★ INDEX ★
☟
☟
♡ Family Introduction ♡ |
|---|
Last edited:
♡ Family Introduction ♡ |
|---|
bemishaal update dostUPDATE - 37
Ab tak
Elf world mein bahut kuch hua tha pichle din...ek hamla jo hone wala tha wo tall gaya....ek bahen jo apne bhai se milna chah rahi thi wo bhi bahut waqt se wo usse mil gayi...kisi ko hathiyaar milla to koi buri tarah se haar gaya..par in sab ke baare mein abhi tak Raj pariwaar ko bhanak bhi nahi lagi thi...wo to apne mahel mein surakshit the..ye sab hua uske baad hum sab wapas bhi aa gaye...
Ab aage
Next day...
Subah jaldi utna fir taiyaar hoke jaldi se dhyaan ke liye jaana sab waisa hi tha....Main gaya waha pe jaha mein dhyaan lagata hu...waha pe Bua , Nikita , Master aue saath mein Kavita Madam bhi thi....wo charo meditate kar rahi thi...main bhi baith gaya meditate karne ke liye...meditae karte waqt main apne thunder element ko majboot kar raha tha...aur iska wahi tarika tha...jo balls mujhe yaha waha jaate dikh rahe the unn sab ko ek jagah pe ek saath laana...aur jaise jaise waqt beet raha tha main isme accha hota jaa raha tha...ab ye main aasani se kar raha tha...
Jab mera dhyaan tuta to aas pass koi nahi tha...main akela hi tha waha pe...charo jaa chukke the...Main bhi jaldi se utha aur class ke liye taiyaar hone laga....room mein gaya fresh hua aur fir waha se sidha dinning hall mein waha pe breakfast karne ke liye....waha pahucha to dekha ki Nikita bhi wahi hai aur wo khana khaa rahi thi...main bhi uske pass chala gaya....main uske saath hui apni baaton ke baare mein soch raha tha...
Main ussi ke table pe jaake baith gaya uske bagal mein...usne mujhe dekh kar bhi andekha kar diya...
Main - Main wo soch raha tha tumhare kahi hui baaton ke baare mein...tumne kaha tha ki powers nahi hoti to accha hota...
Maine jaise hi ye bola jo khana uske muh mein tha wo uske galle mein attak gaya aur wo usko apne gale ke nicche karne ki koshish karne lagi....maine bhi uske pith pe thapki di jisse yaa to wo bahar nikal jaaye yaa ander chala jaaye...aur paan bhi diya usko....paani pinne ke baad jab usko thoda accha lagne laga to usne meri oor dekha...aur kya dekha tha...aisa lag raha tha abhi mujhe maar ke khaa jaayegi kaccha hi...uske baad usne apni plate uthayi aur waha se chali gayi...meri samajh mein nahi aa raha tha ki ye hua to hua kya...matlab maine aisa kya kah diya ki usko mere pass se jaana pada....baat samajh mein nahi aayi meri...to maine bhi khaane pe concentrate kiya aur khana khane ke baad class ke liye chala gaya...waise to class hamare pyaare prof. Suraj ka tha jinki kal acche se pitayi hui thi...aur mujhe lag nahi raha tha ki wo aayenge....par humme to janna hi tha class ke liye ab ye baat alag hai waha pe koi aur class leta yaa kuch aur hota iska pata wahi pe chalne wala tha.....to pata karne ke liye main bhi chala gaya waha pe....aaj classs mein khud master aayi hui thi...ye dekh ke main daang rah gaya...
Master ne sabhi ko pahle to apna intro diya...waise sab bas unka naam hi jaante the..yaa sayad koi unko aur acche se jaanta hoga pata nahi...par ye hi protoccol hota hai aur unhone bas wahi follow kiya apna intro diya...aur fir sabko khabar sunayi...
Master - Aap sabhi ke prof. kuch samay ke liye chutti pe hai...to tab tak aapke class assisstant prof.s lenge....aur haa practicles bhi unhi ke dwara liya jaayega...iss beech agar kisi ko bhi kisi tarah ki padhayi mein dikkat ho to binna kisi jhijhak ke aap sab apne leader ko bataye...aur wo aapki oor se aapki baaton ko hamare teachers council mein rakhenge... Aaj koi class nahi hai aaj aap jaa sakte hai....par agar koi question hai to uske baad...
ladka 1- Ma'am hamara leader kon hai...
