• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy RAKSHAK

just YES OR NO

  • YES

    Votes: 61 96.8%
  • NO

    Votes: 2 3.2%

  • Total voters
    63
  • Poll closed .

Jay Sutar

अहं ब्रह्मास्मि
2,485
31,541
189
Hello guys....
Mein koi professional writer nahi hu fir bhi mein is story se kuch naya try karna chata hu.yeh story thodi bohot ANIME se bhi inspire hai.waise mein ne bohot si stories read ki hai lekin mujhe jis story ne andar tak hila ke rakh diya vo hai VJ4U ki ATTITUDE is story ne......waise wada toh nahi kar sakta ke mein DAILY UPDATES dunga but mein try karunga ke week ke 2-3 updates zaroor aaye...........so friends mujhe apne opinion dete rehna ke mein sahi jaa raha hu ya nahi..
 

Jay Sutar

अहं ब्रह्मास्मि
2,485
31,541
189
UPDATE 1
Aaj RAJ ka janam din tha lekin subah se uske saath kuch bhi achha nahi ho raha tha.Aaj uske senior se use lecture mila ek choti si galti ke liye.

small flashback

.............RAJ IS KAHANI KA HERO AGE 25 YEARS. SCIENTIST INTERN HAI.. RAJ EK ANATH HAI USSE PAIDA HOTE HI EK ANATHALAY KE BAHAR CHOD DIYA GAYA.RAJ USI ANATHALAY MEIN BADA HUA WAHI SE USNE APNE 10TH KA EDUCATION PURA KIYA FIR SCHOLARSHIP PE USNE APNA 12TH KIYA...RAJ STUDIES AUR SPORTS DONO MEIN AACHA THA. AAGE KI STUDIES KE LIYE RAJ KO PAISE KI KAMI PADNE LAGI AUR USSE ANATHALAY SE BHI NIKAL NA THA KYO KI 18 YEARS TAK HI ANATHALAY MEIN REHNE KI SUVIDHA THI. VO TOH ACHHA BHALA US ANATHALAY KE MANAGER KA USNE HAMESHA RAJ KA KHYAL RAKHA. VO RAJ KO APNE BETE KI TARAH MANTA THA...........USKE HI HELP SE RAJ KO EK ROOM RENT AUR EK PART TIME JOB MILA COFFEE CAFE MEIN......WAQT AAGE BADHTA GAYA....RAJ APNE COLLEGE KA BEST STUDENT THA. HAR BAR VO PURE STATE MEI FIRST AATA THA........RAJ KE DOST TOH BOHOT THE LEKIN KOI APNA KAHE AISA KOI NAHI THA.......BOHOT MEHNAT KE BAAD AAJ VO EK SCIENTIST INTERNSHIP MEIN HAI....SCIENTIST BANKE DESH KE LIYE KUCH KARNE KA EK JUNOON HAI USME....

present

Raj aaj afternoon mein hi lab se nikal gaya aur uske ab tak ke zindagi ke bare mein sochne laga aur aise hi sochte hue chale jaa raha tha......raj ko ek cheej ki kami hamesha dukh deti thi aur vo thi PYAAR aisa nahi tha ke raj ko kabhi pyaar nahi hua college ke last year mein raj ko college ke ek ladki se pyar hua bhi but vo ladki uske saath bas time pass kar rahi thi.....yeh baat jab raj ko pata chali toh vo bohot toot sa gaya us waqt usse uske dosto ne sambhal liya iske baad raj ne apne scientist banne ke sapne ko pura karne ki than li...yahi sab sochte sochte kab vo road cross kane laga usse pata hi nahi chala aur ussi waqt samne se ek truck aa raha tha truck ke horn se vo hosh mein aaya lekin tab tak bohot der ho chuki thi truck raj ko takkar deke aage nikal gayi raj ka khun behne laga uski palke bhari hone lagi uske aaju-baju log jama hone lage unhi logo mein se kisine ambulance ko call kiya. Ambulance ke aane tak raj ka khun bohot beh chuka tha usse ambulance me dalke hospital laya gaya.......jab yeh sab ho raha tha tab raj ke band aankho ke samne uski ab tak ki zindagi kisi film ki tarah chal rahi thi.....ab raj mein jine ki chah nahi bachi thi vo ab is duniya ko chod ke chale jana chahta tha aur in aakhri palo mein usne apne anathalay ke manager aur apne kuch dosto ko yaad kiya aur uski jaan chali gayi......

kehte hai na ke jab hamare saath kuch bura hota hai toh aage chal ke kuch aacha bhi hota hai.

