• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Immortals

Ristrcted

Now I am become Death, the destroyer of worlds
Staff member
Moderator
38,997
34,990
304
Last edited:

Ristrcted

Now I am become Death, the destroyer of worlds
Staff member
Moderator
38,997
34,990
304
UPDATE - 26

Ab tak.

Main ek kille ke samne khada tha....aur Dhruv ke anushar iss kille mein Nikita ke aatma ko kaid kar diya hai kisi ne...aur mujhe usko waha se nikalna hai...Dhruv ke kane pe hi maine waha Jwala ko bhi bula liya....aur taiyaar hoke chal diyya kille ke ander....waha Dhruv ne bola tha ki hum connect nahi kar paayenge sayad...main fir Jwala se baatein karte hue ander aa gaya..

Ab aage

Jwala - Old owl ko khabar pahucha di hai maine...

Main - Ek minute kya tum yaha se apne kabile ke logo se contact kar sakte ho...

Jwala - Haa main kar sakta hu...main kahi se bhi unhe contact kar sakta h.....

Wo bolte bolte ruk gaya....aur fir meri oor dekhne laga...

Main - Kya hua...

Jwala - Pata chal gaya hai uska....

Main - Nikita kka pata chal gaya batao kaha hai wo...

Jwala - batata hu par usse pahle iss kille ke baare mein jaan lete hai taaki koi parshani naa ho..to iske ander 4 flooor hai...aur Nikita 3rd floor ke 6th room mein hai...par waha jaana aasan nahi hai...har ek floor pe kuch naa kuch musibatein paida ki hui hai...jaise hi hum ander jaayenge ek mirror illiusion hai waha pe....jaha pe hume khud ke jaise hi hazaro milenge....aur humme unko maarna hai...1st floor pe...paani hi paani hai....agar theek se kaha jaaye to 1st floor pe baadh aayi hui hai....aur hamare kabile mein kaha jaatra hai paani matlab khatra...paani ke ander kya hai ye pata nahi chala hai abhi...wahi uske upar...uske upar wale floor pe hai 5 suns illiusion...ye jisne bhi banaya hai wo bahut hi taakatwar hai...aur naa jaane kab se black magic ko practice kar raha hai....ye 5 suns jo hai...unse koi dikkat nahi hai...dikkat ye hai ki wo aise angles pe rakhe hai ki hum jaise hi uss floor pe jaayenge humare shadows ban jaayenge....shadows jo ki ek ho sakte hai....agar waha se bhi nikal gaye to hum pahuchenge...3rd floor pe....yaha sabse jyada khatra hai...kyunki ye floor Nikita ke control mein hai...aur abhi jab hum waha jaayenge to uske liye ghuspatiye honge,,,bin bulaye log....jo kisi ko pasand nahi to wo jarur humme waha se bhagane ki koshish karegi...aur forth floor...

Main - EK minute 4th ka kyun bata rahe ho...waise bhi kaam to 3rd tak ka hi hai naa to usko rahne dete hai.....ab chalo under...dekhte hai kya hota hai ander....

Jwala - agar aap chahe to main aapke ander...

Main - Matlab...kya kahna chahte to...

Jwala - Ji humare kabile ke logo mein aisi powers hoti hai jo apmne maalik ke ander jaake uske soul se jud sakte hai issse naa sirf hum dono ki takat badh jaati hai balki aur bhi bahut kuch hota hai...

Main - bahut kuch ka kya matlab hai....

Jwala - Bahut kuch ka matlab ki agar aapko kuch hua to main usko khud pe le sakta hu ye suraksha ke liye hai aapke....aur main ispe koi risk nahi lena chahta

Maine manna kiya par wo maan eko taiyaar hi nahi tha....to haar ke mujhe hi maana pada

Main - haa theek hai...chalo aa jao....

Mera aisa kahna tha ki wo mere sar pe aake baith gaya...aur kuch hi der mein uske jo baaki ke cheel the jo Kille ko dekjh rahe the wo bhi aa gaye mere upar...aur fir ekdum se roshani hui aur jab meri aankhen khuli maine apne haath dekhe to kisi body builder jaise lag rahe the....ekdum se kammal ke...main khud ke body ko hi dekhta raha...

Jwala - Ab chaliye...

Maine uski aawaj suni par wo dikha nahi mujhe....

