• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Immortals

Ristrcted

Now I am become Death, the destroyer of worlds
Staff member
Sr. Moderator
47,232
40,144
304
Last edited:

Nevil singh

Well-Known Member
21,150
53,058
173
UPDATE - 24

Ab tak...

Thunder element mil gaya tha mujhe par...isko control karna bahut hi muskil tha....waise to Dhruv ne bola ki maine accha kiya..ye sa hone ke baad main break fast ke liye gaya aur fir waha se DB ke saath hi Prof. Suraj ki classs mein....

Ab aage

Hum dono waha gaye...aur jaise hi main waha enter hua mujhe yaad aaya...Nikita...wo waha nahi thi....hogi bhi kaise wo to kal Market mein...par kyun....wo waha kyun gayi thi...aur ab kaisi hai wo...Main bhul kaise gaya uske baare mein...Main ye sab sochne laga wahi pe khade khade...aur sayad DB ne ye dekha ki main ekdum se ruk gaya to usne picche aake mujhe hilaya aur fir puccha...

DB - Kya hua...aise ruk kyun gaye....

Main - Nikita....

Bas itna hi muh se nikla aur main yye jane ke liye ki aakhir waha ho kya raha tha uske pass matlab Kavita Madam ke pass jaane ke liye nikal gaya,...wahi DB bhi mere picche mujhe aawaj dete hue aane laga....Main jaldi se Medical department ke pass pahucha...par gate pe hi mujhe Bua dikh gayi....par unhone abhi mujhe nahi dekha tha....Wo abhi waha pe khadi hoke Kavita madam se hi baat kar rahi thi...ab main unke samne se ander gaya to ye sawal pe sawal puchegi aur fir pata nahi kaha se kaha tak baat pahuch jaaye...to main bas chhup gaya wahi pe...Par kismat...Wo DB ne mujhe dekh liya chupte hue aur wo to aur aawaj deta hua mere pass aaya....pahle to sayad Bua aur Kavita Madam ne nahi sunna par jaise hi wo mere pass aaya aur chilaya tab bua aur Kavita madam ne sun liya...aur hamari oor dekhne lagi...Halat sambhalne ke liye maine...DB ke pair pe ek kick maari unn dono ke najron se bachte hue aur uska haath apne kandhe pe rakh liya....aur usko waise hi pakad ke aage jaane laga...wo to bas apne pair ko dekh raha tha aur mujhe aankhen badi badi kar ke...Bua aur Kavita madam ne humme dekh liya tha to wo bhi hamare pass aa gayi...

Kavita madam - Kya hua tum dono iss waqt yaha abhi to Prof. Suraj ki class hai naa aur ye Elf Prince ko kya hua....

DB kuch bole usse pahle maine bol diya....

Main - Ye sidhiyon se gir gaya hai...sayad haddi tut gayi hai iski dekhiye ye chal bhi nahi paa raha hai....

DB - Kyaaa....

Wo kuch aage bolta maine dhere se uske peeth pe maara..aur wo Haa...haa karne laga....

Kavita - Hmm thik hai main inka dhyaan rakhti hu tum jao class mein....

Main - Nahi wo ye aisi haalat mein hai....main isko kaise chod ke jaau...dost hai ye mera.....

DB - Haa Haa dost hai mera....(mujhe ghoorte hue bola o...)

Kavita Madam ne ek baar Bua ko dekha...Bua ne bhi haa mein ishara kiya aur fir kya main ander chala gaya DB ke saath...DB ko ek room mein rakha gaya...main bhi ussi room mein tha...par mera dhyaan kahi aur tha.....Kavita madam bhi humme waha chod ke thodi der ke liye bahar chali gayi...main wahi room mein akele tha DB ke saath wo abhi bed pe leta hua tha aur mujhe ghoore jaa raha tha....par abhi mera dhyaan uspe nahi tha...Main soch raha th Nikita ke baare mein...mujhe ab bhi yakkin nahi ho raha tha iss baare mein...

Dhruv - Ye itna dhyaan kyun aa raha hai uska...kya baat hai...

Main - Arre nahi wo main bas soch raha hu wo wah akr kya rahi thi aur wo log...wo kon the...aur kya karan tha ki ye sab hua...Nikita ne hamari madad ki thi.....meri bhi DB ko bachane mein...ab main usko aise hi chod bhi to nahi sakta naa...

Dhruv - Kal hi ek power ke baare mein bataya tha yaad hai...agar uska use karte to abhi ye sab nahi karna hota...tum class mein rah ke ye sab pata kar sakte the....par tumne aisa nahi kiya...kyun...

Main kuch samjha nahi ye pata nahi kaise sawal kaer raha tha...usne help ki thi hamari aur ab sayad wo kisi mushibat mein thi....to bas ek baar baat karna tha usse mujhe...par ye Dhruv aise hi....

Abhi soch hi raha tha ki Dhruv ne wapas se bola....

Dhruv - Hmm thik hai...sawal ko chodo uska jawab waqt aane pe milega..ab jaao aur jaake dekho kaha hai wo....aur haa connect mein rahoge tum mujhse yaad hai naa...kuch puchna ho to puch bhi sakte ho....

Main samjha nahi ye last wali baat ka matlab....usne ye baatein sayad kal dukan mein bhi to kahi thi fir aaj bhi kyun....kya koi wajah thi iske picche....

