• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Gods and Demons

just YES OR NO


  • Total voters
    318
  • Poll closed .
Status
Not open for further replies.

Lovekillsyou

Active Member
649
2,715
124
Note- Update 177 hi 178 hain
 
Last edited:

Jay Sutar

अहं ब्रह्मास्मि
2,484
31,541
189
Update kuch der mein.
Peace ✌😊.
 

Jay Sutar

अहं ब्रह्मास्मि
2,484
31,541
189
UPDATE 77

Sabhi bhaag hi rahe the ke bhaagte hue Varun ne pucha.

Varun-Kabir yeh kya ho raha hai? Yeh Scarlet Ghost aise lag rahe hai jaise khatam hi nahi honge.

Kabir bhi abhi yahi soch raha tha agar vo aise hi bhaagte rahe toh kuch nahi hone wala tha aur vo kaafi badi fight mien phas sakte the. Although un sabhi ki strength kaafi thi Scarlet Ghost se lekin Kabir aur group numbers mein kam the aur Scarlet Ghosts har pal badhte jaa rahe the. Vo un sabhi ko nahi bhaga sakte the.

Suddenly Ravi ek taraf dekhte hue kehta hai.

Ravi-Kabir vo dekho waha par light hai.

Kuch duri par ek lamp ki tarah kuch tha jo hawa mein yaha se waha jhul raha tha. Although Kabir aur friends abhi jaha the waha ka atmosphere kaafi misty aur baarish wala tha lekin phir bhi vo us light lamp ko dekh sakte the.

Maithili-Aisi jagah par koi reh raha hai?

Maithili pehle hi yaha ke environment ko dekh kar kaafi surprise thi aur ab is ajeeb si jagah par yeh light lamp dekh kar aur bhi surprise si ho gayi.

Tabhi Kabir ki nazar uspar jaati hai aur jaise hi vo us light lamp ko dekhta hai waise hi vo zor se chillate hue kehta hai.

Kabir-Vo koi light lamp nahi hai vo Netherlamp behemoth beast hai.

“Netherlamp behemoth beast yeh kya hota hai?”

Kabir-Netherlamp behemoth beast otherworldly creatures hai aur yeh kisi bhi tarah se demon spirit beasts nahi hote hai yeh unse bhi upar ke category ke beast hai. In jaise beast ko SAVAGE BEASTS kaha jata hai par yeh is realm mein kya kar rahe hai? Yeh beast apne shikar ko apne light lamp se apne paas bulata hai aur jab shikar uske attack range mein aa jaye toh usse ek hi jhatke mein kha jata hai.

Kabir ke explanation ko sunkar Varun, Ravi aur baki sab bhi kaafi shock ho gaye. Unke liye toh yeh sabse bada shock tha ke demon spirit beast ke upar bhi kuch hota hai aur vo bhi itna danger. Agar vo us beast ke aaspas carelessly gaye toh jo hoga uske baremein socha bhi nahi jaa sakta tha. Ab sabhi yahi soch rahe the ke vo kis jahag aa kar phas gaye hai.

Kabir sabhi ko abhi bhi bhaagne ko hi keh raha tha. Usne ab tak hundreds ke upar Scarlet Ghost ko maar diya tha par ab unka picha karne wale Scarlet Ghost bhi thousands mein ho gaye the aur numbers toh aur bhi badhte jaa rahe the.

Agar aisa hi chalta raha toh vo kaafi badi musibat mein phas sakte hai. ek baar unhe bhaagne ke liye koi jagah nahi mili aur vo samne ki fight mein kood gaye toh vo aur bhi khatarnak hone wala tha.

Kabir-Mere pass ek idea hai ham sabhi Netherlamp Behemoth ki taraf bhaagte hai.

“Par abhi tumne hi kaha tha ke vo kaafi khatarnak beast hai?”

