• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Gods and Demons

just YES OR NO

  • Total voters
    318
  • Poll closed .
Status
Not open for further replies.

Lovekillsyou

Active Member
649
2,715
124
Note- Update 177 hi 178 hain
 
Last edited:

Jay Sutar

अहं ब्रह्मास्मि
2,484
31,541
189
UPDATE 16

Aarav udta hua library ke bahar jata hai aur uske piche jo ped hota hai usse takra jaata hai. Wahi uske followers jaise hi yeh dekhte hai vo usse uthane sabhi bahar chale jaate hai. Abhi Aarav ki halat nahi thi kuch bhi karne ki vo apne followers ke saath waha se chala jata hai.

Yaha baki sabhi students Kabir ki dekh rahe the ke usne Aarav ko aise hi utha kar phek diya.

‘Yeh mein kya dekh raha hu ? Aarav ko Kabir ne bahar phek diya. Par vo toh ham sabhi mein advance tha 1-star bronze rank ke karib.’

Yeh baat waha khade ek student ne kahi thi wahi.

‘Mujhe laga tha ke Kabir Aarav ke haato pit jaayega.’

Aise hi sabhi students waha baate karne lage the. Tabhi Kabir waqt dekhta hai aur waha se jaldi nikal jata hai usse pata tha ke Maithili uska wait kar rahi hogi.

Training ground pohochte pohochte usse raat ho jaati hai. Vo ek ped se dusre ped par jump lagata hua jaa raha tha ke vo ek jagah ruk jata hai. Usse Maithili dikh jaati hai. Vo usse ped ke upar se dekh raha tha.
Chand ki roshni mein vo kafi khubsurat dikh rahi thi. Tabhi Kabir ke Dil mein phir se wahi feelings aane lagi jo usse Maithili ko dekhne ke baad aati thi. Par vo unhe samjh nahi raha tha.

Yaha Maithili baar baar yaha waha dekh rahi thi ke Kabir kab aayega.

Abhi vo jaane hi wali thi ke Kabir ne uske samne jump laga di. Kabir ko dekh kar Maithili ke face par ek smile aa gayi.

Maithili-Mujhe laga ke tum aaj nahi aaoge.
Kabir-Aisa kabhi ho sakta hai bhala ke mein kuch kahu aur vo naa karu.

Aise hi baate karte hue vo niche baith jaate hai. Aaj Maithili ke pair par jo injury thi Kabir usse heal karne wala tha. Vo uske pair ko apne haath mein leta hai aur us injury bko dekhne lag jata hai.

Kabir-Hmm! Waise toh yeh injury almost heal ho hi gayi hai.

Maithili-Ha aur jo medicine tumne mujhe batayi thi vo bhi le rahi hu mein jiske wajah se mujhe neend bhi achhi aa rahi hai.

Abhi kabir kuch soch raha tha.

Maithili-Kya baat hai kabir kuch soch rahe ho ?

Kabir apne sir ko utha kar Maithili ko dekhne lag jata hai.

Kabir-Well ek kaam hai jismein mujhe help toh chaahiye but kaise kahu vo samajh nahi aa raha hai.

Is baat par Maithili jhat se bolti hai.
Maithili-Mein kar dungi. Agar tumhara kaam mere bas mein raha toh mein zaroor kar dungi.

Yeh sunkar Kabir usse batata hai.

Kabir-Mere paas 10,000 plus demon spirit coins hai.kya tum un sab ko lekar apne logo se keh dogi ke purple mist grass mere liye kharid do.

Maithili-Purple must grass ? 1 demon spirit coin se tum ek pura bunch buy kar sakte ho. Tumhe kitne chahiye ?

Kabir-Of course jitna jyada hogi utna hi achha hai. Mujhe jitna bhi ho sake market mein utna chahiye.

Yeh sunkar Maithili thodi shock mein thi vo soch rahi thi.

Maithili-Purple mist grass ka jitna mujhe pata hai vo jyada use nahi kiya jata toh kabir ko itani grass kyo chahiye hogi ?

Phir vo Kabir se kehti hai.

Maithili-Thik hai Kabir tum yeh mujh par chod do. 10,000 demon spirit coins mere liye itani badi amount nahi hai. Mein khud se bhi tumhare liye buy kar lungi.