Master - aap logo ke Batch mein koi leader nahi hai ??? Maine sabhi teachers se bola hai har batch har class sabhi ke leaders hone chahiye...sayad Prof. Suraj bhul gaye ho...ab ye aap sab pe choda jaata hai ki aap kise apna leader banate ho....aur koi sawal..
Kuch aur sawal pucche gaye par wo utne khass nahi hai..class khatam hui aur sabhi nikal gaye class se....Main Nikita ko dhundhne laga...usse baat karne ke liye ki aakhir wo chahti kya hai..par wo mujhe kahi milli hi nahi....fir acchanak se wo mujhe Master ke saath dikhi..Market jaane wale room ke pass...wo waha Master ke saath thi aur baatein kar rahi thi....Main bhi unki oor jaane laga..par isse pahle mein pahuch pata Master waha se chali gayi aur Nikita Market ke ander chali gayi....Pata nahi kya baat kar rahe the ye dono...
Dhruv - isse bhi jyada jaruri kaam baaki hai...Polar bear prince 2 din se lapata hai..ab tak wo log usko dhundne mein puri tarah se lage hue honge.....agar galti se bhi aisi koi khabar untak pahuchi ki prince Jwala ke kabile mein hai to ladayi shuru ho jaayegi...aur ye ho isse pahle tumhe wo waha pahucha yaa nahi iska pata lagana hoga...
Main - Haa main to bhul hi gaya waise bhi mujhe Jwala se baat karni hai usne..Bijli aur baakiyon ko bhej ke hamari madad bhi ki thi...shukriya to banta hai...
Dhruv - aur iske liye waha jaana hoga...jiske liye tumhe Jwala ko bulana hoga...
Main - Haa pata hai....
Maine Jwala ko yaad kiya aur usko portal kholne ko kaha...aur turant hi portal khul gaya...wo abhi apne ghar mein tha...Main kuch bolta usse pahle wo hi shuru ho gaya,..
Jwala- Polar Bear Prince abhi puri taeah se swasth nahi hai aur hum apne kisi mehmaan ko....chahe wo bin bulaya hua hi kyun naa ho...aise jakhmi hala mein nahi jaane de sakte...aur waise bhi agar abhi usko iss halat mein uske ghar leke jaata to wo galat samjh sakte the..aur fir main aapke aadesh ka palan nahi kar pata..
Main - Kon saa aadesh..
Jwala - Aapne kaha tha koi ladayi nahi hogi....aur agar main isko issi halat mein leke jaata to jarur ladayi hoti...
Main hmm thik hai...aur shukriya kal tumne Bijli ko aur baakiyon ko bheja madad ke liye...
Jwala - madad....nahi wo madad nahi thi......hum bas apna kiya hua wada purra kar rahe the...Kabile ne kaha tha ki humara kabila aapke pariwaar ki rakhsha karega...hum bas wahi kar rahe the usse jyada kuch nahi....
Dhruv - Ye to abhi bhi gusse mein hi lag raha hai...
Main - Haa yaar baat to sahi kahi...chalo dekhte kab tak gussa rahega...
Dhruv- waise ye gussa ho yaa naa ho isse matlab nahi hai..isko ab wahi karna hoga jo tum.....
Itna bol ke Dhruv chup ho gaya jaise main kya soch raha hu..wo jaane ke liye ek dum se shant...
Main - Nahi yaar...ek dost kisi gulaam se laakh gunna jyada accha hota hai...aur mujhe iski dosti chahiye..gulami nahi...aur wo to maine uss waqt isliye kah diya tha kyunki ye aur kisi tarah se maanne wala hi nahi tha....
Dhruv - chalo ye sahi hai fir isko ab batao ye sab...
Main - haa....(Jwala se) wada nibha rahe the par madam to madad hoti hai caahe jaisi bhi ho...aur agar tum chahte to tum bijli ko nahi aane dete par tumne aisa nahi kiya...Bijli ko bheja waha jo bahut takatwaar hai..aur uski wajah se sab surakshit hai..to thanks Jwala...
Jwala ne ek baar meri oor dekha aur bas..fir wo apne kaam mein lag gaya jo wo kar raha tha....kuch padh raha tha sayad...