Kehte hai PARAM PITA PARMESHWAR ne sirf yahi ek nahi aisi bohot sari duniya banayi hai. Raj ki soul uske marne ke baad ek andheri jagah mein yaha vaha bhatak rahi thi soul ho ke bhi vo sab kuch dekh soon sakta tha....abhi vo us andheri jagah mein yaha vaha bhatak hi raha tha ke tabhi roshni ki ek kiran us andheri jagah aayi aur apne saath raj ke soul ko bhi leke chali gayi jaha sirf roshani hi roshani thi.....raj ek soul hoke bhi usse us roshni se sookun mil raha tha tabhi raj ko kisine aawaj lagayi aur jab raj us aawaj ki taraf deha toh bas dekhta hi reh gaya......ek bar fir se us roshani ne raj ko aawaj lagayi aur vo us taraf badh gaya.

RAJ-"aap koun hai? kya mein aapko janta hu? yeh koun si jagah hai?

AAWAJ-"raj mein sirf tumhe hi nahi is duniya mein janam lene wale har ek ko janta hu".

raj ko samjhte der nahi lagi ke vo param pita parmeshwar ke samne hai......usse kya bolu kya kahu kuch samjh mein hi nahi aa raha tha.

GOD-"kya hua raj itna kya soch rahe ho....?"

raj-"aaj mein dhanya ho gaya prabhu is duniya mein aapko pujne wale kitne hi log honge lekin aapne kabhi unhe apne darshan nahi diye......aaj param pita parmeshwar ko apne saamne dekh kar mein bohot khush hu."

raj-"aapse mera ek sawal hai GOD....mein ne kabhi kisi ka bura nahi chaha na kabhi socha na kiya toh mere saath hi aisa kyu hua.?"

GOD-"honi ko koi nahi taal sakta raj jo hamare jivan mein hone wala hai vo ho kar hi rehta hai usse badala toh nahi jaa sakta na....is duniya ko banate hue mein kuch niyam bhi banaye the aur un niyamo ko mein nahi tod sakta.....tumhara jivan us duniya mein utna hi tha lekin itne kam aayu mein tumne bhot se punya ke kaam kiye hai jisne bhi tumhe madad ke liye kaha tumne unhe madad ki...jis anathala mein tum bade hue waha pe tum apni kamayi ke ek hisse se un anath bachho ko kitabe ya aur bhi kuch laate the aise aur bhi achhe kaam kiye hai tumne jo insaan apne pure jivan mein nahi kar sakta.....issi wajah se mein tumhe kuch dena chahta hu....."

raj-"lekin prabhu aapse milne ke baad ab mujhe kuch nahi chahiye"

GOD raj ke nichhal man se bohot kush hue.

GOD-"mein aaj bohot kush hu raj....mujhe khush karne ke liye aur mujhse kuch pane ki lalsa se log kya kuch nahi karte hai lekin tum raj mein tumhare samne hu aur tumne khud se kuch bhi nahi manga.....isi wajah se mei tumhe fir se jivandaan dunga lekin us duniya mein nahi jaha se tum aaye ho balki us duniya mein jiske bare mein tumne apne khwabon mein bhi nahi socha hoga aur jate jate mein tumhe 'creation' ke power ke sath ab tak ke jivan kaal mein tum ne jo bhi gyan paya hai vo bhi tumhare saath rahe ga yeh mera tumhe ek gift hai.

issi ke saath jaha raj ki soul thi vo jagah roshni se chmakne lagi aur GOD ne raj ki soul ko dusri duniya mein bhej diya.


yaha se shuru hogi apne hero ki new life..


is duniya mein bhi hamare prithvi ki tarah ek grah tha lekin vo hamare prithvi se chaar guna bada tha aur is duniya mein ek baat khaas thi aur vo thi MAGIC.

is duniya mein magic use karna aam baat thi yaha lag bhag har koi magic use kar sakta tha.....is grah par 6 bade bade rajao ke bade bade rajya the.....unhi mein se ek rajya jiska naam tha swarnadesh aur yaha ke raja ka naam tha SHEKHAR

maharaj shekhar dil ke bohot hi ache the aur sath sath ve bohot shaktisali bhi the unka manna tha ke magic seekne ka adhikar har kisiko hai isi ke chalte unhone apne rajya mein kahi jagah magic school khole jisme basic magic ke bare mein sabhi ho sikhaya jata tha aur apne rajdhani mein ek badi magic university bhi kholi jisme har jagah se bachhe padhne aur magic seekhne aate the...

