahar nikala karo....inko bahar ki hawa lagne do...tumhare ander rah rah ke ye kamzoor ho rahe hai....tum sab ki energies combied hoti hai......jitni energy level tumhari hai utni hi inn dono ki bhi.....ab socho do dragons tumhare jitni energy ke saath rah rahe hai.....ye to ye dono manage kar le rahe hai iss wajah se....warna...

Main - Ek minute iske baare mein kabhi aur baat karenge.....yaad hai isko sazza deni thi....kya main maar du isko......waise bhi ye issi ke kaabil hai...

Dhruv - Puch kya rahe ho....maar do.....yaa chod do ye tumpe hai....par sazza ke aur bhi tarike hite hai wo bhi socho...

Main - hmm sahi kaha maar dene se to iske saare dukh hi khatam ho jaane hai....main isko tadpaana chahta hu.....itna jitna koi naa tadpa ho.....batao kya karu main....

Dhurv - jo dard logo ne iski wajah se saaha hai wo dard isko dedo.....ye khud tadapta rahega....

Main - hmm ye sahi hai par kaise.....kaise karu main ye.....

Dhruv - wo jeev...wo abhi bhi laga hua hai uske sar pe.....uske upar haath rakho....aur batao usko kya dikhana chahte ho tum issko....

Main Bua aur Old Owl se thodi dur pade uss taskari karne wale ke pass gaya.....uske sar pe wo jeev tha maine uske upar haath rakha.....

Main - isne jis kisi ko bhi......dard diya hai dukhi kiya hai......ye khud ko unhi logo ke tarah dikhne lage...aur tadpe.....jaise wo sab tadpe the....roye jaise wo roye the....

Maine aisa kaha wo jeev thoda sa chamka....aur maine usko khinch liya...aur fir ussi jar mein band kar diya jisse usko nikala tha.....

Aisa karne ke baad wo taskari karne wala......wo jor jor se chikhne laga....kaan phadd de aisi aawaj....utne jor jor se chinkh raha tha wo.....

Bua ko to apne kaam band karne pad gaye.....aur main.....main bas khush ho raha tha....wo tadap....wo tadap jo maine iski yaadon mein unn logo ke ander mehsus ki thi....jo unn sab ke chahr mein dekhi thi....abhi wahi sunayi de rahi thi mujhe.....ki Bua aayi aur jaadu se uss taskari karne wale ko behosh kar diya....

Main - Ye kya kiya aapne.....aisa kyun kiya....

Bua - kya matlab kya kiya....kaan phaad deta ye....aur khud ka galla phad leta....aine bas usko aaram pahuche iss wajah se behosh kar diya....aur tumne kya kiya uske saath ue jaar mein kya leke ghoom rahe ho.....

Main - Bua aapne accha nahi kiya......wo wo accha nahi hai....wo bahut bura hai uski....uski wajah se bahut se maasum tadpe hai....usko aaram nahi...usko sazza hi milni chahiye.....

Bua - Kya bakwaas kar rahe ho tum.....yaha aao.....

Unhone mera haath pakad ke khud ki taraf khincha....aur mera maatha chute hue check kiya ki kahi main theek hu yaa nahi....

Bua - theek to lag rahe ho fir ye aisi baatein....

Main - Aap samajh nahi rahi Bua.....iski wajah se kitne logo ne apna kya kuch nahi khoya hai....

Bua - theek hai....Old Owl yaha ka iska kaam ho gaya naa....jaldi se portal kholo aur humko bahar leke jaao yaha se.....hamare ghar pe....

Main - Nahi....

Bua - Old Owl abhi karo....

Usne Portal khola aur Bua mujhe waha se leke chali aayi....ghar pe.....

Ghar pe jaise hi pahucha.....pata nahi kaise mere dimmag se jaise uss taskari karne wale ke liye jo gussa tha wo kam sa hone lag gaya.....main samajh nahi paa raha tha....

Bua - jaao jaake pahle haath muh do ke aao.....main dekhti hu Bhabhi kaha hai....aur agar kahi bhage to yaad rakhna baad mein issi ghar mein aana hai aur main yahi milungi...samjhe...

Main - haa.....

Main apne room mein gaya waha ke bathroom mein gaya apna chahra dhoya...saamne aayine mein khud ko dekhne laga......meri aankhen....aisa laga jaise....aakhon ka jo kala hissa hota hai....wo aur bada ho gaya tha mera......aur bahut ajeeb sa lag raha tha....

