• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Gods and Demons

just YES OR NO


  • Total voters
    318
  • Poll closed .
Status
Not open for further replies.

Lovekillsyou

Active Member
649
2,715
124
Note- Update 177 hi 178 hain
 
Last edited:

Jay Sutar

अहं ब्रह्मास्मि
2,485
31,541
189

Jay Sutar

अहं ब्रह्मास्मि
2,485
31,541
189

Jay Sutar

अहं ब्रह्मास्मि
2,485
31,541
189

Jay Sutar

अहं ब्रह्मास्मि
2,485
31,541
189
Dear Writer

The plots are really good, kindly make an index of this story as I feel it will be a bigger story so that the users will not have any difficulty in finding the certain updates
Thanks spritemathews
And I don't know how to creates an index here.
 

Stone cold

Well-Known Member
3,052
4,472
143
Thanks spritemathews
And I don't know how to creates an index here.
Watch the video in this url it's easy

Waiting 4 next update
 

Jay Sutar

अहं ब्रह्मास्मि
2,485
31,541
189
UPDATE 4

Aaj Kabir ne kuch soch rakha tha raat ko karne ke liye aur vo besabri se raat ka wait kar raha tha jab raat hui aur almost puri city shant ho gayi toh vo chupke se hostel se nikal kar bahar aaya aur ek jungle ki taraf chal pada Jo city ke pichle side mein tha jaha sabhi ko jaane ke liye mana kiya hua kyo ki waha mid level beasts ghumte the aur kisi bhi normal citizen ki jaan jaa sakti thi.

Wahi kabir ko pata tha ke usse us jungle mein kaha se jana hai. Jaldi hi vo apne tay kiye hue jagah par aa gaya.

Kabir apne aaspas dekh raha tha lekin usse abhi tak koi bhi beast nahi dikha tha. Kabir ke past life mein koi bhi kabhi is jungle mein nahi aaya tha kisi ne bhi yaha Kya hai yeh nahi dhunda tha. Kabir us jungle mein aage chalte hue jaa raha tha ke tabhi usse apne piche kuch feel hota hai. Usse aisa lag raha tha ke usse koi ghur raha hai. Kabir ek baar palat kar dekhta hai ke koi hai toh nahi par abhi waha koi nahi tha jiska bhi presence usne feel kiya tha vo ab waha nahi tha. Kabir phir se aage chalte hue jaane laga ke usse phir se kuch sunayi diya is baar yeh kisi ke guraane ki aawaz thi.

Kabir is aawaz ko sunkar jhat se palat gaya uske piche kuch wolfs 2-3 tigers aur un sabhi mein ek black Lion tha jinki aankhe red thi us lion se hi Kabir kafi power ke presence ko sense Kar sakta tha lekin yeh vo nahi tha jisse inse pehle usne sense Kiya tha par ab uske paas yeh sab sochne ka waqt nahi tha usse apni jaan bachani thi.

Kabir aage aage bhaag raha tha kyo ki yeh sabhi beasts catastrophic level wale beast the jinse vo abhi akela fight nahi kar sakta tha. Wahi bhagte hue bhi us par vo beasts attacks kar rahe the lekin apne instinct ke wajah se vo abhi attacks ko dodage karte jaa raha tha.

Kabir-yeh kaisi situation mein phas gaya mai aise hi bhagte raha toh mein is jungle ke bohot hi andar aa jaunga jo kisi bhi tarah mere liye achhi baat nahi hai.

Tabhi usse phir se wahi presence feel hota hai aur vo us taraf chala jata hai jaha se usse yeh sense ho raha tha aise hi bhagte hue vo thodi khuli jagah mein aa jata hai aur uske piche piche vo sabhi beasts bhi.

Lekin abhi ek aur problem aa gayi thi Kabir ke saamne kyo ki jaha vo bhagte hue aaya tha vo ek khuli jagah toh thi lekin uske aage kuch bhi nahi tha kyo ki us khuli jagah ke end par ek deep valley thi jismein agar vo gir jata toh shayad hi koi usse dhood pata.

Ab Kabir ko un sabhi beasts se fight karni hi hogi kyo ki agar vo yeh nahi kar saka toh aaj vo zinda nahi wapas jaa sakta tha. Kabir palat kar dekhta hai ke vo beasts usse kuch duri par khade hai aur usse ghur kar dekh rahe hai.

