• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Immortals

Ristrcted

Now I am become Death, the destroyer of worlds
Staff member
Sr. Moderator
47,141
40,082
304
Last edited:

ANUJ KUMAR

Well-Known Member
2,669
13,384
158
UPDATE -73

Pujari ji ne jaise hi pankh ko taalab mein daala....uske turant baad hi unhone wo dekha jo Prateek ke ghar mein Old Owl ka banda tha usne dekha tha....Wo banda to maara gaya par uski aankhen abhi bhi khuli hui thi......jiske jariye Pujari ji waha jo bhi ho raha tha sab dekh sakte the......

Prateek abhi Old Owl aur Polar Bear king se milne gaya hi tha ki Old Owl ko kuch ajeeb sa laga.....aur ye sirf usko hi nahi balki waha maujood uske har ek bande ko laga tha.....aur saath Hi Jwala ke logo ko bhi....

Khatra sar pe tha Prateek ke ghar walo ke.....Jwala ke kabile ne wada kiya tha.....wo hamesha raksha karne aayenge unki.......to unko kya khatra hai ye to nahi pata chala par phir bhi pata chal gaya tha unko ki khatra hai.....

Prateek waha pe baitha hua dono se baat hi kar raha tha ki Old Owl apne jagah se utha.....aur usne Portal kholi aur waha se nikal gaya.....

Prateek samajh nahi paaya ye kya hua.....par sirf Old Owl hi nahi gaya tha.....waha pe Jwala ke jitne bhi log the....wo aur saath hi Old Owl ke log bhi.....sab nikal gaye....waha par abhi bacche hue the to bas Polar Bear king aur uske log saath mein Prateek aur uske sath aaye log.....

Jab ye hua To Prateek turant bahar gaya dekhne ko.....waha bhi aisa hi chal raha tha sab bas portals khole waha se jaa rahe the

Maine dekha Mahel ke balcony ke pass Bua bhi khadi ye sab dekh rahi thi.....

Main - Dhruv ye sab kya ho raha hai.....

Dhruv - Yaha se chalna hoga....kuch hua hai....jisse ye sab pareshan hai.....Jwala kaha hai usko bolo humme bhi le chale....

Main - Jwala kaha jaa rahe hai sab....

Koi jawab nahi aaya....

Polar bear king - kuch hua hai sayad....aise nahi jaate hai saare log.....

Main - tum jaante ho ye log kaha gaye hai....

Polar Bear king - sayad waha leke jaa sakta hu main.....wo dekho...waha pe kuch pankh hai.....

Usne Old Owl jaha pe tha uss oor ishara kiya....Maine wo pankh liye aur wo usko de diya.....

Polar Bear king ne wo pankh liya....aur usko apne sar pe rakha....aur kuch bolte hue apna sar yaha waha hilane laga.....uski aankhen khuli to ekdum se blue hui hui thhi.....usne saamne ki oor dekha to uske aankhon se ek roshani nikli....jiske baad saamne ek portal khula hua tha.....

Polar Bear king - chalo....main bhi chalta hu.....

Hum dono uss Portal se ander gaye.....ander ka nazara dekhne layak tha.....Chacha - Chachi aur Dada Dadi charo hall mein the....charo ke charo hathiyaar liye hue waha pe khade the.....wahi pure ghar ko....Jwala ke logo ne ghera hua tha......hamare yaha se khidkiyon se bas unke pankhon mein lagi hui aag ki roshani aa rahi thi......yun to Raat ka waqt tha ye par fir bhi....bahut roshani thi......wahi jab upar ki oor dekha....to waha ka haal kuch aur hi tha......waha pe Old Owl ke log baithe hue the......bahut saare log.....

" Ek aur shikar.....arre ye to wahi hai...."

Ye aawaj.....ye ussi ki aawaj thi jisse milke aaya tha main.....wahi Jeev jo Satori logo ke pass rahta tha....jo insano ko maarta tha....jisne Albus pe humla kiya tha.....

Chachi - Prateek jaao yaha se.....yaha pe khatra hai....

Main jaanta tha iss jeev ko kaise hatana hai yaha se.....bas itna abhi ke liye kaafi tha......

main - Chachi ajeeb baat hai bolo.....sab ajeeb baat hai bolo....

Chachi - Beta jaa yaha se.....

Dadi - Prateek niklo beta......ye shaitaan hai....ye tumhe bhi paka.....

Main - Ajeeb baat hai bolo wo bhag jaayega.....

Koi nahi sunn raha tha.....to Main hi bas bolta gaya ajeeb baat hai ajeeb baat hai.....aur mere baad.....Jwala ke saare log bolne lage aisa......

Wo jeev wo to jaise pagal hi chillane laga waha pe......isko dekh ke Dada Dadi Chacha Chachi bhi bolne lage wahi.....

Main jo abhi darwaje ke pass khada tha......mere pass se ek bahut tez hawa ka jhonka gaya aur wo jeev waha se chala gaya.....pata nahi kaha gaya tha wo.....

Main - Jwala sabhi ko wapas kamre mein leke aao...isse pahle ye sab upar jaye wo upar hone chahiye.....Old Owl apne logo ko nikalo yaha se....Polar bear king tum bhi madad karo inki....

Pujari ji jo ki Strange world mein baithe dekh rahe the ki Ullu ki aakhon mein kya chal raha hai...unhone dekha ki ussi ke jaise aur bahut saare ullu waha aa gaye.....aur usko dekhne lage......sab ussi ko dekh rahe the.....aur ab kuch logo ne usko uthaya aur apne saath kahi leke chale gaye......iske baad uski aankhen band ho gayi thi....

Pujari ji iss baare mein soch rahe the.....ki wo ullu jaana pahchana lag raha tha....aisa kuch unhone dekha hai aur sath hi uske baare mein padha bhi hai....par unko yaad nahi aa raha tha.....itne mein waha pe ladki aa jaati hai...

Ladki - to kya milla.....kuch milla yaa nahi....waise mazza bada aaya.....wo yuvraj...usko to jamma diya tha maine....

Pujari - Tumhari wajah se waha pe bahut se logo ko pareshani hone wali hai.....jitne bhi water element wale hai sabse puch taach hogi unko pareshan karenge....tumko iss baat ka bhi dhyaan rakhna tha....

Ladki - Par....

pujari - Dekho beta....ye issiliye bola gaya tha.....taaki main dekh sakku tum bas apne task pe dhyaan de rahi ho yaa uske baad jo hota hai uspe bhi.....aur tumne sirf apne task pe dhyaan diya hai....ab socho Main tumko Earth pe bhej du....aur waha jaake tum bas apne parents ko milane mein lag jaao....puri shiddat se....ye bhi bhool jaao ki waha kya hai kya nahi hai....agar aisa hua to dikaat ho jaayegi.....iss baat pe dhyaan dena....

Ladki - hmmm theek hai....samajh gayi main....

Pujari ji - Aaj kuch naya nahi sikhaya jaayega....tum purane chijjon ki practice karo main ek kaam karke aata hu.....wo waha se chale gaye....

Earth pe......

Ghar pe sab aa chukke the....

Jwala aur uske jitne bhi log the.....wo sab ke sab....pure ilake mein ghum rahe the......saath hi Old Owl ke log bhi....

Ghar mein

Chachi - Tumko kaise pata tha uss chizz ko kaise bhagaya jaa sakta hai....

Main - Wo chachi....school mein naa library mein aisa kuch padha tha.....aur fir kuch kahi sunayi baatein....bas unse pata chala ki ye shaitaan bas ek hi hai Earth pe....aur isko aisa kahne se wo bhag jaata hai....

Bua - Bhabhi kuch hua to nahi....sab theek hai naa....

Chachi - Haa sab theek hai.....pahle se hi lag raha tha koi to aa jaa raha hai ghar mein....par laga tum sab upar kuch kar rahe hoge....par phir acchanak se aisa laga jaise....jaise kuch aur hi chal raha hai......Maine ye baat tumhare bhaiya se boli....unhone pahle to kaha mera vaham hai....par mere kahne pe wo saath aa gaye....aur phir humne Maa Papa ko bhi kaha.....Maa ko bhi waisa hi lag raha tha.....Hum Upar tum sab ke pass aate usse pahle hi aawaj aayi uss shaitaan ki.....hum sab taiyar ho gaye....aur uske baad wo tarah tarah ke jeev.....wo Bhalu iske saath kyun aaya tha....

Main - Wo....wo....wo bhalu nahi tha Chachi wo...wo kuch aur tha....

Chachi - kya tha wo....

K.Bua - arre Bhabhi wo bhalu hi tha.....School ke pass mein ek jungle hai naa wahi pe rahta hai wo....humne usko khana diya hai issi wajah se kabhi kabhi saath aa jaata hai....ye ussi ko khana dene gaya tha.....aur aate waqt wo bhi saath aa gaya hoga.....ab chala gaya naa....

Dadi - haa haa ab Maa baap ke gunn to aane hi hai,.,,unn dono ko bhi jungli jaanwaron se bada lagaw tha....

Chachi - Maa mujhe lagta hai ghar ko thoda aur surakshit karna hoga....aap kya kahte ho...

Dadi - baat sahi hai tumhari Nidhi.....hum kal subah se shuru karenge ye sab....kal subah inn sab ko kahi bhej dete hai...

Dada ji - Mujhe aur Satya ko to kuch kaam hai tum jaanti hi ho.....baaki inn sab ka innse puch lena...

Bua - Bhabhi iss baar Main bhi rahu kya....

Dadi - Niyam pata hai tumko....tum abhi uske liye taiyaar nahi ho.....tum nahi rukk rahi yaha....

Chacha - Kal waise bhi Rupal kuch designs final karne wali hai....to....tum waha chali jaana....aur baaki sab bhi...

Chachi - Aur Pankaj ko bhi bulla lena..

Rupal didi - Theek hai....

Hum sab sone chale gaye.....

Thodi der mein upar Bua aur K.Bua bhi aa gaye.....

K.Bua - ye sab kya tha.....

Maine unko bataya ki wo wahi jeev tha jiski wajah se Hum sab behosh ho gaye the.....aur aaj sayad kisi tarah wo yaha aa gaya tha......

Main - Aapne Bijli ko check kar liya tha....

K.Bua - hmm sab normal hi tha.....

Main - Mujhe kuch sahi nahi lag raha Main....Main ek baar waha se hoke aata hu....aap sab yahi rahna....aur Old Owl aur Jwala ke log yahi hai to chinta karne ki jarurat nahi hai....wo jeev aaj nahi bachne wala....

Nikita - Agar wo kisi ke ghar mein chala gaya ho to.....

Main - Jwala aur Old Owl ke log dekh lenge......Jwala Portal kholo......

Jwala ne Portal khola.....wo sab picche se kuch bol rahe the par maine suna nahi aur ander chala aaya......waha pe portal bhi band ho gaya.....

Main jab kabile aaya to Old Owl aur uske kuch saathi wahi the....Polar bears waha pe the Jwala bhi wahi pe tha....apne kuch logo ke saath......wo sab gol ghera bana ke khade hue the.....

Main unn sab ke pass pahucha to dekha ki Old Owl ka wahi sathi jo mere yaha tha wo pada hua tha waha jameen pe.....

Main - ye sab kaise ho gaya.....

Jwala - Ye sab ussi ka kiya ghara hai.....usne isko maar diya.....

Main - ye to bahut bura hua.....

Old Owl - Bura ab hone wala hai.....wo jaha bhi hoga....jaise bhi hoga Hum dhundh ke usko yaha leke aayenge...aur shikar kaise karte hai ye usko dikhayenge.....aaj raat.....khel hoga yaha pe......tum bhi aana.....

Main - Old Owl dost....main samajh sakta hu.....aur tumhare saath bhi hu....par kya usss jeev ko yaha laana sahi hoga....matlab wo yaha pe bhi logo ko nukshan pahucha sakta hai....

Old Owl - Isko pata nahi tha iss wajah se ye......par humko sab pata hoga.....hum jaante hai ki usko kaise maarna hai kya karna hai sab kuch....aur yaha pe kisi ko kuch nahi hoga iss baat ki jimmedari meri hogi....

Jwala - Theek hai.....Old Owl ab tumne mann bana liya hai to waisa hi hoga....

Polar bear King - Humara jyada kuch lena dena to nahi hai.....par hum madad karenge.....aur saabit karenge ki hum bhi acche dost ban sakte hai....

Main - Par Tum sab samajh nahi rahe waha pe logo ka kya...

Jwala - Unki chinta mat karo......mere bahut se log waha pe hai.....unhone waha pe karib har ek ghar dekh rahe honge......jaha bhi wo jeev milega usko wahi se yaha leke aa jaayenge.....

Old Owl - Mere log bhi issi kaam mein lage hai.....

Polar bear king - To mere log yana ke kaam mein lagte hai......Bears......iss jagah ko acche se surakchit karo.....sabhi gharo ke darwaje khidkiyan sab kuch.....wo jeev jab yaha aaye to kisi ghar mein naa jaa paaye...

Main - Old Owl iska antim sanskar to kar dete.....phir ye sab karte rahte....

Old Owl - Wo saamne dekh rahe ho.....wo iska bhai hai......usne mujhse kaha hai jab tak iske kaatil ko naa maara jaaye wo isko chunne bhi nahi wala.....

Ab main kya hi bolta.....Maine Portal khulwaya aur waha se Earth ko aa gaya par usse pahle Albus ko uss jagah pe chod diya.....ye kahke ki agar kuch help chahiye hogi inko to wo kar de......

Earth pe aane ke saath hi Main bhi apne ghar ke saamne khada ho gaya.....yaha waha.....jaha bhi dekha bas Old OWl aur Jwala ke log hi dikh rahe the.....Wo jeev kisi bhi ghar mein nahi jaaane wala tha iss baat ka mujhe yakkin ho gay jab ye yaad aaya ki raat ke iss waqt sabhi gharon ki apni protection chalu rahti hai....wo jeev hamare yaha aaya tha portal se.....agar koi aur rasta dhundha hota to wo kisi bhi tarah nahi aa sakta tha.....

Main - Cooper jaao bahar jaao aur madad karo inn sab ki.....uss jeev ko dhundhne mein.....jaise hi mille.....dhar dabocho usko....

Dhruv - Mujhe nahi lagta wo yaha kahi aas pass hoga.....aise jeev...aise jeev aksar unn jagahon pe chupte hai jaha pe bahut ped paudhe ho.....

Main - Gharon mein jaa nahi sakta wo.....to bacchi bas wo ek jagah......wo jagah jaha pe....humare pariwar ke baare mein sab kuch hota hai.....

Dhruv - sahi samjhe.....

Main ussi oor chal pada.....sayad Cooper ko saath mein rakhna chahiye tha mujhe.....

Dhruv ki baat bilkul sahi thi....ussi jagah pe wo chippa hua tha.....pedon ki wajah se abhi tak dikhayi nahi diya tha kisi ko waha pe wo....par Cooper ko dikh gaya....aur Cooper ko jaisa kaha gaya tha usne theek wahi karne ki koshish kari......uss jeev ko pakadne ki...par iss wajah se waha ke pedon ko nuksan ho raha tha.....

Main - Cooper rukko.....

Mere kahte hi Cooper rukk gaya....aur uske baad main kuch karta usse pahle waha pe Jwala aur Old Owl aa gaye....

Main - ander pedon ko kuch naa ho....iss baat ka dhyaan rakhna hoga.....

Old Owl - kuch nahi hone wala......Jwala ye batao wo kiss jagah pe hai.....

Jwala ne apne sabhi bando ko dekhne ko bola....ek bhi blank jagah naa bacche iss tarah se......unko pata chal gaya.....

Jwala - sabhi.....portal kholenge....Old Owl apne logo ko bolo usko khadedne ke liye.....

Old Owl - sab wahi karo jo Jwala kah raha hai....

Pata bhi nahi chala aur uss jeev ko unn sab ne portal ke ander jaane pe majboor kar diya....

aur fir Jwala ne ek bada sa portal khola......sab usse hote hue ander chale gaye.....kuch ko chod ke......Mujhe bhi leke gaye wo sab.....

Ek ghante mein...iss Polar bear king ne yaha ka sab badal hi daala tha......ek ucchi jagah banayi gayi thi......jiske upar uss maare hue Old Owl ke sathi ko rakha gaya tha....uske theek saamne hum charo ke baithne ki jagah thi....aur pure maidaan ko to jaise stadium hi bana diya tha usne....aur jiske charo taraf ussi ke bande the......gol ghera banaye.....sab ke sab ek shield bana rahe the....wo jo jeev abhi portal se yaha aaya tha.....wo bich mein tha....

Pahle to humko bithaya gaya....Maine Albus ko apne passs bulla liya....

Dhruv - ye to alag hi prabandh hai inn sab ka.....

Main - Maine aaj tak aisa kuch nahi dekha hai.....

Old Owl khada hota hai apne jagah pe......

Old Owl - Saheedon ko hamesha yaad kiya jaata raha hai....aur rahega bhi.....hum naa to unki kurbaani bhulle hai aur naa kabhi bhulenge....aaj....unhi shaheedon ki shucchi mein hamara ek aur naujawan sipahi....kabil naujawan shipahi....apna naam darj kara gaya.....isne apni jaan di.....hamare.....hamare Maharaj aur unke pariwar ki raksha karte hue.....iss Naujawan ka kaatil aaj hamare bich mein hai.....gaur se dekhiye isko......pitth piche humla karne wala ye kaayar dekho kaise dubbak ke baitha hua hai....iss kaayar ko aaj hum aisi maut denge...ki ye.....aur iski nasal kabhi bhi bhavishya mein......humare aur hamare doston pe......nazar daalne se pahle 1000 baar soche....

Old Owl ne apni baat kahi aur baith gaya....uske baad Ussi ullu ka bhai jisne kaha tha jab tak uske bhai ka kaatil jinda hai wo apne bhai ki laash ko chuwega bhi nahi wo ander jaata hai.....uss jeev ke pass.....

Jeev pahle se hi.....darra hua tha.....wo iss waqt aise halat mein tha ki puccho hi mat.....manna wo mere ghar pe aa gaya tha ye soch ke ki wo waha pe nbhar pet khaa paayega shikar kar paayega...par iss waqt...iss waqt uski halat dekhne layak thi....

Old Owl ke iss bande ne uski oor apne pankhon se hamla karna shuru kiya.....

Theek issi waqt.....Demos pe kuch alag hi chal raha tha.....Yuvraj ki to himmat nahi hui batane ki ki uske pass se Lucifer ki chizz chori ho gayi par....aise mauko pe......kuch log hote hai jo jald se jald ye khabar pahuchana chahte hai.....

To ek Strange world ka banda ye khabar leke pahuch gaya ghumte ghumate Lucifer ke darbaar mein.....ab Lucifer abhi pura pareshan tha....ander uske bete ke jism se uski aatma ko alag kiya jaa raha tha ek bottle mein band karne ke liye.....wo dard se karrah raha tha....par Lucifer kuch bhi aur nahi kar sakta tha.....

Itne mein wo Strange world ka banda waha aa tapakta hai.....

Wo - Mahamahim ko mera samman.....Mahamahim Elf Kingdom ke yuvraj ke haaton se aapki cheez kisi ne chura li hai.....

Lucifer pahle se pareshan tha....wo samajh nahi paaya kaun si chizz.....dark power ho nahi sakti kyunki wo chizz hai nahi koi...ki koi bhi aayega aur leke nikal lega.....

Lucifer - Kaun si cheez....kiske baare mein baat kar rahe ho tum....

Wo - Mahamahim wo pankh.....wo pankh uske pass se kisi ne chori kar liya hai....

Lucifer - Pankh....kaun sa pankh....aur tum kya bakwass kiye jaa rahe ho.....

Lucifer ke gussa hone ke wajah se wo banda waha se maafi maang ke nikal liya.....ab confuse wo ho raha tha ki Pankh hi milla sirf aur inko pankh ke baare mein hi nahi paata hai to aakhir chal kya raha hai.....Wo banda wapas aata hai.....par uske iss kaand ke baare mein Yuvraj ko pata chal jaata hai....

Yuvraj ne usko gher liya.....

Yuvraj - Meri chugli karne gaya tha tu.....

Wo - m...mmmm...mmain kaha...aa..main to bas.....

Yuvraj - arre darro mat....ye batao kya kaha waha pe....

Wo - wo...waha bola koi pankh nahi hai....Lucifer ko pankh nahi chahiye the....

Yuvraj - Lucifer ko pankh nahi chahiye the....par waha pe to aur kuch milla hi nahi.....

Wo - Wahi to....uss guffa mein aur kuch bhi nahi tha....sayad agar hum waha pe wapas se dekhe to kuch mil jaaye...fir wo Lucifer ko denge to wo hum dono se khush ho jaayege....

Yuvraj - khush to honge par mujhse.....itni raat ho gayi hai aur tum jaag rahe ho.....chh...chh.chh.cchhu.....ye to bahut buri baat hai....chalo main sulla deta hu....

Itna bolne ke baad apni talwaar nikal ke sidha gardan hi kaat diya Yuvraj ne uska....

Yuvraj - chalo Demos ke kuch dost kaam to aaye......wo sipahi se agar naa kahta main to iske bare mein to pata nahi chalta.....par wo chizz wo pankh nahi hai to kya hai....aur pankh agar bekkar hai to chori kyun hui....

Back to Earth....

sabhi yaha [e ek hi jagah pe baithe hue the Mera wait kar rahe the....par Main to aaya nahi tha abhi tak....

Bua - Mujhe lagta hai humko jaana chahiye waha pe......

K.Bua - kaisee jaayenge....wo humko aane hi nahi dega....koshish kar lo.....

Bua - Jwala.....Old Owl Portal kholo.....

Kuch bhi nahi hua 3 baar 4 baar bolne pe bhi kuch nahi hua.....

Bua - iss Prateek ko main....aane do iss baar.....

K.Bua - Bas kisi musibat mein naa ho wo....

Nikita - Nahi Bua abhi tak to nahi hai.....

Bua - Kya matlab hai....tumko kaise pata nahi hai.....

Nikita - Hum dono judde hue hai...usko kuch hota hai to jyadatar mujhe pata chal hi jaata hai.....aur uski wajah se bahut baar main musibat mein bhi phasi hu....wo jo main behosh hui thi uske picche ussi ka haath tha....