Main abhi soch hi raha tha ki mujhe meri body saamne pade hue chair pe baithi milli....matlab iss Dhruv ne mujhe hi meri body se nikal diya...

Main bhi jyada sochte hue nahi nikal pada dhundhne ko Nikita ko....Room ke bahar nikla aur yaha waha dekhne laga par kahi Nikita ka kuch pata nahi chal rah atha...main bas ghoom raha tha yaha waha...abhi aur ghoomta rahta agar Kavita madam naa dikhti to...wo ek deewar ki oor se aa rahi thi....ajeeb tha...deewar ke taraf se kaise aayegi ye...par fir yaad aaya main to magic school mein hu aur yaha kuch bhi ho sakta hai....main ussi deewar ke pass gaya aur usko dekhne laga waise to kuch nahi dikha...

Dhruv - Deewar ke ander jao...

Main - Par kaise aur kyun...

Dhruv - Ahi aatma ho tum....aur atma kahi bhi jaa sakti hai chalo ab jao..aur kyun ka jawab jaante ho tum...

Main samajh gaya ki Nikita ander hai aur main chala gaya ander....ander pahucha to Nikita ek bed pe leti hui thi....sayad behosh thi abhi bhi.....main pahucha uss tak aur aise hi usko dekhne laga....

Dhruv - YAhi karne gaye ho waha....yaa pata bhi karna hai uske baare mein....

Main - Haa pata karna hai par kisse karu...ye to behosh hai...

Dhruv - Hosh mein hoti naa to bhi kuch nahi batati.....tumhe hi kuch karna hoga..tab pata chalega kuch...

Main - Kya main....

Dhruv - Haa sahi soch rahe ho tum...uska haath pakdo aur apne memory reading power ka use karo....isse tum uske baare mein sab jaan sakte ho...agar usne apni memory lock naa kar rakhi ho....

Main - Memory lock...????

Dhruv - Haa memory lock...log karte hai aisa..taaki koi unke secrets naa jaan sake...par ye ladki abhi inn sab ke liye ahut choti hai...tum try karo....

Maine bhi Nikita ke aath pe apna haath rakh diya...

"ek bacchi thi choti si....usko koi utha ke le jaa raha tha......wo koi aurat thi....wo aurat daudhti jaa rahi thi..kuch log bhi the uske picche....acchanak se wo aurat gayab ho gayi waha se....saath mein wo bacchi bhi...."

Main - Ye kya tha....ye kon the...aur ye....

Dhruv - yaadein...ye yaadein hai...

Abhi wo kuch aur bolta usse pahle phir se kuch dikhne laga mujhe....

Wahi aurat ussi bacchi ko kisi aur ko de rahi thi....aurat khush nahi dikh rahi thi aisa karte hue...usne ek baar bacchi ke maathe pe kiss kiya aur fir sab gayab....

Main - Usne to uss bacchi ko de diya uss dusri aurat ko...

Dhruv - Haa dekha maine...

Fir se shuru hua...kuch....Wo aurat jisko ab bacchi milli thi wo kuch buddhi ho chali thi.....abhi wo bed pe thi....aur sayad ghaayal bhi thi....aur wahi uske pass mein baithi thi ek ladki...ladki ki sakal Nikita se mil rahi thi...haa ye Nikita hi hai..wo uss aurat se baat kar rahi thi...Baatein sunayi nahi di mujhe...par...baatein khatam hote hi uss aurat ke sharir se kuch nikla aur wo Nikita ke body mein chala gaya....aur wo aurat maar gayi...Nikita Rone lagi...

Main - Ye sab Nikita ke saath hua tha kya...

Dhruv - Haa lag to wahi raha hai....

Nikita abhi School ke bahar khadi thi apne samman ke saath....akele...

Wo school ke ander aayi aur fir sheedha principle ke office gayi aur unko koi kaagz diya...jisko padh ke pahle to Principle ne ek do bar Nikita ki oor dekha...fir jab sab confirm ho gaya to unone usko test ke baare mein bataaya...aur fir...

Main - Ek minute ye kuch jyada lamba gap nahi hua...abhi to choti thi ye aur fir ek hi baar school mein...

Dhruv - Haa...issi ko kahte hai Memory ko lock karna...par isne naa sirf lock kiya hai balki manupulate bhi kiya hai usko...par ye kaise kar sakti hai itna kuch....

Aage mujhe dikha ki ye kuch logo ke saath Library mein baithi hui thi...sayad wahi log wo lambe kapde wale...unme se kisi ki shaqal nahi dikh rahi thi...

Dhruv - Dekha...chahre tak hata diye gaye hai...

Main - To isne khud...

Dhruv - Kuch isne khud liya hai aur baaki sab uss waar ke wajah se hua hai...abhi isko wo saari ghatnayein to yaad hogi par wo kiske wajah se hui ye yaad nahi hogi...kon the wo log ye bhi yaad nahi hoga...yaha Earth pe kuch gadbad chal rahi hai...aisi magics yaha pe....ye to bahuit khatarnak hai....

Main - Kya matlab hai tumhara...

Dhruv - Ye ek Vampire hai ispe uss magic ka itna asar hua hai...socho koi normal insan hota to kya hota....Jwala ke kabile mein khaar pahuchao.....Earth pe har ek movement pe nazar rakhni hogi...

Main - Kya itna khatarnaak hai ye...

