• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Gods and Demons

just YES OR NO


  • Total voters
    318
  • Poll closed .
Status
Not open for further replies.

Lovekillsyou

Active Member
649
2,715
124
Note- Update 177 hi 178 hain
 
Last edited:

Morning-Star

👑 Rσყαʅ Kιɳɠ 👑
216
952
93
𝙅𝙖𝙮 𝙗𝙝𝙖𝙞 𝙣𝙮 𝙠𝙖𝙖𝙛𝙞 𝙗𝙖𝙖𝙧 𝙮𝙚 𝙢𝙚𝙣𝙩𝙞𝙤𝙣 𝙠𝙞𝙮𝙖 𝙝𝙖𝙞 𝙠 𝙖𝙟 𝙠 𝙪𝙥𝙙𝙖𝙩𝙚 𝙢𝙖𝙞 𝙠𝙪𝙘𝙝 𝙝𝙖𝙖𝙨 𝙥𝙖𝙩𝙖 𝙘𝙝𝙖𝙡𝙣𝙮 𝙬𝙖𝙡𝙖 𝙝𝙖𝙞
𝙢𝙪𝙟𝙮 𝙡𝙖𝙜𝙩𝙖 𝙝𝙖𝙞 𝙮𝙚 𝙪𝙥𝙙𝙖𝙩𝙚 𝙠𝙪𝙘𝙝 𝙝𝙖𝙖𝙨 𝙝𝙤𝙣𝙮 𝙬𝙖𝙡𝙖 𝙝𝙖𝙞 𝙗𝙘𝙯 𝙋𝙖𝙝𝙡𝙮 𝙖𝙞𝙨𝙖 𝙟𝙖𝙮 𝙗𝙝𝙖𝙞 𝙣𝙝 𝙠𝙖𝙗𝙞 𝙣𝙖𝙝𝙞 𝙠𝙖𝙝𝙖 𝙩𝙝𝙖 . 𝙒𝙤 𝙗𝙚 𝘽𝙖𝙧 𝙗𝙖𝙧


𝙨𝙤 𝙄 𝙈 𝙒𝙖𝙞𝙩𝙞𝙣𝙜𝙜𝙜𝙜 𝙗𝙧𝙤 ....
 

Sakti

New Member
46
231
33
Just wait aage sab kuch pata chal jayega. Mein ne kabhi kisi point ko choda nahi hai explain karne se.
इस प्रकार से रति और मिथाली की सिक्रेट की बात हो रही है इसे तो यही लग रहा है उनकी आत्मा व पावर सरेया और डीना मे मर्ज होने वाली है और अदृश्य फोर्म मे कबीर के साथ रहने वाली है बाकी देखते है क्या होता है वैट एंड वाच
 

Devil@

New Member
72
321
53
[QUOTE="Jay Sutar, post: 3319381, member: 2
[/QUOTE]
Ancient times mein us waqt kuch logo ne Space-Time Savage Beasts ke traces dhund liye the. Usmein se ek Space-Time Moose kaha jata tha. Unhe almost common Space-Time Savages beasts kaha jata tha. Jab bhi unhe dekha gaya tha vo kahi grass hi khaa rahe hote the. Unke aaspas bohot se Space-Time portals open rehte the. Jab bhi koi unke paas aane ki koshish karta vo suddenly us portal mein jump laga dete the aur waha se gayab ho jaate the. Vo yaha se gayab ho kar yaa toh kahi dur chale jaate the yaa phir apne Space-Time ki powers ka use kar ke kisi aur realm mein hi chale jaate the.

Space-Time Moose ke ek hi jagah par phir se aane ke chances kaafi kam hote the. Aur agar vo phir bhi waha aa gaye toh yaa toh vo hundreds of years past mein chale jaate the yaa phir thousands future mein. Unke Space-Time powers ke wajah se vo time ke flow mein kahi bhi aa jaa sakte the. Space-Time Moose kabhi bhi kisi person ke saath contact nahi karte the aur na hi kisi demon ya Savage beast ke saath. Aise apne powers ka use karne se bhi unke upar time ke flow ka koi bhi effect nahi hota tha aur na hi time par unke aise past aur future mein jaane se koi effect hota tha
 

Jay Sutar

अहं ब्रह्मास्मि
2,484
31,541
189
[QUOTE="Jay Sutar, post: 3319381, member: 2
Ancient times mein us waqt kuch logo ne Space-Time Savage Beasts ke traces dhund liye the. Usmein se ek Space-Time Moose kaha jata tha. Unhe almost common Space-Time Savages beasts kaha jata tha. Jab bhi unhe dekha gaya tha vo kahi grass hi khaa rahe hote the. Unke aaspas bohot se Space-Time portals open rehte the. Jab bhi koi unke paas aane ki koshish karta vo suddenly us portal mein jump laga dete the aur waha se gayab ho jaate the. Vo yaha se gayab ho kar yaa toh kahi dur chale jaate the yaa phir apne Space-Time ki powers ka use kar ke kisi aur realm mein hi chale jaate the.

Space-Time Moose ke ek hi jagah par phir se aane ke chances kaafi kam hote the. Aur agar vo phir bhi waha aa gaye toh yaa toh vo hundreds of years past mein chale jaate the yaa phir thousands future mein. Unke Space-Time powers ke wajah se vo time ke flow mein kahi bhi aa jaa sakte the. Space-Time Moose kabhi bhi kisi person ke saath contact nahi karte the aur na hi kisi demon ya Savage beast ke saath. Aise apne powers ka use karne se bhi unke upar time ke flow ka koi bhi effect nahi hota tha aur na hi time par unke aise past aur future mein jaane se koi effect hota tha

[/QUOTE]
Well vo us egg se related nahi hai. Vo moose kaafi sacred beast hai jo kaafi kam hi dikhta hai. Aur kisi ne bhi aaj tak usse tame nahi kiya hai. Toh uska yaha sawal hi nahi uthata hai.
 

Jay Sutar

अहं ब्रह्मास्मि
2,484
31,541
189
RATI KE BEAST KE KARAN USKO 9 LIFE MILI THI USKA KYA HUA
Well buddy shayad tumne carefully read nahi kiya ke kabir ke sabhi friends ne apne old cultivation ko as foundation ki tarah use kiya hai iske wajah se unke effects bhi chale gaye.
 

Jay Sutar

अहं ब्रह्मास्मि
2,484
31,541
189
UPDATE 170

Kabir phir se Rati aur Maithili ke dead bodies ke paas aata hai. Uske aankho se abhi bhi aansu nikal rahe the.

Kabir ko Rati aur Maithili ke saath bitaye uske ab tak ke sabhi pal yaad aa rahe the. Kabir ne gusse mei apne fist ko zor se close kiya. Uske saamne reh reh kar Rati aur Maithili ki vo khubsurat smile aa rahi thi.

Kabir ne upar ki taraf dekha aur zor se chillate hue kaha.

Kabir-Kyo God ? Kyo ? Agar yahi dard phir se mujhe dena tha toh kyo mujhe phir se reincarnate hone diya. Ussi waqt mujhe bhi khatam hone diya hota. Mujhe pata hai aap ke ishare ke bina sabhi worlds mei ek tree ka leaf tak nahi hilta hai toh mere hi saath aisa kyo. Kya kiya hai mein ne aisa jo mujhe yeh dard mil raha hai vo bhi baar baar. KYO ?