Kabir abhi soch hi raha tha ke bina weapons se in sabhi beasts se kaise fight kare tabhi usse upar aasaman mein ek shadow dikhati hai aur yeh wahi shadow thi jiske presence ko usne sense kiya tha.

Vo shadow abhi aasaman mein hi thi ke usne Kabir ke taraf kuch pheka jisse Kabir ne us cheez ko apne paas aate hi pakad liya. Jab Kabir ne us cheez ko dekh toh vo shock ho gaya kyo ki vo ek JET BALCK KNIFE tha aur aisa knife usne apne pure past life mein bhi nahi dekha tha aur nahi aise kisi knife ke baremein usne suna tha.

Tabhi waha us shadow ko aawaz gujh gayi.

Shadow-Iska use karo aur apne aap ko yaha se bacha lo tumhari kismet isbaar heavens ne puri tarah change kar di hai aur ha iske hi tarah ek sword bhi tumhe ab dhoondni hogi jiske help se tum us Sage Emperor ko khatam kar sakte ho. Jab tum khud sword ke karib phoch jaaoge tab tumhe apne aap hi sab kuch samajh aa jayega ke tumhare andar yeh kya changes aaye hai.

Yeh keh kar vo shadow gayab ho gayi. Wahi Kabir us knife ko dekh raha tha kyo ki raat ke chandani mein vo Jet black knife chamak raha tha.

Tabhi un beasts mein se ek wolf type beast ne Kabir par attack kar diya vo almost uske karib phoch gaya tha ke Kabir ne apni nazar ko uske taraf ghumaya aur uske face par ek smile aa gayi.

Us wolf ne Kabir par paas aa kar ek jump laga di lekin jaise hi vo uspar apne panje se war karne wala tha ke Kabir waha se gayab ho gayaaur vo wolf jab niche aaya tab uske do piece ho kar niche gir gaye the.

Yeh sab kuch bohot hi spees se hua tha. Apne ek saathi ko aise marta dekh un sabhi wolfs ne Kabir par attack kar diya par Kabir unke kiye hue har attack se bach raha tha aur saathmein unhe maar bhi raha tha. Jaldi hi waha par ab sirf un sabhi wolfs ki bodies padi hui thi.

In sabhi ko maarne ke wajah se yaha Kabir bhi unke blood se pura bheeg sa gaya tha. Usne apne knife ko ek jhatka diya aur uspar ko blood laga hua tha usse hata diya.

Ab uske saamne vo tigers aur vo black lion tha jo abhi bhi usse ghure jaa rahe the. Kabir ne apna stand liya aage ke fight ke liye yeh dekh kar us lion ne bhi ek baar zor se roar kiya aur vo bhi un tigers ke saath Kabir par attack karne aa gaya tha.

Un sabhi beasts ko apne taraf aate dekh kar Kabir bhi unke taraf badh gaya jaise hi vo unke paas aaya ek tiger ne uspar apne panje se war kiya lekin Kabir ki speed uske attack se jyada thi jiske wajah se hua yeh ke Kabir uske war se bach gaya lekin saath hi Kabir ne bhi uske panje par attack kiya jiske wajah se uska vo pair hi cut ho kar gir gaya par Kabir yahi nahi ruka usne us tiger ko sambhal ne ka chance tak nahi diya aur ghum kar uske sir ko bhi cur kar diya.

Kabir abhi bhi us knife ki sharpness se shock tha kyo ki aise kisi bhi knife ke baremein usne kahi bhi nahi suna tha par ab yeh sochne ka waqt nahi tha uske paas aise hi usne baki tigers ko bhi maar diya lekin uske attacks us black lions tak nahi pohoch paa rahe the jab bhi Kabir us par attack karta tab vo apne muu se us par ek fire ka attack kar deta jisse bachne ke liye Kabir ko apne attack ko rok dena pad raha tha par ab vo sirf dono hi waha bache the.

Kabir abhi thoda thaka hua feel kar raha tha lekin phir bhi vo fight kar sakta tha usse pata tha ke vo agar abhi ruka toh vo kabhi bhi apne is kismet ko nahi change kar sakta hai.