Main - Main ek baar uss prince se mill aata hu...thoda ghum bhi lunga..
Usne portal khol diya...jo sidha vaidya ke ghar mein jaa rahi thi...
Main - arre nahi iski jarurat nahi hai main aise hi theek hu...aise hi chala jaunga..pata hai unka ghar....
usne portal band kar diya aur main bhi waha se nikal gaya...
Wahi dusri jagah.....Market mein...
(Nikita ke respect mein)
Main - ajeeb se powers de diye hai...pata nahi kaise powers hai ye...use karna chaho to hote nahi upar se darrate alag hai ye...mujhe chahiye hi nahi ye.....bas ek baar mera kaam ho jaaye power muh pe maarungi uske...
Ye asie hi badbadate hue...kaale kapdon mein market mein chali jaa rahi thi andeer ki oor...isne change kar liya tha ander aane ke baad....
kuch dur aur jaane ke baad mujhe laga ki koi mera piccha kar raha hai...aur yahi to main chahti thi...main aur ander ki oor jaaati rahi....ab main purani dukkon ke ilake mein aa gayi thi...yaha pe dukkan hai jo purani hai...yaha log jyada aate nahi hai kyunki inhi dukaano ke ke naye branch bolo yaa modified dukane aage ke side mein khul chukki hai...inn jagahon pe ab bas kuch hi log aate jaate hai...Main abhi bhi aage ki oor badhi jaa rahi thi...aur jaise jaise jaa rahi thi waise waise lag raha tha piccha karne walo ki dinti badhti jaa rahi hai...aur jab mujhe laga ki itne kaafi hai to main ruk gayi....
Main rukki aur uske turant baad hi ek oor se kisi ne ek kaale rang ke energy ball se mujhpe hamla kiya...wo mujhe lag hi jaati agar mujhe pata nahi hota iss baare mein...waise ye sahi baat thi in powers ki jo mujhe uss Prateek se millli thi....mujhe naa pata chal jaata tha...yaa kahu ki waqt mill jaa raha tha...pahle to ye control mein nahi tha...par kal...kal control paa hi liya tha maine....jab unnn wahiyaat si jail mein thi...mujhe itna gussa aa raha tha ki main unn sab ko maar daalti...par main jaanti thi aisa nahi ho sakta...par gussa bas badhta hi jaa rahatha...tabhi aisa laga jaise koi bulla raha ho mujhe...mujhe uss andhere se koi bulla raha tha..aur main waha gayi aur fir...fir main waha pe baith gayi aur gusse ko kaabu karne ki koshish karne lagi..aur kamiyaab hui....aur ussi ke saath ye power bhi control mein aa gayi...khair ye baad mein bhi bataya jaa sakta hai...abhi mujpe kisi ne...black energy ball se hamla kiya..main bach gayi...par ye sirf ek waar tha.....iske baad aur bhi kayi saare waar aane shur ho gaye...black energy balls ki to jaise barsat hi ho gayi mujhpe..par Main har ek baal se bach rahi thi....wo bhi binna jyada kuch kiye...mujhe bas apne jagah se aaram se side ho jaana hota tha..aur ball chali jaati...iss waqt kayi baar to maien energy balls ko apne saamne se gujarne diya..aur unko dhyaan se dekh rahi thi..
Jo hamla kar rahe the...unki energy kam hoti ja rahi thi..aur wo sayad samajh gaye the ki mujhme ab kuch naya hai...to sabhi rukk gaye....
Main - kya hua...sabhi ke sabhi thak gaye...arre koi to waar karo...
Itne mein ek ladki waha pe aa gayi...aur uske aane baad...uske picche aur bhi kuch log aaye..
Main inn sab ko jaanti thi...jaanti kaise nahi inhi sab ke saath to rahti thi yaha aane se pahle...school jaane se pahle...
Ladki - tumm yaha kya kar rahi ho...
Main - Main....main yaha apni jagah lene aayi hu...
Ladki - jagah....wo to tum ussi din khoo chukki thi...jis din tumne school jaane ka faisla liya tha..tumko manna kiya gaya tha par tum nahi maani...tumne apne dil ki ki aur waha chali gayi...