Maine wapas se chahre pe paani daala....aur fir dekha...to ab kuch normal sa lag raha tha......Maine shower chalu kiya....aur waise hi kapde pehne hue hi.....uske nicche jaake khada ho gaya.....

Thodi hi der mein.....Old Owl ki aaweaj aayi.....

Old Owl - Kaam ho gaya hai....usko jail mein wapas daal diya gaya hai....par wo jo uske jagah pe tha wo gayab ho gaya.....

Main - ek chota sa portal kholo kuch der ke liye....waise waha se Earth pe aise travel karke aane mein kya waqt lag jaayega....

Old Owl - 30 din sayad yaa usse bhi jyada......

Main - Portal khol do phir....aur baad mein baat karte hai....

Usne portal khola...aur usme se Mera Albus mere pass aa gaya aur mere ander chala aaya....uske mere body mein aane se....jaise kuch kuch accha sa lagne laga tha mujhe....

Dhruv - Dark power.....wo tumpe haawi ho rahi hai......sambhalo khud ko.....

Main - Wahi to kar raha hu....aur pahle nahi bata sakte the.....

Dhruv - Main samajh hi nahi paaya......ye sab jab tum uske ander se bahar aaye tabhi shuru ho gaya...agar sahi waqt pe wo chanta aur fir tumko waha se yaha leke aana naa hua hota to sayad abhi Dark Power tumpe haawi hoti....

Main - To Bua ne meri jaan bachayi.....main kaise roku iske......

Dhruv - Albus aur Cooper.....usko aazad chod do.....unki energy ko tum apnao.....jaise abhi wo tumhari apna rahe hai.....

Main - aasan bhasha mein bataoge.....

Dhruv - maine bataya.....ki tum unko aazad kar do.....abhi unki energy levels jo hai wo tumhare itni rahti hai....jaise hi wo aazad honge...bahar rahenge/....khana khayenge...unki energy level badhegi....aur saath hi tumhari bhi kyunki judde hue hai hum sab....

Main - Par wo chale gaye to....

Dhruv - ye phase pura ho chukka hai agar jaana hi hota to kabke chale jaate wo....naa to tumko bachate usse jo tumko talwar chalane shikahne aaya tha....aur naa hi tumhari baat sunte wo...

Maine thodi der socha....

Main - To kaise karu aazad unko....matlab chod du.....ki jaao jaha jaana hai waha jaao.....jee lo apni jindgi...

Dhruv - :doh: accha mazak tha ye....main kah raha hu...aazad karne ko....matlab....unko bahar bhi time do....ghumne do unko....dekhne do duniya.....wo roj aa hi jaayenge tumhare pass....bas kuch pal ki aazadi chahiye hogi unko....din mein 2 ghanta...jab wo bahar jaaye....sab dekhe...chizzen sikhen...aur emergy badhaye apni...

Main - hmm theek hai main taiyaar hu....Main abh.....

Dhruv - Abhi nahi.....abhi iss halat mein nahi hai Cooper.....wo thakka hua hai abhi aaram karne do.....kal se karna ye sab....unn dono ko bahar chod diya karo.....raat meim.....yaa jab bhi tumhe lage.....

Main - thee...

"prateek bachu theek ho naa.....kab se aawaj de rahi hu....main ander aa jaun kya....sab theek hai naa..."

Main - Haa Bua wo main shower le raha hu......abhi aaya aap jaao nicche....

Main tab se shower ke nicche hi khada tha....shower band kiya...pahle kadpe nikale khud ko shukhaya aur bahar gaya.....Bua nicche chali gayi thi :sweat: ....main kapde pehne aur nicche chala gaya.....waha Chachi pahle se baithi hui thi aur Bua se baat kar rahi thi......

Mujhe dekhte hi wo mere pass aayi...

Chachi - Tu theek hai naa....kya ho gaya tha tumko.....

Main - Kuch nahi chachi wo bas....

Bua - tumhari aankhen.....wo kaise badal gayi thi.....sab theek lag raha hai naa....kuch ajeeb to nahi lag raha.....

Main - Nahi Bua wo lagta hai portal ki wajah se...saya.....

Chachi - Portal......kitni baar kaha ki pahle seekh lo.....uske baad karna use...par nahi aapko to sab aata hai.....maine kaha tha naa portal ka use abhi nahi karna hai.....fir kyun kiya....

Main - Arre nahi chachi main....bas.....

