★ INDEX ★
☟
☟
♡ Family Introduction ♡ |
|---|
Last edited:
♡ Family Introduction ♡ |
|---|
Kha h updatekon bola burra laga 10 worriors ki baatein sach hai par kuch kuch guess karte rahna chahiye...
Update kal aayega
Ok brother no problemUPDATE - 17
Ab tak
Main apne family tree ke pass gaya waha pe mujhe sab kuch bataya gaya mere family ke baare mein sab kuch matlab sab kuch...waha par fir kuch hua...jiske baad sab bhag gaye dar ke maare...aur hamare family ko Aag ke pankh wale cheel ki shuraksha mil gayi....hum sab wapas aaye aur wahi sab ke baare mein soch rahe the ki Rupal didi mujhe bahar leke aa gayi aur ek ghar ke pass rukki....wo ghar unke Nana - Nani ka tha aur theek samane ek bada ghar tha jaha ke maalik ne naa sirf Rupal didi ke Nana - Nani ko apna gulam bana liya hai balki...unka ghar bhi hadap liya hai...Rupal didi ne road per se ek pather uthaya aur....fenk diya uss ghar ki oor....
Ab aage...
Rupal - Bahar nikalo....dekho main fir aa gayi...aao bahar....
Main - ye kya kar rahi ho didi aap...hum Nana - Nani ko baccha lenge...par aiise nahi....
Rupal - Nahi ab aise hi hoga...tujhe nahi pata humne kya kya kiya hai....Maa ne kitni baar isse baat ki Papa ne Dada ne par ye unn sab ko bhi....nahi issko main sabak sikha ke rahungi...
Abhi did bol hi rahi thi ki uss ghar ka darwaja khula....aur saamne ek aisa jeev tha jiska sar suwar jaisa tha aur sharir....insan ki tarah....bbas ek punch alag se lagi hui thi....kasam se itna bhada jeev nahi dekha tha kabhi maine....sayad abhi khana khaa raha ho...uske chahre pe laga hua tha kuch.....
Main - Ye kya hai didi...itna bhadda sa...
Did kuch bolti usse pahle wo khud bola....
"ooye ladke kon hai tu....janta hai main kon hu...ye pata hai kisko abhi bhada bola....tujhe aur tere pure khandan ko apna gulam bana lunga....."
Abhi wo mujhse baat kar raha tha ki uski nazar Rupal didi pe gayi....
"tu tu wapas aa gayi raand ki bacchi....chal aaj tujhse bhi apna hisab chukka hi leta hu bahut dekh liya tujhe..."
Wo bhada sa jeebv mere saamne Rupal didi ko gali de raha tha....aise mein kon shant rahega...par mujhse pahle Didi hi jawab dene chal padi....unhone apni talwar....joki unke haath mein pehne hue ek anguthi mein fit thi aur saath hi shield bhi usko bada kiya aur uski oor jaane lagi....
" Hahahahahihihihaaaha aaja aaja tujhe dikhata hu...badi bahadur banti hai naa aaj dekh pahle tujhe fir tere badle tere purre khandan ko yaha laaunga aur sab mere gulam hon.....ahhhhhhhhh"
Wo bol hi raha tha ki Didi ne apne shiled se water canon ka hamla kar diya...matlab didi Water element wali hai.....wo paani bahut jyada force se uss aadmi ke chahre pe paddi....jiska anjaam hua uska bolna band ho jaana aur uski cheekh....Par didi fir bhi nahi rukki....wo to talwar leke daud padi uske upar......aur uske pass pahuch ke hamla shuru bhi kar diya....par.......wo sambhal chukka tha aur gusse mein tha sayad....atbhi usne ek haath mara Didi ko aur didi gir gayi side mein.....maine jab usko dekha uss waqt to chaunk gaya....uski body thodi badi ho gayi thi....badi aur takatwar....
Main Didi ke pass bhaga....aur unko uthaya....
Main - aap theek to ho naa...aur ye...