Yeh keh kar Kabir se zor se chillata hai. Uske aise zor se chillane se uske body mei se ek golden light nikalti hai jo hundreds of SUN'S jitni bright thi. Pura Aakanksha Universe ek baar phir se hil jata hai.

Kabir ke is tarah se disturbe hone ke wajah se uska effect sirf Aakanksha Universe par hi nahi balki other Minor Worlds par bhi hone lag gaya tha. Kuch Minor Worlds destroy ho gaye the aur kuch Minor Worlds ek dusre ke saath merge ho gaye the.

Tabhi jaha Kabir khada tha waha ke space mei crack aata hai aur usmei se kuch shadows nikal kar bahar aati. Un shadows ne bahar aate hi Kabir ke aaspas ek formation bana di thi.

Tabhi Chikong Secret Mansion mei ek aawaz gunjh jaati hai.

Crimson Red Formation Seal !

Is aawaz ke gunjhte hi Kabir ke aaspas ek triangular shape mei red shield form hone lagti hai. Jaise hi us red shield ne Kabir ko puri tarah se cover kar liya waise hi usse nikalne wali golden light bhi kahi gayab ho gayi.

'Aditya, Abhay sambhal kar. Kabir ek Space and Time Spectre hai. Agar usse kuch ho jata hai ya phir uski Space and Time Powers out of control ho jaati hai toh ham aur bhi worlds ko kho denge. Hame Kabir ko shant karna hi hoga."

Ji haan yeh Shadows koi aur nahi blaki Raj, Roshni, Aditya, Ruhi aur Abhay the. (Rakshak)

Roshni aur Ruhi Rati aur Maithili ke dead bodies ke paas aati hai. Par unhe bich mei hi Shreya aur Dina aage aane se rok deti hai. Un dono ki aankho mei aansu the par phir bhi un dono ne hi apne apne weapons ko bahar nikal liya tha.

Shreya-Koun ho tum ? Tumhe dekh kar toh nahi lagta hai tum yaha se belong karte ho ?

Is par Roshni ne apne sir ko hilate hue kaha.

"Haan ! Ham yaha se belong nahi karte hai. Balki ham sabhi Spectre hai jo Minor Worlds ke bich ke power balance ko dekhte hai. Ham kabhi bhi kisi bhi Minor World ke inner matters mei intercept nahi kar sakte hai. Par agar kisi Minor World ke wajah se other Minor Worlds ko kuch problem ho rahi hoti hai toh ham usse eliminate zarur kar sakte hai."

Roshni ki baato ko sunkar Shreya aur Dina kaafi shock thi. Unhe kuch bhi samajh nahi aa raha tha ke yeh ho kya raha hai. Sabse pehle Aakanksha Universe ka ruler yaha niche Kulun World mei aata hai aur unke juniors ko maarta hai.

Kabir jisne abhi abhi ussi Aakanksha Universe ke ruler ko marne ki oth li thi pata nahi kaise usse janta tha aur ab yeh group jo khud ko Spectre keh raha tha vo unke samne aa gaya tha.

Yaha Kabir abhi bhi apne disturbe state mei tha aur Raj usse baat karne ki koshish kar raha tha.

"Kabir shant ho jaao nahi toh tum aur bhi Minor Worlds ko destroy kar doge. Aise mei kuch bhi nahi bachega Kabir. Kabir meri aawaz par focus karo."

Raj ke baat ka koi asar naa hote dekh kar Abhay kehta hai.

"Raj shayad yeh ab kaafi disturbe ho gaya hai. Uske Space and Time ke Powers ko ham zyada der tak hold kar ke nahi rakh sakte hai. Nahi toh iske effects baki Minor Worlds par kaafi dangerous ho sakte hai."

Abhay ki baat ko support karte hue Aditya kehta hai.

"Haan Raj ham aise hi iske powers ko hold nahi kar sakte hai. Iski powers Minor World ke Space and Time ke law ka essence hai. Agar yahi disturbe ho gaye toh Minor World ka pura multiverse disturbe ho jayega jisse ham repair bhi nahi kar payenge."

Par Raj jaise majboor tha. Vo Kabir ke powers ko aise wild hote hue nahi release kar sakta tha.

Abhi vo kya kare yeh soch hi raha tha ke tabhi Chikong Secret Mansion mei ek flute ki aawaz aane lag gayi thi.

Jaise hi yeh flute ka aawaz Raj aur uske friends ko sunayi diya unke face par ek smile aa gayi.

Raj, Aditya aur Abhay ne jo shield ko form kiya tha usse Kabir ke upar se hata diya.

Raj ne palat ke piche dekha toh koi flute bajate hue unki hi taraf aa raha tha.

Wahi Shreya aur baki sabhi ne bhi us flute ke aawaz ko suna tha par unhe shock toh is baat ka tha ke yeh shaks kaafi easily unki taraf flute bajate hue aa raha tha. Uski aankhe bhi abhi tak close hi thi.

Shreya, Dina aur Zina toh bas yahi soche jaa rahi thi ke isse Chikong Secret Mansion ke andar aate waqt Martial Market School ke kisi bhi expert ne roka kaise nahi. Vo sabhi kaafi powerful warriors hai aur yeh shaks sirf apne flute bajate hue hi yaha aa gaya tha, par kaise ?

Raj aur uske sabhi firends ne ek baar us flute bajane wale shaks ko apne haato ko jod kar pranam kiya aur uske baad Raj ne apne friends se kaha.

"Sabhi suno ab hame yaha se nikalna chahiye. Jaha khud PALANHAAR aa gaye hai waha hamari koi zarurt hi nahi bachi hai."

Yeh keh kar Raj aur uske sabhi friends ek flash ke saath waha se gayab ho jaate.

Shreya, Dina aur Zina us flute se nikle wale music mei jaise goom ho gaye the. Unke nadar unke ek shanti si mil rahi thi. Unhe bas yahi lag raha tha ke yeh flute vo aise hi sunte rahe.

Wahi Yuyan, vo toh aise shock hui thi ke usse kuch samajh mei hi nahi aa raha tha. Abhi kuch hi toh waqt hua tha usse sabhi worlds ke PITAH se milkar aur aaj vo sabh worlds ke PALANHAAR se mil rahi thi.

Us flute ne jaise Chikong Secret Mansion ko ek aisi jagah mei badal diya tha jisse koi bhi kabhi niklna hi nahi chahega agar yeh flute ka music unhe yaha par har baar sunayi dene lage.

Yaha tak ke us flute ko sunkar Kabir jo abhi tak disturbe tha vo tak shant ho gaya tha aur usne bhi palat kar jaha se usse us flute ki aawaz aa rahi thi us taraf dekha.

Jaise hi usne us shaks ko dekha waise hi Kabir doudte hue uski taraf badh gaya aur uske samne aa kar ruk gaya. Vo shaks bhi apni jagah par ruk gaya tha aur abhi bhi flute baja raha tha. Uski aankhe abhi bhi band thi.

Suddenly Chikong Secret Mansion ka ground kaafi zor se hilne lag gaya.