Main - Haa gayi aur dekho...dekho kya hua mujhe...tum sab kitne ho....1..2...3..8 log ho naa...aur tumme se kitno ki energy ball lagi mujhe..1..2...3...ek ki bhi nahi..samajh mein aaya...mainn sahi thi aur wo galat tha...wo bas hum sab ka use kar raha tha...yahi wajah hai wo nahi chahta tha ki main school jaun duniya dekhu...aur sikhun....tumne jab bhi bulaya main aayi...aayi yaa nahi..par fir bhi tum logo ko yaakin nahi hua...hota bhi kaise wo jo khel raha tha tum sab ke dimmag se....waise hai kaha wo abhi...wo khud nahi aaya..kyun daar lag rha tha usko mujhse...
Ladki - jyada jubban naa chalao...ek baar ko chod diya tha...iss baar nahi...agar wo aa gaye to tum to gayi...aur iss baar koi hai bhi nahi bachane wala tumnhe....
Main - Bachane wala...main akeli hu yaha pe aur tum 8 ho...tumne hamla kiya mujhpe aur main ab bhi do pairon pe acche se khadi hu...aur jiski baat kar rahi ho naa...usko jaanto bhi ho tum sab....pata hai kon hai wo..kya karta hai yaha se jaane ke baad....
Ladki kya matlab..
Main - Matlab ye ki wo to yaha hamare pass bas abhi kabhi hi aata tha hamari training dekhne aur humme kaam batane ko.....uske alawa wo kya karta tha ye pata hai....usne hamse kya kya karaya hai ye sicha hai kabhi...
Ladki - isse humme kya...hum bas ye jaante hai wo acche hai bahut acche hai tabhi to hum jaison ko apne pass rakhte hai...
Main - wo ussi school mein padhata tha jaha main padhti hu...Suraj naam tha unka...
Ladki - kya bakti ho..tu m apni baaton se humme bahka nahi paogi...
Main - Main bas sach bata rahi hu..aur yakkin naa ho to ye dekho....ye kapde unhi ke hai naa...ye sab saman....ye sab mujhe wahi se milla hai....aur ye bhi pata chala hai ki tumlogo ne mujhe marne ka plan kyun aur kaise banaya tha...kya ye jhoot hai ki unhone hi nahi kaha tha ki main ab khatra ban gayi hu...tum sab ko nuksann pahucha sakti hu apne fayde ke liye..uyahi sabd kahe the naa usne.....aur...aur tum sab ne maan bhi liye...ye jaante hue bhi ki main aisa kabhi nahi karungi....tum sab ke alawa koi aur hai hi nahi mera...to aisa kyun karungi main bhala...
Itna bol ke main chup ho gayi...aur prof. ke saare saaman unn sabhi ki oor fenk diya...mujhe pahle hi pata chal gaya tha ki wo wahi hai jo mujhe aur mere jaise bahut se bachon ko paal rahe the..par maine iske baare mein naa to unse baat ki aur naa hi kisi aur se...mauka hi nahi milla tha...aur uske baad ye sab ho gaya tha...jiske baad mujhe samajh nahi aa raha tha ki aakhir kyun kiya ye sab mere saath...wo to ye nayi Madam aayi thi...inhone sab bataya...aur tab jaake mujhe kahani samajh mein aane lagi....inhone naa sirf ye sab bataya balki mujhe uska asli chahra bhi dikhaya....wo unn sabhi bacchon ko apne pass rakhta tha jinke parents ko yaa to usne yaa uske logo ne maara ho....uski ye sachayi sabko pata nahi thi...aur jinko pata thi wo kuch kar nahi rahe the...unn nayi madam se pucha to kaha ki waqt nahi aaya tha aisa karne ka...waqt nahi aaya tha....agar unhe pata tha tio wo Prof. ko pahle hi maar sakti thi aur sayad issi wajah se mere apne aaj jinda hote...par koi baat nahi ab jo beet gayi wo baat gayi....ab mujhe ye pata tha...aur mujhr jaise hi mauka mila main ye sab khatam karne aa gayi....
Main chup chap sabhi ko dekh rahi thi...waha pe aur bhhi log aaye wo sab hamare hi grop ke the...aur sabhi ke sabhi ab unn samaano ko dekh rahe the...aur unko yakiin to nahi ho raha tha par..ye hi sach tha...
thodi der baad main unn sab ko wahi chod ke waha se nikal gayi...pata nahi kyun...mujhe abhi aur bhi bahut si baatein kahni thi..unse jawab mangna tha..par ghutan si hone lagi mujhe waha...aur main waha se bahar aa gayi...uss market se bahar..school campus mein...aur main chali gayi Kavita madam ke pass...