Abhi bol hi raha tha ki woo aadmi chikhnte hue mere pass aaya aur....mujhe ek haath se utha liya aur mujhe waha se fenk diya....bilkul kisi ruii ki tarah.....jab iss baar dekha tab bhi wo pichle baar se thoda bada dikh raha tha....Ye kya ho raha tha....
Main bhi kisi konne mein girra hua tha...par tabhi wo wapas se didi ki oor badha aur gussa to kafi aa gaya tha mujhe,...abhi usko dekh hi raha tha ki...kisi ne uske upar aag se hamla kiya...assmaan se,....Aur wo waha se dur jaa girra.....
Main Didi ki oor dekh raha tha ki kahi unhe to kuch nahi hua par wo thik thhi sayad....main utha aur unke pass gaya...unko uthaya....
Main - Aap thik to ho....aur ye bada kaise ho jaata hai har baar....
Didi - Hmm thik hu....ab iss kutte ko chodungi nahi main....tujhe marra na isne...
Hum baat kar rahe the wahi ki ek bada sa pather hamari oor aaya..par humme lagta usse pahle hi bahut tez hawayein chali aur fir wo udd gayi..wapas wahi jaha se aayi thi...aur jaake lagi ussi aadmi ko...ab wo aur gusse mein aa gaya aur hamari oor bhagta hua aayi aur hamme maarne hi wala tha ki....hamare aur uske bich ek diwar si ban ggayi....thodi hi der mein waha pe wo cheel aa gaya.....
Aur uske saamne jor se cheekha.....uss cheel ki aawaj mein bhi itni takat thi ki wo aadmi waha se kuch duri pe chala gaya...aur gir gaya....
Wo aadmi wapas utha aur iss baar bhi uski body aur badi ho gayi thi....
Main - Didi ye har baar bada kaise ho jaata hai.,...
Rupal - Iski takat hai ye....isko jitna gussa aayega ye utna hi takatwaar hoga....
Main - kya...phir ab kya hoga...
Rupal - Hona kya hai ye hai naa hamari suraksha ke liye... dekhte hai kya hota hai,...
Main - Aap kya pagal wagal ho...
Mere aise bolne pe unhone meri oor aankhen choti karte hue dekha aur ek thapad....chattak...badi bahen ko pagal bolta hai....abhi taange tod ke haath mein de dungi....main apne gaal pe haath rakhe khad raha...
Didi - Ye to bas bada hota jaa raha hai iska kuch karna padega....(cheeel se) usko hawa mein le kjao aur nicche girra do....
Cheel joki abhi uss aadmi ko maare jaa raha tha Rupal didi ki awaj sun ke uss admi ko apne pannje mein kasta hai taaki wo hille naa aur Rupal didi ko dekhne lagta hai....jaise puch raha ho kon ho bhai aur main kyun maanu tumhari baaton ko....
Cheel ko apne oor aise dekhte hue...Didi ne fir se usko waisa hi kaha...aur wo chewel waise hi didi ko dekhta raha...itne waqt mein ek aur cheeez hui w tha uss aadmi ka badhna ab wo aur jyada bada ho gaya tha...Maine bhi notice kiya jaise jaise wo bada hota jaa raha hai uski saanse fulti jaa rahi hai aur uska skin bhi laal hota jaa raha hai...matlab agatr isko aur gussa dilaya jaaye to isko aur pareshanibhi hogi takat milne ke saath.....Rupal didi ne ek aur baar uss cheel se same baat kahi karne ko par wo kuch nahi kar raha tha...usne wapas se apna dhyaan uss aadmi pe kiya...jo ab bhara mota tazza ho gaya tha...apne panje se usne uss aadmi ko apni choch mwein daal liya aur gatak gaya usko.....yaha main sochj raha tha kaise maara jaae...didi bhi ussi mein lagi thi aur ye cheel jo itne der se...lad raha tha usne usko aise hi nigal liya...samuche...fir wo hamari oor badha...ab abhi jo humne dekha tha usse dar lagna to tay hi tha....to hum dono dhire dhoire picche hote gaye....Cheel ruk gaya aur fir apna panja upar kiya aur apna ek naakhun Didi ki oor badhaya....Didi nko laga ye nuksan pahucha sakta hai....dari hui thi yaar wo....to unhone apna shield mnikala aur saath hi mein talwar bhi.....uss cheel ne apna naakhun unke shield se touch karayi aur Didi ki shoield chamakne lagi aur didi ke baal tak hawa mein uddne lage.......uss cheel ne ek baar wapas se didi ki oor apni gardan thedhi karte hue dekha aur fier udd gaya waha se.....Main gaya didi ke pass....