Dhruv - WO tumhe pata chal jaayega...abhi jo kaha hai wo karo....aur ab haath hata lo....ab kuch nahi dikhne wala..sab mit chuka hai..

Maine apna haath hataya aur wapas se apni body mein aa gaya....waha dekha to DB behosh pada hua tha....

Main - isko kya hua...ye behosh kaise...

Dhruv - Ye pagal ho gaya tha...ajeeb ajeeb harklatein karne laga to maine isko behosh kar diya....chinta mat karo...maine jo bhi kiya isko yaad bhi nahi hoga...

Main - Par aisa kyun kiya..dost hai wo mera....

Dhruv - Ye bhi dos hai...hmm thik hai...ye jald hi theek hoga....waise ek baat batao...Doston ke liye kya kya kar sakte ho...

Main - Pahle koi dost nahi tha mera...haa do the mere saath mein baitha karte the...par wo dost nahi the..main hi baat nahi karta tha unse...Master ne kaha tha kisi se koi lagao mat rakho....bas issiliye...par ye sab yaha pe dost hai mere aur inke liye jo ban sake wo karunga main....

Dhruv - Powers de sakte ho kya inko...

Main - Haa kyun nahi...powers mein kya hai...main de sakta hu inko...

Dhruv - Soch lo...

Main - Maine kaha naa bas....dost aur family ke liye powers kya jaan bhi....

Dhruv - Hmm chalo theek hai iss baar sahi hai sab abhi tak...

Main - Kya matlab....

Dhruv - Kuch nahi baad mein pata chal jaayega....chalo ab Jwala ke kabile walo ko batao....unko bolo yaha nazar rakhne ke liye...

Main - hmm theek hai...

Maine Jwala ko yaad kiya aur mere saamne wale deewar pe kahi se aag lag gayi...aur wo ek gol ghere mein badal gayi...wo ek darwaja tha...Jwala ke duniya mein jaane ka....

Main usse hoke gaya uski duniya mein....

Jwala - Maalik bataiye kya kaam hai...

main - Kaam koi nahi hai main to bas milne aaya tha tumse....

Meri baat sun ke Jwala khush ho gaya...

Jwala - Haa sab sahi hai...yaha aapke aane ke baad se hum sab ko hamari takatein wapas milne lagi hai...ab bas kuch aur din aur hum bilkul taiyaar honge....

Main - Taiyaar kis liye....

Jwala - Yudh ke liye.....Polar bear ke kabile walo ne hume hara diya tha pichli baar aur fir humpe....par iss baar aisa nahi hoga...iss baar humme hamare maalik mil chuke hai..iss baar wo hamare kabje mein honge...

Main - Ek minute ye Polar bear kabila kya hai..aur ye ho kya raha hai...

Dhruv - Fire and ice....yahi ho raha hai yaha...dono hi ek dusre se ladte rahte hai...agar ye dono ek hue...to kya kuch nahi ho sakta....

Main - Par ladte kyun hai....

Dhruv - Mujhse kya puch rahe ho...isse puccho...inn sab ne naa jaane kya kuch nahi kiya hai.....shuru ye ek khel ki tarah kiya gaya aur fir aaj jung mein badal gaya hai.... mera bas chalta to inn sab ko yahi maar deta...inn dono kabilon ki wajahb se bahut nukshan hota hai,,,,

Main - Nukshan ,...par kaise kya..baat kaer rahe ho tum...kuch samajh mein aaye aise kaho....

Dhruv - Abhi shuru kiya to bahuit waqt lagna hai...abhi ke liye manna kar do isko....

Main - Haa waise ladayi mujhe bhi pasand nahi hai...jab baatein kar ke sab sulajhne ki gunjaayish ho tab tak ladayi nahi karni chahiye....par agar saamne se hi koi waar kare to rukna nahi chahiye baaton ke liye unko sabak sikhana chahiye....

Main - Jwala jab tak Polar bear kabila hamla naa kare tab tak kuch nahi karoge tum sab....

Jwala - Par...theek hai maalik...aur maaf kare mujhe maine par sabad ka istemaal kiya....

Main - Arre nahi nahi aisa mat kaho...tum sawal kar sakte ho...main khud karta rahta hu......aur ye Maalik maalik kahna band karo...mera naam Prateek hai...wahi bulaya karo...

Jwala - Nahi hum kabhi bhi apne maalik ko naam se nahi bula sakte...ye niyam hai...

Main - haa par wo to sirf maalik ke liye naa aur hum to dost hai naa to tum mujhe mere naam se hi bulaoge..aur ab iss topic ko yahi khatam karte hai...

Jwala - Ji...

Main - Accha haa ek baat sunno...Earth pe kuch gadbad chal rahi hai...tum bas apne logo ko nazar rakhne ko bolo waha pe....

Jwala - Ji theek hai...main sabko khabar kar dunga....

Main - hmm thik hai...chalo main chalta hu...

Fir kya tha main waha se nikal gaya par...par jaise hi wapas se ussi room mein pahucha...aur waha ki ghadi dekhi to chaunk gaya....maine lagbhag saare classes miss kar liye the....saare matlab saare...Bua ki class bhi ab lagbhag se khatam hone ko thi....saamne dekha to DB abhi bhi pada hua tha waise hi....

Main room se bahar dekhne laga./..Kavita madam ko....ki unse puchu abhi tak ye utha kyun nahi...

