• If you are trying to reset your account password then don't forget to check spam folder in your mailbox. Also Mark it as "not spam" or you won't be able to click on the link.

Fantasy Gods and Demons

just YES OR NO


  • Total voters
    318
  • Poll closed .
Status
Not open for further replies.

Lovekillsyou

Active Member
649
2,715
124
Note- Update 177 hi 178 hain
 
Last edited:

Ranveerx

Story ka Deewana?
1,937
12,544
143

Jay Sutar

अहं ब्रह्मास्मि
2,485
31,541
189
UPDATE 130

Square Commandery Prince bhi Kabir aur Neil ke fight ko kaafi attention se observe kar raha tha. Uske face par kaafi cold expressions the.

"Kabir abhi abhi Black Realm ke Mid Stage par pohocha hai lekin vo Medium Stage ke warrior ke saath battle kar sakta hai. Ham isse aur zyada der aise hi nahi chod sakte hai. Yeh zaroor future mei Square Commandery ke liye threat ban sakta hai."

Square Commandery Prince ke side mein khade ek warrior ne kaha.

"Prince aap ko tension lene ki zaroorat nahi hai. Neil ne abhi tak apne Black Realm ke Medium Stage ki real strength ko show nahi kiya hai. Mein sure hu ke agar Neil ne apne fully strength ko show kiya toh yeh Kabir ek second ke liye uske samne tik nahi sakta hai."

Square Commandery Prince ne apne sir ko haa mein hilate hue kaha.

"Jo warrior Black Realm ke Dawn Stage par pohoch gaya hai vo Animal Spirit Fixing Beast ko demonstrate kar sakta hai. Wahi jo warrior Black Realm ke Medium Stage par hai vo Animal Spirit Fixing Arms ko demonstrate kar sakta hai. Jab Neil apne in dono meridians ki power ko use karega tab Kabir ko beat karna uske liya kaafi easy ho jayega."

Yeh baat sunkar us warrior ne haste hue kaha

"Neil ke paas zaroor koi backup plan hoga aur itne easily vo in 2 powers ko demonstrate nahi karega. Waise bhi vo ek aise warrior ke saath fight kar raha hai jo Black Realm ke Mid Stage par hai."

Ismein koi doubt nahi tha ke yeh sab jo bhi ho raha hai vo sab kuch Square Commandery Prince ke wajah se hi ho raha hai. Upar se vo abhi bhi ek freshmen tha aur Kabir ne uspar abhi kisi bhi tarah ka na attack kiya tha aur na hi usse kuch kaha tha. Issi liye Square Commandery Prince Zelan ka use kar ke Kabir ko apne raste se hatana chahta tha.

Neil ne apne finger mein ho rahe pain ko jhelte hue Kabir se kaha.

"Great! Js year ka number one freshman definitely Black Realm ke Mid Stage ka ordinary warrior nahi hai. Toh mein tumhe dikhata hu ke meri Ghost Hand jo ek Low Class Spiritual Martial Technique kitni powerful hai."

Neil khada hua aur apne haato ko tab tak wave karne kag gaya jab tak unke light after image na ban gaye.

Kabir usse obverse kar raha tha. Even usne apne eye vessel mein apne Genuine qi ko tray kiya tab bhi vo Neil ke technique ko identify nahi kar paa raha tha.

Kabir ke paas ab apne Space Domain ko release karne ke siwaye koi aur choice nahi tha. Space Domain ko release karne me baad 30 meters ke andar ka area phir Kabir ke control mein aa jata tha.

Jab Kabir ne apne Space Domain ko release kiya tab jakar Kabir ne Neil ke handprints aur uske technique identify kiya.

Kabir-Neil Black Realm ke Medium Stage ka warrior hai. Agar mein ne ne carelessly uske saath fight ki toh mein zaroor haar jaunga. Mujhe usse uske meridians ki powers ko use karne se pehle hi beat karna hoga ya phir usse destroy karna hoga.

As a talented warrior Kabir uske aur Neil ke biche ke cultivation difference ko achhe se samajh sakta tha. Uske paas strike karne ka sirf ek hi chance hai. Agar Kabir usse use nahi kar paya toh uski halat toh 4th Prince se bhi bekar ho sakti thi.