Ye sab baatein rahi Earth ki....waise aur bhi hai par wo aage milegi....ab chalte hai Strange world mein....Elf counrty.....ek aur aam sa din sabhi logo ke liye...par kuch aise the jinke liye kuch bhi aam nahi tha ab.....unme pahla number aata hai DB ke cousin ka...seena nayak hai ye janab yaha ke seena ke...Raj Pariwaar se bhi taalikh rahte hai....waise to inhe khane ke table pe abhi khush hona chahiye tha....par inki sakal aisi thi ki dekh ke samajh hi naa aaye ki banda soch kya raha hai...khud bhi confused aur saath mein chahra padhne wale ko bhi confuse karega...
Subah hui aur ye bhaisahab uthe....uthte hi siddha nikal liye room se....jaante the ye ki inka plan successful hi raha hoga....sab bahut acche se ho gaya hoga....aur aaj hi ye yaha ke naye Raja ban jaayenge....par....par ye to jindgi hai saali shock deti rahti hi....ye janab uthe the aur sidha chal diye the DB ke pita ke room ki oor...jisme isko kabza karna tha......jaate hi dono haathon se darwaje ko zor se khola...aur kholne ke baad jo saamne dekha..uske baad to muh khula ka khula hi rah gaya inka....Saamne DB ke Pita shree the...jo taiaar ho rahe the...apna Mukut apne saar pe rakh rahe the...aur aise aachanak se dawaja khulne ki wajah se wo bhi chauk gaye....unhone saamne dekha...
wo - Kyaa baat hai.....iss tarah se aane ki wajah....
Sena Nayak hi likhunga abhi...
Sena nayak - Chachaji aap....aa
waise to bolli nikal nahi rahi thi par fir bhi emotion ko kisi tarah control karke bolne hi wala tha ki bagal se ek sianik aa gaya...aur usne kuch kaha...
Sainik - Maharaj...Seena Nayak ji kuch log hai jinko aapke darwaar mein pesh karna hai rastra shurksha ka masla hai...
Agar koi aur baat hoti to ye sainik abhi daant khane wala tha...par rastrashuraksha ki baat thi to Maharaj ne apna mukut sahi kiya aur jaldi se nikal liye apne darwaar ki oor...par jaane se pahle...
Maharaj - tum bhi taiyaar hoke aao jaldi dekhte hai kya baat ho gayi...
Sena naayak ko samajh mein hi nahi aa raha tha aakhir hua kya jo kuch hua hi nahi...uska plan fullproof tha...sab sahi hi hona chahiye tha....uske saath bahut acche acche log the iss kaam ke liye....prof suraj aur fir demos world se bhi to madad milne wali thi...phir aisa kaise....
wo ye sab samajhne ki koshish karta raha par samajh kuch nahi aaya...to wo nahane chala gaya aur uske baad darbaar mein pahucha..aur jo log saamne the unsab ko dekh ke to usko bahut bada jhatka laga....ye wahi log the...jinko usne uski madad karne ko kahga tha...aur uske badle....jab wo Raja banta to unn sabhi ko sab alag alag post deta...abhi wo saare saamne khade hue the.....unsabhi ke haathon mein hathkadiyan lagi hui thi...
Seena Nayak ko ab bhi samajh nahi aa raha tha ki kya hua hai...wo aur confuse hi gaya tha....
Darbaar meinn ek aadmi aaya aur usne batana shuru kiya...
Aadmi(elf hi hai ye bhi) -Maharaj kuch dinno se tarah tarah ki baatein sunne mein aa rahi thi.....baatein aisi thi jinse ye pata chala ki kuch log hai elf country mein jo aapse aur aapke pariwaar se khush nahi hai...aur inhi logo ke saath milke kisi ne ek bahut bada sadiyantra racha hai...(ye bolte hue usne Seena nayak ki oor dekha)...sadiyantra ye tha ki kal Puja wale din jab aap aur aapka pura pariwaar kamjoor ho jaate hai shaktiheen ho jaate hai tab aap sabhi ko maar diya jaaye....maaf kariye maharaj par ye sach hai...unka yahi plan tha aap sabhi ki hatya kar Elf country ko apne kabze mein lena....aur ye sab aisa kar bhi lete Maharaj....magar...unki ye baatein humme pata chal gayi...ek kaidi ne hamari madad ki.....ussi ne sab bataya...aur saath hi sabut bhi diye....aur unhi ke badaulat aaj hum aapke saamne issi darwaar mein sabhi gaddaron ko leke aaye hai...ab aap hi inka nyay kare....
