★ INDEX ★
☟
☟
♡ Family Introduction ♡ |
|---|
Last edited:
♡ Family Introduction ♡ |
|---|
Beautiful update mitrUPDATE - 54
Ab tak
Main aur Nikita baatein karte hue apne apne rooms mein jaa rahe the...Clubs ke baare mein jinke baare mein Pankaj ne bataya tha....wahi Fumos ko apna naya leader mil gaya tha par ye baat uss leader yaani Slayer ko pata hi nahi tha...wo jaan hi nahi raha tha iss baare mein wahi jo abhi leader tha usko samajh nahi aa raha tha wo iss jahah se mukt hone ki khusi manaye yaa apne Beti se naa mil paane ka dukh....wo samajh hi nahi paa raha tha iss baare mein....
Ab aage...
WO apne room mein chali gayi aur main apne room mein....room mein aaya maine aaj pure din ke baare mein socha jaisa kya kuch hua tha...ye sab....uske baad main sone ke liye chal diya....waise bhi aaj kuch tha nahi karne ko....main so gaya.....aur sote hi aaj kahi aur hi pahuch gaya main
Pata nahi kon si jagah thi ye....saamne ek darwaja tha bada sa darwaja....uske saamne main bahut chota lag raha tha....maine uss darwaje ko chuwa....aur darwaja thoda sa khula usme se tej roshni aayi aur main jaag gaya.....
Uthke dekha to subah hone wali thi....ye ajeeb tha....maine ghadi mein waqt dekha to 4 bajne wale the....main jaldi se fresh hoke chal diya waha jaha pe hum dhyaan lagaya karte the...waha jaake main dhyaan lagane lag gaya aaj sabse pahle main hi waha aaya tha....fir sayad baaki log bhi aaye the.....DB ka wo clone bhi....khair.....aaj main apne naye element pe dhyaan de raha tha usko concentrate karne ki koshish karta jaa raha tha....
kaafi waqt tak aisa karne ke baad main apni jagah se utha....waha dekha to sab aaye hue the.....Bua bhi thi aur kavita madam bhi....ye sahi mauka laga mujhe Bua se Clubs ke baare mein janne ka....waise bhi unse puchna to tha hi....
Maine thoda wait kiya kyunki wo abhi bhi dhyaan laga rahi thi....
Main - Bua ye clubs ke baare mein kuch baat karni thi....
Bua - Clubs....kon si clubs...
Nikita - hmm wo bua humne sunna hai school mein clubs hai jaha pe competitions hoti hai aur hum bhi bhag lena chahte hai....
Bua - hmm main dekhti hu iske baare mein....waise tum dono ko inn sab mein kyun jaana hai aise bhi to tum dono sahi hi ho...aur unse jyada kaabil bhi ho...
Main - aap manna kyun kar rahi ho....Rupal didi bhi to thi inme...
Bua - uski baat aur thi....tum...main dekhti hu kya kar sakti hu....Nikita tum kar sakti ho participate....main sab dekh lungi.....
Main - Buaaaa.....ye kya baat hui...
Bua - kya kya baat hui maine kaha naa main iss baare mein sochti hu....aur Nikita tum chinta mat karo main sab dekh lungi...
Nikita - Bua fir rahne do....ye nahi jaayega to main bhi nahi jaungi....aur kya main bhi aapko Bua bol sakti hu....
Bua - Haa bol sakti ho kyun nahi bol sakti par...baccchu iske jaane mein sayad kuch dikkat hongi....main Master se aur ghar pe iss baare mein baat kiye binna nahi bol sakti kuch....
Main - haa to karo naa baat...
Bua - fir se thapad khaane ka mann hai kya....sahi se baat karo...
Main - Par aap mujhe kyun nahi jaane de rahi...aur puch a hai to jaldi se pucho...
Bua - Ghar mein main abhi message pahucha dungi....waha se sayad shaam tak khabar bhi aa jaaye bhejna hai yaa nahi par Madam ka kya usne bhi puchna hoga....aur Nikita Bacchu tum kyun nahi jaa rahi ab...
Nikita - main issi ke saath jaungi nahi to main bhi nahi jaa rahi...
Kavita madam - sah hai...acchi khassi ziddi hai ye bhi...Rupal se kam nahi hai ye...
Bua - haa dekh rahi hu main....accha main Ghar pe baat karti hu aur Madam se bhi contact karne.....
Master - Kya baat hai Poonam mujhe yaad kiya....
Bua bol hi rahi thi ki Master theek unke picche aa gayi....aur aise hi bola....jis wajah se Bua chauk gayi....saath mein hum sab bhi...
Bua - Madam aap....aap aise.....
Master - tumne yaad kiya to main aa gayi..,.batao kya baat hai...
Bua ne master ko sab bataya..