Kabir ne Neil par complete focus kiya jo ab uski taraf kaafi speed se aa raha tha. Tabhi Kabir ne apne haato mein apna Space and Time Spinel ko liya aur usse apne sleeves ke andar achhe se hide kiya.

"Kabir tumhare liye mere Ghost Hand se haar jana kaafi outstanding baat hone wali hai."

Neil ne yeh baat ek evil smile ke saath kahi thi. Tabhi dozens of palm shadows ne Kabir hit kiya.

Kabir halka sa left side mei move hua aur usne apne Space and Time Spinel mein se Death Sickle ko bahar nikala.

Usne us Death Sickle ko hawa mein ek baar ghuma diya aur Neil ke Ghost Hand ko wahi cut kar diya.

Waha par ab har jagah fresh blood fail gaya aur saath hi ek bloody haat bhi niche ground par gir gaya.

"Ahh... Mera haat!"

Neil ne kaafi zor se chinkh maari. Uska haat uske kalayi se cut ho gaya tha. Neil ne pressure de kar apne nikalne wale blood ko rok diya. Usse hone wale pain se vo almost behosh hote hue reh gaya tha.

Kabir Neil ko harane ka aisa chance miss nahi kar sakta tha. Usne Neil ke chest par ek kick maari aur usse piche ji ki taraf uda diya.

Jab piche ki taraf ud kar kuch meter jaa kar Neil ruka toh usne uthne ki koshish ki par tabhi usse apne chest par kuch heavy feel hua. Uske chest bones se crack hone ki aawaz aane lag gayi thi.

Kabir ne apne haato mein jo Death Sickle tha usse gale par rakha aur kaha.

Kabir-Hilne ke baremain sochna bhi mat! Nahi toh tum haat se bhi kuch zyada hi gawa sakte ho.

Neil ko Kabir par kaafi gussa aa raha tha. Agar Kabir ne suddenly apne sleeves mein se Death Sickle ko nikala nahi hota toh vo ek Black Realm ke Mid Stage warrior se kabhi bhi nahi haarta.

"Tumne mere Left haat ko destroy kaise kiya! Aaj t zaroor marne wale ho."

Neil ne kaafi gusse mein yeh baat Kabir se kahi thi.

Wahi dur khade Zelan aur baki students ko kuch der baad sab samajh mei aaya ke abhi hua kya. Yeh dekhte hi sabhi kaafi jaldi mein Neil tak aaye aur unhone Kabir ko gher liya.

Un students mein se har ek ke face par kaafi murderous look the. Unhone apne apne Genuine Martial Arms ko bahar nikala jaise vo unse Kabir ke countless pieces cut karne wale ho.

"Bastard! Neil ko release karo!"

Yeh baat un students mein se ek student ne kahi thi aur uske haat mein ek sword thi jisse usne Kabir ke chest par point kiya hua tha. Agar vo ek step aur aage badhta toh uski sword Kabir ke chest ke andar jaa sakti thi.

Kabir par unke usse gherne ka koi bhi asar nahi hua. Usne apne haat mein jo Death Sickle tha usse Neil ke neck par aur bhi point karte hue un sabhi students ko kaha.

Kabir-Mein iske sir ko hi cut kar dunga agar tum mein se koi bhi move hua toh.

"Really? Toh tumhe kya lagta hai agar tum yeh kar sakte ho toh mein is pig ke skull ko nahi break kar sakta hu"

Zelan ne 4th Prince ke neck ko pakad kar usse khichte hue Kabir ke samne laya.

Zelan ne apne Genuine qi ko activate kiya aur apne haat ko 4th Prince ke sir par rakh diya.

"Kabir apne sickle ko niche rakho aur Neil ko release kar do. Nahi toh mein yeh zaroor sure kar sakta hu ke mein tumhare is 4th Prince ke sir ko apne powerful palm se zaroor crush kar dunga."

4th Prince abhi kaafi dara hua tha. Usne waisi hi halat mein Kabir se kaha.

"Nahi...Nahi brother agar tumne abhi is Neil ko jaane diya toh tumhara marna sure hai."

Tabhi Zelan ne apne haat se ek plam Sword banayi aur usse chopp down karte hue 4th Prince ke right shoulder par usse attack kar diya. Uske aisa karne se 4th Prince ka right shoulder wahi break ho gaya.