Abhi bahar dekh hi raha tha ki wo saamne se aate hue dikhi mujhe...

Main - Ye abhi tak aise hi hai...

Kavita - Nahi isko kab ka hosh aa gaya hai...ye tumhe dhundh raha tha tum mille nahi to yahi pe so gaya hai ye...isko kamjoori si lag rahi thi....

Ye kamjoori wali baat bolte hue Kavita madam thoda smile kar rahi thi...matlab ye pakda aya hai...natak bhi nahi hota isse to...

Itna bol ke wo chali gayi....wo kahi aur hi jaa rahi thi wo to main aa gaya tha yaha issliye bola unhone...

Main gaya uske passs aur uske upar paani daal diya...wo chatpatate hue utha...

Main - ab theek hai choot...

DB - Haa theek hai...waise kyun kiya tha iasa....class nahi karna tha to m,ujhe batata main isse bhi acche acche bahane banata hu...aur unme yaha band bhi nahi rahna padta hai...hum dono ghumne jaa sakte the....par tum to...

Main - Hmm theek hai agli baar tumse puch lunga...

Bua - Kya puch loge.....Tum kaha the...classes bunk kyun hue,,...

DB - Wo Prof. ye mere pass tha naa...

Bua - Elf Prince aap shant rahe...aur ab aaram kare...waise ab choot thik hai naa...agar haa to apne room mein jaaye aapke liye aur aapke liye bhi waha pe extra assignments rakhe hue hai...dono ko kal tak sab submit karna hai....

Bua ki baat sun ke to DB ke hosh hi udd gaye...wo bas mujhe dekhe jaa raha tha..wahi haal kuch mera bhi tha main Bua ko dekhe jaa raha tha....

Bua - Dekhna ho gaya...chalo ab niklo..jaldi se kaam pe lago...aur haa gaar complete nahi hua naa to kal isse 4 gunna jyada assignment diya jaayega

DB - Yes prof.

Itna bol wo bahut tezi se waha se bhaga...

Bua - Kaha choot lagi thi isko.... :sigh: Bacchu wo bahut bade log hai....aur hum medium class mein aate hai...upar se tumhare pass abhi jyada magical powers yaa baaki ki cheezen nahi hai...tumhe sab pe dhyaan dena hoga...samajh rahe ho naa...

Main - Haa Nua samajh gaya..mujhe padhayi pe dhyaan dena hoga...

Bua - Haa sachi samjhe....ab aaj jao aur wo sab complete karo...aur Ye Prof. Naman tumhe dhundh rahe the...kuch hua hai kya...

main - Nahi wo bas aise hi puch rahe honge..app chinta mat karo main mil lunga unse...

Main waha se nikla..aur pahuch gaya..room mein...Waha pe shuru ho gaya unn assngments ko complete karne mein....thodi der mein main waha se dinner ke liye nikla waha pe DB bhi milla wo baat nahi kar raha tha... :lol: bechara meri wajah se wo bhi fas gaya...
Waha se jaldi hu hum rooms mein gaye aur wapas se shuru kar diya kaam...

Maine late night tak sab complete kiya aur fir sone ke liye bed pe...waha leta to pahuch gaya ussi jagah unn Dragons ke pass....aaj dono yaha waha daud rahe the bas.....

Dhruv - To kaise ho janab.....haath to dard kar raha hoga naa...

Main - Haa thoda bahut...par ye subah tak theek ho jaayega...

Dhruv - haa pata hai...accha chalo pahle bulao dono ko....

Maine bhi setthi bajayi aur wo dono jo yaha waha daude jaa rahe the...wo seedha mere pass aaa gaye......

Main bhi jhuk ke iuske pass gaya aur unke saath kuch khela....

Dhruv - Naam bhi dena hai inko...

Main - Hmm to iss wale ka naam(ye dekhne mein thoda sa greenish type tha....sharir pe bahut jagah Golden colour ke patches bane hue the....) iska naam Cooper rakhte hai.....aur dusre wale ka..(wo dekhne mein thoda voilet type dikh raha tha...aur body pe...chamkile black colour ke patches the....) Albus....Thik hai naa ye naam....

Dhruv kuch bola hi nahi...wo bilkul chup raha....

Main - Dhruv...yahi ho naa,..

Maine abhi itna hi bola tha ki kisi ke cheelane ki aawaj aayi aur main waha se wapas..apne bed pe tha....Raat ka waqt tha...room mein bane hue wo drawings wo aaj bahut hi ajeeb tarah se chamak rahe the....unme se pata nahi bahut ajeeb si roshni aa rahi thi...par...main unke baare mein kuch sochu usse pahle hi wapas se aankh lag gayi meri..

Aaj ke liye itna hi aur agli update mein dekhte hai aakhir hua kya..aur ye aawaj kiski thi aur wo unn drawings ka chamakna wo kis wajah se tha.....saath mein DB ko pata chalega...Nikita ke jakhmi hone ka...

banne rahiye....