Kabir abhi bhi uske injury ko heal kar raha tha vo waise hi aage kehta hai.

Kabir-Tumne mera bohot kaam aasan kar diya phir. Mein zaroor tumhe pure interest ke saath return kar dunga.

Maithili-Nahi,Nahi,Nahi! Iski koi zaroorat nahi hai. Mere liye yeh amount kuch bhi nahi hai.

Tab tak kabir ka bhi kaam ho gaya tha. Vo piche ke taraf khisak kar baith jata hai.

Uske face par ek smile thi.

Kabir-Par ham jaiso ke liye yeh bohot hi badi amount hai. Waise bhi agar kisi ne ki help ke badle agar samne wala usse kuch bhi na de sake toh vo achha bhi nahi lagta na. Chalo ab tumhare baki ke injuries ki bhi treat karna hai.

Wahi yaha institute ke instructor office mein Shital ke samne Aarav baitha hua tha.

Shital-Kya…..? Usne tumhe utha kar bahar phek diya. Tumhari strength toh already 63 par hai aur soul force 78 toh aisa kaise ho sakta hai.

Aarav-Aunt mein keh raha hu us Kabir ke paas koi demonic art hai jo vo use karta hai. Jab usne mera haath pakda tha mein apne force tak ko use nahi kar paa raha tha.
Jo hua tha us baremein sochte hi Aarav ka gussa badh jata tha. Vo soch raha tha.

Aarav-Aaj jo usne mere saath kiya hai vo mein nahi bhulne wala mein iska jawab zaroor us kabir ko dunga.

Shital-Tumhe kya lagta hai uski strength kitni hogi ?

Aarav apne sir ko niche kar ke kehta hai.
Aarav-shayad uski strength 30 ho aur uska soul force 10 lekin mein thik se keh nahi sakta.

Par jab Shital ne uski baat suni toh vo bhi Aarav par bhadak gayi.

Shital-Kya kaha tumne…..tum usse aise hi haar gaye.

Aise hi kuch aur bhi baate hui un dono mein.

Yaha bhi ab Kabir ne Maithili ke sabhi injuries ko treat kar liya tha.

Kabir-Toh kya tum apni medicine time par le rahi ho ?

Maithili-Ha aur mein vo technique bhi use kar rahi hu jo tumne abhi ke liye mujhe batayi thi. Yahi toh ek genius ki pehchan hai. Par abhi sabhi ko pata chalna baki hai par jab pata chalega tum zaroor shine karoge.

Maithili ki yeh baat sunkar Kabir has deta hai.

Kabir-Ah, thanks!

Wahi Sacred Family mansion mein ek elder ke samne ek servant baitha hua tha aur jo Kabir aur Aarav ke bich hua usse bata raha tha. Waise Sacred Family mein bohot se elder the but kuch elders ke status high the. Abhi jo elder tha vo Sacred Family ke affairs ko manage karta tha.

ELDER-Outrageous! Ek fighter practitioner class ke bachhe ne sacred family ko challenge kiya hai.

Servant-Sir uska naam hai Kabir aur vo aristocratic family se belong karta hai ek normal family hai vo.

Aise hi vo servant Kabir ke baremein sabhi baate bata deta hai.

Elder-par Young master Aarav toh ab 1-Star bronze rank tak phoch jayenge abhi right. Toh kaise vo Kabir ko match nahi kar paa rahe hai.

Us servant ne apne sir ko niche jhukaya hua tha.

Servant-Sir yeh baat mujhe bhi nahi pata chal rahi hai. Par kaha jata hai ke vo Kabir koi demonic art use kar sakta hai.

Elder-Hump! Phir bhi ek fighter practitioner class ka student ho kar bhi kitna powerful ho sakta hai.

Servant-Sir toh mein yeh matter household head ko bata du.

Elder-Nahi. Iski zaroorat nahi hai mein isse sambhal lunga. Waise yeh wahi hai na jisne hamare inscription ko copy kaha hai. Agar aisa hai toh mein yeh letter tumhe de raha hu abhi ke abhi ***** ke paas jao aur usse yeh de do baki sab vo sambhal lega.

Par in dono ki baate koi aur bhi sun raha tha.