Kabir ne us knife par apni pakad aur bhi strong ki aur badh gaya us lion ki taraf jisse dekh kar vo black lion ne us par ek baar phir se apne muu se fire ka attack kiya jisse bachte hue Kabir uske paas aa gaya par us black lion ki moment bhi kafi speed thi usne bhi apne aap ko Kabir ke attack se bacha liya aur thoda piche ho kar us par apne panje se attack kiya.

Uske attack ko Kabir se apne knife se rok diya. Dekha jaye toh vo knife bolne ke liye thoda bada tha vo ek sword jitna long toh nahi lekin agar dekha jaaye toh knife bolne ke liye toh vo long tha. Saath hi vo bohot hi lightweight bhi tha jiske wajah se Kabir ko us knife ka use kanre mein koi bhi difficulties nahi ho rahi thi.
Us black lion ke attack ko rokne ke baad Kabir ne piche ki taraf jump laga di. Usse us knife se alag hi feelings aa rahi thi. Kabir ko aisa lag raha tha ke un sabhi beasts ko maarte hue yeh knife aur bhi powerful ho raha hai. Abhi ke liye usne apne dimag se in sabhi thoughts ko hata diya aur apne fight par concentrate karne laga.

Kabir phir se puri speed ke saath us black lion ki taraf badh gaya uske paas pohochte hi Kabir uske aaspas ussi speed se ghumne laga jisse waha uske after images banne lage. Yeh dekh kar vo black lion bhi shock ho gaya kyo ki uska har attack kisi na kisi after image par hi ho raha tha. Yeh hota dekh vo black lion bohot hi gussa ho gaya aur violently behave karne laga jisse Kabir ko ek opening mil gayi aur usne us knife ko ghuma diya jiske chalte us black lion ki left aankh cut ho gayi aur waha se blood nikalne laga.

Par is kiye hue attack se us black lion ko Kabir ke position ka pata chal gaya aur usse apne muu se us par fire attack kiya jisse bachne ke liye Kabir ne side mein jump laga di.

Kabir ab thak gaya tha aur ab is khel ko khatam kaise karna hai is baremein sochne laga. Us black lion ka apne upar aise hue attack ke wajah se gussa bohot hi badh gaya aur usne wahi se Kabir ke upar jump laga di jike liye Kabir ready nahi tha aur us jump se bachne ke chakkar mein vo piche gir gaya apr abhi bhi vo knife uske haath mein hi tha.

Thoda piche girne ke wajah se us lion ki jum us par nahi gir balki usse thoda piche h giri par is baar vi lion Kabir ko koi bhi chance dene wala nahi tha jiske chalte hue vo uske upar aane laga.

Uske paas aane se Kabir ko uske pet ka hissa dikha aur usse yaad aaya ke in jaise beasts ke pet ka hissa kafi weak rehta hai aur jaise hi vo black lion Kabir ke upar aaya Kabir ne apne knife ko uske pet mein ghusa diya jisse us jungle mein us black lion ki cheenkh gunjh gayi. Vo black Lion kabir par for gaya par kabir ne usse apne upar se hara hi diya. Jaise taise Kar ke vo khada hua aur apne aaspas dekhne laga usse Waha bas in beast ki bodies hi dikh rahi thi vo abhi bohot hi thak gaya tha aisi battle usne apne past life mein in six Deity rank beasts ke saath ki thi jiski usse yaad aa gayi.

Us battle ke baremein yaad aate hi uske face par ek smile aa gayi aur vo ab waha se nikalne laga jaise hi vo us jungle ke border par aaya usse phir se vo shadow dikhi jiske chalte usne us knife Jo uske taraf Kar diya.

Kabir-Koun ho tum aur mere reborn hone se lekar mujh mein Kya changes hue hai is baremein Kaise jaante ho.

Vo shadow abhi bhi shant thi lekin kuch der baad usne kaha.

Shadow-Mein koun hi yeh jananaa tumhare liye itna important nahi hai lekin mein tumhe yeh zarooy bata sakta hu ke tumhara andar Kya changes hue hai aur vo bhi kyo. Par uska waqt nahi aaya hai abhi jab tak tum issi knife ki tarah ek sword hai jisse tum hasil nahi Kar lete tum tab tak nahi jaan paoge ke tum ab Kya ban gaye ho. Waise mera tumhe yeh knife dena sahi raha tum us knife ke liye worthy ho par yeh mat samjhna ke us sword ke liye bho ho jaoge. Par agar tumne us sword ko paa liye toh tum zaroor Sage Emperor ko hara paoge.