Main - Jwala kaha ho tum...

Jwala - Aapke mukut mein....

Main - Mukut...????

Maine apna haath apne sar ki oor kiya to ek mukut jaisa kuch tha mere sar pe...aur usme bana hua tha ek eagle...

Main - Ye kya hai jwala...

Jwala - ye mere maalik ka pehnawa hai..aur ab jab aap mere maalik hai to ye aapka pehnawa hai ab chaliye...

Main bhi chal diya aur darwaje pe jaake khada hua.....darwaja khud hi khul gaya....ander bahut hi accha sa music chal raha tha....slow music...main ander gaya to mere saamne ek mirror aa gaya....ab main uske bagal se jaan eko hua to waha pe bhi ek mirror aa gaya...aur aise karte karte wo jagah ban gayi mirror wali bhulbulaiya....main jaha bhi jata waha mirror hi dikhta mujhe...main pura fas aya tha yaha pe...

Jab bahut try karne ke baad bhi main waha se nikal nahi paa raha tha...to Jwala se bhi raay li par usne bhi yahi kaha ki wo bhi aisi jagah pe pahle baar hi aaya hai...haa usne apne Pita se suna tha aisi jagahon ke baare mein issiliye usko waha ke baare mein kuch baatein pata thi jo usne pahle hi bata di thi...ab baat aa gayi thi ki aage kya karna hai aur kaise karna hai...

Kuch der aur sochne pe bhi jab kuch samajh nahi aaya aur Dhruv se bhi koi contact nahi hua to maine ek mirror ko ek laat de maari...jiske baad wo mirror hi tut gaya...par...sirf wo mirror hi nahi tuta balki waha ke jitne bhi mirrors the wo sab bhi tut gaye....par..unke tutne se pahle usme se main nikal raha tha...matlab...waha pe jitne bhi mirrors honge unn sab se main nikal raha th aur uss mirror ko tod raha tha...

Main ye sab dekh ke dang rah gaya...

Jwala - Accha to iss tarah se wo aate hai...maine ye pahle kabhi nahi socha tha...

Jab saare mirrors tut gaye to waha pe main bich mein aur mere ass pass pata nahi kitne mere jaise hi dikhne wale log the....main unko gin bhi nahi sakta tha itna number tha unka...

Main - ab kya karna hai Jwala....pata hai naa...ready raho..

Jwala - Haa bilkul...

main thoda aage badha to wo sab bhi aage badhe...main thoda picche badha to wo sab bhi picche hue....maine gaur kiya ki ye sab mere hi moves ko copy kar rahe hai...ye images wali baar hai...bilkul wahi wali...maine socha to tha ki yaha pe ladayi karna hoga...par jab ye dekha to samajh gaya ki ye saare mere hi moves copy karenge to inse jetne ke liye koi aur kaam karna hoga...

Main khada khada sochne laga....aur jab main khada th a to wo saare bhi waise hi khade the...images jo the mere jo object karega wahi to wo bhi karengi...par sayad ye baatein Jwala ko samajh mein nahi aa rahi thi...

Jwala - Ye kya kar rahe ho...chalo unko maarte hai...

Main - Rukko...ye aise nahi hoga....wo hume hi copy karenge...humko pahle unki koi kamjoori dhundhni hogi...ussi ke baad hoga kuch...ab wo mere image hai kya main hi unki kamjori ban sakta hu...

Maine ye Jwala ko kaha aur fir khud hi iske baare mein sochne laga aur kuch hi der mein main samajh gaya kya karna hai...maine khud ko hi ek ghussa maara aur jaisa ki maine socha tha unn logo ne bhi wahi kiya khud ko ghussa maara....

Jwal - Ye kya kar erahe ho...khud ko maarne se kya hoga...

Maine usko saamne dekhne ko bola....aur wo ye dekh chaunk gaya waha pe wo saare hi khud ko maare jaa rahe the...

Jwala - ye ye kaise...

Main - wo sab mere images hai Jwala main jo karunga wo wahi karenge...

Itna bol maine wapas se ek punch marra khud ko....

Jwala unko dekh raha tha...3 punches ke baad Jwala ko pata nahoi kyua hua usne mujhe rukne ko kaha....main bhi ruk gaya...

Main - Kya hua Jwala..

Jwala - wo tumhare images hai...hai naa....