(note- Time sach mein kam mil raha hai abhi issi wajah se dusre story pe 2 updates miss hue hai...wo bhi continue hi honge...kal usme update aa jaayega)

bahad achchhi update hai bhai
 

Ristrcted

Now I am become Death, the destroyer of worlds
Staff member
Sr. Moderator
47,232
40,144
304
UPDATE - 25

Ab tak

Ek naye kabile ka pata chala...Polar bear kabila jo hamesha se dushman raha hai...Jwala ke kabile ka....abhi Jwala ussi se ladne ki planning kar raha tha par maine usko rok diya...Dhruv ke kahne pe...waha se aane ke baad maine dono dragons ko unke naam diye....Ek Albus aur dusra Cooper...ye naam hi to diya tha maine...aur uske baad pata nahi kya hua Dhruv ne mere sawalon ka jawab nahi diya...aur fir accanak se kisi ke chillane ki aawaj aayi aur main jaag gaya...jab jaaga to aaj saaf saaf dekh salkta tha ki wo drawings wo designs bahut jyada chamak rahi thi....par wo bed....wo bhi kam nahi tha.....main dekh hi to raha tha unko....ki neend wapas se aa gayi aur wo sab bhool ke main so gaya....

Ab aage

jab meri aankh khuli to late ho chuka tha...karib 5 bajne ko the...main jaldi se ready hua aur dhyaan lagane ke liye chala gaya....waha pe Bua bhi nahi aayi thi abhi...sayad busy ho kahi....main dhyaan mein baith gaya...aankhen band karte hi...wo dono Draggons dikhe mujhe.....jo aise hi khel rahe the...

Main - Albus....Coooper yaha aao dono....

Mere kahne pe wo dono mere pass aaye...aur mujhe gardan upar nicche kar ke dekhne lage....the bade pyaare ye dono....

Dhruv - Ye naam...yahoi naam kyun rakha tumne

Main - Kyun rakha ???? pata nahi...mere dimmag mein yahi naam aaya to maine rakh diya...par kya hua....

Dhruv - Nahi kuch nahi...wo to main bas aise hi...accha wo chodo ab inn dono ko train bhi karna hai saath mein tumhe bhi....to aaj hum talwar chalane ki wo kalla sikhenge jo sayad ab kisi ko pata nahi.......last time iss art ko Earth pe hi dekha gaya tha...baaki jagahon pe log iss artko bhulte jaa rahe the...par yaha the kuch log jo use karte the iss art ko....

Main - Hmm thik hai.....to mujhe kya karna hoga...

Dhruv - Jao talvar uthao...

Main bhi apne talwar kka socha aur wo mere haath mein aa gaya...

Dhruv - Hmm bahut accha....tumhe yaad hai ki yaha jo bhi chahiye uske baare mein socho aur wo aa jaayega...ab dhyaan se sunno....yaha pe koi aur aane wala hai jo tumhe sikhayega.....woart...yahi wo last the jinhone iss art ka use kiya tha..aur sayad ye sab jaante hai iske baare mein.....

Main - kon aa raha hai...aur yaha kaise haa sakta hai wo,....

Dhruv - kon aa raha hai ye main nahi bata paaunga aur tumhe bhi kahna chahunga uska naam usse naa hi pucho to sahi hoga....aur uske baare mein jaanne ki koshish karna bekar hai...wo bahut...chalo chodo jaane do...jaise hi wo aaye wo test lega tumhara...

Main - Ek minute training to raat ko hoti hai naa..fir...

Dhruv - Main batlaane aaya tha tumhe bas...aur haa abhi thunder element ko control karo...aur usko aur majboot banao...

Main - Hmm thik hai...waise kal kuch hua tha kya saayad...mujhe yaad nahui inn dono ke naam rakhne ke baad mein kab waha se aaya aur aaaj to late utha bhi...

Dhruv - Nahi kuch nahi hua tha bas ek baat meri kabhi mat bhulna....hamesha apmne hi room mein soya karo...wo bhi akele...jab tak 21 ke naa ho jaate tum....

Main - haa wahi to karta hu main...aur mere room mein mere alawa kon sone aayega....

Dhruv - jab tak tum chaho koi nahi aayega..par tumhare bulane pe waha koi bhi aa sakata hai....par kisi ko bulana mat.....

Main - Yaar bade ajeeb ho tum...

Maine itna hi to bola tha ki sab kuch wapas se change ho gaya aur meri aankhon ke saamne wahi sab aa gaya wo energy ball jisko maine fix kiya tha saath mein aur bhi bahut saare balls j aas paas uchal rahe the.....Main lag gaya unko ek karne mein...aaj 2 ball ko usme main attach kar paaya...aur fir utha to bilkul pasine se bhiga hua...main jaldi se room mein gaya khud ko fresh kiya aur nikal gaya...breakfast ke liye....

Room se nikla to wahi apna DB khada tha notice board ke pass....waha pe wo usko dekh raha tha...akela tha wo...

Main - Kya hua kya dekh rahe ho.....

DB - nahi bas aise hi soch raha tha...yaha aane ke baad bahut kuch badal gaya hai...kaha Strange world mein main..Rajkumar tha...sab mujhe respect dete the....par yaha to jab bhi koi mujhe Elf Prince kahta hai wo ek tanna sa lagta hai......

Main - Kya baatein kar raha hai kuch hua hai kya....

DB - Nahi main baad mein bataunga..chal breakfast karte hai fir class mein bhi jaana hai....

Main - Haa chalo...

Hum dono waha se breakfast ke liye chale gaye....

DB ne dhyaan diya ki kal bhi Nikita nahi aayi thi...sirf yaha hi nahi wo to dikhi hi nahi din bhar...aur aaj bhi nahi hai.....issi mein usko kuch gadbad lagi....