K.Bua - tum dono ne koi ritual pura kiya hai kya.....Poonam aisa to tab hota hai jab koi bahut bada bonding ho do logo ke bich....aisa shadi mein bhi nahi hota....

Bua - Hmmm sayad ye Old OWl aur Jwala inn sab ke wajah se ho.....sabse pahle issi ko leke gaya tha naa wo...

Nikita batana chahti thi uss dark power ke baare mein par usne nahi bataya.....

Nikita - Nahi mujhe lagta hai jab main wo coma mein gayi thi aur usne bachaya tha tab se hai ye....

Bua - hmm ye bhi ho sak....ek minute to kya tum portal khulwa sakti ho.....

Nikita - Bua itni powers nahi hai mujhme...aur Old Owl yaa Jwala inko kabhi aisa karne ko bola nahi hai maine.....

Rupal - haa to abhi bolo....

Nikita - Jwala Portal kholo.....

Yaha pe abhi ladayi ho rahi thi.....Uss ullu ka bhai abhi uss jeev ko maare jaa raha tha.....darasal ye Polar bears jo gol ghera bana ke khade the waha pe wo koi suraksha kawach nahi bana rahe the....wo uss jeev ki urja ko khichte jaa rahe the.....jisse wo kamzor hota jaa raha tha....aur ye bahut hi bura tha....

Main ye sab dekh raha tha.....par Old Owl aur uske logo ko iss chizz ko hone se manna nahi kar paa raha tha....wo bhi to badla le rahe the....apne ek sathi ki maut ka....par ye koi tarika nahi tha mere hissab se....par agar iss jeev ne mere family mein se.....kisi ko kuch bhi kiya hota to sayad main bhi isko tadpa tadpa ke maar hi deta....to abhi main bas confused tha.....

Jwala mere bagal mein hi baitha tha ki aachanak se usne meri oor dekha.....aur fir portal khol diya....picche ki oor se.....aur uske ander se wo charo aa gaye yaha pe....

Maine dekha Bua, K.Bua,didi aur Nikita....charo khade hue the mere picche....

Main gaya utth ke apne jagah se unn sab ke pass.....

Main - aap sab kaise......

Bua - Bacchu ab dekho bas....humko pata chal gaya hai kaise aana hai tumhare pass.....ye sab kya chal raha hai tum raat ke waqt ye kar rahe ho yaha pe.....aur waha wo jeev khulle mein ghoom raha hai....Old Owl bhi yahi hai....to usko kaun dekh raha hai,....

Main - Wo Bua wo jeev yaha aa chukka hai rukko main dikhata hu aap sab ko....

Hum aage badhne lage aur Polar Bear king ne dekha humko....usne taali bajayi aur waha pe 4 aur baithne ki jagahein ban gayi.....aur hum sab waha pe baith gaye....

Wo sab uss jeev ki halat ko dekh rahe the....

Bua - itna bhi kya tadpana kisi ko.....aasan maut deke mukt karne kaho usko.....

Main - Bua isne hamare ghar mein kisi ka khoon kar diya hai....

Meri ye baat sunn ke unn sab ko jhatka laga.....

Main - wo dekho....uss taraf wo body dikh rahi hai....wo.....wo wahi ullu hai....jo hamare ghar mein tha.....isne usko maar diya....

Bua - kya.....

K.Bua - ek minute......inn sab mein kitna waqt hua hai.....aur ye baat pahle mujhe kyun nahi batayi gayi....kisne check kiya hai usko ki wo marra hua hai.....

Old Owl - hamare chikitsak ne dekha hai usko aur usne kaha ki wo marra hua hai.....

K.Bua apni jagah se uthi....aur uss body ke pass jaane lagi.....

Main - Jwala jaldi pahuchao inko...ye ghera lagana padega nahi to.....

Jwala ne portal khola aur K.bua uske ander chali gayi....saath mein Bua bhi....

Main samajh nahi paa raha tha ab marre hue ke saath kya karne wali hai ye.....

Wo dono hi waha gayi.....

Iss waqt jaise purre maidaan mein jitne bhi log the sabhi ka dhyaan bas aur bas K.Bua ke upar hi tha....K.Bua ne uss ullu ke nabs ko check kiya.....aur Bua ki oor dekha....

Bua - Kya hua....ye jinda hai kya...

K.Bua - nahi.....jinda nahi hai ye par.....tujhe yaad hai wo experiment....jisko uss chuhe pe kiya tha humne....

Bua - Pagal hai kya.....wo chuha tha....aur ye....ye ullu hai aur ispe experiment dimmag nahi hai kya.....

K.Bua - agar main sahi hui naa.....to isse inn sab ko bahut fayda hone wala hai....kabhi bhi nahi marenge ye sab.....

Bua - Par ye niyamon ke khilaf hoga.....tu bhi jaanti hai nature ke niyam ko.....

K.Bua - haa pata hai par ek try to banta hai naa.....

Main - Rupal didi ye kya baatein kar rahi hai dono....

Rupal didi - pata nahi....

waha K.Bua aur Bua lage hue the aapas mein....par Bua ne K.Bua ko manna hi liya.....uss ullu ke saath experiment naa karne ke liye......

Dono waha se apni jagahon pe aa gaye.....

K.Bua - Old Owl sorry ab kuch nahi ho sakta....

Old Owl - ji main jaanta hu.....ab kuch bhi nahi ho sakta.....rukk kyun gaye isko khatam karo.....

Bua - Old owl tum sab kab se iss shaitaan ke sath aisa kar rahe ho.....

Main - 45 minute...

Old Owl - Tumhe nahi lagta ab humko tumhare sathi ka antim sanskaar kar dena chahiye.....Kavita ne bataya ki body kharab hone lag gayi hai.....aksar to aisa nahi hota....par iss shaitaan ki wajah se uski body kharab hone lagi hai jaldi se.....

Bua ne jhoot bol diya taaki ye shaitaan bhi ab khatam ho jaaye.....usne bhi bahut sah liya tha.....

Bua ki baat pe gaur karte hue Old owl ne waisa hi karne ko kaha....Shaitan ko maar diya gaya aur fir usko Jwala aur uske logo ne jalla diya....

Uske baad Old Owl ke sathi ki antim sanskaar ki gayi......

Next update mein dekhte hai Archery society ke kuch logo ki rahasyamayi tarike se maut ho jaana aur saath hi ghar ki security aur bhadana aur wo hotels ka designs....jisme DB bhi aane wala hai....
Super nice update
 

Vipul

Well-Known Member
2,242
7,327
158
UPDATE -86

Main, Nikita aur Rupal didi.......tinno hi Jwala ke kabile mein pahuche hue the.....Bua bhi aana chahti thi.....par K.Bua ko DB ke pass jaana padda.....kyunki usko kuch bahut hi serious issue ho gaya tha......wahi Bua......Bua ko aaj special class de di gayi thi......unko gussa bahut aa raha tha par ek baar wo daant sunn chukki thi......iss wajah se humne hi unko manna kar diya aane se.....ab bacche hum tin to hum waha pe aa chukke the.....

Nikita - Maine kaha tha naa dekho....ye aur bhi pass aate jaa rahe hai......

J.Mom - sayad inko pata chal gaya hai inki Rani ab nahi rahi......ye ussi ke tallash mein hai......

Main - sayad........Rupal didi aap kar logi naa.......

Rupal didi - haa par iss baar tumme se koi bhi waha pe nahi aayega.....maine pichle baar kuch mehsoos kiya tha.....mujhe dekhna hai wo kya tha......

Main - Nahi ye nahi chalega.....hum aapke sath honge....aur jaise hi humko lagega.....hum waha pe unko rokne aaa jaayenge....

Rupal didi ne ek do baar samjhane ki koshish kari par Main nahi samjha......to unhone kaha ki jab tak wo khud aane naa kahe koi nahi jaayega unke pass......

Wo aage gayi....aur jaisa tay hua tha hum sab picche rahe,.....Jwala ke kabile ke pass.......

Didi aage gayi.....

(Rupal ke respect mein )

Pichli baar bhi jab inn sab ke pass aayi thi kuch to hua tha......juch ajeeb,.......par uss waqt kuch hota usse pahle wo dono waha pe aa gaye the......

Main aise hi khud se baatein karti aage jaa rahi thi....aur pahuch gayi uss jagah pe jaha tak wo sab aa chukke the......sayad kisi ne gaur nahi kiya tha par ye sab kisi circle ke tarah the.....bas inki radius badhti jaa rahi thi......aur main wapas se inke circumference pe pahuci hui thi......

Jaise hi waha pe pair rakhe......aaj bhi wahi chilam chilli........Mujhe yaad hai uss din bhi aisa hi hua tha kuch.....Main waha pe pahuchi thi......aur ye chillane lag gaye the......

Aaj bhi inke chillane ki aawaj se sarr fatta jaa raha tha mera......maine apne haath liye aur apne kaa........

"Ye Main kya kar rahi hu.......Nikita.....tum thek to ho......."

Nikita - Prateek ye...ye theek ho gayi......aapne to humko aaj maar hi dena tha.....

Main - kya baat.......Chotu.....tujhe kya hua.....ye chott......ye kaise......aur ye jagah......

Polar bear king - Jwala iss jagah ka ye hissa to bilkul mere kabile jaisa ho chala hai.....ab isko bhi maramat lagegi.....

Jwala - Pahle khud ki maramat kara lu.....uske baad iss jagah ko dekh lenge.....

Jwala ne Polar bear king ko kuch to ishara aur kiya tha.....jiske baad waha pe dono ke hi aur log aa pahuche the...aur wo Mere aas pass aa gaye the.....jaise mujhe pakadne wale ho......Main Chotu ko utha rahi thi jo jamin pe leta hua lambi lambi saanse le raha tha......

Prateek - aap theek ho naa......

Main - haa mujhe kya hoga......par yaha pe ye sab.....aur main yaha kaise aa......

Nikita - Abhi batane layak kuch nahi hua hai Di.....aap chalo......Jwala......K.Bua ko yaha leke aao......aur hum tinno ko vaidyon ke pass leke chalo.....

Jwala ne theek waisa hi kiya jaisa Nikita ne usse kaha tha.......

hum tinno pahuch gaye waha pe.....aur thodi der mein waha pe K.Bua bhi aa gayi......aatein hi apne kaam mein lag gayi wo......par pata nahi kyun.....chottein Prateek aur Nikita ko lagi thi wo check mujhe kar rahi thi.....

Main - aap mujhe kya dekh rahe ho....dekho inn dono ko chott lagi hai.....pata nahi kya hua waha pe......

Meri ye aat sunke unhone sabki taraf dekha.....aur phir se mujhe check karne lagi......wahi dusre vaidya Nikita aur Prateek ko dekh rahe the......aur utne mein waha pe Bua bhi aa gayi.....Old Olw ko bula ke....

Unko bhi pata chal gaya tha aakhir yaha pe hua kya tha......

Back to Hero

Unhone hum tinno ko hi pahle acche se dekha.....thoda daanta uske baad humko leke wapas Earth pe aa gayi......Main aur Nikita to School ke medical department mein hi jaane wale the.....par Bua ne Rupal didi ko bhi wahi rahne ko bola......

Rupal didi ko thodi si thakawat to ho rahi thi.....to unhone bhi jyada na nukur nahi kiya.....K.bua waha pe Neend ki dawayi leke aayi aur usko Didi ko de diya......

Bua jaise wait kar rahi thi kab ye ho aur wo so jaaye......jaise hi wo soyi

Bua - ab batai tum dono ye jo maine sunna wo sach hai....kya Rupal ne.....

Main - Nahi ye wo nahi thi Bua.....darasal jab Didi unn sab ke pass gayi.....

Rupal bats ke pass pahuchi hi thi aur unn sab ne chillana shuru kar diya tha......Rupal ne apne kaan band kiye....par uske baad......uske baad pata nahi kya hua.....uski aakhen khud se badal gayi......ekdum se kaali aur badi......usne apna haath apne kaano se hataya aur aaj bhi ussi tarah se taali bajayi......aur wo saare ke saare bats ekdum se shant ho gaye yaa kahe tham se gaye.....jo jaise tha waise hi raha.....Hum sab hi iss cheez ko dekh rahe the.....Polar bear king ne kaha ki ye ussi dinn ke jaisa ho raha hai......Mujhe laga ab mujhe waha jaana chahiye aur unko wapas leke aana chahiye......par tabhi unhone apne haath ke ishare se rukne ko kaha......

Main - Main jaa raha hu unke pass.....mujhe wo theek nahi lag.......

Nikita - dekho wo rukne kah rahi hai naa rukko thoda......

Main - unki aankhen to dekho.....

Nikita - ye sayad unn sab ko control karne ke liye aisa kar rahi hogi tumne dekha naa kaise taali bajane se hi sab shant ho gaye.....

Mujhe bhi Nikita ki baat thodi sahi lagi.....Main rukk gaya par agle hi pal jiss haath se wo humko rukne kah rahi thi ussi haath ko jhatak ke unhone hamari taraf ishara kar diya......

Polar bear king - ye iss taraf ishara kyun kar rahi hai......

Uska sawal khatam hua aur humko jawab mil gaya........wo hamare taraf unn bats ko bhej rahi thi........

Jwala - ye sab to hamari taraf aa rahe hai......hume taiyaar rahna chahiye.....

Nikita - Arre unhone unn sab ko control kar liya hai ye dikhane ko wo yaha pe aa rahi hai unke saath......

Kaash Nikita ki baat sahi hoti......par wo sab to uss jagah pe hamla karne aa rahe the.......aur pahla waar mujhpe hi hua tha......unn bats mein se ek ne mujhpe hamla karne ki koshish ki par maine apne haath se usko khud se dur kar diya......lekin uske baad aur aane lag gaye.........

Main - Ye sab humpe hamla kar rahe hai.....Didi ka khud pe control nahi hai......inn sab ko sambhalna hoga....par Didi ko kuch nahi hona chahiye.....

Wo sab bhi lag gaye apne kaam mein.....par humko Jwala ke kabile ko bhi bacchana tha.....ek baar wo bats waha chale jaate to bahut dikkat hone wali thi......

Maine Albus aur Cooper ko bas issiliye bahar bulaya ki wo unn sab ko ander naa jaane de....Jwala aur Polar Bear king ne bhi apne logo ko issi kaam mein lagaya hua tha......

Nikita bas Didi ke pass jaane ki koshish kar rahi thi......par wo bats......wo aisa hone hi nahi de rahe the......unhone Didi ke aas pass jaise koi bada sa suraksha kawach bana rakha tha jaise hi koi uske pass jaane ki koshish karta wo sab uspe hamla kar dete.......

Main apni talwaar haath mein liye bas chalaye jaa raha tha......unn bats ko maare jaa raha tha.....par ye khatam nahi ho rahe the.....ek ko maaro 10 aa jaate unki jagah lene ko.....inki taddat bahut jyada thi.....yaha pe main uss shaitan ke saath jaisa kiya tha wo bhi nahi kar sakta tha.....wo sab jamin pe the ye saare hawwa mein......maan lo hawaa mein bhi ek thunder wave bana deta Main par isse sirf bats hi nahi Didi ko aur baaki sab ko bhi chot lag sakti thi......main bas aise hi talwaar chala raha tha.....iss koshish mein ki Main Didi ke pass pahuch sakku par ye ho hi nahi raha tha.......

Koshish Nikita bhi kar hi rahi thi par baat wahi thi......Jwala aur Polar bear king bhi lage hue the....par koi khass aasar nahi ho raha tha.....

Ek to Jwala aur Polar bear king ke bahut saare log lage hue the unn sab ke saath......bats ko kabile ke ander jaane se.......upar se ye sab khul ke hamla nahi kar paa rahe the kyunki Didi ko chott lag sakti thi isse......

Hum sab rukk se gaye the.....uss waqt Old Owl ke log waha pe aa gaye.....unn sab ne bats ko rokne mein bahut madad ki.......wo sayad jaante the ek tarika unko rokne ka......wo sab aaye aur chillane lag gaye.....jisse bats yaha waha bikahrne lage......par ye bhi jyada der nahi chala.......Bats wapas se chillane lag gaye......aur hum sab apne apne kaan haath se band karke aage ki oor badh rahe the......Nikita ne dekha ki abhi Bats Didi ke pass bahut kam hai......wo ussn oor badhi aur main bhi ussi taraf badha.....Jwala aur Polar bear hum dono ke liye raasta saaf kar rahe the.....par

Didi ke pass pahuch ke bhi kuch nahi hua......wo khud ke kaabu mein thi hi nahi......Pahle Main hi pahucha tha unke pass.......

Main - Didi.....Didi......Rupal didi aap theek ho.....

Main chillata raha par wo sunn hi nahi rahi thi......unhone meri taraf dekha aur mera gala pakad ke ek haath se hawa mein latka diya......ye dekh ke Jwala ne unpe fire se hamla kiya......par Nikita ne usko rok liya....aur wo waar khud pe le liya.....aur issi wajah se wo hum dono ke upar aake girri......Jisse main Didi se alag ho gaya......

Main apni jagah se khud ko sambhalta hua utha aur Nikita ki taraf badha......usko chott lagi hogi ye soch ke.....Bahut gussa aa raha tha iss waqt Jwala pe.......jab Nikita ke pass pahucha to usko kuch nahi hau tha......uske spirit animal ne usko baccha liya tha.....wo horse.....jispe flame the......upar se dark power ka bhi chakkar.....

Par usko jhatka to laga tha....aur uski wajah se chot lagi hui thi.......

Maine usko uthaya.....aur phir Didi ko dekhne lage......wo kuch bats ke bistar pe padi hui thi......unn bats ne unko girne nahi diya tha.....

Main aur Nikita unki taraf hi dekh rahe the ki wo bats ki bani hui bed sidhi ho gayi aur Rupal didi khadi ho gayi.....

Nikita - ye to apne kaabu mein hi nahi hai......

Main - ye baat ab samajh aa rahi hai.....ye socho kaise wo theek hongi......

Dhruv - abhi koi chance nahi hai.....haa agar kuch der ke liye wo khud ko control kar paaye to chances ban jaayegi......warna ye sayad bahut waqt tak aise hi rahne wali hai.....

Main - kya bakte jaa rahe ho.....

Dhruv kuch kahe usse pahle bats humpe wapas hamla karne lag gaye the......Main apne talwaar se unse ladne mein laga hua tha.....aur dhere dheere Nikita ke pass jaa raha thawo bhi ussi mein lagi hui thi.....

Main - hume hamla karna hoga unpe.....

Nikita - kya bakkk rahe ho......tum Unpe hamla karoge......

Main - unko sayad jhatka chahiye.....sayad isse wo control mein aa jaaye......

Nikita - kuch bhi mat bolo.....main aisa nahi karne dungi tumko.....

Main - Jwala waar karo Didi pe......par nuksaan kam se kam hona chahiye......

Nikita - Jwala tum ye nahi karoge.....

Main - abhi waar karo.....

Jwala samajh nahi paa raha tha wo kiski baat manne......dark power ke kaaran uski halat aisi thi ki mere orders ko manne ke liye agar Nikita manna kar de to wo nahi kar sakta waisa......par Polar bear king.....wo naa mere under tha naa Nikita ke......usne hamari bahesh sunni....aur usne bhi kuch socha......aur phir waar kar diya Didi ke taraf.....aur bas karta hi gaya.......

Aisa iss liye kyunki saare bats wapas se Didi ko bacchane mein lag gaye the jaise hi unpe hamla hua......Polar bear ke lagatar waar karne se ek baar Didi ko chottt aayi.....par ye jhatka kaam nahi kiya.....wo upar se gussa ho gayi aur iss baar to bas.......wo saare bats unke haaton ke ishare pe kaam karne lage....jaha unka haath jaata uss oor saare ke saare bats pahuch jaate aur sab tabah........taadat to jyada thi hi unki....aur ab ek specific jagah pe ek saath hamla karna.....ye unko aur khatarnaak bana raha tha......

Nikita aur Main dono ye sab dekh rahe the......hum dono hi unki oor daude.....iss baar hamare pass aur koi rasta tha nahi....siway unse khul ke ladne ki.....aur nahi to waha pe bahut se log marne wale the.....

Maine aur Nikita ne war karna shuru kiya......to unn bats ne hum tinno ko gher liya......ek gole mein........bahar se Old Owl , Jwala aur Polar bear king uss gole pe hamla karte jaa rahe the usko khatam karne ko.....par koi safalta nahi......hum tinno ander the.....jaise hi main Didi pe waar karne ko aage badhta.....kahi naa kahi se bats mujhpe hamla kar dete wahi Nikita ke saath bhi tha.....

Jab ye jyada hone laga to maine Cooper aur Albus ko ander bulana chaha par wo bhi nahi aa paaye......koi jagah hi nahi thi ki wo ander aa paate......

Hum dono Didi pe waar karne ki koshish kar rahe the......par kam nahi bann raha tha to humne tay kiya.....main unpe war karunga aur wo bats se niptengi......

Main aage badha.....mujhpe waar karne bats aa rahe the ki Nikita ne unko maar giraya......ab wo marre yaa nahi ye to pata nahi par uss waqt main aage badh gaya.....aur bas yahi chalta raha jab tak hum Didi ke karib naa pahuche.....Maine elemental power se unpe hamla karne ki sochi.....thunder element se.....par kaam nahi banna.....wo bats bich mein aane lage....par iss dauraan ek chizz maine dekhi.....ek oor bats ki taadat kam hone lagi thi......Dhruv ne mujhe manna kiiya hua tha ye karne se par ab to bas ye hi ek tarika samajh aa raha tha mujhe.....Maine Nikita se kaha ki jaise hi maine uss taraf thunder blast karunga.....wo Didi ko leke bahar ki oor kudd jaayegi......wo hissa didi ke theep picche hi tha.....Nikita ne bhi baat mann li.....aur humne wahi kiya.....Pahle wo bahar ko kuddi Didi ko leke aur phir main bhi.....par maine apne dusre element ka use kiya......jisse main apna size yaa phir apne aas pass ke chizzon ka size bada chota kar sakta tha.....sayad mujhe unn bats ke size ko hi chota karna chahiye tha.......par maine khud ko bada kiya.....wo bhi extreme level tak......aur wo bats jo abhi bhi wo gola banaye baithe hue the.....unke upar haath rakha aur apna thunder element bhi use kar diya.......2 element ek sath.....upar se extreme levels tak.....wo bats ka kya hua pata nahi.......par main.....Main wahi pe pada rah gaya......Bhala ho uss Dhruv ka jisne mera size normal karne mein madad kiya......wahi baaki sab mujhe aise dekh ke hairaan ho rahe the.....par Didi...wo to abhi bhi lagi hui thi Nikita ko maarne mein....aur Nikita....wo mujhe dekh rahi thi......ki tabhi ek mukka.....