Issi ke saath 4th Prince ke muu se bhi kaafi zor se chinkh nikal gayi. Uske body mein se kaafi sweat nikalne lag gaya tha aur uske lips bhi ab black ho gaye the.

Zelan ki aankho mein ek clodness dikh rahi thi. Usne phir se ek chop bana kar 4th Prince me left shoulder par strike kiya.

Kabir-Enough!

Zelan ne apne strike ko bich mei hi rok diya aur Kabir ko dekhte hue kaha.

"Toh Kabir, lagta hai tumne ab sahi se soch liya hai."

Kabir ab kaafi irritated ho gaya tha. Usne Neil ke neck par se Death Sickle ko hata diya aur usse ground par phek diya.

Kabir-4th Prince ko jaane do.

Kabir ko achhe se pata tha ke agar vo Neil ke neck par Death Sickle rakh bhi dega toh bhi Zelan par koi asar nahi hone wala tha. Usse Neil ke Zinda rehne ya na rehne se koi bhi pharak nahi padne wala tha.

Jab Zelan ne dekha ke Kabir ne Neil ko release kar diya hai toh uske face par ek kaafi evil smile aa gayi thi. Usne haat ne phir bhi kaafi ruthlessly 4th Prince ke left shoulder ko strike kiya aur uske shoulder ko break kar diya.

Uske baad usne 4th Prince ko piche ki taraf phek diya kyo ki vo pain ke wajah se behosh ho gaya tha. Zelan ne Kabir ko dekhte hue kaha.

"Kabir ek baat hamesha yaad rakhna ke yeh Martial Market School hai. Koi normal jagah nahi hai. Tum yaha jo bhi kahoge usse tumhe complete karna hi hoga. Suno sabhi iske haato aur pairo ko destroy kar do."

Kuch 20 odd students ne milkar ek hi waqt par Kabir par attack kar diya. Jaise vo Kabir ke countless pieces karna chahte ho.

Par Kabir tha ke unki taraf dhyan hi nahi de raha tha. Uski nazar jo ab puri tarah se emotionless thi vo Zelan par hi focus thi. Vo uski taraf step by step jaane lag gaya tha.

Aise hi Kabir ke Zelan ki taraf chal kar jaate hue suddenly uske body se kaafi sharp aura nikalne lag gaya. Uski sharpness itni thi ke dur khade students ke robes tak cut ho gaye the.

Ek student jo Black Realm ke Advance Stage par tha usne aage badh kar Kabir par attack kar diya. Kabir ne bich mein hi uske haat ko pakad liya aur dusre haat se uspar apne punch se strike kar diya. Kabir ke us punch ke wajah se us student ka haat wahi break ho gaya.

Tabhi Kabir par aur 3 students ne apne swords se attack kar diya. Par unhe bhi Kabir ne wahi rok diya. Uske body se ab The Jade-White Genuine qi jaise explode si ho gayi aur un 3 students ko usne piche uda diya saath mein unke haat se unki swords bhi le li.

Abhi vo students piche gire hi the ke Kabir ne apne haat ko ek baar unki taraf wave kiya aur uske haato mein jo 3 swords thi vo uske Sword Intent ke saath jaa kar un students ke pairo mein ghus gayi.

Waha par un 3 no students ki chinkh gunjh gayi.

Wahi piche se ek student jo Black Realm ke Dawn Stage par tha usne Kabir me back par apni sword se attack kiya. Par uski sword jaise kisi metal ko jaa kar lag gayi hai aisa aawaz aaya jab uski sword ne Kabir ke back ko touch kiya.

Yeh baat achhi thi ke Kabir ne abhi bhi apna Ice-Fire Kylin armour pehna hua tha.

Vo student jisne abhi Kabir ke back par attack kiya tha vo halka shock ho gaya. Tabhi usne yeh bhi notice kiya ke Kabir ab palat kar usse dekh raha hai.

Iske baad bhi ke Kabir puri tarah se emotionless ho kar uss dekh raha hai phir bhi jaise vo Kabir ko weak hi samajh raha tha aur ek baar phir se usne Kabir par apne sword se atty kar diya.

Bang!

Kabir ne ek powerful palm se us student vke chest par attack kiya lekin usne uski kalaayi bhi pakad kar rakhi taki uski sword vo uske haat se le sake.