Shreya, Dina aur Zina bas yahi soch rahe the ke ab kya hone wala hai unke saath. Tabhi unhone dekha ke ek taraf se kaafi saare savage beasts aur underground monsters waha par aana start ho gaye the.

Shreya, Dina aur Zina yeh sab dekh kar dar hi gaye the. Itne saare savage beasts aur underground monsters ke saath vo fight kar hi nahi sakte the.

Wahi Yuyan ko is baat se koi effect nahi hua tha ke unki taraf powerful se powerful savage beasts aur underground monsters aa rahe hai.

Vo sabhi savage beasts aur underground monsters aa kar us shaks ke aaspas ruk jaate hai.

Yeh kaafi bizzare scene tha Shreya, Dina aur Zina ke samne. Ek shaks jo flute baja raha hai aur uske aaspas Omen Ridge ke sabse powerful savage beasts aur monsters aa kar khade the aur uske flute ko kuch bhi kare bina shanti se sunte jaa rahe the. Apne ab tak ki life mei unhone aisa kuch bhi na hote hue suna tha na dekha tha aur na kabhi bhi aisa kuch hoga iske baremei socha tha.

Vo shaks abhi bhi flute bajaye jaa raha tha aur yaha Kabir ka dil jaise shant ho gaya tha par aansu toh abhi bhi uske aankho se nikal rahe the.

Kabir-GOVIND !

Ji haan yeh shaks koi aur nahi balki khud Govind the aur shayad hi kisi ki aisi flute ki music ho jo sab kuch control karne ki power rakhti ho.

Govind apni flute ko bajana complete karte hai aur slowly apni aankho ko open karte hai.

Kabir-Govind meri...

Abhi Kabir ne itna kaha tha ke Govind usse kehte hai.

"Janta hu Kabir abhi tumhara hriday apno ke jaane se dukhi hai, Pidit hai. Par kya is pure sansaar mei akele aise tum hi ho jisse apno ke jaane ka dukh hai."

Govind ke is baat par Kabir unhe dekhta hai aur kehta hai.

Kabir-Nahi. Par mein apne logo ko bacha nahi paya Govind. Mein unhe bachane mei weak reh gaya.

Is par Govind smile karte hai aur kehte hai.

"Ek baad dhyan se suno Kabir. Is jagat mei har kisi ko kis na kisi prakar ki nirbalta avashya hoti hai. Jaise koi bohot tezi se doud nahi pata toh koi adhik bhar nahi utha pata. Koi asadhya rog se pidit rehta hai toh koi padhe hue paatho ko smaran mei nahi rakh pata hai. Aise aneko udaharan aur bhi hai. Kya tum kisi aise ko jante ho jisse sab kuch prapt ho aur ham hamare us jivan ki ek nirbalta ko jivan ka kendr maan kar jite hai. Is karan wash hriday mei dukh aur asantosh rehta hai sada. Nirbalta kisi ko bhi uske janam se athva sanjog se prapt hoti hai kintu us nirbalta ko manushya ka man apni maryada bana leta hai. Kintu kuch manushya aise bhi hote hai jo apne purusharth aur shram se us nirbalta ko parajit kar dete hai. Kya bhed hai unmei aur anya logo mei. Is par tumne kabhi vichar kiya hai. Saral sa uttar hai iska, Jo vyakti nirbalta se parajit nahi hota, Jo purusharth rakhne ka saahas rakhta hai hriday mei vo nirbalta ko paar kar jata hai. Arthart nirbalta avashya ishwar deta hai kintu maryada, maryada manushya ka man hi nirmit karta hai."

Kabir-Par Govind mein ne ab tak ke apne life mei jo hardship face ki hai uska kya ?

Govind ne smile karte hue aage kaha.

"Kabir bhavishya ka dusra naam hai SANGHARSH. Hriday mei aaj ichha hoti hai aur aaj vo purn nahi ho paati hai toh hriday bhavishya ki yojna banane lagta hai. Bhavishya mei ichha purn hogi aisi kalpna karne lagta hai. Kintu JIVAN, jivan na toh bhavishya mei hai na Atit mei, Jivan toh is pal ka naam hai. Artharh is pal ka anubhav hi jivan ka anubhav hai aur ham yeh jante hue bhi itna sa satya samajh nahi paate hai. Yaa toh ham bite hue samay ke palo ko gher kar baithe rehte hai yaa phir aane wale samay ke liye ham yojnaye banate rehte hai aur jivan, jivan bit jata hai. Ek satya yadi ham hriday mei utaar le ki naa ham bhavishya dekh sakte hai na hi bhavishya nirmit kar sakte hai ham toh keval dherya aur saahas ke saath bhavishya ko aalingan de sakte hai swagat kar sakte hai bhavishya ka toh Kabir kya jivan ka har pal JIVAN se nahi bhar jayega."

Kabir-Par Govind mere hi saath aisa kyo ?

"Kabir pratyek maushya ke jivan mei aisa pal avashya hi aata hai jab usse saare sukh saari aashaye saare swapn dhwast ho jaate hai. Jivan ke saare aayojan hi bikhar jaate hai. Ek taraf DHARM hota hai aur dusri taraf SUKH, Issi ko DHARM-SANKAT kehte hai. Jab dharm ka wahan hi sankat ho aur dharm ka tyag hi sukh ho. Vichar karo, Kabhi kisi apne ke viruddha satya bolne ka avsar prapt ho jata hai, Kabhi bhi daridrta ke samay saralta se chori karne ka marg prapt ho jata hai. Kabhi kisi shaktishali raajneta ya raja ke karmchari ka adharm prakat ho jata hai. Sab ke jivan mei aisi ghatna banti hi rehti hai. Adhiktar log aise pal ko dharam-sankat ke roop mei jaan hi nahi pate hai. Hame kisi bhi prakar ke sangharsh ka anubhav hi nahi hota. Sehejta se sukh ki or khiche chale jaate hai jaise ek makkhi gud ki or khichi chali jaati hai. Vastav mei dharm-sankat ka pal ishawar ke nikat jaane ke pal hota hai. Yadi ham sangharsho se bhaybhit na ho, sukh ki or aakarshit na ho apne dharm par dhrid rahe toh ishwar ka saakshatkar dur nahi. Pawan se yuddh karne wala patta yadi ped se girta hai toh bhi aakash ki or uthta hai. Wahi pawan se jhukne wali ghas wahi bhumi par reh jaati hai. Artharth dhram-sankat se yadi ham sankat ko hi taal de toh sukh toh milta hai jivan badhta hai, kintu kya charitra nahi chut jata, kya aatma daridra nahi ho jaati, kya ishwar se antar nahi ho jata hai. Is baat par khud vichar karo."

Kabir-Toh Govind aap hi batayiye mein kaise apno ki help ke bina koi sahi decision lu ?