Uske baad Rupal didi usko maarti rahi aur wo bas jitna ho sakta tha utna bachti rahi.....phir ek mukka usne bhi maara......jiske baad didi ne wapas usko maara aur wo nicche jamin pe gir gayi......aur uske upar Rupal didi baith gayi aur maarne ko ki tabhi wo apne control mein wapas aa gayi...

Bua sab sunn rahi thi.....Dhruv ki baatein nahi....unhone meri saari baatein sunni aur phir Didi ke pass jaake unke saar pe haath pherne lagi.....

Bua - tp ab unn bats ka kya.....iss baare mein bhi kuch pata chala yaa.......nahi.....

Main - pata nahi Bua.....sayad thunder ke wajah se wo saare jal ke khatam ho gaye ho.....par main iss baare mein saaf saaf nahi bata sakta.......

K.Bua - to tumhare pass ek aur element bhi hai.....

Main - hmm ek aur element hai....par maine iske baare mein aap sabko nahi bataya tha......

Bua - koi baat nahi.....ab jaise iss baat ko chuppa rakha tha waise hi jo kuch bhi waha hua wo sab chuppana hai.....Rupal ko wo baatein nahi batani hai.....naa hi kisi aur ko......pata nahi aisa kyun lag raha hai wo ye baatein sunne ke baad wapas se apne control mein nahi rahegi.....

Hum dono ne iss baat ko maan liya......Waise to hum dono ki marham patti ho chukki thi....par phir bhi K.Bua ne ek baar sab wapas se sahi kiya.......aur uske baad wo bhi Rupal didi ko check karne mein lag gayi......unhone dekha ki unki energy level mein halchal ho rahi hai par phir wo normal bhi ho gayi thi......Jab sham mein Rupal didi jaagi to unko Bua ne samjha ke ghar wapas bhej diya....aur iiss baare mein kisi se naa kahne ko kaha.....

Rupal Didi - Main bhala iss baare mein kyun bataungi kisi ko....aap bhi naa......

Wahi pichle 2 din Daksh Mama ke ghar pe jo kuch hua usse wo hairaan ho gaye the....unhone ye nahi socha tha ki inn dono mein bas itne se waqt mein itna accha bonding ho jaayega......aisa lag raha tha jaise Pankaj aur Madhu bachpan se ek dusre ko jante ho.....

ab parso raat ki baat hi lelo.....

Iss ladki ne to ghar ke bahar jaane ke liye......unn ladko ko apne pass bulla liya tha......isko kisi bhi tarah se Bhanupur jaana hi tha......to usne socha wo ladke isko pahucha hi denge......to usne paani ke jaadu ki madad se unn ladko ko apne pass leke aa gayi......wo tinno to bechcare neend mein hi the......upar se chot lagi thi to patti bhi lagi hui thi unme......

Madhu ne unn tinno ko apne pass bulla ke unko paani ke chairs pe bitha diya aur paani se hi unko baandh bhi diya tha.....

Madhu - ooye.....utho saare......kab tak sote rahoge......

"nahi.,,,,nahi mat maaro......main....main aaj ke baad kabhi aisa nahi ka....."

wo Mota neend mein hi pit raha tha kisi se sayad tabhi badbada raha tha.....

Madhu ne thoda sa aur paani liya...aur unn sab ke chahre pe de maara.....jisse wo tinno hi chatpattate hue uth gaye......

Mote ladke ne jab Madhu ko saamne dekha wo to chillane hi laga.....wo to sahi waqt pe Madhi ne tinno ke muh paani se bhar diye....par aawaj to ho chukki thi....Pankaj pata nahi kya karne ko nicche aa raha tha ki usne ye sunna.....aur ye sunke wo kamre ke pass pahuc gaya......Ab Madhu ne to band kiya nahi tha kamra to wo waha se dekhne laga kya ho raha hai.....pahle usko Madhu dikhi......phir paani.....phir wo Mota ladka.....aur uske baad baaki ke do.....Pankaj jaldi se room mein gaya aur waha pe tinno ko behosh kar diya......

Madhu - heei ye kya hai......ye log mera kaam karne wale the.....

Pankaj - Pagal ladki pahle to dheere bolo......aur ye inke muh se paani nikalo....ye saans nahi le payenge aise aur marr jaayenge....

Madhu ne paani hata diya......

Pankaj - tum kya pagal ho......itni raat ko inko apne kamre mein leke aa gayi....inko kuch ho jaata to.....aur ab to inhone dekh liya hai tumko....

Madhu - par mujhe inse puchna tha Bhanu.....

Pankaj - ye tum aur tumhara Bhanupur.....aise jaaogi waha.....waha bhi logo ko aise maarne ko.....

Madhu ne ye baat sunni....usko bura laga......usko Pujari ji ki baat yaad aayi.....usko bhi laga ye tarika sahi nahi hai.......waise to waha pe usko Pujari ji ne bataya tha kaise insano ke saath rahna hai par tab bhi yaha aane ke baad ek bhi baat nahi follow ki thi isne.....itni uttawali hui padi thi ye......

Pankaj ne dekha Madhu uddas ho gayi hai.....aur jaake apne bed pe baith gayi hai....

Pankaj - accha ye batao kya hai waha Bhanupur mein kyun pata kar rahi ho uss jagah ke baare mein.....

Madhu - Kuch nahi hai.....tum jaao yaha se.....

Pankaj - arre Main madad karunga.....aur tumhari bas batao to.....aur insano ke bicch kaise rahte hai ye bhi bataunga....

Madhu - mujhe nahi jaanna kuch bhi jaao yaha se......

Pankaj - theek hai....par inn tinno ka kya....inko inke ghar kaun pahucayega.....akele kar paaogi.....

Madhu - jaise aaye the waise hi chale jaayenge......

Pankaj - inke ghar kaun kaun se the yaad bhi hai......jaise aaye the chale jaayenge...aur behosh pade hai ye tinno.....agar Papa ko iss baare mein pata chala to wo school mein batayenge phir insano ke pass jaana bhul hi jaao tum....

Madhu - Bhanupur mein koi mera apna hai aisa mujhe lagta hai puri baat nahi bata sakti......

Pankaj - hmm chalo itna kaafi hai.....theek hai main chalta hu.....

Madhu - Aeee......inka kya...inko kaun leke jaayega.....aur inhone mujhe dekh liya hai ab to tumhare Papa ko pata chal hi jaayega naa......

Pankaj - tum karne wali thi naa kuch ab karo....main chala tum khud samjho....

Madhu uski baat sunke usko ghurne lagi.....to Pankaj ne unn sab ke ghar ka pata usko bata diya......Madhu unko leke to aa gayi thi.......par ab ye thodi pata tha usko ki wo kis gali ke kis muhale mein rahte hai aur waha pe jaaya kaise jaaye......usne paani ki madad se unn tinno ka pata lagaya tha.....lekin ab wo bhi yahi the aur paani bhi.....to unke ghar ka pata lagana muskil tha.....Pankaj ne naa sirf address bataya balki madad bhi ki unko waha pahuchane mein.....Madhu ke baar baar puchne pe ki unn sab ne uska chahra dekha hua hai......Pankaj ne kaha ki jab wo ghar pe honge to unko ye bas ek sapna lagega.....aur agar baat badhi to wo sambhal lega.....

Inn dono ki jodi sahi ban rahi thi.....

Back to present.....

Dono ho aaj School pahuche the....par naa to Nikita waha pe thi aur naa hi Prateek.....ye sab to alag hi chal rahe the.......haa Bua ko issi ko padhane ka kaam diya gaya tha extra class mein......padhana nahi bas test lena kaha jaaye to sahi hoga.....wo iski khubiyan samajh rahi thi.....Principle sir ke kahne pe

aaj ke liye itna hi next update mein dekhte hai Madhu aur Nikita ka milna.....aur saath hi Demos ka chakkar laga aayenge ek baar......
Wow Bhai


Waiting for new update
 

sorbobhuk

Well-Known Member
2,507
5,962
158
UPDATE -86

Main, Nikita aur Rupal didi.......tinno hi Jwala ke kabile mein pahuche hue the.....Bua bhi aana chahti thi.....par K.Bua ko DB ke pass jaana padda.....kyunki usko kuch bahut hi serious issue ho gaya tha......wahi Bua......Bua ko aaj special class de di gayi thi......unko gussa bahut aa raha tha par ek baar wo daant sunn chukki thi......iss wajah se humne hi unko manna kar diya aane se.....ab bacche hum tin to hum waha pe aa chukke the.....

Nikita - Maine kaha tha naa dekho....ye aur bhi pass aate jaa rahe hai......

J.Mom - sayad inko pata chal gaya hai inki Rani ab nahi rahi......ye ussi ke tallash mein hai......

Main - sayad........Rupal didi aap kar logi naa.......

Rupal didi - haa par iss baar tumme se koi bhi waha pe nahi aayega.....maine pichle baar kuch mehsoos kiya tha.....mujhe dekhna hai wo kya tha......

Main - Nahi ye nahi chalega.....hum aapke sath honge....aur jaise hi humko lagega.....hum waha pe unko rokne aaa jaayenge....

Rupal didi ne ek do baar samjhane ki koshish kari par Main nahi samjha......to unhone kaha ki jab tak wo khud aane naa kahe koi nahi jaayega unke pass......

Wo aage gayi....aur jaisa tay hua tha hum sab picche rahe,.....Jwala ke kabile ke pass.......

Didi aage gayi.....

(Rupal ke respect mein )

Pichli baar bhi jab inn sab ke pass aayi thi kuch to hua tha......juch ajeeb,.......par uss waqt kuch hota usse pahle wo dono waha pe aa gaye the......

Main aise hi khud se baatein karti aage jaa rahi thi....aur pahuch gayi uss jagah pe jaha tak wo sab aa chukke the......sayad kisi ne gaur nahi kiya tha par ye sab kisi circle ke tarah the.....bas inki radius badhti jaa rahi thi......aur main wapas se inke circumference pe pahuci hui thi......

Jaise hi waha pe pair rakhe......aaj bhi wahi chilam chilli........Mujhe yaad hai uss din bhi aisa hi hua tha kuch.....Main waha pe pahuchi thi......aur ye chillane lag gaye the......

Aaj bhi inke chillane ki aawaj se sarr fatta jaa raha tha mera......maine apne haath liye aur apne kaa........

"Ye Main kya kar rahi hu.......Nikita.....tum thek to ho......."

Nikita - Prateek ye...ye theek ho gayi......aapne to humko aaj maar hi dena tha.....

Main - kya baat.......Chotu.....tujhe kya hua.....ye chott......ye kaise......aur ye jagah......

Polar bear king - Jwala iss jagah ka ye hissa to bilkul mere kabile jaisa ho chala hai.....ab isko bhi maramat lagegi.....

Jwala - Pahle khud ki maramat kara lu.....uske baad iss jagah ko dekh lenge.....

Jwala ne Polar bear king ko kuch to ishara aur kiya tha.....jiske baad waha pe dono ke hi aur log aa pahuche the...aur wo Mere aas pass aa gaye the.....jaise mujhe pakadne wale ho......Main Chotu ko utha rahi thi jo jamin pe leta hua lambi lambi saanse le raha tha......

Prateek - aap theek ho naa......

Main - haa mujhe kya hoga......par yaha pe ye sab.....aur main yaha kaise aa......

Nikita - Abhi batane layak kuch nahi hua hai Di.....aap chalo......Jwala......K.Bua ko yaha leke aao......aur hum tinno ko vaidyon ke pass leke chalo.....

Jwala ne theek waisa hi kiya jaisa Nikita ne usse kaha tha.......

hum tinno pahuch gaye waha pe.....aur thodi der mein waha pe K.Bua bhi aa gayi......aatein hi apne kaam mein lag gayi wo......par pata nahi kyun.....chottein Prateek aur Nikita ko lagi thi wo check mujhe kar rahi thi.....

Main - aap mujhe kya dekh rahe ho....dekho inn dono ko chott lagi hai.....pata nahi kya hua waha pe......

Meri ye aat sunke unhone sabki taraf dekha.....aur phir se mujhe check karne lagi......wahi dusre vaidya Nikita aur Prateek ko dekh rahe the......aur utne mein waha pe Bua bhi aa gayi.....Old Olw ko bula ke....

Unko bhi pata chal gaya tha aakhir yaha pe hua kya tha......

Back to Hero

Unhone hum tinno ko hi pahle acche se dekha.....thoda daanta uske baad humko leke wapas Earth pe aa gayi......Main aur Nikita to School ke medical department mein hi jaane wale the.....par Bua ne Rupal didi ko bhi wahi rahne ko bola......

Rupal didi ko thodi si thakawat to ho rahi thi.....to unhone bhi jyada na nukur nahi kiya.....K.bua waha pe Neend ki dawayi leke aayi aur usko Didi ko de diya......

Bua jaise wait kar rahi thi kab ye ho aur wo so jaaye......jaise hi wo soyi

Bua - ab batai tum dono ye jo maine sunna wo sach hai....kya Rupal ne.....

Main - Nahi ye wo nahi thi Bua.....darasal jab Didi unn sab ke pass gayi.....

Rupal bats ke pass pahuchi hi thi aur unn sab ne chillana shuru kar diya tha......Rupal ne apne kaan band kiye....par uske baad......uske baad pata nahi kya hua.....uski aakhen khud se badal gayi......ekdum se kaali aur badi......usne apna haath apne kaano se hataya aur aaj bhi ussi tarah se taali bajayi......aur wo saare ke saare bats ekdum se shant ho gaye yaa kahe tham se gaye.....jo jaise tha waise hi raha.....Hum sab hi iss cheez ko dekh rahe the.....Polar bear king ne kaha ki ye ussi dinn ke jaisa ho raha hai......Mujhe laga ab mujhe waha jaana chahiye aur unko wapas leke aana chahiye......par tabhi unhone apne haath ke ishare se rukne ko kaha......

Main - Main jaa raha hu unke pass.....mujhe wo theek nahi lag.......

Nikita - dekho wo rukne kah rahi hai naa rukko thoda......

Main - unki aankhen to dekho.....

Nikita - ye sayad unn sab ko control karne ke liye aisa kar rahi hogi tumne dekha naa kaise taali bajane se hi sab shant ho gaye.....

Mujhe bhi Nikita ki baat thodi sahi lagi.....Main rukk gaya par agle hi pal jiss haath se wo humko rukne kah rahi thi ussi haath ko jhatak ke unhone hamari taraf ishara kar diya......

Polar bear king - ye iss taraf ishara kyun kar rahi hai......

Uska sawal khatam hua aur humko jawab mil gaya........wo hamare taraf unn bats ko bhej rahi thi........

Jwala - ye sab to hamari taraf aa rahe hai......hume taiyaar rahna chahiye.....

Nikita - Arre unhone unn sab ko control kar liya hai ye dikhane ko wo yaha pe aa rahi hai unke saath......

Kaash Nikita ki baat sahi hoti......par wo sab to uss jagah pe hamla karne aa rahe the.......aur pahla waar mujhpe hi hua tha......unn bats mein se ek ne mujhpe hamla karne ki koshish ki par maine apne haath se usko khud se dur kar diya......lekin uske baad aur aane lag gaye.........

Main - Ye sab humpe hamla kar rahe hai.....Didi ka khud pe control nahi hai......inn sab ko sambhalna hoga....par Didi ko kuch nahi hona chahiye.....

Wo sab bhi lag gaye apne kaam mein.....par humko Jwala ke kabile ko bhi bacchana tha.....ek baar wo bats waha chale jaate to bahut dikkat hone wali thi......

Maine Albus aur Cooper ko bas issiliye bahar bulaya ki wo unn sab ko ander naa jaane de....Jwala aur Polar Bear king ne bhi apne logo ko issi kaam mein lagaya hua tha......

Nikita bas Didi ke pass jaane ki koshish kar rahi thi......par wo bats......wo aisa hone hi nahi de rahe the......unhone Didi ke aas pass jaise koi bada sa suraksha kawach bana rakha tha jaise hi koi uske pass jaane ki koshish karta wo sab uspe hamla kar dete.......

Main apni talwaar haath mein liye bas chalaye jaa raha tha......unn bats ko maare jaa raha tha.....par ye khatam nahi ho rahe the.....ek ko maaro 10 aa jaate unki jagah lene ko.....inki taddat bahut jyada thi.....yaha pe main uss shaitan ke saath jaisa kiya tha wo bhi nahi kar sakta tha.....wo sab jamin pe the ye saare hawwa mein......maan lo hawaa mein bhi ek thunder wave bana deta Main par isse sirf bats hi nahi Didi ko aur baaki sab ko bhi chot lag sakti thi......main bas aise hi talwaar chala raha tha.....iss koshish mein ki Main Didi ke pass pahuch sakku par ye ho hi nahi raha tha.......

Koshish Nikita bhi kar hi rahi thi par baat wahi thi......Jwala aur Polar bear king bhi lage hue the....par koi khass aasar nahi ho raha tha.....

Ek to Jwala aur Polar bear king ke bahut saare log lage hue the unn sab ke saath......bats ko kabile ke ander jaane se.......upar se ye sab khul ke hamla nahi kar paa rahe the kyunki Didi ko chott lag sakti thi isse......

Hum sab rukk se gaye the.....uss waqt Old Owl ke log waha pe aa gaye.....unn sab ne bats ko rokne mein bahut madad ki.......wo sayad jaante the ek tarika unko rokne ka......wo sab aaye aur chillane lag gaye.....jisse bats yaha waha bikahrne lage......par ye bhi jyada der nahi chala.......Bats wapas se chillane lag gaye......aur hum sab apne apne kaan haath se band karke aage ki oor badh rahe the......Nikita ne dekha ki abhi Bats Didi ke pass bahut kam hai......wo ussn oor badhi aur main bhi ussi taraf badha.....Jwala aur Polar bear hum dono ke liye raasta saaf kar rahe the.....par

Didi ke pass pahuch ke bhi kuch nahi hua......wo khud ke kaabu mein thi hi nahi......Pahle Main hi pahucha tha unke pass.......

Main - Didi.....Didi......Rupal didi aap theek ho.....

Main chillata raha par wo sunn hi nahi rahi thi......unhone meri taraf dekha aur mera gala pakad ke ek haath se hawa mein latka diya......ye dekh ke Jwala ne unpe fire se hamla kiya......par Nikita ne usko rok liya....aur wo waar khud pe le liya.....aur issi wajah se wo hum dono ke upar aake girri......Jisse main Didi se alag ho gaya......

Main apni jagah se khud ko sambhalta hua utha aur Nikita ki taraf badha......usko chott lagi hogi ye soch ke.....Bahut gussa aa raha tha iss waqt Jwala pe.......jab Nikita ke pass pahucha to usko kuch nahi hau tha......uske spirit animal ne usko baccha liya tha.....wo horse.....jispe flame the......upar se dark power ka bhi chakkar.....

Par usko jhatka to laga tha....aur uski wajah se chot lagi hui thi.......

Maine usko uthaya.....aur phir Didi ko dekhne lage......wo kuch bats ke bistar pe padi hui thi......unn bats ne unko girne nahi diya tha.....

Main aur Nikita unki taraf hi dekh rahe the ki wo bats ki bani hui bed sidhi ho gayi aur Rupal didi khadi ho gayi.....

Nikita - ye to apne kaabu mein hi nahi hai......

Main - ye baat ab samajh aa rahi hai.....ye socho kaise wo theek hongi......

Dhruv - abhi koi chance nahi hai.....haa agar kuch der ke liye wo khud ko control kar paaye to chances ban jaayegi......warna ye sayad bahut waqt tak aise hi rahne wali hai.....

Main - kya bakte jaa rahe ho.....

Dhruv kuch kahe usse pahle bats humpe wapas hamla karne lag gaye the......Main apne talwaar se unse ladne mein laga hua tha.....aur dhere dheere Nikita ke pass jaa raha thawo bhi ussi mein lagi hui thi.....

Main - hume hamla karna hoga unpe.....

Nikita - kya bakkk rahe ho......tum Unpe hamla karoge......

Main - unko sayad jhatka chahiye.....sayad isse wo control mein aa jaaye......

Nikita - kuch bhi mat bolo.....main aisa nahi karne dungi tumko.....

Main - Jwala waar karo Didi pe......par nuksaan kam se kam hona chahiye......

Nikita - Jwala tum ye nahi karoge.....

Main - abhi waar karo.....

Jwala samajh nahi paa raha tha wo kiski baat manne......dark power ke kaaran uski halat aisi thi ki mere orders ko manne ke liye agar Nikita manna kar de to wo nahi kar sakta waisa......par Polar bear king.....wo naa mere under tha naa Nikita ke......usne hamari bahesh sunni....aur usne bhi kuch socha......aur phir waar kar diya Didi ke taraf.....aur bas karta hi gaya.......

Aisa iss liye kyunki saare bats wapas se Didi ko bacchane mein lag gaye the jaise hi unpe hamla hua......Polar bear ke lagatar waar karne se ek baar Didi ko chottt aayi.....par ye jhatka kaam nahi kiya.....wo upar se gussa ho gayi aur iss baar to bas.......wo saare bats unke haaton ke ishare pe kaam karne lage....jaha unka haath jaata uss oor saare ke saare bats pahuch jaate aur sab tabah........taadat to jyada thi hi unki....aur ab ek specific jagah pe ek saath hamla karna.....ye unko aur khatarnaak bana raha tha......

Nikita aur Main dono ye sab dekh rahe the......hum dono hi unki oor daude.....iss baar hamare pass aur koi rasta tha nahi....siway unse khul ke ladne ki.....aur nahi to waha pe bahut se log marne wale the.....