Chachi - last warning de rahi hu....iske baad agar kuch aisa hua....to tumko main.....main.....uss waqt bataungi....dekhna bas tum....

Bua - Bhabhi khanna lagao pahle.....bhukh lagi hui hai.....iss gadhe ki wajah se 2 classes nahi li maine.....aur isne bhi apni classes miss ki hai....

CHachi - Haa leke aati hu....tu bhi baith....pata nahi kya kya karta rahta hai.....hazar baar manna karo par inko to fark hi nahi padta kuch......

Aise hi badbadate hue wo chali gayi....

Bua - sab theek hai naa.....

Main - Haa Bua sab theek hai....aap thi to theek hona hi tha naa....

Bua - Kya matlab...

Main - Aap waha se yaha naa laati to gadbad ho jaati fir....

Bua - dekha...issiliye kah rahi hu...Old Owl ko bolo....mujhe tumhari locations ka batate rahne ke liye.....

Phir se wahi baat sunke....mera Muh banne lag gaya....

Main - nahi ye nahi karunga.....par....

Bua - Nahi kya karega.....taange tod dungi....bol usko....aur ye par war naa unke saamne jaha tumhari chalti ho....samjhe....

Main - Arre aap sunti nahi na.....main kah raha hu wo nahi bata sakta....par agar kabhi mushibat mein hua naa....to sabse pahle aapko khabar pahuch jaayegi....pakka...

Bua - accha theek hai itna kaafi hai mere liye par tumko nahi lagta ki tum mushibat mein ho ki nahi ho ye baat tumko pata hi nahi lagti hai.....aaj lagi thi kya pata....

Baat to sahi hai inki.....par main aage se dhyaan rakhunga....

Main - Wo main dekh lunga..aur jab tak khatre naa milenge kaise seekhunga.....aur haa aapko bhi tab bualaya jaayega jab mujhse naa sambhle khud samjhe....aur Old Owl ke saamne chanta kyun mara aapne....

Bua - kyun nahi maar sakti....

Main - Main K.Bua ke saamne aapki burayo karta hu kya....wo dost hai mera aur aap uske saamne mujhe....

Bua - Sochna bhi mat.....meri burayi karne ka anzzam bahut burra hota hai bacchu.....aur theek hai aage se main bhi dhyaan rakhungi.......par usse pahle to waha chal kya raha tha ye sa.....

Chachi - Ye lo....sab khao....kya baatein chal rahi thi...mujhe bhi batao.....

Bua - Wo Bhabhi kuch nahi bas aise hi isko samjha rahi thi.....aage se aisa naa karne ko....

CHachi - haa acche se samjha isko....naa samjhe to mujhe batana....iss baar main samjhaungi fir....

Wo dono mujhe aise hi daanti rahi......

Wahi yaha se dur.....Strange world mein.....

Elf king....unhe abhi tak yaken nahi hua tha iss baat pe ki unka bhatija hoga....jo unko dhokha dene ki koshish karega.....ho bhi kyun....aakhir sab kuch to ussi ka hona tha....fir wo kyun karta ye sab....par saath mein ye bhi lag raha tha Leader kyun jhooth bolega....wo bhi uss waqt jab uski Beti ka sawal ho....kyun wo jhot bolne lag gaya.....

Elf King aise hi pareshan ho rahe the.....

Unhone apne ek khass bande ko bulaya.....kya khass abhi to wo apne saaye pe bhi yakkin nahii kar paa rahe the.....

Wo - Mahamahim aapne hummme yaad kiya....

Elf King - haa......aao kuch baat karni hai....

Wo - boliye maharaj aapka ye shewak sun raha hai.....

Elf King - Mujhe ek tip milli hai.....jiske anusar....(thoda soch ke) jiske anusar tum mere khilaf koi saazish rach rahe ho....

Uss bande ne bas ye sunna......ek pal ko Elf King ki oor dekha....aur fir apni talwar nikal li......

Elf King - Tum mujhpe hamla karoge.....

Wo - Aapne ye soch bhi kaise liya Mahamahim.....khair ab kya hi phark padta hai.......

Usne apni talwar nikali aur dono haathon se uska handle pakad ke khud ke pet mein daalne laga.....par ise pahle talwaar uske ander jaati Elf King uske pass chale gaye....aur uska haath pakad liya.....bahut teezi se gaye the wo.....haath pakda aur talwaar bhi fenk diya unhone....