Kabir-Ha abhi vo khatarnak beast hai par Netherlamp Behemoth ki movement speed kaafi slow hai. Hame khatra tabhi hai jab ham uske attack range mein jaayenge. Is world mein strong weak ko dabata hai yeh yaad rakhna. Yaha par itne saare Scarlet Ghost hai par phir bhi Netherlamp Behemoth easily reh raha hai. Waise bhi Netherlamp Behemoth in sabhi Scarlet Ghost ke liye sabse bada khatra hai.

Kabir ki baat ko sunkar Varun ne uske support mein sir hilate hue kaha.

Varun-Okay, ab jab hamare paas koi aur option nahi hai toh ham aise hi aage badhte hue Netherlamp Behemoth ki taraf badhte hai.

Ab pura group Netherlamp Behemoth ki taraf bhaagne lag gaya.

Ab unmein aur Netherlamp Behemoth mein distance kafi kam reh gaya tha. Vo ab 100 meter ke range mein aa gaye the. Itne paas aane ke baad bhi unhe sirf vo lamp hi nazar aa raha tha jo is pure darkness mein ek hi light ka source tha.

Kabir- sabhi suno apne apne breaths ko hold ka lo. Netherlamp Behemoth ne apne aap ko is darkness mein hide kar liya hai.

Sabhi ne jaldi hi apni apni breaths ko hold kar liya aur ab thoda slow bhagte hue vo Netherlamp Behemoth ke aur bhi paas aane lag gaye.

Wahi unke piche jo Scarlet Ghosts lage hue the vo kisi bhi tarah se unka picha nahi chodna chahte the unhone ek ajeeb si cheekh ke saath Kabir aur group ke piche aane lag gaye.

Abhi vo Scarlet Ghosts aage badh hi rahe the ke tabhi andhere mein se kuch tentacles aaye aur un Scarlet Ghosts ko apne mein jakad liya. Scarlet Ghosts sirf chikhte hi reh gaye aur unhe un tentacles ne us andhere mein khich liya.

Jo Scarlet Ghosts piche reh gaye the vo yeh sab dekh kar kaafi dar gaye the aur isse vo har direction mein bhaag gaye. Dar se bhaagte hue Scarlet Ghosts ki cheekh se pura aasman gunjh gaya tha.

Tabhi ek demon beast us darkness se bahar aaya. Uski body kisi tall mountain ki tarah thi jisse dekhne se kisi ko bhi suffocation wali feeling aa sakti thi. Uska sir kaafi bada tha aur dikhne mein bhi kaafi darawana tha. Uska muu itna bada tha ke vo ek small mountain tak ko ek baar mein khaa sakta tha. Uske us bade se muu mein bohot saati lambi zabaane thi. Vo sabhi zabane kaafi speed se shoot bhi ki jaa sakti thi. Vo apne shikar ko kaafi quickly jakad sakti thi aur unhe phi khich kar us muu mein le jaa sakti thi. Waise vo zabane kisi haat jitni thik thi par phir bhi vo kaafi tough thi. Jisse unhe cut karna kaafi hard tha. Even unhe cut bhi kar diya toh bhi Netherlamp Behemoth unhe phir se regenerate kar sakta tha. vo bi instantly.

Kabir aur baki sabhi ne abhi apni apni breaths ko rok kar rakha tha aur apne jagah par jaise the waise hi khade rahe. Even unke samne 1-2 Scarlet Ghost the par phir bhi vo move nahi karna chahte the.

Jaldi hi un sabhi Scarlet Ghost ko bhi un zabano ne jakad liya aur unhe apne muu mein khich liya.

Yeh sabhi Scarlet Ghost Netherlamp Behemoth ka shikar the.

Sabhi Scarlet Ghosts har direction mein faile hue the. Tabhi kisi ki chikh sunayi di. Riya ko bhi us zabaan ne jakad liya tha.

Ravi-Riya!

Ravi yeh dekhte hi apne Scarlet Demonic Leopard ke saath merge ho gaya aur kadi zor se roar karte hue vo Riya ki taraf badh gaya.