"Jivan ka har pal NIRNAY ka pal hota hai. Pratyek pag par hame dusre pag ke vishay mei koi nirnay karna hi padta hai aur nirnay, nirnay apna prabhav chod jata hai. Aaj kiye gaye nirnay bhavishya mei sukh athva dukh nirmit karte hai na keval apne liye apne parivar ke liye bhi aane wali pidhiyon ke liye bhi. Jab koi duvidha samne aati hai tab man vyakul ho jata hai, anishay se bhar jata hai. Nirnay ka vo pal yuddh ban jata hai aur man ban jata hai yuddhbhumi. Adhiktar nirnay ham duvidha ka upay karne ke liye nahi keval man ko shant karne ke liye lete hai. Par kya koi doudte hue bhojan kar sakta hai, nahi toh kya yuddh se jhujhta hua man koi yogya nirnay le payega. Vastav mei shant man se koi nirnay karta hai toh apne liye sukhad bhavishya banata hai, kintu apne man ko shant karne ke liye koi vyakti nirnay leta hai toh vo bhavishya mei apne liye kaato bhara vriksh lagata hai."

Kabir-Par Govind aaj jo hua ai usse mera confidence hi chala gaya hai.

"Kabir jivan mei aane wale sangharsho ke liye jab manushya apne ko yogya nahi manta, jab usse apne hi bal par vishwas hi nahi rehta tab vo sadguno ko tyag kar durguno ko apnta hai. Vastuta manushya ke jivan mei durjanta janm hi tab leti hai jab uske antar mei aatmvishwas nahi hota. Aatmvishwas hi achhayi ko dharan karta hai. Par yeh aatmvishwas hai kya ? Jab manushya yeh manta hai ke jivan ka sangharsh usse durbal banata hai tab usse apne upar vishwas nahi rehta. Vo sangharsh ke paar jane ke badle sangharsh se chutne ke upay dhundne lagta hai kintu jab vo yeh samajhta hai ke yeh sangharsh usse adhik shaktishali banate hai thik jaise vyayaam karne se deh ki shakti badhti hai toh pratyek sangharsh ke saath uska utsaah badhta hai. Artharth aatmvishwas aur kuch bhi nahi man ki stithi hai, jivan ko dekhne ka drishtikon matra hai aur jivan ka drishtikon toh manushya ke apne vash mei hota hai na."

Kabir-Govind mein apne hi opponent ke against kaafi weak hu. Vo is world ka absolute powerful being hai.

"Kabir manushya ki sabse badi durbalta kya hoti hai, socho. Dhan, Prem, Ahankaar. Manushya ki sabse badi durbalta hoti hai uske rahasya. Chahe aap kitne bhi shaktishaali kyo na ho, kitne bhi prabal kyo na ho parantu uske rahasya uske naash ki chabi hoti hai. Isliye yadi prabal rehna hai, shaktishali rehna hai, samarth rehna hai toh apne rahasya ko kisi ko bhi na bataye na mitra ko aur na hi shatru ko. Kyo ki samay aane par kab koun shatru ho jaaye aisa kehna sambhav nahi. Tumhe pata hai ek samay ki baat hai jab ek bade tapasvi raja ne ek dusre raja ke patni ka haran kar liya. Lekin ek baat batau us tapasivi raja ke rahasyo ke baremein uske chote bhai ko pata tha. Issi liye dusre raja us tapasvi raja ka vadh karne mei safal ho sake the. Is liye uchit yahi hai ke aap apne rahasyo ko apne tak hi rakhe."

Kabir-Phir bhi Govind aaj mei ek tarah se haar hi gaya hu. Itna powerful ho kar bhi mei kuch nahi kar sakta hu.

Yeh keh kar Kabir ne apne Abyss Ancient Sword ko apne haat mei bulaya jo udte hue uske haat mei aayi. Phir Kabir chalte hue Rati ke dead body ke samne aaya aur apne sword se us light arrow par strike kiya.

Kabir ke Abyss Ancient Sword aur us light arrow mei clash hote hi waha par ek kaafi small blast hua aur jab sabhi ne apni aankhe open ki tab sabhi shock ho gaye kyo ki Kabir ke Abyss Ancient Sword ab break ho kar half hi bachi thi.

Kabir ne sad ho kar us sword ko Govind ko dikhaya aur kaha.

Kabir-Govind yeh sword is world ki sabse strong sword hai par dekho yeh mere enemy ke ek light arrow tak ko cut nahi kar paayi. Yeh meri haar nahi toh aur kya hai.

Kabi rki is baat par Govind halke se smile karte hai aur uski taraf aa kar kehte hai.

"Kabir manushya ka jivan haar aur jeet, vijay aur parajay, safalta aur asafalta ke madhya jhulta rehta hai sada. Tumhare saath bhi aisa hota hoga kyo. Jab tum safal hote ho kisi chunoti par vijay paate ho toh tumhara man prasann hota hai, anandit hota hai aur jab tum asafal hote ho tab man dikh aur pida ke sagar mei dubne lagta hai. Parantu vastav mei safalta aur asafalta hai kya ? thoda dhyan se sochna, yeh keval ham sabhi ki man ki stithi matra hai. Hamari parajay tab nahi hoti hai jab hamara shatru vijay prapt kare, hamari parajay tab hoti hai jab ham parajay swikar kare. Ham asafal tab nahi hote hai jab ham lakshya na paa sake, ham asafal tab hote hai jab ham prayas karna band kar dete hai. Is liye prayas karte raho aur haar mat mano. Kyo ki jis din tum apni haar swikarna band kar doge jeet tumhare charno mei hogi."

Kabir-Toh Govind aap kehna chahte hai ke mein hamesha apne thinking ko positive hi rakhu. Par kaise mein abhi bhi utna powerful nahi hua hu ke har pal itna positive reh saku.

"Kabir tum bhul rahe ho tum BHAWAN SURYA ke kul mei janme ho aur jo SURYAVANSHI yoddha rahe hai vo sabhi maha-parakrami rahe hai. Ek samay ki baat BHAGWAN SURYA ke ansh ne ek baar dharti par janm liya. Lekin uske mata ki aayu kam hone ki wajah se us mata ne apne hriday par patthar rakh kar us nanhe se balak ko nadi ke pravah mei chod diya. Us nadi ke pravah mei se usse ek vyakti ne nikala aur apne ghar le kar aa gaya. Jab us vyakti ke patni ne yeh dekha tab vo kaafi achambit hui ke uske pati ke haat mei yeh kiska bachha hai. Jab us vyakti ne apne patni ko yeh bataya ke yeh balak usse kaha se mila hai toh usse bhi kaafi aacharya hua ke koi kaise itne nanhe se balak ko nadi ke pravah mei chod sakta hai. Us pati-patni ko bhi koi santaan nahi thi toh unhone us nanhe se balak ko apna liya."

"Pata hai Kabir apne sapno ko sakaar karne ke liye usne samaaj tak se bair le liya tha. Athak parishram se usne apne aap ko itna kabil banaya ke devta bhi uske parakram ki prashansa karte the. Vo parakrami yodha apne samay ka sab se bada DAANVIR bhi kehlta hai. Pata hai kyo, kyo ki vo balak janam ke saath hi aise divya kavach aur kundalo ke saath janma tha jisse kaat pata asambhav tha. Par ek din kuch paristitiya aisi uttapn hui aur Devo ke raja ko chal se usse uske Kavach aur kundal daan mei mangne pade. Par kya tumhe yeh baat pata hai Kabir ke us yoddha ko is sab ke baremein pehle se pata bhi tha. Par usne yeh vacha diya hua tha ke suryoday ke samay usse jo bhi vyakti jo kuch bhi maangega vo usse avashya hi dega aur us din us yodha ne apne hatao se apne deh se jude vo Kavach aur kundal kaat kar apne haato se Devraj ko diye. Tum bhi ussi yodha ke kul mei janme ho Kabir."