Wo - Mahamahim......aap mat rokiye mujhe.....aaj maine aapka bharosha khoo diya hai....matlab ye jindgi bhi kho di hai.....mera marna mere liye accha hai...

Elf King - Rukko.....aur sidhe khade ho jaao.....

Uss bande ne Elf King ki baat sunni aur ekdum siddha khada ho gaya......wahi Elf king apni jagah pe wapas chale gaye.....

Elf king - ye ek imtehaan tha.....jisme tum safal hue ho....ab main jo bhi pucchu sab batana

Wo - Aapne to abhi darra hi diya tha.....aisa kya ho gaya jo mujhpe bhi yakkin naa raha aapka....jarur koi badi baat hui hai....

Elf King - Haa baat to badi hi hai.....par sawal yaha main karunga....tum bas jawab do.....

Wo - Maaf kariye Mahamahim....maine aapka apmaan kiya.....

Elf King - Ab shant raho aur meri baatein sunno....kya tum....kisi aise ko yaha laa sakte ho jo The Archery society ke baare mein jaante hai.....

Wo banda....usne ek baar ELf King ki oor dekha....jaise dekh raha ho kya chal raha hai inke dimmag mein....

Elf king - Batao kya jaante ho kisi ko....

Wo - Nahi....par koi hai jiske baare mein sunna hai ki wo jaanta hai uss society ko....aur waha ke kuch logo ko....par aap kyun....

Elf king - Mujhe madad chahiye unki.....abhi iss waqt sirf tum ho jispe main yakkin kar sakta hu....aur koi nahi hai.....jitna maine unke baare mein sunna hai wo mere.....iss gaddi ke wafadaar hai wo kabhi dhokha nahi dete.....unse kaam hai mujhe ek...kuch pata karna hai.....

Wo - Bura naa maane to aap mujhe jaanch ke dekhe iss kaam ke liye....main apni saari shakti laga dunga aapke kaam mein...chahe mujhe kuch bhi ho jaaye....

Elf King - Yahi to main nahi chahta......tum wo aakhiri ho jispe pura yakkin hai mujhe....tumko khona...bada kathin hoga.....mujhe milwao usse jo uss society ke baare mein jaanta hai...

Wo - Waqt lagega Mahamahim par aapka kaam main kar dunga...aaj hi leka aaunga usko yaha mein.....

Elf King - Nahi bewakoof yaha nahi....main khud aaunga waha....tum bas jagah batana mujhe....aur dhyaan rahe hamari ye mulakat......Kingdom mein phaili hui bimari se bachne ke vishay mein hui hai....

Wo - Theek hai Maharaj.....ab aagya de....

Elf KIng - jaao aur meri baat yaad rakhna.....

Wo banda chala jaata hai wahi....Elf King wapas se khud se baatein karne lag jaate hai...

Elf KIng - Ye phaisla sahi hai yaa nahi pata nahi par.....mujhe ye baat pakki karni hi hogi...agar inn sab mein uska naam aaya to usko sazza bhi deni hi hogi......pata nahi aur kya kya dekhna baaki hai.....bas ye mujhe Uss Society tak pahucha de....wo meri madad ke liye maan jaaye bas.....

Yaha Elf King ne soch liya tha Leader ki baat ko confirm karne ka ek hi tarika hai aur wo hai naye Yuvraj ke baare mein har ek baat janna......isme wo kisi aur ki madad lene se katra rahe the....par jaisa ki unhone sunn rakha tha....wo Society hamesha Crowned Elf family ke paksh mein rahi hai,....aur gaddi ki sewwa ki thi....to unhone madad lene ka mann banaya....

Wahi yaha se dur.....Fumos mein.....Leader to kab ka waha se nikalne ko taiyaar hua baitha tha....par dikkat ye thi.....wo Fumos se dur.....rah nahi sakta tha jyada der....ye niyam hai waha ka.....aap leader ho to aap waha se jyada samay ke liye bahar nahi jaa sakte.....ek fixed time period hota tha jitni der aap waha se bahar rah sakte the......par Leader ko iss case mein dikkat ho rahi thi....Earth itna bada.....wo akele....aur dhindhna bhi usko hai jisko inhone bahut pahle dekha hua tha.....

Leader issi samasya ke baare mein to soch raha tha...aur koi upay dhundhne ki koshish kar raha tha....upay waise to wo jaanta tha....par uske badle usko kuch karna padta.....ek keemat...