Main - Haa pahle hi bataya naa iske baare mein...

Jwala - wo sab ek dusre ke bahut karib hai...

Main - Haa to.....

Main samajh gaya Jwala kya kahna chahta hai aur main sochne laga ye baat mere dimmag mein kyun nahi aayi...Maine apmna ek haath hawa mein kiya...aur usko aise hi ghumaya jaise maine mere bagal wale ko tappad maar raha hu...aur jo hua usko dekh ke to maza hi aa gaya...wo saare images ek dusre ko tapad maerne lage... :lol:

Mazza hi aa gaya tha....ab waha pe slow music chal raha tha mere aas pass mere bahut se images khade the...maine socha kyun aaj thoda talwarbaaji ki jaaye...maine apna talwar nikala aur mere aisa karne ke baad mere images ne bhi theek waisa hi kiya...fir kya tha main hawa mein talwar ghumma raha tha aur wo logek dusre pe...aur aise hi karte karte waha pe...bas aur as seese hi bacche..wo aise...ki jab bhi koi ek image khatam hota to uske jagah pe waha pe seese ke kuch tukde aa jaate....aur aisa karte karte waha pe bas wahi seese ke tukde bacche...

Main - Sab khatam...pahla level complete...chalo ab 2nd level pe chale Jwala..

Jwala - Haa chalo...

Hum sidhiyon se upar jaane lage par tabhi mujhe nicche kuch dikha...ye ek harre rang ka pather tha...jo bahut chamak raha tha...baaki ke sare to bas wo aaine ke tukde hi the...par ye harra rang ka tha aur ispe meri nazar pad gayi to maine bhi isko utha liya..aur isko uthate hi ye mere haath mein gayab ho gaya...

Main - Ye kya tha Jwala...

Jwala - Pata nahi.....aisa maine kabhi kuch nahi dekha hai...

Dhruv - usko apne pass rakho...aise hi tumhe yaha pe 4 aur pather milenge....unn sab ko bhi apne pass rakhna...

Main - Dhruv tum sun sakte ho kya humme...sunno Prof. Suraj mujhe kuch ajeeb se lag rahe hai...

Main bolta gaya par koi reply nahi aaya matlab saaf tha connection wapas se kat gaya tha....

Main phir wapas se upar jaane laga...aur upar pahuhe to wo pura ka pura paani se bhara hua tha....par ek baat ajeeb thi wo paani sheediyon se nicche nahi jaa rahi thi...kammal ki baat thi ye...

Main - Jwala e paani nicche kyun nahi jaa rahi hai...

Jwala - Isko yaha pe bandha gaya hai...ye sidhi pe dekh rahe ho naa yaha hi koi magic kiya gaya hoga jiski wajah se wo niche nahi jaa raha hai...

Main - hmm samajh gaya...chalo ab hum uopar se chalte hai...

Jwala - Upar se ka kya matlab hai...

Main - Upar se matlab paani ke upar se....kuch magic maine bhi sikhi hai bas ussi ka use karunga....

Maine socha tha ki yaha ke paani ko jamma dunga aur fir waha se aaram se nikal lunga...iske upar wale floor pe..par hamesha aisa thodi hota hai....maine try kiya paani ko jamane ka...aur wo jam bhi gaya...aur main uske upar se waha se jaane laga...par ye jyada der nahi chala...main thoda hi to aage badha tha ki waha barf mein darar aane laga aur main dekhta hi rah gaya aur wo barf ki parat tut gayi aur main paani ke ander chala gaya...

Wo to accha tha main tairna jaanta tha...par paani bahut jyada thanda tha...itne thande paani mein tairna bahut muskil tha...par sukar tha ki Jwala mere saath tha....usne apne fire ke power ko use kiya aur mere asspass ke paani ko garam kiya...par sayad ye bhi ek galti hi thi....

Kahte hai paani mein rahne wale jeevon ko garmi apni oor khinch laati hai....bas wahi hua....wo mere pass aa gaye...wo matlab jalpariyan...uss paani ke ander bahut hi khubsurat jalpariyan thi....kisi ka bhi maan moh le aisi jalpariya...Jab wo mere pass aayi main to bas dekhta hi rah gaya unko...main sab kuch bhul gaya main kaha hu..kya kar raha hu...bas mere aankhon ke samne to wo jalpariyan hi nazar aa rahi thi....aur unki khubsurati.....aur ye tab tak chala jabtak meri saanse atakne naa lagi.....maine ek dum se apne charo taraf dekha to main ekdum se andhere mein tha....Jwala mujhe aawaj diye jaa raha tha.....bahar niklo....bahar niklo...par main sun hi nahi opaa raha tha....abhi main paani ke itna nicche chala gaya tha ki kuch bhi nahi diukh raha tha mujhe...