aaj is swarnadesh mein ek nayi subah aayi thi rajya ke senapati ki patni pregnant thi aur usse raat ko hi pet mein pain hona chalu ho gaya tha aur subah ke pehli kiran ke saath bacche ke rone ki aawaj ayi senapati apne patni ke kaksh ke bahar yaha se vaha ghoom rahe the unhone bhi bachhe ki rone ki aawaj sunayi di thodi der bad kaksh ka darwaja khula aur ek aurat bahar aayi usne senapati ji k batay ke unhe ek ladka hua hai senapati ne yeh sunte hi us aurat ko apne gale mein se ek sone ki mala bhet di aur vo usse leke chali gayi senapati bhi apni patni ke kaksh mein gaye vaha unki patni abhi bistar pe soyi hui thi kisi ke aahat par uski aankh khuli aur usne samne senapti ji ko dekha jo apne bete ko lagatar dekhe jaa rahe the.....bachha bhi bohot hi sundar tha samundar si gehri neeli aankhe thi uski vo apne palne mein yaha waha haath pair maar raha tha.


ek short intro pe aate hai


swarnadesh ke maharaj


maharaj shekhar-inke baremein har ek rajya mein charcha hoti hai unhone bohot si chunotiyon ka samna kiya hai..unke paas bohot si magical powers hai lekin unhe kabhi bhi apne powers pe ghamnd nahi hua.maharaj shekhar ko 5 elements mein se 3 par maharat hasil hai aur sath hi bohot se magical powers ka gyan hai unhe.(fire water wind)


maharani suman-naam ki tarah hi maharani suman khoobsurat hai.maharani bhi 3 elements ko control kar sakti hai aue unke paas healing power hai jo bohot hi rare hai.filhal yeh pregnant hai.(wind water earth)


rajkumar aditya-yeh hai maraj shekhar ki pehli santan aur rajya ke rajkumar inki aayu hai 1 saal.yeh todhe shant rehne walo mein se hai.....inke janam ke saath hi rajguru ne maharaj shekhar ko bataya ke yeh 2 elements ko control kar sakte hai.(fire wind)


rajya ke senapati


senapati deepak-bahadur, hoshiyar,sword art mein master hai yeh.....in ki sword hawa ki gati se chalti hai....dushman sena jab jab inko yudhbhumi mein dekhti hai to piche hat jati hai..yeh bhi 2 elements ko control kar sakte hai.(water earth)


senapti ji ki patni


dipali-yeh hai apne hero ki maa aur maharani suman ki sakhi.in ki jaan apne bete mein basti hai.


raj- apna hero bohot hi natkhat, apne maa-baba ke dil ka tukda, ghar ke naukar bhi isse bohot pyar karte hai, ghar mein yaha se waha baaghdaud karna ise pasand hai.fil haal iske powers ke bare mein aage pata chalega.


waqt bhi aise hi aage bad gaya aur raj ke janam ke ek month baad maharani ne bhi ek phool si bachhi jo janam diya us waqt nagar mein jashn manaya gaya dur desh se log maharaj shekhar ko badhayi dene aaye the sare rajya ke niwasi khush the apne rajkumari ko paa kar.rakumari ka naam rakha roshni......in ke pass kounsi kounsi powers hai yeh bhi aap ko baad mein pata chalega.

waqt bhi aage badha aur tino ne ek saath school join kiya......



15 years later

ek ladka jo abhi ek khule maidan mein tha aur apne magic se kuch karne ka try kar raha tha.....usne apane haatho mein water magic ka use karke water ke ball banaye the ke tabhi......

WATER GRANEDE yeh bolte hi us ladke ne apne haatho mein jo water ka magic use kar ke ball banaye the vo aage phek diye aur vo ball ek badi chattan ko jake lage jiske saath hi adhi chattan ke tukade ho gaye....yeh dekh ke vo ladka thoda khush hua ke tabhi kisi ne usse piche se pukara

'ab yeh kya hai raj aaj fir se tumne kuch aisa kiya hai jo hamari samajh se bahar hai.......hamesha tum kuch na kuch naya karte rehte ho magic ke saath.....waise bhi tum to 5 cho elements pe control kar sakte ho yeh hi baat apne aap mein bohot badi hai......kaise kar lete ho tum yeh sab.'

yeh kehne wala aur koi nahi hamare swarndesh ke rajkumar hai......