Yaha City Lord Mansion mein Rati vo sabhi pattern papers le kar baithi thi.

Rati soch rahi thi.

Rati-Yeh sabhi patterns Kabir ko kaha mile honge.

Tabhi uske kamre mein uski aunty aati hai.
Aunty-kya hua Rati tumne mujhe bulaya.

Rati-Aunty aap inscription master hai na kya aap is Inscription ki origin bata sakte hai.

Aunty-Yeh toh….. chilling wind snow precipitation ki hai but usse bohot strong hai. Mein ne yeh pehle kabhi nahi dekha hai. Iska ratio kafi well proper hai. Kya tumhe koi inscription master mil gaya hai.
Yaha training ground par.

Maithili-Waise Kabir tumne Sacred Family ko offend kiya hai. Tumhe ab kafi careful rehna hoga. Sacred family kafi despicable hai. Meri winged Dragon Family niche aane lagi jab vo usne trap mein phas gayi aur ab hamari 80% property usne control mein hai. Ab hame unke saath dena hoga.

Kabir-Ah, tumhe ab tension lene ki zaroorat nahi hai. Mein ne pehle hi sab soch ke rakh liya hai. Sacred Family ek fame seeking family hai. Vo abhi kuch nahi karegi.

Kabi soch raha tha.

Kabir-Waise bhi jab tak vo kuch karne jayenge mein ne sab kuch set kar liya hoga.
Kabir-Jab tum ghar jaaogi tan ek unuse crystal lo aur apna aptitude test kar lena.

Maithili-Toh mere paas abhi hai unuse crystal.. lo

Kabir-ohh tumhare paas hai. Mujhe dene ki zaroorat nahi hai apne soul force ko unmein inject karo.

Maithili-Thik hai.

Yeh keh kar maithili ne apne soul force ko inject karne lagi. Kuch der baad vo crystal kafi chamak ne laga.

Kabir-ohh yeh kafi bright hai.

Tabhi Kabir ki nazar crystal ke andar bane hue shape par gayi.

Kabir-Tumhara soul force 83 hai aur soul attribute wind lightning type aur soul form winged dragon hai.

Maithili-Soul form ? Wind lightning type ? Winged Dragon form ? Yeh sab kya hai.

Kabir-Eh….means tumhare liye most suitable technique wind lightning type ki hai.

Kabir phir uske liye koi suitable technique dhundne laga tha. Usse pata tha ke agar vo Maithili ko help karega toh uska hi benefit hai.

Kabir-Winged Dragon soul realm ke saath koi bhi technique ki training bohot hi fast rahegi. Agar technique attribute same raha toh speed aur bhi fast ho jayegi. Mujhe sochne do koi technique hai mere paas shayad jab mein apne past life mein kuch ruins mein tha tab mujhe mili thi.

Kabir-Ek technique hai mere paas wind lightning cultivation ki. Mein vo tumhe deta hu. Yeh tum jo avhi practice kar rahi ho usse bhi strong hai.

Yeh keh kar vo Maithili ko vo technique bata deta hai jise sunkar hi uspar kafi strong asar ho jata hai. Vo sochti hai.
Maithili-Agar mein apne soul force ko is formula ke according redirect karu toh….so STRONG.

Maithili-Kabir.

Kabir-Yeh wind lightning ki winged dragon technique hai. Yeh tumhare liye most suitable technique hai.

Maithili-Thank you kabir mein yeh baat kabhi bhi nahi bhulungi. Tumne mujhe kafi strong technique di hai.

Kabir-Iske liye thanks mat kaho yeh toh bas ek technique hai aur kuch nahi. Waise bhi ab tumhara artic disease ab almost cure ho gaya hai tum ab practice kar sakti ho.

Maithili aone sir ko hila kar practice start kar deti hai. Ab almost sun rise bhi hone aaya tha.

Kabir-wow yeh green light. Soul force 100 ke kafi close hai.

Kuch der baar kabir waha se nikal jata hai. Yaha Maithili abhi bhi dhyan mein hi thi uske aaspar ek energy ka aura ban gaya tha.

Kuch der baar vo apni aankhe kholi hai.

Maithili-almost broke through karliya hai maine.