Yeh keh kar vo shadow Waha se gayab ho jaati hai aur Kabir bhi apne hostel ki taraf chal deta hai. Abhi morning hone mein kafi waqt tha issi liye Kabir apne room mein aate hi so gaya. Abhi early morning ka waqt tha aur Kabir abhi bhi gehri neend mein tha ke uski body se light nikalne lagi. Kabir ne room mein aane me baad us knife ko uske table par raha tha par jaise hi kabir ke body se light nikalne lagi waise hi vo knife us table se gayab ho kar kabir ke upar hawa mein udne laga. Har badhte pal ke saath Kabir ke body se nikalne wali light badhti jaa rahi thi aur vo knife bhi slowly uske paas aane laga. Vo knife kabir ke dil ke paas aa Kar ruk gaya aur phir ek tezz roshni mein badal Kar kabir ke andar sama gaya. Jaise hi vo knife kabir ke andar samaye Kabir jhat se uth gaya uski puri body pasine se bheeg gayi thi usse kuch think feel nahi ho raha tha usne apne window se bahar dekha tab slowly Suraj upar aane laga tha usne apne aaspas dekha tab usse baki sab kuch thik laga. Abhi vo yaha waha dekh hi raha tha ke uski nazar table par gayi jaha vo knife ab waha nahi tha. Kabir apne bed se uth gaya aur us knife ko pure room mein dhundne laga. Sab jagah dhundne ke baad bhi usse vo knife kahi nahi mil raha tha. Usne apne haath ko zor se us table par maara. Yeh karte hi usse ek shock laga kyo ki uske aise karte hi vo knife uske haath mein aa gaya tha. Usne usse utha Kar dekha toh ab usse us knife ke handle ke paas uska naam dikh raha tha.

Kabir ne us knife ko thik se dekha jab un sabhi beasts se fight kar raha tha tab usne is knife par jyada dhyan nahi diya tha usse bas waha se jaldi se jaldi nikalna tha.

Is knife se usse ek alag hi energy feel ho rahi thi. Kabir ne kuch der us knife ko dekha aur phir apne classes ke liye ready ho gaya.

Jaldi hi Kabir class mein aa gaya aaj bhi Shital ka lecture tha toh vo already piche ja Kar khada hua saath mein uske sabhi friends bhi par aaj kabir kuch shant sa khada tha usne aane me baad se kisi bhi baat nahi ki thi vo apni aankhe band kar ke kal raat Jo hua uske baremein soch raha tha.

Ab tak Shital bhi class mein aa gayi thi usne aate he in sabhi ko piche khada dekha jaha Kabir khada tha Bas Aaj uski aankhe bad thi usse lag raha tha ke vo kaise apne is rank ko badhayega is baremein soch raha hai.

Yeh soch kar Shital ke face par ek smile aa gayi usse lag raha tha ke koi bhi itne Kam time mein itani progress nahi Kar sakta hai aur Kabir jaise red sea soul jaise ladke ke liye toh impossible hai. Usne phir apana lecture start kiya. Yaha kabir kuch soch hi raha tha ke usse phir morning wala incident yaad aaya ke vo knife suddenly uske haath mein appear hua tha aur phir uske sirf sochne ke baad hi vo gayab ho gaya tha.

Abhi vo is baremein soch hi raha tha ke uske mind mein ek aawaz gunkh gayi.

Aawaz-Kabir is baremein ab itna mat socho aur ha ab tum us knife ke saath jud gaye ho yeh toh tumhe bhi pata chal gaya.

Kabir-Koun ho tum aur tumne sirf mujhe hi kyo choose Kiya mujhse pehle bhi shayad kitne demon spiritualist the jo Sage Emperor ki khatam karna chahte the toh unhe kyo nahi choose kiya tumne.

Aawaz-Kyo ki is yeh mera faisla nahi tha tumhe usne choose Kiya hai jisne yeh pura world banaya hai. Abhi tumhare liye itna hi janna zaroori hai baki tumhe pata hai ke aage kya karna hai.


Thodi der baad vo aawaz aani band ho gayi aur Kabir ne apne aankho ko khol diya.
 
Last edited:
Status
Not open for further replies.
Top