Main - Aap thik to ho...aur ye ye kya tha...
Didi - element....Earth element...mujhe Earth element milla hai...main 2 element wali hu....nahi...par ye kaise...main do elem.....
Abhi didi bol hoi rahi thi ki uss aadmi ke ghar se kuch log bahar aane lage....umar unn sab ki hi jyada thi....aur sayad unhi mein se kisi ke upar...didi ki nazar gayi aur wo bhag ke gayi unke pass.....Main wahi dur se dekhta raha.....waha ek couple tha unhi ke pass gayi did...aur unko dekhne lagi.....Wo coupl bhi didi ko dekhne lage aur pahchanne ki koshish karne lage par..sayad pahchan nahi paaye to unhone puch hi liya..."beta kon ho aap kuch kuch pahchani hui si lagti ho...."
Didi ye sun ke apne aankhon ko rok na payyi bahne se aur bas wahi pe khadi..rone lagoi....Main ggaya unke pass aur wo mujhe dekh ke mujhse lipat gayi.....main samajh sakta tha ki wo jinke liye aayi yaha wo hi unko nahi pahchan rahe hai to dukh to hoga hi....maine unko chup karane ki kosish ki....par wo nahi ho rahi thi.....wah uss ghar se nikle hue aur bhi log yaha waha ki baatein kar rahe the wo sab bhi bahut khush the ho bhi kyun naa na jaane kitne saalo baad aazadi milli thi....
Unme se ek mere pass aaya aur apne bete ke ghar ka pata ucha....par amin aha se batata.....fir didi ne apne aashu ponche aur unko bataya.....saare log aate rahee aur didi unko unke ristedaaron ke baare mein batati rahi......wahi tab tak Didi ke nana nani apne ghar ko dekh rahee the....fir jab unhone hamari taradf dekha to humne lagbhag sabko hi waha se apne ristedaaron ke pass bhej diya tha.....
Nani - Beta....kya hame bhi hamari beti ka pata bata sakte ho....Nidhi naam hai uska....
Maine didi ki oor dekha...to wo bas ek baar muskurayi aur haa mein gardan hilaya....
Main - Haa chaliye hum aapko unke yaha le chalte hai...didi chale ab...
Unhone haa kaha aur hum chal diye waha se....thodi der mein hum ghar ke bahar the......abhi hum ander jaate usse pahle....darwaja khula....chachi bahar aayi...aur unke saamne Didi thi....main aur Nana Nani dhire dhire aa rahe the wahi didi uchalte kudte jaa rahi thi....bas issi mein hum unse thodi duri par the....
Chachi - Kaha gayi thi aur Prateek kaha hai.....itna late koi karta hai kya....pata hai hum kitne der se intezar kar rahe hai...ab dekho aaj ...khana to milega hi nahi tumhe....kaha hai wo Prateek...
Chachi shuru ho gayi bas....daantne lagi unko....wahi hum jo bas thodi hi duri pe the Chachi ki aawaj sun paa rahe the....Nana aur nani ko unki aawaj pahchane mein jarra bhi der nahi lagi aur wo...turant hi tez kadmo se uss oor badhne lage....main bhi dhire dhire aa raha tha.....
Chachi - Blti kyun nahi kaha hai wo..
Nani - Nidhi...