Master - isko rok nahi sakte....tumhare yaha se sabhi inn clubs ke hisse banne hai tum khud bhi.....aur acchi khassi performance thi tumhari bhi.....tumhara record tutta yaa nahi abhi tak.....
Bua - Haa Madam Rupal ne hi tode hai mere saare records.....aur abhi sayad ussi ke records chale aa rahe hai...
Master -haa to ab unke tutne ka bhi waqt aa gaya hai...bhejo dono ko....Nikita...acche se records thodegi saare....aur tum tum waha issliye nahi jaaoge ki jeeto...tum waha seekhne jaa rahe ho...kuch paane jaa rahe ho...samjhe....
Bua - Madam mein ghar mein bhi ek baar puch leti hu fir...
Master - haa theek hai unki bhi rai lena sahi hoga...waise mere taraf se dono ko hi choot hai waha jaane ki aur hissa lene ki baaki tum apne ghar ka dekh lo.....Kavita abhi kuch kaam hai kya tumhe....
Kavita madam - Nahi bas thoda sa kaam hai main baad mein kar lungi aapko kuch kaam hai kya.....
Master ne unko apne saath chalne ko kaha wahi Main Nikita aur wo clone wapas chale gaye ready hone aur Bua apne vabin mein waha se mere baare mein puchne. ..
Main tiayaar hua....aur 1st class ke liye nikla....
Mujhe yaad aaya iss Dhruv ke baare mein maine usko aawaj lagayi check karne ke liye ki aaj bhi aaram kar raha hai yaa ab sahi hai ye....
Main - Dhruv.....aaj kaise ho....
Dhruv - main sahi hu...aur tumhari body bhi lagbhag se sahi hai.....
Main - chalo ye acchi baat hai....
Main aage jaa raha tha ki Nikita ne mujhe join kar liya....hum dono class mein gaye waha pe ek naya chahra tha jo sabhi students ke saamne khada tha....lamba chauda sarir....rang ka sawla kah sakte hai....aur baal kuch neele rang ke the...aankhon pe ek chasma laga hua tha....
humne uska introduction miss kar diya tha...darasal wo hi pahle aa gaye the aur shuru ho gaye the....
Hum dono baithe hue unki baatein sunne lage....wahi sab ki wo Orion mein kuch baccho ko padhaya karte the school ke baad ki padhayi.....unhone Earth ka bhi jikr kiya 2-3 baar wo Earth ki aur yaha ke logo ki bahut taaarif kar rahe the.....
aadhi class to issi mein nikal di unhone uske baad fir shuru hua practical class jisme unhone naye naye techniques sikhaye par main unn sab ko pahle se jaanta tha....
Nikita aur baaki sab wo sab seekh rahe the...main bas dekh raha tha.... ye class khatam hui....aur main aur Nikita waha se nikle..aur hum abhi Mamaji ke class mein jaane wale the ki pata chala wo aaj nahi aane wale.....aur naa hi unhone kisi Assistant prof ko apni class lene kaha hai....unhone class off kar di thi bas....hum sab ka off tha ab hum aise hi yaha waha ghum rahe the...ki tabhi Pankaj aa gaya humare pass...
Pankaj - to taiyaar ho chalne ke liye
Nikita - Aaj nahi.....aaj Bua pahle ghar mein baat karengi uske baad hi hum aa paayenge sayad.....
Pankaj - kya....itni paabandhi.....ye to sahi nahi lagta....
Nikita - tum bahkaane ki koshish mat karo humme samjhe...ye batao kya chahiye....
Pankaj - Arre gussa kyun kar rahi ho main to bas yaha tum dono ko club mein introduce karane ke liye aaya tha par tum manna kar rahe ho....ab jab aana ho naa to bata dena main aa jaunga....
Main - theek hai Pankaj
Pankaj - Pankaj....main bada hu tumse.....thodi to ijjat karo....
Main - wo ye sab naya hai naa bas issiliye....aadat daal lunga....
Pankaj - arre main mazak kar raha tha yaar tum naam se bhi bula sakte ho....waise bhi hum dost hai....chalo main chalta hu kuch chahiye to bata dena theek hai....
Main - hmm....
WO chala gaya.....
main - tumko kya hua tum uspe kyun bhadki hui ho....
Nikita - Pata nahi ye jab bhi dikhta hai ajeeb sa lagne lagta hai mujhe....aisa lagta hai isko yahi pe patak patak ke maaru....
main - Kya...ye kya bol rahi ho....
Nikita - Pata nahi isko dekh ke naa aisa hi lagta hai bas....ki isko bahut maaru....
Main - tum theek ho naa......