Raj-are yeh karna toh aasan hai......tumhe bas water magic use kar ke us water ko compress karke usse maintain karna hai bas.....


yeh puri baat aditya ke sir ke upar se chali gayi...


aditya-chalo subah se hum yahi hai ab hame chalna chahiye. yeh keh kar aditya waha se chalne laga saath mein raaj ko bhi leke jane laga......


jab vo royal palace pohche tab roshni waha dono ka wait kar rahi thi......uske naak par gussa dikh raha tha aur jaise hi yeh un dono ne dekha dono ko malum pad gaya aaj unki shamat aa gayi hai.

roshni un dono ko dekh ke naak phula ke andar chali gayi aur waise hi dono bhi chale gaye usse manane.


kafi mehnat ke baad dono ne milke roshni ko mana hi liya......is ke baad raj apne ghar chala gaya......aaj bhi pura din vo bahar hi tha jab se usse school se chutti mili hai tab se vo din bhar ya toh sword chalane ki practice karta hai ya fir apne magic ke saath kuch new try karne ki koshish isme vo kuch cheejo mein kamyab rehta hai kuch main nahi.........aise hi din bitne lage aise hi chutti ke ek din vo usi jagah jaha vo magic ptactice karta hai vaha khada hota hai aur uske samne bhi koi khada hota hai.....yeh koi aur nahi uska clone tha......is magic ke bareme usne abhi tak kisi ko nahi bataya tha.....abhi dono hi aamne samne the dono ke haath mein swords thi tabhi done ek dusre ki taraf daud laga di aur dekhte hi dekhte dono ki swords takrane lagi kyo ki yeh clone khud raj ka tha toh dono ko ek dusre ke agle move ke bare mein pata chal jata tha.......raj har bar apne clone ko harane ke liye kuch na kuch new try karta but vo har bar fail ho jaata.....is baar bhi usne kuch aisa hi karne ka socha aur apne magical powers ko activate karne laga.thodi der baad usne ek aur attact apne clone pe kiya is time usne pehle fire ball choda aur uske just baad uspe water granede feka natija yeh hua ke waha fire aur water ke ek ke baad ek use karne se sab jagah kohra cha gaya raj ka clone abhi usse dhund hi raha tha ke use laga ke koi piche khada hai aur jaise hi vo palta 'slash' hawa ki raftar se raj ki sword chali aur jake uske clone ke shoulder ko lagi.yeh dekh ke raj thoda bohot khush hua aise hi aaj bhi vo pura din training karta raha apne clone ke saath..........wahi royal palace mein aditya kuch soch raha tha (ab vo kya soch raha tha yeh aapko aage pata chalega).aise hi din bitne lage ab in 3no ko university mein admission lena tha uske liye inhe ek test ko pass karna tha yeh test se university ko yeh pata chalta tha ke aane wala student yaha ke education ke kabil hai ke nahi admission bhi unhi ko milta jo at least apne prime element pe thik thak control kar sakte ho.........dekhte dekhte vo din bhi aa gaya aaj yeh 3no test dene janewale the 3no hi bohot khush the.......dipali aur suman 3no se kehti hai ke waha jake masti mat karna khas kar dipali raj se kehti hai coz raj hamesha roshni ko tang karta tha......


roshni-aaj mein bohot khuh hu aaj hum university mein jane wale hai.hamari university ke bare mai mein ne bohot kuch suna hai aur hum saath saath padhenge yeh bhi bohot hi acchi baat hai

aditya-ha meri behna hum saath sath rahenge aur padhenge vo bhi hamare desh ki uviversity mein....


raj- ab bas bhi karo kab se bole jaa rahe ho dono waise socha hai ke test mein tum dono kounsa elemeint use kanewale ho....?


aditya- ha mein ne socha hai ke mein apni wind magic use karunga...


raj- aur tum roshni...tum kounsa use karnewali ho...?


roshni-shayad mein water magic hi use karu uspe meri control bohot acchi hai......waise mein ne tumhare bataye hue us attack ko try kane ki sochi hai....


aditya- hamari chodo tum kounsa use karne wale ho aur form fill karte waqt kitne elements ke bare mein likhoge...?


raj-mein.....mein toh fire aur wind magic ke baremai form mein fill karunga aur fire magic use karunga test ke liye....baba ne bataya hai ke tum kisis ko yeh nahi batao ge ke tum paancho elements ko control kar sakte ho yeh baat sirf university ke headmaster ko hi malum hai....