Chachi jo abhi tak daant rahi thi Rupal didi ko wo apni Maa ki awaj sun ke chaunk gayi....aur fir uske theek baad unke papa ne bhi unka naam liya....wo samajh hi nahi paayi...aur fir jab saamne dekha to unke maa papa waha the....Chachi iss waqt ek dum shock mein the...unko samajh hi nahi aaa raha tha kaise react kare.....tab tak...waha pe Dada dadi bhi aa gaye the saath hi...Chacha aur bua bhi....unka bhi kuch waisa hi haal tha...wo to Bua kuch had tak theek thi to unhone Chachi ko hilaya aur...wo hosh mein aayi...
Chachi - Maaa..... papa....
Itna nikal unke muh se aur fir aansu bahne lage....wo daud ke gayi waha unke pass aur unke gale lag ke rone lagi.....bahut waqt baad mile hai ye sab tabhi ye aashu hai...Main jo abhi tak picche tha wo ab jaake Rupal didi ke bagal mein khada ho gaya.....Chachi roye jaa rahi thi to chacha gaye unke pass unko...chup karane ke liye....chachi kuch der mein chup hui aur fir....unhione Rupal didi ki oor dekha aur unko bulaya apne pass....Rupal didi bhi gayi...
Chachi - Maa Papa ye hai hamari beti...Rupal...apki natin...
Bahot rona dhona ho gaya tha aur inn sab ko thoda kam karne ke liye Rupal didi ne apna muh khola...
Rupal - Haa Nana ji main hi hu aapki wo bechari naatin jisko har waqt daant khani hoti hai,....subah dant sham ko daant kabhi kabhi to maar bhii padhti hai...
Aise hi aur bhi naa jaane kya kya kahti chali gayi chachi ke baare mein....jisko sun ke sabko hasi aa gayi....aur fir..Dada ji ne sabko ghar mein chalne ko kaha...sab ghar mein aaye.....Aur sabke pass ek hi sawal tha ki ye dono bahar kaise aaye uss ghar ke...
Nana ji - Pata nahi kya hua.....aaj kisi ne uss aadmi ko lalkara sayad ladayi ke liye...aur firharra bhi diya....aur uske marne ke baad hamare jism par jo jaaduyi hathkadiyan aur janjeer lage the jo humme uske gulam banate the wo khud ba khud gayab ho gaye aur hum uss ghar se bahar aa gaye.....jisne bhi uss nirdayi ko maara.....wo bahut hi nek hoga...sath mein bahadur bhi....
Bua - Aapko ye dono kaha mille...
Nani - Ye dono ye to wahi pe mille jaise hi hum sab bahar aaye ye wahi par the....aur inhone hi to sabhi ko unke ghar walo ke pass pahuchaya.,...
Ab aayi hamare pakde jaane ki baari....jab Nana - Nani ne ye baatein kahi to sab humme dekhne lage...aur dekhne lage to unko ab hamare gande kapde....aur sharir pe lage hue chot bhi dikhe.....
Chachi - Tum dono....kaha gaye the...aue ye sab kya hai...kapde chot...kya kar rahe the...
Rupal - WO main...wo hum wo...haa hum dukan jaa rahe the naa...to isko...iss chotu ka pair ek pather mein lag gaya aur ye gir gaya...haa aur fir jab uttha to uss pather ko fenk diya..aur fir
Main (mann mein) - Ye kya bole jaa rahi hai....kahani bhi banani nahi aati inko...
Chachi samajh gayi thi kuch to gadbad thi to sidha kaan pakad liya didi ka....aur puchne lagi ki kya hua tha...par puch nahi paayi.....kyunki Nana ji ne unko daante hue kaha ki aise bacho se baat karte hai kya..aur wo chup ho ggayi....fir Nani ne pucha humse...to humne bataya diya...ki hum jaa rahe the tabhi Didi waha uss ghar ke passs rukki aur fir jo kuch bhi hua sab bata diya.....iske baad daant to padni hi thi....Haa par baad mein sabasi bhi milli....Didi ne ye nahi bataya kisi ko ki unke pass 2 elements aa chukke hai....ghar mein ab 2 log hai 2 elements wale...
Khana khane ke baad hum sab apne apne room mein wapas chale gaye...mera to pata hi hai ajeeb sa room bed pe jao turant neend aa jaayegi...bas wahi huaa...