DB - Ooye sun wo Nikita dikh nahi rahi hai....

Main khana khaa raha tha muh mein niwala tha to bas haa mein gardan hilla di...

DB - Kal bhi nahi thi wo...kahi wo Pankaj..

Main - arre gayi hogi sayad ghar pe...(pata to tha mujhe par maine nahi bataya pata nahi kyun...)

Db - Nahi,,,,mujhe nahi lagta kahi wo...usko bhi Pankaj ne o nahi...yaad hai uss din unn dono ko bachane mein usne hi madad ki thi hamari...sayad ye sab wahi kar rahe ho....usko bhi gayab kar diuya ho...mmujhe lagta hai humme pata karna chahiye...

Main - Arre nahi tum jyada soch rahe ho usko wo sab kuch nahi kar sakte yaad hai naa wo tumhare sammohan wali shakti se bhi bach gayi thi...

DB - Haa yaad hai...par.....main jaa raha hu uske baare mein pata karne ko...tumhe chalna hai to bolo...

Main jaanta tha wo kaha hai kis haalat mein hai par uske baare mein agar isko bataya aur ye jaake Bua yaa Kavita Madam se puchega...to ghoom fir ke sawal mere upar aayegne...aur fir main kaise sab handle karunga ye main samajh nahi paa rah tha bas issi wajhah se main isko bata nahi raha tha par...iske saath jaane mein koi dikkat nahi hai,,,upar se bahut se sawal mere maan mein chal rahe the...jo Nikita hi bata sakti thi...jo uske hhi life se juddi hui thi..

Main - Hmm chalo main bhi aata hu....par jaldi karna hoga...kal bhi classes miss kiye hai

DB - Haa thik hai chalo...par pahle kaha chalna hai...

Main - (maan mein ) Binna kuch pata kiye hi ye baatein bol deta hai... :sigh: isko ye tak pata nahi uske baare mein jaane ke liye kaha jaan hoga....

Main - DB wo Kavita madam ke pass chalte hai naa wo bol rahi thi naa uss din ki Nikita unke pass aati rahti hai.....to sayad unko pata ho...

DB - Haa...sahi kaha...Madam sayad help kar de hamari...chalo jaldi se...

Hum dono nikal pade unke pass jaane ke liye...Par raaste mein hi humme Prof. Suraj mil gaye...

Prof. Suraj - Aap dono abhi yaha kyun ghoom rahe hai...class ke liye jaan hai naa....

DB - Hum wahi aa rahe hai wo bas...hamara ek friend yaha admit hai usko dekhne jaa rahe hai...

Prof. Suraj - Nikita ki baat kar rahe hai aap Elf Prince...abhi wo behosh hai par chinta ki baat nahi shaam tak sahi ho jaayegi tab mill lena abhi chaliye class mein.....warna aapko to pata hai....main kya karunga....1 din bunk kiya....to maine kuch nahi kia par ab agar aaj bhi bunk karoge to...mujhe kuch karna hoga...aur aap...kya naam tha aapka....

Main - Prateek....

Prof. Suraj - Haa to Patrick aap inse kuch dur hi rahe to accha hai.....ye kuch jyada hi active hai...

Main - Prof. Patrick nahi Prateek...aur hum dost hai to dur rahne ki baat nahi jamegi....par main dhyaan rakhunga...

Prof. Suraj meri baat sunne ke baad ek baar upar aasaman ki oor dekha aur fir waha se kuch gungunate hue chale gaye...kuch ajeeb tarah se chal rahe the wo jaise chot lagi ho unko...

Main - Ye ajeeb tha..(aasman ki oor dekhte hue)

DB - Tumne sunna Nikita admit hai ander...matlab samjhe...

Main - Sayad koi problem hogi usko...tabhi aur kis liye..

DB - Haa koi problem hogi par kya....Main jaa raha hu ander...mujhe nahi jaan class mein...

Main - Arre wo prof. to bol rahe the wo kuch karenge...

DB - Jo karna hai karne do usko main papa se khud baat kar lunga...ab chalo bhi...waha pata nahi Nikita ko kya hua hai...

Main - Haa chalo...

Aur hum dono ander chale gaye...waha pahle hi Kavita madam mil gayi..humme dekh ke muskurate hue...

Kavita - Aaj kiski baari hai...

Main - Baari..????

Kavita - Oo raae mera matlab tha aaj kisko kya hua hai...

DB - Nikita kyun admit hai yaha...kya hua hai usko...

Kavita madam jo abhi ekdum se cool lag rahi thi Nikita ka naam sunke wo kuch ajeeb tarah se humme dekhne lagi...

Kavita - nikita yaha hai aisa kisne kah diya...

DB - Prof. Suraj ne abhi kaha unhine.....ab aap bataiye usko kya hua hai...wo theek hai naa hum usse mil sakte hai naa...

Kavita - ruko ruko Elf prince thoda shant ho jaao...aur meri baat sunno...

DB - Ji oliye...

Kavita - Hmm dekho usko kuch problem ho gayi thi isliye yaha aayi wo...aur ab wo theek hai bas behoshi ki dawa di hai usko taaki aaram kar sakke aur koi baat nahi hai...aur usse milna hai to wo to shaam ko hi hoga...aur kal tak wo uyaha se nikal jaayegi...apne classes mein dhyaan degi...