Main jaldi se upar jaane ki kosish karne laga par....kisi ne mere pairon ko pakad ke rakha tha....par andhere ki wajah se kuch dikh nahi raha tha mujhe.....

Main - Jwala kuch dikh nahi raha mujhe...kuch karoo...

Mere kahne pe pata nahi usne kya kiya par jo bhi kiya usse mujhe dikhayi dene laga...aur mere saamne abhi kuch bahut hi dawani aur bhadi si machliyan thi...jinhone mera pair pakar rakha tha aur ab wo mujhe aur nicche le jaa rahi thi....par jab mujhe sab dikhne laga maine...apni talwar nikali aur unpe waar kiya...aur thodi hi der mein mere aas pass ka paani pura...kala ho gaya tha...haa inka khoon kala tha...main turant upar jaane laga...par..tabhi mujhe nicche kuch lal sa chamakta hua dikhayi diya...aur Dhruv ne kaha tha ki yaha mujhe wo harre pathar jaise 4 aur pather milenge...jinko mujhe apne pass rakhna hai..maine bhi usko utha liya..aur fir upar ki oor aane laga...bahut waqt laga mujhe bahar aane mein par..ek baat ajeeb thi...main saans kaise le paa raha tha ander...bahar aane ke baad main ispe sochne laga...

Main - Jwala main paani ke ander sans kaise le paa raha tha...

Maine ye sawal kiya par jawab kuch nahi aaya...jwala koi jawab nahi de raha tha...meri samajh mein nahi aa rah atha ye kya hua....fir mujhe yaad aayi uski baat jo usne mujhe kaha tha ki wo mere ander aa jaayega to mujhe jo bhi hoga wo usko rok lega...sayad ye wahi tha...sayad ussi ki wajah se main saans le paa raha tha paani ke ander aur ab wo kuch bol nahi raha tha...main bahuyt darr gaya....mere hi karan uske pita ki jaan gayi thi...ab main usko kuch aur hine ka zimma nahi le sakta tha...

Main usko aawaj deta raha par...koi jawab nahi aa raha tha....

Dhruv - Wo aaram kar raha hai...tumhe iske upar khud hio sambhalna hoga...chinta mat karo wo theek hai bas thodi der aaram karne do usko...

Dhruv ki ye baat sun maine chain ki saans li...nahi to mere dimag mein naa jaane kya kya chalne laga tha...

Iss baar bhi wahi hua Dhruv se bhi mera connection tut gaya bahut hi jaldi...ab agle floor pe 5 sun illiusion...iske baare mein jyada pata nahi tha mujhe...Jwala ne bhi bas itna hi bataya tha ki yaha 5 suns hai jo aise angle mei hai jisse mere ander jaate hi waha mere kuch shadows ban jaayenge aur mujhe unse lagna hoga...

Sun....angles bas yahi baatein mere dimmag mein chal rahi thi....main next floor pe chal diya...waha pahucha to sidhiyon se upar jaate hi ek darwaja mil gaya...jisse hoke hi uss floor pe jaaya jaa sakta tha...maine bhi wahi kiya...main gaya waha darwaja khola aur ander...ander aate hi mujhe bahut jyada garmi lagne lagi....yaha sach mein mere sar ke updar 5 - 5 sun the...aur unki garmi....bahut garam mahaul tha waha pe..