Maine aur Nikita ne war karna shuru kiya......to unn bats ne hum tinno ko gher liya......ek gole mein........bahar se Old Owl , Jwala aur Polar bear king uss gole pe hamla karte jaa rahe the usko khatam karne ko.....par koi safalta nahi......hum tinno ander the.....jaise hi main Didi pe waar karne ko aage badhta.....kahi naa kahi se bats mujhpe hamla kar dete wahi Nikita ke saath bhi tha.....

Jab ye jyada hone laga to maine Cooper aur Albus ko ander bulana chaha par wo bhi nahi aa paaye......koi jagah hi nahi thi ki wo ander aa paate......

Hum dono Didi pe waar karne ki koshish kar rahe the......par kam nahi bann raha tha to humne tay kiya.....main unpe war karunga aur wo bats se niptengi......

Main aage badha.....mujhpe waar karne bats aa rahe the ki Nikita ne unko maar giraya......ab wo marre yaa nahi ye to pata nahi par uss waqt main aage badh gaya.....aur bas yahi chalta raha jab tak hum Didi ke karib naa pahuche.....Maine elemental power se unpe hamla karne ki sochi.....thunder element se.....par kaam nahi banna.....wo bats bich mein aane lage....par iss dauraan ek chizz maine dekhi.....ek oor bats ki taadat kam hone lagi thi......Dhruv ne mujhe manna kiiya hua tha ye karne se par ab to bas ye hi ek tarika samajh aa raha tha mujhe.....Maine Nikita se kaha ki jaise hi maine uss taraf thunder blast karunga.....wo Didi ko leke bahar ki oor kudd jaayegi......wo hissa didi ke theep picche hi tha.....Nikita ne bhi baat mann li.....aur humne wahi kiya.....Pahle wo bahar ko kuddi Didi ko leke aur phir main bhi.....par maine apne dusre element ka use kiya......jisse main apna size yaa phir apne aas pass ke chizzon ka size bada chota kar sakta tha.....sayad mujhe unn bats ke size ko hi chota karna chahiye tha.......par maine khud ko bada kiya.....wo bhi extreme level tak......aur wo bats jo abhi bhi wo gola banaye baithe hue the.....unke upar haath rakha aur apna thunder element bhi use kar diya.......2 element ek sath.....upar se extreme levels tak.....wo bats ka kya hua pata nahi.......par main.....Main wahi pe pada rah gaya......Bhala ho uss Dhruv ka jisne mera size normal karne mein madad kiya......wahi baaki sab mujhe aise dekh ke hairaan ho rahe the.....par Didi...wo to abhi bhi lagi hui thi Nikita ko maarne mein....aur Nikita....wo mujhe dekh rahi thi......ki tabhi ek mukka.....

Uske baad Rupal didi usko maarti rahi aur wo bas jitna ho sakta tha utna bachti rahi.....phir ek mukka usne bhi maara......jiske baad didi ne wapas usko maara aur wo nicche jamin pe gir gayi......aur uske upar Rupal didi baith gayi aur maarne ko ki tabhi wo apne control mein wapas aa gayi...

Bua sab sunn rahi thi.....Dhruv ki baatein nahi....unhone meri saari baatein sunni aur phir Didi ke pass jaake unke saar pe haath pherne lagi.....

Bua - tp ab unn bats ka kya.....iss baare mein bhi kuch pata chala yaa.......nahi.....

Main - pata nahi Bua.....sayad thunder ke wajah se wo saare jal ke khatam ho gaye ho.....par main iss baare mein saaf saaf nahi bata sakta.......

K.Bua - to tumhare pass ek aur element bhi hai.....

Main - hmm ek aur element hai....par maine iske baare mein aap sabko nahi bataya tha......

Bua - koi baat nahi.....ab jaise iss baat ko chuppa rakha tha waise hi jo kuch bhi waha hua wo sab chuppana hai.....Rupal ko wo baatein nahi batani hai.....naa hi kisi aur ko......pata nahi aisa kyun lag raha hai wo ye baatein sunne ke baad wapas se apne control mein nahi rahegi.....

Hum dono ne iss baat ko maan liya......Waise to hum dono ki marham patti ho chukki thi....par phir bhi K.Bua ne ek baar sab wapas se sahi kiya.......aur uske baad wo bhi Rupal didi ko check karne mein lag gayi......unhone dekha ki unki energy level mein halchal ho rahi hai par phir wo normal bhi ho gayi thi......Jab sham mein Rupal didi jaagi to unko Bua ne samjha ke ghar wapas bhej diya....aur iiss baare mein kisi se naa kahne ko kaha.....

Rupal Didi - Main bhala iss baare mein kyun bataungi kisi ko....aap bhi naa......

Wahi pichle 2 din Daksh Mama ke ghar pe jo kuch hua usse wo hairaan ho gaye the....unhone ye nahi socha tha ki inn dono mein bas itne se waqt mein itna accha bonding ho jaayega......aisa lag raha tha jaise Pankaj aur Madhu bachpan se ek dusre ko jante ho.....

ab parso raat ki baat hi lelo.....

Iss ladki ne to ghar ke bahar jaane ke liye......unn ladko ko apne pass bulla liya tha......isko kisi bhi tarah se Bhanupur jaana hi tha......to usne socha wo ladke isko pahucha hi denge......to usne paani ke jaadu ki madad se unn ladko ko apne pass leke aa gayi......wo tinno to bechcare neend mein hi the......upar se chot lagi thi to patti bhi lagi hui thi unme......

Madhu ne unn tinno ko apne pass bulla ke unko paani ke chairs pe bitha diya aur paani se hi unko baandh bhi diya tha.....

Madhu - ooye.....utho saare......kab tak sote rahoge......

"nahi.,,,,nahi mat maaro......main....main aaj ke baad kabhi aisa nahi ka....."

wo Mota neend mein hi pit raha tha kisi se sayad tabhi badbada raha tha.....

Madhu ne thoda sa aur paani liya...aur unn sab ke chahre pe de maara.....jisse wo tinno hi chatpattate hue uth gaye......

Mote ladke ne jab Madhu ko saamne dekha wo to chillane hi laga.....wo to sahi waqt pe Madhi ne tinno ke muh paani se bhar diye....par aawaj to ho chukki thi....Pankaj pata nahi kya karne ko nicche aa raha tha ki usne ye sunna.....aur ye sunke wo kamre ke pass pahuc gaya......Ab Madhu ne to band kiya nahi tha kamra to wo waha se dekhne laga kya ho raha hai.....pahle usko Madhu dikhi......phir paani.....phir wo Mota ladka.....aur uske baad baaki ke do.....Pankaj jaldi se room mein gaya aur waha pe tinno ko behosh kar diya......

Madhu - heei ye kya hai......ye log mera kaam karne wale the.....

Pankaj - Pagal ladki pahle to dheere bolo......aur ye inke muh se paani nikalo....ye saans nahi le payenge aise aur marr jaayenge....

Madhu ne paani hata diya......

Pankaj - tum kya pagal ho......itni raat ko inko apne kamre mein leke aa gayi....inko kuch ho jaata to.....aur ab to inhone dekh liya hai tumko....

Madhu - par mujhe inse puchna tha Bhanu.....

Pankaj - ye tum aur tumhara Bhanupur.....aise jaaogi waha.....waha bhi logo ko aise maarne ko.....

Madhu ne ye baat sunni....usko bura laga......usko Pujari ji ki baat yaad aayi.....usko bhi laga ye tarika sahi nahi hai.......waise to waha pe usko Pujari ji ne bataya tha kaise insano ke saath rahna hai par tab bhi yaha aane ke baad ek bhi baat nahi follow ki thi isne.....itni uttawali hui padi thi ye......

Pankaj ne dekha Madhu uddas ho gayi hai.....aur jaake apne bed pe baith gayi hai....

Pankaj - accha ye batao kya hai waha Bhanupur mein kyun pata kar rahi ho uss jagah ke baare mein.....

Madhu - Kuch nahi hai.....tum jaao yaha se.....

Pankaj - arre Main madad karunga.....aur tumhari bas batao to.....aur insano ke bicch kaise rahte hai ye bhi bataunga....

Madhu - mujhe nahi jaanna kuch bhi jaao yaha se......

Pankaj - theek hai....par inn tinno ka kya....inko inke ghar kaun pahucayega.....akele kar paaogi.....

Madhu - jaise aaye the waise hi chale jaayenge......

Pankaj - inke ghar kaun kaun se the yaad bhi hai......jaise aaye the chale jaayenge...aur behosh pade hai ye tinno.....agar Papa ko iss baare mein pata chala to wo school mein batayenge phir insano ke pass jaana bhul hi jaao tum....

Madhu - Bhanupur mein koi mera apna hai aisa mujhe lagta hai puri baat nahi bata sakti......

Pankaj - hmm chalo itna kaafi hai.....theek hai main chalta hu.....

Madhu - Aeee......inka kya...inko kaun leke jaayega.....aur inhone mujhe dekh liya hai ab to tumhare Papa ko pata chal hi jaayega naa......

Pankaj - tum karne wali thi naa kuch ab karo....main chala tum khud samjho....

Madhu uski baat sunke usko ghurne lagi.....to Pankaj ne unn sab ke ghar ka pata usko bata diya......Madhu unko leke to aa gayi thi.......par ab ye thodi pata tha usko ki wo kis gali ke kis muhale mein rahte hai aur waha pe jaaya kaise jaaye......usne paani ki madad se unn tinno ka pata lagaya tha.....lekin ab wo bhi yahi the aur paani bhi.....to unke ghar ka pata lagana muskil tha.....Pankaj ne naa sirf address bataya balki madad bhi ki unko waha pahuchane mein.....Madhu ke baar baar puchne pe ki unn sab ne uska chahra dekha hua hai......Pankaj ne kaha ki jab wo ghar pe honge to unko ye bas ek sapna lagega.....aur agar baat badhi to wo sambhal lega.....

Inn dono ki jodi sahi ban rahi thi.....

Back to present.....

Dono ho aaj School pahuche the....par naa to Nikita waha pe thi aur naa hi Prateek.....ye sab to alag hi chal rahe the.......haa Bua ko issi ko padhane ka kaam diya gaya tha extra class mein......padhana nahi bas test lena kaha jaaye to sahi hoga.....wo iski khubiyan samajh rahi thi.....Principle sir ke kahne pe

aaj ke liye itna hi next update mein dekhte hai Madhu aur Nikita ka milna.....aur saath hi Demos ka chakkar laga aayenge ek baar......
Bahut badhiya update hai bhai....... Dekhte hai hero or heroin kab milte hai hai or pehli mulaqat kaise hota hai dekhte hai....or Prateek or Madhu ka milne se Pankaj ka kya haal hota hai dekhte Hai...
Waiting for next update
 

Ristrcted

Now I am become Death, the destroyer of worlds
Staff member
Sr. Moderator
47,141
40,082
304
Bahut badhiya update hai bhai....... Dekhte hai hero or heroin kab milte hai hai or pehli mulaqat kaise hota hai dekhte hai....or Prateek or Madhu ka milne se Pankaj ka kya haal hota hai dekhte Hai...
Waiting for next update
Pankaj ka chodo abhi apan kisi aur ke haal ko describe nahi kar paa raha hai :angrysad: sala samajh nahi aa raha uske baare mein kaise likhu.....Update late night aayega
 

ANUJ KUMAR

Well-Known Member
2,669
13,384
158
UPDATE - 75

Subah ka waqt ho chala tha hum sab hi abhi naaste ke table pe baithe hue the.....darasal naasta khatam ho hi gaya tha par aaj Chacha Chachi Dada Dadi ye sab kisi kaam se jaa rahe the....aur ye hota nahi tha aisa.....aaj chutti ka din tha sabko ek sath rahna hota tha par aaj kaam tha to bas....wahi baat wo bata rahe the ki wo to aa nahi paayenge aaj to hum khud ka hi kuch plan kar le....

DB ne pahle hi kah diya tha wo wapas jaana chahta hai......pata nahi kuch jyada serious ho gaya tha ye yaa koi aur baat thi.....K.Bua ne kaha usko ki rukk jaaye par wo jaane ko bol raha tha to usko apni saheli ke pass chodne ko chali gayi.....

Ghar pe Main,Bua Rupal Didi aur Nikita hi the abhi ki tabhi Old Owl ki aawaj aayi.....

Old Owl - Prateek yaha pe kuch gadbad hai sayad......

Main - kya hua....koi mushibat hai kya.....tum Portal kholo main aa raha hu......

Old Owl - Nahi waisi baat nahi hai musibat to nahi lag rahi.....par sayad tumko ye janna chahiye....

Main - To Portal kholo.....

Old Owl - Main koshish kar raha hu....par tum jaha ho waha nahi khul paa raha hai......

Main - ghar ki suraksha badhayi thi CHachi aur Dadi ne....sayad iss wajah se.....tum rukko main bahar aake bolta hu kholne ko.....

Main bahar jaane laga.....

Rupal didi - OOye Chotu kaha....kaha jaa raha hai....

Main - Wo didi bas aise hi.....thoda bahar....

Rupal didi ne Nikita ki oor dekha....Main unn dono ko dekhne laga....Nikita Mujhe aur Rupal didi ko dekhne lagi.....aur itne mein Bua aayi.....aur wo hum tinno ko dekhne lagi....

Bua - ye kya kar rahe ho....aise pagalon ki tarah kya dekh rahe ho ek dusre ko.....

Rupal didi - Nikita bata naa ye kaha jaa raha hai....

Main - aap usse kya puch rahi ho maine bataya naa bahar jaa raha hu....thoda tahalne.....

Nikita - wahi to main kaise bataun....aur aapne puccha bhi kaha bas mujhe dekh rahi thi....mujhe laga kuch hua hai....

Rupal didi - ye acchanak se jaa raha tha to mujhe laga isne kisi se baat ki hai aur tumko pata chal gaya iss liye tujhe dekh rahi thi ki tu batayegi....

Bua - Nikita tumko kuch pata chala ki ye kaha jaa raha hai....

Nikita - Nahi Bua main kaise jaanungi.....

Main - Ye karte raho aap sab main jaa raha hu....bade ajeeb ho aap sab.....

Bua - accha theek hai jaa tu.....

Maine ek baar unko dekha....aise jaane ko bol rahi hai.....phir waha se bahar nikalne laga....aur ghar ke aage ke garden mein aake Old Owl se portal kholne ko kaha.....

Portal khulla waha pe aur main waha se Strange world mein chala gaya.....

Old Owl wahi pe tha.....

Main - Hmm batao kya hua hai.....

Old Owl - tumko wo khoon yaad hai naa.......wo 4 khoon theek ussi tarah ke 2 aur khoon hue hai kal.....

Main - Kya......Wapas se Society ke log maare gaye......Leemo kaha hai......mujhe usse baat karni hogi...aur tumko samajh nahi aata kya dekhne ko bola tha abhi tak koi nahi milla tumko....

Old Owl - Nahi ye...ye wo nahi the....Society ka koi nahi marra hai......jo dono marre hai wo water element wale hai aur aam log hai....

Main - Ab ye kya chakar hai....tumne iske liye bulaya mujhe....arre ye sab to yaha ke log bhi dekh sakte hai naa....Elf king ko nahi pata kya iske baare mein.....

Old Owl - ELf King jaante hai iske baare mein....aur sabhi jaante hai.....Main ye iss wajah se bata raha hu kyunki ye khooni wahi hai jinhone unn 4 logo ko maara tha.....thek ussi tarah se maara hai ye dekho....

Main - Leemo ko kuch pata chala ki uske logo ko kisne maara hai....

Old Owl - Nahi Leemo nahi pata kar paaya hai.....par Maine apne bande lagaye hai yaha pe.....thodi bahut jaanch karne ke baad ye kah raha hu isme Crowned Elf Family ka koi haath nahi hai Naa to Elf King ka aur naa hi Yuvraj ka jaisa tumne kaha tha pata karne ko....

Main - Accha aur iss natije pe kaise pahuche tum.....matlab jaanch kaise kiya....

Old owl - Jab ye dono khoon hue hai tab Elf King aur saath hi Yuvraaj dono hi mahel mein apne kamro mein so rahe the.....

Main - ho sakta hai inme se kisi ek ne karwaya hoga ye khoon aur ab ye hone ke baad to aur pakka sa lag raha hai ye sab.....

Old Owl - matlab kya hai tumhara.....

Main - tumne bataya ye dono hi Water element wale hai.....water element......sayad ye ek ittefaaq hi hai par.....ho sakta hai ki ye Yuvraj ka kiya dharaya ho yaa fir Elf king ka.......Mahel mein ek Water element wala aata hai din dahade wo Yuvraj ke pass se ek chizz churra ke le jaata hai....badla lene ke baare mein ye log kyun nahi sochenge......mujhe lagta hai inn sab mein thoda bahut to inka bhi kiya dharaya hoga.....mahel ki izzat bachane ke liye....

Old Owl - Elf king ke baare mein mujhe nahi lagta wo aisa kuch apni janta ke liye karenge....haa thodi bahut khilli uddi hogi unki par wo iss wajah se aise hi khoon to nahi karane lag gaye honge....aur hum khilli uddne ki hi baat kar rahe hai to sabse pahle to Yuvraj ki hi baat aati hai....par ye bhi hai ki kal raat ko wo bhi apne room mein hi tha.....

Main - tum inn dono pe dhyaan rakho....accha aur mujhe lagta hai Main Nix samuday ke pass jaana chahunga.....

Old Owl - waha pe mera ek banda hai pahle se...tum jaao waha....main portal khol raha hu.....

Old Owl ne turant portal khol diya aur main usse hote hue.....Nix logo se bas thodi durri pe aa gaya tha....

Old Owl portal ke ussi taraf se bola....

Old Owl - Inko mehmaan jyada pasand nahi aate......sambhal ke jaana....

Aur bol ke portal band kar diya.....

Main aage badhne laga.....yaha ki jameen thodi gilli gilli si thi...chipchippi....

Main - Dhruv ye jameen aisi kyun hai yaha ki....

Dhruv - Nix water spirits hote hai....to inke aas pass paani to hona hi hai...ussi paani ki wajah se sayad.....waise yaha pe aane ki kya wajah hai....

Main - Uss ladki ko batlana hai uski wajah se waha log maare jaa rahe hai agar usne wo pankh nahi churaya hota to ye sab naa hua hota....

Dhruv - Ek tarah se hamari madad ki hai usne.....agar wo pankh galti se bhi Lucifer ke haath lag jaata aur agar usne uske jariye Old Owl aur baaki sab ka pata laga liya hota to ho hi jaana tha sab sahi.....

Main - Baat mein dum hai tumhare.....par wo pankh chahiye hi kyun the usko...aur usko uss pankh ka pata kaise chala.....

"tum kaun ho...aur yaha kya kar rahe h......ek aur insan...."

Maine picche mudd ke dekha to waha pe ek banda tha haath mein paani ki talwar liye hue.....pahle to dikhne mein aisa lag raha tha abhi ke abhi maar dega par phir ekdum se confused sa dikhne laga....

"tum uss ladki ke saath yaha aaye ho kya....."

Main - Ladki.....haa ussi ke saath.....

"aao picche....kaha tha Pujari ji se matt banao usko sishya apni.....par nahi....kahte hai kitab mein likha hai wo aayenge yaha....aur humko unko sikhana hai....pata nahi kya kya bolte rahte hai.....wo saamne wo bada sa mandir dikh raha hai....wahi hai wo ladki....mil lo...."

Main iske picche picche aa raha tha aur ye banda ekdum se bolte jaa raha tha aur bolte hue mujhe leke aa gaya uss jagah pe...jaha pe isne bataya ki mandir hai....ek bada sa monument tha ye.....

Main ander jaane laga....par tabhi pata nahi Albus aur cooper ko kya hua....mere seene mein jaise kuch jalne sa laga tha uss waqt.....jaise jaise kareeb jaa raha tha....

Dhruv - Yaha se nikalna hoga....Albus aur Cooper dono pareshan lag rahe hai.....

Main - Par hua kya hai aur ye.....aahhhh hai kyaa..........Jwala portal kholo....

Kya hua pata nahi ekdum se bahut jyada jalan hone lag gayi thi.....

Jwala ne meri aawaj sunni aur portal khol diya.....aur main usme chala gaya....aur waha jaate hi behosh....

Earth mein Ghar pe baithe hue Bua, Rupal didi aur Nikita ek dusre se baatein kar rahe the.....kisse sunaye ja rahe the apne apne.....ki tabhi Nikita ko laga ki kuch hua hai.....pasina aane laga usko acchanak se bolte bolte hi galla sukh sa gaya.....

Bua ne dekha usko.....ek dum acchanak se aise sab kaise ho gaya.....

Bua - Bacchu thik ho naa tum.....Rupal paani leke aao.....

Bua jo abhi dusre sofe pe thi wo Nikita wale sofe pe aa gayi aur usko dekhne lagi kahi bukhar to nahi hai.....wahi Rupal didi bhi jaldi se paani leke aayi.....

Paani pinne ke baad Nikita thodi der baithi rahi.....pasina nikalna ab band ho gaya tha par uska pura chahra bheega hua tha......Bua ne ek gilla towel diya usko muh saaf karne ko....aur jab usne aisa karte hue apni aakhen band ki to usko Prateek dikha....behosh pada hua.....

Nikita - Prateek.....usko kuch hua hai....wo behosh hai....

Bua - Kya.....kya bol rahi ho tum.....kaha pe hai wo.....

RUpal didi - Behosh hai....par wo to bahar hi g.....main dekh ke aati hu....

Nikita - Nahi....wo yaha nahi hai.....Jwala Portal kholo....

Yaha Apne kabile mein Jwala abhi Prateek ko vaidyon ke pass leke gaya tha aur wo dekh raha tha ki wo behosh hai....par phir bhi usko sunayi diya ki Portal kholne bola jaa raha hai.....Jwala ne ek baar wapas se dekha Prateek ki oor....

Kuch samajh naa aaya to usne portal kholna chaha par khula nahi....

Jwala - kaun ho tum.....

Nikita - Main Nikita hu.....jaldi se portal kholo....humko pata hai Prateek ko kuch hua hai....

Jwala thoda confuse hua ki aakhir kaise Jwala ki aawaj wo....aur uski aawaj Jwala sun paa rahe the....wo baat kaise kar rahe the aise mein......