aisi hi baate karte karte vo university ke gate pe pohoche.....waha se unhone entry li.......university ka ek law tha ke aap ek baar university ke andar aa gaye as student toh aap sirf student hi honge fir chahe aap prince ya koi aur noble hi kyu na ho aur yeh rule jab yeh university bani thi tabhi se lagu kiya gaya hai......


sabhi ne apne apne forms fill kiye aditya aur roshni ne apne 2 elements wale option pe tik kiya aur raj ne 3 elements wale form fill karke unhone usse submit kiya 3no ko form submit karne ke baad apne apne number mile aur 3no apni baari ka intazaar karne lage raj sabhi ko dekh raha tha usse apani pichli life ki entrance exams ke din yaad aa gaye......raj dekh raha tha aane wale har ek student ko aur vo sab kaise perform kar rahe hai apne apne magic ko....is test mein sabhi ko kuch target diye the unhe apne listed magic se destroy karna tha.....isme koi un targets ko destroy kar pata to koi nahi dekhte dekhte in 3no kabhi number aa gaya pehle aaye apne rajkumar aditya.......


aditya un targets ke samne aake khada ho gaya usne soch liya tha ke vo wind magic use karne wala hai.....

'wind style-air scythe' aditya ke yeh bolte hi ek air blade ne uske samne kade targets ko almost half mein cut kardiya.........sabhi yeh dekhte reh gaye teachers and students sabhi....sabhi ko laga aditya koi lamba sa spell bolega aisa nahi tha ke usse aate nahi the lambe spells but usse laga ke in targets pe vo spells use karke koi fayda nahi hai vo aake apni jagah baith gaya.....sabhi uski tarif kar rahe the....ab bari aati hai hamari rajkumari ki yani ki roshni ki thi.....aaj vo khuch dhamakedar karegi yeh soch ke aai thi.....


roshni bhi usske bhai ki tarah waha jake khadi ho gayi sabhi usse dekh rahe the sabhi soch rahe the ab yeh kya karke dikhayegi....tabhi roshni ne apne magic ka use kiya

'water style-water cage' yeh bolte hi roshne ke samne ek paani ka bada sa gola banane laga usne vo gola targets ki taraf chod diya lekin abhi bhi vo usse control kar rahi thi.....jaise hi us paani ke gole ne targets ko apne chapet mein liya waise hi roshni ne apne haatho ki fist banayi aur usne apne magic ka nature hi change kar diya usne us badese paani ke gole ko ice ke gole mein badal diya aur apne haatho se muthhi banayi jaise jaise roshni apni muthhi kasti jaati waise waise vo ice aur bhi hard hoti jaa rahi thi fir uske baad usne apni muthhi kholi aur ek chutki bajayi aur uske baad jo samne ice ka gola bana tha vo toot gaya aur apne sath sath un targets ko bhi tod diya.......sabhi roshni ke is karname se bohot hi impres hue sabhi uske aaju baju jama hue aur yeh kaise kiya us bare mein puch ne lage toh waha khade teachers ne sabhi ko baju kiya.....ab raj ki bari thi.


raj bhi waha jake khada hua.......aditya aur roshni toh issi pal ka intazar kar rahe the unhe malum tha ke raj ab aisa kuch kare ga ke kisine iske bare mein socha bhi nahi tha..

raj ne apna haath aage kiya aur un targets ko nishane pe liya aur apna magic bol diya.....


'firebolt' itna bolte hi raj ke haath se ek aag ka gola nikla aur un targets ko lag gaya us aag ke gole ne sabhi targets ko raakh mein badal diya tha........sabhi yeh bas dekhte hi reh gaye the raj ne bhi koi bada spell nahi bola tha bas ek word ka usne use kiya tha......raj apni jagah jake baith gaya aise hi sabhi ke test ho gaye kisi ka performence achha raha toh kisi ka nahi ab results ek hafte baad aane wale the 3no apne apne ghar gaye aur results ke bare mein sochne lage.....raj ko aaj jab se test deke aaya tha tab se uss apni pichali life ke college ke din yaad aane lage fir usne kuch soch ke apna dimaag jhatak diya aur so gaya......yeh week bhi nikal gaya aaj results nikalne wale the 3noko yeh toh malum tha ke unka selection ho jayega kyo ki 3no ki performance bohot hi kabil-e-taarif thi……
 
Last edited:
Top