Next day...
Agli subah jab main utha to sharir pe ek kharoch tak nahi tha...yahi hota aa raha hai pahle se bhi....Master training deti mujhe chot lagta dard hota par subah uthne ke baad bilkul aisa lata ki kuch hua hi nahi hai....main ekdumm se sahi rahta tha....
Main nicche gaya...sab naste ke liye ready the...aaj main apna meditaion miss kar diya tha...ye acchi baat nahi thi par...ghar ka khana khane ke baad neend hi aisi aayi...
Ab nicche aaya to sab nasta kar rahe the to main bhi baith gaya nasta karne ko...Nasta karte waqt no baat....rule hai ye sayad yaha ka...
Aaj sunday tha...aaj hi humme wapas jaana tha...bus dopahar ki karwayi thi Bua ne mere kahne pe kyunki sham ko mujhe uss dukkan se wo anguti bhi lene jaana tha wo cheel wali anguthi...
Nasta karne ke baad...aaj sabhi ne tay kiya tha ki hum sab Nana - Nani ke yaha jaayenge aur waha unka ghar saaf karenge aur jarurat ke saaare saman waha le jaayenge.....Aisa nahi tha Nana nani ko Chachi ne yaa fir kisi aur ne manna nahi kiya jaane se...yaha iss ghar mein bhi rooms ki koi kammi nahi thi....par Nana - Nani nahi maane unka alag kahna tha ki hum to paas mein hi rahenge naa jab bhi maan hoga hum chale aayenge jab tum logo ka maan ho tum chale aana...aur waise bhi wo ghar...bahut si yaadein juddi hui hai usse....
To inn sab dalilon ko sunke sabko naa chahte hue bhi maanna hi padda...hum sab chal diye sab saman leke unke ghar.....sab kuch saaaf karne.....par jab waha pahuche to ek cheej dekh hairaan rah gaye.....wo jo uss aadmi ka ghar tha usko waha ke logo ne hi tod diya tha...wo puri jagah jala di logo ne....gussa the wo bhi...naa jane kitne hi logo ko gulam banna ke rakha tha isne...
Hum sab Nana nani ke ghar mein gaye....puri jagah dhuul se bari padi thi...sab ne apna apna jhadu uthaya aur lag gaye sab saaf karne ko....ye waqt aise hi beet gaya sabne 3-4 ghante mein hi kaam khatam kar diya ghar ko ekdum se chamka diya...aur fir jo bhi saman aaya tha unhi mein se lunch banaya gaya aur fir saabne khaya usko....ab baari aayi humare jaane ki...Maan t nahi tha par jaan abhi jaruri tha...to hum sabse vida leke saath mein kuch gifts leke nikal gaye ghar se bus par se hote hue school tak....ab ye bus se mujhe jyada dikkat nahi hoti...sayad...
School mein aaye....aur hum dono apne apne jagah chal diye...main apne room mein Bua apne....Gifts aur saman pahle hi room mein pahuch gaye the...
Main thoda fresh hua...fir jab ghadi dekhi to sham ka time ho gaya tha aur mujhe ab jaan atha wapas se uss dukkan mein...par ab Main ye soch raha tha ki ye shield change karaun yaa nahi...maine usko wahi pe chod diya aur Bua ke diye hue....card ko leke chal diya market ki oor...Card bole to paise isse se aate the...ye dukkan wala card nahi hai....
Main thodi der mein pahuch gaya ussi dukkan mein aaj bhi waha pe maalik nahi tha...main gaya maine bell bajayi...aur wahi bauna kuch saman k girne ke aawaj ke saath mere pass aaya....
Bauna - Arre aap...aapka hi intezar tha...aapki anguti maine dhundh rakhi hai...aap baithiye ,mein laata hu yaha....