Main abhi uss garmi ke baare mein hi soch raha tha ki mere bagal mein kuch aa gaya...main waha mudda to ek kaala sa saaya tha aur usne mujhe ek gussa aara...aur main picche ki oor gir gaya....waha se uthne laga to waha pe bhi ek saaya milla jisne mujhe maara...main aise hi maar khata raha...naa jaan ekitne hi saate waha pe aa gaye the...aur wo saare mujhe bas maarte jaa rahe the...main jaha bhi jaata waha pe ek saaya aa jaata aur wo mujhe ek ghussa maar deta...main pareshan sa ho gaya....samajh mein hi nahi aa raha tha ki kare to kare kya jaaye to jaaye kaha....aur ye tab tak hota raha jab tak main ek aise point pe pahuch gaya jaha par se mujhewo saare Suns aur mere bich ki jo duri thi wo comman ho gayi...main centre mein tha unke...aur iss jagah koi shadow nahi ban paayi....aur naa hi pahle ki banni hui koi shadow waha pe aa paa rahi thi...par iss jagah pe ek aur baat thi...yaha pe baaki jagahon se jyada garmi lag rahi thi mujhe....par unn sabse bacha hua to tha...wo koi mauka hi nahi de rahe the mujhe...yaha maara...waha maara,...jaha bhi main girta tha waha ope maarne pahuch jaate the wo log...

Ab yaha se nikalne ka koi rasta dekhna tha wo bhi jaldi....maine aas pass dekha to ek darwaja dikha mujhe sayad wahi se aage jaane ka rasta tha...to bas ab mujhe waha jaan atha par kaise...ye samajh nahi aa raha tha...Maine upar dekha sunski oor...to unme naa ek lining bani hui thi...aisa lag raha tha jaise aagr ,main unko hilaun...to wo hilegi...ye bilkul waisa h thi ki unko fix kiya gaya ho waha aur unko waha e hilaya bi jaa sakta hai...maine try karne ka socha...par kaise karta wo gaaram the bahut hi jyada...maine apni talwar nikali aur usse try karne ka socha..par wo bhi bekar sabit hua...usse bhi wo nahi hilla...par ek baat hui uss talwar se.....aur wo ye ki talwar se jo roshani reflect hoti thi..aur wo jab kisi shadow pe padti to wo shadow khatam ho jaata...maine ispe gaur kiya aur issi ka use karne ka socha aur kya bhi.....light ko reflect karta gaya aur unn shadows ko khatam karta gaya....aur dhire dhire aage badga...par tab bhi kuch sadows the hi jo bach jaate...

Main jaldi se fir uss darwaje ke pass pahucha...usss darwaje pe ek handle laga tha...maine usko ghumaya...aur wo jo suns waha the wo wapas se mere pass aa gaye...matlab ye move kar sakte the..par iske liye jarurat thi iss handle ko ghumane ki...saare suns mere pass aa gaye aur jitne bhi waha pe shadows the wo saare khatam ho gaye...aur darwaja khul gaya...darwaja khula to wo handle ek blue pather mein badal gaya aur mere ander chala gaya...

Main waha se ab next floor pe jaane laga...par usse pahle...unn suns mein se bhio kuch nikla aur mere mukut pe jaa laga....aur waisa hote hi mujhe Jwala ki aawaj aayi....

Main- Jwala tum theek ho naa...

Jwala - Haa main theek hu...chalo aage chalte hai..

Main - Haa theek hai...aur sukriya mujhe bachane ke liye...

Jwala - Ye kaam hai mera...ab isko chodo aur upar chalo...

Main - Haa...

Phir kya tha main 3rd floor pe pahucha...ye..bilkul kisi hostel ki tarah lag raha tha...main rooms ginne laga....1st 2nd 3rd 4rth 5th 6th....haa humme 6th mein jaana tha..wahi Nikita thi....main waha gaya aur gate knock kiya...gate pahle se khula hua tha...main ander gaya to ek choti si bacchi apne haath mein kuch pather liye unke saath kuch khel rahi thi...aur unke colours ko bol rahi thi...par jaise hi main ander gaya wo saare pather gayab ho gaye uske pass se...aur ye dekh wo roone lagi...jor jor se rone lagi...uske rone ki aaaj se sach mein kaan kharab ho jaate.,...

Main - chup ho jaao....(chillate hue)

Mere aisa karne ke baad uski nazar mere upar padi...wo jaake apne bed ke picche chup gayi....

Wo - kon ho aap..

Main - main dost hu...tumhara dost..

Wo - Aap dost ho...par aap to Nikita pe chillaye...nahi aap dost nahi ho..

Main - Arre main dost hu sach mein...

Wo - Nahi aap jhoot bolte ho...aap jhoote ho..aapne hi mere pather mujhse le liye naa...

Main - Nahi maine nahi liye...

Wo - Nahi aapne hi liye hai..ab aap mujhe wo wapas karo nahi to main roungi...