Yeh keh kar Govind ne Kabir ke mathe ke center mei apne anguthe ko rakha.

Unke aisa karte hi Kabir ki soul rak shake ho gayi thi. Usne apne aankho ko close kar liya tha.

Kuch der baad Govind ne apne anguthe ko uske maathe se hata diya aur jaha abhi Govind ka ungutha tha waha par ab ek Sun ka mark ban gaya tha jo golden light ke saath chamak raha tha.

Kabir ne bhi kuch der ke baad apne aankho ko open kiya. Usne Govind ko haat jodte hue unke samne jhuk kar baith gaya.

Kabir-Shukriya prabhu. Aaj mujhe vo mil gaya hai jo sansaar mei mushkil se kisi ko milta hai. Aap se mila hua yeh gyan mein apne puri zindagi mei kabhi nahi bhulunga.

Kabir ko suddenly aise behave karte dekh Shreya, Dina aur Zina toh shock ho gayi. Unhe suddenly Kabir aise kyo behave kar raha hai yeh samajh mei hi nahi aa raha tha.

Shreya-Yeh Kabir us ladke ke samne aise jhuk kar kyo baith gaya hai ?

Dina-Yeh kaafi ajeeb hai. Ek toh yeh ladka pata nahi kaise Chikong Secret Mansion ke andar aa gaya hai upar se uske flute ke music ko sunkar yaha ke sabhi savage beasts bhi yahi aa gaye hai aur calmly yahi khade hai.

Zina-Waise kisi ko is ladke ke origin ke baremei pata hai ke yeh kis clan se belong kar raha hai ?

Abhi yeh 3 no ladkiya yeh baate kar hi rahi thi ke Yuyan jo unke piche thi vo unke aage aa kar kehti hai.

Yuyan-Pata bhi hai jo human form mei tumhare samne khade hai vo reality mei hai koun. Inke hi ishare par har world mei sab kuch chalta hai. saari duniya inhe PALANHAAR ke naam se janti hai. Yahi hai SUPRIME GOD.

Yuyan ki baat se yeh 3 no ladkiya shock ho gayi thi. Unhe kya kahe yeh samajh hi nahi aa raha tha. Par tabhi Shreya Yuyan se kehti hai.

Shreya-Nahi aisa nahi ho sakta hai. Mein nahi manti hu yeh sab. Agar yeh hamare samne ladka sahi mei Suprime God hai toh yeh hame kaise nahi dikh raha hai ?

Yuyan-Yeh tumhare marzi se nahi balki unki marzi se hoga. Agar vo chahe toh tumhe abhi apna real form dikha sakte hai aur agar unhone nahi chaha toh tum kitne hi powerful kyo na ban jaao unhe real form ko kabhi nahi dekh sakte ho.

Dina-Agar aisa hai toh kya Sister Yuyan unke real form ko dekh sakti hai ?

Yuyan-Haan ! Par puri tarah se nahi. Mein sirf itna hi dekh paa rahi hu ke unki body aankho ko bhi blind kar dene wali light mei hai. Shayad Kabir hi hai jo unke form ko dekh pa raha hai.

Zina-Par hame aisa kuch feel nahi ho raha hai aur aap Sister Yuyan aap itna confident se kaise keh sakti hai ke yahi Suprime God hai ?

Yuyan-Tum sabhi yeh bhul rahi ho ke mein ke SPIRITUAL GODDESS hu. Fire ke essence ki aur meri tarah jitney bhi other Spiritual God's hai vo sabhi bhi inke hi energy ka ek small part hai. Jo is world ke element essence ko balance rakh rahe hai.

Yeh keh kar Yuyan palat kar Kabir aur Godin ko dekhne lagti hai aur apne haato ko jod kar dur se ho unhe kehti hai.

Yuyan-He Palanhaar kya aap apna asali roop in balako ko bhi dikha sakte hai jaisa roop mein dekh paa rahi hu.

Yuyan ne jaise hi yeh baat kahi waise hi Govind ne ek smile kar ke uski taraf dekha aur apne sir ko haan mei hilaya.

Tabhi jaise Aakanksha Universe ka time hi stop ho gaya tha. Kabir aur uske friends ko chod kar baki sab kuch apni hi jagah ruk gaya tha. Wahi jaha abhi Govind khade the suddenly waha par kaafi bright light pillar ban jata hai aur usmei se ek badi golden shadow form hone lagti hai.

Shreya, Dina aur Zina ko aaj jitney bhi shock mile the yeh sab ab jo unke samne tha usse kaafi kam hi the. Unki puri body hi shake karne lag gayi thi. Tabhi unhe OM ki aawaz har jagah se sunayi dene lag gayi thi. Unhe haat apne aap hi us golden shadow ko dekh kar jud gaye the.

Tabhi waha sabhi ko ek aawaz sunayi deti hai.

"Kabir tum itne gyani hone ke baad bhi apne shatru ke is MAAYA ko samajh nahi paaye. Tumhe ye bhi pata tha ke Rati aur Maithili asal mei koun hai kyo."

Kabir-Haan prabhu mujhe yeh pata tha. Par shayad mera dil is baat ko manne ke liye ready nahi tha.

"Aur ab, ab kya kehta hai tumhara man Kabir ?"

Kabir-Prabhu aap jis bhi taraf mujhe chalne ke liye kahenge mein us raaste par chalne ke liye ready hu.

"Mujhe tumse yahi aasha thi Kabir. Ab hamari bhet tabhi hogi jab tum is sansaar ke Adharm aur yaha ke Adharmiyo ko nasht kar doge. Par jaane se pehle mein tumhe kuch dena chahunga."

Jaise hi yeh aawaz ruki waise hi us golden shadow mei se do light rays nikali aur aa kar direct Rati aur Maithili ke bodies ko lag gayi.

Aisa hote hi unki body bhi shine karne lag gayi aur phir suddenly Rati aur Maithili ki bodies ek small golden energy ball mei transform ho gayi. Yaha Shreya Dina aur Zina yeh sab hote hue bas dekh hi rahe the.

Par in 3 no mei se koi kuch samajh pata usse pehle hi jo energy ball Rati ke body se bana tha vo directly Dina ke andar chala gaya aur jo energy ball Maithili ke energy se bana tha vo directly Shreya ke andar chala gaya.

Aisa hone ke saath hi in dono ke body mei kaafi tezz jhatke aane lag gaye the. Unke sir mei unimaginable pain hona start ho gaya tha.

Wahi jaha yeh sab ho raha tha toh dusri taraf vo golden shadow waha se gayab ho gayi aur Aakanksha Universe phir se jo ruka hua tha vo chalne lag gaya.

Jo savage beast aur underground monsters Kabir aur uske friends ke aaspas jame hue the vo bhi waha se chale gaye aur yaha apne sir mei ho rahe pain ke wajah se Shreya aur Dina almost behosh ho gayi thi.