Main - Prof. Suraj usse milne aaye the kya...

Meri baat sunke...Kavita madam bhi kuch sochne lagi....

Kavita - Tum dono jao shamam mein main khud bulla lungi....par ek baat dhyaaan rahje iss baare mein kisi ko kuch pata naa chale...

DB - par..kyun..

Main - Ji theek hai hum jaate haii...

Aur maine DB ko padka aur usko waha se bahar leke aa gaya....

DB - Ye sab ussi Pankaj ne kiya hai...hamari wajah se hua hia Nikita ka ye haal....naa wo madad karti hamari aur naa ye sab,,,

Main - Aaram se DB abhi class mein chalte hai...Kavita madam dekh legi ye sab....

Hum dono baatein hi kar rahe the ki Bua ko dekha main waha jaate hue.....wo kuch pareshan lag rahi thi....

Main - Dhruv body sambhalo meri.....aur sheedha class mein jao iske saath sayad kuch gadbad hai main dekh ke aata hu...

Dhruv - Hmm thik hai....agar kuch ho to bata dena....

Main - Theek hai...

Itna bolne ke baad mein apne body se nikal gaya aur Bua ke picche chala gaya....jab ander pahucha to...Kavita madam bhi waha pe nahi thi jaha wo isse pahle khadi thi....Wahi bua ussi deewar ke pass gayi jaha se kal main Nikita tak pahucha tha...

Main bhi unke saath waha se chala gaya...Nikita wale room mein pahucha to Kavita madam usko check kar rahi thi....

Bua - Suraj ko kaise pata chala Nikita ke yaha hone ka....

Kavita - Poonam mujhe laga tunne bataya hoga...

Bua - Nahi main kyun bataungi,...humne tay kiya tha naa ki kisi ko nahi batayenge...to fir usko pata kaise chala...aur tujhe kaise pata chala ki usko pata hai...

Kavita Madam ne Bua ko sab kuch bataya...

Bua - Iss Suraj ko pata kaise chala...accha isko check kiya sab sahi hai naa...

Kavita - Haa sab sahi hai...

Kavita madam ne aisa kah to diya par mujhe nahi lag raha tha sab sahi hai...aur issi liye main Nikita ke body ke pass gaya aur usko dekhne laga....jaise hi maine uske sar ko touch kiya....main kahi aur pahuch gaya...ye koi killa tha bahiyt bada killa....aur abhi main uss kille ke gate pe khada tha...bahut hi bada gate tha ye...

Main - Dhruv ye kya hai...ye kon si jagah hai...

Dhruv - Ye kya hua...kon iske saath aisa karega....

Main - Hua kya hai aur ye jagah kya hai..batao mujhe sab...

Dhruv - Nikita ki aatma ko uske body ke ander hi issi kille mein band kar diya hai kisi ne...par ye kyun karega koi....

Main - Kya matlab...main kuch samjha nahi....

Dhruv - Coma ke baare mein sunn hai ,,,naa ye kuch kuch ussi tarah ka hai...kisi ne Nikita ko Coma mein daal diya hai...par kyun karega koi aisa....ab aisa karne ke baad agar koi normal tarike se Nikita ko check kare to wo yahi kahega wo theek hai par actual mein wo theek nahi hogi...

Main - to kaise theek karna hoga Nikita ko...

Dhruv - Issi kille mein jaake uske aatma ko dhundna hoga...par ye aasan nahi hone wala hai...yaha pe bahut se jaal honge...jinko naakam karna hoga...

Main - Hmm aur batao kuch...

Dhruv - Samajh nahi rahe tum yaha pe bahut se jaal honge...aise jaal jo tumhe bhi issi jagah pe kaid kar sakte hai...

Main - Theek hai...accha to mujhe agar Nikita ko bachana hai to usko dhunhdna hai bas yahi naa...main taiyaar hu...

Dhruv - Arre sun to lo...aisa nahi hota....ab sunno dhyaan se...Nikita yaha pe kaid hai...ye usko khud pata nahi hoga...uske hisab se yaha pe sab sahi hai..aur wo yahi rahna chahegi...ab ye tumpe hoga ki kaise usko manate ho ki ye sab nakli hai aur usko yaha se bahar le jaate ho...

Main - Par main ye kaise karunga...

Dhruv - Wahi to kah raha hu...ye sab karne ke liye pahle to Nikita ke baare mein sab janna hoga naa...jo pata nahi hai tumhe..

Main - To kaha se pata karna hai mujhe...

Dhruv - Ab ye kaha se bataun mein...ye to Nikita ko hi pata hoga...

Main - Arre confuse naa karo...

Dhruv - theek hai to fir sunno ander jao...Nikita ko dhundo..aur usse pata karo ki uski wo khass cheez kaha hai...

Main - Ab ye kya hai kon si khass cheez ke baare mein baat kar rahe ho ab...

Dhruv - Khass cheez ka matlab wo cheez jisme Nikita ki saari yaadien hai...

Main - Par usne to sab badal diya tha naa aur koi memory lock ye sab kiya tha naa...