Nikita - Jwala jaldi se portal kholo....

Jwala - Nahi.....portal khul nahi raha aap jaha pe hai waha pe nahi khol paa raha main portal....

Nikita - Bua Jwala ke yaha hai Prateek aur wo behosh hai....

Rupal didi - Wo waha chala gaya....wo bhi jhoot bolke....Jwala ko bolo portal kholne ko....

Nikita -n Usse nahi ho raha hai....maine bola par wo bol raha hai yaha pe nahi khul raha portal....

Bua - Kal hi ghar ki shuraksha badhayi hai....Bahar chalna hoga....garden mein.....wo behosh hai naa.....Kavita ko bulati hu main....

Bua ne turant K.Bua ko call kiya aur apne pass aane ko bola.....K.Bua waha pe apni friend ke saath baatein kar rahi thi jab unka phone bajja.....

Bua ki aawaj sun ke wo samajh gayi baat serious hi hogi....to unhone jaldi se waha se nikalne ka rasta socha aur nikal bhi gayi....agle 10 minute mein wo Bua ke pass thi....

Bua - Nikita ab bolo...ab hum bahar hai wo kar lega ab....

Nikita ne wapas se Jwala ko portal kholne ko kaha...aur iss baar khul gaya kyunki wo sab bahar the...

Sabhi portal se sidha waha Vaidyaji ke pass aaye....

K.Bua - Isko kya hua....ye aise kyun pada hai....

Bua - ye behosh ho gaya hai....isko dekho kya hua hai.....Aur tum Jwala tumko humme batana chahiye tha agar kuch ho gaya isko to kya karenge hum....

Bua Jwala ko pura jhaddne lag gayi....

wahi K.Bua Prateek ko dekh rahi thi.....unhone pahle to pulse dekha....wo normal to bilkul bhi nahi the....phir unhone aur sab dekhna shuru kiya.....sab kuch hi ajeeb sa tha iss waqt to....

K.Bua ne phir skin ko dekhna shuru kiya....Prateek ke haath ka skin thoda ajeeb sa lag raha tha....aur wo usko dekhne lagi....

K.Bua - Poonam yaha aa to....ye dekh.....ye iske skin ko aisa kya ho gaya hai....

K.Bua ne aawaj sirf Bua ko lagayi thi par aa sabhi gaye the.....ur sabhi ne dekha jaise Prateek ke skin pe kuch banna hua tha....ajeeb sa....

K.Bua - Kainchi.....poonam kainchi dena.....

Ab kainchi thi nahi unke pass to unhone jaadu se mangwaya.....aur de diya K.Bua ke pass.....

K.Bua ne uss kaichi se kalayi kaatna shuru kiya.....aur kalayi se hote hue.....pura upar jo t-shirt pehni hui thi maine wo kaat diya unhone......aur kapde ko hatane ke baad jo dekha unhone wo dekh ke to sabhi chahunk gaye....par 10 second baad jab wo chizz dhire dhire gayab ho rahi thi uss chizz ko dekh ke to sab aur jyada chaunk gaye

Wo sab gayab hua aur Prateek ki aankhen khuli.....

Saamne sabhi ko usko ghurta dekh wo samajh nahi paaya aakhir kya chal raha hai....Usko to ye bhi samajh nahi aa raha tha ki ye Log waha aaye kaise.....

K.Bua - arre sab picche hatto.....Prateek abhi theek lag raha hai....

Main - Hmmm pata nahi thoda ajeeb.......mere kapde......Main aise kyun hu.....aur aap sab yaha kaise.....

Jwala abhi bhi mujhe dekhe jaa raha tha sirf wahi nahi sabhi......K.Bua uske pass mein hi thi to usko ek baar dhirre se maara.....kyunki main ussi ko dekh raha tha....

Jwala jaise abhi neend se jaaga ho....

Jwala - haa....kya....kya kaha tumne....

Main - Ye sab yaha kaise tumne bulaya....

Jwala - woo....haa maine hi wo tum to....tum behosh ho gaye the naa......

Main - Mere kapde....ye kisne kar diya aur kyun.....

K.Bua - Arre wo tum jab behosh hue naa uss waqt usme kuch lag gaya tha...aur tumko utha ke usko nikal nahi sakte the naa to aisa karna pada....tum chinta mat karo naya leke de denge....ab ye batao kaisa lag raha hai....

Main (mann mein) - Hmm ab koi jalan nahi ho rahi hai.....ab to sab sahi hi hai....

K.Bua - Prateek theek ho naa....

Main - Haa Bua ab theek hu,.....wo pata nahi kya hua tha aur Main behosh ho gaya.....

K.Bua - hmm chinta mat karo....ye bas aise hi tha.....sayad tumhara element thoda aur takatwar ho raha hoga......hmm accha ye tumhara spirit animal kya tha Prateek batana jarra....

Main - (mann mein) Spirit animal ke bare mein kyun puch rahi hai ye inko to pata hi hai maine ek chuhha bataya tha.....kuch to hua hai....

Main - Bua aap to jaanti hi ho wo ek Chuha hai....

Bua - Kavita ye theek hai naa.....

K.Bua - hmm theek hai...par sayad aaram chahiye hoga isko thoda....

Bua - nahi isko koi aaram nahi chahiye.....Jwala hum sab ko school jaana hai abhi.....iske medical centre mein....

Bua ekdum se gusse mein lag rahi thi...pakka kuch to hua tha mere behosh hone pe.....

Jwala ne portal khola aur saare usse hote hue pahuch gaye K.Bua ke medical department mein.....wo Jwala.....wo binna bulaye aa gaya waha pe.....

Bua - iska Spirit animal check karo abhi....mujhe dekhna hai kya hai....

Main - Bua aapko to .....

Bua - Tumse puccha kuch......Kavita.....dhyaan rahe koi bhi aisa magic jo iske spirit animal ko chupane ki koshish kare wo bekkar ho jaana chahiye....

K.Bua - Poonam shant ho jaao koi to wajah rahi hogi naa.....

Bua - wahaj......nahi....pahle to check karo tum.....aur tum....tum kya kar rahe ho yaha pe.....

Jwala - Main....wo..wo main bhi dekhne aaya tha.....wo....

Bua - tum judde hue ho naa isse.....ye koi bhi magic nahi kar paaye dhyaan rakhna iska....

Main - Dhruv ab kya.....ye to Albus cooper sab jaan jaayenge....

Dhruv ki aawaj hi nahi aayi....wo sala tha hi nahi jaise waha....

Bua - Nikita bacchu dhyaan rakhna tum bhi....koi jaadu nahi hona chahiye....

Nikita ko samajh nahi aa raha tha wo kaise samjhaye ki Main koi jaadu karu to usko pata nahi chalne wala......

K.Bua to lag bhi gayi thi apne kaam pe.....aur Rupal didi mujhe dekhe jaa rahi thi.....chup chap....

Main yaha Dhruv se baat karne ki koshish kar raha tha par wo kuch bol hi nahi raha tha.....pata nahi isko hua kya tha....

K.Bua ne mera haath pakda aur usko apne saath leke aaye hue ek pathr pe rakh diya.....

K.Bua - Haath mat hatana....

Main - Bua aap jaanti ho naa ph.....

Rupal didi - teri to.....itni baatein nahi batayi hai isne.....

wo aise hi bolte hue yaha waha dekhne lagi jaise koi cheez dhudh rahi ho.....nicche ek danda jaisa kuch milla unko.....

K.Bua - arre Rupal rukko tum....ye kya maar dogi usko ab.....

Bua - Jor se Rupal.....

Main - Didi.....ye kya kar rahi ho....

Bahut zor se dande se mujhe maara tha....par danda tut gaya aur mujhe kuch nahi hua....

K.Bua - Paagal ho gayi ho dono.....aur tumko bhi akal nahi hai Poonam rookne ke wajayi aur zor se maarne bol rahi ho...kuch ho jaata to....jaruri thodi hota hai jo dikh raha hai wahi hoga.....Prateek dard to nahi ho raha hai naa....

Bua - Kuch nahi hua hai isko....tum wo dekho image taiyaar hui yaa nahi......bas ek baar jo hum soch rahe hai wo sahi nikal jaaye.....isko phir main....

Main - Mera spirit animal ek dragon hai.....theek hai naa ab....ab bas bhi karo...aap sab....

Nikita - ek....sirf ek.....

Main (usko ghurta hua) - 2 hai 2 dragons hai wo.....

Bua - to pahle kyun nahi bataya.....Main kitni uddas thi iss baat ko leke aur tumne....tumne jhoot bol diya tha...

Main - Bua main nahi bolna chahta tha par main khud samajh nahi paa raha tha....maine Master tak ko nahi bataya hai iske baare mein....

Rupal didi - isme chuppane wali kya baat thi...ye to aur batane wali baat hai pagal tumhare pass dragons hai 2 dragons....

K.Bua - hmm mujhe nahi lagta Rupal ye batane wali baat hai.....ek tarah se ye accha hi hai.....kuch chizzen chuppi hui hoti hai to accha hota hai....

Abhi wo kuch aage bolti usse pahle K.Bua ka phone bajja....

K.Bua - Bhabhi ka call hai.....

K.Bua ne call accept kiya.....

K.Bua - kya.....aap school mein ho....

....................................

K.Bua - wo....wo to staff room mein hi honge....aapne kisi se puccha nahi....

...................................

K.Bua - aisa kaha.....kisne kaha....aap ek kaam karo....aap....medical department mein aao hum yahi hai....

Itna bol ke unhone call cut kar diya.....

K.Bua - Ye Bhabhi yaha pe prof. Daksh se milne ko kyun aayi hai.....aur tum sab ka phone kya hua....wo kab se try kar rahi thi.....

Rupal didi ne apna phone dekha to wo nahi tha waha pe wo sayad ghar pr chod aayi thi waise hi Nikita ka bhi tha....aur Bua ka discharge ho chuka tha.....

Bua - Par tunne unko yaha pe kyun bulla liya pagal.....wo bhi jaan jaayegi ye sab....

Chachi - Kya sab....aur pagal kisko kaha Poonam mujhe pagal bol rahi hai.....

Wo to accha hua Jwala ne khud ko gayab kar liya tha warna wo bhi dekh liya jaata.....

Chachi - Ye....ye aise kyun leta hua hai...iske kapde kaha gaye....

Rupal didi - Mummy wo isko chakkar aa gaye the wapas se to check karne ko yaha aa gaye.....

Chachi - Kya.....

K.Bua - ab theek hai Bhabhi....waise aap yaha pe....

Chachi - Arre wo Pankaj se baat karlu socha tha aakhir kya maazra hai ki wo tum sab ke saath nahi rahta wo milla nahi ghar pe to uske papa se baat karne ka socha taaki wo samjha sakke usko....waise innn sab mein mujhe tum sab ka hi haath lag raha hai,,,,,

Bua - Nahi Bha hi aisa kuch nahi hai....rukko aapko Prof. Daksh se milna hai naa Main le chalti hu aapko....unse kar lena baat waise office mein hi honge wo....

Chachi - Arre nahi jaane diya mujhe....maine kaha tumhari bhabhi hu to bolta hai jab tum aaogi tab aana.....

Bua - ye naya aaya hoga koi.....aap chalo main dekhti hu.....Rupal isko kapde de dena....aur ghar jaao waha baat karenge...

Wahi Pankaj abhi Leader ke saath tha....Pankaj ne usse kaha tha sayad koi aur bhi rasta ho uski beti ko dhundhne ka....aur wo raasta hokke jaata tha Earth pe Magical creatures ke headoffie se.....ye ek aisi jaghah thi jaha pe lagbhag sabhi magical creatures ki entry hoti thi.....chahe wo koi Insan aur magical creature ka khoon hi kyun naa ho....isse koi matlab nahi hota tha....aur inn sab ki dekh rekh Strange world se aaye hue wo mota aadmi karta tha jo hamare ghar aaya tha.....yaha pe iske bahut se connections the....

Pankaj bhi yaha pe Strange world se hi aaya hua tha uske Papa yaani Daksh Mama ke saath to inn janab se ek do baar mulakat ho chukki thi iski....

Leader - Par bete wo mujhe yaha dekh ke hi samajh jaayega main kisi chizz ko leke aaya hu yaha pe....

Pankaj - sayad....par kya wo ye jaan paayega ki aap yaha pe apni beti ko dhundhne ke liye aaye ho....

Leader - wahi to baat hai....ab main usse milne gaya to wo pakka hai ki mujhse puchega kyun aaye ho...aur main kisi bhi chizz yaa koi bhi bande ka naam lunga ye log uspe nazar rakhna shuru kar denge....

Pankaj - To Main chala jaata hu naa....waha pe bas aapke energy signature kko deke bolna hi hai ki isse match karne wali energy signature ke baare mein patta karna hai....

Leader - Main bhi yaha rah chukka hu....unko pata chal jaayega...

Pankaj - Main bol dunga School ka project hai.....unhone ek energy signature diya hai aur bola hai pata lagane ki kiska hai ye....yaa iss jaise aur kitne hai aur unn sab ki jaankari.....

Leader - Par wo kuch puchenge nahi ki kisne dia hai aisa project aur sirf tum hi kyun aaye.....koi aur kyun nahi...

Pankaj - hmm ye samasya hai....haa ye sahi rahega.....par mujhe kisi Prof se milna hoga jo ye kar de.....

Leader - tumne bataya tha tumhare Papa bhi Prof hai to phir unse kara lo.....

Pankaj - Papa isme saath nahi dene wale mera....koi aur chahiye.....jo aasani se kar de ye....

Leader - Karana kya hai....

Pankaj - punishment maangni hai.....

Leader - to tum bolne wale ho ki tumko punishment milli hui hai....aur iss wajah se tum ye sab karne jaa rahe ho waha pe....sahib dimmag lagaya hai....ab Prof dhundhna hai naa bas....

Pankaj - hmm...waise 1 hai to....par unke pass jaane ka mann nahi hai....wo log....wo samajhte hi nahi hai......

Leader - ye Koi ek.....log kab se kahe jaane lag gaye....

pankaj - Prof to ek hi hai....Prof Poonam par unke saath 3 aur log hote hai.....unn tinno ko main galat lagta hu.....manna main galat tha....par wo pahle ki baat thi naa ab main change hone laga hu naa....aap hi batao main accha nahi hu kya...

Leader - Mere liye to acche hi ho....meri madad kar rahe ho....par beta ye duniya...ye yaha ke log....ye bade hi ajeeb hote hai.....ek baar inhone aapko dekh ke jo decide kar liya naa wo soch badi muskil se badal paati hai....ab mere baare mein lelo....Maine tumko apne baare mein bataya tum darre the naa.....par kya main aise hi sabko maarta phirta hu......wo darr....wo soch hai sabki mujhe leke....aur main ab sayad hi iss soch ko kabhi badal paaunga......lekin tum....tum badal sakte ho...aur itne mein haar to mat maano...

Pankaj - haa iss baare mein kabhi baat karenge...abhi to Prof Poonam ke pass chalte hai.....unke pass jaane ke kuch faayde to hai hi.....agar Papa ko pata bhi chala ki mujh punishment inhone di hai to wo naa to Prof se kuch kahenge aur naa hi mujhse....haa ek baar bas thoda samjha denge.....

Leader - Abhi kaha hongi ye aapki Prof.....kaho to abhi le chalta hu....aaj tumko main kuch khass dikhata hu....

Pankaj - Kya aapke pass....koi udne wala jeev hai jispe baith ke jaayenge hum.....yaa kuch aur.....Aap leader ho Fumos ke aapke pass to bahut kuch khass hoga naa....

Leader - :redface: Portal se jaane ko bol raha tha...aur tum to pata nahi kaha kaha ke sapne liye baithe ho....batao kaha hai wo....

Pankaj - ek minute abhi pata karta hu....ye Prateek ko to pata hoga hi....

Pankaj ne Mujhe call kiya par call lagi nahi....

Pankaj - sayad isne bhi mujhe block kar diya hai....Kavita madam hoti hai hamesha unke saath sayad unko pata ho....

Pankaj ne fir K.Bua ko call kiya.....

K.Bua - Hello kaun.....

Pankaj - Main Pankaj bol raha hu....kya aapko pata hai Prof Poonam kaha hai....

K.Bua - Poonam....haa haa...wo yahi hai mere pass.....tum aa jaao yaha pe....ye mere department mein....

Pankaj - Accha....par main akela nahi hu...aur inko aane nahi denge ander....

K.Bua - Pankaj hi bol rahe ho naa.....ye aisi baatein to nahi karta tha wo.....naa jaane kitno ko yun hi school mein leke aaya hua hai wo..

Pankaj - Hmm theek hai Main aata hu....

Pankaj - chaliye pata chal gaya hai....aap bhi sath mein chalo....

Leader - Par Beta kisi ne pahchan liya to....dikkat ho jaayegi....

Pankaj - Aapko yaha pe jyada log nahi pahchante aur roop badal lo nahi to...bas isse aapko aur bhi nahi pahchan paayega koi....chalo ab kholo apna portal.....waha ke liye jaha pe hum mille the....

Ye dono aane ko ready the wahi Pankaj ke swagat ke liye Rupal didi ready ho gayi thi......Isske wajah se 2-3 baar unko daant sunni paddi thi....

Darasal jaise hi phone pe pata chala ki ye Pankaj hai Rupal didi ne K.Bua se usko yaha aane ko bolne bola.....

Kuch der hui aur wo aa gaya waha pe par uske saath koi aur bhi tha....pata nahi kaun tha ye.....dekhne se hi lag raha tha iski daadhi nakli hai....aur kaan bhi elf ke to bilkul nahi the.....Goblin sayad Goblin ho par isko Goblin kaha se mil gaya....

Pankaj aaya aur binna koi der kiye...usne puccha....

Pankaj - Kavita miss kaha pe hai Prof Poonam mujhe unse jaruri kaam hai....

Rupal didi - jarra humse bhi mil lo Bua se thodi der mein mill lena....

Pankaj apna sar khujane lag gaya ki ye inko hua kya hai aaj tak aise to kabhi nahi kaha......

Par Rupal didi to full ready thi unhone apna haath picche se aage kiya aur ek chutki bajayi.....yaha pe hona ye chahiye tha ki pankaj thodi dur jaake girta.....par asal mein hua ye ki Rupal didi gir gayi.....

K.Bua - arre....ye kya hua....tum gir kaise gayi....

Leader - Kabhi kabhi dusron ko girane ke chakkar mein log khud gir jaate hai....Bete mujhe nahi lagta ye koi madad karne wale hai....chalo yaha se....

Pankaj - Rukiye....ek minute....Rupal Main to yaha pe bas Prof se baat karne aaya tha......isme itna gussa kya hona....ab kya unse koi sawal bhi nahi kar sakta main....kya chahti ho school chod du...taaki tum aur tumhare iss gang se dur rah sakku....

Rupal didi - Tum samajhte kya ho khud ko......jyada juban chalayi to samajh lena....

Leader - Samajh aap jaaye beta....ye abhi meri madad kar raha hai....aur iss waqt....ek chitti tak isko kaat nahi sakti....samjhe...chalo yaha se....ye log kaabil nahi hai tumha...

Nikita - Aap hote kaun ho ye sab bolne wale...aur ye hamara aapas ka maamla hai aap kyun bich mein aa rahe ho....

Pankaj - aapas ka maamla.....kaun sa maamla.....maine tum sab mein kisi ko kuch nahi kaha.....jo pichli baatein ho chukki thi unn sab ki maafi maangi hai....aur phir bhi ye kar rahe ho tum sab....aapsi maamla....tum sab to bas mujhe ignore karne mein lage rahte ho....aisa jaise main tum sab ko bigad dunga....kitni baar kahu badal raha hu main...main koshish karta jaa raha hu aur behtaar banne ki par tumko inn sab se kuch hai hi nahi....to theek hai tum apne jagah raho main apne jagah.....Aur haa Aunty se bol dena ki ab tum sab ke saath koi jabardasti karne ki jarurat nahi hai....mujhe apne saath rakhne ki....Main akela hi theek hu.....chaliye yaha se....aapne sahi kaha ye mere liye sahi nahi hai....

Pankaj itna bol waha se nikal gaya....Inn sab ke dauraan Jwala wahi par tha....par usko kuch karne ki koi jarurat hi nahi thi.....usne khud dekha ki yaha pe galti kiski thi....aur inn choti choti baateon mein wo thodi aayega bich mein.....

K.Bua - Tum theek ho Rupal......chott to nahi lagi....

Rupal didi - Main theek hu.....par.....isko ab nahi chodne wali main....isko maar hi dungi....mujhse aise baat karne ki himmat kaise hui iski....

K.Bua - pagal ho kya....shant ho jaao.....sayad ye pareshan hoga kisi kaaran se.....

Rupal didi - nahi....isko Bua se baat karni hai naa main karaungi baat iski....Nikita chalo tum....

Binna kuch sunne...Nikita ka haath pakda aur khinchte hue usko leke chali gayi wo......

Wahi bahar aane ke baad Leader Pankaj ko dekh raha tha.....wo samajh raha tha ki ye banda sach mein koshish kar raha hai......

Leader - Koi baat nahi Bacche....hum baad mein mill lenge tumhari uss prof se....abhi tum theek nahi lag rahe....chalo mere saath,....tumhe kuch sikhaya jaaye aaj....

Pankaj - Nahi...aap jaao mera mood kharab ho gaya hai....aapne dekha naa....maine kuch kiya kya....main to unki baat samajh ke unke pass bhi nahi jaa raha tha.....main nahi chahta meri wajah se wo sab wo naa kar paaye jo unko karna hai....main to bas....

Leaderr - arre koi baat nahi....bas yahi log thodi hai yaha pe......tumko dost banane hai...main hu naa dost.....aur bhi bahut se log mil jaayenge yaha pe jo dost ban jaayenge tumhare....bhul jaao unko....

Pankaj - hmm sahi kaha....par abhi humko jaana hai Prof Poon....

Wo baat puri karta usse pahle hi waha pe Rupal didi aur Nikita pahuch gayi.....

Rupal didi - Bua se milna hai naa tumhare Papa se hi milne gayi hai wo.....par yaad rahe.....ab koi madad nahi karne wali wo....