Kabir ne aage badh kar un dono ke hi sir par haat rakha aur apne Pure Jade Genuine Qi ko unke body mei circulate karne lag gaya.

Kuch circulation ke baad Shreya aur Dina ke sir mei jo pain ho raha tha vo kam ho gaya aur unhone apni aankho ko open kiya.

Kabir unke paas se khada hota hai aur apne break hui Abyss Ancient Sword ko dekhne lagta hai. Yaha Shreya aur Dina ne ek ek healing pill kha li thi aur usse refine karne lag gayi thi.

Kuch der ke baad jab unhe achha lagne laga tab unhe aisa feel hone laga ke aaj tak jo vo dono hi apne aap ko half feel karti thi aaj vo complete ho gayi hai. Vo shock ke saath Kabir ko dekhne lag gayi thi jo unse kuch distance par khada tha. Yaha tak ke unke haato mei Rati aur Maithili ki engagement rings tak aa gayi thi.

Zina jo uske samne jo bhi hua usse confuse thi usne Kabir se pucha.

Zina-Kabir yeh sab kya tha aur Rati aur Maithili ki bodies kaha par hai ?

Kabir ne zina ke is sawal par ek gehri saans li aur palat kar unki taraf dekhne laga.

Kabir-Ab tum 3 no meri baat dhyan se suno. Abhi jo mei batane jaa raha hu vo tumhe ajeeb lag sakta hai par yahi sach hai. Kuch der pehle jo dark fog se shadow bani thi vo aur kisi ki nahi balki is Aakanksha Universe ke ruler Sage Emperor ki thi. Aaj jise ham First Central Empire ke naam se yaha Kulun World mei jante hai vo ussi ka hai. Sage Emperor hamare universe se belong nahi karta hai. Yeh kisi ko bhi nahi pata hai ke mellions of years pehle vo yaha kaise aaya. Par aate hi usse pata chal gaya ke yaha ke sabhi beings usse kisi bhi tarah se hurt nahi kar sakte hai siwaye ek ke aur vo beings the Space and Time ke descendent. Jo Space and Time ke law ko control kar sakte hai. Usne naa jane kitne hi Space and Time ke descendents ko mara hai. Par tabhi thousands of Years pehle aaye Budhhist Emperor. Vo bhi Space and Time ke descendent the. Unke saath Sage Emperor ki kaafi intense battle hui jo hundreds of years chali thi par Buddhist Emperor utne powerful tab nahi hue the. Vo us waqt Suprime Saint ke peak par the lekin Sage Emperor ko beat karne ke liye itna kaafi nahi tha. Usse koi True God hi hara sakta hai. Uski bhi ek wajah hai ke Aakanksha Universe ko jaha se Sacred Spiritual Qi milti thi vo tha Sacred Prime Tree. Sage Emperor ne aate hi us Sacred Prime Tree ko almost destroy kar diya aur usse nikalne wale ORIGIN QI ko refine kar liya. Rati aur Maithili ko light arrows lage the vo bhi Origin Qi arrows the. Unhe koi True God hi touch kar sakta hai. Wahi ab aate hai Rati aur Maithili ke upar toh Senior Shreya aur Senior Dina meri baat carefully sunna. Rati Senior Dina ke soul ka ek part thi jisse Sage Emperor ne mujhe ek tarah ke trap mei phasane ke liye aur mujhe baad mei mentally break karne ke liye banaya tha. Wahi Maithili Senior Shreya ke soul ka part hai. Dono ko hi Sage Emperor ne is tarah banaya ke dono ke faces aap se milte the par unke behavior unke match faces se opposite the. Mein jo aap sabhi ko ek teenage dikh raha hu waise mein hu nahi yeh body zarur ek teenage ladke ki hai jo 18-19 years ka lag raha hai par meri soul 2-3 thousands years old hai. Haan mere past life mei mere aur Sage Emperor ke bich battle hui hai aur usmei mei mara gaya tha. Par ek kaafi fortunate accident ke chalte mein phir se time mei return aaya aur is baar mein surely Sage Emperor ko khatam kar dunga.

Kabir ne yaha par apni baat khatam kar di thi. Sabhi ladkiya uski taraf dekh rahe the. Yeh sab unke liye itni jaldi accept kar pana kaafi hard tha.

Par in sabhi mei Shreya kaafi strong mind person thi. Usne apne is fate ko apna liya tha. Ek baar usne apne haat mei dekha jismei Maithili ki engagement ring aa gayi thi. Phir usne ek gehri saans li aur apni jagah se khadi ho gayi.

Shreya-Kabir abhi jo kuch bhi hua yeh ham sabhi ke liye kaafi badi baat hai aur upar se tumhara sach bhi kaafi hard hai accept karne ke liye. Hame kuch time chahiye is sab ko normal way mei sochne ke liye baki abhi ke liye ham is topic ko side mei rakhte hai aur mujhe yeh batao ke yeh sab hone se pehle tumhare haat mei kuch tha vo kaha hai.

Jaise hi Shreya ki yeh baat Kabir ne suni usne apne aaspas dekha. Tabhi uski nazar kuch distance par gire dragon horn par gayi. Usne usse waha se jaa kar uthaya aur kaha.

Kabir-Well mujhe yeh lag raha hai ke yeh Four-Winged Earth Dragon ka dragon horn hai.

Shreya-Four-Winged Earth Dragon ka dragon horn.

Shreya is baat ko sunkar halki surprise hui aur us dragon horn ko dekhne lag gayi. Usne apne haat ko aage karte hue Kabir se kaha.

Shreya-Mein isse tumhare liye apne paas rakhti hu. Kyo ki mein powerful hu toh yeh mere saath safe rahega.

Shreya is bane hue awkward situation ko light karne ke liye yeh sab kar rahi hai yeh samajhte hi Kabir ko yeh kaafi achha laga. Usne Shreya ko kaha.

Kabir- Senior Shreya kya aap ko abhi bhi lagta hai ke aap mujh se zyada powerful hai ?

Kabir ke is baat ko sunkar Shreya ki aankhe aur bhi bright ho gayi.

Shreya-Lagta hai tum mere saath apne power ko test karna chahte ho. Well mein iske liye ready hu. Agar tumne mere attack ko bina hurt hue block kar liya toh tum is dragon horn ko apne paas hi rakh sakte ho. Par tum agar mere attack ko block nahi kar paye toh yeh tumhe mujhe dena hoga.

Yeh kehne ke baad Shreya ne Kabir ke reply kya hai yeh bhi nahi janna chaha. Ek second mei uske aaspas kaafi strong tornado form hone laga aur dekhte hi dekhte vo bada bhi ho gaya. Uske aaspas kaafi strong power gather hone lag gayi thi.

Chikong Secret Mansion mei enter karne ke baad Shreya ne bhi apna cultivation kaafi improve kiya hua tha.

Vo na sirf Earth Realm ke Initial Stage par pohochi thi par vo Mid Stage mei bhi ab breakthrough kar sakti thi.

Shreya ke strong wind power ne 333 meters tak ke area ko cover kar liya tha. Uske waha se waha par kaafi loud whistling sound aane lag gaya tha.