Nikita - Haa main theek hu...waise maine naa clubs ke baare mein pata kiya hai...waise to 8-10 club hai yaha par unme se 3 mujhe sahi lage....ek to kadhe wali club.....jaha humme khadha banana hoga..dusra hai wo hathiyaron wala club....isme humme saare hathiyaron ke baare mein pata hona chahiye saath hi unko chala bhi aana chahiye...aur 3rd hai History ko leke....isme hum Litrature aur Histroey ke bare mein jaanege.....alag alag jagah ke logo ke alag alag bhasaon ke baare mein bhi jaanege.....ye sabse accha hai....
Main - Hmm ye sab to sach mein sahi hai.....ton tum baakiyon mein nahi bas inme hi jaaogi....
Nikita - haa inme hi socha hai maine....agar tum kisi aur ko join karna chaho to wo bhi kar sakte ho....
Main - Maine abhi pata nahi kiya hai main pata karunga uske baad bataunga inn theeno ke alawa aur kaha pe jaana hai....
Aise hi baatein karte karte 3rd class ki baari aa gayi hum waha gaye waha ki padhayi ki fir 4th mein bhi....aur uske baad Bua ne hum dono ko hi apne pass bulla liya.....sayad ghar se jawab aa chukka tha....
Main aur Nikita chale gaye Bua ke cabin mein jaha abhi Kavita madam bhi thi...
Bua - aa jao dono....aur baitho....
Hum dono ander gaye aur baith gaye chairs pe....
Kavita madam - tum dono participate kar sakte ho par chukki tum dono hi thode bahut special ho....to ye goli....isko khaa ke jaana hoga.....
Main - ye kya hai.....isse kya hoga...
Kavita madam - Tumhari Master ne hi banwaya hai khass tum dono ke liye...jab bhi training karni ho ek goli le lena ye tumhe uss waqt kamzor bana dega jisse tumko jyada practice karni hogi....aur jab asal exam aayega tab tum dono aur bhi accha bahit accha kar paoge..samjhe....
Nikita - hmm main samajh gayi aur mujhe koi dikkat nahi hai.....
Main - thik hai main bhi ready hu use karne ko...
Main - DHruv isse kuch problem nahi hogi naaa...
Dhruv - nahi hogi chahiye par ek baar main unn goliyon ko dekhna chahunga....tab main aur clear rahunga....
Main - hmm main bolta hu.....
Main - hum wo goli abhi dekh sakte hai na....
Kaviita madam - Haa kyun nahi....unhone humme ek ek goli dedi....
Main - Dhruv dekho aur batao....
wo sayad usko check karne lag gaya aur thodi der mein usne sab clear hai bol diya....Maine uss goli ko khaa liya....aur Nikita ne bhi....
Kavita madam - chalo ab tum dono iss waqt se sabse kamzor ban gaye ho....yahi kuch 4 ghanto ke liye....agar goli khane ke baad bhi tum taakatwar rahe matlab tu, baht accha kar rahe ho...warna ye goli tuko kamzor hi karti jaayegi....
Humko samajh aa gaya ye sab....
Bua - Ab tak pata to chal hi gaya hoga ghar se kya fiasla aaya hai.....tum dono jaa sakte ho....aur haa abhi ye goli li hai naa...kuch jyada mat karna bas so jaana aaj jaake.....khana to nahi khaya hoga abhi naa....
Hum dono ne naa mein sar hilaya...
Bua ne ek ek packets hamari oor badhyi....
Bua - Ghar se aaya hai....jao khaa lena aur fir so jaana aur kuch nahi samjhe naa...
Hum dono haa bol waha se nikal liye....
Wahi Rupal Didi jo kuch din pahle Pure Spain ke bure logo ko khatam karne wali thi wo aaj bilkul normal thi....aur unke wo dono pagal....unko unhone....hotel mein kaam karne ke liye kah diya tha abhi ke liye aage jarurat padti to unka use wo kar sakti thi...
Inn sab ke bich ek aur cheez ho rahi thi.....pure universe mein ab alag alag planets ke khoji dal nikal chuke the uss dark power ki talash mein par wo kisi ko mille tab naa....par kuch aise bhi dal the....jo uss gupt jagah tak pahuche hue the jaha se Jwala ke kabile mein jaaya jaa sakta tha.....par wo abhi usko dhundh nahi paaye the.....wahi ander se Jwala aur uske log wo sab dekh rahe the....wo dekh rahe the kaise bahut se log unke ghar ke paas ghum rahe hai....agar galti se bhi kisi ko unke baare mein pata chala to bahut bura ho sakta hai...
Jwala ne security aur bhada di...
Aaj ke liye itna hi next update mein dekhte hai ye Fumos ka leader kya karne wala tha ab....kya wo mukti ko chunega yaa fir thoda aur intezar karega apni beti ka.....wahi hum Lucifer se bhi milne chalenge uske ander ki utshukta ko dekhne.....aur fir ek nazar Strange world ke school pe bhi maarenge....![]()
thoda to waqt do....aaj birthday hai apan ka rest karne do thoda kal update aa jaayegaWaiting for next update