Leader - Bacchi shant raho.....jo bhi ander hua hai...agar wo tumhe apni beizzati lag rahi hai to wo khud karayi hai tumne.....

Rupal didi - Umar mein badde ho aap....issliye acche se baat kar rahi hu.....hamare bich mein mat aao.....accha nahi hoga warna.....

Pankaj - Chaliye aap.....hum Prof se mill aate hai.....

Pankaj Leader ko leke apne Papa ke cabin ki oor chal pada.....wahi Rupal didi jo aate waqt K.Bua ka phone leke aayi thi unhone Bua ko message kar diya ki Pankaj ki madad naa kare....

Pankaj ne leader ko apne Papa ke cabin ke bahar rukne ko kaha aur khud ander aane ki permission maangi.....

Ander abhi Chachi , Bua aur saath mein Daksh Mama bhi the....aur wo baatein kar rahe the...

Daksh - haa aao ander....tumhare baare mein hi baatein ho rahi hai....

Chachi - Beta tum aaye nahi the.....aur maine bhi call kiya tumne call nahi pick kiya....kya baat hai kisi ne kuch kaha kya....

Pankaj - Nahi aunty aisi koi baat nahi hai....wo darasal maine dekha hai jab main unn sab ke sath hota hu to acche se nahi rah paate sayad wo mujhe pasand bhi nahi karte....to bas maine socha kyun bekar mein unn sab ko pareshan kiya jaaye.....main aise hi sahi hu....Papa aapko bhi chinta karne ki jarurat nahi hai.....main ab koi galat kaam to nahi hi karunga.....

Chachi - Par beta aisa nahi hai.....wo tumhare hone se pareshan nahi hote....

Pankaj - Aunty main rahta hu unke saath aur itni samajh to hai kaun mere maujood hone se khus hai aur kaun nahi....Prof Mujhe aapse kuch baat karni thi....

Bua - hmm bolo.....

Pankaj yaha waha dekhne lagta hai.....

Chachi - Poonam jaao iske saath bahar jaao aur dekho kya baat hai.....main....main bhi nikalti hu Daksh ji.....aur maaf kariyega main apna wada pura naa kar sakki...

Daksh - hmm theek hai.,...

Chachi waha se chali gayi....aur jaate hue ek baar wapas se Pankaj ki oor dekha.....

wahi Bua Pankaj ko leke bahar aayi.....bahar Leader baitha hua tha....

Bua - tum pahle apni baat batao usse pahle meri bhi baat sunn lo....maine sunna waha ander kya kaha tumne....pata nahi kyun tumko aisa laga par ye sahi nahi hai....koi tumhare hone se pareshan nahi tha....

Pankaj - Prof iss baare mein naa hi baat kare to sahi hai....abhi nicche jo kuch hua usse jo thoda thoda lag raha tha ab wo purra pakka ho chukka hai...aur agar wo mujhse pareshan nahi the to phir kyun Nikita wo gayab honewali anguthi pehen ke rakhti thi.....aur wo usko apne hi diya hoga naa.....sab mujhse pareshan hi rahte hai....yaha tak ki mere papa bhi....aap sab se kya kahna iske baare mein.....aap bas meri ek madad kar dijiyega....iske baad class ke alawa sayad hi kabhi aapko yaa aapke sath rahne wale logo ko apni sakal dikhaunga....

Bua - aisi koi baat nahi hai pankaj.......aur tum ye sab kya soch rahe.....

Pankaj - Please Prof....ab aur nahi bas aap meri baat sunno aur agar help kar sakko to theek hai nahi to aap bata do main abhi se chala jaaunga....

Bua - theeek hai batao kya madad chahiye tumko....

Pankaj - ek punishment chahiye mujhe.....

Bua - Pankaj tum theek ho naa......dekho ye sab chalta rahta hai par inn sab ki wajah se itna depress nahi ho jaate ki khud ko dard dena shuru kar de......

Pankaj - aapko jo samajhna hai aap samjho....mujhe bas aap ek kagaz pe likh ke ye dedo ki aap mujhe energy signature pe ek project de rahi ho as punishment.....reasons ki kammi to hai nahi.....agar kam pade....to kuch bhi likh dijiyega mujhe matlab nahi hai....

Bua - Pankaj tum samajh nahi rahe.....tum iss waqt theek nahi ho....tum chalo abhi mere saath....

Pankaj - maine ander hi kah diya tha jo kahna tha mujhe ab aapke saath yaa unn sab ke pass......main nahi aa sakunga....aap bas ye bataiye aap mujhe ye punishment doge yaa nahi......

Bua ne kuch der to socha......energy signatires pe ek project waise to ye koi dardnaak kaam nahi hai....unko laga sayad ye khud ko busy karna chahta hai iss wajah se aisa kuch kaam maang raha hai.....Bua ne ek paper pe likh ke de diya usko.....

Pankaj bhi khushi khushi uss paper ko leke thanks bolke waha se nikal gaya leader ko leke.....wahi Bua usko dekhti rahi....

Bua nicche hum sab ke pass aayi to waha Chachi bhi thi.....thodi hattash si baith hui thi mere bagal mein.....

Bua - Bhabhi aap jaisa samajh rahi ho waisa kuch bhi nahi hai.....

Chachi - Main ab kuch samajhna hi nahi chahti.....sab theek hai....log khudgarz hote hai pata hona chahiye tha mujhe chahe wo mere apne hi kyun naa ho....wo bhi khudgarz honge hi....khair chodo inn sab ko......mujhe kahi kaam se janna hai...sham ko khana khane aa jaana sabhi....

Chachi bhi itna bol ke waha se nikal gayi....

Bua - Kya hua tha yaha pe.....

Rupal didi - Pata nahi Mummy bahut ajeeb baatein kar rahi thi aapne bhi sunna naa.....

Bua - wo nahi usse pahle kya hua tha...aur Pankaj yaha pe aaya tha na.....

Rupal didi - aapne uski help nahi ki naa......wo mere saath batamizzi kar raha tha mujhe sunna raha tha....

K.Bua - galti bhi tumhari the.....

K.Bua ne jo bhi hua jaise bhi hua wo sab unko bataya.....aur uske baad Bua ne jo upar hua wo sab yaha sabko bataya.....

Rupal didi - dekha...iss baar bhi iski wajah se Mummy naraz ho gayi hai.....isko chodungi.....

Bua - Tumko samajh nahi aa raha......kab tak baccho ki tarah baatein karti rahogi.....jaise wo baat karr raha tha aisa lag raha tha jaise ekdum se tut gaya hai wo....aur uske iss halat mein laane mein hum sab ka haath hai....mera haath hai...

K.Bua - Mujhe lagta hai humko usse baat karni chahiye....

Nikita - jab wo jaa raha hai to kyun uske picche jaana rahne dete hai naa usko apne haal pe....aur hum khud mein khush rahte hai....

Bua - jab tum behosh padi hui thi naa tab maine ye Kavita naa....wo tumhari didi....Rupal ne yaa ye Prateek ne nahi dhundha tha tumko.....wo Pankaj tha jisne dhundha tha tumko....usne aisa socha hota naa to abhi kya hota wo tum soch bhi nahi sakti...ussi haal mein chod dete hai.....sach mein itne khudgarz hai hum sab....maine socha bhi nahi tha....

Main - Bua main baat karke dekhunga usse....aap chunta mat karo....waise bhi wo mujhse baat karne ko pagal hua rahta hai.....mera khayal rakhne ke liye koi baccho wali kitab padh ke aaya tha wo....

K.Bua - Uske saath ek aadmi tha...usko bhi dekha tha kya tumne Poonam.....

Bua - Haa dekha tha.....uska kya,...

K.Bua - Pankaj bol raha tha wo ussi ki madad kar raha hai....kahi wo koi galat kaam to nahi kara raha naa usse....

Bua - laga to nahi tha aisa.....Tum sab raho yaha main dekhti hu usko....

Main - Arre Bua Old Owl ke logo ko bhej deta hu naa...yaa phir Jwala ke log...

Bua - kabhi kabhi kuch khud bhi karna hota hai.....tum samajh nahi paaoge.....

Bua waha se chali gayi.....ye pata nahi kya ho raha tha.....Pankaj ko leke itna serious ho jaana mazzak jaisa lag raha tha.....

Aaj ke liye itna hi rakhte hai aage ke update mein dekh lenge Nikita kya kya batati hai shaitaano ke baare mein aur ye Prateek mandir tak pahuca to usko aisa kya ho gaya.....aur saath hi dekhenge.....Strange world ki ek choti si ladayi
AMAZING update
 

ANUJ KUMAR

Well-Known Member
2,669
13,384
158
UPDATE - 76

Strange world mein iss waqt Nix samuday ke logo ke bich baatein ho rahi thi.....

Mandir mein log aaye hue the aur baatein kar rahe the.....devta ki murti ki aakhen aaj chamak rahi thi....sabhi ussi ko dekhne aaye the....Pujari ji iss waqt uss Ladki ko kahi leke gaye hue the training ke liye....iss baat ki khabar kisi ko nahi thi....wo jab yaha pe thodi der mein pahuche to unhone dekha ki kaise sabhi log mandir ke pass aake khade hue the....Ladki unse thodi picche thi....jab unhone bhi sunna ki mandir mein devta ki murti ki aankhen chamak rahi hai.....wo turant waha dekhne chale gaye uss chizz ko....aur jaise hi wo waha pe pahuche aur unki nazar unn chamakti hui aankhon pe padi....thodi der mein hi wo normal h gayi.....wo picche mudde aur wo ladki waha pe maujud thi...

Ladki - Kya hua.....log to bol rahe the murti ki aakhen chamak rahi hai....ye to theek hai....

Pujari -(mann mein) wo iss waqt yaha pe aaya tha.....par taiyaar nahi hai wo.....hamare devta ne apna wadda nibhaya hai....

Ladki - kya hua.....kaha kho gaye aap.....

Pujari ji - Nahi kuch nahi......ab sab theek hai.....(thoda rukk ke) lagta hai koi milne aaya tha tumse......chalo pata kar aate hai.....

Ladki - Mujhse yaha kaun milne aayega.....ek jo mujhe jaanta tha wo jail mein hai jaha se wo nikal nahi sakta aur to koi baccha nahi jo jaanta ho mujhe.....

Pujari ji - kabhi kabhi mil jaate hai log jinse anjaane mein jaan pahchan ho jaati hai.....chalo dekh aate hai....

Ladki - chaliye......main bhi dekhti hu kaun mujhse yaha milne aa gaya tha.....

Pujari - hmmm accha meri ek baat sunno iss murti ke pass thodi safayi kar do aur picche ke bagiche se kuch Jal-Phool chadha do waha par....

Ladki - Ji theek hai....

Pujari ji Ladki ko kaam pe laga ke waha se nikal jaate hai jaha pe log baatein kar rahe the.....

Pujari ji - Sab theek hai....hamare devta apnakiya hua wadda pura kar rahe the....abhi sab sahi hai....

Unki baat sunne ke baad ek pal ko sab shant hue aur uske turant baad hi saare ek dusre se dhire dhire baatein karne lage....

Pujari ji - Koi bahar se aaya tha kya....kisi ko iss baare mein koi khabar hai......kabile ki rusaksha kaun kaun kar rahe the....

Unke aisa puchne pe wo banda saamne aa gaya jisne Prateek ko uss Mandir ko dikhaya tha....

Wo - Ji Pujari ji Maine dekha tha.....ek insani ladka tha usne kaha ki uss ladki se milne aaya hai....

Pujari ji - Usne kaha aur tumne maan liya.....

Wo - Pujari ji aap hi ne kaha tha kitab mein likha hai ki humko insano ki madad karni hai.....aur wo bhi insan hi tha aur usne kaha wo jaanta hai ladki ko aur usse milne aaya hai....

Pujari ji - hmm par aage se jab bhi koi insan aaye to usko pahle mujhse milwana wo bhi mandir se dur samjhe.....mandir ke pass nahi leke jaana hai aur naa hi bhaga dena hai....

Wo - theek hai pujari ji ab jaisa aap kahe wahi karenge....

Utne mein wo ladki bhi bahar aa gayi....

Ladki - Chaliye pujari ji dekhte hai kaun milne aaya tha mujhse....

Pujari ji - hmm ye dekho isse ne dekha tha usko.....chalo ab tum hum dono ko uski tasweer dikhao....

Wo banda taalab ke pass jaata hai apna haath talab ke panni mein rakhta hai aur dhire se dhumata hai aur aakhen band karke kuch bolta hai jiske baad paani thoda hilne lag jaata hai aur usme ek aakriti ban jaati hai....

Ladki - ye....ye to wo hai....

Pujari ji - abhi kuuch der pahle kaha tha tumko kaun hi jaanta hai...aur dekho tum bhi isko jaanti ho aur wo bhi jaanta hai tumko....

Ladki - nahi main nahi jaanti isko...ye bas mil gaya tha mujhe,....aapko pata hai iske pass,....

Pujari ji - arre ander chal ke baatein kar lenge....aur aap sab....aap apne apne kaamon pe lag jaaiye....jab tak ye ladki yaha hai....ye jagah hamare liye sabse surakshit hai....ab jaaiye aap sab...

Sabhi log waha se chale gaye par unke dimmag mein ye bhi chalne laga aakhir Pujari ji ne aakhiri baat ye kyun kahi jab tak ye ladki yaha hai sab surakshit hai.....

Wahi Ladki ko leke Pujari ji wapas se Mandir mein chale gaye.....

Pujari ji - hmm Jal-Phool ek dum sahi chunn ke laati ho tum....tumse accha koi nahi laata itne taaze Jal-Phool....tumhe pata ha hamare devta ko Jal phool sabse adhik issi tarah ka accha lagta hai....

Ladki - ab main kaise jaanungi iss baat ko aapne bataya hi nahi kabhi....khair main kya kah rahi thi uss bande ke pass naa......bahut bada sa ullu tha....

Pujari ji - hmm hoga....rukko....yaha aao....

Pass mein hi ek katora jaisa kuch bana hua tha diwar se satte hue...usme bhi oaani rakha hua tha aur ek Jal-Phool rakha hua tha.....

Pujari Ji ne uss Jal- Phool ko aone haath se thoda sa side kiya....aur Ladki ko paani mein dekhne ko bola.....

Ladki ne jaise hi paani mein dekha uski aakhen badi ho gaye.....wo ekdum se shocked ho gayi....wo kuch bolne ko hui par tabhi Pujari ji ne usko chup rahne ka ishara kiya aur muskurane lage

Pujari ji ne usko apne saath aane ko kaha.....

Wo ladki unke saath chali gayi...aur jaane ke saath hi kaha....

Ladki - waisa hi par usse aur bada....usse aur bada tha wo ullu.....

Pujari ji - hmm main pata kar raha hu ye sab hai kaun aur kaha se aaye hai....par itna tay hai ye sab ussi ladke ke saath hai....tumpe nazar rakhne ko isko bheja hai yaha pe...

Ladki - Mujhpe nazar par kyun main to.....maine kiya hi kya hai uske liye.....

Pujari ji - kya kiya hai kya karogi....wo waqt pe pata chal jaayega....abhi isko pareshan mat karna usko pata nahi chalna chahiye humko uske baare mein pata hai....

Ladki - kab se hai ye mere picche...

Pujari ji - Kab se hai iska pata nahi hai....par ye wala jo hai....ye yahi ko 2 din pahle aaya hai...accha ab ye sab chodo aur dhyaan pe baitho....bahut baatein ho gayi...

Chaliye inko chode hum ek baar Bua ke pass chalte hai.....

Bua ban gayi thi jaasos....wo jab se hamare pass se nikli tab se bas Pankaj ko dhundhne mein lagi hui thi....par wo mil nahi raha tha....milta kaise Leader ne portal se usko waha se nikala tha...aur dono jaa pahuche the magical creatures ke head office ki taraf......uske theek paas nahi jaa [ahuche the wo wo usse thoda bahut dur aa gaye the.....phir Leader se thodi der baat karne pe Pankaj chal pada uss office ki oor.....latka hua muh leke aur thoda gusse mein.....

Kuch guards khade hue the waha unhone usko roka....par usne apna school ka id aur saath hi Magical creatures ki special id dikha di.....jiske baad usko ander jaane de diya gaya....

Wo ander aaya to ander bahut se log the.....puri bhari hui thi ye jagah....koi apni ID ke validity ko badalwane aaya hua tha....koi apne bacho ka birth certficate lene aaya hua tha koi kuch koi kuch....bhara pada tha pura ka pura jagah........

Pankaj chukki pahle bhi aa chuka tha to wo jaanta tha wo mota aadmi kaha baithta hai jo yaha ka head kaha jaata hai.....wo uske pass jaane laga....par waha pe abhi koi meeting chal rahi thi to usko rukna pada.....jab tak meeting khatam hui tab tak office band hone ka time ho chukka tha....wi aadmi nikla bahar...aur usne dekha Pankaj baitha hua hai....naam se to nahi yaad tha par chahre se pahchan gaya wo......

Wo - tum....iss baar bhi koi gadbad kar di kya.....

Pankaj latka hua muh uski oor ghumma ke bola

Pankaj - nahi sir.....wo ek prof hai naa school mein....naraz ho gayi aur.....

Kagaz unko dikhane laga.....

Pankaj - ye punishment mein de diya hai...

Wo - :lol: issi wajah se muh latka hua hai....kya nam hai ye....Pankaj haa.....to Pankaj beta aaj to band karne ka time ho gaya hai....aur kal se classes honi hai tumhari hai naa.....to ek kaam karna sham ke waqt aa jaana main kisi ko yaha bol dunga tumhari help kar dega files nikalne mein....kitabein nikalne mein....par sab wapas theek se khud rakhna hoga...agar nahi to isse bhi khatarnaak sazza mein dunga....Prof Daksh ke bete ho naa tum.....

Pankaj - Haa....par sir kya aapke yaha pe wo insan jo computer use karte hai usse nahi kar sakta main isse jaldi ho jaayega mera kaam....aapko to pata hai mujh jaise student ke liye kitna waqt lag jaayega insab mein...aur isse aap sab ko bhi pareshani hogi...

Wo - Chalak ho....par bete abhi wo technoloy ko manjuri nahi milli hai strange world ki orr se....aur Orion aur Titan pe to baat hi nahi pahuchi hai....to aise mein madad nahi hi kar paaunga koi...tumko file se hi karna hoga jo karna hai...

Pankaj - theek hai sir.....aapka bahut bahut sukriya....madad ke liye....main kal aata hu phir....

Wo - haa haa jarur aana....

Pankaj iss baar sach mein muh latkaaye wapas aa gaya tha....usko laga tha ki computer naa sahi koi Orion ka banda de diya jaayega usko madad ke liye....wo magicians uska kaam sayd thoda jaldi kar dete....par yaha pe bhi wahi haal hai....

Leader ne dekha pankaj muh latkaaye hue aaya hai waha pe...

Leader - arre kya baat hai....nahi allow kiya kya....

Pankaj - Allow to kar diya hai par yaha bhi wahi kagaz walasystem hi hai maine socha Computer hoga yaha pe....khabar aayi thi computer ko leke baatein chal rahi hai....jisse Orion se aane walo ko bhi sahuliyat ho jaayegi.....saath mein unn insano ko bhi yaha pe kaam diya jaa sakta tha jo magical creatures se judde hue hai....par magic ye sab nahi aata unko....khair ab yaha bhi khud hi dhundhna hoga...

Leader - arre koi baat nahi dekhte hai sayad kuch mil jaaye....accha chalo ab kuch sikhane ke baare mein kaha tha wo bata deta hu....kisi ke jaadu ko modna aata hai tumko....

Pankaj - Jaadu mod dena.....ye sunna hai par kabhi dekha nahi aur kisi ne bataya bhi nahi abhi tak....

Leader - wo iss wajah se kyunki abhi tum uss level tak pahuche nahi ho....par mere hisab se magic level ke hisab se nahi level ko magic ke hisab se rakhna chahiye....jitna jyada aapko aata hai utne upar ke level pe aap rahoge....wo sahi hota....maine socha tha ye sab apni Beti ko sikhaunga....par tum....tum bahut acche ho bete....merin itni madad kar rahe ho to mera bhi kuch karne ka mann karne laga...aur ab main tumko iska trick batata hu.....

Pankaj pura exited hoke sunne laga....

Leader - aayne ko dekha hai kaise wo humko humhi se milwa deta hai.....uss aayene ki tarah ban sakko to ban jaao......dusre ke magic ko ussi se milwa doge tum.....dimmag ekdum khali kar lena hota hai isme....fir khud ko aur apne saamne wale ko ek hi samjho....kahte hai matron mein bhi akal hoti hai...unko bewakooof bana diya to sab jeet jaaoge tum.....jab bhi koi magic karta hai to nishana sahi lagane ko apne dimmag mein nishane ke baare mein hi sochta hai....aur tumko uss soch ko badal dena hai.....telepathy ka use karo....uske dimmag mein ussi ki tasveer daal do....wo magic karega aur magic khud ussi pe hoga....par ye kisi mukable mein karna muskil hota hai....isko hum dheeme raftaar wali ladaayion mein use kar sakte hai....

Leader ne aur bhi bahut kuch bataya uske baare mein....wahi Bua.....Bua Pankaj ki talash mein yaha waha ghum rahi thi uske ghar gay....Prof. Daksh ke pass gayi par unhone koi madad nahi ki....wo bhi thode gusse mein the....unhone dekha tha unka beta badal raha tha apr inn logo ki wajah se ab sayad wo wapas se burayi ki taraf chala jaaye iska dukh tha unko.....haa Pankaj ne kaha tha wo nahi jaayega....par kaha bas chalta hai aise chizzon mein...aise chizon mein to bas log badhte chale jaate hai agar akele ho to.....

Jab Bua Daksh Mama ke pass aayi to unhone unse as a colleague hi baat ki.....jab Bua ne unse puccha Pankaj kaha ho sakta hai to unhone baat ko taal diya tha.....aur khud bhi waha se nikal gaye....

Sham hone ko aayi thi.....sab ghar ko nikal gaye the....K.Bua hamare saath thi bas....par hokke bhi nahi thi wo bhi kisi aur soch mein hi dubbi hui thi....Main ye soch raha tha aakhir Main behosh kaise hua aur inn sab ko kaise pata chala mere spirit animals ke baare mein....Rupal didi gusse mein thi ki unko khudgarz kaha gaya wo bhi uss Pankaj ke wajah se....wahi Nikita thodi chup chap thi....