Kabir ko laga ke isse pehle kuch bura ho jaaye toh usne bhi apne powers ko release kar diya tha.

Riya-Ravi!

Riya ne kaafi nervous hote hue uska naam liya. Un zabaano ne usse kaafi zor se jakad liya tha. Iske wajah se usse saas lene mein problem hone lag gayi thi. Tabhi ek ajeeb si smell ne Riya ke sabhi senses ko dull kar diya. Us smell mein kuch aisa tha jo kisi bhi shikar ke senses ko dull kar deta tha. Riya ne apne aap ko chudane ke liya bohot kuch try kiya par us smell ki wajah se uski body tak weak ho gayi thi.

Un zabaano ne Riya ko upar khich liya par tabhi Ravi jo apne Scarlet Demonic Leopard form mein tha usne apne sharp claws se un zabano ko cut kar diya aur Riya ko pakadte hue niche aa gaya.

Apne shikar ko aise chutate hue dekh kar Netherlamp Behemoth kaafi gussa ho gaya aur usne Kabir aur baki sabhi ki taraf apni bohot se zabano se attack kar diya.

Kabir-Ravi tum Riya ko lekar yaha se dur chale jaao aur isse ham par chod do.

Yeh keh kar Kabir ne apne right haat ko aage kiya aur ek Yin-Yang blast Netherlamp Behemoth par chod diya. Vo Black and White ke dono energy balls jaa kar us Netherlamp Behemoth ko lag gaye.

Boom!

Vo dono energy balls jaa kar Netherlamp Behemoth ke muu mein blast ho gaye. Aisa hone se uske muu mein jo zabaane thi unmein se kuch wahi khatam ho gayi aur kuch cut ho kar niche gir gayi.

Wahi Varun aur baki sab bhi apne apne demon spirit ke saath merge ho gaye the aur unki taraf jitney bhi zabaane thi unhe cut karte jaa rahe the. Wahi jo zabaane Ravi ki taraf shot hui thi unhe bhi vo cut kar rahe the.

Tabhi unke group mein jo ek member tha usse bhi ek zaban ne jakad liya par usse Varun ne cut kar kar free kar liya.

“Thanks”

Us ladke ne Varun ko apne aap ko chudane ke baad kaha. Luckly Varun ne kaafi speed ne mein move kiyya aur usse chuda liya.

Varun- Sabhi suno ek dusre ko support karo aur careful raho. Koi bhi ek dusre se separate mat hona.

Ab jab sabhi ek dusre ko support kar rahe the toh koi bhi agar kisi zaban mein jakad jaata toh uske side ka person usse chuda raha tha. Par agar vo is situation mein separate ho jaate hai toh vo kaafi musibat mein phas sakte hai.

Aisa hone par koi bhi kahi bhi bhaag sakta tha aur vo Netherlamp Behemoth ke attack range mein aa sakte the.

Kabir jo abhi continuously Yin-Yang blast aur Maithili jo abhi apne Heavenly Lightning Sparrow ke saath merge hui thi vo Kabir ko piche se cover kar rahi thi. Kabir ke baar baar attack karne ke wajah se bohot se Netherlamp ki zabane cut ho gayi thi. Agar abhi Kabir continuous attack na kar raha hota toh ab tak unhe us Netherlamp Behemoth ne pakad liya hota.

Maithili ke aaspas lightning se bana aura tha.Vo endless bolts sharp blades mein convert ho gaye the aur unki taraf aani wali har zuban ko cut kar rahe the.

Kabir aur Maithili ke support ke wajah se Varun aur baki sab bhi Netherlamp Behemoth ke attack range se bahar aa gaye the.