Main - arre nahi main e nahi liye tumhare pather...

Mera itna bolna tha wo bahut jor jor se rone lagi wapas..se..aur uske rone ki aawaj....dimmag kharab kar raha tha,...

Dhruv - Arre pather ikkatha kiya hai naa tumne wo uske hi hai dedo usko...kul 5 hone chahiye...

Main - Par mere pass to bas 3 hai....

Jwala - 3 nahi 4 hai...

Main - 4 par...

Main kuch bolta usse pahle i mere haath mein 4 pather aa gaye...red..blue..green aur yellow..

Main wo leke Nikita ke pass gaya...

Main - ye lo ye rahe tumhare pather ab chup ho jaao...

Pather dekh wo kuch shant hui..par fir jab usne count kiya to wo 4 hi the...bas phir kya tha wo wapas se rone lagi...pink nahi hai pink nahi hai...

Main - Ab kya hua isko maine to saare de diye naa...

Jwala - ek aur baaki hai jo 4th floor pe hai...waha chalo...

Main - Haa chalo jaldi...iske rone ke aawaj se pata nahi mujhe kuch ho raha hai...

Main lagbhag se bhag ke gaya waha se bahar...aur fir seedhiyon ke pass aur chad gaya upar...

Upar gaya to waha ppe ek ghjoda tha...ye Nikita ka spirit animal tha...ye bhi yaha pe kaid ho chuka tha...main uske pass gaya aur usne mujpe hamla shuru kar diya...ajeeb sa ghoda tha ye.....

Wo to kismat sahi thi meri ki main jump kar gaya aur bach gaya....warna iske muh se jo kuch bhi wo nikla tha mujhe leke hi jaata nicche....Haa uske muh se kuch nikal raha tha koi energy ball ki tarah kuch...

Jwala - isse bach ke raho...ek baar bhi agar ye lag gaya to hamara kaam khatam...ye to bahut takatwar hai....

Main - Kya...

Jwala - Haa ye bahut takatwar hai...Nikita ke age ke hisab se ye bahut juyada vikshit ho chuka hai...

Jab maine ye sunn atab mujhe yaad aaya Nikita mujhse yahi to puch rahi thi kaise apne Spirit animal ko chipaya jaaye...kya wo iss wajah se puch rahi thi wo sab...

Main ye soch raha th ki Jwala ne mujhe kaha ki iske gale mein wo pather wo pink pather latka hua hai...mujhe usko lena hai aur yaha se bhagna hai...

Maine bhi usko dekha....wo kisi dhage se bandha hua tha waha pe....maine apni talwar nikali aur usse uss dhage ko katne ki koshish ki par nahi...main jab bhi uske pass jaata wo hamla kar deta...kaam nahi ban raha tha...Main thak gaya tha....

Jwala ne mujhe sayad apni kuch energy di jiske baad mein fir se lag gaya aur iss baar kisi tarah uske pass pahucha aur talwar se uss dhage pe waar kiya...par talwar uss ghode ko bhi lag gayi....wo jakhm ho gaya aur wahi baith gaya...Maine pather uthaya aur wapas aane laga par wo ghoda dard mei cheekh raha tha..

Main - Jwala iska kya kare...

Jwala - Tum batao..isko yahi aise chod bhi sakte hai ye fir ispe khud hoga ki ye jeeta hai yaa mrta hai aur nahi to main isko apni kuch powers de sakta hu....jisse ye badal jaayega aur theek bhi ho jaayega...par...par usse Nikita bhi takatwar ho jaayegi...

Main - To usse kya...apni power se isko theek karo...

Maine ye kaha aur mere mukut se kuch aag ki laptein nikli aur wo sab jaake uss Ghode ke charo taraf phail gayi aur fir wo aag...uske ussi chot jo meri talwar se hua tha uske ander chali gayi aur dekhte hi dekhte wo chot gayab ho gayi....par fir jo kammal hua wo to dekhne layak tha...Wo ghoda khada hua aur uske jaha jaha pe baal the waha waha pe ab aag hi aag thi...

Main - ye kya hai...

Jwala - meri powers hai ye...ab isme fire element bhi hai...ab chalo..isse pahle iska mood badle...