Hum jab ghar pahuche khana laga hua tha....Chacha aur dada dadi bhi aa chukke the....sab khana khaa rahe the....

Dadi - Kavita ye Poonam kaha hai wo dikh nahi rahi.....

K.Bua - Wo aunty wo aa jaayegi....bola hai school ka kuch kaam hai ussi mein busy rahegi....

Hum sab ke saamne jhoot bol diya unhone dadi se.....aisa kuch bhi nahi hua tha....

Nikita - Main jaati hu Nana Nani ke yaha....

Chachi - Beta Khana khaa lo....phir chali jaana....mujhe bhi waha thoda kaam hai main bhi chal lungi.....

Chacha - iss baar naraz hoke to nahi jaa rahi naa....

Dheere se bola tha par sunn sabne liya tha.... :lol:

Chachi ne aankh dikhate hue nahi kaha aur wapas se kitchen mein chali gayi....hum sab bhi fresh hoke aa gaye dinner ko....par K.Bua jaa chukki thi jab hum wapas aaye tab tak......puchne pe kaha ki unko bhi kaam hai kuch Bua ke saath....iss wajah se wo chali gayi....

Chachi bilkul aise behave kar rahi thi jaise kuch hua hi nahi tha...Main khud mein khoya hua tha Nikita ka bhi kuch aisa hi haal tha......wahi Rupal didi wo normal thi....unhone dekha Chachi normal hai to wo bhi normal hi ho gayi...

Khana khatam hua aur uske baad Chachi Nikita ke saath Nana Nani ke yaha chali gayi....

Main apne room mein aa gaya aur Dhruv se baat karne ki koshish karne laga.....par wo bole tab naa.....kabhi kabhi to aisa lagne lagta hai jaise wo hai hi nahi...Main kab se usko aawaj de raha tha par wo hai ki jawab hi nahi de raha tha.....

Maine Albus aur Cooper ko bola usko dhundhne ke liye......thodi der mein uski aawaj aayi.....

Dhruv - ye kya ho gaya tha.....main behosh kaise ho gaya tha....

Main - Behosh.....tum bhi......main bhi behosh ho gaya tha....aur Albus aur Cooper ke baare mein pata chal gaya unko....

Dhruv - wo abhi important nahi hai....wo pata lag hi jaana tha kabhi naa kabhi....par hum behosh kaise hue....tum behosh hote to chinta ki jyada baat nahi thi....par main bhi behosh ho gaya tha....ye kahi koi hamla to nahi tha....

Main - kya bole jaa rahe ho...hamla kaisa hamla....ek minute kahi ye dark power ka to kaam nahi naa......

Dhruv - uska nahi ho sakta....ye kuch aur hi tha....

Main - kahi wapas se koi shaitan to nahi....agar kahi ye wo ho to....

Dhruv - ye ho sakta hai....par Strange world mein shaitaan nahi hote.....unka to Earth pe bhi aana manna hai wo yaha pe kaise aaye ye bhi sochne ki baat hai....

Main - accha ab theek ho naa tum yaa kuch alag sa lag raha hai....

Dhruv - nahi wahi samajh nahi aa raha....ye bilkul aisa tha jaise....jaise mujhe kisi ne band kar diya ho....par main koi machine nahi hu.....ye jo bhi tha ajeeb tha....

Main - hmm wo to hai....accha ek baar dekh lo Albus aur Cooper theek hai naa...aur iss baare mein bhi pata laga lena ki kya hua tha....Uske baad Main so gaya...waise bhi kal school jaana tha....

Next mornig after dhyaan...

Hum khana khaa rahe the naa Bua thi....naa hi K.Bua...

Main - Chachi Bua nahi aayi kya...

Chachi - nahi wo usne kaha tha naa kaam hai to bas chali gayi....aur haa wo Nikita ne kaha wo bus ke pass milegi aur maharani tumko bhi bula rahi thi wo....

Rupal - Mujhe.....haa sayad koi kaam hoga...theek hai....tera khana nahi hua abhi tak chal wo wait kar rahi hogi....

Main - hmm chalo....

Hum dono nikal pade.....Nikita Bus ke pass hi khade the.....wo thoda ghabrayi hui lag rahi thi....

Rupal didi - kya hua Chotti tun aise.....koi pareshani hai kya.....

Nikita - Jwala Portal kholo.....

Usne kaha aur Jwala ne khol bhi diya....main Jwala ko dekh raha tha aur wo mujhe.....Nikita ne mera aur Rupal didi ka haath pakda aur humko khinch ke ander leke chali gayi....

Hum tinno abhi Jwala ke kabile mein the....

Main - Jwala tum iske kahne pe....

Jwala - wo tumse juddi hai main bhi tumse judda hu hum dono ek dusre se judde hue hai....ye sab dark power ke wajah se bhi hai....main inki baat ko manna nahi kar paata.....

Main - iska kya matlab hua ab....

Nikita - wo sab chodo aur meri baat sunno....aap sab khatre mein ho.....

Rupal didi - Hum khatre mein hai....kisse khatra hai humko....

Nikita - Aapke badon ki kuch galtiyon ka khatra hai.....aap nahi jaante......Earth pe jo shaitaan aaye hue hai unke waha hone ke picche hamare ghar walo ka haath hai....aur.....aur ab Nitya aunty ko lag raha hai jaise....wo sab aap sab se badla lene aa rahi hai...

Rupal didi - Tum kya bol rahi ho tum samajh bhi rahi ho naa.....ye bahut bada ilzaam hai....

Nikita - Main sach bata rahi hu Didi......Aunty ne bataya tha mujhe ye sab....wo jab ghar se nani ke yaha aayi thi....uski wajah yahi sab tha.....unko lagne laga tha unki ghalti se bahut kuch ho gaya hai...aur wo ab kuch kar bhi nahi paa rahi hai......unhone wapas jaake unn shaitaano ko Earth se bhagane ki baat bhi kari thi sabse....par....par sab iss baat pe raazi nahi hue.....bado ka manna tha ki ab unse ulajhna koi akalmandi ki baat nahi hai.....kal raat Wo Nani se issi baare mein baat kar rahi thi....puch rahi thi ki kya kare wo.....ghar ko surakshit to kar diya hai par....par phir bhi dar to laga hi rahega....

Main - Aur tumne ye sab kaise sunna...kaise pata hai itna kuch....

Nikita - Kuch baatein unhone khud batayi....aur kuch maine kal sunni hui hai....humko kuch karna hoga....

Rupal didi - Mujhe yakkin nahi ho raha.....ye sab hamare ghar mein....aur Mummy papa bhi...

Nikita - Aunty aur uncle....to innn sab se aage nikalna chah rahe hai....aur nikle hue bhi the par ye to past hai jo wapas se aa gaya hai......hum jaante hai wo kaise aaya tha par ye unk bata nahi sakte.....aur ab wo sab unn saitaano ke picche lagne wale hai.....unko khatra hoga unse....

Main - Jwala hai hamare saath wo kabhi kuch nahi hone dega....

Rupal didi - hume bhi kuch karna hoga.....humko pata lagana hoga wo sab kaha hai.....aur agar possible ho to unko waha se bhaga denge....

Nikita - haa ye kar sakte hai.....kyunki hamare pass bahut se powers hai......Jwala hai Old Owl hai.....ye Polar bears hai....par unke pas.....wo to akele ladne jaayenge...

Main - Main iss baare mein kuch karta hu.....Old Owl yaha aao.....

Old owl waha pe aa gaya....

Old Owl - haa batao....

Maine usko sab bataya....aur wo dhyaan se sunta jaa raha tha.....

Old Owl - hmm to tm chahte ho main Earth pe shaitaano ka pata lagaun.....theek hai par waqt lagega....kyunki ek to mere bahut se log Strange world mein hai....aur shaitaano ko dhundhne ke liye sabhi log kaabil nahi hai.....mujhe unko train karna hoga....

Main - isme kitna waqt lag jaayega....

Old Owl - ye seekh to jaldi jaate hai par fir bhi waqt to lagna hi hai....

Main - theek hai tum jaao......Nikita Didi humko khud karna hoga ye.....main ek tarika jaanta hu.....aur usse pata bhi lag jaayega kyunki isse pahle wala bhi ussi se milla tha.....Bua ko ye sab batana hoga....taki wo bhi sab jaan sake.....Nikita won jaanti hai ye sab yaa nahi....

Nikita - nahi....Bua nahi jaanti inke baare mein.....

Main - hmm to unko hum abhi jaake batayenge....aap chalogi waha pe.....

Rupal didi - Mujhe mummy se baat karni hai mujhe kyun nahi bataya ye sab...

Main - Aapnee sunna nahi...ye sab Bua tak ko pata nahi hai.....Nikita ko pata chala kyun ki wo uss waqt akeli thi Chachi ke pass....aur chachi se rahha nahi gaya......dekha ye wali baat unhone isse bhi nahi kaha...

Rupal didi - Main phir bhi unse ba....

Main - Didi ye khatam karke baat kar lena naa....uss waqt sayad wo khud hi humko bata de ye sab abhi inn sab ki jarurat nahi hai.....aap batao aap aaogi saath yaa kahi aur jaana hai aapko.....

Rupal didi - Hotel mein iss waqt kaam nahi hai.....Polar bear se bolo mujhe unn jeevon ke pass leke jaaye....

Main - aap pagal ho akele mein ye kaise karoge aap....

Rupal didi - Mujhe akele hi karna hai wo chizz tum bhi jaante ho aur abhi bas dekhna hai mujhe....

Maine Polar bear king ko bula diya.....aur usko bata bhi diya ki jaise hi lage koi khatra hai yaa ye Didi kuch gadbad karne wali ho inko leke wapas aa jaana.....sirf usko nahi maine....ye Jwala se bhi bol diya....pata tha ye abhi gusse mein hogi....aur kuch naa kuch karengi....

Maine Jwala se bol ke portal khulwaya ek.....school ke liye....aur usse hum dono hi waha se school chale aaye....

inn sab ke chakkar mein ek class miss kar chukke the hum....aur jab hum dono Bua ke cabin ke pass pahuche to waha pe lock laga hua tha.....routine mein dekha to pata chala Bua ne chutti le rakhi hai....mujhe laga iss baare mein sayad K.Bua jaanti hogi....unke pass jab gaye to wo apne department mein nahi the.....pata nahi wo kaha thi......ye mille nahi aur class ab Daksh Mama ki thi....humne socha thode waqt baad tak wo aa jaayenge....aur hum class mein chale gaye....class mein aaye to waha pe ye Mama ji ko humse thoda jyada lagaw ho gaya.....bas 2 minute late honge hum aur humko class mein nahi aane diya....bhadass nikal rahe honge ye....ab class mein jaana nahi tha to hum garden ke pass chale gaye....waha pe maine dekha....ke seniors ke class ke bahar K.Bua chupp ke khadi hui thi....

Main - Nikita K.Bua....wo dekho....

Nikita - Par ye aise kyun khadi hai.....chip ke....

Main - mujhe kya pata....humko jaana chahiye unke pass unko batana bhi hai....aur Bua ke baare mein bhi puchna hai....

Nikita - abhi waha nahi jaa sakte....thoda rukk jaate hai phir jab wo waha se wapas aane lagegi tab unse baat kar lenge....

Maine socha ye bhi sahi hai....par iske baad jab class khatam hui aur hum uss taraf jaake unka wait karne lage to wo milli hi nahi.....waha pe milla to bas Pankaj....usne ek baar hum dono ki oor dekha...aur sayad hamare taraf aane bhi laga tha....par phir wo mudd gaya aur waha se chala gaya....

Nikita - Ye K.bua to aayi hi nahi....abhi upar chal ke dekh aate hai....

Hum dono upar gaye par waha kahi bhi nahi milli wo.....uske baad humne unko bahut dhundha par wo milli hi nahi.....naa Bua ka pata hala.....iske baad hum class mein chale gaye.....

Wahi Elf counrty ke pass kuch chote chote kasbe the.....jaha pe kuch elf yaa koin aur prajati ke log raha karte the....aaj uss jagah pe kisi ne hamla kar diya tha.......waha pe 2 water elements walo ko maar diya gaya tha......iss baat ka pata Old Owl yaa unke logo ko nahi chala tha....kyunki unhone apna focus Elf counrty pe laga rakha tha.....naa ki kahi bahar......par iss baare mein Leemo ki society ko chal gayi thi aur usne kuch logo ko waha bheja tha.....dekhne ko ki kya ye sab bilkul waisa hi tha yaa kisi aur tarah ka......par hua ye ki uske logo pe hamla kar diya uss kasbe ke logo ne.....unka kahna tha ki ye wahi hai jo aaye the aur unke yaha ke logo ko maar gaye.....bas khud ko kisi tarah se begunah saabit karne ke liye aur madad bulane ko unhone apne tarike se message kiya....aur waha pe Leemo aa pahucha.....bas Leemo hi nahi Leemo ke saath Old Owl bhi.....

Leemo ne uss kasbe ke head se baat karne ke liye kaha.....aur logo ne thoda naa nukur ke baad haa kar diya....aur waha pe aa gaye uss kasbe ke head....

Leemo - Aapne galat logo ko pakad rakha hai ye mere saathi hai aur hum inn hatyaon ke baare mein jaanch kar rahe hai....bas yaha ke bare mein pata chala to hum aa gaye dekhne ki ye bhi waisa hi hai yaa alag....

Head- Mere logo ne dekha hai wo ek Elf hi tha....aur kapde bhi aise hi pehne hue the.....

Leemo - par Elf to aur bhi hai naa waha pe....aur aap sab bhi to Elf ke parivar se hi aatein hai....aur rahi baat inn kapdon ki to ye waha ke sainikon ke kap......aapne kaha aapke logo ne dekha hai usko.....kisi ne unka chahra dekha...yaa wo kitne the ye sab dekha....

Head - 1 hi tha....1 hi tha wo....wo aaya.....aur usne pahle dekha kaun water element ka hai....aur uske baad....uske baad unse maar diya unko.....par.....par hum aise hi kisi ko apne logo par hamla karne pe chod nahi sakte....Main...Main khud lada usse......ye chott dekh rahe ho....ussi ka taufaa hai.....Inn sab ko khol do aur jaane do....ye wo nahi hai.....aur tum tum mere saath aao.....

Leemo - To aap bas mujhse milna chahte the....aisa tha to inse kah dete main aa jaata yaha pe.....

Head - sayad naa bhi aate.....jo maare gaye hai....unn sab ka badla chahiye mujhe.....

Leemo - ye jo koi bhi hai wo Elf Country mein bhi khoon kar chukka hai aur usne theek aisa hi kiya sabke saath haath kaat ke ulte karke rakh diye...

Head - ye Water element walo ki beizzati karna hai....wo....wo jo bhi hai.....water element walo ko chunauti de raha hai....

Leemo - aapne kaha aapne usse ladayi ki.....to kya wo bh....

Head - haa wo bhi jakhmi hai.....uska daahina pair.....usme chot aayi thi....aur kandhe ke pass bhi.....

Leemo - ji sukriya...agar aur bh kuch pata ho to aap mujhe bataiye main usko khud pakadunga aur sazza dunga....

Head ne bahut kuch bataya jaise kapdon ke baare mein chahre pe lage mask ke baare mein....aur bhi sab kuch par chahra to dekha nahi tha,,,,,,,

Leemo bhi sab siunne ke baad apne logo ko leke waha se chala gaya.....aur iss baare mein sabko bata diya ki koi bhi iss tarah ka jakhmi Elf agar kahi illaz karane gaya ho to uska pata lagaye....par Old Owl uske dimmag mein to kuch aur hi aa gaya tha.....jab usne height ke baare mein sunna tha to wo thoda pareshan ho gaya......Elf King aur Yuvraj ki height lagbhag se same hi thi....usko lag raha tha ki usne ye pakka kiya hua tha ki wo dono nahi ho sakte par ye ek baar aur confirm karne mein koi harzz nahi tha...to wo gaya waha.....pahle Elf King ke pass......ELf king abhi ready ho rae the aur utne mein unke dahine pair mein chot lag gayi thi....aur wo pair pakad ke baithe hue the.....Old Owl ne socha yahi honge jisne khooon kiya hai.....phir usne k baar Yuvraj ko bhi check karna chaha....aur jab waha gaya to uske pair pe bhi patti bandhi hui thi.....ab Old Owl thoda confuse tha....

aaj ke liye itna rakhte hai....kal dekhte hai Pankaj kaise bachata hai wapas se Nikita ko.....saath mein Bua aur K.Bua kya kar rahi hai wo bhi.....aur Rupal didi....wo kya kar rahi hai wo.....wo unn jeevon ke pass gayi hai kuch to karnegi hi,,,
Nice update
 

ANUJ KUMAR

Well-Known Member
2,669
13,384
158
UPDATE - 77

Rupal didi Polar bear king ke saath unke thikane ke pass gayi hui thi....pura ka pura kabila jaise sadd gaya ho....waha ki gharein waha ki galiyan......sab jaise sadiyon se sunni rahi ho...aur ab khandahar mein badal gayi ho.....Polar Bear king pahle to roj jaaya karta tha yaha pe....par phir usse ye sab dekha nahi jaane laga aur unse sab Prateek ke bharoshe chodne ka phaisala liya saamne aaj ye sab wapas se dekh usko bahut bura laga raha tha.....

Rupal didi - yaha ki halat to bahut kharab hai.....

Polar bear king - hmm aap dekh rahi ho naa.......ye pahle bahut sundar jagah hua karti thi....ab bas aapse ummid hai aap kuch karoge aur ye jagah inn sab se mukt ho jaayegi.....aur phir hum yaha pe apna kabila bana paayenge....

Rupal didi - tum yahi rukko main thoda ander se hoke aati hu....

King - Nahi....aap aise ander nahi jaa sakti....apko khatra hai inn sab se.....aur mujhe Prateek ne aapka dhyaan rakhne ko kaha hai...

Rupal didi - :doh: ab main ander nahi jaaungi to kaha se inn sab ko samajh paaungi....kaise inko yaha se jaane ko kahungi.....

King - hmm ye to sahi hai.....par Prateek ne kaha hai aapka dhyann rakhne ko....main nahi jaane de sakta hu.....

Jwala - Aur main bhi nahi.....aapko sab dekhna tha aapne dekh liya ab chaliye yaha se.......

Rupal didi - ooh to tumko bhi bol ke gaya hai wo......tumko pata nahi main uski badi bahen hu.....to usko meri baat maanni chahiye...naa ki mujhe uski....

Jwala - Usne kaha aapka dhyaan rakha hai.....matlab saaf hai ander nahi jaane de sakte hum aapko....

Rupal didi - hmm..theek hai...ek kaam karo......mere hotel ke liye portal khol do phir main yahi se chali jaaungi....

Jwala - hmm ye theek hai......

Usne ek portal khola.....par didi usme gayi nahi......

Rupal didi - accha ek kaam karo.....mujhe naa ghar jaana hai to isko badal do....aur mujhe ghar ke liye portal khol do....

Jwala - hmm ye bhi theek hai.....'

Jwala ne wo bhi kar diya par didi wapas se bas khadi hi rahi......

aise hi unhone 3-4 baar aur kiya....jisse Jwala thoda gussa ho gaya aur confused bhi.....Wo Polar bear bhi thoda gussa ho gaya tha......

Jwala - aapko kaha jaana hai ye ek baar soch lo phir batao....aise mein main bekar mein khud ki energy khatam kar raha hu.....

Rupal didi - Accha theek hai....hmm ghar ke liye hi kar do.....

Jwala ne ek baar unko dekha....aur phir ghar ke liye portal khol diya....Portal aadha hi khula hoga ki Didi ne uske ander chalang laga di.....

King - ye.....ye kya hua.....wo aise kyun gayi....

Jwala - pata nahi :sigh: dimmag kharab kar diya tha inhone to.....chalo accha hua chali gayi.....chali hum bhi chalte hai....

King - Par.....wo agar nahi pahuchi hogi to.....

Jwala - tumko yaha wo dikh rahi hai....nahi naa....matlab wo chali gayi hai....

King - arre mera matlab hai wo kahi...portal mein to naa khoo jaayegi....

Jwala - nahi aisa nahi hoga.....aur hua bhi to jaise hi wo mushibat mein padegi humko pata chal hi jaayega...

King - hmm phir to theek hai chalo.....

Didi - haa jaao dono....ufff.....iss Jwala ko ullu banana to muskil hai......chalo ab inn sab ko dekh ke aati hu.....

Wo Pass ke ped se nicche utarti hai......

Darashal hua ye tha ki jab Portal khul hi raha tha tabhi Rupal didi badi tezzi se uske nicche se hote hue kudd ke ek ped pe chadd gayi thi.....aur ye chizz confused aur gusse mein aaye hue Jwala aur King ko dikha nahi.....aur ab wo uss ped se utar ke chal di waha.....

Wo iss waqt Polar bear kabile ke theek saamne khadi thi....

Didi - hmm ye jagah sach mein buri halat mein hai...waha se itna pata nahi chal raha tha......par......par wo jeev kaha hai wo nahi dikh rahe.....

Ye bolte hue unhone apne kadam aage badhaye....aur jaise hi unke kadam kabile mein pade.....waha pe unn jeevon ne halchal maccha di......

Bahut jyada aawaj karne lage wo sab....itna ki Didi ko apne kaam band karne pade......par aawaj to badhti hi jaa rahi thi......

Didi ki aakhen tak band ho gayi thi....aur jab wo khuli to aankhen puri kaali.....ekdum se kaali ho gayi thi.......kaan ke pass se apna haath hataya....aur dono haath upar hawa mein kar liya.....aur jor se ek baar taali bajayi......

Unka taali bajana tha aur theek ussi waqt.....unke haathon ke bich se jaise bahut tezz aawaj aayi.....itni ki unn jeevon ki aawajein dab gayi usse......aur jo yaha waha udd rahe the wo sab ekdum se rukk gaye.....

Isse pahle kuch aur wo karti.....waha pe Jwala aur Polar bear king aa pahuche.......