Maharaj ne uski baat sunni aur soch mein pad gaye....darbaar mein bheed thi sabhi bhunbhunnane lage the...
Maharaj ne thoda sochne ke baad apna faisla sunaya....
Maharaj - pahle to inn sab se wo wajah pata ki jaaye aur unn sabhi wajahon ko mere samaksh pess kiya jaaye jinn wajahon se ye mujhse itne khaffa hai ki mujhe maarne tak ko raaji ho gaye...uske baad..inn sab ko fumos pe chod diya jaaye....
Maharaj ne jab apna faisla sunaya to sab hairaan ho gaye...Strange world mein aaj bahut samay baad Fumos planet ka naam aaya tha....ek arsa ho gaya jab kisi gunehgaar ko waha bheja gaya ho....
Maharaj ne faisla sunaya aur uske baad aage ki karwahi karne lage....thodi der baad ek break hua aur sabhi breakfast karne chale gaye...wahi baitha apna seena nayak soch raha tha ki ye sab hua kaise...ki DB bola....
DB - Papa aapne unko waha bhejne ki sazza kyundi..aiso ko to maut ki sazza dena chahiye....
Maharaj - beta yahi to anter hota hai....jab mukut aapke saar pe ho to ye jo jajbaat se liye gaye faisle hai naa unko daba dena padta hai aur koi aisa upay nikalna padta hai jo sahi ho....agar maut ko hi sazza bana deta to bahut se aise log hai jo marne ko bhi taiyaar rahenge....yaa karaye jaayenge majbooriyon ke karan....mujhe ye nahi chahiye tha...ELf country ko ek aisa rasta chahiye tha jisse log aisa karne ka soche bhi nahi...aur Fumos ek ais hi rasta hai,,,,,(sena nayak se) beta baat karo Fumos mein...unse kaho ki hum kuch kaidi bhej rahe hai...
Seena nayak - Ji chacha ji...
Maharaj - Haa DB tum ye batao waha school mein kya chal raha hai...padhayi hi kar rahe ho yaa yahi ki tarah...agar ek bhi complaint aayi to tumhe bhi fumos ke ek daure pe bhej denge...hahahaha..
Ye sab Raj mahel mein chal raha tha wahi the Archery Society mein alag hi hulchul macchi hui thi....waise to kisi ko bhi Leemo ke faisle se koi aapti nahi thi....par unko ek baat sahi nahi lag rahi thi...aur wo tha Seena nayak ke sath kuch naa karne ka....Leemo bhi apni jagah sahi tha...agar Seena nayak ke saath kuch kiya...to Maharaj binna kisi sabut ke usko raj pariwar pe hamla maan lenge...Maharaj hi nahi baaki sab bhi....jo sahi nahi hoga...to usne apne sources se unn sabhi ka pata lagaya jin logo ne unka saath diya tha...aur unn sab ko giraftaar karaya...aur Raja ke saamne pesh kiya...saath hi ek kahani bhi banayi...wahi ek kaidi ne madad ki wagerra wagerra......
Society mein bas kuch hi logo ko ye baat pata thi ki Prateek and team waha aayi thi aur jinko pata tha ye baat unko chup rahne ko kah diya gaya tha...
Leemo abhi apne ghar mein tha...apni Bahen aur bhanji ke saath...wo unse unki kahaniyan sunn raha tha aur apni bhi sunna raha tha....
Aaj ke lie itn hi next update mein dekte hai Rupal didi ki problem ka kya hua...saath hi DB ka wapas aana....aur Nikita ke life ke baare mein bhi kuch kuch jaanege...saath hi hamare pyaare prof. Suraj ji kaha gaye aur kis haal mein hai ye bhi dekh lenge...aur ek baar apne dost Slayer ji ke bhi darshan ho jaayenge issi bahane...
Banne rahiye...