Leader jammin pe baitha hua tha.....Fumos se connect ho raha tha.....

Fumos - Batao kaise yaad kar liya mujhe....kya phaisla kar liya iss bhar se mukt hone ka......

Leader - Nahi.....main tumse ek favour chahta hu....

Fumos - Batao.....kaisa favour chahiye tumhe...

Leader - Main jyada waqt tak tumse dur rahna chahta hu.....

Fumos - Manjoor hai.....

Leader - Kya keemat chukani hogi mujhe.....

Fumos - Itne saal se mujhse judde hue ho ki ab sab samajh jaate ho tum....keemat to chukani hi hogi....shabit karo khud ko......ek ladayi....dopaher wali......kisi ek ko chunno usko harao....aur tumko main waqt de dunga....

Leader - Par uss waqt to main waha jaa hi nahi sakta....

Fumos - Ye niyam maine banaya tha.....ab main hi todne kah raha hu...jaao abhi....aur lad ke aao......chalo itne baras mere saath rahe ho ek gift to banta hai....Bonus bhi milega tumko...

Leader - Kya matlab hai iska...

Fumos - kisi 1 ko maaro....aur khud ko shabit karo.....uske baad bhi agar tum logo ko maarte ho......to tumko aur bhi jyada waqt dunga main....

Leader - Kitna waqt....

Fumos - 1 maut pe ek din diya....tum bhi kya yaad rakhoge....

Leader - tum mazak kar rahe ho....agar aisa kiya to tum bach nahi paaoge....

Fumos - Naya Leader aa gaya hai yaha.....aur jab tak wo yaha rahega tum bahar rah sakte ho....

Ye baat sunte hi jaise Leader khushi se pagal ho gaya.....

Leader - To....to kya wo....wo jab tak yaha hai main bahar rah sakta hu....matlab....main aise hi aazad ho sakta hu....

Fumos - Aazadi ki keemat pata hai tumko....maut bas wahi tumko aazad kar sakti hai....abhi naye Leader ko apna saara bhar saunp do aur aazad ho jaao.....

Ghumphir ke baat wahi aa gayi thi....Kaha Leader ye soch raha tha wo inn sab se aise hi nikal paayega aur phir apni Beti ke saath rahega....par...sayad aisa kuch hona hi nahi hai....mann maar ke Leader ne khud ko taiyaar kiya....aur uss jagah se nikal wo pahuch gaya bahar....jaha pe sab lad rahe the....

Leader ne ek bande ko dekha...jo abhi h kisi se jeeta tha...Leader ne usko chunauti di.....

Usko yaad aaya kaise wo iss planet pe pahucha tha.....wo lalach...wo power ki bhookh jo usko yaha leke aa gayi thi...jisne bad mein usse uska sab kuch cheen liya....

Saamne se aa raha wo banda....usne aate hue hi jammen par se kuch pathar uthaye aur usse Leader ko maarne ki koshish ki...par Leader ke sharir pe lagte hi wo pather hi chaknachur ho gaya.....Leader ne apne haathon se uss bande ka kaath pakda....aur bade hi aaram seuska haath madod diya...yaa kahe tod diya ho...

Wo puri jagah iss waqt jung ka maidaan banni hui thi har taraf se chikhne aur chillane ki aawajein aa rahi thi par......leader ne jiska haath madoda tha uski aawaj sabhi ke kaano mein gayi thi....agar koi x-ray karke dekh leta to wo bhi chakra jaata.....uss bande ki haath ki hadiyan....karib 5 tukdon mein bat gayi thi.....

Leader - Abhi bhi taakat hai mujhme....itna bolte hue....usne....saamne wale bande ka sar apne haathon se pakda.....aur press karne lag gaya usko.....wo banda chilla raha tha....bahut jyada chilla raha tha...aur fir....ek kadddd aur phach ki aawaj ke saath chilane ki aawaj khatam ho gayi uski.....

Leader ke haath purre khoon se sanne hue the.....wo banda.......uske sar ki to chatni ban chukki thi.....

Leader - saabit kar diya maine khud ko....abhi bhi dum hai mujhme.....ab Bonus ki baari hai......

Iske baad jo khoon bahaya tha Leader ne puccho hi mat....15 logo ko maar chukka tha wo.....wahi Slayer......wo theek dusri taraf tha abhi Leader ke.....bas yahi ek wajah thi....jiss wajah se aaj dono mein ladayi nahi ho paayi....nahi to pata chal hi jaata kisme kitna dum hai....