Dhruv - Haa kiya tha issi liye to us khass chiz ke baare mein bata raha hu...uske ander wo saari memoroes ogi uski....aur jo memory lock ka hai wo tumhe rokenge waha tak jaane mein...wo locks apna roop badal ke aa sakte hai kisis bhi roop mein...par tumhe bas uss khass cheez tak pahuchna hai aur fir usse Nikita ke baare mein wo sab jaana hai jo wo batana chahe yaa naa chahe...fir unhi yaadon ke bal pe usko yakkin dilao ki wo yaha fassi hui hai...jaise hi usko yaakin hoga wo khud bahar nikal jaayegi..

Main - Matlab mujhe ek khaas cheez ka pata lagana hai Nikita se phir uss cheez se uski memory nikalni hai aur fir Nikita ko yaha se nikalna hai...

Dhruv - Haa wahi karna hai...ab sunno is gate se uss taraf jaane ke baad mera tumse sayad hi connection ho....par main try karta rahunga....abhi ke liye tum Jwala ko yaha bula lo...wo bhi tumhare saath jaayega...wo raksha karega tumhara...

Main - Main khud dekh lunga sab kuch...

Dhruv - Haa dekh maine...chup chap se Jwala ko bulao....wo saath hoga tumhare...Albus aur Cooper ko bhi main ready rakhta hu/...agar kuch jarrat pade to bulla lena unko bhi...

Main - WO to bacche hai...

Dhruv - Bacche hai par agar abhi bhi unka use sahi se kiya to iss jagah se ek second mein nikal loge tum log..samjh...aur haa time ki chinta mat karna....waha 100 saal bhi gujar loge tab bhi yaha ussi samay mein rahioge jab yaha se ander gaye the...

Main - Kya...

Dhruv - Haa chalo ab Bulao jwala ko...

Main - Jwala...

Mera bolna tha ki waha pe wo ek jagah aag lag gayi..aur wo aag gol ghere mein badal gayi..aur wahi gol ghere se nikla Jwala...par isne kawach pechen rakha tha sar pe mukut tha iske....

Main - Ye sab kya hai Jwala...

Jwala - Wo main try kar raha tha inn sab ko..aur aapne bula liya...bataiye kya baatt hai...

Maine Jwala ko sab samjhaya aur usne wo darwaja band kar diya,.....aur khud ko 10 chote chote cheel mein badal diya....

Main - Ye kya hai..

Jwala - Isse kaam aasan hoga....main har taragf nazar rakh lunga,...ab chaliye aapke dost ko bachate hai...

Main - Haa chalo...aur ander jaane se pahle maine apna wahi eagle wala shield liya aur saath mein apni talwar....Tunder element milne ke baad se class mein gaya hi nahi tha ki main le pata wo nayi shield.....to abhi issi se kaam chalani thi....Dhruv ne bhi kuch nahi bola..

Maine gate pe ek laat maari aur gate khool gaya aur main aur Jwala....joki abhi 10 cheel mein badal gaya tha wo chal diye ander.....

Ek cheel mere pass tha wahi baaki ke saare..uss kille ke charo oor udhne lage....aur waha ke baare mein pata karne lage...

Main ander jaa raha tha par pata nahi kyun dimmag mein uss Prof. Suraj ke baare mein khayal aa rahe the....

Main - Dhruv Prof. pe nazar rakho...

Par hamara connection tut chuka tha to sayad usko meri baat sunayi nahi di...

Main - Jwala..maine kaha tha tumse Earth pe nazar rakhne ko kuch pata chala kya...kuch bhi ajeeb ...

Jwala - Prateek abhi to jyada kuch pata nahi chal paya hai....maar kaat ladayi jhagde ye sab to inn insano mein laga hi rahta hai bas yahi sab dikh raha tha aur koi khass baat nahi...

Main - Kuch bhi ajeeb dikhe to tutarnt khabar karna mujhe...accha ek kaam kar sakte ho kya mera....

Jwala - Haa baytao..

Main - Prof. Suraj pe nazar rakhne ke liye kisi ko bhejo...koi aisa jo expert ho inn cheezon mein...

Jwala - Expert ho...hmm ho jaayega..par

Main - Kya par...

Jwala - WO maan to jaayega..par ..aapko khud hi usse baat karni chahiye....jab tak pita ji the...tab tak to wo hamari har ek baat manta tha....par unke jaane ke baad se ye badal gaya hai...

Main - Kiski baat kar rahe ho...

Jwala - Main Old owl ki bat kar raha hu...usne kasam khaayi thi ki wo hamare kabile ka wafadar hoga...aur uske badle hum uske logo ki raksha karenge...par kuch karano ki ajah se hamare bich kuch confusions aa gayi hai...Pita ji the to wo ye sab handle kar rahe the..par mere Kabile ke ardar bane ke baad se wo ek baar bhi nahi aaya hai...

Main - Hmm thik hai main baat karunga usse...par abhi ke liye bas usko khabar pahuchao ki wo Prof. Suraj pe nazar rakhe,....

Jwala - Hmm theek hai main dekhta hu...

Main - Aur apni powers badao yaar..kya ek buddha ullu bhi nahi sambhal raha hai tumse...

Jwala - Haa main koshish kar raha hu...

Hum dono aise hi baatein karet hue uss kille mein enter hue...

Aaj ke liye itna hi ab aage dekhte hai kille mein kya hota hai...sath mein Nikita ke past ke baare mein bhi jaanege..

Banne rahiye




 

Ristrcted

Now I am become Death, the destroyer of worlds
Staff member
Sr. Moderator
47,232
40,144
304
Top