Vo uth kar khadi hui aur yaha waha dekhne lagi par usse Kabir kahi bhi nahi dikha. Yeh dekh kar vo bhi apne ghar ke liye nikal gayi.
Aise hi kuch din nikal jaate hai. Kabir bhi apni training mein busy sa ho gaya tha. Ek raat vo phir se city ke piche wale jungle mein gaya. Aaj vo us jungle ke dusre side par gaya aur waha se yaha waha dekhne lag gaya.

Abhi vo yaha waha dekh hi raha tha ke usse jungle ke bich se koi guzarte hue dikha.

Pehle toh usse shaq hua ke yeh uska vehem ho sakta hai par usse sure karna tha is liye usse jaha halchal dikhi thi waha par chala gaya.

Abhi vo kuch aage badha hi tha ke usse koi saamne jaate hue dikh gaya.

Kabir ne apne knife ko bulaya jisse vo uske haath mein jhat se aa gaya.

Kabir-Ruk jaao koun ho tum aur is jungle mein kya kar rahe ho.

Kabir ke is sawal par vo samne wala ruk gaya uske haath mein bhi sword thi. Us shaks ne apni pakad sword par badha di.
Yeh dekhte hi kabir samajh gaya ke yeh kuch nahi bolega.

Abhi vo kuch sochta ke vo shaks jhatse piche palat gaya aur usne kabir par apne sword se attack kar diya. Apne upar attack hota dekh kabir ne bhi apne knife se uske sword ke attack ko rok diya.

Paas hone ki wajah se Kabir ne ek punch uske chest par mara par us shaks ko dekhne se lag raha tha ke jyada pharak nahi pada hua tha. Vo shaks Kabir ke punch se piche sarak gaya. Us shaks ne ek red armour pehna hua tha jo Kabir ke punch marne se chamak ne lag gaya tha.

Yeh dekhne ke baad Kabir ab us shaks ko ek bhi chance nahi dena chahta tha. Uske lagatar 12 attacks kiye apne knife se us shaks par. Lekin vo shaks bhi kafi powerful lag raha tha usne bhi dekhte hi dekhte kuch attacks Dodge kar diye par kuch usse lage bhi. Yaha par ab Kabir ne apne palm se ek energy force us par choda jisse vo shaks bach nahi paya aur piche ki taraf khisak gaya.

Armour hone ke baad bhi us shaks ke internal organ tak injured ho gaye the. Vo shaks apne ghutno par baith gaya aur apne muu se khoon ki ulti karne laga. Vo shaks Kabir ko dekh raha tha jo usse kuch dur khada tha.

Kabir bhi usse dekh raha tha aur usse dekh ne se hi pata chala raha tha ke usse is fight mein maza aa raha hai.

Shaks-Kounse rank ke fighter ho tum ?

Kabir bhi abhi kuch nahi keh Raha tha balki abhi jo usne palm attack kiya tha usmein usne apni sari energy laga di thi. Uska haath tak numb ho gaya tha. Par ab kabir is khel ko khatam karna chahta tha kyo ki unke fight se hone wali aawaze guards tak pohoch gayi hongi aur vo kabhi kbhi yaha aa sakte the.

Kabir ne dekha ke vo shaks uth raha hai toh usne ek aur palm attack kiya jo pehle wale se kafi strong tha. Apne taraf itna strong attack aate dekh vo shaks bhi thoda ghabra gaya par usne bhi ek bada attack apne sword se us aane wale attack par kiya. Jaise hi dono attack ek dusre se takraye waha par ek bohot hi bada blast hua jiske chapet mein kabir aur vo shaks dono aa gaye.

Sab jaga dhool udi hui thi. Aaspas ke sabhi ped ukhad gaye the. Kabir kaise toh uth jata hai usse bhi laga hua tha par usne khade hote hi apne samne dekha jaha ab vo shaks nahi tha. Vo abhi usse dhundne hi wala tha ke Kabir ko guards ke aane ki aahat Hui. Vo chupke se waha se nikal gaya aur apne hostel ke room mein aa kar so gaya.
 
Vickey1211

Well-Known Member
7,591
16,026
188

Mast update h Bhai
Maza aa gya
 
Status
Not open for further replies.
Top