Abhi Maithili un zabaano par attack kar hi rahi thi ke suddenly uske ek pair ko ek zabaan ne jakad liya aur usse upar ki taraf khich liya. Pehle toh Maithili shock ho gayi par phir jaldi se usne apne aap ko sambhal liya aur apne lightning se un zabaaano par attack kar diya. Par jab vo kuch pal ke liye shock hui thi utne waqt mein usse aur bhi zabaano ne jakad liya aur ab vo sabhi usse us bade ne Netherlamp Behemoth ke muu mein le jaa rahi thi.

Maithili ko itne saare zabaano ke jakad ne ke wajah se saans lene mein kaafi problem ho rahi thi. Uski body kisi smell ke wajah se weak ho rahi hai yeh usse pata chal gaya tha. Iske wajah se uski demon spirit ki form bhi ab normal ho kar chali gayi thi. Uske dimag mein bas ab yahi chal raha tha ke vo ab marne wali hai.

Uske dimag mein bohot se images flash hone lag gaye. Yeh sabhi images uske ab tak ke life ke pal the. Kaise usne apne diseases se fight ki. Kaise Kabir ke milne ke baad uski life puri tarah se change ho gayi. Uske wajah se jaise usse zindagi jine ka ek goal sa mil gaya tha.

Uske dimag mein abhi bhi Kabir ke saath bitaye pal ghum rahe the. Maithili ne ek smile ki aur uski aankhe close ho gayi.

Suddenly jin zabaano ne Maithili ko jakad ke rakha tha vo sabhi cut ho gayi aur unhe cut karne wala aur koi nahi balki Kabir hi tha. Uske haat mein uski Abyss Ancient Sword thi. Usse nikalne wali sword energy laafi sharp thi. Kabir ne Maithili ko pakad kar niche laya.

Wahi Kabir ko aise Netherlamp Behemoth ke attack range mein aage jaate hue dekh kar Varun ne usse zor se aawaz di.

Varun-Kabir!

Varun aage badh kar Kabir ke piche aane hi wala tha. Yeh dekh kar Kabir ne kaha.

Kabir-Mere abhi paas mat aana mein sambhal lunga isse.

Agar abhi Varun aur baki sab bhi phir se Netherlamp Behemoth ke attack range mein aate toh Kabir sabhi ko safe mein rakh sakta tha.

Yaha Kabir niche aa kar Maithili ko ground par rakhta hai aur usse dekhta hai. Maithili abhi behosh thi. Kabir ne check kiya ke kahi Maithili ko koi internal injury toh nahi hui hai. Kabir ne apne haat mein jo Abyss Ancient Sword thi usse aur bhi zor se pakad liya. Kabir ne palat kar Netherlamp Behemoth ki taraf dekha aur kaha.

Kabir-Tumne socha bhi kaise ke tum MERI Maithili ko hurt bhi kar sakte ho.

Kabir ki aankhe ab emotionless ho gayi thi. Kabir ke body se kaafi strong energy nikal rahi thi. Tabhi Kabir ne apne sword ko apne haato se release kar diya.

Heart Integrated Into The Sword!

Kabir ke sword ko release karte hi vo kisi light beam ki tarah Netherlamp Behemoth ki taraf badh gayi aur uske raaste mein uski jitney bhi zabaane aarahi thi unhe vo cut kari jaa rahi thi. Yaha Kabir khada ho kar emotionlessly un zabaano ko cut hota hua dekh raha tha.

Tabhi Abyss Ancient Sword udte hue phir se Kabir ke haat mein aa gayi. Kabir ke haat mein sword aate hi Kabir ke upar ek red light ka column ban gaya aur vo upar aasman mein chala gaya. Kabir ke baki sabhi friends yeh sab hota hua dur se dekh rahe the. Tabhi Kabir ne apne Divine Soul ko release kar diya. Uske aisa karte hi abhi vo sab jis interdimensional space mein the vo twist hone lag gaya. Kabir ke Divine Soul se nikalne wali energy ko yeh space jhel nahi paa raha tha. Kabir ne soul ne apne haat ko aise hi wave kar diya aur uske wave karte hi Netherlamp Behemoth kaafi dur jaa kar gir gaya tha. Apne hi area mein usse kisi aur ne aise injured kar diya tha yeh jaan kar Netherlamp Behemoth kaafi gussa hi gaya aur usne gusse mein Kabir ke Divine Soul ki taraf apne zabano se attack kar diya.