Main bhi waha se niche gaya aur waha Nikita abhi bhi roye jaa rahi thi...pink pink karte hue...main uske room mein gaya aur wo pather usko de diya...

Nikita ne jab wo pather liya...to wo paanchon pather hi uske charo taraf ghumne lage...aur unme se kuch kuch nikal ke jaa raha tha Nikita ke ander....

Main - ye kya ho raha hai....

Dhruv - tumhe janna hai Nikita ke baare mein to abhi usko chuo...lekin...

Main - Lekin kya...

Dhruv - Lekin ye ki wo nahi chahegi koi uske baare mein sab jaane wo bhi uske izzazat ke binna...main soch raha tha aisa karna sahi hoga par ab galat lag raha hai...main ye tumpe chodta hu ki tumhe uske baare mein jaana hai yaa nahi...

Main - kya wo aise bhi aazad ho sakti hai....

Dhruv - Wo ho rahi hai aazad...waise ye kamal hi ho gaya...tumne ye sab jaldi hi solve kar diya..

Main - haa wo to hai hi...main tez hu...waise kitna waqt laga inn sab mein...

Dhruv - jyada nahi karib 15 din se tum yaha ho...par yaad hai naa maine kaha tha yaha se tum ussi waqt pe nikloge jab aaye the.,..to chinta mat karo...

Ab thodi der mein ek portal kjhulehga usse bahar aa jaana aur Jwala ab tum bhi jaa sakte ho...

Jwala ne uski baat sunni aur wo waha se chala gaya...

Maine dhyaan nahi diya iss baat pe par...ab Jwala Dhruv ki baatein sun paa raha tha...par kaise....

Main - WO kaise tumhe sun sakta tha....

Dhruv - Kyunki wo abhi tyumse juda hua tha...par isse kuch nahi hoga...wo jaise hi bahar jaayega sab bhul jaayega...usko mere wajood ka pata hi nahi hoga...ab wo chodo aur wo dekho wo raha portal bahar jao...abhi main class mein hu..matlab tum class mein ho..

Main ussi portal mein gaya aur pahuch gaya class mein Prof. Suraj ke class mein...jaise hi main apni body mein pahucha maine dekha..ki Prof.Suraj ko kuch hua...ek jatka sa laga unko...aur wo pasine se bhing gaye...paata nahi kyun..

DB - Arre inko kya hua ab abhi to sab sahi tha...

Main - Pata nahi kya hua inko...

Prof. ne ussi waqt class hi khatam kar di aur hum sab ko bahar jaane ko kah diya...hum bhi bahar aa gaye...main jab bahar aaya to ek ullu baitha hua milla mujhe waha ek piad pe...maine usko dekha...aur usne bhi mujhe dekha...sayad ye wahi Old owl tha jiski baat hui thi Jwala se...par ye mujhe pahchan nahi paya hai sayad...

Main waha se abhi ke liye chala gaya...DB muijhe wapas se khinchta hua wahi le gaya...Medical department ki oor...iss baar mujhe bhi dekhna tha jo itna kuch kiya maine uska koi asar hua bhi yaa aise hi...

Aaj ke liye itna hi next update mein dekhte hai Nikita ko...aur saath mein iss Prof. Suraj ko bhi...

Banne rahiyega
 

Ristrcted

Now I am become Death, the destroyer of worlds
Staff member
Moderator
38,997
34,990
304
superb mind-blowing update bhai.

ye pro. Suraj hi hoga jisne piche se Nikita par war kiya hoga aur usi ne us kille par kaid kiya hoga.

dekhte hai Prateek kaise pata lagata hai Suraj ke bare me.

dekhte hai Nikita ke past me kya hai.

waiting for next update
Thanks bahi
Haa lagta to wahi hai Ye Prof. Suraj ka kuch alag hi chal raha hai
Keep reading and commenting
 

Ristrcted

Now I am become Death, the destroyer of worlds
Staff member
Moderator
38,997
34,990
304
nice update ..lagta hai prof.suraj ne hi nikita ko kaid kar diya hai 🤔🤔..
aur wo ladki ke chillane ki aawaj shayad nikita ki ho 🤔🤔..

ab dekhte hai prateek kaise bachata hai nikita ko aur comma se bahar laata hai ..
:approve: chillane ki aawaj ussi ki thi...wo kis tarah woaage ke update s mein pata chaljaayega..
Keep reading and commenting
 
Top