Uski sword apne haat mein lekar Kabir ne us sword ke flat surface se us student ke face par ek halka slap maar diya. Vo student us slap se wahi behosh ho gaya.

Agar ham Martial Arts ke mastery ki baat kare toh Kabir ke unhe use karne me tricks kaafi sophisticated the. Wahi vo abhi 20 students se bhi zyada ke warriors ke saath battle kar raha tha. Unmein se most of the students experience warriors the. Uski body par bhi ab tak kaafi injuries ho gayi thi lekin usse fight karne wale students ke toh ab haat aur pair tak cut hone kag gaye the. Kisi student ka haat cut ho gaya tha toh kisi ka pair.

Is fight ke wajah se kaafi students unki taraf attract ho gaye the.

Sabhi ka focus Kabir par tha jo Square Commandery ke students ke bich ghira hua tha.

Waise Martial Market School mein Fights ke liye koi bhi rule nahi tha. Baat yeh thi ke yeh school students ke bich ki fights ke liye jaise motivate karta tha. Rule sirf ek tha ke koi bhi student in fights ke waqt kisi ko jaan se na maar de bas.

Agar koi student jaan bhuj kar kisi dusre student ko aisi fight ke bhich maar deta hai toh vo chahe jo bhi ho aur jaha se bhi belong karta ho Martial Market School usse ek hi punishment deta hai aur vo thi death.

Yahi reason tha Square Commandery Prince ne abhi tak khud ko show nahi kiya tha. Par vo Kabir ko Zelan ka use kar ne khatam karna chahta tha.

Lekin phele rule ke saath ek aur rule tha. Agar koi do students ek dusre se kaafi hate karte hai toh school ground par revange lena allowed tha. Jaise ke agar kisi ek student ne dusre student ke kisi close friend ko maar diya ho toh vo student dusre student se apna revange school ground par le sakta hai.

Is liye abhi favore jaise Zelan ke hi side mein tha. Kabir ne Omen Ridge mei Zelan ke younger brother Ziran ko mara tha.

School mei sabhi elders tak ko yeh kaha gaya tha ke aise matters mein vo kisi bhi student ke bich nahi aayenge.

Revange jaise matters students ko apne se hi apne mein deal kar lena tha.

Jaha waha khade sabhi ab yahi soch hi rahe the ke Kabir ki jaan toh abhi gayi ke tabhi un sabhi mein se ek teenager jaisi dikhne wali ladki waha aati hai.

Usne apne apne chin ko apne haat se pakad kar dekha ke Kabir ko Square Commandery ke students ne gher liya hai.

"Interesting! Very Interesting!"

Jaise hi un students ko pata chala ke unke paas se yeh ladki jaa rahi hai waise hi sabhi ne dar kar usse greet kiya.

"Greetings Senior Dina!"

Yes yeh Dina thi jo un sabhi students ke bich khadi ho kar Kabir ko battle karte hue dekh rahi thi.

Dina ne un students par koi bhi dhyan nahi diya aur apne face par ek smile liye vo aage aa gayi. Vo chalte hue Kabir aur un students ke paas aa gayi thi.

Vo sabhi students jo abhi Kabir par attack kar rahe the unhone jab Dina ko waha dekha tab vo sabhi bhi jaha the wahi ruk gaye. Even Zelan jo kaafi arrogant ho kar waha khada tha vo bhi dar kar Dina ko dekh raha tha. Vo jaldi jaldi Dina ke samne aaya aur usne Dina ko greet kiya.

"Senior Dina mein Zelan aap ko greet karta hu. Waise mein yeh soch raha tha ke aap yaha kyo aayi hai ?"

Dina ne apne finger se Kabir ki taraf ishara karte hue kaha.

Dina-Mein kab se isse dhund rahi hu.

Kabir ko abhi bhi Square Commandery ke students ne gher kar rakha hua tha. Uski body par kaafi cuts bhi aa gaye the. Lekin uski aankhe...uski aankhe abhi bhi waisi hi thi emotionless. Uska white robe uske blood se pura red ho gaya tha.