Suddenly Shreya ne ek punch ko Kabir ki taraf strike kiya. Uski speed lightning jitni fast thi aur vo punch ek pal mei hi Kabir ke samne aa gaya tha.

Us strong storm mei bhi Kabir kaafi firmly khada tha. Ek smile ke saath Kabir ne 4 times apne palms ko hawa mei strike kiya.

Vo 4 palm prints merge ho kar ek palm print ban gaye jo 4 times strong tha.

Boom !

2 powerful forces ek dusre ke saath clash hue jiske wajah se waha par ear splitting blast sound ban gaya tha.

Us clash se nikle force ke wajah se Kabir aur Shreya dono hi piche ki taraf ud gaye the.

Yeh ek draw tha.

30 meters piche ki taraf udne ke baad Kabir ne apne pairo ke tip se apne aap ko balance kiya aur wahi par khada ho gaya.

Wahi Shreya bhi 30 meters piche ki taraf ud gayi thi par kisi petal ki tarah usne bhi ground par land kiya.

Apne khubsurat face ke saath surprise hote hue usne Kabir ko dekha.

Shreya-Tumhari strength inti powerful kaise ho sakti hai ? Kya tumne Black Realm ke Ultimate Realm mei breakthrough kar liya hai ?

After all ab Shreya ki combat force Profound Board ke top 10 superiors se comparable thi. Jab vo Black Realm ke Completion Stage par thi tab usne Shadow of the Royal Wind Dragon aur Sacred Liquid ke ek drop ko refine kiya tha.

Ab usne Earth Realm mei enter kar liya tha aur vo uske Mid Stage par bhi Breakthrough karne wali thi.

Is liye usse same realm ke warriors ki list mei strongest kehna galat nahi hoga. Lekin itna sab advantage hone baad bhi Kabir aur uski fight draw par end hui.

Is liye usse laga ke Kabir itna powerful tabhi ban sakta hai jab vo Black Realm ke Ultimate Realm mei breakthrough kar gaya ho.

Kisi bhi realm ke Ultimate Realm mei breakthrough karne ka meaning hai ke us warrior ne baki warrior se same realm mei ek realm mei high cultivation kar liya hai.

Kabir ne smile karte hue Shreya se kaha.

Kabir-Nahi. Abhi tak toh nahi.

Shreya-Yeh impossible hai !

Shreya ne Kabir par apni nazar ko fix kiya.

Shreya-Agar aisa hai toh tumne Yellow Realm ke Ultimate Realm ko achive kar liya hai. Nahi toh yeh possible hi nahi hai ke tum mere itne strong punch ko block kar sako.

Kabir ne na is baat ko conform kiya aur na hi usne is baat ke liye na kaha.

Kabir-Senior Shreya ab mein ne aap ke attack ko block kar diya hai toh baat ke mutabik mein is dragon horn ko apne paas rakh raha hu.

Kyo ki Kabir ne Shreya ke baat ke liye na nahi kaha tha isse uska doubt aur bhi clear ho gaya ke Kabir ne Yellow Realm ke Ultimate Realm ko achive kar liya hai.

Shreya-Yeh kisi bhi tarah se small matter nahi hai. Agar yeh baat sprade ho gayi toh iske wajah se aur bhi assassins aayenge Kabir par attack karne ke liye.

Yeh baat Shreya ne apne aap se kahi thi.

Kyo ki unke bich ek outsider thi is liye Shreya ne is baat ko aage nahi badhaya.

Shreya ki aankho mei Zina abhi bhi ek tarah se stranger thi. Vo Kabir ke baremei kuch secrets usse pata nahi chalne de sakti thi.

Shreya ne phir is topic ko hata kar us dragon horn ko dekhte hue kaha.

Shreya-Tum is dragon horn ko rakh sakte ho, par kya tumhe iske uses ke baremei kuch pata hai ?

Kabir-Mujhe lagta hai yeh kisi important place ki key hai. Shayad is Chikong Secret Mansion mei koi aisi jagah ho.

Shreya-Nahi.

Kabir-Kyo ?

Kabir ko laga ke Shreya ko iske baremei kuch pata hai.

Shreya ne ek baar Zina ki taraf dekha aur usse kaha.

Shreya-Junior Zina mujhe Kabir ke saath kuch important baat karni hai. Kya tum hame kuch privacy de sakti ho ?

Kabir bhi Shreya ke aise tone se shock ho gaya. Shreya yeh baat aise keh rahi thi ke Kabir par uska hak hai. Kabir ne is baat par smile ke saath kiya aur apne sir ko hilane laga. Usse Shreya mei wahi Maithili ka attitude dikhne laga tha.

Zina ne ek baar Kabir ko dekha aur bina kuch kahe waha se side mei chali gayi.

Zina ko side mei jaate hue dekh kar Shreya ko bhi achha laga aur jab usne Kabir ki taraf apni nazar ko ghuma kar dekha toh jaise uske dil ki dhadkan hi ek pal ke liye ruk si gayi.

Vo toh jaise Kabir ki aankho mei khone si lag gayi thi. Usse bas yahi lag raha tha ke vo Kabir ki aankho mei dekhti hi rahe. Uske dil ki dhadkan bhi jaise badh gayi thi. Uske liye toh jaise waqt wahi par ruk gaya tha. Suddenly Shreya ko Maithili ne Tiny World mei Kabir ke saath bitaye pal yaad aane lag gaye the. Maithili ke soul ke saath ab uski yaade bhi uski ho gayi thi.

Kabir ko bhi ek pal ke liye Shreya ko usse aisa dekhna ajeeb laga tha par jab usne uske aankho ko observe kiya tab usse unmei wahi emotions dikhe jo kabhi usne Maithili ke aankho mei dikhe the.

Kabir ke liye bhi yeh hard tha accept karna ke Rati aur Maithili ab uske saath nahi hai. Par phir apne sir ko jhatak kar usne ek baar Shreya ke face ke samne apne haat ko wave kiya.

Kabir ke aisa karte hi Shreya jaise hosh mei aa gayi thi. Usne blush karte hue apni nazaro ko niche kiya.

Kabir janta tha ke Shreya ke liye bhi yeh sab hard jaa raha hoga. Is liye usne Shreya se iske liye kuch nahi kaha.

Shreya ne ek gehri saans li aur phir se Kabir ko dekhte hue usne aage kaha.

Shreya-Yeh baat tab ki hai jab First Central Empire ke saath Qin Commandery ne bhi Four-Winged Winged Earth Dragon ke against unka saath diya tha. Royal Family ke secret scroll mei us battle ke baremein kuch unknown baate record ki hui hai aur dragon horn ussi mei se ek hai. Secret Scroll mei yeh kaha hai ke jab Four-Winged Earth Dragon ko mara gaya tha tab unhe dragon ke body par yeh refine kiye hue dragon horn mile the. Iske saath unhone Chikong Secret Mansion ke Fourt Level Dragon Cave ko open kiya aur waha par jitna bhi treasure tha uska 90% vo lekar chale gaye. Jis dragon horn se unhone Fourth Level Dragon Cave ko open kiya tha vo abhi bhi Qin Commandery ke Royal Family ke treasure house mei safe rakha gaya hai.