Par Kabir ke Divine Soul ke paas aate hi vo zabaane cut ho rahi thi. Wahi ab tak Kabir ke Divine Soul ke right haat mein ek energy sword ban gayi thi.

Us sword ke pura bante hi Kabir ne apne sword ko dono haato se pakad kar upar kar diya. Kabir ke aise karte hi uske Divine Soul ne bhi apne energy sword ko dono haato se pakad kar upar kar liya aur jaise Kabir khada tha waise hi khadi ho gayi.

Yaha Netherlamp Behemoth doudte hue Kabir ki taraf badh raha tha. Jaise hi Netherlamp Behemoth Kabir ke Divine Soul ke attack range mein aaya usne apne sword ko kaafi speed se niche ki taraf ghuma diya.

Uske aisa karne se Kabir ke Divine Soul ne bhi waisa hi kiya aur us energy sword mein se ek powerful sword energy ek arc mein nikal kar Netherlamp Behemoth ki taraf badh gayi. Jaise hi vo sword energy us Netherlamp Behemoth se takarayi toh vo usse bich mein se cut karte hue aage badh gayi. Netherlamp Behemoth ke do part ho gaye the.

Sabhi yeh dekh kar kaafi shock the. Unhone kabhi nahi socha tha ke Kabir reality mein itna strong hoga. Kabir ke sirf ek sword move se hi Netherlamp Behemoth jaisa beast ko otherworldly creature hai vo bhi half mein cut ho gaya tha.

Kabir apne senses mein aata hai aur Maithili ki taraf dekhta hai jo abhi bhi behosh hi padi hui thi. Kabir niche baith kar usse hosh mein laane ki koshi kar kar raha tha. Tab tak uske sabh friends bhi uski taraf aane lag gaye the.

Suddenly Maithili apni aankhe halki si opne karti aur jaise hi usse apne aankho ke samne Kabir dikhta hai vo usse khich kar gale laga leti hai. Kabir bhi Maithili ke aise gale lagane se shock tha aur kuch react bhi nahi kar paa raha tha. Wahi Kabir usse apne se alag karne ki koshish karta toh hai par vo jitnei bhi koshish karta Maithili usse utne hi zor se gale lagaye rakh rahi thi. Kabir aise hi usse lekar khad ho gaya tha.

Kabir ne apne energy ka kaafi bada part apne Divine Soul ko use karne mein laga diya tha jisse usse ab thakaan ho rahi thi. Kabir abhi bhi utna profound nahi hua tha apne Divine Soul ko use karne mein. Iske wajah se uske body par kaafi zyada toll pad raha tha.

Tabhi Maithili ko halka halka hosh aane lag gaya. Wahi Kabir ke sabhi friends bhi uske paas aa gaye the.

Abhi Kabir kuch kehne hi wala tha ke uske soul mein se Divine Demon Spirit Book ka page nikal kar upar aasaman mein chala gaya. Uske aasman mein jaane se ek golden light ka column sidha aa kar in sabhi par gir gaya. Is light column mein sabhi kaafi pressure ke under the. Kisi ko bhi kuch samajh nahi aa raha tha.


Wahi Kabir bhi yeh sab suddenly kya hua hai yeh samajhne ki koshish kar raha tha. Yaha is golden light pillar par 8 inscription patterns ban gaye aur suddenly sabhi ke samne ek light flash ho gayi jisse sabhi ne apne aankhe band kar di. Us light flash ke jaate hi abhi thodi der pehle jaha Kabir aur baki sab khade the ab waha koi bhi nahi tha. Waha us darkness mein bas Netherlamp Behemoth ki half cut hui body padi hui thi
 
Last edited:
Status
Not open for further replies.
Top