Wahi unke aaspas 11 Square Commandery ke students gire hue the jinke haat ya pair cut ho gaye the. Kuch students ko internal injuries ho gayi thi. Kuch Kabir ke palm attacks ke wajah se behosh ho gaye the. Wahi kuch students ke pairo mein unki hi swords ghusi hui thi.

Zelan ka toh jaise behaviour hi change ho gaya jaise hi Dina ne yeh kaha ke vo Kabir ki kaafi der se dhund rahi hai. Usne ek baar phir se salute kiya aur Dina se kaha.

"Senior Sister Dina, is Kabir ne mere younger brother ko mara hai. Mein usse apna revange le raha hu. Agar mein ne isse abhi chod diya toh mere younger brother ko justice kaise milega. Uske soul ko rest nahi milegi. Agar mein ne isse nahi maara toh mein warrior with the Spiritual Blood kehlane ke liye classified bhi nahi rahunga."

Zelan ne yeh sab is tone mei kaha ke waha khade sabhi students ko uske liye unke dil mein ek sympathy aa jaaye aur Kabir ke liye gussa. Par usne jo bhi kaha tha vo kahi se bhi pura sach nahi tha.

Although Zelan aur Ziran brothers the. Par unka relationship waise brothers wala bilkul bhi nahi tha. Vo ek dusre ko dekhna tak pasand nahi karte the. Dono ke bich hamesha yahi chal raha tha ke apne family ka next head koun banega. Dono hi ek dusre ko jaldi se jaldi khatam karna chahte the.

Jab Square Commandery Prince ko yeh pata chala ke Ziran ko Kabir ne mara hai toh usne Zelan ko yeh kaha ke agar vo Kabir ko maar deta hai toh vo usse apni family ka next head banne mein help karega.

Is liye yeh revange for justice ek sabhi ke samne Zelan ka excuse tha.

Wahi Zelan ne aage kaha.

"Saath hi mein ne Master Situ se iske baremain pehle hi baat kar li hai. Upar se is Kabir be Square Commandery ke 100 candidates ko first round mein hi maar diya tha. Master Situ ka yeh kehna hai ke iske jaise student ko is school mein rehne ka koi bhi right nahi hai. Is liye Master Situ ne mujhe apne revange ke liye allow kar diya hai."

Dina ne apne sir ko hilate hue Zelan se kaha.

Dina-Ohh! Ab mein samajh gayi. Tum mujhe Elder Situ ka naam lekar dara rahe ho.

"Nahi mein aisa bilkul bhi nahi soch sakta hu Senior. Even aapne bhi mujhe koi authority di toh bhi mein aap ko offend nahi kar sakta hu aur na hi soch sakta hu."

Dina ke face par abhi bhi ek smile thi. Usne apne haat ko aage badha kar Zelan ke should par rakha aur usse normally tap kiya. Par Zelan is kadar dara hua tha ke vo Dina ke uske shoulder par haat rakhte hi uske samne apne ghutno par baith gaya.

Dina-Tum itna dar kyo rahe ho?

Waisi hi smile ke saath Dina ne yeh sawal Zelan se pucha tha.

Zena ki puri body uske sweat se bhig bayi thi. Usne waise hi darte hue Dina se kaha.

"Na...Nahi Senior mein dara hua nahi hu"

Dina ne wise hi apne sir ko hilaya aur kaha.

Dina-Mein tumhare feelings ko samajh sakti hu. Tumhare brother ko kisi ne mara hai. Agar mein tumhari jagah hoti toh mein bhi yahi karti. Par mein tumhe bura nahi feel karana chahti hu lekin Sister Shreya ne mujhe yaha bheja hai. Usne kaha hai ke Kabir ka shikar uske siwaye koi nahi karega."

Yeh sunkar toh Zelan kaafi shock ho gaya. Usne ne kabhi nahi socha tha ke Kabir female devil Shreya ka shikar hai.

Yeh kaafi badi baat thi. Agar aaj vo Kabir ko maar deta hai toh vo na sirf Dina balki Shreya ko bhi offend kar dega. Aur agar aisa hua toh pure Kulun Field ke Western Prefecture mein aisi koi bhi jagah nahi hogi jo usse safe rakh sake.

Dina chal kar Kabir ke samne aayi aur usne usse kaha.

Dina-Well tumne iske younger brother ko bhi mara hai aur ab is situation ko bhi bana diya hai. Kyo na tum hi koi aisa raasta nikal lo is baat ko settle karne ke liye ?