Slayer bhi kam nahi tha....par usne jaise khud se samjhauta kar rakha tha....wo bas is jagah se nikalne ke baare mein sochta rahta....wo bas yaha pe utna hi kaam karta jisse wo jinda rah sakke.....

Ye badlaaw sayad waqt ke karan hua tha....par isme sirf waqt ka haath nahi tha.....Strange worlds se ayye hue logo ka bhi haath tha.....Slayer ne iss baat pe gaur kiya ki jab bhi wo Strange world se aaye hue logo ko maarta hai aur unko khata hai to usko bahut jyada taakat milti hai itni ki wo dhyaan laga pa raha tha....par gadbad tab hui jab usko pata chala ki ab saare Strange world wale log mare jaa chukke hai....to ye ab power generate nahi kar paa raha tha....Slayer ko lagne laga tha agar usne ek din mein 4 yaa 4 se jyada Strange world se aaye logo ko maar ke unki aatmayein khaayi to wo wapas pahle jaisa hi powerful ho jaayega aur iss jagah se nikal jaayega.....par aisa hona mushkil tha kyunki waha se abhi log aa hi nahi rahe the....to bas ye apna waqt kaat raha tha.....

Ladayi ka samay khatam hua aur Leader wapas se apne kamre mein aa gaya aur jammen pe baith gaya.....

Fumos - taakat to abhi bhi hai tumme......ispe shaz nahi kiya jaa sakta.....

Leader - tumne jo kaha tha yaad hai naa.....

Fumos - Meri baaton pe bhi shak nahi kiya jaa sakta....jaisa kaha tha waisa hi hoga.....16 log maare hai tumne.....1 khud ko sabit karne ke liye aur baaki ke 15 bonus.....khud ko shabit kiya...iske liye 5 din diye tumko.....5 din tum bahar rah sakte ho......

Leader - Bonus ka kya.....

Fumos - Tumhari issi aadat ki wajah se hum dono ek hue the naa.....sabr hi nahi hai tumme....bas bhookh hai ek tumhare ander.....aur jaise hi mauka milta hai tum lag jaate ho....

Leader iss baat ko sunke yaad karne laga kaise usne puri baat nahi sunni thi aur haa kah diya tha.....aur iss jagah pe phass gaya tha wo....

Fumos - !5 log maare hai tumne....to 15 din aur diye......par

Leader - Ye tumhara par kabhi khatam nahi hota naa.......har ek line mein ye par aa hi jaata hai tumhara....batao iss baar kya hai iss par mein.....kya chahte ho......

Fumos - Ab tum mujhse itne lambe waqt tak jab dur rah sakte ho to jab yaha aaoge to yaha bhi jyada din rahna hoga.....

Leader - ye kya baat hui.....aisa to koi sauda hi nahi hua tha....

Fumos - yahi ek baat hai.....ab ye tumpe hai ki tum kya chahte ho....mere saath rahna yaa fir hamesha ki aazadi....matlab maut....chun lo....

Leader - batao kitne din badhaye hai waha tumne....

Fumos - 20 din tum bahar raho....par uske baad jab yaha aaoge to 10 din tak kahi bhi nahi jaa sakte tum......bas yahi rahoge.....aur iss baat ka bhi dhyaan rakhna hoga...tumhare jaane ke baad yaha pe sab sahi se hota rahe.......

Leader - Uski chinta mat karo......yaha pe kabhi kuch sahi se nahi hota.....aur ye 10 din.....mujhe manjoor hai....

Fumos - Agle chand se tum ye shuru kar sakte ho.....

Chand ka matlab ho gaya full moon...inka alag hisab hai naa...

Leader - Theek hai....

Chalo aaj ke liye itna hi....wo hamare bade Dada ji expire kar gaye....aisa hi kahte hai naa :sad: khair umar bhi ho gayi thi unki...bimar bhi the.....bas issi wajah se update aa nahi paaya....ab leke aa gaye hai update...

Next update mein dekhte hai.....Elf King ki mulkat Archery society ke logo se....Prateek ka Albus aur Cooper ko bahar chodna...dekho kya karte hai wo dono.....aur Lucifer ke passs chalenge kyunki ek baar fir se.....Dark power ne apni chaap choddi thi....aur Lucifer.....wo isko pahchan hi lega....apne Bete ke liye wo kuch bhi karega...
super fantastic nice update bhai
 
Top