Jwala - Main unn sab ko dekhta hu....tum inko yaha se nikalo....

King - hmm theek hai......Jwala unn sab ke aur Didi ke bich mein chala gaya.....aur wahi picche se Polar bear king aaya.....aur Didi ko apni pith pe bittha ke waha se bhag gaya.....

Jwala dekh raha tha wo jeev koi harkat nahi kar rahe the....aisa lag raha tha jaise wo hai hi nahi waha pe.....par jaise hi.....Didi uss jagah se thodi dur gayi....wo saare jaise sapne se bahar aa gaye honge...aur phir se wahi aawajein.....

Jwala ko unse ladne ki koi jarurat nahi padi.....aur wo waha se nikal gaya.....

Polar Bear iss waqt wahi pe tha jaha se wo sab dekh rahe the uss jagah ko.....Rupal Didi nicche utar chukki thi aur apna sar pakad ke jamin pe baithi thi.....Jwala bhi waha aa jaata hai....usne dekha Polar bear king Rupal didi ke pass hi hai aur unko dekh raha hai.....aur wo apna sar pakad ke baithi hui thi.....

Jwala ne portal khola aur Rupal didi ko leke chala gaya apne vaidyon ke pass......

Wahi dusri taraf......

Hum class se nikle.....

Nikita - ye Bua gayi kaha aur upar se K. Bua......arre wo dekho.....wo rahi wo....

Maine saamne dekha wo wahi pe baithi hui thi ek desk pe....aur saamne ki oor dekh rahi thi.....aur uss jagah pe bahut se students the....ab class khatam hoti hai to students to hote hi hai.....

Hum unke pass jaane hi lage the ki wo utt gayi.....aur waha se jaaane lagi.....wo aage hum unke picche.....aisa lag raha tha jaise wo kisi ka picche kar rahi thi.....par kiska ye samajh nahi aa raha tha....waha pe bahut se log the....samajh bhi nahi aa raha tha....issi pakadam pakdayi mein Nikita ki takar ho gayi....aur wo gir gayi.....

Nikita - uff dekhke...ooh tum ho....

Main - arre wo jaa rahi hai....

Pankaj - Kaun jaa rah......sorry lagi to nahi naa tumko.....

Wo bol kuch aur raha tha aur jaise kuch yaad aa gaya ho usko aur usne baat badal di.....

Nikita - Main theek hu.....wo meri bhi galti thi main kahi aur dekh rahi thi.....

Main - Pankaj baad mein milte hai abhi humko kaam hai......

Pankaj ne meri oor dekha.....ek fikki si smile di aur waha se chala gaya....humne yaha waha dekha par kahi bhi K.Bua nahi dikhii....sayad wo chali gayi thi....

Main - Lagta hai wo chali gayi....

Main usse baat kar raha tha ki tabhi Jwala ne mujhe aawaj lagayi.....

Jwala - Rupal didi ko kuch ho gaya hai....tum yaha aa jaao.....aur apni Bua ko lete aana.....

Main - kya.......kaise....kya hua unko....maine kaha tha ki kuch nahi hona chahiye.....

Jwala - Tum yaha aao tab batata hu....

Nikita ne mera haath pakda aur waha se thodi dur leke gayi jaha pe koi nahi tha......

Nikita - Jwala Portal kholo....Prateek tum waha jaao main K.Bua ko dhudhti hu....aur unko leke aati hu.....

Main - par......theek hai rukko......Albus...Cooper bahar aao......K.Bua ko dhundho.....aur iske saath rahna......Nikita jaise hi K.Bua mile inko leke waha aa jaana....

Nikita - Kinko yaha to koi hai hi nahi......

Abhi tak wo dono light orbs mein the iss wajah se nahi dikh rahe the....bas yahi wajah thi......

Main - Rukko......Albus Cooper jab Bua yaa K.Bua mille insan ban ke iske pass aa jaana aur isko waha pe leke jaana.....tum Portal se waha leke aa jaana unko.....

Nikita theek hai.....wo dono ek baar insan ban gaye aur Nikita ko khud ko dikha diya taaki aage koi confusion naa ho.....

Uske baad dono waha se chale gaye....aur main chala gaya waha Jwala ke pass....Rupal didi ko dekhne ko......

Yaha Pankaj school se bahar aa gaya tha aur wait kar raha tha.....Leader ke aane ka....wo waha aane wala tha aur fir wo dono waha se office ki oor jaane wale the......Nikita bhi bahar chali gayi......usne socha ek baar ghar pe dekh aati hu.....Wo waha se ghar pe gayi par waha to wo dono the nahi......phir wo waha se nikli aur bus mein baithi hi thi ki agle stop pe usne dekha Pankaj aur uske saath wala wo ajeeb banda bus se utar rahe the......pahle dhyaan nahi diya usne.....par uske bagal se jo piche utar raha tha uski oor dekha to wo samajh nahi paayi ki ye yaha kya kar rahi hai......K.Bua thi waha pe aur wo unn dono ka picche karne mein lagi hui thi.....isse pahle Nikita unko rok paati wo nicche utar gaye the aur bus agle stop ke liye nikal chukki thi.....

Nikita khud ko kossh rahi thi agar usne thodi furti dikhayi hoti to abhi K.Bua uske pass hoti aur wo waha Rupal didi ke pass hote.....par ye K.Bua kyun piccha kar rahi thi inka.....

Nikita ko pata tha ki wo bus usko waha pe wapas leke jaa sakti hai,....usne conductor se baat kari aur usne Bus ko ussi jagah wapas se rokka jaha pe K.Bua utari thi.....par isme thoda waqt lag gaya tha aur itne waqt mein hi wo waha se jaisa gayab ho gayi thi....ab naa to waha pe K.Bua thi aur naa hi waha pe wo Pankaj yaa uske saath ka aadmi tha......

Nikita yaha waha dekhne lagi.......usko ye pata nahi tha wo kaha pe hai abhi.....to wo thoda aage badhne lagi iss soch mein ki koi naa koi mill hi jaayega.....

Wahi dusri oor......Leader ko kisi tarah aisa lagne laga tha ki koi unka piccha kar raha hai.....usko laga ye sayad uski wajah se ho.....sayad Earth pe pata chal gaya hoga ki Fumos ka Leader kuch dinno se waha pe aaya hua tha.....issi wajah se wo office ke pass naa rukk ke kahi aur utara tha.....aur uske picche K.Bua....aur unke picche ye Nikita.....

Pankaj ko Leader ne apne mann mein chal rahi baat batayi.....usne usko kaha ki sayad uske yaha hone ke baare mein pata chal gaya hai logo ko iss wajah se uske picche log pade hai......agar unn logo ko Leader aur Pankaj saath mein mil jaate hai to ye unke liye pareshani ban sakti hai......

Leader - Mujhe lagta hai abhi mujhe tumse thode waqt ke liye alag hona hoga.....aisa naa ho meri madad karte hue tum phass jaao.....

Pankaj - Hmm to theek hai....aap ek kaam karo..aap yaha se jaao.....Main bus se pahle Headoffice chala jaata hu.....aur aap mujhe mere ghar ke pass insani logo ke bich mein mil lena.....waha pe jyada khatra nahi hone wala.....

Leader - hmm theek hai.....

Leader ko apna pata diya Pankaj ne.....aur Leader waha se portal se jaane laga......par jaate waqt ek baar usne mudd ke dekha tha uss jagah ko.....usko wo jagah sahi nahi lag rahi thi.....par abhi agar usko aur Pankaj ko saath mein dekha jaata hai to bahut pareshani ho jaayegi usko iss wajah se wo waha se chale jaate hai.....aur Pankaj picche mudd ke wapas jaane lagta hai.....ki tabhi usko kuch aisa dikhta hai jo dekh wo thoda hairaan aur pareshan ho jaata hai,,,,

K.Bua jo abhi inn dono ke picche aayi thi yaha pe wo inn dono ko kho chukki thi.....kyunki Leader ko bachna aata tha aise jaasusi karne walo se.......par unko thodi der mein Pankaj saamne dikhta hai....aur wo ek ped ke pass khada unki oor hi dekh raha hota hai.....

Pankaj ko khud ko aise dekhte hue paa ke unko lagta hai ab ye piccha karne se kuch nahi hoga......iss Pankaj ne unko pakad liya hai.....yaha ke baare mein bahana bhi nahi bana sakti wo kyunki dur dur tak koi tha nahi waha pe.....

Unhone socha ki usse baat hi kar le.....bol de usko ki wo galat samajh raha hai....aur usko apne saath leke challe.....aur wo ye karne aage badhi bhi.....

Pankaj abhi bhi bas unko dekh raha tha.....aur ek ajeeb si smile laye hue tha apne chahre pe.....pata nahi jaise kya chah raha tha wo......

Bua - Pankaj Maine sunna tumhare baare mein Mujhe sab bataya hai Poonam ne....dekho iss waqt tumko akela nahi rahna chahiye....hmmm tum chalo mere saath.....

Pankaj abhi bhi waisa hi khada tha aur muskura raha tha.....K.Bua uske aur pass gayi ki usko samjha sakke.....

Pankaj - Ma'am wo main nahi hu....waha se picche hatto.....

Nikita - K.Bua......

Darasal hua ye jab K.Bua aage badh rahi thi tabhi ek ped ki tahni unke picche se aane lagi.....fir dusri....fir tisri.....aur ye sab Pankaj dekh raha tha...aur shocked khada tha.....wo samajh nahi paa raha tha theek uske jaisa dikhne wala banda waha pe kaise ho sakta hai....par jaise hi usne picce se tahniyon ko aate hue dekha.....usne aawaj lagayi.....aur theek ussi waqt Nikita bhi waha pe pahuch gayi thi aur usne bhi K.Bua ko aawaj lagayi.....

Wo dekh rahi thi Ki Panjak saamne khada Muskura raha tha aur K.Bua ke picche se pedon ki tahniyan aati jaa rahi thi.....usko samajhte der nahi lagi ab kya hone wala tha....

K.Bua ne dono ki aawaj sunni....Pankaj ne Nikita ki aawaj sunni Nikita ne Pankaj ki....par yaha pe K.Bua aur Nikita dono hi confused the ki Pankaj to muskura raha hai wo bola hi nahi......Pankaj ne dekha ki Nikita ke picche bhi tahniyan aane lag gayi hai.....

Ye tahniya ek ghere mein aati thi....aur agar aap uske ander ho...to aap uss shaitaan ke maayajaal mein ho.....aapko wo dikhega jisko aap dhoondh rahe ho....

K.Bua ka samajh mein aata hai wo Pankaj ko dhundh rahi thi par Nikita.....haa uska motto bhi to waisa hi tha.....K.Bua ko dhundhna aur wo pankaj ke pass milti....matlab Pankaj ko dhndhna....

Abhi dono hi bas jaal mein the....K.Bua ke baare mein to Jwala ko koi khabar nahi jaati thi par Nikita...ab uske baare mein pata chal jaata tha.....kyunki wodark Power ka matter hai.....iska usse connection strong ho gaya to ab pata chal jaane laga :sigh:

Haa to kul milla ke abhi Jwala ko khabar pahuch gayi thi ki Nikita jaal mein phans chukki thi.....par.....jab tak wo aata tab tak yaha pe game khatam hone ka darr tha....wo tahniyan....inko khud mein samane ko bettab thi......aur ye sab uss shaitaan ki wajah se ho raha tha jo ki abhi Pankaj ke bhesh mein tha......Pankaj ne dekha ye dono hi khatre mein hai wo waha pe bich mein kudd gaya....jo musskaan abhi uss shaitan ke chahre pe thi.....wo acchanak se gayab ho gayi....har kisi ki kamzori hoti hai iski bhi thi.....ye apne sikar ko phasane ke liye jis roop mein hota hai agar wo chizz yaa wo banda waha khud aa jaaye to iska ye jaal toot jata hai aur jo iske maya mein phasse hote hao wo bahar nikal jaate hai....aur ye bhi apne asal ke roop mein aa jaata hai......

Theek yahi hua......Anjaane mein hi sahi par Pankaj ne jaan bacha li thi dono ki......aur saath hi uss shaitaan ko uske asal roop mein laa diya tha.....

Jaise hi ye wo dono dekhti hai unke muh khule ke khule rah jaatein hai....

K.Bua khud ko sambhalte hue.....Pankaj ke pass daud ke jaati hai aur usko pakad ke side mein kudd jaati hai....taaki wo shaitaan kuch kar naa paaye.....

Tabhi waha pe ek portal khulne lag jaata hai par isse pahle wo khule.....wo shaitaan apne saamne khadi Nikita pe hamla kar chukka hota hai.....Pankaj jo abhi bhi nicche girra hua tha wo bahut tezzi se khada hota hai unke bich mein chala jaata hai....aur wo jaadu use karta hai jo Leader ne usko sikhaya tha.....par ye Jaadu bhi Maths ki tarah hote hai.....aapko theory pata hone se acche marks milne ki ummid hoti hai par agar aapne practice bhi kiya ho to baat hi alag hoti hai.....uss waqt aapse mistakes hone ki bahut kam chances hote hai....

Pankaj ka bhi same case tha....nayi cheez thi ye....usne uska use kiya.....aur wo kaam kar gayi.....Uss Shaitaan ne jo hamla Nikita pe kiya tha.....wo wapas ussi ko lag gaya......ye kaam kar gaya tha....

Pankaj ne dekha wo kamzoor ho gaya hai apna hi waar khaane ke baad.....usne socha kyun naa isko mazza chakhaya jaaye....usne fatak se uspe hamla karne ka mann banaya aur kar bhi diya.....par wo hamla Pankaj ko khud lag gaya......dimmag shant tha nahi uss waqt uska.....bas ussi ke wajah se khud ke waar se wo behosh ho chukka tha.....wahi wo shaitaan waha se bhag gaya tha....wo kamzor tha waha pe usse ladne ko log the...bhagna usne sahi samjha.....

Iss waqt tak Jwala khud yaha pe pahuch chuka tha.....saath Mein Prateek bhi tha....usne dekha Pankaj behosh pada hua hai....Nikita aakhen faadein khadi hui thi....aur K.Bua bhagg ke Pankaj ke pass aa gayi thi....aur usko check kar rahi thi.....

Main - Ye kya hua yaha....Nikita isne pareshan kiya kya tumko.....aur K,.Bua aap uske pass ho......chodo usko.....kuch log kabhi nahi sudhar sakte......

K.Bua iss waqt usko check kar rahi thi to koi jawab nahi diya...aur Nikita iss halat mein nahi thi ki wo jawab de paaye....wo confused thi....Pankaj ne hamla kiya...aur phir wo pankaj badal gaya kisi aur cheez mein....aur phir pankaj ne bachaya....pata nahi kya chal raha tha dimmag mein uske.....

Main - K.Bua chodo isko....aap chalo waha pe Didi theek nahi hai....

K.Bua - bas do minute....

Unhone apne bag se ek shishi nikali aur usme se kuch goliyan....aur thoda sa cream.....uss cream ko unhone Pankaj ke haathon pe laga diya....aur goliyan usko khila di.....aur wo khadi ho gayi....saamne dekha Jwala tha.....

K.Bua - Jwala aap isko iske ghar tak pahucha doge kya.....

Jwala ne iss baat pe Meri oor dekha....Mujhe bada gussa aaya iss bande ne jo khud ko mera bhai batata hai meri dost pe hamla kiya....aur ye K.Bua uski malham patti kar rahi hai....aur to aur ab Jwala se bolti hai usko ghar pe pahuchane ko.....

Main - Aapko pata hai waha Rupal didi kab se pareshan hai....pata nahi kya hua hai unko.....

Unhone meri oor dekha aur kaha ki Jwala se kahe isko iske ghar pe pahuchane ko.....

Maine bhi bol diya usko aur Jwala ne Portal se waisa hi kiya....jab tak hum wo kar rahe the....tab tak K.Bua ne 2 calls bhi kar liye the....pata nahi kis kis ko......

Itne mein wahi pe mere Albus aur Cooper aa gaye....Bua ka pata batane ko.....ye dono hi Bua ke picche lage hue the....maine kaha tha ki ek Bua ko aur ek K.Bua ko waisa...

Khair wo aa gaye aur aatein hi mujhme samma gaye aur mujhe bataya wo kaha hai.....

Main - K.Bua ab to chalo....waha didi pareshan hai....

Saath hi maine Jwala ko bhi bola uss jagah ko portal kholne ko jaha pe Bua hogi.....Usne khola aur Bua khud aa gayi hamare pass.....jaise wo jaanti thi....main unn tak pahuchne wala hi hu...

Phir Jwala ne portal khola apne kabile ke liye....aur hum chal diye waha....Nikita puri confused thi....wo ab bhi sahi se aaklan nahi kar paa rahi thi usne dekha kya tha.....waise baat ye thi ki wo maanna nahi chahti thi ki jo bhii dekha tha wo sahi hi tha.....ab aapne kisi ko Bura samajh liya hai to aapko laakh baar wo accha kaam karte dikh jaaye aapke dimmag mein ye jarur aayega ki wo ye khud ke liye kar raha hai....burayi ke liye.....aisa kuch aapka dimmag aapko bolta hi rahega....

Sayad Nikita ko abhi koi chahiye tha jo usko samjhaye ki ye sach hai.....

Hum sab Rupal didi ke pass pahuche....wo abhi bhi leti hui thi aakhen band karke....haath unka apne sar pe tha jaise bahut tezz dard ho raha ho...

K.Bua - kya hua hai isko.....

Jwala ne puri kahani sunayi aur maafi bhi maangi.....par isse jaise K.Bua ko koi khass phark nahi pada tha.....

Unhone unko check kiya......

K.Bua - isko sar dard ho raha hai....aur unn jeevon ke pass jaane se iska energy level thoda up down ho gaya hai.....Poonam isko sayad bukhar aa jaaye aaj.....par kal tak theek ho jaayegi ye.....main ye dawa de rahi hu.....

Unhone unko ek dawa di....

K.Bua - Mujhe abhi jaana hai yaha se.....Jwala mujhe wapas bhej doge....hmmm Pankaj ke yaha hi theek hoga.....

Main - Aap waha pe kyun jaaoge.....aapne dekha nahi usne ladayi ki phir se Nikita se....

K.Bua -(mushkuratein hue) baatein puri jaan liya karte hai tab kuch kahte hai uspe.....Nikita se puch lena theek hai.....ab isko bolo mujhe waha bhejne ko.....

Main - Jwala ye jaha kah rahi hai inko waha chod aao.....

Bua - hmm chali ab yaha kya karna hai shamm hone ko hai.....tum dono to school mein rahna hi nahi chahte ab sayad.....ghar chalo.....aaj wahi dinner karke nikal jaana.....

Main - Jwala humare jaane ka bhi prabandh karo.....

Usne waisa hi kiya hum sab ghar pe aa gaye....ghar pe aate hi humne pahle to Didi ko unke room mein choda....aur uske baad waha se nicche aaye.....aaye hi the ki dekha chachi bahar se aa rahi thi....

Aate hi unhone sabse pahle to Nikita ko dekhna shuru kiya ki kahi kuch hua to nahi hai.....wo baar baar uske haath pair chahra ye sab dekh rahi thi....

Chachi ne sayad ishare mein kuch to puccha tha...aur Nikita ne bhi ishare mein haa mein jawab diya tha.....

Chachi ne ye sunna aur wahi pe baith gayi....aur phir thodi der mein apna phone nikala aur kisi ko call karne lagi.....aur phir waise hi baat karte he kitchen mein chali gayi.....

Main - Kya hua Nikita Chachi ko Rupal didi ka pata chal gaya kya....iss wajah se pareshan hai wo....

Nikita ne naa mein gardan hilayi.....

Bua - waha pe kya hua tha Nikita....aur yaad hai wo kaun tha jisne hamla kiya tha.....

Nikita kuch bolti usse pahle Chachi waha pe aa gayi.....

Chachi - Poonam khana bana dena.....main thoda bahar jaa rahi hu.....tumhare Bhaiya ke saath hi aaungi....Maa ji aur Papa ji nahi aane wale aaj.....wo bahar kisi kaam se gaye hue hai....aur haa inn sab ka dhyaan rakhna.....

Main - Chachi Rupal didi bimar hai.....

Chachi ne meri oor dekha......aur phir Bua ki oor Bua ne bas haa mein gardan hilayi....aur kaha ki wo dekh legi....aur Chachi bhi theek hai bol ke waha se nikal gayi.....

Main - ye kya tha....wo Rupal didi ko chod ke kaha chali gayi.....

Nikita - wo shaitaan.....

Poonam - Tum dono mujhe dhundh rahe the....ab batao kya batana hai.....

Main - EK minute bua......Jwala.....yaha aao....

Jwala hamare ghar se bahar aake khada ho gaya.....jaisa isse pahle bhi usne portal khola tha ghar se bahar ki oor hi....

Main - Jwala apne logo ko kaho dhyaan se rahe.....sayad aaj bhi koi shaitaan milne wala hai humse......Chachi ke pass bhejo kisi ko....yaa tum khud chale jaao......

Jwala khud hi chala gaya uss oor.....

Main - Bua humko aapse issi baare mein baat karni hai......

humne Bua ko sab kuch bataya kaise hamare ghar ke logo ki wajah se Earth pe kuch shaitaan aa gaye the....aur ab wo humko bata bhi nahi rahe the aur unse ladne ka soch rahe the.....

Main - Bua Mujhe lagta hai Chachi wahi gayi hai.....

Pahle to wo kuch boli nahi.....phir khud ko sambhalte hue kaha.....

Bua - Wo waha nahi gayi hai,....Kavita ke pass gayi hai.....Pankaj ka dhyan rakhne ko....usko chot aayi hai.....

Main - Kya....Rupal didi ko chod ke uske pass....usne Nikita pe hamla kiya tha........

Nikita - nahi aisa nahi hai.....usne humko bachaya tha.....

Wahi Strange world mein.....Old owl pata lagane ki koshish kiye jaa raha tha aakhir hai kaun dono mein se....chacha ha yaa phir bhatija yaa wapas se dono mil chukke hai......

Aaj ko iitna hi next update mein dekhenge kaise...Leader ko jab pata chalega ki Pankaj ke saath ye sab ho gaya to wo kya karega.....Strange world ka scene
Fantastic update
 
Top