Kabir-Toh yeh dragon horns pair mei hai. Senior Shreya aap ki baato se mujhe yeh toh pata chal gaya ke ek dragon horn se yaha ke Fourth Level Dragon Cave ko open kiya jaa sakta hai toh dusre ka yaha par kya use ho sakta hai ? Four-Winged Earth Dragon ne 2 dragon horns ko refine kiya hai key ke form mei jo uske liye kaafi importent the yeh show karta hai. Toh Omen Ridge mei ek aur sanctum ho sakta hai jo Fourth Level Dragon Cave ke level ka ho.

Kabir aur Shreya dono hi is baat ke upar sochne lagte hai aur tabhi dono ke hi muu se ek saath nikalta hai.

Underwater Dragon Palace !

Omen Ridge mei Four-Winged Earth Dragon ne 2 middle level heritages ko banaya hai. 1st Chikong Secret Mansion aur 2nd Underwater Dragon Palace.

Tongming River ke bottom mei located Underwater Dragon Palace Chikong Secret Mansion se bhi kaafi dangerous tha. Itna dangerous ke uske gate ko bhi aaj tak koi open nahi kar paya hai.

Jo warriors Heaven Realm se niche hai sirf wahi waha bane arrays se survive kar sakte hai aur Dragon Palace ke boundary par treasures ko dhund sakte hai.

Four-Winged Earth Dragon ki aankho mei jin warriors ka cultivation Heaven Realm se niche tha vo kisi insect ki tarah the uske liye. Jab Four-Winged Earth Dragon ne Dragon Palace ko arrays ke saath set up kiya tab usne Heaven Realm ke niche ke warriors ko count hi nahi kiya tha.

Even agar koi Heaven Realm ke niche ka warrior ste kiye hue arrays se bach kar aage badh bhi jata hai toh bh aage aise aise danger the jinse uska bachna hard tha. Agar 10 warriors andar gaye hai toh unmei se sirf 2-3 hi bach kar bahar aa sakte the.

Issi liye Fourth Level Dragon Cave mei se 90% treasure ko le jaya gaya tha. Aaj tak kaafi saare Suzerain ke students ne waha par jaane ke raaste ko dhundna chaha par kuch bhi hasil nahi hua.

Iske wajah se Underwater Dragon Palace mei jitna bhi treasure tha vo abhi bhi wahi tha.

After all vo Four-Winged Earth Dragon ka Dragon Palace tha. Ek aise savage beast ka lair jo Saint Level par tha. Yeh imagine karna hi hard tha ke waha par kitne valuable treasures honge.

Issi liye Shreya ne Zina ko side mei bheja. Uske inteligence ko dekh kar Shreya yeh samajh sakti thi ke Zina is dragon horn ke baremei kahi se bhi information nikal sakti hai.

Shreya ne apne haato ko fold karte hue Kabir se kaha.

Shreya--Iske baremei kisi ko bhi pata mar chalne dena. Na tum apne Yunvu Commandery ke 9th Princess ko bataoge aur na mein apne father Qin Commandery King ko bataungi. Dono hi Royal Family mei kaafi Princes hai. Agar iske baremei unhe pata chal gaya aur vo sabhi Underwater Dragon Palace ki taraf chale gaye toh hame kya milega waha par.

Kabir-Well yeh bhi sahi hai ke jitney kam logo ko iske baremei pata chale utna hi yeh achha hai hamare liye. Waise bhi iske baremei agar news fail gayi toh iske consequences kaafi horrific ho sakte hai. Par sirf ham dono hi waha par gaye toh ham dono mil kar bhi waha se kitna treausre laa sakte hai ?

Yeh keh kar Kabir ne apne nazar ko Zina ki taraf kiya jo kuch distance par Dina aur Yuyan ke saath khadi thi vo usse bhi apne saath is conversation mei lana chahta tha. After all vo Zina hi thi jisse dragon horn mila tha. Usse bhi is sab mei utna hi share milna chahiye.

Shreya-Sirf Heaven Realm ke niche ke warriors hi Underwater Dragon Palace ke array ko jhel sakte hai. Of course jitna strong tumhara cultivation hoga tumhare survive karne ke chances kaafi zyada honge. Uske baremei zyada mat socho ham iske baremei aur bhi disscus karenge jab ham Martial Market School ke Internal Student ban jayenge tab.

Suddenly Shreya ke face pe Kabir ko dekh kar ek badi si smile aayi.

Kabir bhi is smile ko dekh kar puzzled ho gaya.

Kabir-Tum mujhe is tarah kyo dekh rahi ho ?

Shreya ne smile karte hue usse pucha.

Shreya-Tumne sach mei Yellow Realm ke Ultimate Realm ko achive kar liya hai kyo ?

Kabir-Haan !

Kabir ne yeh baat kaafi frankly kahi.

Kyo ki yeh ek fact tha toh usse is baat ko manna hi pada.

Shreya ki aankhe yeh sunkar halki si bright ho gayi aur usne ek gehri saans andar li. Uske dil ko yeh sunkar kaafi achha laga tha.

Ultimate Realm ko achive karna matlab same realm mei ek realm high practice karna tha.

Shreya-Waise ab tumhari current highest speed kitni hai ?

Kabir-75 meters par seconds.

Kabir ke is baat ko sunkar toh Shreya ne ek aur gehri saans andar li.

Shreya-Tumhare current cultivation ke saath Omen Ridge ke andar Profound Board par No.1 warrior ban sakte ho. Tumhare paas Black Realm ke Ultimate Realm ko achive karne ke liye chance hai.

Shreya yeh imagine hi nahi kar sakti thi ke agar Kabir ek baar Black Realm ke Ultimate Realm ko achive kar le toh vo kitna terrifying hoga.

Shreya-Okay ab meri baat suno agar tumhe Black Realm ke Ultimate Realm ko achive karne ke liye tumhe kitney bhi practice resource ki zarurat ho ya phir Sacred Liquid hi kyo na ho tum vo sab mujhe bataoge. Of course yeh free nahi hoga future mei tumhe mujhe help karni hogi. After all ham ab jud gaye hai.

Yeh keh kar Shreya ne usse apne haat mei jo ring thi usse Kabir ko dikhayi.

Is par Kabir ne bhi smile kiya Shreya ko dekhte hue. Aaj pehli baar Kabir ko Shreya kuch different lag rahi thi.

Suddenly Shreya ko kuch yaad aaya aur usne serious ho kar Kabir se kaha.

Shreya- Well mujhe ek aur baat batani hai. Chikong Secret Mansion kaafi dangerous ban gaya hai. Na sirf Black Market ke evil warriors aur ek bloodsucking monster bhi release ho gaya hai. Is liye mein ne yeh socha hai ke ham sabhi ko jaldi se is Intermediate Relic Exploration Test ko jaldi khatam kar rahe hai aur is Chikong Secret Mansion ko abhi chod kar ja rahe hai.

Jaise hi Shreya ne apni baat khatan ki waise hi Zina ne kuch distance se zor se chillaya jaise uspar attack hua ho.

Kabir aur Shreya ne bhi jaldi se Shadow of the Royal Wind Dragon ko use karte hue kaafi speed se Zina ki taraf badh gaye.

 
Status
Not open for further replies.
Top