Dina ki baat sunkar waha khade har ek student ko lata chal gaya ke yaha kya ho raha hai. Dina completely Kabir ke side par thi issi liye usne yeh baat Kabir par hi chod di ke vo kya decision leta hai.

Wahi ab waha par Dina ke aane me wajah se Zelan ne agar 100 aur students ko bhi bula liya toh bhi koi bhi itni himmat nahi karega ke vo aage badh kar Kabir ko maar de.

Yaha tak ki waha par kitney bhi Black Realm warriors aa jaaye vo sabhi Warrior of Division Profound se haar ho jayenge.

Zelan ke paas ab koi choice nahi thi ke vo Dina ke against kuch bol bhi sake.

Kabir ne ek baar 4th Prince ko dekha jo abhi bhi behosh tha aur phir uski nazar Zelan par gayi. Tabhi kuch aisa hua ke waha khade sabhi students ke pasine hi chut gaye.

Jaise hi 4th Prince se Kabir ki nazar Zelan par gayi. Uska Killing Intent jo last 3000+ years se tha aur un years mein usne na jaane kitne countless warriors ko maar diya tha jiske wajah se uska yeh Killing Intent itna strong hua tha vo unconditionally rekey ho gaya.

Yeh Killing Intent itna strong tha ke Martial Market School ke almost sabhi elders tak bhi hil gaye the itne strong Killing Intent ko sense kar ke.

Wahi Square Commandery Prince, Zelan, Square Commandery ke students, Dina aur waha khade har ek student ki toh jaise kuch samjhne ki power hi gayi thi.

Par jaise hi Kabir ko pata chala ke uska Killing Intent release ho gaya hai waise hi usne usse phir se apne andar le liya.

Jab vo Killing Intent waha se hata tab jaa kar sabhi ne ek gehri saans li.

Jaha Zelan ka dar ke wajah se bura haal ho gaya tha wahi Dina itni shock ho gayi thi ke vo kuch samajh hi nahi paa rahi thi.

Kabir ne phir ek gehri saans li aur chod di. Phir usne Zelan se kaha.

Kabir-Zelan mein yeh baat manta hu me mein ne hi tumhare younger brother ko mara hai. Tum revange lena chahte ho toh mein tumhe ek chance deta hu. Aaj se 1 month baad mein tumhare saath fight karunga Life and Death Platform par.

Zelan ne sabse pehle apne aap ko calm kiya phir kabir ki baat par ek evil smile ke saat kaha.

"Senior Sister Dina aapne suna hai is Kabir ne kya kaha hai. Meine isse force nahi kiya hai."

Kabir ki baat ko sunake waha khade sabhi shock ho gaye aur apne hi bich mei is baat par discussion karne lag gaye.

Zelan ne Kabir ko dekhte hue kaha.

"Kabir, ab mein tumhe 1 month ke baad Life and Death Platform par dekhunga. Dar kar kahi bhag mat jana."

Kabir-Tumhe tension lene ki zaroorat nahi hai. Agar mein ne kaha hai ke mein tumhe ek chance dunga matlab dunga. Tum apne brother ke revange ke liye fight karna mein apne brother me honor ke liye fight karunga. Aur ha mujhe vo tumhare dono haat chahiye yeh baat bhi yaad rakhna.

Kabir ki is baat par Zelan zor se haste hue jane laga aur usne apne group se kaha.

"Hahaha! Mein bhi dekhna chahunga yeh, Chalo sabhi."

Kabir ka decision Dina ke soch ke bahar tha. Usne Kabir se pucha.

Dina-Kabir tum sure ho ke tum yeh karna chahte ho ? Life and Death Platform par jana ek serious matter hai. Yeh tumhari life ka sawal hai.

Kabir ne ek halki smile ke saath Dina ko kaha.

Kabir-Senior sister Dina thank you ke aap abhi bich mein aa gayi. Par Zelan aur mere bich jo hate hai usse khatam hona hi hoga. Aur shayad iske liye Life and Death Platform kaafi sahi jagah hai.

Kabir ke is baat se Dina ke upar Kabir ka jo impression tha vo kaafi badh gaya.
 
Status
Not open for further replies.
Top