Main bhi jaake soffe pe baith gaya...thodi hi der mein wo ek purana sa box leke aaya...jisme bahut si angutiyan thi...ab wo kya thi ye pata nahi...usne mujhe meri kahi hui Cheel wali anguthi nikal ke di....maine anguti li haath mein aur haath mein lete hi bada ajeeb feel hua....kaano mein ek paal ko cheel ki aawaj sunayi di...fir aur uski wajah se anguthi mere haath se nicche dir gayi....Baune ne anguthi utha ke wapas mujhe..di...iss baar haaath mein lene pe kuch nahi hua....main uss anguti ki apne pocket mein rakha,...
Main - Ye itni saari angutiyan...inki phhoto to nahi thi waha....
Bauna - Haa inki nahi thi...main Maalik se iske baare mein baaat bhi karne wala hu...aakhir isnki phhoto kyun nahi hai...ek to ye chizen bikti nahi hai aur ab agar aise hi kone mein rakhi rahi to kaise bikegi...aapko kuch aur bhi chahiye to bataye...
Main - Arre nahi nahi main to bas...aap paise lelo mujhe bhi jaana hai...
Maine ause pay kiye aur waha se nikal gaya...aur fir wapas school...waha pahucha tio DB milla mujhe...
DB - Kaha gaye the bhai tum....kal dikhe nahi aaj bhi abhi dikhe ho..aur room mein bhi tala laga hua tha...
Main - Wo main....(maan mein) kya bolu isko...
Abhi main kuch bolta usse pahle waha bua aa gayi...
Bua - Tum...ab theek ho naa..tabiyat sahi hai ab...
Main - main....haa main to...
DB -(dhire se) kya hua tha be tujhe...tu hospital gaya tha kya...yaar bata deta main bhi aata tere saath...
Main - wo jaldi mein bas...
Bua - Tum aao mere cabin mein...aur Ef prince kabhi padhayi bhi kar liya karo...Prof. Suraj bula rahe the kisi wajah se...
DB - Arre main fir bhul gaya..thanks Prof... main jaata hu warna aaj mujhe mar hi denge..
Wo bhagta hua chala gaya wahi main Bua ke sath unke cabin mein...
Bua - Kya kharida...
Main - Wo bas ek anguthi thi acchi lagi to leli.....
Bua - Hmm thik hai...aur ab yaha thoda savdhan rahna...waise mujhe padna to nahi chahiye isme par bata deti hu....wo Pankaj wo tumse aur tumhare dost ko sabak sikhana chahta hai....ab meri baat sunno...jab bhi kuch ho next time...uske muh pe go ghusse marne hai tujhe samjha...aankh ke nicche...agar nahi maara to tujhe main marungi...
Main - Kya....ye batane ke liye bulaya aapne....
Bua - Haa 2 ghusse yaad rakhna...aur haaa dikha jara kya pasand aaya hai tujhe main bhji to dekhu....
Main abhi wo anguti dikhane wala hi tha ki Cabin mein Kavita madam aa gayi...
Kavita - oo to dono bua bhatija saath mein hai...aur Prateek kaisi rahi chutiyan...
Main - Bahut acchi....main to har baar jaunga ab...
Bua - Haa jaan ahi hoga...nahi gaya to tange tod dungi...accha tu jaa room mein humme meeting mein jaanahai...
Main room emin aa gaya..anguthi nahi dikha paya...
Room mein aaya to waha fir se wo gifts dikhe...to unko khol ke dekhne laga....ek family photo thi...jisme sab the...fir ek alag photo thi jisme Mom Dad aur main the...jab main sayad bahut chota tha tab ki photo thi ye....ek box tha usme Chachi ne klhana bhar ke diya tha....waha se khaa ke aaya tha main phir bhi....saath mein ek chitthi bhi thi....usko padha to pata chala ye khane ka dibba bahut jyada khass hai....iske rahte hue main har roj Chachi aur Dadi ke haath ka khana khaa sakta hu....
Gifts dekhte hue time beet gaya aur fir jab bhookh lagi to bahar naa jaake rioom mein hi Chachi ke diye hue box se khana khaa liya..
Fir wahi raat hui aur main so gaya...
Ajj ke liye itna hi... Travelling ke chakkar mein update late ho gaya....
Banne rahiye
Jhakkash update bhaiUPDATE - 17